Tuesday, 28 February 2017

✦.....♥ Bahnon ka Pyar “Lazawaal” Hota hai! ♥.....✦

Shami Jang mein La pata Afrad ke Ahle Khana mein Hidaya ki Taqseem ke Dauran li gayi Tasaweer!

Badi Bahen Choti Bahen ko Dilasa dete hue…Halan ke Khud Us ki Umr hi kya hai, Lekin Halaat ne use Baji ka Riwayati kirdar Ada karne par Majboor kar diya!!! Allah Subhanahu Wa Ta'ala Shami Muta’sireen ke Haal Pe Rahem Farmaye . (Aameen)


☺ Musalman Hun, Ulamaon Ka Adab o Ehteram Khoon Mein Hain ☺

<3 Moulana Sajjad Nomani Sahab, Asaduddin Owaisi Sahab <3

✦.....♥ Pabandi se Aa’male Saliha Karne ka Silah ♥.....✦

Narrated Abu Musa RadiyAllahu Anhu: I heard the Prophet (ﷺ) many times say: "When a servant of Allah is accustomed to do a good work, then becomes ill or goes on journey, what was accustomed to do when he was well and staying at home will be recorded for him."

[Sunan Abi Dawud :: Book 20 :: Hadith 3085, 3091]

Urdu Translation: Hazrat Abu Musa RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke Main ne Nabi Kareem ﷺ ko Muta’addad baar ye Irshad Farmate hue Suna: “Jo Shaks koi Naik Aml kiya karta ho (Yani us ka Ma’mool ho) Aur Phir kabhi Marz ya Safar ki Waja se wo Ma’mool pura na kar Sake to Us ke liye us Naik Aml ka Sawab aise hi Likh diya jata hai Jaise ke Sahet aur Muqeem hone ki Halat mein Aml karne par Ajr o Sawab likha Jata tha.”

[Urdu Ref :: Sunan Abi Dawud :: Vol. 2 :: 1315, 3093]


💞 Waqeyi...Fikr karne Wale Shohar Bhi Khush Naseeb Biwiyon ko Milte Hain 💞


❣️ Zamane ki Nigahon Se Dilon ke Raaz Poshidah Hai, Khuloose Dil Se Rab Jane Mohabbat kon karta Hai ❣️


✦....♥ Namaz ke Arkan ko Taher Taher kar Ada Karna! ♥....✦

It was narrated that ‘Aishah RadiyAllahu Anha said: “When the Messenger of Allah (ﷺ) raised his head from bowing, he would not prostrate until he had stood up straight. When he prostrated, he would raise his head and not prostrate again until he had sat up straight. And he used to spread out his left leg.”

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Book 5 :: Hadith 893]

Urdu Translation: “Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha Farmati hain ke RasoolAllah ﷺ Jab Ruku se Apna Sir Uthate to us Waqt tak Sajdah Nahin Karte Jab tak Sidhe khade na ho Jate aur Jab Sajdah kar ke apna Sir Mubarak uthate to us Waqt tak Dusra Sajdah na karte Jab tak Sidhe baith na jate, aur Baithne mein apna Bayan Paon Bicha dete.”

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Hadith 893]


❤ Sharafat ke Usoolon se Baghawat karne lagte hain, Padhe Likhe bhi Mahfil mein Shararat karne lagte hain, Kitaben aur Bhi utri hai Lekin, Mere Rab ke Quran mein ye Khubi hai ke Andhe bhi Tilawat karne lagte Hain ❤


❤ Na koi Dil Milata hai, Na koi Dil se Milta hai, Kisi ne Sach Kaha hai Dil badi  Mushkil se Milta hai ❤


✦.......♥  Kisi ke Ghar Jane ke Aadab! ♥.......✦

●◗► Jab kisi ke Ghar mein dakhil hon to Andhe ban kar dakhil hon (Yani Taank Jhaank se Apni Aankhon ko Mahfooz Rakhen) aur Jab wapas Niklen to Goonge ban kar Niklen (Yani ghar ki Baton ka Dusron se Tazkirah na Karen).


