Friday, 22 December 2017

✦.......♥ Aalame Islam Ki Teen Azeem Masajid ♥.......✦

The  Messenger of Allah (ﷺ) said: “Do not prepare a mount (travel) to visit any mosque except three: the Sacred Mosque (Makkah), Aqsa Mosque (Jerusalem), and this mosque of mine (al-Madinah).”

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Book 5 :: Hadith 1410]

Urdu Translation: RasoolAllah (ﷺ) ka Farman Hai: “Teen Masjidon ki Taraf hi (Batore khaas Fazeelat) Safar Kiya Ja Sakta hai: Masjid Haram ki Taraf, Masjid Aqsa ki Taraf aur Meri is Masjid (Masjid Nabwi) ki Taraf.” (Sunan Ibn Majah: 1410)

✿ Masjd Haram: Is Mein Waqe Kabatullah Ruye Zameen ka Sab se Pehla Ibaadat khana hai aur Arbon Musalmanon ka Markaz aur Qibla hai.

✿ Masjid Aqsa: Ye Masjid Arze Philistine ki Mubarak Sar Zameen Mein Waqe hai, Musalmanon ka Pehla Qibla hai, RasoolAllah ﷺ ko Safar Meraj mein Sab se Pehle Yahin Laya Gaya tha, Jahan Aap ne Tamam Ambiya-e-Karam Alaihim As-Salaam ki Namaz mein Imamat ki thi.

✿ Masjid Nabwi: Hazrat Muhammad ﷺ ke Daste Mubarak se Tameer hui ye Masjid Aap ﷺ ke Hujra Mubarak ke Bilkul Sath Waqe hai aur Arbon Musalmanon ke Dilon ki Dhadkan hai.

❤️ Balayen Jab Bhi Mera Naam Leti Hain, Waldain Ki Duayen Mujhe Tham Leti Hain! ❤️

✦.....► Bolna Sab Ko Aata Hai, Bus: ◄.....✦

● Kisi ki Zuban Bolti hai,
● Kisi ka Dimagh Bolta hai,
● Kisi ka Ehsas o Jazba Bolta hai,
● Aur Kisi ka Akhlaq Bolta hai.
●◗► “Jis Se Us Ke Waldain Razi Nahin, Us Se Allah Bhi Razi Nahin… (Mafhoom Hadees).

●◗► Qayamat Ke Din ka Aik Sawal Ye Bhi Hoga: "Jawani Kin Kamon Mein Guzari?  (Jami` at-Tirmidhi: 2416)

❤️ Jab Wasta Aur Rabta Sirf Allah Se Jud Jaye To Dil Toota Nahin Karte ❤️

✦.....► Kachre Jaise Bekar Log Reh Jayenge! ◄.....✦

The Prophet (ﷺ) said, "The righteous (pious people will depart (die) in succession one after the other, and there will remain (on the earth) useless people like the useless husk of barley seeds or bad dates."

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 8 :: Book 76 :: Hadith 442, 6434]

Urdu Translation: RasoolAllah (ﷺ) ne Irshad Farmaya: “Naik Log Yeke Baad Deegar (Dunya se) Guzar Jayenge Aur un ke Baad Bhoose ya Khajoor ke Kachre ki Tarah Log Dunya mein Reh Jayenge Jin ki Allah Paak ko Zara bhi Parwah Na hogi.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 7 :: Hadith 6434]

🍁 Jab Nazar Andaz Karna Shuru Kar Diya Jaye To Kaho Nahin, Kinarah Karlo 🍁

●◗► Saas aur Sasur Kabhi Umr aur Kabhi Deegar Awariz ki Waja se Thode Sakht Mizaaj ho jate Hain, Naik Bahu Un ki Talkh Baten ye Soch kar Bardasht kar leti hai ke Ye Donon Us ke Shohar ki “Jannat” Hain.

● Agar Aulad ko “Tohfa” Na Diya Jaye to Wo Kuch Waqt Tak Royegi.

● Agar “Ilm o Fun” Na diya jaye to Wo Umr Bhar Royegi.

● Aur Agar “Deen” Bhi Na diya Jaye to Aakhirat ki Hamesha Hamesha ki Zindagi mein Rona Aulad ka Muqaddar hoga.

