Tuesday 21 January 2014

✦..........♥ 4 Insani Aa’mal par 4 Rahmani Wa’de ♥..........✦

◈➲ Agar tum shukr ada karte rahoge to main tum par (Nematon mein) zaroof izafa karunga. (Qur’an 14:7)

◈➲ Tum mujhe yaad karo main bhi Tumhen yaad karunga. (Qur’an 2:152)

◈➲ Tum log Mujhse dua karo main Tumhari Duaon ko qabool karunga. (Qur’an 40:60)

◈➲ Agar Mumineen Allah Tala se Gunahon par Muaafi mangte rahen to Allah un par Azab Nazil nahi Farmayega. (Qur’an 8:33)

✦.......♥ Aap ko kis Aourat se Zyad Mohabbat Hai..? ♥.......✦

✿ Ba’zameer Insan ka Jawab ✿

♥ Jis ne 9 Mahine Mushaqqaten utha kar mera Shiddat se intezar kiya.
♥ Phir khushi ke Aansu bahakar mera Isteqbal kiya.
♥ Apne sine se laga kar meri Gizayi zarurat puri ki.
♥ Mujhe bolna sikhaya, Lafze “Mohabbat” bhi main ne usi se sikha.
♥ Apni taqat se badh kar Jis ne mera khayal rakha.
♥ Dunyawi dukh, Takleef aur Khatrat se Mujhe apni Aaghoshe Mohabbat mein Dhanpe rakha.
♥ Apne aap ko be Aaram kar ke mere liye har Tarah ki Rahat o Aaram ka Bandobast kiya.
♥ Mujhe paal pos kar bada kardiya.

♥ Yahi Aourat is Qabil hai ke sab se zyada is se Mohabbat ki Jaye ♥

✦..............:'(  Jab Oont (Camel) Ropada :'(..............✦

Hazrat Abdullah bin Jafar RadiyAllahu Anhu bayan karte hai Aik martaba Aap Sallallahu Alaihi Wasallam aik Ansari ke Baag mein tashreef legaye waha Aik Oont Nikla aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ko daikh kar rone ki si Aawaz lagane laga aur us ki Aakhon se Aansu behne lage.

Aap Sallallahu Alaihi Wasallam us Oont ke paas Tashreef le gaye aur us ke sir par Hath phairne lage pus wo pur sukoon hogaya, us k Baad Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Daryaft Farmaya ke is Oont ka Malik kon hai? Aur pukar kar pucha ke ye Oont kis ka hai ye sun kar Aik Ansari Jawan Aaya aur bola Ya RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ye Oont mera hai.

Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne us seFarmaya kya tu is Janwar ke bare mein Allah Tala se nahi darta Jis ka tujhe Allah ne Malik banaya hai is ne Mujhse shikayat ki hai ke tu us ko bhuka rakhta hai aur Khidmat lene mein thaka deta hai.

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol.2 :: Hadith 777]

Narrated ‘Abd Allaah bin Jafar RadiyAllahu Anhu, One day The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) entered the garden of a man from the Ansar(Helpers). All of a sudden when a Camel saw the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) it wept tenderly producing yearning sound and it eyes flowed.

The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) came to it and wiped the temple of its head. So it kept silence. He then said “Who is the master of this Camel? Whose Camel is this? A young man from the Ansar came and said “This is mine, Apostle of Allaah (Sallallahu Alaihi Wasallam).” He said “Don’t you fear Allaah about this beast which Allaah has given in your possession. It has complained to me that you keep it hungry and load it heavily which fatigues it.”

[Sunan Abu Dawood :: Book 14 :: Hadith 2543]


⇨ “Aur Aye Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam Ham ne aap ko tamam Jahan walon ke liye Rahmat bana kar bheja hai”. (Qur’an 21:107)

⇨ "And We have sent you (O Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam) not but as a mercy for the 'Alamin (mankind, jinns and all that exists)”. (Qur’an 21:107)

●◗► Imam Ahmad Bin Hanbal Rahmatullahi Alai Farmate hain aik Dafa mujhe Iraq ke kisi Gao mein raat hogayi, Main aik Masjid mein gaya lekin Chokidar ne mujhe waha se Nikal diya, Main Masjid se bahar farsh par sogaya, chokidar mujhe Pao se pakad kar Ghaseet kar Masjid se door kardiya,

Aik Khuda Taras Aadmi mujhe apne Ghar le gaya wo Shaks Chalte, phirte, uthte baith te har waqt “Astaghfaar” padhta tha, Subah hui to maine us shaks se pucha ke kya Aap ko "Astaghfar" padhne ka koi Faida bhi hua.?

