Saturday, 20 February 2016

✦.....♥ Azeem Tareen Khawind ki Azeem Tareen Ahliya! ♥.....✦

♥ Zojae Mutahrah Hazrat Khadija RadiyAllahu Anha ka Tazkerah farmate hue RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya:

✔ Mujhe Khadija (R.A) se Acchi Biwi Allah ne Ata nahi Farmayi.
✔ Wo us waqt mujh par Iman layen jab logon ne mera inkar kiya.
✔ Unhon ne us waqt meri Tasdiq ki jab logon ne Mujhe Jhutlaya.
✔ Unhon ne us waqt apni Doulat mujh par Nichawar farmayi Jab logon ne mujhe Mahroom rakha.
✔ Un se Allah ne mujhe Aoulad ata farmayi Jab ke Dusri Azwaj se Aoulad ata na hui. ♥ (Musnad Ahmad : 24864)

●◗► Hadise Baala mein aik taraf Hazrat Khadija (RadiyAllahu Anha) ka Tarze Aml Musalman Biwiyon ke liye Mash’ale raah hai ke wo kathin Halaat, Mushkilat aur maali tangi mein bhi khawind ki dast o bazu banen aur us ke sath wafadari aur Gham khuari ka Mu’amla karen to dusri Taraf RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ke tarze Aml mein Musalman khawindon ke liye Hidayat hain ke wo Ahliya ki khubiyon, Qurbaniyon aur khidmaat ka khule Dil se Eteraf karen aur Acche Alfaz mein Ahliya ka Tazkerah karen.

✦........► Farq Talash Karen ◄........✦

●◗► Gal Sadjane ke baad in khopdiyon mein Farq karna Mushkil hai, Ab agar in ke Darmiyan chote bade hone ka koi Farq ho sakta hai to 'Iman', 'Taqwa' aur 'Aa’male Saliha' ki Bunyad par.

✦..........► Rooh Parwaz Karte Waqt ◄..........✦
:o Aankhen Phati ki Phati kyun Reh Jati Hain? :o

Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) as saying: “Did you not see when the man died and his eyes were fixedly open?” He (Abu Huraira) said: Yes. He (the Holy Prophet) said: “It is due to the fact that when (the soul leaves the body) his eyesight follows the soul.”

[Sahih Muslim :: Book 4 :: Hadith 2005, 2171]

Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Kya tum nahi dekhte Jab Aadmi mar jata hai to us ki Aankhen khuli Rah jati hain!!!” Sahaba ne Arz kiya: kyun nahi ham Aisa hi dekhte hain.

RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Is ki wajah ye hai ke us ki Nigah Rooh ke piche jati hai.”

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 2 :: Hadith 2132]

✦.......♥ Uphar Chadhte Ya Niche Utarte Waqt ♥.......✦

Narrated Jabir bin `Abdullah RadiyAllahu Anhu: Whenever we went up a place we would say, "Allahu--Akbar (i.e. Allah is Greater)", and whenever we went down a place we would say, "Subhan Allah."

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 4 :: Book 52 :: Hadith 236, 2993]

Urdu Translation: Hazrat Jabir bin Abdullah RadiyAllahu Anhuma farmate hain ke Jab ham (kisi bulandi par) Chadhte to "Allahu Akbar" kehte aur jab (kisi Nashaib mein) utarte to "Subhan Allah" kehte the.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 4 :: Hadith 2993]

✦...♥ Miyan Biwi ke Darmiyan Nachaqi Khatam Karwayen! ♥...✦

Allah Subhanahu Wa Ta'ala Irshad Farmate Hain: ⇨ "Agar tumhen Miyan Biwi ke darmiyan phoot padne ka Andesha ho to (un ke darmiyan faisla karane ke liye) Aik Munsif Mard ke khandan mein se aur aik Munsif Aourat ke khandan mein se bhej do, Agar wo donon Islah karana chahenge to Allah donon ke darmiyan Ittifaq paida farma dega, Beshak Allah ko har baat ka Ilm aur har Baat ki khabar hai." (Al-Qur'an, Surah An-Nisa : 35)

◈➲ Munsif – Insaf karne wala.
◈➲ Ittifaq – Mail jol, Ittihad, Mohabbat dosti.

