Aik Shaks Ne Shadi Ke Moqe Par Buzurg Se Kuch Nasihat Karne Ke Liye Kaha Buzurg Ne Ye Jame Nasihat Ki:
“Tumhari Jiwan Sathi Apne Shafeeq Baap, Maherban Waldah Aur Jaan Lutane Wale Bhai Chhod Kar Tumhare Paas Aarahi Hai, Lehaza Tum Us Ke Liye Ye Sab Kuch Ban Jao.”
“Aye Mere Rab! Mere Ilm Mein Izafa Farma.” (Surah Taha:114)
Allah Ta’ala Se Ilm Mein Izafa Mangte Rahiye, Beshak Ilm Deen o Dunya Ki Kamyabi Ki Kunji Hai.
The Messenger of Allah (ﷺ) said: "Indeed Allah Most High created Adam from a handful that He took from all of the earth. So the children of Adam come in according with the earth, some of them come red, and white and black, and between that, and the thin, the thick, the filthy, and the clean."
Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmay: “Allah Ta’ala Ne Zameen Ke Har Hisse Se Aik Mutthi “Mitti” Lekar Us Se Adam Alaihis Salam Ko Paida Farmaya, Chunanche Un Ki Aulad Mein Mitti Ki Munasabat Se Koi Laal, Koi Sufaid, Koi Kala Aur Koi Un Ke Darmiyan Ki Rangat Ke Hain, Isi Tarah Kuch Narm Mizaj, Kuch Sakht Mizaj, Kuch Buri Tabiyat Aur Kuch Acchi Tabiyat Ke Insan Hain.”
[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 5 :: Book 44 :: Hadith 2955, 2955]
The Messenger of Allah (ﷺ) said: “When God grants wealth to any one of you, he should first spend it on himself and his family.”
Urdu Translation: Nabi Akram ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jab Allah Ta’ala Tum Mein Se Kisi Ko Khair (Maal o Daulat) Ata Farmayen To Use Chahiye Ke (Kharch Karne Ki) Ibteda Apne Aap Aur Apne Ahl o Ayal Se Kare.”
[Sahih Muslim :: Book 20 :: Hadith 4483, 1822]
The Messenger of Allah (ﷺ) said: "Whoever has three daughters, or three sisters, or two daughters, or two sisters and he keeps good company with them and fears Allah regarding them, then Paradise is for him.
Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya: “Jis Shaks Ki Teen Betiyan Ya Teen Behnen Hon Ya Do Betiyan Ya Do Behnen Hon Aur Woh Un Ke Sath Accha Sulook Kare Aur Un Ke Bare Mein Allah Ta’ala Se Darta Rahe To Woh Shaks Jannat Mein Dakhil Hoga.”
[Jami` at-Tirmidhi: 1916 / Sahih Ibn Hibban: 446]
✦...... Ghar Mein Faqah Nahin Aayega! ......✦
Hazrat Abu Zabya Rahimahullahu Ta’ala kehte hain ke Hazrat Uthman bin Affan RadiyAllahu Anhu Hazrat Abdullah bin Mas’ud RadiyAllahu Anhu ke Marzul Wafaat mein un ki Iyadat ke liye Tashreef laye aur Farmaya: Aap ko kya Shikayat hai? Hazrat Abdullah bin Mas’ud RadiyAllahu Anhu ne Farmaya: Apne Gunahon ki Shikahayat hai, Hazrat Uthman RadiyAllahu Anhu ne Farmaya: Aap Kya Chahte hain ? Hazrat Abdullah bin Mas’ud RadiyAllahu Anhu ne Farmaya: Main apne Rab ki Rehmat Chahta hun, Hazrat Uthman RadiyAllahu Anhu ne Farmaya: Kya main Aap ke liye Tabeeb ko Na bulaun ? Hazrat Abdullah bin Mas’ud