Friday, 8 May 2020



✦..... Rozah o Quran Majeed Roze Mehshar Shifa’at Ka Zariya .....✦

Narrated Abd-Allah ibn ‘Amr RadiyAllahu Anhu that the Messenger of Allah (ﷺ) said: "Fasting and the Quran will intercede for a person on the Day of Resurrection.

► Fasting will say, ‘O Lord, I deprived him of his food and his desires during the day, so let me intercede for him.’

► And the Quran will say: ‘I deprived him of his sleep at night so let me intercede for him.’ Then they will intercede."

[Musnad Ahmad :: Hadith 6626, Saheeh al-Jami’ :: No 3882]

Urdu Translation: Hazrat Abdullah bin Amr RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: "Qayamat ke din Rozah Aur Quran Majeed Bande ki Shifa’at Karen ge.

► Rozah Kahega: Aye Mere Rab! Main ne is ko Din Bhar Khane Pine Aur Khuaheshat se Roke Rakha, Tu is ke Haq mein Meri Shifa’at Qubool Farma.

► Aur Quran Majeed Kahega: (Aye Rab!) Main ne ise Raat ko Sone Se Roke Rakha, Tu is ke Haq mein Meri Sifarish Qubool Farma. Pus donon ki Shifa’at Qubool karli Jayegi."

[Musnad Ahmad :: Hadith 6626]



Eid Ki Khushiyon Se Mahroom Bacchon Ki Abhi Se Fikr Karen!


✦.......... Allah Ki S han 4 Sala Hafize Quran! ..........✦

Lebanon Ke Tareekhi Shaher Tripoli Se Talluq Rakhne Wale Mus’ab Ne Sirf Char Saal Ki Umr Mein Quran Kareem Mukammal Hifz Karne Ka Ayzaz Hasil Karliya Hai Jo Aik Aalami Record Hai.

Al-Jazeera TV Ne Mus’ab Nami Is Bacche Par Pure 51 Minute Ki Report Nashar Ki Hai, Mus’ab Ki Badi Bahen Zainab Ne Bhi Mahez Panch Saal Ki Umr Mein Quran Kareem Hifz Karne Ka Ayzaz Hasil Kiya Hai.



✦....... Tarbooz (Watermelon) Garmi Ka Tod .......✦

Narrated Aisha, Ummul Mu'minin RadiyAllahu Anha: The Messenger of Allah (ﷺ) used to eat melon with fresh dates, and he used to say: "The heat of the one is broken by the coolness of the other, and the coolness of the one by the heat of the other."

[Sunan Abu Dawood :: Book 27 :: Hadith 3827, 3836]

Urdu Translation: Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha Farmati Hain Ke Nabi Kareem ﷺ Tarbooz Ko Tar Khajoor Ke Sath Mila Kar Khaya Karte The Aur Farmaya Karte The: "Ham Khajoor Ki Garmi Ko Tarbooz Ki Thandak Se Aur Tarbooz Ki Thandak Ko Khajoor Ki Garmi Se Tod Te Hain."

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 3 :: Hadith 435]





✦.....► Asal Miskeen Talash Kar Ke Us Ki Madad Karen! ◄.....✦

The Prophet (ﷺ) said: "The poor person is not the one who asks a morsel or two (of meals) from the others, but the poor is the one who has nothing and is ashamed to beg from others."

Urdu Translation: RasoolAllah (ﷺ) Ne Irshad Farmaya: “Miskeen Wo Nahin Jise Aik Do Luqme Dar Dar Phirayen (Yani Wo Aik Do Luqmon Ke Liye Dardar Mangta Phire), Balke Miskeen To Wo Hai Jis Ke Paas Zaruriyat Puri Karne Ke Liye Maal Na Ho Aur Use Sawal Se Sharm Aati Ho Ya Wo Logon Se Chimat Kar Na Mangta Ho.”

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 2 :: Book 24 :: Hadith 554,1476]



✦.......... Ramadan Mein Sadaqah o Khairat ..........✦

Anas RadiyAllahu Anhu narrated that :The Prophet was asked "Which charity is best?" He (ﷺ) said: "Charity in Ramadan."

Urdu Translation: Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Anhu Farmate Hain Ke Huzoor Akram ﷺ Se Pucha Gaya: Konsa Sadaqah Afzal Hai? Aap ﷺ Ne Farmaya: “Ramadan Al-Mubarak Mein Sadaqah Karna Afzal Hai.”

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Book 2 :: Hadith 663, 663]


●◗► Maali Halaat Jaise Bhi Hon, Apne Ghar Mein Aik Sadaqah Box Banalen, Phir Chahe Aik Rupya Hi Kyun Na Ho, Rozana Hasbe Toufeeq Us Mein Dalte Rahen, Aur Maah Ke Aakhir Mein Jama Shudah Raqam Kisi Mustahiq Ko Izzat o Waqar Ke Sath Pesh Karden Aur Phir Maali Kushadgi, Qalbi Itminaan Aur Har Mua’mle Mein Sahulat o Aasani Ka Apni Aankhon Se Mushahedah Karen.