⇨ "If you fear a breach between them twain (the man and his wife), appoint (two) arbitrators, one from his family and the other from her's; if they both wish for peace, Allah will cause their reconciliation. Indeed Allah is Ever All-Knower, Well-Acquainted with all things." (Qur’an 4:35)

✦..........♥ Sab se Zyadah Taqatwar Dua ♥..........✦

●◗► Kisi bhi bade se bade Darwesh, Peer baba aur Murshid ki Dua se zyadah taqatwar, ba asar aur Jald qubool hone wali Dua, Walid aur Walidah ki Dua hai, lekin Aaj ham log Walidain ki khidmat, unhen khush Rakhne aur un se Duayen wusool karne ko Nazar andaz kar ke Dargahon, Mazaron aur Qabron pe Takre marte rahte hain.

► Valentine Day ka Boycott, Sharm o Haya Khatam to Iman bhi Khatam! ◄

The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Modesty and belief are together. If one of them is removed, the other is removed."

[Al-Adab Al-Mufrad :: Book 56 :: Hadith 1313]

Urdu Translation: Rasool Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Haya aur Iman Donon aik dusre se Mile hue hain, in mein se koi Aik bhi khatam kardiya jaye to Dusra bhi khud ba khud Khatam ho jata hai.”

[Al-Mustadrak alaa al-Sahihain Al-Hakim : 58, Al-Adab Al-Mufrad : 1313]

✦....► Valentine Day, Be Hayayi ke Aalami Din se Mazirat! ◄....✦

It was narrated from Anas RadiyAllahu Anhu that the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: “Every religion has its distinct characteristic, and the distinct characteristic of Islam is modesty.”

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 5 :: Book 37 :: Hadith 4181]

Urdu Translation: Hazrat Anas RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Beshak har Deen ki koi khaas Khaslat (fitrat, mizaj ya pahchan) hoti hai aur Islam ki wo khaas Khaslat “Haya” hai.”

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 3 :: Hadith 1062]

♥ Jis Deen ki Pahchan hi Haya ho us mein Be Hayahi ki Gunajayesh nahi ♥

✦........♥ Jayez aur Halal Mohabbat ka Izhar! ♥........✦

●◗► Insani Mua’ashre mein Mohabbat o Mawaddat, Ijtimaiyat aur ham Aahangi ki targeeb Jitni Deen-e-Islam aur Paighambare Islam (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne di hai Dunya ke kisi aur Deen ne nahi di ✿ Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya:

"Jab tum mein se koi Apne Bhai se Mohabbat kare to use Chahiye ke wo Apne bhai ko batade (yani Mohabbat ke Talluq ka izhar kare).” " [Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi : Vol. 2 :: Hadith 277, 2392]

The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "When one of you loves his brother,then let him inform him of it." [Jami` at-Tirmidhi :: 2392]

●◗► Izhare Mohabbat se Islam mana nahi karta Albatta Na’Mahram Mard o Aourat ke darmiyan Na jayez Mohabbat, Ikhtelat aur Be hayayi ko Haram qarar deta hai, Insan ko chahiye ke wo Biwi Bacchon, Walidain aur Bahen Bhaiyyon se toot kar Mohabbat kare aur is ka Munasib Andaz mein izhar bhi kare, Izhare Mohabbat ka khaas Tariqah ya Tareekh tai karna Jaise 14 February ko Valentines day manana bhi Yahood o Nasara ki Naqqali aur Mushabahat ki wajah se Mamnoo hai.

✦.....♥ Mayyat ko Qabr Mein Utarne ki Masnoon Dua ♥.....✦

It was narrated that Ibn ‘Umar said RadiyAllahu Anhu: “When the deceased was placed in the grave, the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) would say: ‘Bismillah, wa ‘ala millati rasul-illah (In the Name of Allah and according to the religion of the Messenger of Allah).’”

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Book 6 :: Hadith 1550]

Urdu Transaltion: Hazrat Abdullah bin Umar RadiyAllahu Anhuma farmate hain ke Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Jab tum apne Murdon ko Qabron mein utaro to ye kaha karo: ‘Bismillah, wa ‘ala millati rasul-illah “Allah ke Naam ke sath aur Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ke Deen o Tariqe par.”

[Al-Mustadrak alaa al-Sahihain Al-Hakim :: Hadith 1353] [Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Hadith 1550]

●◗► Aaj Hamare Mua’ashre mein log Masnoon Dua ke bajaye gair Masnoon Azkar apne tor par zor zor se padhte hain, Allah Subhanahu Wa Ta'ala ham sab ko Sunnaton par Aml ki Toufeeq Marhamat farmaye. (Aameen)

1 comment:

  1. Assalamualikum mashallah Allah aap ku jazaye khair aata farmaye Ameen

    ReplyDelete