✦……....► Aik Muashrati Waba! ◄……….✦

●◗► Aaj kal log Zarasi Takleef, Bimari, Pareshani ya Nemat milne mein Takheer mein Foran kisi Aamil ke paas Taweez lene Pahoch jate hain, Wo is baat ko Bhool jate hain ke Pareshaniyan aur Takleef Allah Rabbul Izzat ke Taraf se Aati hain aur Baaz Pareshaniyon ke Zariye Allah hamara ilaj, Baaz ke zariye hamen Tanbee aur Baaz ke Zariye hamare Darjat Buland farmata hai aur Allah ke Har Faisle mein Khair hi Khair hoti hai…Albatta Insan ko hukum hai ke wo hamesha Allah par Nazar rakhe aur Pareshaniyon se Bachao ki Duayen, Masnoon Aa’mal, Gunahon se Ijtinab aur Tauba o Astaghfar kare.

Lekin Darje bala Aa’mal karne ke Bajaye ham log Naam Nihad Aamilon ke pas Jakar apna Tawakkul, Allah par Yaqeen aur Iman dao par Laga dete hain aur Jhute Aamil bhi Hamari Toham Parasti o Bad Aqeedgi se Faidah uthate hue Hamare Iman aur Paise se Khoob Khilwad karte hain.


☺ Khuloos Dil Mein Zuban pe Mithas Rehne do, Na khud Raho Na kisi ko  Udaas Rehne do ☺


✦.........♥ Takya Par Tek Lagana! ♥.........✦

Narrated Jabir bin Samurah RadiyAllahu Anhu: "I saw the Prophet (ﷺ) reclining upon a pillow."

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 5 :: Book 41 :: Hadith 2771]

Urdu Translation: Hazrat Jabir bin Samrah RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke Main ne RasoolAllah ﷺ ko Takya par Tek lagaye hue Dekha.

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: 670, 2771]

❤ Izzat Aurat ke Diye Jane Wale Tohfon mein Sab se Ahem Tohfa Hota hai, Magar itna Qeemti Tohfa dena har Mard ke bus ki Baat Nahin ❤


❤ Pakizah Mobabbat Jism ki Talabgar nahin, Is Ka Talluq to Rooh se Hota hai, Jo zahir bhi ho to Paak, Batin bhi ho to Paak ❤

Tuesday, 21 February 2017

✦.......♥ Halal Piyo Aur Haram Chhod Do! ♥.......✦

●◗► Kuch Arsa Qabl tak Turkey ka Shumar un Chand Mumalik mein hota tha Jahan Liberalism ke Khushnuma Label ke piche Jism Faroshi, Be hayayi aur Sharab o Kabab Aam thi, Lekin Allah ke Fazl o Karam aur Mukhlis logon ki Taweel Jiddo jahed ke Natije mein Aaj Fiza Tezi se Tabdeel ho rahi hai, Turkey ke Sadar Janab Tayyib Erdogan Sahab ne Tadrijan (Gradually) Haram chizen Chudwane ka ye Tariqa Ekthiyar kiya ke Sab se pehle Qanoon sazi ki ke Masjid, Ibadat gaah, School, College, University’s ke Ird Gird 100mtr ke Raqbe mein Sharab Bechna mana hai, Phir Train aur Railway Stations par Sharab Noshi ko Mamnoo qarar diya…Phir Sharab par Taxes badha kar us ki Khareed o Farokht ko Mushkil bana diya..Aur Ab Lassi ko Farog dene ki Muhim shuru kar Rakhi hai, Lassi ko Turkey mein Ayran kaha jata hai aur Sardi Garmi har Mosam mein ise Piya jata hai, Tayyib Erdogan Sahab Awami Jalson mein Lassi peekar ye Paigham de rahe hain ke “Halal Piyo aur Haram ko Chhod do.”!

✦.......♥ Insaniyat Aaj bhi Zindah Hai! ♥.......✦

Aik Bhai ne Gadi ke Tire ke Niche Kutta dekha aur Gadi ke Malik ko Moqe par na Pate hue Ehtiyatan aik Parcha likh kar Gadi ke Shishe par Laga diya.

●◗► Parcha Par Likha hua! Ehtiyat Kijiye! Aap ke Gadi ke Niche Kutta so Raha hai, Gadi Rawana karne se Pehle use Gadi ke Niche se hata den, Shukriya.

✦....♥ Umdah Andaz Mein Qarza Wapas Karen! ♥....✦

The Prophet (ﷺ) said, "The best amongst you is the one who pays the rights of others generously."

