Sunday, 23 February 2014

✦......:: Insani Badan ki Nazafat o Pakeezgi ka Nabwi Usool ::......✦

It was narrated that Anas bin Malik RadiyAllahu Anhu said: "A time limit was set for us, by the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam), regarding trimming the mustache, clipping the nails and plucking the pubes; we were not to leave that for more than forty days," on one occasion he said: "Forty nights."

[Sunan An-Nasa’i :: Vol. 1 :: Book 1 :: Hadith 14]

Urdu Translation: Hazrat Anas bin Malik RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Salallahu Alaihi Wasallam ne

► Munchen Tarashne
► Nakhun Kaatne
► Zaire Naaf balon ki Safayi aur
► Baghal ke baal Saaf karne mein

(Aakhri) had ye Muqarrar farmayi ke ham Chalees (40) din se zyadah unhe na choren. (Yani safayi suthrayi ka hamesha Ma’mul rakhen, Agar kisi Majburi se takheer hojaye to Intehayi Muddat 40 din hai).

[Urdu Ref :: Sunan An-Nasa’i :: Vol.1 :: Hadith 14]


✦.................♥ Kasrate Rizq ke 10 Asbaab ♥.................✦

❶ Astaghfar karna. (Qur’an 71:10 to 12)
❷ Taqwa Ekhtiyaar karna. (Qur’an 65:2-3)
❸ Hisbe Haisiyat Sadaqah khairat karna. (Qur’an 34:39)
❹ Shukr karna. (Qur'an 14:7)
❺ Allah ki Zaat par Tawakkul karna. (Musnad Ahmad :: 205)
❻ Silah Rahmi karna. (Sahih Bukhari :: 5986)
❼ Paakdamni ke liye Shadi karna. (Sunan an-Nasai :: 3218)
❽ Lagataar Haj karna. (Jami at-Tirmidhi :: 810)
❾ Gunahon ko Chhordena. (Sunan Ibn Majah :: 4022)
➓  Subah sawere Rizq ki talash mein Nikalna. (Sunan Abu Dawud :: 2606)

✦......♥ Hamare Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki Sahibzadiyan ♥......✦

❶ Syyidah Zainab RadiyAllahu Anha
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki sab se badi Sahibzadi
Wiladat: Nubuwwat se 10 saal pehle
Wafat: RasoolAllah Salallahu Alaihi Wasallam ki zindagi mein hi San/8/Hijri ko hui.
Aoulad: Ali aur Umama Jin se Hazrat Ali RadiyAllahu Anhu ne Hazrat Fatima RadiyAllahu Anha ki Wafat ke baad Nikah Farmaya.

❷ Sayyidah Ruqayya RadiyAllahu Anha
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki Dusri Sahibzadi
Wiladat: Nubuwwat se 7 saal Qabl
Hijrat: Apne shohar Hazrat Usman RadiyAllahu Anhu ke sath Habsha ki taraf Farmayi.
Wafat: Ghazwah Badar ke moqe par San/2/Hijri ko Madina Munawwarah mein hui.
Aoulad: Abdullah bin Usman RadiyAllahu Anhu.

❸ Sayyidah Umm Kulsum RadiyAllahu Anha
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki Teesri Sahibzadi
Paidayesh: Hazrat Ruqayya RadiyAllahu Anha ke baad Nubuwwat se pehle.
Nikah: Hazrat Ruqayya RadiyAllahu Anha ki Wafat ke baad Hazrat Usman RadiyAllahu Anhu se hui.
Wafat: Sha’ban San/9/Hijri ko Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki Mubarak Zindagi mein hi hui.
Aoulad: Koi nahi thi.

❹ Sayyidah Fatima Az Zahra RadiyAllahu Anha
Nabi kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ki sab se Choti Shahibzadi
Paidayesh: Nubuwwat se aik saal Qabl.
Nikah: Hazrat Ali RadiyAllahu Anhu se Hijrat ke Dusre saal hui.
Wafat: Ramdhan San/11/Hijri.
Aoulad: Hasan, Husain, Mohsin, Zainab, aur Umm Kulsum RadiyAllahu Anhum.

......................✿....... H A D E E S .......✿......................

✦ Dusron ke liye Dua mein Apna hi Faidah, Kisi Musalman ki Apne Musalman bhai ke liye us ki Gair Moujudgi mein Ki Gayi Dua Zaroor Qabool hoti hai ✦

Abu Al-Darda' RadiyAllahu Anhu said: I heard the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) say: When a Muslim supplicates for his absent brother the angels say: Amin, and may you receive the like.

