Friday 12 May 2017

✦.................♥ Salat At-Tasbeeh ♥................✦

RasoolAllah ﷺ ne Aik Martaba Apne Chacha Hazrat Abbas RadiyAllahu Anhu se Farmaya:

“Aye Abbas, Aye Mere Pyare Chacha! Kya main Tumhen aik Atya karun, Bakhshish karun, Aik Cheez bataun, Tumhen Dus Chizon ka Malik Banaun..wo aik Aml hai Jab tum use karoge to Haq Ta’ala Shanahu Tumhare Sab Gunah Pehle aur Pichle, Purane aur Naye, Ghalti se kiye hue ya Jaan boojh kar kiye hue, Chote aur Bade, Chup kar ya Khullam khula kiye hue, Sab hi Muaf Farma denge,

Wo Aml ye hai ke 4 Raka’at Nafl (Salat At-Tasbeeh ki Niyyat bandh kar) Padho, aur har Rakat mein Jab Alhamdulillah aur Surat Padh chuko to Ruku se Pehle (Subhnallahi Walhamdulillahi Wa la ilaha illallahu Wallahu Akbar) 15 Martaba Padho, Phir Jab Ruku karo to is mein 10 Martaba padho, Phir Jab Ruku se Khade ho to 10 Martaba Padho, Phir Sajdah karo to is mein 10 Martaba padho, Phir Sajdah se uth kar baitho to 10 Martaba padho, Phir Jab dusre Sajdah mein jao to us mein 10 Martaba padho Phir Jab Dusre Sajdah se utho to (Dusri Rakat mein khade hone se Pehle) Phir 10 Martaba padho in sab ka Majmua 75 hua, isi Tarah ye Tasbeehat har Raka’at mein 75 Martaba padho,

Agar Mumkin ho sake to Rozana aik Martaba ye Namaz (Salat At-Tasbeeh) padh liya karo, Rozana na ho sake to Har Juma ko aik Martaba padh liya karo, Ye bhi na ho sake to Mahina mein aik Martaba padh liya karo, ye bhi na Ho sake to Saal mein Aik Martaba padh liya karo, aur Agar ye bhi na ho Sake to Umr bhar mein Aik Martaba to Padh hi lo.”

[Urdu Ref :: Sunan Abi Dawood :: Vol. 1 :: Hadith 1284, 1297]

●═══════════════◄►══════════════●

Narrated Abdullah Ibn Abbas RadiyAllahu Anhu: The Messenger of Allah (ﷺ) said to al-Abbas ibn AbdulMuttalib: Abbas, my uncle, shall I not give you, shall I not present to you, shall I not donate to you, shall I not produce for you ten things? If you act upon them, Allah will forgive you your sins, first and last, old and new, involuntary and voluntary, small and great, secret and open.

These are the ten things: you should pray four rak'ahs, reciting in each one Fatihat al-Kitab and a surah. When you finish the recitation of the first rak'ah you should say fifteen times while standing: (Subhnallahi Walhamdulillahi Wa la ilaha illallahu Wallahu Akbar) "Glory be to Allah", "Praise be to Allah", "There is no god but Allah", "Allah is most great". Then you should bow and say it ten times while bowing. Then you should raise your head after bowing and say it ten times. Then you should kneel down in prostration and say it ten times while prostrating yourself. Then you should raise your head after prostration and say it ten times. Then you should prostrate yourself and say it ten times. Then you should raise your head after prostrating and say it ten times in every rak'ah. You should do that in four rak'ahs.

If you can observe it once daily, do so; if not, then once weekly; if not, then once a month; if not, then once a year; if not, then once in your lifetime.

[Sunan Abi Dawud ::  Book 5 :: Hadith 1292, 1297]

●◗► Imame Azam Imam Abu Hanifah Rahimahullah ne 40 Saal tak Isha ke Wuzu se Fajr ki Namaz Padhi wo Raat Bhar Quran Padha karte the, Main sochta tha ke Aslaaf Raat bhar Baghair kisi Thakan o Pareshani ke Quran kaise Padh liya karte the??? 

