Thursday 2 July 2015

✦....✿...♥ Bab-ul-Rayyan Sirf Rozah Daaron Ke Liye ♥...✿....✦

Narrated Sahl bin Sa`d RadiyAllahu Anhu: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Paradise has eight gates, and one of them is called Ar-Raiyan through which none will enter but those who observe fasting."

[Sahih Bukhari :: Vol. 4 :: Book 54 :: Hadith 479, 3257]

Urdu Translation: Hazrat Sahl bin Sa`d RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Jannat ke 8 Darwaze hain Jin mein se aik Darwaze ka Naam "Rayyan" hai, is darwaze se sirf Rozah daar hi dakhil honge."

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 4 :: Hadith 3257]

✦.......✿.....♥ Ramadhan ki Qadardani ♥.......✿....✦
✦......♥ Saal Bhar ke Gunahon ka Kaffarah ♥......✦

Abu Huraira RadiyAllahu Anhu reported: Verily the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "The five (daily) prayers and from one Friday prayer to the (next) Friday prayer, and from Ramadhan to Ramadhan are expiations for the (sins) committed in between (their intervals) provided one shuns the major sins."

[Sahih Muslim :: Book 2 :: Hadith 450, 574]

Urdu Translation: Hazrat Abu Huraira RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Panch Waqta Namazen, Aik Jumah dusre Jumah tak aur Aik Ramadhan dusre Ramadhan tak un Gunahon ka jo Darmiyani Aaoqat mein sarzad hue hon Kaffarah hain, Bashart ye ke Kabirah Gunahon se bachta rahe."

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 1 :: Hadith 552]

✦......▶▶ Khudara! Ramadhan Aise Na Guzare ◀◀......✦

Kyun ke Hazrat Jibraeel Alaihis Salam ne Allah ke Hukum se in Alfaz mein Bad’dua farmayi: ► "Halak o Barbad ho jaye wo shaks jis ne Ramadhan ka mahina paya aur us ki Maghfirat na ho saki." aur is Bad’dua par RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne "AAMEEN" farmaya.

Our Ramadan be not like this ► Because Jibraeel (Alaihis Salam) curse on those: "Woe to him who in spite of having been provided with he month of Ramadhan fails to obtain Allah's forgiveness. And Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said AAMEEN'.

[Mustadrak Al Hakim :: Hadith 7256, Narrated by Ibn Hibbaan, 3/188; classed as saheeh by al-Shaykh al-Albaani in Saheeh al-Targheeb, 1679]

✦......✿......♥ Haqiqi Rozah Daar Kon Hai? ♥......✿......✦

✔ Jis ki Zuban Jhoot, Behudah baton, Gali galoch aur Gibat se mahfooz rahe.
✔ Jis ki Nigahen Allah ki haram karda Chizon aur na Mahram ko dekhne se bachi rahen.
✔ Jis ke Kaan Mosiqi (Music) aur dhol bajon ki Aawazon se Mahfooz rahen.
✔ Jis ki Sharmgah fahesh aur Shahwat ke kamon se bachi rahe.
✔ Aur jis ke Tamam Aaza o Jawareh gunahon se ruke rahen.

▶ Yahi Rozah ki Haqiqat hai, Rozah Sirf Bhuka pyasa Rahne ka Naam Nahi ◀

✦.....✿....♥ Sahri Khayen Rahmaten o Barkaten Payen ♥....✿.....✦

Narrated Abu Sa'eed Al-Khudri RadiyAllahu Anhu: The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said: "Sahri is full of blessings, so do not miss it even if you drink just a sip of water. Allah azzawajal and His angels send mercy upon the people who do sahri."

[Musnad Ahmad :: Vol. 4 :: Hadith 11396]

Urdu Translation: Hazrat Abu Sa'id al-Khudri RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: "Sahri ka khana Ba’ise Barkat hai is liye sahri na Chhoron Agarche pani ka Aik Ghoont pi kar hi sahri karni pade, Kyun ke Allah Subhanahu Wa Ta'ala Sahri khane walon par Rahmat bheijte hain aur Allah ke Muqarrab Farishte sahri khane walon ke liye Duaye Maghfirat karte hain."

[Urdu Ref :: Musnad Ahmad :: Hadith 11396]

✦..✿..♥ Rozah Ka In’aam Allah Tala Apni Shaan ke Mutabiq Denge ♥..✿..✦

Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Allah said, 'All the deeds of Adam's sons (people) are for them, except fasting which is for Me, and I will give the reward for it.'

[Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Book 31 :: Hadith 128, 1904]

Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ka Irshad hai ke: "Allah Subhanahu Wa Ta'ala Farmate hain (Hadees Qudsi): "Insan ka har Aml us ki zaat ke liye hai siwaye Rozah ke, ke wo khaas mere liye hai aur Main hi us ka Badla dunga."

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Hadith 1904]

✦.....✿.....♥ Lazzate Iftar o Lazzate Didaar ♥.....✿.....✦

Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "There are two pleasures for the fasting person,

❶ One at the time of breaking his fast,
❷ And the other at the time when he will meet his Lord; then he will be pleased because of his fasting."

[Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Book 31 :: Hadith 128]

Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Rozah Daar ko 2 khushiyan hasil hongi,

❶ Jab wo Iftar karta hai to khush hota hai,
❷ Jab wo Apne Rab se mulaqat karega to Apne Roze ka Sawab pakar khush hoga."

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Hadith 1904]

✦....✿....♥ Rozah Aakhirat ki Pyaas se Sairabi ka Sabab ♥....✿....✦

Sahl bin Sa'd RadiyAllahu Anhu narrated that: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "There is a gate in Paradise called Ar-Raiyyan, those who fast shall be invited into it, and whoever was among those who fasted, then he will enter it; and whoever enters it, he will never thirst again."

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Book 3 :: Hadith 765]

Urdu Translation: Hazrat Sahl bin Sa’d RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Jannat ke Darwazon mein "Raiyyan" Naami aik khaas Darwazah hai jis se sirf Rozah daron ko pukara jayega, Rozah daar is Darwaze se Jannat mein dakhil honge aur jo is se Dakhil ho jaye, use kabhi bhi pyaas Nahi lage gi."

[Urdu Ref :: Jami at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Hadih 743]

✦....✿.....♥ Ramadhan Al-Mubarak Shuru Hote hi ♥......✿...✦
✦.......▶▶▶ Shayateen Qaid Kardiye Jate Hain! ◀◀◀.......✦

The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "On the first night of the month of Ramadan, the Shayatin are shackled, the jinns are restrained, the gates of the Fires are shut such that no gate among them would be opened. The gates of Paradise are opened such that no gate among them would be closed,..."

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Book 3 :: Hadith 682]

Urdu Translation: Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Jab Maahe Ramadhan ki pehli Raat hoti hai to Shaitano aur Sarkash jinnon ko Zanjiron mein Jagad diya jata hai aur Dozakh ke Tamam darwaze band kar diye jate hain koi aik Darwazah bhi khola nahi jata Jab ke Jannat ke tamam Darwaze khol diye jate hain koi Aik darwazah bhi band nahi kiya jata,...."

[Urdu Ref :: Jami at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Hadith 658]

✦............♥ 28 aur 29 Sha'ban ka Rozah ♥...........✦

Narrated Abu Huraira RadiyAllahu Anhu: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "None of you should fast a day or two before the month of Ramadan unless he has the habit of fasting (Nawafil) (and if his fasting coincides with that day) then he can fast that day."

[Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Book 31 :: Hadith 138, 1914]

Urdu Translation: Hazarat Abu Huraira RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmya: "Tum mein se koi shaks Ramadhan se pehle (Sha'ban ki Aakhri tareekhon mein) Aik ya do din ke Roze na rakhe Albatta agar kisi ko in mein Roze Rakhne ki Aadat ho to wo is din bhi Rozah rakhle."

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Hadith 1914]

●◗► RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Ramadhan se aik do roz Qabl yani 28 aur 29 shaban ko rozah rakhne se mana farmaya ta ke Ramadhan Al-Mubarak ke Rozon ke liye insan Nishat (khushi) ke sath tayyar rahe.

✦......✿......♥ Walid Jannat ka Darwazah ♥......✿......✦

The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) saying: "The father is the middle gate to Paradise. So if you wish, then neglect that door, or protect it."

[Jami at-Tirmidhi :: Vol. 4 :; Book 1 :: Hadith 1900]

Urdu Translation: Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad farmaya: "Walid Jannat mein dakhile ka darmiyani (sab se umdah aur Aasan) darwazah hai, Ab tum is darwaze ko (Nafarmani aur bure sulook se) zaye karlo ya (ita’at o farmanbardari se) is ko Mahfooz karlo."

[Urdu Ref :: Jami at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Hadith 1959]

1 comment: