Thursday, 23 June 2016

✦.....♥ Rozah Aakhirat ki Pyaas se Sairabi ka Sabab ♥.....✦

Sahl bin Sa'd RadiyAllahu Anhu narrated that: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "There is a gate in Paradise called Ar-Raiyyan, those who fast shall be invited into it, and whoever was among those who fasted, then he will enter it; and whoever enters it, he will never thirst again."

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Book 3 :: Hadith 765]

Urdu Translation: Hazrat Sahl bin Sa’d RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Jannat ke Darwazon mein "Raiyyan" Naami aik khaas Darwazah hai jis se sirf Rozah daron ko pukara jayega, Rozah daar is Darwaze se Jannat mein dakhil honge aur jo is se Dakhil ho jaye, use kabhi bhi pyaas Nahin lage gi."

[Urdu Ref :: Jami at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Hadih 743]

✦.......► Iftari ke Waqt Sadah Mashrubaat! ◄.......✦

Doctor’s ka kahna hai ke Iftar ke Waqt Gas wale Mashrubaat Jaise: Pepsi, Coke, 7up wagerah Pine se Ehtiyat barten, Medical Tahqeeq ke Mutabiq Gas wale Mashrubaat ke Istemal se Gurde ko Nuqsan pahochne ka sakht Andesha hai, Lehaza Iftari ke waqt Sadah Pani ya Sadah Mashrubaat Istemal Karen, Cold drink hargiz Istemal na Karen.

✦.......♥ Ghar ke Afrad ki Taraf se Sadaqa e Fitr ♥.......✦

Narrated Nafi` Rahimahullah said: Ibn `Umar RadiyAllahu Anhu used to give dates (as Sadaqat-ul-Fitr). Once there was scarcity of dates in Medina and Ibn `Umar gave barley. 'And Ibn `Umar RadiyAllahu Anhu used to give Sadaqat-ul- Fitr for every young and old person. He even used to give on behalf of my children. Ibn `Umar RadiyAllahu Anhu used to give Sadaqat-ul-Fitr to those who had been officially appointed for its collection. People used to give Sadaqat-ul-Fitr (even) a day or two before the `Id.

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 2 :: Book 25 :: Hadith 587, 1511]

●═══════════════◄►══════════════●

Urdu Translation: Hazrat Nafi Rahimahullah jo Hazrat Abdullah bin Umar RadiyAllahu Anhuma ke Aazad kardah Ghulam hain Farmate hain ke

Hazrat Abdullah bin Umar RadiyAllahu Anhuma Sadaqa Fitr mein Khajoor diya karte the, Aik martaba Ahle Madinah par Khajoor ka Qahet hua to Aap ne Jao ki surat mein Sadaqa Fitr ada kiya, Hazrat ibn Umar RadiyAllahu Anhuma Chote, Bade (ghar ke tamam Afrad) ki taraf se Sadaqa Fitr diya karte the, Yahan tak ke mere Beton ki taraf se bhi Sadaqa Fitr de dete the, Neez Ibn Umar RadiyAllahu Anhuma Sadaqa Fitr, Un ko dete jo Qubool karte aur Eid Ul-Fitr se 1 ya 2 din Pehle dete.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 2 :: Hadith 1511]

●◗► Har Sahibe Nisaab Shaks par Apni taraf se aur Apni Na Balig Aoulad ki Taraf se Sadaqa e Fitr ada karna Wajib hai.

✦.....♥ Sahri ke Waqt Astaghfar ka Ehtemam! ♥.....✦

Irshade Khudawandi hai: ⇨ “Muttaqi log Bagaat aur Chashmon mein is tarah Rahenge ke un ka Parwardigaar unhen jo kuch dega use Wusool kar rahe honge, Wo log is se pahle hi Naik Aml karne wale the aur Sahri ke Auqaat mein wo Astaghfar karte the.” (Qur’an, Adh-Dhariyat : 15-18)

●◗► Aam dinon mein Sahri ke Waqt bedar ho kar Astaghfar karna mushkil aur Mushaqqat talab kaam hai, lekin Ramadan ki barkat se ye Sa’adat har Musalman hasil kar sakta hai, Sahri ke Waqt agar zyadah Fursat na mil sake to Gunahon par Nadamat ke sath km az km 3 Martaba Astaghfirullah hi kah liya jaye.