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 3 :: Book 38 :: Hadith 501, 2305]

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Tum mein Behtareen log wo hain jo Qarze ko Acche Andaz mein Ada Kar dete hain.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Hadith 2305]

❤ Agar Mohabbat kisi Haseen o Jameel Chehre se hi Karni hai To Yaqeen Maniye ke Huzoor Paak ﷺ se Badh kar Khoobsurat Chehra kis Ka Nahin ❤

👉🏻 Suna hai Hashr Mein koi kisi Ka Nahin hoga, Magar ye Silsilah to Abhi se Urooj par Hai.

✦..........♥ Khush Haali ka Formula! ♥..........✦

●◗► Gair Shadi shudah log Shadi ke Khayalon mein Magan hain Jab ke Shadi shudah log Ladakpan aur Be fikri ki Zindagi ko Taras rahe hain... Bacchon ko bade hone ki Jaldi hai aur Badon ko Bachpan mein Lotne ki Aarzu... Nokri karne wale kaam ki Sakhtiyon se Nalan hain aur Bekaron ke labon par Kaam milne ki Duayen...

Garibon ko Ameeron ki zindagi ki Hasrat hai Jab ke Ameeron ko Garibon ki Tarah Aik lamha Aaram ki Tamanna, Mashhoor Afrad chupne ke liye Thikane ki talash mein hain Jab ke Aam log Mashhoor banne ke khayal mein, Kisi ko Nahin maloom ke Khush haali kya hai? Bade Budhon ka kehna hai ke Khush haali ka Wahid Formula bus yahi hai ke ► “Jo Nematen Mili hain un ki Qadar ki Jaye aur Hamesha Khush Raha Jaye.”

Nabi kareem ﷺ ne Irshad Farmaya: "Jo shaks Jumah ke din Surah Kahf ki Tilawat kare, To us ke liye is Jumah aur Agle Jumah ke darmiyan Noor Jagmagata Rahega."

[Mustadrak Al-Hakim: 3392]

👉🏻 Ham Nafraton ke itne Aadi ho Gaye Hain ke Mohabbat Baatne wale ko bhi Shak ki Nigah se Dekhte Hain.

✦......♥ Bure Sulook ka Husne Sulook Se Jawab! ♥......✦

Allah's Messenger ﷺ, I have relatives with whom I try, to have close relationship, but they sever (this relation). I treat them well, but they treat me ill. I am sweet to them but they are harsh towards me. Upon this he (the Holy Prophet) ﷺ said:

If it is so as you say, then you in fact throw hot ashes (upon their faces) and there would always remain with you on behalf of Allah (an Angel to support you) who would keep you dominant over them so long as you adhere to this (path of righteousness)."

[Sahih Muslim :: Book 32 :: Hadith 6204]

●═══════════════◄►══════════════●

Urdu Translation: Aik Shaks ne kaha: Ya  RasoolAllah ﷺ! Mere baaz Rishtedar Aise hain ke Main un se Talluq Jodta hun Lekin wo Mujh se Talluq tod te hain, Main un ke sath Neki karta hun Lekin wo mere Sath Burayi karte hain, Main un ke sath Tahammul o Burdbari se Pesh Aata hun lekin wo Mere sath Jihalat Aamez sulook karte hain.

Aap ﷺ ne Irshad Farmaya: “Agar to tum Waisa hi Karte ho Jaisa keh Rahe to Goya ke tum un Logon ko Garam Ret khila rahe ho (Yani tumhare Husne Sulook ke Jawab mein un ki Bad sulooki un ke liye Wabal ban jayegi) Aur Jab tak tum isi Tarah karte rahoge, Allah ki Taraf se Tumhare liye un Logon ke Shar se Bachao ke liye Aik Madad gaar (Farsihta) Muqarrar rahega.”

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 6 :: Hadith 6525, 6689]

✦.....♥ Har Aik ke Samne khud ko Be Naqab na karo ♥.....✦

●◗► Aik Naujawan Aik jaga Apne Rishte ke liye Ladki par Shar’yi Nazar dalne ke liye Gaya, Ladka baithak mein Ladki ke baap ke sath Baitha tha ke Niqab Pehne hue aik Parde daar Ladki Andar aayi, Lamhe bhar ke liye Ladke ko Baghor dekha aur kuch kahe Bagair wapas Chali gayi, Naujawan ne Ladki ke Baap se Shikwah karte hue kaha: Us ne to Niqab nahin Hataya aur na hi Main ne dekha hai, Ladki ke Baap ne kaha: ●◗► Bete! “Us ne mujhe kaha tha ke Agar mujhe Ladka Pasand na Aaya to Main ne Niqab nahin Utarna, Naujawan Samajhta tha Shari’at ne ye Ria’yat bus Usi ke liye Rakh chodi hai.”