Lekin Main ne Jab un Logon ko Dekha jo Raat bhar Mobile mein Mashghool Rehte hain to Mera Ta'ajjub door ho Gaya aur Main Jaan Gaya ke Jab Dil kisi Cheez se Mohabbat kar Baith ta hai to har Cheez Aasan ho jati hai..!!!

●◗► Jo mard Apni Biwi ko Sab ke Samne Be'izzat Karta hai to us Mard ki izzat Biwi ki Nazar se Nikal kar us ke Aansu ke Sath hi Beh Jati hai..!!

✦..........♥ 13,14,15 Sha’ban ke Roze ♥..........✦

RasoolAllah ﷺ ne Ayyam Beez (Yani har Qamri Maah ki 13,14 aur 15 Tarikhon) ke Rozon ko zindagi bhar Roze rakhne ke Barabar Qarar diya hai, Ayyame Beez ke Roze har Qamri maah Mein Masnoon hain lekin Chunke Khususiyat ke sath Mahe Sha’ban mein Roze rakhne ke Fazayel bhi Ahadeese Mubarka mein warid hain, is liye Mahe Sha’ban mein Ayyame Beez ke Rozon ka aur zyadah Ehtemam karne ki zarurat hai.

Neez Maahe Sha’ban mein Ayyame Beez ke Roze Rakhne se aik Mukhtalif fiya Masle ka hal nikal aata Hai aur wo ye hai ke Baaz Hazraat khaas Pandhra Sha’ban ke Roze ko Masnoon samajhte hain, Jab ke Muhaqqiq Raye yahi hai ke khaas 15 Sha’ban ka Rozah Masnoon nahin, Lekin Agar kisi ko 15 Sha’ban ke Roze rakhne ka Shoq aur Walwala hai to wo Ayyame Beez ke roze Rakhle, 15 Sha’ban ka Rozah bhi is mein shamil ho jayega.

Is Hawale se Hazrat Mufti Taqi Usmani Sahab Damat Barkatuhum Aaliya Farmate hain: “Agar koi shaks in do Wajah se 15 Sha’ban ka Rozah rakhe, Aik is waja se ke ye Sha’ban ka din hai [aur maahe sha’ban ke Roze masnoon hain], Dusre is wajah se ke ye 15 Tareeq Ayyame Beez mein dakhil hai, Agar is Niyyat se Rozah rakh le to InshaAllah Muajjab Ajr hoga, Lekin Khaas 15 tareekh ki khususiyat ke Lihaz se is Roze ko Sunnat Qarar dena Baaz Ulama ke Nazdeek durust Nahin.”

✦........► Jannat Mein Dakhila Mamnu Hai! ◄........✦

RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya:

❶ “Sharab ka Aadi

❷ Jadu Tone Pe Yaqeen Rakhne Wala (Yani Jadu gar ki Baton, Us ki Ghaibi Ittelaat aur Us ke Karishmon ki Tasdeeq Karne Wala)

❸ Aur Rishte Nate Todne Wala Jannat Mein Na Ja Sakega.” (Musnad Abi Ya’la: 7248)

عن أبي موسى قال : قال رسول الله - صلى الله عليه و سلم - : لا يدخل الجنة مدمن خمر ولا مؤمن بسحر ولا قاطع (مسند ابی یعلی ،7248 ،اسنادہ حسن﴾

●◗► 'Keh Rahi hai Mujhe Ye Kal ki Bahu, Aap Mere Miya ka Khaate Hain...!! Allah! Saas aur Bahu Mein Mohabbat Paida Farma.' Aameen

✦.......► Bacchon ko Hargiz “Shaitan” Na Kahen! ◄.......✦

●◗► Bacchon ko “Shaitan” Na Kahen!!! Allah na kare ke Koi Baccha Shaitan ho ya Shaitani Khaslat ka Hamil ho, “Shaitan” to Iblees Mardood aur us ki Aal Aulad ko kaha jata hai Jin ka kaam hi Dunya mein Fasad, Sarkashi aur Allah ki Nafrmani ka Bazaar Garam rakhna hai.. Neez Hazrat Adam Alaihis Salam ko Sajdah na karne ki Waja se “Shaitan” Randah Dargahe Khudawandi aur Allah ki Rehmat se Hamesha ke liye Door hai, Kya koi ye Chahega ke us ka Baccha Allah ki Rehmat se Door ho?

