Tuesday, 21 January 2014

✦..........♥ 4 Insani Aa’mal par 4 Rahmani Wa’de ♥..........✦

◈➲ Agar tum shukr ada karte rahoge to main tum par (Nematon mein) zaroof izafa karunga. (Qur’an 14:7)

◈➲ Tum mujhe yaad karo main bhi Tumhen yaad karunga. (Qur’an 2:152)

◈➲ Tum log Mujhse dua karo main Tumhari Duaon ko qabool karunga. (Qur’an 40:60)

◈➲ Agar Mumineen Allah Tala se Gunahon par Muaafi mangte rahen to Allah un par Azab Nazil nahi Farmayega. (Qur’an 8:33)

✦.......♥ Aap ko kis Aourat se Zyad Mohabbat Hai..? ♥.......✦

✿ Ba’zameer Insan ka Jawab ✿

♥ Jis ne 9 Mahine Mushaqqaten utha kar mera Shiddat se intezar kiya.
♥ Phir khushi ke Aansu bahakar mera Isteqbal kiya.
♥ Apne sine se laga kar meri Gizayi zarurat puri ki.
♥ Mujhe bolna sikhaya, Lafze “Mohabbat” bhi main ne usi se sikha.
♥ Apni taqat se badh kar Jis ne mera khayal rakha.
♥ Dunyawi dukh, Takleef aur Khatrat se Mujhe apni Aaghoshe Mohabbat mein Dhanpe rakha.
♥ Apne aap ko be Aaram kar ke mere liye har Tarah ki Rahat o Aaram ka Bandobast kiya.
♥ Mujhe paal pos kar bada kardiya.

♥ Yahi Aourat is Qabil hai ke sab se zyada is se Mohabbat ki Jaye ♥

✦..............:'(  Jab Oont (Camel) Ropada :'(..............✦

Hazrat Abdullah bin Jafar RadiyAllahu Anhu bayan karte hai Aik martaba Aap Sallallahu Alaihi Wasallam aik Ansari ke Baag mein tashreef legaye waha Aik Oont Nikla aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ko daikh kar rone ki si Aawaz lagane laga aur us ki Aakhon se Aansu behne lage.

Aap Sallallahu Alaihi Wasallam us Oont ke paas Tashreef le gaye aur us ke sir par Hath phairne lage pus wo pur sukoon hogaya, us k Baad Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Daryaft Farmaya ke is Oont ka Malik kon hai? Aur pukar kar pucha ke ye Oont kis ka hai ye sun kar Aik Ansari Jawan Aaya aur bola Ya RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ye Oont mera hai.

Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne us seFarmaya kya tu is Janwar ke bare mein Allah Tala se nahi darta Jis ka tujhe Allah ne Malik banaya hai is ne Mujhse shikayat ki hai ke tu us ko bhuka rakhta hai aur Khidmat lene mein thaka deta hai.

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol.2 :: Hadith 777]

Narrated ‘Abd Allaah bin Jafar RadiyAllahu Anhu, One day The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) entered the garden of a man from the Ansar(Helpers). All of a sudden when a Camel saw the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) it wept tenderly producing yearning sound and it eyes flowed.

The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) came to it and wiped the temple of its head. So it kept silence. He then said “Who is the master of this Camel? Whose Camel is this? A young man from the Ansar came and said “This is mine, Apostle of Allaah (Sallallahu Alaihi Wasallam).” He said “Don’t you fear Allaah about this beast which Allaah has given in your possession. It has complained to me that you keep it hungry and load it heavily which fatigues it.”

[Sunan Abu Dawood :: Book 14 :: Hadith 2543]


⇨ “Aur Aye Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam Ham ne aap ko tamam Jahan walon ke liye Rahmat bana kar bheja hai”. (Qur’an 21:107)

⇨ "And We have sent you (O Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam) not but as a mercy for the 'Alamin (mankind, jinns and all that exists)”. (Qur’an 21:107)

●◗► Imam Ahmad Bin Hanbal Rahmatullahi Alai Farmate hain aik Dafa mujhe Iraq ke kisi Gao mein raat hogayi, Main aik Masjid mein gaya lekin Chokidar ne mujhe waha se Nikal diya, Main Masjid se bahar farsh par sogaya, chokidar mujhe Pao se pakad kar Ghaseet kar Masjid se door kardiya,

Aik Khuda Taras Aadmi mujhe apne Ghar le gaya wo Shaks Chalte, phirte, uthte baith te har waqt “Astaghfaar” padhta tha, Subah hui to maine us shaks se pucha ke kya Aap ko "Astaghfar" padhne ka koi Faida bhi hua.?