"Ungliyan hi Nibha Rahi hain Rishton ko Aaj kal, Zuban ko ab Nibhane Mein Bahot Takleef hoti hai."

✦......♥ Masayel Mein Ghiri Zindagi Ka Raaz! ♥......✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said: "Trials will not cease afflicting the believing man and the believing woman in their self, children, and wealth, until they meet Allah without having any sin."

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 10 :: Hadith 2399]

Urdu Translation: Nabi Akram ﷺ ne Irshad Farmaya: “Momin Mard o Aurat par Aazmayeshen (aur Musibaten) aati Rehti hain, Kabhi us ki Zaat par, To kabhi Aulad par aur Kabhi Maal par (Aur har Aazmayesh par Sabr ke Natije us ke Gunah dhulte Rehte hain), Yahan tak ke Jab wo (mar kar) Allah Ta’ala se Mulaqat karta hai to Gunahon se Bilkul Saaf ho jata hai.”

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 285, 2399]

✦.....♥ Musalman Valentine Day Nahin Manata! ♥.....✦

●◗► Alhamdulillah! Main Musalman hun aur Main be Hayayi ka Aalami din Valentine Day Nahin Manata, Kyun ke ye Kafiron aur Fasiqon ka Tariqa hai aur Hamare Pyare Nabi ﷺ ne Irshad Farmaya:

“Jo Shaks Jis Qaum ki Mushabihat Ekhtiyar kare wo Unhi Mein se Hai.” (Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 3 :: 630, 4033)

The Prophet (ﷺ) said: "He who copies any people is one of them." (Sunan Abi Dawud 4031)

✦...► Valentine Day, Be Hayayi ke Aalami Din se Mazirat! ◄...✦

It was Narrated from Anas RadiyAllahu Anhu that the Messenger of Allah (ﷺ) said: “Every religion has its distinct characteristic, and the distinct characteristic of Islam is modesty.”

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 5 :: Book 37 :: Hadith 4181]

Urdu Translation:Hazrat Anas RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Beshak har Deen ki koi khaas Khaslat (Fitrat, Mizaj ya Pehchan) hoti hai aur Islam ki wo khaas Khaslat “Haya” hai.”

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 3 :: Hadith 1062]

♥ Jis Deen ki Pehchan hi Haya ho us mein Be Hayahi ki Gunajayesh Nahin ♥

❤ Dil Par na Lon un ki Baaten Jo Dil Mein Rehte Hain ❤

Monday, 13 February 2017

✦.......♥ Jayez aur Halal Mohabbat ka Izhar! ♥.......✦

●◗► Insani Mua’ashre mein Mohabbat o Mawaddat, Ijtimaiyat aur ham Aahangi ki targeeb Jitni Deen-e-Islam aur Paighambare Islam ﷺ ne di hai Dunya ke kisi aur Deen ne nahi di ✿ Nabi Akram ﷺ ne Irshad Farmaya: "Jab tum Mein se koi Apne Bhai se Mohabbat kare to use Chahiye ke wo Apne bhai ko batade (Yani Mohabbat ke Talluq ka izhar kare).” " (Jami` at-Tirmidhi: 2392)

The Messenger of Allah ﷺ said: "When one of you loves his brother,then let him inform him of it." (Jami` at-Tirmidhi :: 2392)

●◗► Izhare Mohabbat se Islam mana Nahin karta Albatta Na’Mahram Mard o Aurat ke darmiyan Na jayez Mohabbat, Ikhtelat aur Be hayayi ko Haram qarar deta hai, Insan ko Chahiye ke wo Biwi Bacchon, Waldain aur Bahen Bhaiyyon se Toot kar Mohabbat kare aur is ka Munasib Andaz mein izhar bhi kare, Izhare Mohabbat ka khaas Tariqah ya Tareekh tai karna Jaise 14 February ko Valentines day manana bhi Yahood o Nasara ki Naqqali aur Mushabahat ki wajah se Mamnoo hai.


❤ Pakizah Mobabbat Jism ki Talabgar nahin, Is Ka Talluq to Rooh se Hota hai, Jo zahir bhi ho to Paak, Batin bhi ho to Paak ❤


✦......♥ Hijamah Mozi Bimariyon ka Masnoon Ilaj ♥......✦

Anas RadiyAllahu narrated: "The Prophet (ﷺ) would get cupped in his jugular veins and his upper back. And he would get cupped on the seventeenth (of the month), (or) the nineteenth, and (or) the twenty first."

