Sunday, 2 November 2014

✦...........♥ Ashurah 9 aur 10 Muharram ka Rozah ♥...........✦

Abu Qatadah RadiyAllahu Anhu narrated that : The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Fast the Day of Ashura, for indeed I anticipate that Allah will forgive (the sins of) the year before it."

[Jami at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Book 3 :: Hadith 752]

Urdu Translation: Hazrat Abu Qatadah RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Mujhe Allah Subhanahu Wa Ta'ala ki zaat par Yaqeen hai ke wo Ashurah (Yani Muharram ki 10 Tareeq) ke Roze ke badle Guzishta Aik Saal ke Gunah Muaaf Farmadenge."

[Urdu Ref :: Jami at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Hadith 730]

●◗► Note: 10/Muharram ke sath 9 ya 11 Muharram ka Rozah bhi Rakhlena chahiye Taa ke Yahood se Mushabihat na ho, Aage is ki Hadis bayan ki gayi.

●════════════════════◄►═══════════════════●

Ibn 'Abbas RadiyAllahu Anhu reported that when the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) fasted on the day of 'Ashura and commanded that it should he observed as a fast, they (his Companions) said to him: Messenger of Allah, it is a day which the Jews and Christians hold in high esteem. Thereupon the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: When the next year comes, God willing, we would observe fast on the 9th But the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) died before the advent of the next year.

[Sahih Muslim :: Book 6 :: Hadith 2528]

Urdu Translation: Hazrat Abdullah Bin Abbas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ke Jab Roza rakha Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Aashurey ke din (10 Muharram) ka aur Hukum (Order) Kiya is ke Rozey ka, to logo ne Arz ki Ya Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam ye din to aisa hai ke iski Taazim karte hain Yahud aur Nasara, To Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne farmaya ke Jab Agla Saal Aayega to In'sha'Allah Ham 9 ka Roza Rakhenge, Aakhir Agla Saal na Aane paya ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Duniya se wafat pagaye (isliye Hum Musalman 9 and 10 dono ka roza rakhte hain).

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 3 :: Hadith 2666]

✦..........♥ Adhan ka Jawab Den, Jannati Banjayen ♥..........✦

Urdu Translation: Hazrat Umar RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya:

▶ Jab Mu'adhdhin "Allahu Akbar" "Allahu Akbar" kahe to tum mein se jo "Allahu Akbar" "Allahu Akbar" keh kar Azan ka Jawab de,

▶ Aur Jab Mu'adhdhin "Ashhadu Alla ilaha illallah" kahe to ye bhi "Ashhadu Alla ilaha illallah" kahe,

▶ Aur Jab Mu'adhdhin "Ashhadu Anna Muhammadarrasulullah" kahe to ye bhi "Ashhadu Anna Muhammadarrasulullah" kahe,

▶ Jab Mu'adhdhin "Hayya Alas Salah" kahe to ye "La hawla wala quwwata illa billah" kahe,

▶ Phir Jab Mu'adhdhin "Hayya Alal Falah" kahe to ye "La hawla wala quwwata illa billah" kahe,

▶ Aur Jab Mu'adhdhin "Allahu Akbar" "Allahu Akbar" kahe to ye bhi "Allahu Akbar" "Allahu Akbar" kahe,

▶ Aur Jab Mu'adhdhin "La ilaha illallah" kahe to ye bhi "La ilaha illallah" kahe, Jis ne (Azan ke Jawab mein) Dil se ye Kalimat kahe wo Jannat mein Dakhil hojayega."

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 2 :: Hadith 850]

●════════════════════◄►═══════════════════●

'Umar b. al-Khattab RadiyAllahu Anhu reported: The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said:

▶ When the Mu'adhdhin says: Allah is the Greatest, Allah is the Greatest, and one of you should make this response: Allah is the Greatest, Allah is the Greatest;

▶ (and when the Mu'adhdhin) says: I testify that there is no god but Allah, one should respond: I testify that there is no god but Allah,

▶ and when he says: I testify that Muhammad is the Messenger of Allah, one should make a response: I testify that Muhammad is Allah's Messenger.

▶ When he (the Mu'adhdhin) says: Come to prayer, one should make a response: There is no might and no power except with Allah.

