Tuesday 20 March 2018

✦....♥ Ghar, Rozgar aur Naik Biwi Hasil Karne Ki Dua! ♥....✦

Jab Hazrat Musa Alaihis Salam Madyan Tashreef Le Gaye to Un ke Paas Na Rehne ke Liye Ghar tha, Na koi Zariya Ma’aash aur Na hi Ahliya, Musa Alaihis Salam ne Aik Naik Aml kiya aur Saye Mein Baith kar ye Dua Mangi:

  رَبِّ إِنِّي لِمَا أَنْزَلْتَ إِلَيَّ مِنْ خَيْرٍ فَقِيرٌ

“Aye Mere Rab! Jo Khair o Bhalayi Bhi Aap Mujh Par Nazil Karden, Main us Ka Mohtaj Hun.” (Surah Al-Qasas: 24)

Us Dua ka Padhna tha ke Suraj Ghuroob Hone se Pehle Pehle Allah ne Unhen Ghar, Zariya Ma’ash aur Naik Biwi Ata Farmadi.

●◗► Lehaza Ghar, Zariya Ma’aash aur Shadi ke Khuaheshmand Hazraat Darje Bala Dua ko Pure Yaqeen ke Sath Padhne ka Ehtemam Farmayen!


🍁 Jab Koi Shaks Achanak Khamosh Ho Jaye, To Samajh Jana Chahiye Ke Wo Dard Chupate Chupate Bahot Thak Chuka Hai 🍁
✦...........♥ (Tail Bone) Reed ki Haddi ♥...........✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said: "The only thing in a man which would not decay would be one bone (the tailbone) from which the whole frame would be reconstituted on the Day of Resurrection."

[ Sahih Muslim :: Book 41 ,:: Hadith 7055, 2955]

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Ibn Adam (Ke Badan Ki Har Cheez) Ko Zameen Bosidah kar Dalegi Siwaye Ponch Ki Haddi ke, isi se Insan ko Banaya Gaya Aur isi se Insan ko Dobarah Uthaya Jayega.”

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 6 :: Hadith 7414]

Reedh ki Haddi ka Sab se Nichla Hissa “Ponch ki Haddi Ya Tail Bone” Kehlata hai, Jadeed Medical Science ne ye Sabit kiya hai ke Insan ki Maut kisi bhi Tarah Waqe ho ye Hissa Mahfooz Rehta hai, Baad Azaa Lakhon Saal Mitti mein Pade Rehne ke Bawajood bhi ye Hissa Bosidah Nahin hota, Shadeed Tareen Kimyawi Aag, Dhamake Aur Chot se bhi ye Hissa Mutassir Nahin hota, Insan ka Sab se Pehla Jinyati Code (Jis se Insan ki Takhleeq hoti hai) isi Hisse mein Mahfooz hai, Yahi Wajah hai ke is Ponch Ki Haddi (Tail Bone) se Insan ke Marne ke baad us ka Pura Bio Data Hatta ke Pasand o Na Pasand aur Ungliyon ke Poron ke Nishanat tak Maloom kiye ja Sakte hain.

●◗► Jadeed Science ki ye Tehqeeq Aaj se 1400 Saal Qabl Rasoole Akram  ﷺ Apni Ummat ke Samne Bayan Farma Chuke the.

😄 Ham Bhi Nikle Talashe Ishq Mein Apni Tanhayyon Se Ladkar, Par Sardi Bahot Thi, Chai Pikar Wapas Aagaye 😄

✦....► Nabi Akram ﷺ Ka “Qabr” Ko Dekh Kar Rona! ◄....✦

It was Narrated that Bara’ RadiyAllahu Anhu said: “We were with the Messenger of Allah (ﷺ) at a funeral, and he sat at the edge of the grave weeping, until the ground became wet. Then he (ﷺ) said: ‘O my brothers, prepare yourselves for something like this.’”

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 5 :: Book 37 :: Hadith 4195]

Urdu Translation: Hazrat Bara’ RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke Ham RasoolAllah ﷺ Ke Hamrah Aik Janaze Mein Shareek the, Aap ﷺ Qabr ke Kinare Baithe aur Itna Zyadah Roye ke (Aansuon se) Mitti Tar Ho Gayi, Phir Aap ﷺ ne Irshad Farmaya: “Aye Mere Bhaiyyon! Is Jaisi (Qabr) Ke Liye Tayyari Karlo!”