✦...... Ramadan Al-Mubarak Ki Baharen! ......✦

❶ Ramadan Al-Mubarak Mein Jahannam ke Darwaze band Kar diye Jate hain.
❷ Jannat ke Darwaze khol diye Jate hain.
❸ Sarkash Shayateen Qaid kar diye Jate hain.
❹ Ramadan Al-Mubarak Nuzoole Quran ka Mahina hai.
❺ Ramadan Al-Mubarak ke Roze Farz Qarar diye gaye.
❻ Ramadan Al-Mubarak mein ibadaat ka Ajr kayi Guna badha diya jata hai.
❼ Ramadan Al-Mubarak mein Umrah ka Sawab Hajj ke Barabar hai.
❽ Ramadan Al-Mubarak mein iftari ke Waqt aur har Raat ko Allah Ta’ala apne Bandon ko Jahannam se Aazad farmate hain.
❾ Ramadan Al-Mubarak mein Lailatul Qadr ki Aik Raat hai jo Hazaar Mahinon se Afzal hai.
❿ Ramadan Al-Mubarak, Muafi, Rehmat, Maghfirat aur Jahannam se Aazadi ka Mahina hai.




✦............. Khajoor Ya Pani Se Iftari .............✦

The Prophet ﷺ said: "When one of you breaks his fast, then let him do so with dried dates. And whoever does not find dates, then water, for it is purifying."

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2, Book 3, Hadith 695 , 695]

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jab Tum Mein Se Koi Shaks Rozah Iftar Kare To Use Chahiye Ke Wo Khajoor Se Iftar Kare Kyun Ke Khajoor Ba’ise Barkat Hai, Aur Agar Koi Shaks Khajoor Na Paye To Pani Se Iftar Kare Kyun Ke Pani Paak Karne Wala Hai.”

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 672, 695]




✦ Mahe Ramadan Mein Be Loos Khidmat Karne Par ✦
✦........ Ghar Ki Khawateen Ka Shukriya! ........✦

✿ Har Us Waldah Ka, Har Us Biwi Ka, Har Us Bahen Ka Aur Har Us Beti Ka Dil Ki Gehraiyyon Se Shukriya, Jo Sehri o Iftari Ke Auqat Mein Pure Gharane Ki Khidmat Kar Rahi Hain.

●◗► Yaqinan in Sab Khawateen Ko Sehri o Iftari Ke Auqat Mein Khasi Mushkilat Ka Samna Karna Pad Raha Hai, Lekin Ye Isteqamat Ke Sath Apni Khidmaat Sar Anjam Dene Mein Masroof Reh Kar Allah Ke Khazanon Se Azeem ul-Shan Ajr o Sawab Hasil Karti Rahen, Allah Rabbul izzat in Tamam Khawateen Ko Barkaton Aur Khushiyon Se Nawaze Aur in Ki Kamil Maghfirat Farmade. (Aameen)




✦..... Sehri Mein Khajoor Ka Istemal Sunnat Bhi Ghizaiyat Bhi ....✦

The Prophet (ﷺ) as saying: How good is the believers meal of dates shortly before dawn.

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Momin ki Behtareen Sehri Khajoor hai.”

[Sunan Abi Dawud :: Book 13 :: Hadith 2338, 2345]





✦.....► Rozah, Fuzul Baton Se Bachne Ka Naam Hai! ◄.....✦

RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Rozah Sirf Khane Pine Se Rukne Ka Naam Nahin Balke Rozah To Ye Hai Ke Laghu Aur Behudah Baton Se Bacha Jaye Aur Agar Koi Tum Se Galam Galoch Kare Aur Jihalat Par Utar Aaye To Us Se Kehdo Ke Main Roze Se Hun.” (Mustadrak Al-Hakim:1570)




✦......... Rozah Daron Ka Khaas Aizaz .........✦

Narrated Sahl bin Sa`d RadiyAllahu Anhu: The Prophet (ﷺ) said: "Paradise has eight gates, and one of them is called Ar-Raiyan through which none will enter but those who observe fasting."

[Sahih Bukhari :: Vol. 4 :: Book 54 :: Hadith 479, 3257]

Urdu Translation: Hazrat Sahl bin Sa`d RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah (ﷺ) ne Irshad Farmaya: "Jannat ke 8 Darwaze hain Jin mein se Aik Darwaze ka Naam "Rayyan" hai, is darwaze se sirf Rozah daar hi dakhil honge."

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 4 :: Hadith 3257]




✦...... Dil Khol Kar Sadqah Karen ......✦

Narrated Asma: The Prophet (ﷺ) said to me, "Do not withhold your money, (for if you did so) Allah would withhold His blessings from you." The Prophet (ﷺ) said: "Do not withhold your money by counting it (i.e. hoarding it), (for if you did so), Allah would also withhold His blessings from you."

Urdu Translation: Hazrat Asma RadiyAllahu Anha Farmati Hain Ke RasoolAllah ﷺ Ne Mujh Se Irshad Farmaya: “Khairat Ko Mat Rok Warna Tera Rizq Bhi Rok Diya Jayega Aur Ginne Na Lag Jana Warna Allah Ta’ala Bhi Tumhen Gin Gin Kar Dega.”