✦.....♥ Raat Ko Surah Waqi’ah Padh Lijiye!  ♥......✦
✦......♥ Ghar Mein Faqah Nahin Aayega! ♥......✦

Hazrat Abu Zabya Rahimahullahu Ta’ala kehte hain ke Hazrat Uthman bin Affan RadiyAllahu Anhu Hazrat Abdullah bin Mas’ud RadiyAllahu Anhu ke Marzul Wafaat mein un ki Iyadat ke liye Tashreef laye aur Farmaya: Aap ko kya Shikayat hai? Hazrat Abdullah bin Mas’ud RadiyAllahu Anhu ne Farmaya: Apne Gunahon ki Shikahayat hai, Hazrat Uthman RadiyAllahu Anhu ne Farmaya: Aap Kya Chahte hain ? Hazrat Abdullah bin Mas’ud RadiyAllahu Anhu ne Farmaya: Main apne Rab ki Rehmat Chahta hun, Hazrat Uthman RadiyAllahu Anhu ne Farmaya: Kya main Aap ke liye Tabeeb ko Na bulaun ? Hazrat Abdullah bin Mas’ud RadiyAllahu Anhu ne Farmaya: Tabeeb (Yani Allah) hi ne to Mujhe bimar kiya, Hazrat Uthman RadiyAllahu Anhu ne Farmaya: Kya Main Aap ke liye Baitul Maal se Atya (Wazeefa) na Muqarrar kardun? Hazrat Abdullah bin Mas’ud RadiyAllahu Anhu ne Farmaya: Mujhe is ki Zaroorat nahin, Hazrat Uthman RadiyAllahu Anhu ne Farmaya: Wo Wazeefa Aap ke baad Aap ki Betiyon ke Kaam Aayega, Hazrat Abdullah bin Mas’ud RadiyAllahu Anhu ne Farmaya: Kya Aap ko Meri Betiyon par Faqe ka Dar hai? Main Ne apni Betiyon ko Keh Rakha hai ke

“Jo Shaks Har Raat Surah Waqi’ah Padhega us Par Kabhi Faqah Nahin Aayega.” (Hayatus Sahaba: Jild 2: Safha: 772)

💖 Apni Biwi Ko Kabhi Bhi Dukh Na Den Kyun ke Biwiyon Ki Dunya Bahot Choti Hoti Hai, Apne Shohar Se Shuru Hoti hai Aur Shohar Par Hi Khatam Ho Jati Hai 💖

✦..► Jinsi Zindagi Ke Ahwaal Makhfi  Rakhne Ka Hukum! ◄..✦

Abu Sa'id al-Khudri (Allah he pleased with him) reported that Allah's Messenger (ﷺ) said: The most wicked among the people in the eye of Allah on the Day of judgment is the men who goes to his wife and she comes to him, and then he divulges her secret.

[Sahih Muslim :: Book 8 :: Hadith 3369, 1437]

Urdu Translation: Hazrat Abu Sa’id Khudri RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah (ﷺ) ne Irshad Farmaya: “Qayamat ke Din Allah Ta’ala ke Nazdeek Martabe ke Etebar Se Sab se Bad’tareen Shaks wo hoga jo Apni Biwi ke Paas Khalwat mein Jata hai aur wo us ke Paas Khalwat mein Aati hai Phir wo Shaks us ka Raaz (Yani Sohbat ki Baten aur Halaat) ifsha (Zaahir) kar deta hai.”

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 4 :: Hadith 3542, 3615]

●◗► Miyan Biwi Donon ke Liye Apni Jinsi Zindagi ki Baten aur Ahwaal Dost Ahbab aur Rishtedaron mein Bayan karna Haram aur Intehayi Na munasib, Nazeba, Sharmnaak aur Ghatya harkat hai Jis ka Tasawwur Aik ba Haya Musalman se Nahin ho sakta, Lekin Afsos! Ke Digar Be Hayayi ke Kamon ki Tarah ye Gunah bhi Aam hota Ja raha hai, Allah Subhanahu Wa Ta'ala Hamari Hifazat Farmaye. (Aameen)

🍃 Cheezon Ki Qeemat Milne Se Pehle Hoti Hai Aur Insanon Ki Qeemat Khone Ke Baad 🍃

✦........♥ 3 Betiyon Ki Parwarish  ♥........✦

The Prophet (ﷺ) said: If anyone cares for three daughters, disciplines them, marries them, and does good to them, he will go to Paradise.

[Sunan Abi Dawud :: Book 42, Hadith 5128, 5147]

Urdu Translation: Aap (ﷺ) ne Farmaya: “Jis Shaks ne Teen Betiyon ki Parwarish ki, Unhen (Husne Mua’shirat ka) Adab Sikhaya, Un ki Shadiyan Karayin aur Un ke Sath Ehsan ka Muamla kiya, To Us  Ke liye Jannat hai.

[Sunan Abu Dawood :: Vol. 3 :: Hadith 1704, 5147]

●════════════════◄►═══════════════●

Jabir ibn Abdullah RadiyAllahu Anhu reported: The Messenger of Allah, peace and blessings be upon him, said:

“Whoever has three daughters and he cares for them, he is merciful to them, and he clothes them, then Paradise is certainly required for him.”

It was said, “O Messenger of Allah ﷺ, what if he has only two?” The Prophet said ﷺ, “Even two.”

Some people thought that if they had said to him one, the Prophet ﷺ would have said even one. (Musnad Ahmad: 13835)

No comments:

Post a Comment