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 3 :: Hadith 1076, 4195]

💖 Aurat Ke Chehre Par Tamam Rang Mard Ki Wajah Se Aate Hain Chahe Wo Khushi Ke Hon Ya Gham Ke 💖
✦...► Bhook Bardasht Hai Magar Jahannam ki Aag Bardasht Nahin! ◄...✦

●◗► Salaf-e-Saliheen ke Zamane Mein Jab Mard Ghar se Kamane Ke Liye Nikalta tha to Ghar ki Khawateen use Kehti thin ke Haram Kamane se Bachna! Kyun ke ham Bhook Par to Sabr kar Sakte Hain Magar Dozakh ki Aag Par Sabr Nahin kar Sakte. (Mukhtasar Al-Manhaj Al-Muqdisi)

❤️ Jaib Khali Ho Phir Bhi Mana Nahin Karta, Baap Se Ameer Shaks Dekha Nahin Main Ne ❤️

✦...♥ Namaze Zohar Se Pehle aur Baad Mein 4 Rakat! ♥...✦

The Messenger of Allah (ﷺ) used to say: "Whoever prays four rak'ahs before Zuhr and four after, Allah, the Mighty and Sublime, will forbid him from the Fire."

[Sunan an-Nasa'i :: Vol. 2 :: Book 20 :: Hadith 1815, 1814]

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Jo Aadmi Zohar ki Namaz Se Pehle 4 Rakat Aur Zohar ke Baad 4 Rakat Ada Kare to Allah Ta’ala Us Par Jahannam ko Haram Farma Dete Hain.”

[Urdu Ref :: Sunan an-Nasa'i :: Vol. 1 :: Hadith 1820, 1814]

💖 Zindagiyan Aasan Kisi Ki Bhi Nahin Hoti Bus Apni Apni Adakari Hoti Hai, Koi Jhel Leta Hai Aur Kisi Mein Bardasht Karne Ki Taqat Khatam Ho Jati Hai 💖

✦.......► Dunyawi Zindagi Ka Dhoka! ◄.......✦

●◗► Soye Hue Shaks ko Bedaar Hote hi Pata Chal Jata hai ke Wo Khuab Dekh Raha tha, isi Tarah Insan ko Maut ke Aasar Tari Hote hi Pata Chal Jata hai ke Wo Faani Aur Aarzi Dunya Ke Dhoke aur Khuabon Mein Gum tha.

✦..........► Zalimon Ko Zulm Se Roko ◄..........✦

Allah's Messenger (ﷺ) said, "Help your brother whether he is an oppressor or an oppressed," A man said, "O Allah's Messenger (ﷺ)! I will help him if he is oppressed, but if he is an oppressor, how shall I help him?" The Prophet (ﷺ) said, "By preventing him from oppressing (others), for that is how to help him."

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 9 :: Book 85 :: Hadith 84, 6952]

Urdu Translation: Hazrat Anas RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai Ke  RasoolAllah ﷺ ne Farmaya:  “Apne Zalim Ya Mazloom Bhai ki Madad Karo, Aik Shaks ne Arz kiya: Ya RasoolAllah ﷺ! Mazloom ki Madad Karna to Samajh Mein Aata hai, Lekin Zalim ki kis Tarah Madad Karun? Aap ﷺ ne Farmaya: Zalim ko Zulm se Rok do, Yehi us ki Madad Hai.”

[Urdu Ref :: Sahih al-Bukhari :: Vol. 8 :: Hadith 6952]

🍁 Insan Ko Bhoolta Kuch Bhi Nahin Magar Kayi Baar Ye Zahir Zaroor Karna Padta Hai Ke Use Kuch Yaad Nahin 🍁
●◗► Quran Kareem se itni Doori Ekhtiyar na Karen ke Us Par Dhool Mitti ki Tah Jam Jaye! Log us Waqt Tak Khair o Bhalayi Par Qayem Rahenge Jab Tak Tilawat Quran ka Ehtemam Aur Quran Kareem Ko Mazbooti se Thame Rakhenge.

✦.......► Apne Gunahon Ko Bayan Na Karen! ◄.......✦

Narrated Abu Huraira: I heard Allah's Messenger (ﷺ) saying. "All the sins of my followers will be forgiven except those of the Mujahirin (those who commit a sin openly or disclose their sins to the people). An example of such disclosure is that a person commits a sin at night and though Allah screens it from the public, then he comes in the morning, and says, 'O so-and-so, I did such-and-such (evil) deed yesterday,' though he spent his night screened by his Lord (none knowing about his sin) and in the morning he removes Allah's screen from himself."