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 2 :: Hadith 2051]

Urdu Translation: Sayyidna Anas RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke RasoolAllah ﷺ (Chand ki) 17, 19 aur 21 Tareeq ko Gardan ki Ragon aur Kandhon ke Darmiyan Sengi (Hijamah) lagwaya karte the.

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Hadith 2122, 2051]

●═════════════════◄►════════════════●

► Hijamah Ke Hairat Angez Tibbi Fawayed: ◄

Jism ke 70% Bimariyan khoon ki kami, Khoon ki Rukawat ya Khoon mein Fasid mawad ki Waja se hoti hain, is liye Hijamah se Darj zail Fawayed hasil hote hain:

● Jism ki Ahem aur badi Sharyanon (Arteries) ki Safayi aur overhauling ho jati hai.

● Jism se Zahrile aur Fasid maddon ka Akhraj hota hai.

● Dimag, Aasab, Yaad dasht, aur Hasi Aa’za (Eye, Ear, Nose, Skin, Tongue, Taste) ko Toqiyat Pahochti hai.

● Quwwat Mudafi’at (Immune System) badhti hai jis se Bimariyon se ladne ki Taqat mein Izafa hota hai.

● Nafsiyati Amraz (Psychological Disease) jaise Dimagi Tanao, Zahni dabao, Ghabrahat aur Bechaini door karne ka Sabab hai.


Ya Allah! "Mera Ghaflat Mein Duba Dil Badal de" Aameen 😢

✦........♥ Aik Naik Ladki ka Paigham ♥........✦
► Apne Naam Nihad Mahboob ke Naam ◄

“Han ye sach hai ke mujhe tum se Mohabbat hai, Ye bhi sach hai k main Tumhari chahat hun, Par meri zindagi mein Chahaton ki kami to Nahin, Rishte aur bhi hain aik Sirf tumhin to nahi, Apni Zaat ke us pehlu se Milwaon tumhein? Main kya hun, Kaisi hun, Batlaou Tumhein...???

♥ Apni Maa ki Tarbiyat hun Main, Izzat hun apne Walid ki, Maan hun apne bhai ka, Nishan hun apni Bahnon ki parchai ka, To bahek Jaou ye kabhi Mumkin hi nahi, Ke Dil wo sab bhi to Rakhte hain, Aik tumhi to Nahi.


✦.........♥ Sufed Baal Momin ka Noor ♥..........✦

"The Prophet (ﷺ) prohibited plucking gray hair. And he said: "It is the Muslim's light.'"

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 5 :: Book 41 :: Hadith 2821]

Urdu Translation: “RasoolAllah ﷺ ne Sufed baal Ukhedne se Mana Farmaya aur Irshad Farmaya ke Sufed Baal Momin ka Noor hai.”

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 725, 2821]


► Shar’yi Majburi ke Bagair Hamal Zaye Karna ◄
✦........► (Abortion) Bahot Bada Gunah ◄........✦

⇨  Irshade Khudawandi Hai: “Aur apni Aulad ko Muflisi ke Khof se Qatl na karo ham Unhen bhi Rizq denge aur Tumhen bhi, Yaqeen jano ke Un ko Qatl karna Badi bhari Galti hai.” (Qur’an, Surah Bani-Israel: 31)

⇨ "And kill not your children for fear of poverty. We provide for them and for you. Surely, the killing of them is a great sin." (Qur’an, Surah Bani-Israel: 31)


✦.....♥ Allah par Tawakkul Yaqeen ki Had Tak Karo ♥......✦

Aik Martaba aik Maidaan mein Barish ke liye Dua ki Jaani thi Sab log us Maidan me Jama hone lage Aik “Baccha” Maidan me Chatri le kar dakhil huwa, Sab use dekh kar Hairan hue aik Shaksh ne pucha “Beta!! Ye Chatri kyun Laye ho?”

⇨ Bacche ne Ma’sumiyat se Jawab diya “Jis Khuda se Mangne Aaye ho, Kya us par Itna bhi Yaqeen Nahi?.”