RadiyAllahu Anhu ne Farmaya: Tabeeb (Yani Allah) hi ne to Mujhe bimar kiya, Hazrat Uthman RadiyAllahu Anhu ne Farmaya: Kya Main Aap ke liye Baitul Maal se Atya (Wazeefa) na Muqarrar kardun? Hazrat Abdullah bin Mas’ud RadiyAllahu Anhu ne Farmaya: Mujhe is ki Zaroorat nahin, Hazrat Uthman RadiyAllahu Anhu ne Farmaya: Wo Wazeefa Aap ke baad Aap ki Betiyon ke Kaam Aayega, Hazrat Abdullah bin Mas’ud RadiyAllahu Anhu ne Farmaya: Kya Aap ko Meri Betiyon par Faqe ka Dar hai? Main Ne apni Betiyon ko Keh Rakha hai ke
“Jo Shaks Har Raat Surah Waqi’ah Padhega us Par Kabhi Faqah Nahin Aayega.” (Hayatus Sahaba: Jild 2: Safha: 772)
“Is Moqe Par Jo Mithayi Taqseem Ki Jati Hai Agar Woh But Ya Murti Wagherah Par Chadhayi Gayi Hon To Us Ka Qubool Karna Aur Khana Na Jayez Aur Haram Hai, Aur Agar But Wagherah Par Na Chadhayi Gayi Ho To Use Qubool Kiya Ja Sakta Hai, Lekin Phir Bhi Tehwaron Ke Moqe Par Qubool Na Karna Hi Behtar Hai, Taa Ke Kufr o Shirk Ki Hausla Afzayi Ka Shuba Na Ho.”
The Prophet (ﷺ) said, "You will follow the wrong ways, of your predecessors so completely and literally that if they should go into the hole of a mastigure, you too will go there." We said, "O Allah's Messenger (ﷺ)! Do you mean the Jews and the Christians?" He replied, "Whom else?" (Meaning, of course, the Jews and the Christians.)
Urdu Translation: Nabi Akram (ﷺ) Ne Irshad Farmaya: “Tum Log Pehli Ummaton Ke Tareeqon Ki Qadam Ba Qadam Pairwi Karoge Yahan Tak Ke Agar Woh Goah (Chipkali Ki Nasal Ka Aik Janwar) Ke Surakh Mein Dakhil Honge To Tum Bhi Us Mein Dakhil Hoge.” Sahaba Karam RadiyAllahu Anhum Ne Pucha: Ya RasoolAllah (ﷺ)! Pehli Ummaton Se Aap Ki Muraad Yahood Aur Isayi Hain? Aap (ﷺ) Ne Irshad Farmaya: “To Phir Aur Kon?”
[Sahih al-Bukhari :: Vol. 4 :: Book 55 :: Hadith 662, 3456]
Narrated Abu Musa RadiyAllahu Anhu: "Never was a Hadith unclear to us - the Companions of the Messenger of Allah - and we asked 'Aishah, except that we found some knowledge concerning it with her."
Urdu Translation: Hazrat Abu Musa RadiyAllahu Anhu Farmate Hain:” Ham Sahaba Ko Jab Kisi Hadis Ke Bare Mein Koi Ishkal Hota Aur Ham Us Ke Bare Mein Hazrat Aishah Se Daryaft Karte To Aap Ke Paas Us Se Mutalliq Zaroor Ilm Maujood Hota (Jis Se Hamara Ishkal Hal Ho Jata).”
[Jami` at Tirmidhi :: Vol. 1 :: Book 46 :: Hadith 3883, 3883]
The Prophet(ﷺ) said: "Shall I not tell you of the best charity? A daughter who comes back to you and has no other breadwinner apart from you."
Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya: Kya Main Tumhen Sab Se Afzal Sadaqah Na Bataun? Tumhari Woh Beti Jo (Shohar Ki Wafat Ya Talaq Ke Baad) Tumhare Paas Wapas Aajaye Aur Tumhare Alawah Us Ka Koi Kamane Wala Na Ho. (Yani: Us Beti Par Kharch Karna Allah Ke Nazdeek Sab Se Afzal Sadaqah Hai).