♥ Us ne Jawab Diya: Ji han meri har Dua Qabool hui siwaye is ke ke meri Mulaqat Imam Ahmad Bin Hanbal se hojaye “Main ne kaha” Main hi Ahmad bin Hanbal hun aur Tum daikho ke Mujhe kaise Ghaseet kar tumhare paas laya gaya hai ♥


✦..........-_-  Tu Bhi Sojata to Accha Hota -_-..........✦

✿ Shaikh Sa’adi Rahmatullahi Alai bayan karte hain unhe Bachpan mein Ibadat ka bahot shoq tha, Main apne walid ke sath sari raat jaag kar Quran paak ki Tilawat aur Namaz mein mashgool rahta tha, Aik Raat main aur Walid Mohtaram hasbe Ma’mul Ibadat mein Mashghool the Hamare paas hi kuch log Ghafil pade Farsh pe so rahe the.

Maine unki ye halat daikhi to Apne Walid se kaha ke in logon ki halat pe Afsos hai in se itna bhi na ho saka ke uth ke Tahajjud ki Naflen hi Ada kar lete.

◈➲ Walid Mohtaram ne meri ye Baat suni to Farmaya: ke Beta Dusron ko km Darja khayal karne aur Burayi karne se behtar tha ke tu bhi padke sojata ◈➲

✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "DON'T IMITATE THE OPPOSITE GENDER" ✦

Allah has cursed those who change the creation by mimicking the opposite gender.

Ibn Abbas (RadiyAllahu Anhu) reported: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) cursed men who imitate women and women who imitate men.

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 3 :: Book 9 :: Hadith 1904]

Urdu Translation: Hazrat Ibn Abbas RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Aourton ki Mushabihat Ekhtiyar karne wale Mardon par La’nat farmayi aur Mardon ki Mushabihat Ekhtiyar karne Wali Aourton par bhi La’nat farmayi.

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol.2 :: Hadith 61]


●◗► Mushabihat- Barabari, Yaksa Hona, Aur Mard hokar Aourto jaisa Libas pahenna ya Aourat Mardo jaisa Libas pahenna etc.


......................✿....... H A D E E S .......✿......................

Ibn Ka'b bin Malik Al-Ansari Narrated from his father, that the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Two wolves free among sheep are no more destructive to them than a man's desire for wealth and honor is to his religion."

[Jami At-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 10 :: Hadith 2376]

Urdu Translation: Hazrat Malik RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: Wo do bhuke bhediye Jinhen bakriyon ke Raiwad mein Chhordiya jaye Bakriyon ko itna Nuqsan nahi pohchate jitna Aadmi ke Deen ko, Maal ki Hirs aur bada Banne ki Chahat Nuqsan pohchati hai.

[Urdu Ref :: Jami At-Tirmidhi :: Vol.2 :: Hadith 258]


✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "MAKE THINGS EASY & CALMING PEOPLE" ✦

Narrated Anas bin Malik RadiyAllahu Anhu: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "Make things easy for the people, and do not make it difficult for them, and make them calm (with glad tidings) and do not repulse (them ).

[Sahih Bukhari :: Vol. 8 :: Book 73 :: Hadith 146]

Urdu Translation: Hazrat Anas RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke Nabi kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya Aasani paida karo, Tangi na paida karo, Logon ko Tasalli aur Tashaffi do Nafrat na dilao.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol.7 :: Hadith 6125]

●◗► Tashaffi-Tasalli, Itminan, khushi.


♥ Aye Allah Ham Tamam Ummate Muhammadiya ki Maghfirat Farma Ham Tamam ke Halat par Rahem Farma Jahan Kahi bhi Musalman Pareshan hai Un ki Pareshaniyo ko Door Farma ♥

♥ Aye Allah Jin logo ne Dua ke liye kaha hai aur Roz Marrah zindagi mein Dua ki liye kehte rehte hai Aye Allah aap Jante hai Sab ke Tamam Halat ko koi Pareshan hai koi Bimar hai to koi Masayel mein phase hai un Tamam ke Halat o Pareshaniyo ko khatam Farma.

