Tuesday 14 April 2015

◈ ▶ Ho sakta hai Tumhari shadi zameen par paye jane wale sab se Bure shaks se hojati Jaise Hazrat Aasiya ki Firaon se lekin ye cheez unki Allah se Mohabbat ko badal na saki.

◈ Ho sakta hai Tumhari shadi zameen par Maojood sab se behtar shaks se hojati Jaise Allah ke Nabi se, Lekin tum phir bhi Jannat pahoch jane se reh jati jaise Loot Alaihis Salam ki biwi.

◈ Aur ye bhi ho sakta tha ke Tumhari Shadi kisi se bhi na hoti Jaise Maryam Alaihis Salam aur Allah Tala tumhe Jannat mein har Aourat se uncha darja de deta.

●◗► Apni Tarjihaat (Afzaliyat, Bartari) ko jano! Mohabbat aur Aitebar sab se pehle Allah ke Sath!

●◗► Aap apni Sawari par Farz namaz ba Jama’at ada karne Masjid ki taraf ja rahe hon aur Jama’at khadi hone ka waqt bhi ho chukka ho, Achank Aap ko Signal band mile aur ird gird koi Sergeant (Traffic Police) bhi Maojood na ho to aisi Surat mein Aap kya karenge?

❶ Khamoshi se Signal tod kar Farz namaz padhne Masjid rawana hojayenge.

❷ Signal khulne ka intezar karenge aur Signal khulte hi Aage badhenge.

●══════════════════◄►═════════════════●

Mera kehna ye hai ke: Shari’at ka hukm hai ke Intezami kamon mein Qanoon ki pabandi zaroori hai, Namaz aik Farz hai jis ki Talafi qaza ki surat mein Maojood hai aur Signal todne ki surat mein hone wale Hadise ki talafi kaise hogi? ❷ Signal khulne ka intezar karunga aur Signal khulte hi Aage badhunga.

Narrated Abu Huraira RadiyAllahu Anhu: I heard Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) saying, "If the prayer is started do not run for it but just walk for it calmly and pray whatever you get, and complete whatever is missed."

[Sahih Bukhari :: Vol. 2 :: Book 13 :: Hadith 31]

Urdu Translation: Hazrat Abu Huraira RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke Main ne RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ko ye Irshad Farmate hue suna ke: "Jab Namaz ke liye Takbeer kahi jaye to Dodte hue mat Aao balke (apni mamuli raftar se) Aao poore Itminan ke sath phir Namaz ka jo hissa (imam ke sath) paalo use padhlo aur jo Reh jaye to use baad mein pura karo."

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 2 :: Hadith 908]

✦.......:) Har Kaam ka Waqt Muta’yyan hai :).......✦

●◗► Allah ke han har cheez ka Waqt Muta’yyan hai aur Waqti takheer ki hikmat samajhna Insan ke bus se bahar hai, Momin ka kaam to har Haal mein Allah ke Faisle par Razi rehna hai.

⇨ "Put your trust in Allah, certainly, Allah loves those who put their trust (in Him)." (Qur’an 3:159)

⇨ "Allah Tala par Bharosa karen, Beshak Allah Tala Tawakkul karne walon se Mohabbat karta hai." (Qur’an 3:159)

●◗► Saccha dost Maa ki tarah fikr karta hai, Baap ki tarah dant ta hai, Bahen ki tarah cheidta hai, Bhai ki tarah Naqsh qadam par chalta hai, aur sab se badh kar ye ke use har Galat kaam se roke rakta hai aur uske Aakhirat ki fikr karta hai.

Abdullah RadiyAllahu Anhu reported Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) as saying: "If I were to choose from my Umma anyone as my bosom friend, I would have chosen Abu Bakr."

[Sahih Muslim :: Book 31 :: Hadith 5872]

Urdu Translation: Hazrat Abdullah RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne irshad Farmaya: "Agar main Apni ummat mein se kisi ko (Allah ke siwa) apna jani Dost banata to Abu Bakr (RadiyAllahu Anhu) ko banata."

