Friday, 22 January 2016

✦.......♥ Din Mein 100 Martaba Tobah ♥.......✦

Narrated Abdullaah ibn Umar RadiyAllahu Anhu: The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "O people, seek repentance from Allah. Verily, I seek repentance from Him a hundred times a day."

[Sahih Muslim ::  Book 35 :: Hadith 6523, 7034]

Urdu Translation: Hazrat Abdullah bin Umar RadiyAllahu Anhuma Farmate hain ke Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne irshad Farmaya: "Aye Logon! Allah se Toba kiya karo, kyun ke Main khud din mein 100 Martaba Allah se toba karta hun."

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 6 :: Hadith 6859]

►✿ RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam Allah ke Mahboob Nabi, Masoom aur bakshe bakhshaye hone ke Bawajood bhi ummat ko Toba o Astaghfar ki taleem o targeeb dene aur Allah ki Ubudiyat o Bandagi ke izhar ke liye din mein 100 Martaba aur baaz riwayaat mein aik hi Majlis mein 100 Martaba toba o Astaghfar ka Ehtemam farmate, ham log to sarapa Gunahon mein dube hue hain hamen to har Moqe par tToba o Astaghfar karne ki zarurat hai.

✦.........► Rishte Ke liye Ladki Dekhne Jana Aur ? ◄.........✦

●◗► Hamare Mua’ashre mein bete ya bhai ke liye Ladki dekhne ki khatir ghar ghar ja kar Protocol lena, Dawaten udana aur phir Aakhir mein dusron ki Betiyon mein koi na koi Nuqs nikal kar ya Ladki walon ko km haisiyat samajh kar Manzare Aam se Gayab ho jana aik umumi Mijaaz aur Riwaaj banta ja raha hai, Aisa Maloom hota hai ke Zamana Jahiliyat ki tarah ladki ko bhed bakri samajh liya gaya hai aur us ke Ehsasaat, Nafsiyaat, Zahni sadma aur Izzate Nafs ki koi parwah hi nahi.

Mushkil ye hai ke 95% se zayed log apne Dimag mein Unche se Uncha me’yaar qayem kar ke ladki dekhne jate hain, chahe apne Bete ya Bhai ki shakal o surat aur Rangat kaisi bhi ho!!! Us mein dunya Jahan ke Uyoob hi kyun na hon!!! Phir bhi log Mamuli Mamuli baton par dusron ki Betiyon ko Mustarad kar ke Jhuti shaan qayem karne ki hawas ko taskeen dene ki koshish karte hain.

●◗► Jab Baccha bada ho jata hai to us ko Suke (bina siyahi) wali Pencil ke bajaye Siyahi (ink) wala Pen istemal karne ke liye diya jata hai.

Is liye ke us ko pata chal sake ke ab us ki, "Ki hui Galatiyon ko mitana itna Aasan nahi raha."

✦.....✿.......♥ ILME NAFE ♥.......✿.....✦

"One of the supplications that the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) used to say was: 'Allahumma, inni a'udhu bika min 'ilmin la yanfa'u, wa mindu'a'in la yusma'u, wa min qalbin la yakhsha'u, wa min nafsin la tashba'u, O Allah, I seek refuge with You:

✔ From knowledge that is of no benefit,
✔ From a supplication that is not heard,
✔ From a heart that does not fear (You) and
✔ From a soul that is not satisfied.'"

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Book 1 :: Hadith 250]

Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ki Duaon mein ye Dua bhi Shamil thi: "Aye Allah! Main aap ki panah talab karta hun:

✔ Aise Ilm se jo faidah mand na ho,
✔ Aur aisi Dua se jo qubool na ho,
✔ Aur Aise Dil se jis mein (Allah ka) khof na ho,
✔ Aur Aise Nafs se jo kabhi sairab na ho."

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Hadith 250]

" اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنْ عِلْمٍ لاَ يَنْفَعُ وَمِنْ دُعَاءٍ لاَ يُسْمَعُ وَمَنْ قَلْبٍ لاَ يَخْشَعُ وَمِنْ نَفْسٍ لاَ تَشْبَعُ "


✦....► Gunahon Ki Kasrat Dunya Mein Zillat o Ruswayi ka Sabab ◄....✦

●◗► Gunah aur bilkhusus Aa’laniya (sab ke samne) Gunah karne se Insan Allah ki Nigah mein Zaleel aur Be’qadr ho jata hai, aur Jab koi Khaliqe Kainat ke han zaleel ho gaya to ab Makhlooq mein bhi us ki koi Izzat nahi rahti.