♥ Us ne Jawab Diya: Ji han meri har Dua Qabool hui siwaye is ke ke meri Mulaqat Imam Ahmad Bin Hanbal se hojaye “Main ne kaha” Main hi Ahmad bin Hanbal hun aur Tum daikho ke Mujhe kaise Ghaseet kar tumhare paas laya gaya hai ♥


✦..........-_-  Tu Bhi Sojata to Accha Hota -_-..........✦

✿ Shaikh Sa’adi Rahmatullahi Alai bayan karte hain unhe Bachpan mein Ibadat ka bahot shoq tha, Main apne walid ke sath sari raat jaag kar Quran paak ki Tilawat aur Namaz mein mashgool rahta tha, Aik Raat main aur Walid Mohtaram hasbe Ma’mul Ibadat mein Mashghool the Hamare paas hi kuch log Ghafil pade Farsh pe so rahe the.

Maine unki ye halat daikhi to Apne Walid se kaha ke in logon ki halat pe Afsos hai in se itna bhi na ho saka ke uth ke Tahajjud ki Naflen hi Ada kar lete.

◈➲ Walid Mohtaram ne meri ye Baat suni to Farmaya: ke Beta Dusron ko km Darja khayal karne aur Burayi karne se behtar tha ke tu bhi padke sojata ◈➲

✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "DON'T IMITATE THE OPPOSITE GENDER" ✦

Allah has cursed those who change the creation by mimicking the opposite gender.

Ibn Abbas (RadiyAllahu Anhu) reported: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) cursed men who imitate women and women who imitate men.

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 3 :: Book 9 :: Hadith 1904]

Urdu Translation: Hazrat Ibn Abbas RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Aourton ki Mushabihat Ekhtiyar karne wale Mardon par La’nat farmayi aur Mardon ki Mushabihat Ekhtiyar karne Wali Aourton par bhi La’nat farmayi.

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol.2 :: Hadith 61]


●◗► Mushabihat- Barabari, Yaksa Hona, Aur Mard hokar Aourto jaisa Libas pahenna ya Aourat Mardo jaisa Libas pahenna etc.


......................✿....... H A D E E S .......✿......................

Ibn Ka'b bin Malik Al-Ansari Narrated from his father, that the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Two wolves free among sheep are no more destructive to them than a man's desire for wealth and honor is to his religion."

[Jami At-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 10 :: Hadith 2376]

Urdu Translation: Hazrat Malik RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: Wo do bhuke bhediye Jinhen bakriyon ke Raiwad mein Chhordiya jaye Bakriyon ko itna Nuqsan nahi pohchate jitna Aadmi ke Deen ko, Maal ki Hirs aur bada Banne ki Chahat Nuqsan pohchati hai.

[Urdu Ref :: Jami At-Tirmidhi :: Vol.2 :: Hadith 258]


✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "MAKE THINGS EASY & CALMING PEOPLE" ✦

Narrated Anas bin Malik RadiyAllahu Anhu: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "Make things easy for the people, and do not make it difficult for them, and make them calm (with glad tidings) and do not repulse (them ).

[Sahih Bukhari :: Vol. 8 :: Book 73 :: Hadith 146]

Urdu Translation: Hazrat Anas RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke Nabi kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya Aasani paida karo, Tangi na paida karo, Logon ko Tasalli aur Tashaffi do Nafrat na dilao.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol.7 :: Hadith 6125]

●◗► Tashaffi-Tasalli, Itminan, khushi.


