Saturday 7 November 2020

✦........► Ghusule Jumah Pure Hafte Ki Taharat ◄........✦

RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jis Ne Jumah Ke Din Ghusul Kiya To Woh Agle Jumah Tak (Gunah o Masiyat Ki Gandagi Se) Paak Ho Gaya.” (Sahih Ibn Hibban: 1222, Hasan Al-Albani)

✦.........♥ Jismani o Ruhani Hazma! ♥.........✦

Agar:

Khana Hazam Na Ho To “Beemari” Shuru,
Baat Hazam Na Ho To “Chughli” Shuru,
Tareef Hazam Na Ho To “Takabbur” Shuru,
Tanqeed Hazam Na Ho To “Naraazgi” Shuru,
Dukh Hazam Na Ho To“Na Umeedi” Shurum,
Aazmayish Hazam Na Ho To “Na Shukri” Shuru.

Allah Ta’ala Ham Sab Ka Jismani Aur Ruhani Hazma Durust Farmaye

 

✦.........♥ Aulad Ko Wafadar Banane Ka Nuskha! ♥.........✦

●◗► Baap Ki Zimmedari Hai Ke Woh Aulad Ke Samne Un Ke Maa Ki Tareef Kare... Isi Tarah Maa Ki Zimmedari Hai Ke Woh Aulad Ke Samne Un Ke Walid Ki Tareef Kare, Goya Donon Ki Mushtarka Zimmedari Hai Ke Aulad Ke Samne Aik Dusre Ki Koshish, Mehnat Aur Qurbani Ka Tazkerah Karte Rahen, Taa Ke Bacchon Mein Waldain Se Wafadari, Waldain Ka Ehsas, Waldain Se Mohabbat Aur Mazboot Talluq Parwan Chadhe.

The Messenger of Allah (ﷺ) said: "Whenever a Muslim is afflicted with any harm but that Allah will remove his sins as the leaves of a tree fall down." (Sahih Bukhari: 5647)

RasoolAllah (ﷺ) Ne Irshad Farmaya: "Jo Musalman Kisi Bhi Takleef Mein Giraftar Hota Hai To Allah Ta’ala Us Ki Wajah Se Us Ke Gunah Is Tarah Jhaad Deta Hai Jaise Darakht Ke Patte Jhad Jate Hain." (Sahih Bukhari: 5647)

 

The Messenger of Allah (ﷺ ) said: "If Allah wants to do good to a person, He makes him comprehend the religion." (Sahih Bukhari: 71)

RasoolAllah (ﷺ ) Ne Irshad Farmaya: "Jis Shaks Ke Sath Allah Ta’ala Bhalai Ka Iradah Kare Use Deen Ki Samajh Inayat Farma Deta Hai." (Sahih Bukhari: 71)

 

"And when I am ill, it is He who cures me." (Qur’an, Surah Ash-Shu’ara (26):80)

"Aur Jab Main Bimar Pad Jaun To Mujhe Shifa Ata Farmata Hai." (Qur’an, Surah Ash-Shu’ara (26):80)

 

✦......♥ Apne Mahboob ﷺ Ko Pehchaniye ♥......✦
✦ Silsila Waar Paighamat: Paigham Number 5 ✦

♥ Rahmatul lil Alameen ﷺ Ki Sakhawat Ka Manzar! ♥

Anas ibn Malik RadiyAllahu Anhu said: "The Prophet, may Allah bless him and grant him peace, was merciful. No one came to him but that he promised himself something and carried out that promise if he had anything to give."

Urdu Translation: Hazrat Anas RadiyAllahu Anhu Farmate Hain Ke Nabi Akram ﷺ Intehayi Rahem Dil The, Jab Koi Mangne Wala Aap Ke Paas Aata To Agar Aap Ke Paas Kuch Maujood Hota To Aap Use Ata Farma Dete Aur Agar Maujood Na Hota To Us Se (Phir Kisi Waqt Dene Ka) Wadah Farma Lete.”

[Al-Adab Al-Mufrad :: Book 14 :: Hadith 278]

“Biwi Ki Khwahish Hamesha Shohar Ki Gunjaish Ke Mutabiq Honi Chahiye, Kya Faidah Aise Mehnge Suit Ka Jis Mein Shohar Ki Raza Us Ki Khushi Na Ho, Singhar Wahi Accha Jo Shohar Ke Dil Ko Bhaye.”