✦.........► Chust Libas Se Ijtenab Karen! ◄.........✦

●◗► Chust Libas Pahenne ke Tibbi, Mua’ashrati aur Mazhabi, Har tarah ke Nuqsanat hain, Aik bada Nuqsan ye bhi hai ke Jab chust Pant aur T-shirt pahen kar Namaz ada ki jati hai to Basa Auqat Ruku aur Sajdah ki Adayegi ke waqt Kamar ki Janib se Pant niche ki Janib sarak Jati hai aur Satar zahir ho jati hai, Namaz ke Dauran Satar zahir ho jane ki Surat mein na Sirf apni Namaz kharab hoti hai Balke digar Namaziyon ko bhi Shadeed koft aur Zahni Azyat ka Samna karna Padta hai.

► Is liye Hamesha Aisa Dheela Dhala aur Muhazzab Libas Pehnen Jise pahen kar Jism ke Nasheb o Faraz Ayan (zahir) na hon.


✦....► Assalam Alaikum ke Bajaye “Sam ‘Alaikum” Kehna! ◄....✦

Allah's Messenger (ﷺ) said, "When the Jews greet anyone of you they say: 'Sam'Alaika (death be upon you); so you should say; 'Wa 'Alaika (and upon you).'"

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 9 :: Book 84 :: Hadith 62, 6928]

Urdu Translation: Nabi Akram ﷺ ne Farmaya: “Yahudi log Jab tum mein se kisi ko Salam karte hain to (Dhoka dete hue Assalam Alaik ke bajaye) Sam Alaika (Tum par halakat ho) kehte hain, Lehaza tum Jawab mein ‘Alaika’ (tum par bhi) kaha karo.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 8 :: Hadith 6928]

●◗► Musalman ka Haq hai ke use Pure Waqar aur Saliqe ke sath  Assalam Alaikum kaha jaye, Aaj bahot se Sacche Musalman bhi be khayali, La ilmi aur Jald bazi Mein Assalam Alaikum ke bajaye “Sam ‘Alaikum” keh jate hain jo Durust Nahin.


●◗► Abhi Moqa Hai Chunke Aamal Naame khule hue Hain, Qalam Chal rahe hain, Badan Tandrust o Tawana hain, Zuban Aazad hai, Toba suni Ja sakti Hai, Aur Aamal Qabool kiye ja skate Hain.


✦.......♥ Deene Islam Par Sabit Qadmi ki Dua! ♥........✦

'Anas RadiyAllahu Anhu narrated: "The Messenger of Allah (ﷺ) would often say: Ya Muqallibal-qulub, thabbit qalbi 'ala dinik ('O Changer of the Hearts! Strengthen my heart upon Your Religion.)'

So I said: 'O Prophet of Allah! We believe in you and what you have come with, but do you fear for us?' He ﷺ  said: 'Yes. Indeed the hearts are between two Fingers of Allah's Fingers, He changes them as He wills.'"

[Jami at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 6 :: Hadith 2140]

Urdu Translation: Hazrat Anas RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke RasoolAllah ﷺ  Ba kasrat ye Dua manga karte the:  (Ya Muqallibal-qulub, thabbit qalbi 'ala dinik) “Aye Dilon ko Pherne wale! Mere dil ko Apne Deen par Qayem rakh.”

(Hazrat Anas RadiyAllahu Anhu Farmate hain) Main ne Arz kiya: Ya RasoolAllah! Ham aap par aur Aap ki layi hui Hidayat par Iman le aaye, kya Ab bhi aap ko Hamare bhatakne ka Andesha hai ? Aap ﷺ  ne Irshad Farmaya: “Dil, Rahman ki do Ungliyon ke Darmiyan hai, Wo Jaise chahta hai use Pherta rahta hai.”

[Urdu Ref :: Jami at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 10, 2140]

"‏ يَا مُقَلِّبَ الْقُلُوبِ ثَبِّتْ قَلْبِي عَلَى دِينِكَ ‏"

Wednesday, 1 February 2017

✦.....:( Aye Bint-e-Hawwa Sambhal Khud Ko :(.....✦

Aye Bint-e-Hawwa sambhal khud ko, Ye Ibn-e-Adam hawas ko chahat ka Naam dekar, Pyaas apni bujha Raha hai, ye Tera daman jala raha hai, Magar tu paikar wafa bani hai, Wafa hi Teri khata bani hai, Tu kitni sada Tu kitni pagal, Tu kis ki baton mein Aarahi hai...? Moqam apna Ganwa rahi hai.