♥ Aye Allah Ham Tamam Ummate Muhammadiya ki Maghfirat Farma Ham Tamam ke Halat par Rahem Farma Jahan Kahi bhi Musalman Pareshan hai Un ki Pareshaniyo ko Door Farma ♥

♥ Aye Allah Jin logo ne Dua ke liye kaha hai aur Roz Marrah zindagi mein Dua ki liye kehte rehte hai Aye Allah aap Jante hai Sab ke Tamam Halat ko koi Pareshan hai koi Bimar hai to koi Masayel mein phase hai un Tamam ke Halat o Pareshaniyo ko khatam Farma.

♥ Aye Allah Jo Maa Baap apni Betiyo ke Nikah ko Lekar pareshan Rahte hai Unhe Naik aur Saleh Rishte bhaijde Un Waldain ko Rahat o Sukoon Ata karna Hame Waldain ka Farmanbardar banana, Jo Bimar hai un ko Shifa de Jo Maqrooz hai Un ke Qarz ke Adayegi ke Asbab paida Farmade.

♥ Aye Allah ham Tamam ki Naik aur Jayez Tamannaye poori Farma Dunya o Aakhirat ki Har Bhalayi Ata karna aur Har Manzil mein Kamyab Farmana.

"Our Lord! Give us in this world that which is good and in the Hereafter that which is good, and save us from the torment of the Fire!" (Qur'an 2:201)

★•.•´¯`•.•★ ♥ Aameen Ya Allah ♥ ★•.•´¯`•.•★

✦.....♥ Isi ko Kehte Hai Ba’adab Ba’naseeb Be’adab Be’Naseeb ♥.....✦

◈➲ Aik baar Hazrat Bahlool Rahmatullahi Alai kisi Nikhlistan mein Tashreef rakhte the, Aik Taajir ka waha se Guzar hua, wo Aap ke paas Aaya Salam kar ke Adab se Samne baith gaya aur Intehayi Adab se Guzarish ki, Janab! Tijarat ki konsi aisi cheez kharidu Jis mein bahot nafa ho, Janab Behlul ne Farmaya “Kala kapda lelo” Taajir ne shukriya ada kiya aur ulte qadmon chalta wapas chala gaya.

Jakar us ne Ilaaqe mein dastiyab tamam Siya kapda khareed liya, kuch dino baad Shaher ka bahot bada Aadmi inteqal kar gaya, Matami libas ke liye sara shaher siya kapde ki talash mein nikal khada hua, Ab kapda sara us Tajir ke paas Zakhira tha to ab us ne Muh mange damo farokht kiya aur itna Nafa kamaya Jitna sari Zindagi na kamaya tha aur bahot hi Ameer hogaya.

Kuch Arse Baad! Wo Ghode par sawar kahi se guzara Janab Bahlul waha Tashreef rakhe the wo wahi Ghode par baithe bola “Oo Diwane! Ab ki baar kya lun” Bahlul ne kaha “Tarbuz le lo” wo Bhaga Bhaga gaya aur sari doulat se pure Mulk se tarbuz khareed liye, Aik hi hafte mein sab kharab hogaye aur wo kode kode ka Mohtaj hogaya.

◈➲ Isi khasta haali mein ghoomte phirte us ki Mulaqat Bahlul se hogayi to us ne kaha “Ye Aap ne mere sath kya kiya? To Janab Bahlul ne Farmaya ✿ Maine nahi Tere lahjon aur Alfaz ne kiya sab, Jab tune Adab se pucha to Mala Maal hogaya aur Jab gustakhi ki to kangaal hogaya ✿ Isi ko kehte hai Ba’adab Ba’naseeb Be’adab Be’Naseeb.

✦..........:o Sacchayi Tumhen Hairan Kardegi..!!! :o..........✦

Aik 25 sala Ladka Rail gadi ki khidki se bahar daikh raha tha ke Achank wo bola “Abbu daikho darakht ham se piche ki taraf bhaag rahe hain”.

Us ka Walid muskuraya aur un ke sath baithe hue Jode (Couple) ne us 25 sala ladke ki bachkana harkat ko rahem dili ki Nigah se daikha.

Thodi dair baad wo ladka phir Achank bola “Abbu in badalon ko to daikho, Ye hamare sath sath chal rahe Hain”.

Sath baithe hue Jode (Couple) se ye bardasht nahi hua aur wo us ke Baap se bole ke Aap is ko kisi Acche Doctor ke paas kyu nahi lejate?

Us ladke ka Budha baap muskuraya aur Bola ➲ “Ham gaye the Doctor ke paas aur ab ham Hospital se hi Aarahe hain, Mere Beta paidayeshi tor par Andha tha, use Aaj hi Aakhen mili hain”➲

♥ Matlab ye ke Har Insan ke Paas us ki koi na koi kahani hai, To phir Tum Insano ko bina Haqiqat Jaane mat Parkho....!!! Kyun ke Sacchayi Tumhen Hairan Kardegi!! ♥

 ......................✿....... H A D E E S .......✿......................

Narrated Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu: That the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "When one of you arrives at the gathering, then give the Salam, and if he is given a place to sit, then let him sit. Then when he stands, let him give the Salam, the first is more worthy than the last."

[Jami At-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Book 40 :: Hadith 2706]

Urdu Translation: Hazrat Abu Huraira RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya Jab tum mein se koi kisi Majlis mein jaye to Salam kare us ke baad Baithna chahe to baith jaye, Phir jab Majlis se uth kar jane lage to phir Salam kare kyun ke pahla Salam Dusre Salam se badha hua nahi hai Yani Jis Tarah Mulaqat ke Waqt Salam karna Sunnat hai Aise hi Rokhsat hote waqt bhi Salam karna Sunnat hai.

[Urdu Ref :: Jami At-Tirmidhi :: Vol.2 :: Hadith 602]


●◗► Allah Hafiz, Khuda Hafiz, Shabba Khair, Alvida etc Ye sab Kehne se Behtar aur Sunnat Tariqa ye hai ke Jab Tum kisi se Rokhsati ka Iradah karo to Salam kar kar Wida ho, Aml Karengena InshaAllah, Aaj se hi ye Aml shuru karde. Jazakallahu Khair. 



✦.....♥ Khadimo Nokaron aur Ma'tahton ko Muaaf karte Rahiye ♥.....✦

●◗► "Apne Nokaro se Accha sulook kare Hamare yaha bahot hota hai ke Agar Khadim kuch Galat karde ya phir kisi kaam mein deri hojaye to use Daant dapat phir Jahil log Gali galoch aur badzubani par utar Aate hain, Aisa hargiz na kare Wo aap ki khidmat karte hai Apne Khadim ki Galati ko din mein 70 Martaba Muaaf karne ko Kaha hai Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne.

Narrated 'Abdullah bin 'Umar RadiyAllahu Anhu: "A man came to the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) and said: 'O Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam! How many times should the servant be pardoned?' The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) was silent. Then he said: 'O Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam)! How many times should the servant be pardoned?' He (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: ' Seventy times each day.'"

[Jami At-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 1 :: Hadith 1949]

Urdu Translation: Hazrat Abdullah bin Umar RadiyAllahu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ki khidmat mein Aik Sahabi Hazir hue aur Arz kiya Ya RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam! Main (Apne) Khadim ki Galati ko Kitni martaba Muaaf karun Aap Sallallahu Alaihi Wasallam khamosh rahe Unhone phir wahi Arz kiya: Main (Apne) Khadim ko kitni Martaba Muaaf karun RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya Rozana 70 Martaba.

[Urdu Ref :: Jami At-Tirmidhi :: Vol.1 :: Hadith 2013]


●◗► "Galati karna bura nahi, Insan roze Awwal se Galti karta aaya hai aur Aainda bhi is se Galatiyan sarzad hoti rahengi, Lekin galati ke baad Ehsas-e-Nadamat ko daba dena aur khud apne hi Zameer ke samne bhi Sharmindah na hona Haqiqat mein bura kaam bhi aur Dil ke Murda hojane ka Wazeh saboot bhi".