 

✦.........► Chand Do Tukde Ho Gaya! ◄.........✦

Narrated Anas bin Malik RadiyAllahu Anhu: The people of Mecca asked Allah's Messenger (ﷺ) to show them a miracle. So he showed them the moon split in two halves between which they saw the Hira' mountain.

Urdu Translation: Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Anhu Farmate Hain Ke Jab Kuffare Makkah Ne RasoolAllah ﷺ Se Kisi Nishani Ka Mutalba Kiya To Aap ﷺ Ne Chand Ke Do Tukde Kar Ke Unhen Dikha Diye, Yahan Tak Ke Unhon Ne Hira Pahad Ko Un Donon Tukdon Ke Darmiyan Mein Dekha.

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 5 :: Book 58 :: Hadith 208, 3868]

 

✦......♥ Apne Mahboob ﷺ ko Pehchaniye ♥......✦
✦ Silsila Waar Paighamat: Paigham Number 4 ✦

♥ Shafi’e Mehshar ﷺ Ki Shifa’at Zaroor Qubool Hogi! ♥

Abu Huraira RadiyAllahu Anhu reported Allah's Messenger (ﷺ) as saying: I shall be pre-eminent amongst the descendants of Adam on the Day of Resurrection and I will be the first intercessor and the first whose intercession will be accepted (by Allah).

Urdu Translation: Nabi Akram ﷺ Ne Irshad Farmaya:“Qayamat Ke Din Main Aulade Adam Ka Sardar Honga Aur Sab Se Pehle Meri Qabr Shaq Hogi (Phategi) Aur Sab Se Pehle Main Hi Sifarish Karunga Aur Sab Se Pehle Meri Hi Sifarish Qubool Hogi.”

[Sahih Muslim :: Book 30 :: Hadith 5655, 2278]

 

●◗► Jab Bhi Aap Ke Samne Kisi Ka Status Aaye Jis Mein Koi Hadees Ya Phir Aayat Ho Ya Kuch Bhi Aisa Motivational Padhne Ko Mile Jis Se Aap Ko Aap Ke Sawalon Ka Jawab Milen To Ye Sab Coincidence Nahin Hota Ye Sab Aise Hi Koi Apne Status Par Nahin Laga Leta Wo Jo Upar Arsh Par Mustawi Hamara Rab Hai Na Wo Aap Ki Dili Kaifiyat Se Bakhubi Waqif Hota Hai Arsh Wale Ki Taraf Se Zameen Walon Ko Jawab Milte Hain, Ye Allah Ki Aap Par Rehmat Hoti Hai Ke Wo Aap Ko Aise Rota Hua Depressed Nahin Chhodta, Wo Kisi Na Kisi Ko Sabab Bana Kar Apne Pyare Bandon Ko Indirect Tasalliyan Zaroor Deta Hai, Mahsoos Kiya Karen Apne Upar Allah Ki Rehmat Ko Baraste Hue.

✿► Kayi Baar Aisa Mahsoos Hota Hai Ke Jaise Raat Ki Khamoshi Mein Ki Gayi Baten Sunne Ke Baad Rab Ham Se Hi Mukhatab Hai Hosla Deti Aayaten, Alfaz Marham Ka Kaam Karte Hain.

 

●◗► Shahenshahe Konain ﷺ Ka Wisal! Tang Dasti Ki Halat Mein Dunya Se Rehlat

Narrated `Aisha RadiyAllahu Anha: “The family of Muhammad ﷺ had never eaten their fill of wheat bread for three successive days since they had migrated to Medina till the death of the Prophet ﷺ.”

Urdu Translation: Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha Farmati Hain Ke Muhammad ﷺ Ke Ghar Walon Ko Madinah Aane Ke Baad Kabhi Teen Din Tak Musalsal Gehun Ki Roti Khane Ko Nahin Mili, Yahan Tak Ke Anhazrat ﷺ Ki Rooh Qabz Ho Gayi.”

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 8 :: Book 76 :: Hadith 461, 6454]

 

✦......♥ Apne Mahboob ﷺ Ko Pehchaniye ♥......✦
✦ Silsila Waar Paighamat: Paigham Number 3 ✦

✦...♥ Jannat Ke Darwaze Pe Sab Se Pehle Dastak Dene Wale! ♥...✦

Anas bin Malik RadiyAllahu Anhu reported: The Messenger of Allah (ﷺ) said: Amongst the apostles I would have the largest following on the Day of Resurrection, and I would be the first to knock at the door of Paradise.