"Han Albatta Agar koi Baccha Bahot Chulbula ho to Use “Shararti” kehlen, Lekin Shaitan Hargiz na Kahen."

●◗► Shukr hai ke Aansuon ka koi Rang Nahin hota, Warna Subah ke Ujalon mein Rangeen Takye Sab ke Raaz khol diya Karte.

✦...► Mard Hazraat ke Liye Zard ya Surkh Rang ka Libas! ◄...✦

'Abdullah b. 'Amr b. al-As RadiyAllahu Anhu reported: Allah's Messenger (ﷺ) saw me wearing two clothes dyed in saffron. whereupon He (ﷺ) said: "These are the clothes (usually worn by) the non-believers, so do not wear them."

[Sahih Muslim ::  Book 24 :: Hadith 5173, 2077]

Urdu Translation: Hazrat Abdullah bin Amr bin al-As RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke RasoolAllah ﷺ ne Mujhe Dekha, Main ne do Zafrani Rang ke kapde Pehne hue the, (in kapdon ko dekh kar) Aap ﷺ  ne Irshad Farmaya: “Yaqeenan ye Kuffar ke Kapde Hain, Lehaza tum Inhen na Pehno.”

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 5 :: Hadith 5434, 5555]

●◗► Ya Allah! "Hamen Waldain ki Usi Tarah Khidmat ki Toufeeq de Jis Tarah Unhon ne Hamen Bachpan Mein Pala hai." Aameen Ya Allah

✦...► Sharmgah ki Hifazat ka Madar Nazar ki Hifazat Par Hai! ◄...✦

●◗► Nazar, Dil ka Darwazah hai, Agar ye Band Raha to Dil bhi Mahfooz Rahega aur Jab Dil Mahfooz Rahega to Sharmgah bhi Mahfooz Rahegi, Chunanche RasoolAllah ﷺ ka Irshad hai:

“Aankhon ka Zina (Na Mahram ko) Dekhna hai, Kanon ka Zina Gunah ki Baton ka Sunna hai, Zuban ka Zina Baat karna hai, Hath ka Zina Pakadna hai, Paon ka Zina Chalna hai, Dil to Sirf Gunah ki Khuahesh o Tamanna karta hai aur Sharmgah us ki Tasdeeq ya Takzeeb (Sach ya Jhoot) karti hai.”

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 6 :: Hadith 6754, 6925]

The Messenger of Allah (ﷺ) said: “The adultery of the eye is the lustful look and the adultery of the ears is listening to voluptuous (song or talk) and the adultery of the tongue is licentious speech and the adultery of the hand is the lustful grip (embrace) and the adultery of the feet is to walk (to the place) where he intends to commit adultery and the heart yearns and desires which he may or may not put into effect.”

[Sahih Muslim :: Book 33 :: Hadith 6422, 2658]

●◗►  Kaam Pad Sakta hai.. Aadhe Rishte To Logon ne isi Wajah Se Bana Rakhe hote hain..!!

● Agar Khawateen Chahti hain ke Un ke Shohar Farishta Sifat hon to Pehle Ghar ko Jannat Banayyen! Kyun ke Farishte Dozakh mein Nahin Reh sakte!

● Isi Tarah Agar Mard Hazraat Chahte hain ke un ki Biwiyan Hooron Jaisi Sifat Wali hon to Pehle Khud ko Insan Banayyen! Kyun ke Hooren Shaitanon ke Sath Nahin Rehtin.