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 8 :: Book 73 :: Hadith 95, 6069]

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Meri Tamam Ummat ko Muaafi Mil Jayegi Siwaye khullam Khulla Gunah Karne Walon ke, Aur khullam khulla Gunah karne mein ye bhi Shamil hai ke Aik Shaks Raat ko koi (Gunah ka) Kaam kare Aur Bawajood ye ke Allah ne us ke Gunah ko Chupa diya tha Magar ye Subah hone par (logon ko) Batane lage ke Aye Fulan! Main ne Raat ko ye ye Gunah ke kaam kiye, Raat to is Halat mein Guzri thi ke us ke Rab ne us Par Pardah Rakha Lekin Jab Subah hui to Ye Khud Allah ke Parde ko Chaak karne Laga.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 7 :: Hadith 6069]

💖 Aik Parwah Hi Batati Hai Ke Khayal Kitna Hai, Warna Tarazu Nahin Hota Koi Rishton Mein 💖

✦.......► Zahiri Husn Ko Na Dekhen! ◄.......✦

●◗► Kisi ke Zahir ko Dekh kar Kabhi Koi Faisla Na Karen, Kyun ke Aag Dekhne Mein To Surkh (Laal) aur Shokh Hoti hai Lekin us ka Jalaya hua Siyah (Kaala) ho Jata hai.

✦.....♥ Sadiq o Ameen (ﷺ) Ki Jhoot Se Nafrat! ♥.....✦

Aishah RadiyAllahu Anha Narrated: "There was no behavior more hated to the Messenger of Allah (ﷺ)  than lying. A man would lie in narrating something in the presence of the Prophet (ﷺ), and he (ﷺ) would not be content until he knew that he had repented."

Urdu Translation: Hazrat Aishah RadiyAllahu Anha Farmati hain ke “RasoolAllah (ﷺ) ke Nazdeek Sab se Mabghooz Tareen Aadat Jhoot kit hi aur Jab koi Aadmi Aap (ﷺ)  ke Samne Jhoot bolta to Aap (ﷺ) us se Naraz ho Jate aur Ye Narazgi us Waqt tak Rehti Jab tak ke Aap (ﷺ) ko Ye na Maloom ho Jata ke us ne Jhoot se Taubah Karli hai.”

[Jami` at-Tirmidhi 1973 :: Vol. 4 :: Book 1 :: Hadith 1973, 1973]

==► Mabghooz - Qabile Nafrat.

🍁 Kuch Dard Aise Hain Jo Insan Ko Khamosh Kar Dete Hain 🍁

✦..........♥ Bakriyon Mein Barkat! ♥..........✦

The Prophet (ﷺ) said: "Keep sheep, for in them is blessing!'

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 3 :: Book 12 :: Hadith 2304]

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Bakriyan Pala Karo! Kyun Ke in Mein Barkat Hai.”

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 2 :: Hadith 461, 2304]

❤️ Agar Dil Mein Nafrat Ghussa Basaye Rakhoge to Baqi Bachi Khushiyon Ke Liye Bhi Koi Jaga Baqi Nahin Rahegi ❤️

✦......♥ Shadi Ke Liye Qabile Tarjeeh Cheez! ♥......✦

●◗► Aap ki Hone Wali Biwi Ya Aap ka Hone Wala Shohar Aap Ki Aane Wali Nasal ko Sanwar Bhi Sakta hai Aur Bigaad bhi Sakta hai, Lehaza Shadi Karte Waqt Ladki Ya Ladke ki Deen Daari aur Akhlaq Ko Dekhen! Daulat aur Husn Ko Nahin!
🌸 Main Aaj Bhi Shatranj Akela Khelta Hun Kyun ke Doston Ke Khilaf Chaal Chalna, Mujhe Aaj Bhi Nahin Aaya 🌸

✦....... -_- Nazar Taiz Karne ka Nabwi Nuskha  -_- .......✦

It was Narrated from Ibn 'Abbas RadiyAllahu Anhu that: The Messenger of Allah (ﷺ) said: "One of the best kinds of kohl that you use is Ithmid (antimony); it brightens the vision and makes the hair (eye-lashes) grow."

[Sunan an-Nasa'i :: Vol. 6 :: Book 48 :: Hadith 5116, 5113]

Urdu Translaiton: Hazrat Ibn Abbas RadiyAllahu Anhuma se Riwayat  hai ke Nabi Akram  ﷺ ne irshad Farmaya: "Bila Shuba Tumhare Surmon Mein Sab se Behtar Surma “Ismad” Hai Jo Nazar ko Taiz karta hai Aur (Palkon ke) Baal Ugata Hai."

[Urdu Ref :: Sunan an- Nasa'i :: Vol. 3 :: Hadith 1414, 5113]

🌸 Aasan Nahin Hota Samne Wale Ki Baat Seh Kar Ji Ji Kehna 🌸

No comments:

Post a Comment