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 2 :: Book 24 :: Hadith 513, 1433]




✦......... Roze Ki Halat Mein Miswak .........✦

Narrated 'Amir bin Rabi`a RadiyAllahu Anhu: "I saw the Prophet (ﷺ) cleaning his teeth with Siwak while he was fasting so many times as I can't count."

(Sahih Bukhari, Chapter: Siwak for the person observing Saum (fast))

Urdu Translation: Hazrat Amir Bin Rabi’a RadiyAllahu Anhu Farmate Hain Ke: “Main ne RasoolAllah ﷺ Ko Roze ki Halat Mein (itni Martaba) Miswak Karte Dekha ke Main na Gin Sakta hun Aur Na Shumar kar Sakta hun.”

(صحيح البخاري باب سِوَاكِ الرَّطْبِ وَالْيَابِسِ لِلصَّائِمِ)




✦......... Iftari Ke Baad Masnoon Dua .........✦

Narrated Ibn Umar RadiyAllahu Anhu: That the Prophet (ﷺ) said when he broke his fast:

" ذَهَبَ الظَّمَأُ وَابْتَلَّتِ الْعُرُوقُ وَثَبَتَ الأَجْرُ إِنْ شَاءَ اللَّهُ "
Dhahab-aẓ-ẓama’u, Wabtallat-il-‛urooqu, Wa thabat-al-Ajru In shaa’ Allaah

Thirst has gone, the arteries are moist, and the reward is sure, if Allah wills.”

[Sunan Abi Dawud :: Book 13 :: Hadith 2350, 2357]

●════════════════◄►═══════════════●

Urdu Translation: Hazrat Ibn Umar RadiyAllahu Anhuma Farmate hain ke Nabi Kareem ﷺ Jab Iftari Tanawul Farmalete to ye Dua Padhte:

" ذَهَبَ الظَّمَأُ وَابْتَلَّتِ الْعُرُوقُ وَثَبَتَ الأَجْرُ إِنْ شَاءَ اللَّهُ "
Dhahab-aẓ-ẓama’u, Wabtallat-il-‛urooqu, Wa thabat-al-Ajru In shaa’ Allaah

“Pyaas bujh Gayi aur Ragen tar Hogayin aur Allah ke Hukum se Ajr Sabit ho Gaya.”

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 2 :: Hadith 585]




✦…..► “Mahwari” Mein Mahe Ramadan Se Istefadah! ◄…..✦

Bahot si Khawateen Ramadan mein aur Bilkhusoos Aakhir Ashre mien “Mahwari” Shuru ho Jane se Sakht Zahni koft ka Shikar ho jati hain aur ye Soch soch kar Pareshan hoti hain ke Ab Aakhir Ashre ki Ibadaat, Taaq Raaton aur Laylatul Qadr ka kya bane ga?

Aisi Tamam Khawateen Darj Zail ❸ Nukati Agende pe Aml paira ho kar Laylatul Qadr Samait Aakhri Ashre ki Barkaat se Istefadah kar Sakti hain:

❶ Niyyat ki Durustgi: Khuloos Niyyat ke sath ye Soche ke ye Sharyi Uzr Allah ki taraf se hai aur Agar ye Uzr na hota to Main Behtareen Andaz mein Ibadat mein Mashghool ho kar apne Rab ko razi karti, is Acchi Niyyat aur irade par Maqbool ibadaat ka InshaAllah Ajr o Sawab milega, Nabi Akram ﷺ ne Ghazwah Tabuk ke moqe par Irshad Farmaya ke kuch log Madina mein hamare piche Reh gaye hain Lekin ham kisi bhi Ghati ya Wadi mein (jihad ke liye) Chalen to wo Sawab mein Hamare sath hote hain, Phir Aap ﷺ ne Irshad Farmaya ye wo log hain jo Uzr ki Waja se Hamare sath Shareek nahin ho Sake. (Sahih Bukhari: 2839)

❷ Ibadaat karne Waliyon ke Sath Ta’awun: Aisi khawateen ibadaat, Taraweeh aur Tahajjud mein Masroof ghar ki Digar khawateen ke sath Ta’awun kar ke un ki ibadaat ke Barabar Ajr o Sawab hasil kar sakti hain, Ye Ta’awun un ke Kaam nimta kar, un ke liye Sahri o Iftari Tayyar kar ke, un ke Bacche Sambhal kar aur Digar tariqon se Kiya ja sakta hai.

❸ Zikr Azkar aur Duaon mein Mashghuliyat: Napaki ki Halat mein har Ibadat Mamnoo Nahin hoti Balke Zikr Azkar aur Duayen Mangi ja sakti hain, Lehaza Aisi Tamam Khawateen ibadaat se bilkul kinarah Kashi Ekhtiyar na kare Balke zikr Azkar, Durood Shareef, Shabe Qadr ki Masnoon dua aur Digar duaon mein Mashghool reh kar Aakhir Ashre, Taaq Raton aur Shabe Qadr ki Barkaat Hasil karne ki koshish Karen.