●◗► Tumhari Aulad Wo Nahin Sikhegi Jo tum kehte ho Balke Wo karegi Jo Tum log khud Karte ho...!!

❤️ Har Aurat Beshak Apne Shohar Ke Ghar Mein Malika ho Ya na Ho Lekin Wo Apne Baap ki Shehzadi Zaroor Hoti Aur Rehti Hai ❤️

✦......♥ Zaitoon (Olive) ka Istemal! ♥......✦

"The Prophet (ﷺ) said: "Eat of its oil and use it (the olives), for indeed it is from a blessed tree."

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 3 :: Book 23 :: Hadith 1852, 1852]

Urdu Translation: Nabi Akram ﷺ ne Irshad Farmaya: “Zaitoon (ka tail) Khane Mein bhi Istemal karo aur Malish mein bhi! Kyun ke ye Ba barkat Darakht ka Phal hai.”

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol.1 :: Hadith 1910, 1852]

●◗► Har Insan ko Us ke Mazi ke Kisi Aik Waqiye ne Itna Badal Diya hai Ke Wo Kabhi bhi Waisa Nahin ho Sakta Jaisa Wo Us Waqiye se Pehle Tha...!

✦......► Adhan Sunne ke Bawajood Masjid Na Jana! ◄......✦

Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu said: "it is better for one's ears to be filled with molten lead than to hear the call to prayer and not answer it."

[Musannaf ibn Abi Shaybah : 3484]

Urdu Translation: Hazrat Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu Farmate hain: “Agar Ibne Adam ke Kaan mein Pighla hua Seesa bhar Diya Jaye ye is Baat se Behtar hai ke wo Adhan sune Magar us ka Jawab na de (Yani Namaz ke liye Masjid mein Na Aaye).”

[Musannaf ibn Abi Shaybah : 3484]

👉🏻 Rishton ko Sambhalte Sambhalte Thakawat Si Hone Lagi hai, Har Din Koi Na Koi Rooth Jata Hai!

●◗► Ye Mobile Phone Dekhne mein Bahot hi Halke aur Mamuli Lagte hain, Lekin in ka Ghalat istemal Karna Qabr o Hashr Mein Na Qabil Bardasht Wazan ki Surat mein Hamare Name Aa’mal ka hissa Hoga.  ► Lehaza Sirf Zarurat ki Hadtak aur Dusrust Kamon Mein Inhen Istemal Ki jiye!

✦.......♥ Maahe Sha’ban (Month of Sha’ban) ♥.......✦

Usamah bin Zaid RadiyAllahu Anhu said: "I said: 'O Messenger of Allah, I do not see you fasting any month as much as Shaban.'

He (ﷺ) said: 'That is a month to which people do not pay much attention, between Rajab and Ramadan. It is a month in which the deeds are taken up to the Lord of the worlds, and I like that my deeds be taken up when I am fasting."'

[Sunan an-Nasa'i :: Vol. 3 :: Book 22 :: Hadith 2359, 2357]

●═══════════════◄►══════════════●

Urdu Translation: Hazrat Usamah bin Zaid RadiyAllahu Anhuma Farmate hain ke Main ne RasoolAllah ﷺ se Arz kiya: Ya RasoolAllah! Main ne Sha’ban se Zyadah kisi dusre Mahine mein Aap ko itne Ehtemam se Roze rakhte hue Nahin dekha?

Aap ﷺ ne Irshad Farmaya:

 "Ye Aisa mahina hai Jo Mahe Rajab aur Mahe Ramadan ke darmiyan mein Aata hai aur log is se Ghaflat baratte hain halan ke is Mahine mein (poore saal ke) Aa’mal Allah Subhanahu Wa Ta'ala ke samne Pesh kiye jate hain, Aur main Chahta hun ke mere Aa’mal is halat mein Pesh kiye jayen ke main Roze se hun."

[Urdu Ref :: Sunan an-Nasa’i :: Vol. 2 :: Hadith 268]

No comments:

Post a Comment