⇨ Allah Subhanahu Wa Ta'ala irshad Farmate hain: "Aur jise Allah Zaleel karde, koi Nahi hai jo use Izzat de sake." (Qur’an 22:18)

⇨ "And whomsoever Allah disgraces, none can honour him." (Qur’an 22:18)

✦...........► Khawateen Mutawajje Hon ◄...........✦

●◗► Jab ham Toilet, Bathrooms, Hotel ke Cameras, Kapde tabdeel (change) karne ki jaga jate hain to hame kis tarah pata chale ke Diwar par latka bazahir Aam shisha (mirror) hai ya Aisa shisha hai ke aap ki taraf aap ko apna Aks nazar Aaraha hai aur dusri taraf aap ko koi dekh raha hai jis mein se wo Aap ki tasweer ya Video bana sakte hai, Yani Double side wala shisha.

Is baat ka yaqeen aap mahez dekh kar nahi kar sakte Aise bahot se Mua’mlat manzar par Aachuke hain, Apne aap ko Mahfooz is sadah Test se kare.

◗► Shishe par apne Nakhun ki nok rakh kar dekhiye Agar Nakhun ki Nok aur Aks ke darmiyan faasla hai to ye aik Haqiqi Aam shisha hai Agar Aap ke Nakhun ki nok aur Aks mein fasla nahi to is se bachiye ye aik Do rasta (double side) shisha hai aur Aap ko dusri taraf se dekha ja raha hai, Faasla nahi to jage chhor di jiye.

Aap ko jab bhi is ke bare mein Yaqeen na ho Nakhun wala Test kijiye, Baraye Maherbani dusron ki Hifazat ke liye Share kijiye. JazakAllahu Khair :)

✦.......♥ Adayegi Farz ke Baad Agle Farz ka Intezar ♥.......✦

It was narrated that 'Abdullah bin 'Amr RadiyAllahu Anhu said: "We performed the Maghrib (prayer) with the Messenger of Allah, then those who went back went back, and those who stayed, stayed. Then the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) came back in a hurry, out of breath, with his garment pulled up to his knees, and said:

'Be of good cheer, for your Lord has opened one of the gates of heaven and is boasting of you before the angels, saying: "Look at My slaves; they have fulfilled one obligatory duty and are awaiting another."

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Book 4 :: Hadith 801]

Urdu Translation: Hazrat 'Abdullah bin 'Amr RadiyAllahu Anhu farmate hain ke ham ne RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ki Iqteda mein Namaz Magrib ada ki, kuch log Namaz padh kar lot gaye aur kuch log wahin rah gaye, Itne mein RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam Tezi se chalte hue Tashreef laye (tezi se aane ki wajah se) Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki sans phool gayi aur Ghutnon se kapda hat gaya, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya:

"Khush ho jao ke Tumhare Rab ne Aasman ke darwazon mein se Aik darwazah khola hai aur wo Farishton ke samne tum par Fakhr kar rahe hain aur Farma rahe hain: "Mere bandon ko dekho! Wo Farz Namaz ada kar chuke hain aur Dusri Namaz ke intezar mein hain."

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Hadith 801]

✦......► Astaghfar Azab se Hifazat ki Dhaal ◄......✦

Hazrat Ali (Karam Allah Wajh) Irshad Farmate hain: "Ta’ajjub hai un logon par jo Najat ka sabab apne paas rakhne ke Bawajood bhi halak ho jayen." Pucha gaya: Wo sabab kya hai? Hazrat Ali (RadiyAllahu Anhu) ne jawab diya: "Toba o Astaghfar karna."

[Ihya ul Uloom ud Deen Al-Imam Al-Ghazali]

✦.........♥ Dunya ki Sab se Badi Doulat ♥.........✦

'Abdullah bin `Amr (RadiyAllahu Anhu) said that the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "There are four things, if you attain them, then whatever you miss in this world will not matter:

❶ Preserving trust,
❷ Speaking the truth,
❸ Being of good character and
❹ Moderation in eating."

[Musnad Ahmad (2/177) 6652 :: Mustadrak al-Haakim (4/349) No. 7876]

Urdu Translation: Abdullah bin Amr RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "4 Chizen jab tumhen mil jayen to dunya ki kisi cheez ke na Milne par Afsos na karna:

❶ Amanat ki paasdari karna,
❷ Guftagu mein sach bolna,
❸ Husn Akhlaq,
❹ Halal o Pakizah Rozi."

[Al-Mustadrak alaa al-Sahihain Al-Hakim :: Hadith 7876]

No comments:

Post a Comment