► "Aap sab se Guzarish hai k Mujhse jo bhi Galati sarzad hogayi ho to Sacche dil se Muaafi Chahta hun, Han main apni Galati par Naadim hun mere kisi na kisi baat se Aap ko Takleef pohchi ho to Allah ke liye Mujhko Muaaf kardijiye". :'( ♥ Aye Allah Aaj mai sirf Teri Raza ke liye Sab ko Muaaf Kiya ♥

✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "WHOEVER HAS WRONGED HIS BROTHER, ASK FOR HIS PARDON (BEFORE HIS DEATH)" ✦

Abu Huraira (RadiyAllahu Anhu) Narrated that The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Whoever has wronged his brother, should ask for his pardon (before his death), as (in the Hereafter) there will be neither a Dinar nor a Dirham. (He should secure pardon in this life) before some of his good deeds are taken & paid to his brother, or, if he has done no good deeds, some of the bad deeds of his brother are taken to be loaded on him (in the Hereafter)."

[Sahih Bukhari :: Vol. 8 :: Book 76 :: Hadith 541]

Urdu Translation: Hazrat Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: "Jis ne apne kisi bhai par zulm kiya ho to use chahiye k us se (is dunya mein) muaaf karale, is liye ke Aakhirat mein rupye paise nahi honge, is se pehle (muaf karale) ke us k bhai ke liye us ki Nekiyon mein se haq dilaya jayega aur Agar us ke paas Nekiyan na hongi to us (Mazloom) bhai ki burayyan is par daal di jayengi".

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol.8 :: Hadith 6534]


......................✿....... H A D E E S .......✿......................

Abu Huraira (RadiyAllahu Anhu) reported Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) as saying: When a man dies, his acts come to an end, but three, recurring charity, or knowledge (by which people) benefit, or a pious son, who prays for him (for the deceased).

[Sahih Muslim :: Book 13 :: Hadith 4005]

Urdu Translation: Hazrat Abu Huraira RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya Jab Insan Marjata hai Teen (3) Aa’mal ke Alawah Tamam Aa’mal Moqoof hojate hain, Aik Sadqah Jariya ya wo Ilm Jis se Nafa uthaya jaye Ya Naik Aoulad jo us ke liye Dua karti rahe.

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol.4 :: Hadith 4223]

●◗► Moqoof yani ke us ke Aamal ka Silsila khatam hojata hai.


✦......♥ Is Chokhat Se Zyada Mazboot Wo Chokhat (Shohar) Thi ♥......✦

✿ Aik purane aur bosidah makan mein aik Gareeb mazdoor rahta tha, Makan kya tha bus Aasare Qadima ka khandar hi tha, Gareeb mazdoor jab sar shaam ghar loutta us ki Biwi Masumiyat se kehti:

"Ab to Ghar ka darwaza lagwaden, kab tak is latke parde ke piche rahna padega, Aur han! Ab to pardah bhi purana hokar phat gaya hai, Mujhe khof hai kahin Chor hi ghar mein na ghus jaye”.

Shohar muskurate hue jawab deta hai: "Mere hote hue bhala tumhen kya khof? Fikr na karo mein hun na tumhari chokhat”.

✿ Garz kai saal isi tarah ke bahes mubahise mein guzar gaye, Aik din Biwi Intehayi israr kiya ke Ghar ka darwazah lagwado. Bila aakhir shohar ko haar manna padi aur us ne Aik Accha sa darwazah lagadiya, Ab biwi ka khof km hua aur shohar ke mazduri par jane ke baad ghar mein khud ko mahfooz tasawwur karne lagi.

✿ Abhi kuch saal guzre the ke Achank shohar ka inteqal hogaya, aur Ghar ka charag bujh gaya, Aourat ghar ka Darwazah band kiye pura din kamre mein baithi rahti, Aik raat Achank chor diwaar phalaang kar ghar mein dakhil hogaya, us ke Kudne ki Aawaz par Aourat ki Aankh khul gayi, us ne Shor machaya Mohalle ke log aagaye, aur chor ko pakad liya Jab daikha to maloom hua ke wo chor padosi hai.

♥ Us waqt Aourat ko Ehshas hua ke Chor ke Aane mein asal Rukawat darwaza nahi Mera Shohar tha, is chokhat se zyada Mazboot wo chokhat (Shohar) thi ♥

●◗► Shohar mein laakh Aaib ho lekin Haqiqat bhi hai ke Mazboot Chokhat bhi shohar hain, Hamari shadi shudah, Maao Bahno aur Betiyon ko chahiye ke un Chokhaton ki khoob daikh bhaal kiya Karen, Aur Allah ka shukr ada kiya kare.