[Sunan Abu Dawood :: Book 8 :: Hadith 1529]

Urdu Translation: Hazrat Abu Darda RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke Maine RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam se Suna Aap Farmarahe the Jab koi Shaks apne Musalman bhai ke liye Gayebana (Gair Moujudgi Mein) Dua karta hai to Farishte Aameen Kehte hain aur Jo Dua apne Bhai ke liye karta hai Allah Tala wahi Cheez us ko bhi Marhamat farmata hai.

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol.1 :: Hadith 1521]


✦.....♥ Nail Polish...!!! Khawateen ke liye Aagahi....!! ♥.....✦

●◗► Nail Polish lagate hue ye baat zahen mein rakhni chahiye, Zindagi aur Mout ka koi Bharosa nahi Agar kisi waqt bhi Mout Aajati hai to yaad Rakho wo Mitegi nahi Marne ke Baad kyun ke Hamara Jism Thanda hojata hai to koi Solution Nail Polish Remove nahi kar sakta aur Nail Polish na utarne se aap ka Gusul nahi hoga aur is Surat mein Aap Najas hi Dafan honge.

► Nail Polish Lagane se Pani Badan tak nahi pahoch sakta, Isliye Wuzu aur Gusul nahi hoga, Jab wuzu na hua to Namaz bhi Nahi hogi.

●════════════════════════◄►════════════════════════●

It was narrated that 'Umar bin Khattab RadiyAllahu Anhu said: "The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam saw a man performing ablution and he missed a spot the size of a fingernail on his foot. He commanded him to repeat the ablution and his prayer, so he did."

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Book 1 :: Hadith 666]

Urdu Translation: Hazrat 'Umar bin Khattab RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne aik Mard ko daikha ke us ne Wuzu kiya aur Pao mein Nakhun ke barabar Jagah chhordi to Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne use Wuzu aur Namaz dohrane ka Hukum diya Hazrat Umar RadiyAllahu Anhu farmate hain ke wo Wapas chala gaya (Aur us ne Wudu kar ke Namaz dohrayi).

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Hadith 666]

✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "BE LIKE A STRUCTURE & SUPPORT EACH OTHER" ✦

Abu Musa RadiyAllahu Anhu reported Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) as saying: A believer is like a brick for another believer, the one supporting the other.

[Sahih Muslim :: Book 32 :: Number 6257]

Urdu Translation: Hazrat Abu Musa RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya Momin Momin ke liye Aisa hai Jaise Imarat mein Aik Int dusre Int ko thame rahti hai Isi Tarah har Aik Momin ko Lazim hai ke Dusre Momin ka Madadgaar rahe.

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol.6 :: Hadith 6585]


✦.............♥ Meri Beti Bahot Qeemti Hai ♥.............✦

Aik ladka apne liye Aik ladki ka rishta Mangne gaya, Ladki ka baap use mila khush Aamadeed kaha us ki taraf daikha aur kaha Is se pehle ke tum kuch kaho main tum se kuch kehna chahta hun Mujhe sirf aik Sawal ka jawab de do agar Tumhara Jawab sahih ho to “Haa” Samjho Agar Galat ho to “Naa” Samjh lo ke Muqaddar mein likha Galib aachuka hai.

► Ladka is baat se khush hota hai aur kehta hai: “Ankal Aap sawal to batayen.

► “Fajar ki Azan kab hoti hai..?”

► Noujawan Hairan pareshan hokar Sadhe Teen baje, Teen pachpan par, ya Pone che baje ye Jawab tha.

♥ Ladki ka Baap Noujawan ki taraf daikh kar kehta hai Meri Beti bahot mahngi hai Mera khayal hai ke tum us ka Haq Maher ada nahi kar sakte kyun ke us ka Maher “ISLAM” hai ♥

◈ Aye Allah! Musalman Ladkiyon ko Acche Deendar Khawind de aur Musalman Ladkon ko Naik Biwiyan Ata Farma. Aameen

✦....♥ Wo Phal Jin ka Zikr Qur’an Majeed Mein Aaya Hai ♥....✦

❶ Fig - Anjeer (التین). (Qur’an 95:1)

❷ Olive - Zaitoon (الزیتون). (Qur’an 95:1)

❸ Date - Palm - Angoor (العنب). (Qur’an 80:29)

❹ Pomegranate - Anaar (رمان). (Qur’an 6:99)

❺ Banana - Kela (طلح). (Qur’an 56:29)

❻ Fresh Dates – Tazah Khajoor – (رطب). (Qur’an 19:25)

★•.•´¯`•.•★ ♥ S U B H A N A L L A H ♥ ★•.•´¯`•.•★

No comments:

Post a Comment