Sunday, 7 March 2021

✦........► “Sharab Pina” Itna Bada Gunah? ◄........✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said: “The one who is addicted to wine is like one who worships idols.” [Sunan Ibn Majah: 3375]

Urdu Translation: RasoolAllah (ﷺ) Ne Irshad Farmaya: “Sharab Ka Aadi Aise Hi Hai Jaise Buton Ka Pujari.” [Sunan Ibn Majah: 3375]

●◗► But Parasti Aur Shirk Se Bada Koi Gunah Nahin, Magar Sharab Noshi Ko Itna Bada Gunah Qarar Diya Gaya Ke Is Mubtela Shaks Ko Mushrik Qarar Diya Gaya, Allah Subhanahu Wa Ta'ala Is Badtareen Gunah Se Sab Ki Hifazat Farmaye. Aameen

✦....► Zyadah Baten Karna Dil Ki Sakhti Ka Sabab! ◄....✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said: "Do not talk too much without remembrance of Allah. Indeed excessive talking without remembrance of Allah hardens the heart. And indeed the furthest of people from Allah is the harsh-hearted."

Urdu Translation: RasoolAllah (ﷺ) Ne Irshad Farmaya: “Allah Ke Zikr Ke Siwa Zyadah Baten Karne Se Parhez Karo! Is Liye Ke Zikr Ilahi Ke Siwa Zyadah Baten Karna Dil Ko Sakht Kar Deta Hai Aur Logon Mein Allah Se Sab Se Zyadah Door Sakht Dil Wala Hoga.”

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 10 :: Hadith 2411, 2411]

●◗► Oodh Kar Mitti Ki Chadar Be Nishan Ho Jayenge! Aik Din Aayega Ham Bhi Daastan Ho Jayenge!

✦........► Abhi To Bacchi Hai! ◄........✦

“Abhi To Choti Bacchi Hai” Ye Aik Aisa Jumla Hai Jo Bachpan Mein Hi Bacchiyon Se Shaistagi, Waqar Aur Sharm o Haya Ko Khatam Kar Deta Hai, Phir Jab Wo Jawani Ki Dehleez Par Pahonchti Hain To Sharm o Haya Se Aari Nazar Aati Hain.

Yaad Rakhen! Darakht Ki Tehni Agar Aik Baar Apne Tedhe Pan Ke Sath Badi Ho Jaye To Woh Toot To Sakti Hai Lekin Sidhi Nahin Ho Sakti.

Isi Liye Bachpan Hi Se Apni Betiyon Ko Sharm o Haya Aur Shaistagi Ki Talim Den Aur Umr Ke Sath Sath Unhen Pardah Karne Ki Aadat Dalwayen Taa Ke Woh Bacchiyan Badi Ho Kar Be Pardagi Ki Taraf Mael Na Hon.

✦........► Kamaai Ke Aadab! ◄........✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said: "O people, fear Allah and be moderate in seeking a living, for no soul will die until it has received all its provision, even if it is slow in coming. So fear Allah and be moderate in seeking provision; take that which is permissible and leave that which is forbidden. "

Urdu Translation: RasoolAllah (ﷺ) Ne Irshad Farmaya: “Aye Logo! Allah Se Daro Aur (Dunya Aur Rizq Ki) Talab Mein Umdagi Se Kaam Lo (Yani Hirs o Tama Aur Haram o Mushtabhat Mein Pade Baghair Pakizah Rizq Umdah Tariqe Se Hasil Karo) Kyun Ke Koi Bhi Shaks Us Waqt Tak Hargiz Na Marega Jab Tak Apna Rizq Pura Hasil Na Karle, Agarche Woh Rizq Kuch Takheer Se Use Mile, Is Liye Allah Se Daro Aur Rizq Ki Talab Mein Umdagi o Aitdaal Se Kaam Lo! Halal Hasil Karo Aur Haram Ko Chhod Do!”

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 3 :: Book 12 :: Hadith 2144]

✦....♥ Jo Apne Liye Pasand Karen Wahi Dusron Ke Liye Bhi! ♥....✦

The Prophet (ﷺ) said, "None of you will have faith till he wishes for his (Muslim) brother what he likes for himself." (Sahih al-Bukhari: 13)

Urdu Translation: Nabi Akram ﷺ ne Irshad Farmaya: “Tum Mein Se Koi Shaks Us Waqt Tak Kamil Imaan Wala Nahin Ho Sakta Jab Tak Ke Woh Apne Bhai Ke Liye Bhi Wahi Kuch Pasand Na Kare Jo Woh Apne Liye Pasand Karta Ho.” (Sahih al-Bukhari: 13)

Dil Badla To Sab Badla! Tabdeeli Sab Se Pehle Dil Mein Aati Hai, Phir Baqiya Aaza o Jawareh Tak Jati Hai!!!