Urdu Translation: Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Anhu Farmate Hain Ke Nabi Akram ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Qayamat Ke Din Meri Ummat Ki Ta’dad Tamam Ambiya Ke Muttabayeen Se Zyadah Hogi Aur Main Hi Sab Se Pehle Jannat Ke Darwaze Pe Dastak Dunga.”

[Sahih Muslim :: Book 1 :: Hadith 382, 196]

Almighty Allah Said: "He let forth the two seas to meet together, while there is a barrier between them; they do not encroach (upon one another). So, which of the bounties of your Lord will you deny? (Surah Ar-Rahman (55) 19-21)

Allah Ta’ala Ka Irshad Hai: “Usi Ne Do Samandaron Ko Is Tarah Chalaya Ke Wo Donon Aapas Mein Mil Jate Hain, (Phir Bhi) Un Ke Darmiyan Aik Aad Hoti Hai Ke Wo Donon Apni Had Se Badhte Nahin, Ab Batao Ke Tum Donon Apne Parwardigar Ki Kon Konsi Nematon Ko Jhutlaoge?”. (Surah Ar-Rahman (55) 19-21)

✦......♥ Apne Mahboob ﷺ Ko Pehchaniye ♥......✦
✦ Silsila Waar Paighamat: Paigham Number 2 ✦

✦......♥ RasoolAllah ﷺ Ki Ibadat Ka Manzar! ♥......✦

Narrated Al-Mughira RadiyAllahu Anhu: The Prophet (ﷺ) used to stand (in the prayer) or pray till both his feet or legs swelled. He was asked why (he offered such an unbearable prayer) and he said, "should I not be a thankful slave."

Urdu Translation: Hazrat Mughirah Bin Shu’ba RadiyAllahu Anhu Farmate Hain Ke RasoolAllah ﷺ Itni Dair Tak Khade Ho Kar Namaz Padhte Rahte Ke Aap ﷺ Ke Qadam Mubarak Ya Pindliyon Par Waram Aajata, Jab Aap ﷺ Se Is Ke Mutalliq Kuch Arz Kiya Jata To Farmate: “Kya Main Allah Ka Shukr Guzaar Bandah Na Banun.”

[Sahih Bukhari :: Vol. 2 :: Book 21 :: Hadith 230, 1130]

✦......♥ Apne Mahboob ﷺ ko Pehchaniye ♥......✦
✦ Silsila Waar Paighamat: Paigham Number 1 ✦

Aan Hazrat ﷺ Ke Sahibzade Aur Sahibzadiyon Ki Ta’dad Kitni Thi?

Aap (صلى الله عليه و سلم) Ke 3 Sahibzade The:

❶ Hazrat Qasim RadiyAllahu Anhu
❷ Hazrat Abdullah (In Ka Laqab Tayyib Aur Tahir Tha.)
❸ Hazrat Ibraheem RadiyAllahu Anhu
In Mein Hazrat Qasim Ki Kunyat Se Aap ﷺ Ko Abul Qasim Bhi Kaha Jata Tha.

Aap (صلى الله عليه و سلم) Ki 4 Sahibzadiyan Thin:

❶ Hazrat Zainab RadiyAllahu Anha
❷ Hazrat Ruqayya RadiyAllahu Anha
❸ Hazrat Umme Kulthum RadiyAllahu Anha
❹ Hazrat Fatimah RadiyAllahu Anha

Mazkurah Bala Tamam Aulad Hazrat Khadijah RadiyAllahu Anha Ke Batan Mubarak Se Thi, Siwaye Hazrat Ibraheem RadiyAllahu Anhu Ke Wo Hazrat Maria Qibtiyya RadiyAllahu Anha Ke Batan Se The.

 

✦........♥ Zahir Ke Sath Batin Ki Islah Bhi! ♥........✦

Irshade Khudawandi Hai: “Yaad Rakho Ke Jo Kuch Tumhare Dilon Mein Hai Allah Use Khoob Janta Hai, Lehaza Us Se Darte Raho.” (Qur’an Surah Al-Baqarah: 235)

●◗► Log To Sirf Hamara Zahir Dekhte Hain Jab Ke Allah Ta’ala Hamara Batin Bhi Dekh Rahe Hote Hain, Lehaza Ye Badi Nadani Hai Ke Jahan Logon Ki Nazar Ho, Use To Ham Khoob Sanwaren Lekin Jahan Allah Ki Nazar Ho Ham Us Se Bilkul Be Fikr Rahen.

