Saturday 28 April 2018

✦..........♥ 13,14,15 Sha’ban ke Roze ♥..........✦

RasoolAllah ﷺ ne Ayyam Beez (Yani har Qamri Maah ki 13,14 aur 15 Tarikhon) ke Rozon ko zindagi bhar Roze rakhne ke Barabar Qarar diya hai, Ayyame Beez ke Roze har Qamri maah Mein Masnoon hain lekin Chunke Khususiyat ke sath Mahe Sha’ban mein Roze rakhne ke Fazayel bhi Ahadeese Mubarka mein warid hain, is liye Mahe Sha’ban mein Ayyame Beez ke Rozon ka aur zyadah Ehtemam karne ki zarurat hai.

Neez Maahe Sha’ban mein Ayyame Beez ke Roze Rakhne se aik Mukhtalif fiya Masle ka hal Nikal Aata Hai aur wo ye hai ke Baaz Hazraat khaas Pandhra Sha’ban ke Roze ko Masnoon samajhte hain, Jab ke Muhaqqiq Raye yahi hai ke khaas 15 Sha’ban ka Rozah Masnoon nahin, Lekin Agar kisi ko 15 Sha’ban ke Roze rakhne ka Shoq aur Walwala hai to wo Ayyame Beez ke roze Rakhle, 15 Sha’ban ka Rozah bhi is mein shamil ho jayega.

Is Hawale se Hazrat Mufti Taqi Usmani Sahab Damat Barkatuhum Aaliya Farmate hain: “Agar koi shaks in do Wajah se 15 Sha’ban ka Rozah rakhe, Aik is waja se ke ye Sha’ban ka din hai [aur maahe sha’ban ke Roze masnoon hain], Dusre is wajah se ke ye 15 Tareeq Ayyame Beez mein dakhil hai, Agar is Niyyat se Rozah rakh le to InshaAllah Muajjabe Ajr hoga, Lekin Khaas 15 tareekh ki khususiyat ke Lihaz se is Roze ko Sunnat Qarar dena Baaz Ulama ke Nazdeek durust Nahin.”

✦.....► Khawateen Ko Aag Se Hifazat Ki Aagahi Den! ◄.....✦

“Aik Khatoon Bawarchi Khane mein Gas ke Chulhe Par Khana Paka Rahi Thin, is Dauran Unhen Aik Laal Bag (Cockroach) Nazar Aaya Khatoon ne Fauran kide Marne Wali Spray uthaya aur Chulhe ke Qareeb Maujood (Cockroach) Par Spray kar diya, Phir kya tha, Aik Dhamaka sa hua Aur Khatoon Sho’lon ki Lapet mein Aagayin, Shohar ne Biwi ko Bachane ki koshish ki Jis ke Natije mein us ke Kapdon ne bhi Aag Pakad li, Khatoon 65% se Zayed Jal Gayin..” (Aik Afsosnak Khabar)

“Perfume, Kide Maar Adwayat aur Spray Wagherah mein Aatish Geer Mawad hota hai aur Pressure Packing ki wajah se Bawaqte istemal ye Intehayi Chote Bukharat ki Surat mein Phail jata hai, Us waqt use Bhadkane ke liye Aik Mamuli Chingari bhi Kafi hoti hai, Lehaza Khawateen ko Samjhaya Jaye ke is Tarah ki Chizon ko Chulhe, Heater ya Geyser Wagherah ke Atraf mein Hargiz istemal na Karen.”

🍁 Insan Jitna Bhi Mazboot Ban Jaye Us Ki Zaat Mein Koi Na Koi Gham Aisa Zaroor Hota Hai Jo Yaad Aane Par Aansu Ban Kar Aankhon Mein Taher Jata Hai 🍁

✦......► Khuabon Ki Dastanen Sunane Wale! ◄......✦

Allah's Messenger (ﷺ) said: "The worst lie is that a person claims to have seen a dream which he has not seen."

[Sahih Bukhari :: Vol. 9 :: Book 87 :: Hadith 167]

Urdu Translation: Nabi Kareem ﷺne Irshad Farmaya: "Sab se Bad’tareen Jhoot ye Hai Ke Insan Khuab Mein Aisi Cheez Ko Dekhne Ka Dawa Kare Jo Us ki Aankhon ne Na Dekhi ho."

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 8 :: Hadith 7043]

✦......♥ Dil Ki Islah Behad Zaroori Hai! ♥......✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said: “Beware! There is a piece of flesh in the body if it becomes good (reformed) the whole body becomes good but if it gets spoilt the whole body gets spoilt and that is the heart.”