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 6 :: Hadith 6173]

✦.......♥ Betiyon ki Wajah se Mushaqqat Uthane Wale ♥.......✦

Narrated Aisha RadiyAllahu Anha: Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Whoever is put to trial by these daughters and he treats them generously (with benevolence) then these daughters will act as a shield for him from Hell-Fire."

[Sahih Bukhari :: Vol. 2 :: Book 24 :: Hadith 499]

Urdu Translation: Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha se riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad farmaya: "Jis shaks ko Betiyon ki (parwarish o tarbiyat ki) wajah se Mamuli si takleef bhi uthani padi to ye Betiyan us ke liye Jahannam se bachao ka zariya hongi."

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 2 :: Hadith 1418]

✦.......♥ Sab Rishton se Badh Kar Maa ka Rishta ♥.......✦

●◗► Maa ka Rishta Dunya ka Haseen tareen Rishta hai aur is ka koi Ne’mul badal nahi, Lehaza Shari’ate Mutahrah ne bhi Adab o Ehteram aur Ita’at o Farmanbardari mein is Rishte ko baqi rishton se Muqaddam rakha hai.

Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Allah enjoins you to treat your mother's kindly"-three times- "Allah enjoins you to treat your fathers kindly, Allah enjoins you to treat the closest and the next closest kindly."

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 5 :: Book 33 :: Hadith 3661]

Urdu Translation: Allah ke Pyare Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad farmaya: "Bila shuba Allah Tala tumhe Maa ke sath Husn sulook ka hukm deta hai, aur Tumhen Maa ke sath Husn sulook ka hukm deta hai, aur phir Tumhe Maa ke sath Husn sulook ka hukm deta hai (Taakidan 3 martaba ye hukm irshad farmaya), Phir Baap ke sath Husn sulook ka tumhen hukm deta hai, phir Darja ba darja digar qareebi Rishtedaron ke sath umdah bartao ka tumhen Hukm deta hai."

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 3 :: Hadith 542]

✦.......▶▶▶ Chota Paigham Accha Paigham ◀◀◀.......✦

●◗► Aik ladki "Aourat" zaat ke Muqaddas moqam se usi Waqt gir jati hai Jab wo kisi ki "Girl Friend" banna qabool karleti hai,

Ahmaq (pagal) ye nahi janti ke jo "Ladka" use sach mein Chahta hoga wo use "Nikah" ke Ba’izzat tariqe se use "Biwi" ka darja dega Na ke "Girl Friend" banakar Hotels, Parks, ya Sadkon pe ghumayega.

✦.....✿.....♥ Aourton ke Huqooq Ada Karen ♥.....✿.....✦

The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "O Allah, bear witness that I have issued a warning concerning (failure to fulfill) the rights of the two weak ones:

❶ Orphans and
❷ Women."

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 5 :: Book 33 :: Hadith 3678] [Al-Mustadrak alaa al-Sahihain Al-Hakim :: Hadith 211]

Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Main tum logon par do Kamzoron ke huqooq (ki adayegi) ke bare mein sakhti karta hun:

❶ Yateem ka Haq
❷ Aourat ka Haq."

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 3 :: Hadith 559] [Al-Mustadrak alaa al-Sahihain Al-Hakim :: Hadith 211]

✦...♥ Allah Jalla Jalaluhu aur Allah Jalla Jalaluhu ka Bandah ♥...✦

✔ Aap darwazah khatkhatayen Allah khol dega.
✔ Aap darbar mein Hazir ho Allah khush Aamadeed kahega.
✔ Aap ilteja karen Allah Inayat farmayega.
✔ Aap mushkil bayan karen Allah hal Nikal dega.
✔ Aap mangen Allah Ata karega.
✔ Aap royen Allah sunega.
✔ Aap toba kare Allah qubool karega.
✔ Aap pukarte rahen Allah nawaze shaat karta rahega.

●◗► Allah har pukar par Labbaik kehta hai Magar…..Aap ne Allah ke kitne Ehkamaat ki Tameel par Labbaik kaha???

No comments:

Post a Comment