✦.......► Iftari Ke Waqt Sadah Mashrubaat! ◄.......✦

Doctor’s Ka Kehna Hai Ke Iftar Ke Waqt Gas Wale Mashrubaat Jaise: Pepsi, Coke, 7up Wagherah Peene Se Ehtiyat Barten, Medical Tehqeeq Ke Mutabiq Gas Wale Mashrubaat Ke Istemal Se Gurde Ko Nuqsan Pahochne Ka Sakht Andesha Hai, Lehaza Iftari Ke Waqt Sadah Pani Ya Sadah Mashrubaat Istemal Karen, Cold Drink Hargiz Istemal Na Karen.




✦.... Iftari Ke Waqt Jahannam Se Chutkare Ka Parwana ....✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said: “At every breaking of the fast Allah has people whom He frees (from the Fire), and that happens every night.”

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Book 7 :: Hadith 1643]

Urdu Translation: Nabi Akram ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Allah Rabbul Izzat Ke Han Har Iftar Ke Waqt Logon Ki Aik Ta’dad (Jahannam Se) Aazad Ki Jati Hai, Aur Aisa (Ramadan Al-Mubarak Ki) Har Raat Ko Hota Hai.”

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Hadith 1643]

●◗► Ya Allah! Hamen Bhi Iftari Ke Waqt Jahannam Se Chutkara Naseeb Farmade. (Aameen)





✦.......► Roze ki Halat Mein Muhtat (Ehtiyat) Wudu ◄.......✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said: "Perform Wudu well, and go between the fingers, and perform Istinshaq (water sniffed up in the nose) extensively except when fasting."

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Book 3 :: Hadith 788]

Urdu Translation: Nabi Kareem ﷺ Ne Irshad Farmaya: "Wuzu Ko Acchi Tarah Se Karo Aur Ungliyon Ka Khilal Karo Aur Naak Mein Bhi Acchi Tarah Se Pani Dalo Han Magar Jab Tum Roze Ki Halat Mein Ho (To Phir Naak Mein Pani Dalte Hue Ehtiyat Karo)."

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Hadith 766]





✦.......► Pehle Iftar, Phir Namaze Maghrib! ◄.......✦

Hazrat Anas RadiyAllahu Anhu Farmate Hain: Main Ne RasoolAllah ﷺ Ko Kabhi Nahin Dekha Ke Aap ﷺ Ne Rozah Iftar Karne Se Pehle Namaze Maghrib Padhi Ho, Agarche (Iftar) Pani Ka Aik Ghoont Pikar Ho.(Sahih Ibn Hibban:3504)




✦……..► Sehri Zaroor Karen! ◄……..✦

Abdullah ibn ‘Amr (RadiyAllahu Anhu) said that the Messenger of Allah ﷺ said: “Make Suhoor even if it just with a sip/gulp of water”. [Sahih Ibn Hibbaan: 3476]

Urdu Translation: Hazrat Abdullah bin Amr RadiyAllahu Anhuma se Riwayat hai ke RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Sehri Zaroor karo! Agarche Aik Ghoont Pani hi Se kyun na ho.” [Sahih Ibn Hibbaan: 3476]





✦.... Bacchon Ko Rozah Rakhne Ki Mashq Karwayyen! ....✦

Narrated Ar-Rubi' bint Mu'awadh RadiyAllahu Anha: "The Prophet (ﷺ) sent a messenger to the village of the Ansar in the morning of the day of 'Ashura' (10th of Muharram) to announce: 'Whoever has eaten something should not eat but complete the fast, and whoever is observing the fast should complete it.' "She further said, "Since then we used to fast on that day regularly and also make our boys fast. We used to make toys of wool for the boys and if anyone of them cried for, he was given those toys till it was the time of the breaking of the fast."

Urdu Translation: Rubi’ Bint Mu’awadh RadiyAllahu Anha Farmati Hain Ke Ashura Ki Subah Aan Hazrat ﷺ Ne Ansar Ke Muhallon Mein Kehla Bheja Ke “Jis Ne Subah Ko Kha Pi Liya Ho Wo Din Ka Baqi Hissa (Rozah Daar Ki Tarah) Pura Kare Aur Jis Ne Kuch Khaya Piya Na Ho To Wo Roze Se Rahe.” Rubi’ RadiyAllahu Anha Farmati Hain Ke Phir Baad Mein Bhi Ham Us Din Rozah Rakhte Aur Apne Bacchon Se Bhi Rakhwate, Bacchon Ko Ham Oon Ka Khilona Dekar Behlaye Rakhte, Jab Koi Khane Ke Liye Rota To Wahi Khilona De Dete, Yahan Tak Ke Iftar Ka Waqt Ho Jata.

[Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Book 31 :: Hadith 181, 1960]

●◗► Bukhari Shareef Ke Sharah Hafiz Ibn Hajar Rahimahullah Farmate Hain: “Ye Hadees Bacchon Ko Roze Ki Mashq Karwane Ke Mashroo’ Hone Ki Wazeh Daleel Hai.” (Fath al Bari: Safah: 201:Juz. 4)





✦.......... Iftar Mein Takheer Na Karen ..........✦

The Messenger of Allah ﷺ said: "Allah, Mighty and Sublime is He, said: 'Those of My worshippers who are most beloved to me are the quickest to break their fast.'"