✦....► Biwi Ka “Maher” Hadap Kar Jana! Badtareen Gunah ◄....✦

RasoolAllah (ﷺ) Ne Irshad Farmaya: “Bila Shubah Allah Ke Nazdeek Gunahon Mein Sab Se Bada Gunah Ye Hai Ke Aadmi Kisi Aurat Se Shadi Kare, Phir Jab Us Se Apni Hajat Puri Karle To Use Talaq Dede Aur Us Ka Maher Bhi Hadap Kar Jaye Aur Wo Shaks Jo Kisi Mazdoor Se Kaam Karwaye Aur Us Ki Mazdoori Hathyale Isi Tarah Wo Shaks Jo Kisi Chaopaye Ko Fuzool Mein Qatl Karde.” (Al-Mustadrak alaa al-Sahihain Al-Hakim:2743)

●◗► Raton Mein Sakht Raat Qabr Ki Pehli Raat Hai Aur Dinon Mein Sakht Din Qayamat Ka Din Hai, Dua Farmayyen Ke Qabr Ki Pehli Raat Aur Qaymat Ke Din Allah Subhanahu Wa Ta'ala Ham Sab Par Apna Fazal Farmaye. Aameen

✦.....✔ Umdah Aadaat o Atwaar Ka Malik Banne Ki Dua! ✔.....✦

Nabi Akram (ﷺ) Ki Duaon Mein Aik Dua Ye Bhi Thi:

اللَّهُمَّ اهْدِنِي لأَحْسَنِ الأَعْمَالِ وَأَحْسَنِ الأَخْلاَقِ لاَ يَهْدِي لأَحْسَنِهَا إِلاَّ أَنْتَ وَقِنِي سَيِّئَ الأَعْمَالِ وَسَيِّئَ الأَخْلاَقِ لاَ يَقِي سَيِّئَهَا إِلاَّ أَنْتَ ‏"‏ ‏.‏

Allahummahdini liahsanil-amali wa ahsanil-akhlaqi la yahdi li ahsaniha illa anta wa qini sayy'al-a'mali wa sayy'al-ahaqi la yaqi sayy'aha illa ant.

Tarjumah: “Aye Allah! Mujhe Acche Aamal Aur Acchi Aadaten Sikha Ke Aap Ke Siwa Koi Aur Acchayi Nahin Sikha Sakta Aur Mujhe Bure Aamal Aur Gandi Aadaton Se Bacha Ke Aap Ke Siwa Koi Burayi Se Nahin Bacha Sakta.” (Sunan an-Nasa'i: 896)

✦......♥ Allah Walon Ki Majlis Ke Fawaid ♥......✦

Naik Logon Ki Sohbat Mein Baithne Se Insan

► Shak Se Yaqeen
► Riyakari Se Ikhlas
► Ghaflat Se Bedari
► Dunya Ki Mohabbat Se Aakhirat Ki Fikr
► Takabbur Se Tawazu o Inkisari
► Badniyyati Se Khair Khuahi o Naik Niyyati Ki Taraf Aajata Hai.

Aye Allah! Hamen Naik Logon Ki Sohbat Naseeb Farma. (Aameen)

Aye Insan! Tumhari Khoobsurti, Tumhara Jamal, Tumhara Husn, Jawani Ka Nasha, Daulat Ka Ghamand, Tumhari Qabiliyat Ke Charche, Tumhare Hunar Sab Aik Din Khatam Hone Wale Hain To Ghuroor Kis Baat Ka? Kya Tum Ne Nahin Suna 'Kullu Nafsin Zaiqatul Maut!