 

✦..........► Aundhe Muh Sona Mana Hai! ◄..........✦

It was narrated from Qais bin Tihfah Al-Ghifari RadiyAllahu Anhu that his father said: "The Messenger of Allah (ﷺ) found me sleeping in the masjid on my stomach. He (ﷺ) nudged me with his foot and said: 'Why are you sleeping like this? This is a kind of sleep that Allah dislikes,' or 'that Allah hates.'"

Urdu Translation: Hazrat Tikhfah Ghifari RadiyAllahu Anhu Farmate Hain Ke RasoolAllah ﷺ Ne Mujhe Masjid Mein Pait Ke Bal (Aundhe Muh) Soya Hua Paya, Aap ﷺ Ne Apne Pair Mubarak Se Mujhe Hila Kar Farmaya: "Tum Is Tarah Kyun So Rahe Ho? Is Tarah Sona Allah Subhanahu Wa Ta'ala Ko Sakht Na’pasand Hai."

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 5 :: Book 33 :: Hadith 3723]

●◗► RasoolAllah ﷺ Ne Aundhe Muh Sone Se Mana Farmaya Hai Aur Aaj Ki Medical Science Bhi Ise Aaza o Jawareh Bilkhusus Dil o Dimag Aur Insani Nafsiyat Ke Liye Sakht Nuqsan Deh Qarar De Rahi Hai, Lehaza Ladakpan Se Hi Aundhe Muh Na Sone Ke Hawale Se Bacchon Ki Tarbiyat Karen.

✦.....✔ Rahe Raast Pe Sabit Qadmi Ki Dua! ✔.....✦

“Hazrat Ali RadiyAllahu Anhu Farmate Hain Ke RasoolAllah (ﷺ) Ne Mujh Se Farmaya Ke Ye Dua Padha Karo:

اللَّهُمَّ اهْدِنِي وَسَدِّدْنِي
‘Allahummah Dini Wa saddidni’

“Aye Allah! Mujhe Hidayat Ata Farma Aur (Har Muamle Mein) Mujhe Durustgi Par Qayem Rakh!” (Sahih Muslim: 2725)

 

✦ 28 Safar, Yaume Wafat Faateh Baitul Muqaddas ✦
✦.....♥ Sultan Salahuddin Ayubi (Rahimahullah) ♥.....✦

Sultan Salahuddin Yusuf Bin Ayub, San 1138 Mein Maujudah Iraq Ke Shaher Tikrit Mein Paida Hue, Sultan Salahuddin Ayubi (Rahimahullah) Ne Misar, Sham, Yemen, Iraq Aur Sham Par Hukumat Ki Aur 20 Saal Ke Arse Mein Taqriban 100 Se Zayed Jungen Ladin, Jin Mein Wo Salebiyon Aur Europe Ki Mushtarka Afwaj Ko Musalsal Shikast Se Do Char Karte Rahe Aur Bil Aakhir Sar Zameene Muqaddas, Philistine Se Unhen Piche Dhakail Kar 1187 Mein Baitul Muqaddas Bhi Un Se Aazad Karwa Liya, Baitul Muqaddas Taqriban Aik Sadi Tak Salebiyon Ke Qabze Mein Rehne Ke Baad Sultan Salahuddin Ayubi (Rahimahullah) Ki Koshishon Se Aazad Hua, Dunyae Maghrib Ne Aisa Dilair, Nidar Aur Rahem Dil Faateh Shayad Hi Dekha Ho.

Baitul Muqaddas Ki Fateh Salahuddin Ayubi Ka Azeem Al-Shan Kaarnama Tha, Sultan Salahuddin Ayubi (Rahimahullah) Ne 28 Safar, Sun 589 Hijri Bamutabiq 1193 Mein Wafat Payi Aur Sham Ke Maujudah Darul Hukumat Damishq Ki Masjid Umayyah Mein Unhen Supurd Khaak Kiya Gaya.