......................✿....... H A D E E S .......✿......................

Narrated Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu: That the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Whoever takes a path upon which to obtain knowledge, Allah makes the path to Paradise easy for him."

[Jami at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Book 39 :: Hadith 2646]

Urdu Translation: Hazrat Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya Jis ne Ilm seekhne ke liye koi Raasta Ekhtiyar kiya, Allah Tala us ke liye Jannat ka Aik Rasta Aasan kardete hain.

[Urdu Ref :: Jami at-Tirmidhi :: Vol.2 :: Hadith 541]

Saturday, 4 January 2014

✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "Ten acts according to Fitrah" ✦

'A'isha RadiyAllahu Anha reported: The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: Ten are the acts according to fitrah:

► clipping the moustache,
► letting the beard grow,
► using the tooth-stick,
► snuffing water in the nose,
► cutting the nails,
► washing the finger joints,
► plucking the hair under the armpits,
► shaving the pubes and
► cleaning one's private parts with water.
► The narrator said: I have forgotten the tenth, but it may have been rinsing the mouth.

[Sahih Muslim :: Book 2 :: Hadith 502]

Urdu Translation: Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya Dus Chizen Paidayeshi Sunnat Hain.

► Munchen katarwana,
► Dadhi badhana,
► Miswak karna,
► Naak mein pani dalna,
► Nakhun katna,
► Jod dhona (kano ke Andar aur Naak aur baghal aur rano ka dhona),
► Baghal ke baal ukhedna,
► Zair Naaf baal saaf karna,
► Pani se istenja karna,
► Mus’ab rawi bayan karte hain ke Duswi cheez main bhool gaya Shayad wo kulli karna ho.

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol.1 :: Hadith 604]


●◗►  Apni Zuban ko Zikr o Shukr se Hamesha Taro Tazah rakhe, Allah ke Zikr mein Dil ka Sukoon hai Aur Allah ke Zikr se Apni Zuban ko Paak karte rahen Allah Tumhe Gunaho se paak kardega. Dil ki Zeenat Chaar Cheezen Hain ♥ Sabr ♥ Zikr ♥ Shukr ♥ Gour o Fikr.

Narrated An-Nu'man bin Bashir RadiyAllahu I heard Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) saying, Beware! There is a piece of flesh in the body if it becomes good (reformed) the whole body becomes good but if it gets spoilt the whole body gets spoilt and that is the heart.

[Sahih Bukhari :: Vol.1 :: Book 2 :: Hadith 50]

Urdu Translation: Narrated An-Nu'man bin Bashir RadiyAllahu se Rivayat hai ke main ne Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam se suna Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya Sunlo badan mein Aik gosht ka tukda hai jab wo durust hoga to sara badan durust hoga aur agar wo bigad gaya to sara badan bigad gaya aur wo tumhara dil hai.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol.1 :: Hadith 52]

✦..........♥ Allah Walon ki Majlis ke Fawayed ♥..........✦

✿ Naik logon ki Sohbat mein baithne se Insan ✿

◈➲ Shak se Yaqeen
◈➲ Riyakari se Ekhlaas
◈➲ Ghaflat se Bedari
◈➲ Dunya ki Mohabbat se Aakhirat ki Fikr
◈➲ Takabbur se Tawazeh o Inkisari
◈➲ Bad’diyanati se Khair khuahi o Naik Niyyati ki Taraf Aajata hai.

"Aye Allah! Hamein Naik logon ki Sohbat Naseeb Farma." Aameen.

✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "WEARING WHITE COLOR CLOTHES" ✦

It is preferred to wear the color white, as it is pure and clean.

Narrated Samurah bin Jundab RadiyAllahu Anhu: "The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: 'Wear white, for indeed it is very pure and cleaner, and shroud your dead in it.'"

[Jami At-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Book 41 :: Hadith 2810]

Urdu Translation: Hazrat Samurah bin Jandab RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya ke Sufaid kapde pahna karo is liye ke ye Pakizah aur Umdah tareen hain aur isi mein apne Murdon ko kafan diya karo.

[Urdu Ref :: Jami At-Tirmidhi :: Vol.2 :: Hadith 712]
 

......................✿....... H A D E E S .......✿......................