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Book 3 :: Hadith 700]

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Allah Ta’ala ka Irshad hai: “Mere Han Mere Bandon mein Mahboob Tareen wo (Rozah Daar) Hai Jo (Waqt ho Jane ke Baad) Iftari karne Mein Jaldi Kare.”

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. :: Hadith 677, 700]




✦......► Roze Mein Bhool Kar Khana Peena ◄.......✦

The Prophet (ﷺ) said: "If somebody eats something forgetfully while he is fasting, then he should complete his fast, for Allah has made him eat and drink."

[Sahih Bukhari :: Vol. 8 :: Book 78 :: Hadith 662, 6669]

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: "Jo Shaks Rozah Ki Halat Mein Bhool Kar Khaye (Piye) Use Apna Rozah Mukammal Karna Chahiye, Kyun Ke Allah Subhanahu Wa Ta'ala Ne Hi Use Khilaya Aur Pilaya."

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 8 :: Hadith 6669]





✦........ Roze Ke Ruhani Fawayed ........✦

Roze Ki Halat Mein Halal o Pakizah Cheezon Se Bachne Ki Wajah Se Sara Saal Haram Cheezon Se Bachne Ki Salahiyat Insan Mein Paida Hoti Hai Aur Isi Ka Naam Taqwa Hai.

Aam Dinon Mein Allah Ki Nematon Ka Ehsas Nahin Hota Lekin Jab Insan Rozah Rakh Kar Sara Din Bhook Aur Pyaas Bardasht Karta Hai Aur Phir Iftar Ke Waqt Allah Ki Nematon Se Mustafeed Hota Hai To Rooh Aur Badan Ka Ruwan Ruwan Allah Ki Nematon Ke Ehsas Aur Shukr Guzari Mein Doob Jata Hai.

Rozah Rakhne Se Haram Lazzaton Ki Talab Aur Un Ki Taraf Dhyan Khud Ba Khud Kam Ho Jata Hai Jis Ki Wajah Se Saal Bhar Nafs Ki Shahwat Aur Haram Lazzaton Par Qabon Pana Insan Ke Liye Aasan Ho Jata Hai.

Rozah Rakhne Aur Bhook o Pyaas Bardasht Karne Se Allah Ke Hukum Par Apna Sab Kuch Qurban Karne Ka Jazba Paida Hota Hai.

Roze Mein Bhook Bardasht Karne Se Insan Ko Bhook Ki Takleef Ka Ehsas Hota Hai, Jis Ki Wajah Se Us Ke Dil Mein Ghurba Aur Masakeen Se Hamdardi Paida Hoti Hai Aur Wo Allah Ki Raah Mein Dil Khol Kar Apna Maal Kharch Karne Par Aamadah Ho Jata Hai.





✦........ Rozah Rakhne Mein Hi Khair! ........✦

⇨ “Aur Tumhara Rozah Rakh lena Tumhare Liye Behtar Hai Agar Tumhen Samajh Ho.” (Al-Quran, Surah Al-Baqarah: 184)

⇨ “And that you fast, it is better for you if only you know.” (Al-Quran, Surah Al-Baqarah: 184)





✦......... Mahe SiyamWo Qiyam Ki Aamad .........✦
✦.... Mahe Ramadan 1441 Hijri Mubarak Ho! ....✦

Allah Subhanahu Wa Ta'ala Hamen is Ramadan Al-Mubarak Ke Liye Salamat Rakhe Aur is Ko Hamare Liye Salamat Rakhe, Aur is Ba Barkat Maah Ke Rozon Samait Hamari Tamam Ibadaat Ko Apni Bargaah Mein Sharfe Qubuliyat Ata Farmaye, Aur ise Tamam Alame Islam Ke Rehmat o Maghfirat Ka Zariya Banaye. Aameen





✦.... Ramadan Ka Mubarak Mahina Saya Fugan Hai! ....✦

"The Messenger of Allah ﷺ said: 'There has come to you Ramadan, a blessed month, which Allah, the Mighty and Sublime, has enjoined you to fast. In it the gates of heavens are opened and the gates of Hell are closed, and every devil is chained up. In it Allah has a night which is better than a thousand months; whoever is deprived of its goodness is indeed deprived."'

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Tum Par Ramadan Ka Mubarak Mahina Aaya Hai Jis Mein Allah Ta’ala Ne Roze Farz Kiye Hain, Is Mahine Mein Aasman (Yani Jannat) Ke Darwaze Khol Diye Jate Hain, Jahannam Ke Darwaze Band Kar Diye Jate Hain Aur Sarkash Shayateen Qaid Kardiye Jate Hain, Is Mein Allah Ki Taraf Se Aik Raat (Shabe Qadr) Hai Jo Hazar Mahinon Se Behtar Hai, Jo Is Raat Ki Khair o Bhalayi Se Mahroom Raha Wo Haqiqat Mein Bada Mahroom Hai.”