Ye Chahaton ka Fareb dekar, Tumhare Jazbon se khelte hain, Apni khuahesh Mitane tak ye Tumhari Chahat ko Jhelte hain, Magar ye apni Hawas mita kar Tumhen bhula kar, Shikaar Agla talash te hain, Aye Bint-e-Hawwa Sambhal khud ko. :(

✦.....♥ Masajid ki Tameer Mein Hissa Milane Wale! ♥......✦

RasoolAllah ﷺ ka Irshad hai: “Allah Rabbul izzat Qayamat ke din Pukarenge: Mere Padosi kahan hain? Mere Padosi kahan hain?

Farishte kahenge: Aye Hamare Rab! Aap ka Padosi Hona kis ko Zeb deta hai? Allah Subhanahu Wa Ta'ala Irshad Farmayenge: “Masjidon ko Tameer karne aur Aa’mal se Aabad karne wale kahan hain?.”

[Jami` al-Saghir Jalal al-Din al-Suyuti :: 2788]

____________________________
قال رسول الله صلى الله عليه و سلم إن الله ينادى يوم القيامة أين جيرانى أين جيرانى فتقول الملائكة ربنا من ينبغى له أن يجاورك فيقول أين عُمَّارُ المساجد
(الجامع الکبیر لجلال الدین السیوطی: 2788،حدیث صحیح )


✦...✔ Gair Muslimon ka Irshadate RasoolAllah ﷺ Pe Aml! ✔...✦

RasoolAllah ﷺ Hazrat Sa’d     ke Paas se Guzre, wo Wuzu kar Rahe the, Aap ﷺ ne Irshad Farmaya: “Ye kaisa Israf (Fuzool kharchi) hai? Unhon ne kaha: Kya wuzu mein bhi Israf hota hai? Aap ﷺ ne Irshad Farmaya:  “Han (israf hai) Chahe Tum Behti Naher ke kinare hi Kyun na Baithe ho.”

The Messenger of Allah passed by Sa'd when he was performing ablution, and he said: 'What is this extravagance?' He said: 'Can there be any extravagance in ablution?' He said: 'Yes, even if you are on the bank of a flowing river.'"

[Musnad Imam Ahmad bin Hambal: 7065]

●◗► Pani ka Ziya Rokne ke liye Australian Company ne Pani ki Botalon par Bayina unhin Alfaz Par Mushtamil Tag Lagaya hua hai jo 1400 saal Qabl Sarkare do Aalam ﷺ ne Insaniyat ko Talqeen Farmaye the, kya hi Accha ho ke Musalman bhi Pyare Nabi ﷺ  ke Irshadat pe Aml paira Hon.


✦......► Jadu, Asaib aur Shaitani Asrat se Hifazat ◄......✦

Abu Umama RadiyAllahu Anhu said he heard Allah's Messenger (ﷺ) say: Recite Surah al-Baqara, for to take recourse to it is a blessing and to give it up is a cause of grief, and the magicians cannot confront it.

[Sahih Muslim :: Book 4 :: Hadith 1757, 804]

Urdu Translation: Hazrat Abu Umama Baheli RadiyAllahu Anhu se Riwayat  hai ke Rasool Akram ﷺ ne Irshad Farmaya:  “Surah Baqarah Padha karo, Kyun ke is ka Padhna Ba’ise Barkat hai aur na Padhna Ba’ise Hasrat hai, Jadu gar is (ke tod) ki Taqat nahin Rakhte (Yani jo Shaks Surah Al-Baqarah padh kar apne Aap ko Mahfooz banale, Jadu garon ka Jadu us pe Asar andaz Nahin ho sakta).”

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 2 :: Hadith 1874, 1910]


✦.....:'( Dost, Ahbab aur Rishtedaron se iltemas! :'(.....✦

Aap Hazraat mein se kisi ke Haq mein bhi koi kotahi Mujh se Sarzad hui ho, Koi be Adabi hogayi ho ya Main kabhi Aap ki Geebat ka Murtakib hua hon to Allah ki Raza ke liye Mujhe Muaaf karde, Mujh par Aap ka ye Bahot bada Ehsan hoga, Aur agar Badla lena Chahen ya kisi Haq ka Mutalba karna Chahen to bhi main Tayyar hun.

●◗► Meri is Dardmandana Guzarish ka Agar Tahreeri Shakal mein Jawab Inayat Farmade (Chahe wo sirf OK hi ho) to Mere liye Qalbi Taskeen ka Ba’is hoga.

