Wednesday 27 April 2016

✦.....► Na Mahram Khawateen se Hath Milana ◄.....✦

it was narrated that Umaimah bint Ruqaiqah RadiyAllahu Anha said: "I came to the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) with some other Ansari women to give our pledge. We said: 'O Messenger of Allah, we give you our pledge. Give us your hand for pledge O Messenger of Allah! The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: 'I do not shake hands with women'.”

[Sunan an-Nasa'i :: Vol. 5 :: Book 39 :: Hadith 4186, 4181]

Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ke paas Ansari Khawateen Deene Islam par Bay’at ke liye Hazir huyen aur Darkhuast ki ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam apna Daste Mubarak aage farmaye Taa ke ham bhi (Mardon ki tarah) Bay’at karlen, is par RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Main Aourton se Hath Nahin Milata.”

[Urdu Ref :: Sunan an-Nasa'i :: Vol. 3:: Hadith 483]

✦.......✿.......♥ Ahl o Ayal ki Khidmat ♥.......✿.......✦ 
♥ RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ki Sunnat ♥

Narrated Al-Aswad Rahimahullah: That he asked `Aisha (RadiyAllahu Anha) "What did the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) use to do in his house?" She replied, "He used to keep himself busy serving his family and when it was the time for prayer he would go for it."

[Sahih Bukhari :: Vol. 1 :: Book 11 :: Hadith 644, 676]

Urdu Translation: Hazrat Aswad bin Yazid Rahimahullah Farmate hain ke Main ne Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha se pucha ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam apne Ghar mein kya Umoor Sar Anjam diya karte the? Aap RadiyAllahu Anha ne Batlaya ke “RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam Apne Ghar ke Kaam kaaj yani Apne Ghar walon ki khidmat kiya karte the aur Jab Namaz ka Waqt hota to Foran (kaam kaaj chhor kar) Namaz ke liye chale jate the.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 1 :: Hadith 676]


✦.......♥ Muaafi se Wabaasta Sifaat ♥.......✦

● Muaafi Mangne mein pahel karna, “Bahadur” hone ki Daleel hai.

● Muaafi Mangne par Darguzar kar dena, “Bade aur Taqatwar” hone ki Daleel hai.

● Dusron ki Galtiyan bhula dena, “Sa’adat Mand” hone ki Daleel hai.


✦......► Na Shukri Allah ki Pakad ka Sabab ◄......✦

Irshade Khudawandi hai: ⇨ “Agar tum ne Waqeyi Shukr ada kiya to Main tumhen aur Zyadah dunga, aur Agar tum ne Na Shukri ki to yaqeen jano, Mera Azab bada Sakht hai.” (Qur’an, Surah Ibrahim:7)

●◗► Har haal mein Allah ka shukr ada karen aur Na shukri se Bachen, kyun ke Nashukri, Gham aur be Sukuni ko kheench lati hai, Jab ke Shukr guzari Nematon, Khushiyon aur Rahaton mein Izafe ka sabab Banti hai.


✦...♥ Neend ki Aagosh Mein Jane Wale Khush Naseeb Insan ♥...✦

●◗► Agr Aap un Logon mein se hain jo Raat ko sone ke liye Jab Takya par sar Rakhte hain to un ke Dil o Dimag mein kisi Musalman ka Bogz aur Keena nahi hota aur wo sab ko Muaaf kar ke aur sab ki Taraf se Dil saaf kar ke sote hain, to Yaqeen janiye ke ♥ Aap Dunya o Aakhirat ke sab se khush Naseeb Insan hain ♥


✦......► Adalaton se Mayoos Hazraat Mutawajje Hon! ◄......✦

Jab aap dunya ki Adalaton mein Insaf na payen to apna Muqaddama Aakhirat ki Adalat mein jama karwaden Jahan Da’wa bhi Mahfooz, Muddayi aur Mulzim bhi sach Bolne par majboor, Gawah bhi Farishte aur Faisla karne wali zaat Ahkamul Hakimeen ki hai, Aur phir usi zaat par Bharosa kar ke ye Kahen:

⇨ “Mere liye Allah kafi hai, is ke siwa koi Ma’bood nahin, isi par Main ne Bharosa kiya aur wahi Arsh Adheem ka Malik hai.” (Quran, Surah At-Taubah:129)


✦.......► Dunya Mein Hi Muaaf Karwalen ◄.......✦

Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "Whoever has oppressed another person concerning his reputation or anything else, he should beg him to forgive him before the Day of Resurrection when there will be no money (to compensate for wrong deeds), but if he has good deeds, those good deeds will be taken from him according to his oppression which he has done, and if he has no good deeds, the sins of the oppressed person will be loaded on him."