Narrated `Abdullah RadiyAllahu Anhu: A person was mentioned before the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) and he was told that he had kept on sleeping till morning and had not got up for the prayer. The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "Satan urinated in his ears."

[Sahih Bukhari :: Vol. 2 :: Book 21 :: Hadith 245]

Urdu Translation: Hazrat Abdullah bin Mas’ood RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke Nabi kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ke samne Aik shaks ka Zikr aaya ke wo Subah tak pada sota raha aur Farz Namaz ke liye bhi nahi utha, is par Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya ke Shaitan ne us ke Kaan mein Paishab kardiya hai.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol.2 :: Hadith 1144]

●◗► Astaghfirullah :(  Kitna badnaseeb hai wo shaksh Jis ke Kaan mein Allah ka Nafarman Dushman Shaitan Paishab karde, Mere Pyare Bhai aur Bahno Fajr Namaz ki pabandi karo aur is ke ilawa aur 4 Namazo ki bhi.


●◗► Don’t just be MUSLIM & PROUD…..Be MUSLIM & PRACTICING!
●◗► Don’t TELL them you are a MUSLIM…..SHOW them you are a MUSLIM!


●◗► Allah ke liye Ekhtelafi post aur Aik dusre par Ungli uthana band kare Musalman ho kar kuch to Sharm aani Chahiye kisi Musalman se Nafrat us se Bogz, Bahes, Mukhalifat, Dushmani aur Aik dusre ko Munafiq o Kafir kehte jare. Astaghfirullah.

Sharm karo Tumse to Acche Parinde hai, Parindon main kabhi Firqa parasti Nahi dekhi, Kabhi mandir pe Ja baithe to kabhi Masjid pe ja baithe. Kis ka Iman sahi Kis ka Aqida hai Durust, Faisla is ka Qayamat pe uthaye Rakhiye, Aapasi Phoot mein Noqsan hai Barbadi hai, Mil ke Rehne ki Fiza Aap Banaye Rakhiye.

●════════════════════════◄►════════════════════════●

Narrated Abu Dhar RadiyAllahu Anhu: That he heard the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) saying, "If somebody accuses another of Fusuq (by calling him 'Fasiq' i.e. a wicked person) or accuses him of Kufr, such an accusation will revert to him (i.e. the accuser) if his companion (the accused) is innocent."

[Sahih Bukhari :: Vol. 8 :: Book 73 :: Hadith 71]

Urdu Translation: Hazrat Abuzar RadiyAllahu se Riwayat hai ke Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya ke Agar koi Shaks kisi Shaks ko Kafir ya Faasiq kahe aur wo Dar haqiqat kafir ya fasiq na ho to khud kehne wala Fasiq aur Kafir hojayega.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Hadith 6045]


●◗► Galat fehmi aur Shak ka beenj haste muskurate Ghar ko wiraan kardeta hai, is se pehle ke Shak ka beenj aik Tanawar darakht ban jaye Aapas mein baat cheet ke zariye Galat fehmi ko Door karlena chahiye.

●════════════════════════◄►════════════════════════●

✦ Iblis Apne Shaitan se kahta hai ki Tunney Shohar aur Biwi Mein Judayee Karwa kar Bada kaam kiya Hai ✦

Jabir RadiyAllahu Anhu reported that Allah's Messenger (may peace be upon him) said: Iblis places his throne upon water; he then sends detachments (group of shaitan) for creating dissension ; the nearer to him in rank are those who are most notorious in creating dissension. One of them comes and says: I did so and so. And he says: You have done nothing. Then one (Shaitan) amongst them comes and says: I did not spare so and so until I sowed the seed of discord between a husband and a wife. The Satan (iblis) goes near him (near disciple) and says: You have done well. Amash Radi Allahu Anhu said: He ( iblis) then embraces him.