♥ Aye Allah Jo Maa Baap apni Betiyo ke Nikah ko Lekar pareshan Rahte hai Unhe Naik aur Saleh Rishte bhaijde Un Waldain ko Rahat o Sukoon Ata karna Hame Waldain ka Farmanbardar banana, Jo Bimar hai un ko Shifa de Jo Maqrooz hai Un ke Qarz ke Adayegi ke Asbab paida Farmade.

♥ Aye Allah ham Tamam ki Naik aur Jayez Tamannaye poori Farma Dunya o Aakhirat ki Har Bhalayi Ata karna aur Har Manzil mein Kamyab Farmana.

"Our Lord! Give us in this world that which is good and in the Hereafter that which is good, and save us from the torment of the Fire!" (Qur'an 2:201)

★•.•´¯`•.•★ ♥ Aameen Ya Allah ♥ ★•.•´¯`•.•★

✦.....♥ Isi ko Kehte Hai Ba’adab Ba’naseeb Be’adab Be’Naseeb ♥.....✦

◈➲ Aik baar Hazrat Bahlool Rahmatullahi Alai kisi Nikhlistan mein Tashreef rakhte the, Aik Taajir ka waha se Guzar hua, wo Aap ke paas Aaya Salam kar ke Adab se Samne baith gaya aur Intehayi Adab se Guzarish ki, Janab! Tijarat ki konsi aisi cheez kharidu Jis mein bahot nafa ho, Janab Behlul ne Farmaya “Kala kapda lelo” Taajir ne shukriya ada kiya aur ulte qadmon chalta wapas chala gaya.

Jakar us ne Ilaaqe mein dastiyab tamam Siya kapda khareed liya, kuch dino baad Shaher ka bahot bada Aadmi inteqal kar gaya, Matami libas ke liye sara shaher siya kapde ki talash mein nikal khada hua, Ab kapda sara us Tajir ke paas Zakhira tha to ab us ne Muh mange damo farokht kiya aur itna Nafa kamaya Jitna sari Zindagi na kamaya tha aur bahot hi Ameer hogaya.

Kuch Arse Baad! Wo Ghode par sawar kahi se guzara Janab Bahlul waha Tashreef rakhe the wo wahi Ghode par baithe bola “Oo Diwane! Ab ki baar kya lun” Bahlul ne kaha “Tarbuz le lo” wo Bhaga Bhaga gaya aur sari doulat se pure Mulk se tarbuz khareed liye, Aik hi hafte mein sab kharab hogaye aur wo kode kode ka Mohtaj hogaya.

◈➲ Isi khasta haali mein ghoomte phirte us ki Mulaqat Bahlul se hogayi to us ne kaha “Ye Aap ne mere sath kya kiya? To Janab Bahlul ne Farmaya ✿ Maine nahi Tere lahjon aur Alfaz ne kiya sab, Jab tune Adab se pucha to Mala Maal hogaya aur Jab gustakhi ki to kangaal hogaya ✿ Isi ko kehte hai Ba’adab Ba’naseeb Be’adab Be’Naseeb.

✦..........:o Sacchayi Tumhen Hairan Kardegi..!!! :o..........✦

Aik 25 sala Ladka Rail gadi ki khidki se bahar daikh raha tha ke Achank wo bola “Abbu daikho darakht ham se piche ki taraf bhaag rahe hain”.

Us ka Walid muskuraya aur un ke sath baithe hue Jode (Couple) ne us 25 sala ladke ki bachkana harkat ko rahem dili ki Nigah se daikha.

Thodi dair baad wo ladka phir Achank bola “Abbu in badalon ko to daikho, Ye hamare sath sath chal rahe Hain”.

Sath baithe hue Jode (Couple) se ye bardasht nahi hua aur wo us ke Baap se bole ke Aap is ko kisi Acche Doctor ke paas kyu nahi lejate?

Us ladke ka Budha baap muskuraya aur Bola ➲ “Ham gaye the Doctor ke paas aur ab ham Hospital se hi Aarahe hain, Mere Beta paidayeshi tor par Andha tha, use Aaj hi Aakhen mili hain”➲

♥ Matlab ye ke Har Insan ke Paas us ki koi na koi kahani hai, To phir Tum Insano ko bina Haqiqat Jaane mat Parkho....!!! Kyun ke Sacchayi Tumhen Hairan Kardegi!! ♥

 ......................✿....... H A D E E S .......✿......................