✦........♥ Mahe Rajab Wajibul Ehteram Mahina ♥........✦

⇨ "Haqiqat Ye Hai Ke Allah Ke Nazdeek Maheenon Ki Ta’dad 12 Mahine Hai Jo Allah Ki Kitab (Lohe Mahfooz) Ke Mutabiq Us Din Se Nafiz Chali Aarahi Hai Jis Din Allah Ne Aasman Aur Zameen Ko Paida Kiya Tha, In (12 Mahinon) Mein 4 Mahine (Dhul Qa’dah, Dhul Hijjah, Muharram Aur Rajab) Wajib ul Ehteram Hain, Yahi Deen (Ka) Seedha Sadah (Taqaza) Hai, Lehaza In Mahinon Ke Muamle Mein (Baham Jang Kar Ke) Apni Janon Par Zulm Na Karo.” (Surah At-Tawbah: 36)

Mufti Shafi Usmani Rahimahullah “Ma’ariful Quran” Mein Tahreer Farmate Hain: “Tamam Anbiya Alaihim As-Salam Ki Shariaten Is Baat Par Muttafiq Hain Ke In Char Mahinon (Dhul Qa’dah, Dhul Hijjah, Muharram Aur Rajab) Mein Har Ibadat Ka Sawab Zyadah Hota Hai Aur In Mein Koi Gunah Kare To Us Ka Wabal o Azab Bhi Zyadah Hai, Sabiq Shariaton Mein In Maheenon Ke Andar Qatl o Qital Bhi Mamnu Tha.”

✦......► Qurbe Qayamat Mein Zalzalon Ki Kasrat! ◄......✦

The Prophet (ﷺ) said, "The Hour (Last Day) will not be established until (religious) knowledge will be taken away (by the death of religious learned men), earthquakes will be very frequent, time will pass quickly, afflictions will appear, murders will increase and money will overflow amongst you." (Sahih Bukhari:1036)

Urdu Translation: Nabi Kareem ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Qayamat Us Waqt Tak Na Aayegi Jab Tak ❶ Ilm Deen Na Utha Liya Jaye ❷ Aur Zalzalon Ki Kasrat Na Ho Jaye❸ Aur Zamana Jaldi Jaldi Na Guzre ❹ Aur Fitne Fasad Na Phoot Paden ❺ Aur “Harj” Yani Qatl Ki Kasrat Ho Jayegi ❻ Aur Maal o Daulat Ki Kasrat Hogi.” (Sahih Bukhari:1036)

✦......► Aadha Jism Dhoop Aur Aadha Chaon Mein ◄......✦

Narrated Ibn Buraidah RadiyAllahu Anhu: "The Prophet (ﷺ) "Forbade sitting between the shade and sun." [Sunan Ibn Majah: 3722]

Urdu Translation: Hazrat Buraidah RadiyAllahu Anhu Se Riwayat Hai Ke "RasoolAllah (ﷺ) Ne Dhoop Aur Saye Ki Darmiyani Jaga (Yani Aadha Jism Dhoop Mein Aur Aadha Saye Mein) Baithne Se Mana Farmaya." [Sunan Ibn Majah: 3722]

●◗► Rahmatul lil Alameen (ﷺ) Ne 1400 Saal Qabl Hi Apni Ummat Ko Is Aml Se Mana Farma Diya Tha Jab Ke Aaj Ki Medical Science Research o Tahqeeq Ke Baad Bhi Isi Natije Par Pohnchi Hai Ke Aadha Dhoop Aur Aadha Saye Mein Baithna Tibbi Aitebar Se Sakht Nuqsandeh Hai Aur Is Se Jism Mein Khoon Ka Dauran Ghair Mo’tadal Aur Bigad Jata Hai Jis Ki Wajah Se Kayi Tarah Ki Bimariyan Aur Amraz Lahaq Ho Sakte Hain.

Apne Waldain Ki Tarbiyat Ko Ruswa Na Karen! Agar Aap Apne Waldain Ka Naam Roshan Karne Ke Liye Koi Bada Karnama Sar Anjaam Nahin De Sakte To Kam Az Kam Itna To Zaroor Ki Jiye Ke Aap Ki Wajah Se Koi Un Ki Tarbiyat Pe Ungli Na Utha Sake.

✦......► Jadu, Asaib Aur Shaitani Asrat Se Hifazat ◄......✦

Abu Umama RadiyAllahu Anhu said he heard Allah's Messenger (ﷺ) say: "Recite Surah al-Baqara, for to take recourse to it is a blessing and to give it up is a cause of grief, and the magicians cannot confront it."

Urdu Translation: Hazrat Abu Umama Baheli RadiyAllahu Anhu Se Riwayat Hai Ke Rasool Akram (ﷺ) Ne Irshad Farmaya: “Surah Baqarah Padha Karo, Kyun Ke Is Ka Padhna Ba’ise Barkat Hai Aur Na Padhna Ba’ise Hasrat Hai, Jadugar Is (Ke Tod) Ki Taqat Nahin Rakhte (Yani Jo Shaks Surah Al-Baqarah Padh Kar Apne Aap Ko Mahfooz Banale, Jadu Garon Ka Jadu Us Pe Asar Andaz Nahin Ho Sakta).”