[Sahih Muslim :: Book 039 :: Hadith 6755]

Urdu Translation: Jabir RadiyAllahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Shaitan (Iblis) ka takht samandar par hai aur wo apney lashkaron ko logon mein bhejta hai (fasad phailaney ke liye), uskey nazdeek martabe mein zyada achcha wo hota hai jo bada fasad daaley, jab koi shaitan us (Iblis) sey aakar kahta hai ki maine fala fala kaam kiya (yani kisi se chori karwayee , kisi ko sharab pilwa di ) to shaitan kahta hai ki tuney kuch bhi (khas) nahi kiya, phir koi Aikk (shaitan) aakar kahta hai ki mainey falah ko na chorha yahan tak ki usmein aur uski biwi mein judayee karwa di , (ye sunkar iblis) us (shaitan) ko apney paas bula leta hai ki haan tuney bada kaam kiya hai Amash Radi Allahu Anhu ne kaha ki wo (iblis) usko (shaitan ko) galey se laga leta hai.

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol.6 :: Hadith 7105]


♥ My Lord! Remove from my Heart the Love of everything that You do not love ♥

♥ Aye Mere Rab! Mere dil se har us Cheez ki Mohabbat ko mitade Jise tu Pasand nahi Farmata ♥ Aameen Ya Allah ♥

✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ " Follow the way of the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) and Rightly-Guided Caliphs, bite onto it with your molar teeth" ✦

Al-‘Irbad ibn Sariyah (RadiyAllahu Anhu) reported: 'One day, the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) stood up among us and delivered a deeply moving speech to us that melted our hearts and caused our eyes to overflow with tears.

It was said to him: 'O Messenger of Allah, you have delivered a speech of farewell, so enjoin something upon us.'

He (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: 'I urge you to fear Allah, and to listen and obey, even if (your leader) is an Abyssinian slave. After I am gone, you will see great conflict. I urge you to adhere to my Sunnah and the path of the Rightly-Guided Caliphs, and cling stubbornly to it."

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Book 1 :: Hadith 42]

Urdu Translation: Hazrat Irbad bin Sariyah RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke Aik din RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam hamare Darmiyan khade hue aisa Ja’me Wa’az kiya ke Dil kaanp uthe aur Aankhon se Aansu beh nikle,

Arz kiya gaya ya RasoolAllah Aap ne hamen aisi Nasihat farmayi hai Jis tarah Rokhsat karne wala Nasihat karta hai Aap ham se koi Ahed lelen.

Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya Allah ke dar ko Mazbuti se pakdo, Ameer (your leaders) ka hukum Sunna aur Manna laazim karlo Agarche wo habshi gulam ho, Anqareeb tum mere Baad sakht Ekhtelaaf daikhoge, Pus Tum meri aur Mere Hidayat Yaafta Khulafa ki Sunnat ko Laazim pakadlena un ke Tariqe ko Danton se Pakad lena.

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol.1 :: Hadees 42]


✦...........♥ No Racism in Islam ♥...........✦

In his last sermon the Prophet Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: “An Arab has no superiority over a non-Arab nor a non-Arab has any superiority over an Arab; also a white has no superiority over black nor a black has any superiority over white except by piety and good deeds.”

Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Khutbah Hajja Tul Wida ke Moqe par Farmaya ke kisi Ajmi ko kisi Arabi par aur kisi Arabi ko Ajmi par, Kisi Gore ko kisi Kale par aur kisi Kale ko kisi Gore par koi bartari Haasil nahi Magar sirf Taqwa aur Naik Aa'mal ki badolat.

(Musnad Ahmad :: 411/5)

✦........ :( Aye Bint-e-Hawwa Sambhal Khud Ko :( ........✦

Aye Bint-e-Hawwa sambhal khud ko, Ye Ibn-e-Adam hawas ko chahat ka naam dekar, Pyaas apni bujha raha hai, ye Tera daman jala raha hai, Magar tu paikar wafa bani hai, Wafa hi Teri khata bani hai, Tu kitni sada Tu kitni pagal, Tu kis ki baton mein Aarahi hai...? :( Moqam apna Ganwa rahi hai :(

:( Ye Chahaton ka faraib dekar, Tumhare Jazbon se khailte hain, Apni khuahesh mitane tak ye Tumhari Chahat ko Jhailte hain, Magar ye apni Hawas mita kar Tumhen bhula kar, Shikaar Agla talash te hain :'( Aye Bint-e-Hawwa Sambhal khud ko. :(