Narrated Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu: That the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "When one of you arrives at the gathering, then give the Salam, and if he is given a place to sit, then let him sit. Then when he stands, let him give the Salam, the first is more worthy than the last."

[Jami At-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Book 40 :: Hadith 2706]

Urdu Translation: Hazrat Abu Huraira RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya Jab tum mein se koi kisi Majlis mein jaye to Salam kare us ke baad Baithna chahe to baith jaye, Phir jab Majlis se uth kar jane lage to phir Salam kare kyun ke pahla Salam Dusre Salam se badha hua nahi hai Yani Jis Tarah Mulaqat ke Waqt Salam karna Sunnat hai Aise hi Rokhsat hote waqt bhi Salam karna Sunnat hai.

[Urdu Ref :: Jami At-Tirmidhi :: Vol.2 :: Hadith 602]


●◗► Allah Hafiz, Khuda Hafiz, Shabba Khair, Alvida etc Ye sab Kehne se Behtar aur Sunnat Tariqa ye hai ke Jab Tum kisi se Rokhsati ka Iradah karo to Salam kar kar Wida ho, Aml Karengena InshaAllah, Aaj se hi ye Aml shuru karde. Jazakallahu Khair. 



✦.....♥ Khadimo Nokaron aur Ma'tahton ko Muaaf karte Rahiye ♥.....✦

●◗► "Apne Nokaro se Accha sulook kare Hamare yaha bahot hota hai ke Agar Khadim kuch Galat karde ya phir kisi kaam mein deri hojaye to use Daant dapat phir Jahil log Gali galoch aur badzubani par utar Aate hain, Aisa hargiz na kare Wo aap ki khidmat karte hai Apne Khadim ki Galati ko din mein 70 Martaba Muaaf karne ko Kaha hai Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne.

Narrated 'Abdullah bin 'Umar RadiyAllahu Anhu: "A man came to the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) and said: 'O Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam! How many times should the servant be pardoned?' The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) was silent. Then he said: 'O Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam)! How many times should the servant be pardoned?' He (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: ' Seventy times each day.'"

[Jami At-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 1 :: Hadith 1949]

Urdu Translation: Hazrat Abdullah bin Umar RadiyAllahu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ki khidmat mein Aik Sahabi Hazir hue aur Arz kiya Ya RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam! Main (Apne) Khadim ki Galati ko Kitni martaba Muaaf karun Aap Sallallahu Alaihi Wasallam khamosh rahe Unhone phir wahi Arz kiya: Main (Apne) Khadim ko kitni Martaba Muaaf karun RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya Rozana 70 Martaba.

[Urdu Ref :: Jami At-Tirmidhi :: Vol.1 :: Hadith 2013]


●◗► "Galati karna bura nahi, Insan roze Awwal se Galti karta aaya hai aur Aainda bhi is se Galatiyan sarzad hoti rahengi, Lekin galati ke baad Ehsas-e-Nadamat ko daba dena aur khud apne hi Zameer ke samne bhi Sharmindah na hona Haqiqat mein bura kaam bhi aur Dil ke Murda hojane ka Wazeh saboot bhi".

► "Aap sab se Guzarish hai k Mujhse jo bhi Galati sarzad hogayi ho to Sacche dil se Muaafi Chahta hun, Han main apni Galati par Naadim hun mere kisi na kisi baat se Aap ko Takleef pohchi ho to Allah ke liye Mujhko Muaaf kardijiye". :'( ♥ Aye Allah Aaj mai sirf Teri Raza ke liye Sab ko Muaaf Kiya ♥

✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "WHOEVER HAS WRONGED HIS BROTHER, ASK FOR HIS PARDON (BEFORE HIS DEATH)" ✦

Abu Huraira (RadiyAllahu Anhu) Narrated that The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Whoever has wronged his brother, should ask for his pardon (before his death), as (in the Hereafter) there will be neither a Dinar nor a Dirham. (He should secure pardon in this life) before some of his good deeds are taken & paid to his brother, or, if he has done no good deeds, some of the bad deeds of his brother are taken to be loaded on him (in the Hereafter)."