[Sahih Muslim :: Book 4 :: Hadith 1757, 804]

● Agar Aurton Ko Lagta Hai Ke Hamare Muashre Ke Mard Bure Hain To Unhen Chahiye Ke Batore Maa Apne Beton Ki Acchi Tarbiyat Karen!!!

● Agar Mardon Ko Lagta Hai Ke Hamare Muashre Ki Aurten Buri Hain To Unhen Chahiye Ke Batore Baap Apni Betiyon Ki Acchi Tarbiyat Karen!!!

✦.....♥ Bahen Aur Beti Ke Rishte Ka Taqaddus! ♥.....✦

The Messenger of Allah ﷺ said: ‘Whoever has two daughters or sisters to whom he is kind as long as they are with him, he and I will be in Paradise (as close to each other) as these (and then he ﷺ put two of his fingers together).’”

Urdu Translaiton: RasoolAllah (ﷺ) Ne Irshad Farmaya: “Jis Shaks Ki 2 Bahnen Ya 2 Betiyan Hon Aur Jab Tak Woh Us Ke Paas Hon, Ye Un Ke Sath Husne Sulook Ka Muamla Karta Rahe To Main (Yani RasoolAllah ﷺ) Aur Woh Shaks Jannat Mein Is Tarah Qareeb Honge Jaise Ye Donon Ungliyan Aur Phir Aap (ﷺ) Ne Apni (Shahadat Aur Darmiyani) Donon Ungliyon Ko Mila Kar Isharah Farmaya.”

[Silsilah Hadees As-Shaheehah: 1026]

من كان له أختان أو ابنتان ، فأحسن إليهما ما صحبتاه ، كنت أنا و هو في الجنة كهاتين . و قرن بين إصبعيه " . (سلسلة الاحاديث الصحيحة:1026)

●◗► Aap Ki Zaruriyat Kisi Na Kisi Darje Mein Puri Ho Rahi Hon, Aap Ke Paas Kuch Munasib Bachat Bhi Ho Aur Aap Ke Upar Infiradi Qarz Ya Maliyati Idaron Ke Qarz Ka Bojh Na Ho To Ye Is Se Kahin Behtar Hai Ke Aap Ke Paas Behtareen Gadi Aur Aalishan Ghar Ho Magar Aap Qarz Mein Dube Hue Hon!

●◗► Maa Baap Ke Baad Naik Biwi Wo Hasti Hai Jo Mard Ka Har Haal Mein Sath Nibhati Hai Aur Use Mard Ki Razamandi o Mohabbat Ke Siwa Kuch Nahin Chahiye, Isi Liye Naik Biwi Ka Darja Aur Muqam Bayan Karte Hue RasoolAllah (ﷺ) Ne Irshad Farmaya: “Dunya Mataa (Yani Saman) Hai Aur Dunya Ka Behtareen Maal o Mataa Naik Biwi Hai.” (Sahih Muslim:3716)

✦.....► Aulad ke Darmiyan Adl o Insaf se Kaam Len ◄.....✦

Narrated 'Amir: I heard An-Nu`man bin Bashir RadiyAllahu Anhu on the pulpit saying, "My father gave me a gift but `Amra bint Rawaha (my mother) said that she would not agree to it unless he made Allah's Messenger (ﷺ) as a witness to it. So, my father went to Allah's Messenger (ﷺ) and said, 'I have given a gift to my son from `Amra bint Rawaha, but she ordered me to make you as a witness to it, O Allah's Messenger (ﷺ)!' Allah's Messenger (ﷺ) asked, 'Have you given (the like of it) to everyone of your sons?' He replied in the negative. Allah's Messenger (ﷺ) said, 'Be afraid of Allah, and be just to your children.' My father then returned and took back his gift."

Urdu Translation: Hazrat Nu’man Bin Bashir RadiyAllahu Anhu Farmate Hain Mere Walid Ne Mujhe Kuch Hadya Diya, Meri Walidah Amra Bint Rawaha Kehne Lagen Ke Main Us Waqt Tak Razi Nahin Hongi Jab Tak Aap Is Hadye Par Nabi Kareem (ﷺ) Ko Gawah Na Banalen. Mere Walid Nabi Kareem (ﷺ) Ke Paas Gaye Ta Ke Unhen Hadye Par Gawah Bana Saken, Aap (ﷺ) Ne Un Se Pucha: "Kya Tum Ne Apne Tamam Bacchon Ko Is Tarah Ka Hadya Diya Hai?" Walid Sahab Ne Jawab Diya: Nahin. Aap (ﷺ) Ne Farmaya: "Allah Se Daro Aur Apni Aulad Ke Darmiyan Adl o Insaf Se Kaam Lo." Mere Walid Wapas Aaye Aur Unhon Ne Mujh Se Wo Hadya Wapas Le Liya.

[Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Book 47 :: Hadith 760, 2587]

The Messenger of Allah (ﷺ) said: "Righteousness is good behaviour, and sin is what fluctuates in your chest, and you would hate that the people discovered it about you."

RasoolAllah (ﷺ) Ne Farmaya: "Neki Acche Akhlaq Ka Naam Hai Aur Gunah Woh Hai Jo Tumhare Dil Mein Khatke Aur Tumhen
Ye Baat Na Pasand Ho Ke Logon Ko Is Ki Khabar Ho Jaye."

[Muslim: 2553, Tirmidhi: 2389]

✦........► Sar Ke Kuch Hisse Ka Mondhna ◄........✦

Narrated (Abdullah) bin `Umar RadiyAllahu Anhu: Allah's Messenger (ﷺ) forbade Al-Qaza' (leaving a tuft of hair here and there after shaving one's head).

Urdu Translation: Hazrat Abdullah Bin Umar RadiyAllahu Anhu Se Riwayat Hai Ke RasoolAllah (ﷺ) Ne "Qaza (Yani Sar Ke Kuch Hisse Ke Baal Mondhne Aur Kuch Ke Chhordne) Se Mana Farmaya."

[Sahih Bukhari :: Vol. 7 :: Book 72 :: Hadith 804, 5921]

Sakht Se Sakht Alfaz Bolte Waqt Hamen Ye Yaad Nahin Rehta Ke Sehne Wale Ko Ye Alfaz Kab Tak Yaad Rahenge!!!

✦.........♥ Mezban Ko Ye Dua Den! ♥.........✦

’Abd Allah b. Busr RadiyAllahu Anhun from Banu Sulaim said: The Messenger of Allah (ﷺ) came to my father and he was a guest with him. He offered food to him and brought hais. He then brought a drink which he drank and he gave it to the one on his right. He ate dried dates and began to put the kernels on the back of his ring finger and middle finger. When he got up, my father also got up, and held the rein of his mount. He (ﷺ) said : Pray to Allah for me. He said :

"‏ اللَّهُمَّ بَارِكْ لَهُمْ فِيمَا رَزَقْتَهُمْ وَاغْفِرْ لَهُمْ وَارْحَمْهُمْ ‏"
(Allahumma baarik lahum fima razaqtahum wagfir lahum warhamhum)
O Allah, bless them in what you provided them, and have mercy on them.

●══════════════◄►═════════════●

Urdu Translation: Abdullah Bin Busr RadiyAllahu Anhu Kehte Hain Ke RasoolAllah (ﷺ) Mere Walid Ke Paas Tashreef Laye, Walid Sahab Ne Aap (ﷺ) Ki Khidmat Mein Khana (Aur Digar Lawazimat) Pesh Kiye….. Jab Aap ﷺ (Ziyafat Tanawul Farmane Ke Baad) Khade Hue To Mere Walid Bhi Khade Hue Aur Unhon Ne Aap (ﷺ) Ki Sawari Ki Lagam Pakad Kar Arz Kiya: Mere Liye Allah Se Dua Kardi Jiye. Aap (ﷺ) Ne Yun Dua Farmayi:
"‏ اللَّهُمَّ بَارِكْ لَهُمْ فِيمَا رَزَقْتَهُمْ وَاغْفِرْ لَهُمْ وَارْحَمْهُمْ ‏"
(Allahumma baarik lahum fima razaqtahum wagfir lahum warhamhum) “Aye Allah Jo Rozi Aap Ne Inhen Di Hai Us Mein Barkat Ata Farmayye, Inhen Baksh Di jiye Aur In Par Rahem Farmayye.”

[Sunan Abi Dawud :: Book 26 :: Hadith 3720, 3729]

✦........► Marz Aur Takleef Mein Bhi Khair! ◄........✦

Allah's Messenger (ﷺ) said, "If Allah wants to do good to somebody, He afflicts him with trials." (Sahih al-Bukhari: 5645)

RasoolAllah (ﷺ) Ne Irshad Farmaya: “Allah Subhanahu Wa Ta'ala Jis Ke Sath Khair o Bhalayi Ka Iradah Farmate Hain Use Bimari o Takleef Mein Mubtela Farma Dete Hain.” (Sahih al-Bukhari: 5645)

Aik Paigham Shohar Ke Liye: Jo Kitchen Mein Aap Ke Liye Hath Jala Deti Hai Baraye Maherbani Ghar Aakar Us Ka Dil Na Jalaya Karen!!!