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 3 :: Book 43 :: Hadith 629, 2449]

Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Jis Shaks ne Apne kisi Bhai par us ki Izzat o Aabru ya kisi aur Hawale se zulm kiya ho to wo Aaj hi us Zulm ko Muaaf karwale, Qabl is ke ke wo din Aajaye jab na Dinar kaam aaye aur na Dirham, Agar us shaks ke Naame Aa’mal mein koi Neki hui to Zulm ke Baqadar wo Neki cheen li jayegi (aur mazloom ko dedi jayegi), aur Agar us ke Naame Aa’mal mein koi Neki na ho to phir Mazloom ki Burayyan us (Zalim) ke Naame Aa’mal mein daal di Jayengi.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Hadith 2449]

✦........► Hamare Paas Sirf 2 Option ◄........✦

Kisi bhi Deeni  ya Dunyawi Mua’mle mein Faisla karne aur Rahe Aml Muta’yan karne ke liye hamare Paas sirf 2 Ekhtiyaraat Hain:

❶  “Mujhe (mere Ehkamaat ko) Yaad rakho Main tumhen yaad Rakhunga.” (Quran, Surah Al-Baqarah:152)

❷  “Unhon ne Allah ko Bhula diya to Allah ne bhi un ko Bhula diya.” (Quran, Surah At-Taubah:67)

●◗► In 2 Ekhtiyaraat ke Alawah koi Teesra Ekhtiyar hamare paas nahi, Ab ye Faisla ham ne khud karna hai ke Dunya o Aakhirat Sanwarne ke liye ham Konsa Option Ekhtiyar Karen, Yaad Rakhen! Ahkame Khudawandi se Muh modne ke Natijiye mein agar Allah ne hamen bhula diya to tamam tar Salahiyaton aur khubiyon ke Bawajood, Dunya o Aakhirat mein Barbadi hamara Muqaddar banegi.

 ........ Musibat Zadah Shaks ki Dua! ........

The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "The supplications to be used by one who is distressed are: "O Allah! Thy mercy is what I hope for. Do not abandon me to myself for an instant, but put all my affairs in good order for me. There is no god but Thou."

[Sunan Abi Dawud :: Book 42, Hadith 5071, 5090]

Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Jo Shaks Musibat mein Mubtela ho wo ye Dua padhe:

اللَّهُمَّ رَحْمَتَكَ أَرْجُو فَلاَ تَكِلْنِي إِلَى نَفْسِي طَرْفَةَ عَيْنٍ وَأَصْلِحْ لِي شَأْنِي كُلَّهُ لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ

Tarjumah: Aye Allah Main Aap ki hi Rehmat ki ummid karta hun, Lehaza mujhe Lamha bhar ke liye bhi mere Nafs ke supurd na ki Jiye, Meri Mukammal halat durust Farma dijiye, Aap ke Alawah koi Mabood nahin.”

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 3 :: Hadith 1649]

✦.......♥ Kisi ke Ghar Jane ke Aadab! ♥.......✦

●◗► Jab kisi ke Ghar mein dakhil hon to Andhe ban kar dakhil hon (yani taank jhaank se apni Aankhon ko Mahfooz rakhen) aur Jab wapas Niklen to Goonge ban kar Niklen (yani ghar ki baton ka dusron se Tazkirah na Karen.


✦....♥ Insani Zindagi ke Safar ki Mukammal Rudaad ♥....✦

⇨ "Nutfe ki Aik boond se Insan ko paida kiya, phir us ko aik Khaas andaz bhi diya…Phir us ke liye (dunya mein Aane aur jine ka) Raasta bhi Aasan bana diya.Phir use Mout di aur Qabr mein Pohncha diya…" (Quran, Surah Abas:19,20,21)

⇨ "From Nutfah (male and female semen drops) He created him, and then set him in due proportion; Then He makes the Path easy for him; Then He causes him to die, and puts him in his grave;"(Quran, Surah Abas:19,20,21)

No comments:

Post a Comment