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 1 :: Book 2 :: Hadith 50, 52]

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Sun Lo! Badan mein Aik Gosht ka Tukda hai, Jab wo Durust Hota Hai to Sara Badan Durust ho Jata hai Aur Jab wo Kharab hota Hai To Sara Badan Kharab ho Jata hai, Kaan Khol kar Sun Lo! Wo Gosht ka Tukda “Dil” Hai.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 1 :: Hadith 52]

🌺 Chote Chote Shikwon Se Bade Bade Rishte Kamzor Ho Jate Hain! 🌺

✦.......♥ Maahe Sha’ban (Month of Sha’ban) ♥.......✦

Usamah bin Zaid RadiyAllahu Anhu said: "I said: 'O Messenger of Allah, I do not see you fasting any month as much as Shaban.'

He (ﷺ) said: 'That is a month to which people do not pay much attention, between Rajab and Ramadan. It is a month in which the deeds are taken up to the Lord of the worlds, and I like that my deeds be taken up when I am fasting."'

[Sunan an-Nasa'i :: Vol. 3 :: Book 22 :: Hadith 2359, 2357]

●═══════════════◄►══════════════●

Urdu Translation: Hazrat Usamah bin Zaid RadiyAllahu Anhuma Farmate hain ke Main ne RasoolAllah ﷺ se Arz kiya: Ya RasoolAllah! Main ne Sha’ban se Zyadah kisi dusre Mahine mein Aap ko itne Ehtemam se Roze rakhte hue Nahin dekha?

Aap ﷺ ne Irshad Farmaya:

"Ye Aisa Mahina hai Jo Mahe Rajab aur Mahe Ramadan ke Darmiyan Mein Aata hai Aur log is se Ghaflat Baratte hain Halan ke is Mahine mein (Poore Saal ke) Aa’mal Allah Subhanahu Wa Ta'ala ke Samne Pesh Kiye jate hain, Aur main Chahta hun ke Mere Aa’mal is Halat mein Pesh kiye Jayen ke main Roze se hun."

[Urdu Ref :: Sunan an-Nasa’i :: Vol. 2 :: Hadith 268]

💖 Miyan Biwi Aik Dusre Ki Izzat Karen To Dusron Ko Kabhi Moqa Nahin Mil Sakta Ke Wo Donon Ke Darmiyan Darar Daal Saken 💖

Maah Ramadan Al-Mubarak Shuru Hone Mein Din Baqi Reh Gaye Hain! ► Ya Allah! Hamen Khair o Aafiyat ke Sath Maah Ramadan ki Baharen Naseeb Farma. Aameen.

✦.......► Rahe Haq Ki Rahnumayi ◄.......✦

The Prophet (ﷺ) said: “By Allah! If a single person embraces Islam at your hands (i.e. through you), that will be better for you than the red camels."

[Sahih Bukhari :: Vol. 4 :: Book 52 :: Hadith 192, 2942]

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ ne Hazrat Ali RadiyAllahu Anhu ko Mukhatab Kar ke Farmaya: “Allah ki Qasam! Agar Tere Zariye Allah Subhanahu Wa Ta'ala Aik Aadmi ko bhi Hidayat De den to Ye Tere Liye Surkh Oonton (Us Zamane ka Umdah Tareen Maal) se Behtar hai.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 2 :: Hadith 2942]

🌸 Jitna Zyadah Sochoge Utni Zyadah Azyat Mein Rahoge, Ya To Apne Aap Ko Mazboot Karlo Ya Masroof Karlo 🌸

✦.....♥ Sha’ban Mein Ramadan Al-Mubarak ki Tayyari! ♥.....✦

●◗► Sha’ban ke Tezi se Guzarte din Ramadan Al-Mubarak ki Tayyari ke Liye bahot badi Ghanimat hain, Dunyawi kamon ke liye ham Raat din aik kar dete hain, Agar Ramadan ki tayyari ke liye Abhi se Tag o Dun shuru Kardi Jaye to Aane wala Ramadan hamare Liye kayi Guna Zyadah Mufeed aur Ruhani Taraqqi ka Sabab ban Sakta hai, Sha’ban ke ye Ayyam Aam dinon ki Tarah na Guzaren, Ye bahot Qeemti ayyam hain, Har aane Wala din Hamen Ramadan Al-Mubarak ko Qeemti Banane ke Naye Mawaqe Faraham kar Raha hai.

✿ Bahot se Allah wale Ramadan Al-Mubarak khatam hone ke Baad us ki Barkaton ka Tazkerah karte karte 6 Maah Guzar dete aur Phir ye Duayen Mangte ke Inhen Mazeed 6 Maah aur Aane wala Ramadan Naseeb ho jaye, Andazah Lagayen ke Allah Walon ko Ramadan ki Aamad ka kis Shiddat se intezar Hota tha.

Allah Subhanahu Wa Ta'ala Ramadan Al-Mubarak ki Abhi se Tayyari karne ki hamen Toufeeq Marhamat Farmaden. (Aameen)

●◗►"Masroof Zindagi Mein Aik Waqt ki Namaz ke Liye Waqt Nikalna Mushkil hai, Lekin Jo Shaks Panch Waqta Namazon ke Liye Waqt Nikal le to ye Namazen us Ki Masroof Zindagi ko Sahal aur Aasan Bana Deti Hain."

No comments:

Post a Comment