Aik Paigham Biwi Ke Liye: Jo Sara Din Ghar Se Bahar Aap Ke Liye Khoon Pasina Aik Karta Hai Aur Zehni Takleef Uthata Hai, Baraye Maherbani Ghar Aane Par Use Zehni Azyat Na Den!
The Messenger of Allah (ﷺ) said: "There are two blessings that many people are deceived into losing: health and free time." (Sahih al-Bukhari: 6412)

RasoolAllah (ﷺ) Ne Irshad Farmaya: "Do Nematen Aisi Hain Ke Aksar Log In Ki Qadar Nahin Karte, Sahet Aur Faraghat." (Sahih al-Bukhari: 6412)

“Ho Sakta Hai Aap Ko Lagta Ho Ke Allah Ne Aap Ko Bahot Sari Aisi Nematen Nahin Di Jo Dusron Ke Paas Hain, Lekin Allah Ne Aap Ko Bahot Sari Aisi Aazmayishon Se Bhi Nahin Guzara Jis Se Dusre Guzre Hain.”

●◗► Mobile Phone Ko Paak Kijiye! Jaldi Ki Jiye!!! Apne Mobile Ko Saaf Ki Jiye!!! Aur Mobile Se Tamam Haraam Tasaweer Aur Videos Delete Ki Jiye! Aik Aik Folder, Tasweer Audio Aur Videos Kholte Jayye Aur Khud Se Puchiye Ke Kya Ye Allah Ki Razamandi Ka Sabab Ban Rahi Hai Ya Narazgi Ka?

“Kuch Qarz Aise Bhi Hote Hain Jo Chahne Ke Bawajood Bhi Chukaye Nahin Ja Sakte!


✦........► Shaitan Ka Dana Pani Band Karden! ◄........✦

Jabir b. 'Abdullah RadiyAllahu Anhu reported Allah's Messenger (ﷺ) as saying: When a person enters his house and mentions the name of Allah at the time of entering it and while eating the food, Satan says (addressing himself: You have no place to spend the night and no evening meal; but when he enters without mentioning the name of Allah, the Satan says: You have found a place to spend the night, and when he does not mention the name of Allah while eating food, he (the Satan) says: You have found a place to spend the night and evening meal.

Urdu Translation: RasoolAllah (ﷺ) Ne Irshad Farmaya: “Jab Aadmi Apne Ghar Dakhil Hota Hai Aur Dakhil Hote Aur Khana Khate Waqt Allah Ta’ala Ka Naam Leta Hai To Shaitan (Apne Sathi Shaitanon Se) Kehta Hai Ke Tumhare Liye Yahan Raat Guzarne Ki Jagah Nahin Hai Aur Na Hi Raat Ka Khana Hai, Aur Jab Aadmi Ghar Mein Dakhil Hote Waqt Allah Ka Naam Nahin Leta To Shaitan Kehta Hai Ke Tum Ne Raat Guzarne Ki Jagah Paali Aur Jab Khana Khate Hue Bhi Allah Ka Naam Nahin Leta Hai To Shaitan Kehta Hai Ke Tumhen Raat Guzarne Ki Jagah Bhi Mil Gayi Aur Raat Ka Khana Bhi.”

[Sahih Muslim :: Book 23 :: Hadith 5006, 2018]

✦....► New Year Night Ki Taqareeb Ka Boycott Kijiye ◄....✦

⇨ "(Rehman ke Bande Wo Hain) Jo Jhoot Aur Batil Kamon Mein Shareek Nahin Hote Aur Jab Behudah Kamon Ke Paas Se Guzarte Hain To (Daman Bachate Hue) Nihayat Waqar Aur Sharafat Ke Sath Guzar Jate Hain." (Qur’an Surah Al-Furqan: 72)

⇨ "And those who do not witness falsehood, and if they pass by some evil play or evil talk, they pass by it with dignity." (Qur’an 25:72)

1 comment:

  1. MashaAllah, Boht hi pyara aur ba'ise hidayat blogpost
    Allah aapko jazaie khair de ,, Abuzar bhai sahb

    ReplyDelete