▶ When he (the Mu'adhdhin) says: Come to salvation, one should respond: There is no might and no power except with Allah,

▶ and when he (the Mu'adhdhin) says: Allah is the Greatest, Allah is the Greatest, then make a response: Allah is the Greatest, Allah is the Greatest.

▶ When he (the Mu'adhdhin) says: There is no god but Allah, and he who makes a re- sponse from the heart: There is no god but Allah, he will enter Paradise.

[Sahih Muslim :: Book 4 :: Hadith 748]

✦.......♥ Ilm Ka Hasil Karna Har Musalman par Farz hai ♥.......✦

It was narrated that Anas bin Malik RadiyAllahu Anhu said: "Seeking knowledge is a duty upon every Muslim."

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Book 1 :: Hadith 224]

Urdu Translation: Hazrat Anas bin Malik RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Ilm ka Hasil karna Har Musalman par Farz hai."

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Hadith 224]

●════════════════════◄►═══════════════════●

Imaniyat (Touheed, Risalat, Aakhirat Wagerah) aur Ibadat (Namaz, Rozah, Zakat Wagerah) ka Ilm sikhna to Har Musalman par Farz hai. Is  ke sath sath Ijtemayi ya Infiradi zindagi ke Jis Sho’be se Aap Wabasta ho us Shobe ke Halal o Haram ka Ilm Sikhna bhi Farz hai.

Maslan: Agar Aap Tajir (Tijarat karne wale) hain, Kisan hain, Doctor hain, Mulazim hain, Mayishat dan hai, Siyasat daan hain, Faoji hain, Adalati Nizam o Qanoon jari karne wale idaron se Wabasta hain, Wazeer hain, Sarbarah hain to Aap par Muta’lliqa Shobe ke Huqooq o Farayez, Halal o Haram aur Jayez o Na jayez ka Ilm Seekhna Farz hai.

✦...♥ Mu’ashre mein Buland Moqam Hasil karne ke Zarrin Usool ♥...✦

► Aajizi o Inkisari se paish Aana.
► Salam karne mein pahel karna.
► Hamesha muskurate chehre se milna.
► Acche andaz mein baat karna.
► Logo ke bare mein Accha guman rakhna.
► Badon ki izzat aur choto par shafqat karna.
► Logo ke Uyoob ki pardah poshi karna.
► Galati karne wale se darguzar karna.
► Kisi ka Mazaq na udana, Bure laqab se na Pukarna.
► Maali Mua’mlat saaf rakhna.
► Logo ki khushi o Ghami mein shareek hona.
► Neki aur Bhalayi ke kamon mein badh chadh kar Hissa lena.


✦...............✔ Dua Kab Mangi Jaye…? ✔................✦

●◗► Dua ko Dawayi ki Tarah na samjhen ke Bimari ya Musibat mein Yaad Aaye Balke Dua ko hawa ki Tarah Samjhe jis ki Zarurat hamesha rahti hai.

Abu Hurairah [may Allah be pleased with him] narrated that: The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Whoever wishes that Allah would respond to him during hardship and grief, then let him supplicate plentifully when at ease."

[Jami at-Tirmidhi :: Vol. 6 :: Book 45 :: Hadith 3382]

Urdu Translation: Hazrat Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Jise ye Baat pasand ho ke Allah Subhanahu Wa Ta'ala Musibat aur Sakhti mein uski Dua Qubool kare to use Chahiye ke Raahat ki Halat mein Ba’kasrat Dua kare."

[Urdu Ref :: Jami at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 1306]

✦ 1st (Yakam) Muharram Yom Shahadat Khalifa Duwwam Amir ul Mumineen Umar bin Al-Khattab RadiyAllahu Anhu ✦

♥ RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ki Nazar mein Umar bin Al-Khattab RadiyAllahu Anhu ka Moqam, Haq o Sadaqat ka Aalambardaar ♥

Narrated 'Uqbah bin 'Amir RadiyAllahu Anhu: That the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "If there was to have a Prophet after me, it would have been 'Umar bin Al-Khattab."

[Jami at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Book 46 :: Hadith 3686]

Urdu Translation: Hazrat Uqbah bin Amir RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Agar mere Baad koi Nabi hote to Umar bin Al-Khattab hote."

[Urdu Ref :: Jami at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 1618]

●════════════════════◄►═══════════════════●

Narrated AbuDharr RadiyAllahu Anhu: I heard the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) say: Allah, the Exalted, has placed truth on Umar's tongue and he speaks it.