[Sunan an-Nasa'i :: Vol. 3 :: Book 22 :: Hadith 2108, 2106]




●◗► Koi To Jurm Tha Jis Mein Sabhi Mulawwis Hain, Tabhi To Har Shaks Muh Chupaye Phirta Hai, Ya Arhamar Rahimeen! Hamen Nadamat Ke Sath Sacchi Tauba Karne Ki Toufeeq Marhamat Farmade! Aameen





✦... Sarkar Do Aalam ﷺ Ka Ramadan Al-Mubarak Ke Intezar Mein Din Ginna...✦

Narrated Aisha, Ummul Mu'minin RadiyAllahu Anha: "The Messenger of Allah (ﷺ) used to count the days in Sha'ban in a manner he did not count any other month; then he fasted when he sighted the new moon of Ramadan; but if the weather was cloudy he counted thirty days and then fasted."

[Sunan Abi Dawud :: Book 13 :: Hadith 2318, 2325]

Urdu Translation: Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha Farmati Hain Ke "RasoolAllah ﷺ Sha'ban (Ki Tareekhen Yaad Rakhne) Ka Jis Qadar Ehtemam Farmate Itna Kisi Dusre Mahine Ki Tareekhon Ka Nahin (Kyun Ke Sha’ban Ke Ekhtetam Par Ramadan Ke Aagaz Ka Madar Hai) Phir Jab Ramadan Ka Chand Nazar Aata To Roze Rakhte, Aur Agar Matla’a Abar Aalood Hone Ki Wajah Se (29 Shaban Ko) Chand Nazar Na Aata To (Sha'ban Ke) 30 Din Poore Farmate Aur Phir Roze Rakhte."

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 2 :: Hadith 555, 2327]




✦..... Jismani Dard Se Najat Ka Nabwi Nuskha .....✦

Uthman b. Abu al-'As Al-Thaqafi RadiyAllahu Anhu reported that he made a complaint of pain to Allah's Messenger (ﷺ) Thereupon Allah's Messenger (ﷺ) said:

Place your hand at the place where you feel pain in your body and say Bismillah (in the name of Allah) three times and seven times

أَعُوذُ بِاللَّهِ وَقُدْرَتِهِ مِنْ شَرِّ مَا أَجِدُ وَأُحَاذِرُ ‏"

A'udhu billahi wa qudratihi min sharri ma ajidu wa uhadhiru (I seek refuge with Allah and with His Power from the evil that I find and that I fear).

[Sahih Muslim :: Book 26 :: Hadith 5462, 2202]

●═══════════════◄►═══════════════●

Urdu Translation: Hazrat Uthman bin Abu al-'Aas RadiyAllahu Anhu ne Apne Jism Mein Dard Ki Shikayat Ki, RasoolAllah ﷺ Ne Un Se Irshad Farmaya:

"Apne Jism Ki Dard Wali Jagah Par Hath Rakh Kar Teen Martaba Bismillah Padho Phir 7 Martaba Ye Dua Padh Lo:

أَعُوذُ بِاللَّهِ وَقُدْرَتِهِ مِنْ شَرِّ مَا أَجِدُ وَأُحَاذِرُ ‏"

A'udhu billahi wa qudratihi min sharri ma ajidu wa uhadhiru (Tarjumah: Main Allah Ke Jalal Aur Us Ki Qudrat Ki Panah Talab Karta Hun Is Bimari Ke Shar Se Jo Mujhe Is Waqt Lahaq Hai Aur Jis ke Aayinda Hone Ka Khadsha Hai)."

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 5 :: Hadith 5737, 5867]





✦............. Ginti Ke Chand Din .............✦

●◗► Maahe Ramadan, Badi Tamannaon Aur Intezar Ke Baad Aata Hai Magar Phir Badi Sar’at Aur Tezi Se Guzar Jata Hai, Paak Hai Wo Zaat Jis Ne Apni Kitab Quran Majeed Mein Maahe Siyam Yani Maahe Ramadan Ka Zikre Khair أَيَّامٍ مَّعْدُودَاتٍ “Ginti Ke Chand Din” Se Farmaya.

Ya Arhamar Rahimeen! Maahe Ramadan Ki Barkat Se Hamen, Hamare Waldain, Hamari Aulad Aur Tamam Ummate Muslima Ko Jahannam Se Chutkara Ata Farmade. (Aameen)




✦...........► Coronavirus Se Hifazat Ke Liye ◄...........✦
✦..... Ghar Se Nikalte Waqt Ye Dua Padhen .....✦

بِسْمِ اللَّهِ تَوَكَّلْتُ عَلَى اللَّهِ لاَ حَوْلَ وَلاَ قُوَّةَ إِلاَّ بِاللَّهِ
(Bismillāh, tawakkaltu `alallāh, lā ḥawla wa lā quwwata illā billāh)