✦.......♥ Tarbiyate Aulad ka Bunyadi Usool ♥.......✦

●◗► “Tum apne Bacchon ko Allah Ta’ala ke Huqooq Ada karna Sikhao, Allah Subhanahu Wa Ta'ala Khud hi Tumhare Bacchon ko Waldain ke Huqooq ada karna Sikha denge.”


✦........♥ Joota Pehenne ke Aadab! ♥........✦

Allah's Messenger (ﷺ) said, "If you want to put on your shoes, put on the right shoe first; and if you want to take them off, take the left one first. Let the right shoe be the first to be put on and the last to be taken off."

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 7 :: Book 72 :: Hadith 747, 5855]

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya:  “Jab tum mein se koi Shaks Juta pehne to Dayen taraf se Ibteda kare aur Jab utare to Bayen taraf se Utare taa ke Dahini Janib Pehenne mein Awwal ho aur Utarne mein Aakhir ho.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 7 :: Hadith 5855]

●◗► Sirf Joota hi Nahin balke Pehenne ki har Cheez Dayen Janib (Right Side) Pehenna aur Utarte waqt Bayen Janib (Left Side) se Utarna Mustahab hai.Joota Pehenne ke Aadab!


✦....♥ Ma’zirat aur Muaf karne ki Aadat Daliye ♥....✦

●◗► Aye Allah! Agar main ne kisi ka Dil dukhaya ho ya kisi ko Takleef Pohchayi ho to Mujhe Akhlaqi Jur’at aur Hosla de ke Main us se Ma’zirat kar Sakun, Aur agar kisi ne Mujhe Takleef ya dukh Pohchaya ho to Mujhe Toufeeq de ke main use Muaaf kar Sakun. (Aameen)

✦....► Musalman ki Aabrurezi (Be’izzati) ka Jurm ◄....✦

The Prophet (ﷺ) said: "The most prevalent kind of usury is going to lengths in talking unjustly against a Muslim's honour."

[Sunan Abi Dawud :: Book 42 :: Hadith 4858, 4876]

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Bila Shuba sab se Bade Sood mein se Ye bhi hai ke Kisi Musalman ki Izzat o Aabru ko Na haq Bigadne ke Liye Zuban darazi ki Jaye.”

[Urdu Ref :: Sunan Abi Dawood :: Vol. 3 :: Hadith 1448, 4878]


✦......► Nazre Bad Jaan Lewa Bhi Ho Sakti Hai! ◄......✦

RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Meri Ummat mein sab se Zyadah log Allah Ta’ala ke Faisle aur Taqdeer ke baad Nazre bad Lagne ki waja se Marenge.” [Jami` al-Saghir al-Suyuti: 1385]

● Nazre bad ke Asrat barhaq hain, Lehaza jab koi Umdah Cheez, Kisi ki Khubi Ya kamal dekhen to Foran 'MashaAllah La quwwata illa billah' Padhen.

● Isi Tarah Nazre bad se Hifazat ke liye Subah o Sham ki Masnoon Duaon ka Ehtemam Karen Bil khusus is Dua ka Ehtemam Farmayen: A'oodhu bikalimatIllahi-tammati min kulli shaytaanin wa hammatin wamin kulli 'aynin lammatin. (Tarjuma: Main Allah ke Mukammal kalimat ke sath Panah mangta hun har Shaitan, Mauzi Janwar aur Nazare bad se).

● Nazre bad ke Ilaj ke liye Surah Al-Falaq aur Surah An-Nas ke sath Surah Al-Qalam ki Aakhri do Aayat
51 وَإِن يَكَادُ الَّذِينَ كَفَرُوا لَيُزْلِقُونَكَ بِأَبْصَارِهِمْ لَمَّا سَمِعُوا الذِّكْرَ وَيَقُولُونَ إِنَّهُ لَمَجْنُونٌ
52 وَمَا هُوَ إِلَّا ذِكْرٌ لِّلْعَالَمِينَ
Padh kar dum karna Nihayat Mujrrab hai.

●◗► Bade Bade Super Store se Khareedari ke Bajaye aise logon se Zaroor khareedari Karen, Kyun ke is Umr mein log Ameeri aur Maaldari ke liye Nahin balke Daste sawal daraz karne se Bachne aur Biwi Bacchon ke liye do Waqt ki Roti hasil karne ke liye kamate hain.