[Sahih Bukhari :: Vol. 8 :: Book 76 :: Hadith 541]

Urdu Translation: Hazrat Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: "Jis ne apne kisi bhai par zulm kiya ho to use chahiye k us se (is dunya mein) muaaf karale, is liye ke Aakhirat mein rupye paise nahi honge, is se pehle (muaf karale) ke us k bhai ke liye us ki Nekiyon mein se haq dilaya jayega aur Agar us ke paas Nekiyan na hongi to us (Mazloom) bhai ki burayyan is par daal di jayengi".

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol.8 :: Hadith 6534]


......................✿....... H A D E E S .......✿......................

Abu Huraira (RadiyAllahu Anhu) reported Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) as saying: When a man dies, his acts come to an end, but three, recurring charity, or knowledge (by which people) benefit, or a pious son, who prays for him (for the deceased).

[Sahih Muslim :: Book 13 :: Hadith 4005]

Urdu Translation: Hazrat Abu Huraira RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya Jab Insan Marjata hai Teen (3) Aa’mal ke Alawah Tamam Aa’mal Moqoof hojate hain, Aik Sadqah Jariya ya wo Ilm Jis se Nafa uthaya jaye Ya Naik Aoulad jo us ke liye Dua karti rahe.

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol.4 :: Hadith 4223]

●◗► Moqoof yani ke us ke Aamal ka Silsila khatam hojata hai.


✦......♥ Is Chokhat Se Zyada Mazboot Wo Chokhat (Shohar) Thi ♥......✦

✿ Aik purane aur bosidah makan mein aik Gareeb mazdoor rahta tha, Makan kya tha bus Aasare Qadima ka khandar hi tha, Gareeb mazdoor jab sar shaam ghar loutta us ki Biwi Masumiyat se kehti:

"Ab to Ghar ka darwaza lagwaden, kab tak is latke parde ke piche rahna padega, Aur han! Ab to pardah bhi purana hokar phat gaya hai, Mujhe khof hai kahin Chor hi ghar mein na ghus jaye”.

Shohar muskurate hue jawab deta hai: "Mere hote hue bhala tumhen kya khof? Fikr na karo mein hun na tumhari chokhat”.

✿ Garz kai saal isi tarah ke bahes mubahise mein guzar gaye, Aik din Biwi Intehayi israr kiya ke Ghar ka darwazah lagwado. Bila aakhir shohar ko haar manna padi aur us ne Aik Accha sa darwazah lagadiya, Ab biwi ka khof km hua aur shohar ke mazduri par jane ke baad ghar mein khud ko mahfooz tasawwur karne lagi.

✿ Abhi kuch saal guzre the ke Achank shohar ka inteqal hogaya, aur Ghar ka charag bujh gaya, Aourat ghar ka Darwazah band kiye pura din kamre mein baithi rahti, Aik raat Achank chor diwaar phalaang kar ghar mein dakhil hogaya, us ke Kudne ki Aawaz par Aourat ki Aankh khul gayi, us ne Shor machaya Mohalle ke log aagaye, aur chor ko pakad liya Jab daikha to maloom hua ke wo chor padosi hai.

♥ Us waqt Aourat ko Ehshas hua ke Chor ke Aane mein asal Rukawat darwaza nahi Mera Shohar tha, is chokhat se zyada Mazboot wo chokhat (Shohar) thi ♥

●◗► Shohar mein laakh Aaib ho lekin Haqiqat bhi hai ke Mazboot Chokhat bhi shohar hain, Hamari shadi shudah, Maao Bahno aur Betiyon ko chahiye ke un Chokhaton ki khoob daikh bhaal kiya Karen, Aur Allah ka shukr ada kiya kare.


......................✿....... H A D E E S .......✿......................

Narrated Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu: That the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Whoever takes a path upon which to obtain knowledge, Allah makes the path to Paradise easy for him."

[Jami at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Book 39 :: Hadith 2646]

Urdu Translation: Hazrat Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya Jis ne Ilm seekhne ke liye koi Raasta Ekhtiyar kiya, Allah Tala us ke liye Jannat ka Aik Rasta Aasan kardete hain.

[Urdu Ref :: Jami at-Tirmidhi :: Vol.2 :: Hadith 541]

No comments:

Post a Comment