Allah Ka Naam Lekar (Nikalta Hun), Main Ne Allah Par Bharosa Kiya, Allah Ke Baghair (Kisi Shar Se Bachne Ya Kisi Khair Ko Karne Ki) Koi Taqat o Quwwat Nahin)

RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya: "Jo Shaks Apne Ghar Se Nikalte Waqt Ye Dua Padhta Hai To Us Se Kaha Jata Hai: “Tumhen Hidayat Dedi Gayi, Tumhari Kifayat Kardi Gayi, Tumhari Hifazat Kardi Gayi, Aur Shaitan Us Se Door Ho Jata Hai." (Jami` at-Tirmidhi: 3426)

●════════════════◄►═══════════════●

The Messenger of Allah (ﷺ) said: “Whoever says – that is: when he leaves his house – ‘In the Name of Allah, I place my trust in Allah, there is no might or power except by Allah (Bismillāh, tawakkaltu `alallāh, lā ḥawla wa lā quwwata illā billāh)’ it will be said to him: ‘You have been sufficed and protected,’ and Shaitan will become distant from him.” (Jami` at-Tirmidhi: 3426)




✦.....► Ramadan Al-Mubarak Se Mutaliq Man Ghadat Hadees ◄....✦

●◗► Ramadan Al-Mubarak Ke Qareeb Aate Hi Social Media Aur Digar Zaraye Ablagh Ke Zariye RasoolAllah ﷺ Ki Taraf Mansoob Ye Man Ghadat Hadees Gardish Karne Lagti Hai Ke “Jis Ne Sab Se Pehle Kisi Ko Ramadan Ki Khabar Di To Us Par Jahannam Ki Aag Haram Ho Jati Hai.”

Yaad Rahe Ke Kutub Ahadees Mein Aisi Koi Hadees Mazkoor Nahin, Ye Logon Ki Banayi Hui Man Ghadat Baat Hai, RasoolAllah ﷺ Ki Taraf Aisi Baat Mansoob Karna Jo Aap ﷺ Ne Irshad Na Farmayi Ho Na Sirf Gunah Balke Bade Wabaal o Azab Ka Sabab Hai, Chunanche Aap ﷺ Ka Irshade Girami Hai:

► “Mujh Par Jhoot Mat Bolo, Kyun Ke Jo Mujh Par Jhoot Bandhe Wo Dozakh Mein Dakhil Hoga.” (Sahih Bukhari: 106)

The Prophet (ﷺ) said, "Do not tell a lie against me for whoever tells a lie against me (intentionally) then he will surely enter the Hell-fire." [Sahih al-Bukhari :: Vol. 1 :: Book 3 :: Hadith 106]





✦....... Shifa Dene Wali Zaat Sirf “Allah” Ki! .......✦

“Dunya Mein Abhi Tak Coronavirus Ki Vaccine Tayyar Na Ho Saki Magar Phir Bhi Badi Tadaad Mein Logon Ka Is Mohlik Marz Se Sahet Yaab Hona Qudrate Khudawandi Ka Mazhar Hai.”

Lehaza!!!

Mayusi Se Bachte Hue Allah Se Accha Guman Rakhen!
Allah Ko Razi Karne Ki Koshish Karen!
Masnoon Aamal Ka Ehtemam Karen!
Ehtiyati Tadabeer Par Sakhti Se Kaarband Rahen!





❤️ Agar Aaj Har Khandan Mein Aik Hafiz Quran Hota To Is Ramadan Mein Musalmanon Ka Har Ghar Masjide Nabwi Ka Namuna Pesh Karta, Jin Logon Ne Apne Bacchon Ko Hafiz Quran Banaya Hai Wo Kitne Khush Naseeb Hain Ke Is Ramadan Mein Unhen Isi Dunya Mein Nekiyon Ka Phal Naseeb Hoga ❤️




✦.........► Gharibon Ki Khabar Geeri ◄.........✦
✦......... Jannati Logon Ka Shiaar .........✦

⇨ "Aur Un Ke Maal o Daulat Mein Sayilon Aur Mahroom Logon Ka (Baqaidah) Haq Hota Hai." (Qurah, Surah Adh-Dhariyat:19)

● “Sayil” Use Kehte Hain Jo Tang Dasti Se Majboor Hokar Hath Phailaye Aur ● “Mahroom” Wo Hai Jo Sharm o Iffat Ki Waja Se Apni Tang Dasti Ka Izhar Na Kare

●◗► In Donon Tarah Ke “Haq Daron” Ki Khabar Geeri Karna Aur Un Tak Maali Madad Faraham Karna Muttaqi Aur Jannati Logon Ka Shiaar Hai.

⇨ "And in their properties there was the right of the beggar, and the Mahrum (the poor who does not ask the others)." (Qurah, Surah Adh-Dhariyat:19)




✦.............►Najat Kis Cheez Mein Hai?◄.............✦
►►Maujudah Halaat Mein Misali Laiyha Aml◄◄

'Uqbah bin 'Amir RadiyAllahu Anhu narrated: "I said: 'O Messenger of Allah ﷺ! What is the means to salvation?' He ﷺ said: 'That you control your tongue, suffice yourself your house, and cry over your sins.'"