[Sunan Abu Dawood :: Book 19 :: Hadith 2956]

Urdu Translation: Hazrat Abuzar RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke Main ne RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ko ye Farmate hue suna: "Allah Subhanahu Wa Ta'ala ne Umar ki Zuban par Haq Jari farmadiya hai, wo Jab kehte hain Haq kehte hain."

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 2 :: Hadith 1188]

✦........♥ Aasan Shadi :) Khush Haal o Ba’Barkat Zindagi ♥........✦

Aishah RadiyAllahu Anha narrated that Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam): Advised that "The Nikah with the least financial expense holds the most Barakah (divine blessings)."

[Musnad Ahmed :: Hadith 24529]

Urdu Translation: Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Sab se Ba’barkat Shadi wo hai Jis mein Akhrajaat o Masarif km se km ho."

[Musnad Ahmad :: Hadith 24529]

●════════════════════◄►═══════════════════●

●◗► Mangni, Rokhsati aur Walima ke moqe par Naam o Namood aur Jhuti shan ke liye Haisiyat se badh kar kharch aur Israf ne shadi ke Akhrajat ko be Inteha badha diya hai.

●◗► Bhari bhar km Akhrajat ki wajah se na jane kitni Ladkiyan shadi ke Intezar mein baithi hain, kitne Waldain aur Bhai kasbe Ma’aash ke Haram Tariqon ki taraf chal pade hain, ya Qarz ke aise Bojh tale dab rahe hain ke sir uthana Mushkil hai, Kitni Jayedaden Jhuti shan ke liye ganwayi ja chuki hain aur Kitne khandan in Shadi ke baad bar baad ho chuke hain.

◈ "Khudara! Mua’shre par Rahem khayyen, Sunnat Nabawi aur Saadgi ko Apnayye..!!."

✦ "RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ke Pasandidah o Na Pasandidah Log" ✦ The Most Beloved & The Most Disliked ✦

Urdu Translation: Hazrat Jabir RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: Qayamat ke din mere sab se zyadah Mahboob aur Qareeb tar wo log honge jo Tum mein sab se zyadah Umdah Akhlaq wale hon, aur sab se zyadah Mujhe Na pasand aur sab se zyadah Mujhse door 3 Qism ke log honge:

❶ Bahot zyadah Fuzool baten karne wale.
❷ Baat baat mein dusron ko dabane aur un ke Haq mein bad zubani karne wale.
❸ Takabbur karne wale.

[Urdu Ref :: Jami at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Hadith 2084]

Jabir RadiyAllahu Anhu narrated that the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Indeed the most beloved among you to me, and the nearest to sit with me on the Day of Judgment is the best of you in character. And indeed, the most disliked among you to me, and the one sitting furthest from me on the Day of Judgement are the Thartharun, and the Mutashaddiqun and the Muthafaihiqun. " They said: "O Messenger of Allah! We know about the Thartharun, and the Mutashaddiqun, but what about the Muthafaihiqun?"' He said:"The arrogant."

[Jami at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 1 :: Hadith 2018]

●════════════════════◄►═══════════════════●

Jabir bin 'Abdullah (May Allah be pleased with them) said: The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "The dearest and the closest of you to me on the Day of Resurrection will be those who are the best in behaviour; and the most hateful and the farthest from me on the Day of Resurrection will be the talkative and the most pretentious and the most rhetorical."[At-Tirmidhi].

[Riad as-Salihin :: Book 18 :: Hadith 1738]

Commentary:
► Ath-Thartharoon (talkative) is the plural of Tharthar, which comes from the word Thartharah, meaning to speak repeatedly in an artificial manner.

► Mutashaddiqoon (loud-mouthed) is the plural of Mutashaddiq, which means a person who speaks loudly to display his eloquence.

►Mutafaihiqoon is the plural of Mutafaihiq, which is from the word Fihq, meaning to fill.

This Hadeeth is a reference to those people who speak in a loud and lofty manner. All these characteristics of speech are indicative of artificiality and affectation which are condemned by the Sharee'ah, and people having these defects will be far away from the Prophet (peace be upon him) and will face the Wrath of Allaah.

Islam likes simple, polite and natural style of conversation. In fact, all moral virtues will be a means of Allaah's Pleasure. May Allah enable us to adopt these virtues.

No comments:

Post a Comment