✦.....♥ Ramadan Mein Naye Namaziyon ka Ikram ♥.....✦

Rahmat o Maghfirat ka Mahina Shuru hote hi Masjiden Namaziyon se Bhar jati hain aur Naye Chahre Masjid mein Nazar aane lagte hain Jin mein badi Ta’daad NoUmr Naujawanon ki hoti hai, Aise mein Masjid ke Mustaqil aur Samajhdar Namaziyon ki Zimmedari hai ke wo un Nauwarid Naujawanon se Mohabbat aur Shafqat bhara sulook Karen, un ki Laghzishon aur Bachkana harkaton par dar guzar se kaam len, un ko Waqt den aur un par Aisi Mahnat Karen ke un ka dil Masjid mein lagna shuru ho jaye.

●◗► Yaad Rakhen! Acche Akhlaq aur Umdah Bartaon naye chahron ko Saal bhar pabandi se Namazen padhne wala Bana sakta hai, Jab ke Bura sulook un ko Masajid ke Ruhani Mahol se door karne ka Sabab ban sakta hai.

✦....► Kisi ko Tohmat ya Badgumani ka Moqa Na Den! ◄....✦

Safiyya daughter of Huyyay (the wife of Allah's Apostle) reported that while Allah's Messenger (may peace be. upon him) had been observing I'tikaf, I came to visit him one night and talked with him for some time. Then I stood up to go back and he (Allah's Apostle) also stood up with me in order to bid me good-bye. She was at that time residing in the house of Usama b. Zaid. The two persons from the Ansar happened to pass by him. When they saw Allah's Apostle (Sallallahu Alaihi Wasallam). they began to walk swiftly, thereupon Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) said to them:

Walk calmy, she is Safiyya daughter of Huyyay... Both of them said: Messenger, hallowed be Allah, (we cannot conceive of ab., ug doubtful even in the remotest corners of our minds), whereupon he (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: Satan circulates in the body of man like the circulation of blood and I was afraid lest it should instill any evil in your heart or anything."

[Sahih Muslim :: Book 26 :: Hadith 5405, 2175]

●════════════════◄►═══════════════●

Urdu Translation: Zojah Rasool Hazrat Safiyya bint Huyyay RadiyAllahu Anha Farmati hain ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam i’tekaf mein Tashreef farma the, Main Raat mein Aap Sallallahu Alaihi Wasallam se Mulaqat ke liye (Masjid mein) aayi, Main Aap se baten karti rahi, Phir jab main wapsi ke liye khadi hui to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam bhi Mujhe chhorne ke liye khade hue, Hazrat Safiyya RadiyAllahu Anha ka Makan Usama bin Zaid RadiyAllahu Anhu ke Makan ke Uqab mein tha, usi waqt 2 Ansari sahabi wahan se Guzre, Jab unhon ne Aan Hazrat Sallallahu Alaihi Wasallam ko dekha to taiz chalne lage, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne un se Farmaya: “Zara taher jao ye (meri zojah) Safiyya bint Huyyay hain.”

Un donon Sahaba ne Arz kiya: SubhanAllah Ya RasoolAllah! (Kya ham aap ke bare mein koi Galat baat soch sakte hain?)

AanHazrat Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Shaitan Insan ke Andar khoon ki tarah dodta rahta hai, Isliye mujhe Andesha hua ke Kahin shaitan Tumhare dilon mein koi Shar ya Waswase ki baat na Daal de.”

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 5 :: Hadith 5679, 5808]

✦.......♥ Rozah Daar ke Liye Jannat ♥.......✦

The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "Whoever believes in Allah and His Apostle offers prayers perfectly and fasts (the month of) Ramadan then it is incumbent upon Allah to admit him into Paradise.”

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 9 :: Book 93 :: Hadith 519, 7423]

Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Jo shaks Allah Ta’ala aur us ke Rasool par Iman laye, Namaz qayem kare aur Ramadan ke Roze rakhe to Allah ke Zimme hai ke us ko Jannat mein Dakhil karde.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 8 :: Hadith 7423]

:'( Shami Bacchi ka Paigham Ummate Muslima ke Naam :'(

Hamare Dilon Mein khushi aur Farhat aise hi Marchuki hai Jaise Tumhare dilon mein Insaniyat Marchuki hai. :'(

No comments:

Post a Comment