 

The Messenger of Allah (ﷺ) said: "No fatigue, nor disease, nor sorrow, nor sadness, nor hurt, nor distress befalls a Muslim, even if it were the prick he receives from a thorn, but that Allah expiates some of his sins for that." (Sahih al-Bukhari: 5641)

RasoolAllah (ﷺ) Ne Irshad Farmaya: "Musalman Jab Bhi Kisi Pareshani, Bimari, Ranj o Malaal, Takleef Aur Gham Mein Mubtela Ho Jata Hai Yahan Tak Ke Agar Use Koi Kanta Bhi Chubh Jaye To Allah Ta’ala Use Us Ke Gunahon Ka Kaffarah Bana Deta Hai." (Sahih al-Bukhari: 5641)

 

Ya Arhamar Rahimeen Ahle Hindustan Bilkhusus Ahle Hyderabad Ko Zameeni o Aasmani Aafaat Se Mahfooz Farma, Aye Allah! Rehmat Ki Barish Nazil Farma.. Na Ke Azab, Aazmayish, Munhadim Aur Gharq Karne Wali Barish. (Aameen)

"‏ اللَّهُمَّ حَوَالَيْنَا وَلاَ عَلَيْنَا، اللَّهُمَّ عَلَى الآكَامِ وَالْجِبَالِ وَالآجَامِ وَالظِّرَابِ وَالأَوْدِيَةِ وَمَنَابِتِ الشَّجَرِ ‏"‏‏.‏
Aye Allah! Hamare Ird Gird Barish Barsa Aur Ham Par Na Barsa, Aye Allah! Telon, Pahadon, Jangalaat, Unche Maidanon, Wadiyon Aur Darakhton Ki Jadon Mein Barish Barsa. (Sahih Bukhari:1013)

 

Aaj Ke Daur Ki Talkh Haqiqat! “Ham Ne Mohabbaton, Rahmaton Aur Khushiyon Ki Ginti Chhod Di Ab Ham Sirf Dukh, Dard Aur Paison Ki Ginti Karte Hain.”

 

✦.........► Huffaze Karam Mutawajje Hon! ◄.........✦

'Abdullah RadiyAllahu Anhu reported Allah's Messenger (ﷺ) as saying: “What a wretched person is he amongst them who says: I have forgotten such and such a verse. (He should instead of using this expression say): I have been made to forget it. Try to remember the Qur'an for it is more apt to escape from men's minds than a hobbled camel.”

Urdu Translation: Nabi Akram ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Bahot Bura Hai Kisi Ka Ye Kehna Ke Main Fulan Fulan Aayat Bhool Gaya (Wo Bhoola Nahin) Balke Use Bhula Diya Gaya, Quran Majeed Ko Sunte Sunate Raha Karo Kyun Ke Logon Ke Sinon Se Nikal Jane Mein Wo Rassi Se Bandhe Hue Janwaron Se Bhi Zyadah Taiz Hai.”

[Sahih Muslim :: Book 4 :: Hadith 1724, 790]

 

✦....► Dayen Hath Se Najasat Saaf Na Karen! ◄....✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said: "None of you should hold penis with his right hand while urinating, or wipe himself with his right hand in privy."

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Tum Mein Se Koi Shaks Peshab Karte Waqt Apni Sharmgah Ko Dayen Hath (Right Hand) Se Na Chuye Aur Na Hi Dayen Hath Se Najasat Ko Saaf Kare.”

[Sahih Muslim :: Book 2 :: Hadith 511, 267]

The Messenger of Allah (ﷺ) said: "The Hour will not be established till there appear about thirty liars, all of whom will be claiming to be the messengers of Allah." [Sahih al-Bukhari: 3609]

RasoolAllah (ﷺ) Ne Irshad Farmaya: "Qayamat Us Waqt Tak Qayem Na Hogi Jab Tak Taqriban Tees Jhute Dajjal Paida Na Ho Jayen, In Mein Har Aik Ka Yahi Dawa Hoga Ke Wo Allah Ka Nabi Hai." [Sahih al-Bukhari: 3609]

 

⇨ Irshade Khudawandi Hai: "Aur Apne Aap Ko Khud Apne Hathon Halakat Mein Na Dalo." (Qur'an 2:195)

⇨ "..and do not throw [yourselves] with your [own] hands into destruction [by refraining].." (Qur'an 2:195)

No comments:

Post a Comment