Urdu Translation: Hazrat Uqbah Bin Amir RadiyAllahu Anhu Kehte Hain, Main Ne RasoolAllah ﷺ Se Kaaha: “Aye Allah Ke Rasool! Najat Kis Cheez Mein Hai?” RasooAllah ﷺ Ne Farmaya: Apni Zuban Ko Qabo Mein Rakho, Apne Ghar Mein Tehre Raho, Aur Apne Gunahon Par (Allah Ke Samne) Ro.”

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 10 :: Hadith 2406, 2406]

●════◄ GHAR MEIN RAHIYE MAHFUZ RAHIYE ►═══●





✦... Awami Khidmat Guzaron Ke Liye Ahem Basharat ...✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said: That I walk with a brother regarding a need is more beloved to me than that I seclude myself in this mosque in Medina for a month. (Al-Muʻjam al-Awsaṭ: 6192)

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya: “Main Apne Bhai Ke Sath Us Ki Koi Zarurat Puri Karne Ke Liye Chalun, Ye Mujhe Is Masjid (Yani: Masjide Nabwi) Mein Aik Mahina I'tikaf Karne Se Zyadah Mahboob Hai. (Al-Muʻjam al-Awsaṭ: 6192)

أَحَبُّ النَّاسِ إِلَى اللَّهِ أَنْفَعُهُمْ لِلنَّاسِ وَأَحَبُّ الأَعْمَالِ إِلَى اللَّهِ سُرُورٌ تُدْخِلُهُ عَلَى مُسْلِمٍ أَوْ تَكْشِفُ عَنْهُ كُرْبَةً أَوْ تَقْضِي عَنْهُ دِينًا أَوْ تَطْرُدُ عَنْهُ جُوعًا وَلَأَنْ أَمْشِيَ مَعَ أَخِيهِ فِي حَاجَةٍ أَحَبُّ إِلَيَّ مِنْ أَنْ أَعْتَكِفَ فِي هَذَا الْمَسْجِدِ يَعْنِي مَسْجِدَ الْمَدِينَةِ شَهْرًا وَمَنْ كَفَّ غَضَبَهُ سَتَرَ اللَّهُ عَوْرَتَهُ وَمَنْ كَظَمَ غَيْظَهُ وَلَوْ شَاءَ أَنْ يُمْضِيَهُ أَمْضَاهُ مَلأَ اللَّهُ عَزَّ وَجَلَّ قَلْبَهُ أَمْنًا يَوْمَ الْقِيَامَةِ وَمَنْ مَشَى مَعَ أَخِيهِ فِي حَاجَةٍ حَتَّى أَثْبَتَهَا لَهُ أَثْبَتَ اللَّهُ عَزَّ وَجَلَّ قَدَمَهُ عَلَى الصِّرَاطِ يَوْمَ تَزِلُّ فِيهِ الأَقْدَامُ (معجم اوسط:6192,139/6)




"And We will surely test you with something of fear and hunger and a loss of wealth and lives and fruits, but give good tidings to the patient, (Al-Quran, Surah Al-Baqarah:155)

Irshade Khudawandi Hai: "Aur Dekho Ham Tumhen Aazmayenge Zaroor, Kabhi Khof Se Aur Kabhi Bhook Se, Aur Kabhi Maal o Jaan Aur Phalon Mein Kami Kar Ke, Aur Jo Log Aise Halaat Mein Sabr Se Kaam Len Un Ko Khushkhabri Sunado." (Al-Quran, Surah Al-Baqarah:155)




●◗► Coronavirus, Khudayi Tanbee Aur Hamare “Gunahon” Ka Natija Hai, Coronavirus Ki Kamyab Vaccine Dastiyab Ho Ya Na Ho Lekin Gunahon Ki Kamyab Vaccine “Tauba” Ki Shakal Mein Dastiyab Hai, Lehaza Sab Milkar Tauba O Astaghfar Karen! Allah Ta’ala Is Aafat Se Bacha Kar Rahem o Karam Ka Muamla Farmayega, InshaAllah




✦....► Doctor Sahab Ne Corona Mareez Ki Namaze Janazah Padhadi! ◄....✦

Ye Sirf Aik Khabar Ya Tasweer Nahin Balke Is Mein Ham Sab Ke Liey Aik Ahem Paigham Panhan Hai Aur Wo Ye Ke Ham Mein Se Har Shaks Taharat o Najasat, Azan, Namaz, Imamat, Nikah o Talaq Aur Tijarat o Mulazimat Isi Tarah Mayyat Ko Nehlane, Kafnane Aur Namaze Janazah Padhane Ke Masayel Sikhe, Taa Ke Hangami Surate Haal Mein Har Musalman Aage Badh Kar Ye Deeni Khidmaat Sar Anjam De Sake.

Mazkurah Doctor Sahab Ko Chunke Namaz, Imamat Aur Namaze Janazah Padhane Ke Masayel Ka Ilm Tha Is Liye Hangami Surate Haal Mein Un Ka Ilm o Aml Kaam Aagaya. Alhamdulillah


No comments:

Post a Comment