[Sunan Ibn Majah :: Vol. 5 :: Book 33 :: Hadith 3667, 3667]
RasoolAllah ﷺ Se Pucha Gaya: Hamare Liye Kon Se Ham Nasheen Aur Dost Behtar Hain? RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jise Dekh Kar Tumhen Allah Ki Yaad Aaye, Jis Ki Guftagu Tumhare Ilm Mein Izafe Ka Sabab Bane, Aur Jis Ke Aa’mal Tumhen Aakhirat Ki Yaad Dilayen.” (Majma al-Zawa'id: 17686)
عن ابن عباس قال : قيل : يا رسول الله أي جلسائنا خير ؟ قال : من ذكركم الله رؤيته وزاد في عملكم منطقه وذكركم في الآخرة عمله
(مجمع الزوائد: 17686 باب أي الجلساء خير،فيه مبارك بن حسان وقد وثق وبقية رجاله رجال الصحيح)
The Prophet (ﷺ) said: "On the Day of Judgement, when the people who were tried (in this world) are given their rewards, the people who were pardoned (in life), will wish that their skins had been cut off with scissors while they were in the world."
Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Dunya Mein Aazmayish o Masayeb Mein Mubtela Rehne Walon Ko Jab Qayamat Ke Din Ajr o Sawab Se Nawaza Jayega To Dunya Mein Aafiyat Ke Sath Rehne Wale Log Ye Khuahesh Karenge Ke Aye Kash! Dunya Mein Hamari Jild o Jism Ko Qainchiyon Se Kata Jata (Ta Ke Hamen Bhi Ye Azeem Ajr o Sawab Milta).”
[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 10 :: Hadith 2402, 2402]
RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Dajjal Us Waqt Tak Nahin Niklega Jab Tak Ke Log Us Ke Tazkere Se Ghafil Na Ho Jayen Yahan Tak Ke Aayima Karam Member o Mehrab Par Us Ka Tazkerah Karna Chhod Den.” (Majma al-Zawa'id: 12499)
عن راشد بن سعد قال : لما فتحت إصطخر إذا مناد ينادي : ألا إن الدجال قد خرج قال : فلقيهم الصعب بن جثامة فقال : لولا ما تقولون لأخبرتكم
أني سمعت رسول الله صلى الله عليه و سلم يقول : لا يخرج الدجال حتى يذهل الناس عن ذكره وحتى تترك الأئمة ذكره على المنابر
(مجمع الزوائد : 12499،باب لا يخر ج الدجال حتى يذهل الناس عن ذكره)
Aishah narrated from Abu Bakr As-Siddiq RadiyAllahu Anhu: that whenever the Prophet (ﷺ) wanted to do a matter, he would say: “O Allah, make it good for me and choose for me. '(Allāhumma khir lī wakhtar lī)”
Urdu Translation: Hazrat Abu Bakr Siddiq RadiyAllahu Anhu Se Riwayat Hai Ke RasoolAllah ﷺ Jab Kisi Kaam Ka Iradah Farmate To Ye Dua Padhte:
" اللَّهُمَّ خِرْ لِي وَاخْتَرْ لِي "
(Allāhumma khir lī wakhtar lī)”
“Aye Allah! Mere Liye Behtar Ka Intekhab Farma Aur Mere Liye Behtar Pasand Farma.”
[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 6 :: Book 45 :: Hadith 3516, 3516]
●◗► Laghu Ka Matlab Hai Har Bekar Mashghalah Jis Mein Na Dunya Ka Koi Faidah Ho Aur Na Aakhirat Ka.
..…... SUNNAT BHI - WARZISH BHI - KHEL BHI ......
The Prophet (ﷺ) said: "Everything other than remembering Allah is (considered) wasteful play except four:
❶ A man humoring his wife,
❷ A man training his horse,
❸ A man walking between targets (learning archery),
❹ And man learning swimming."
Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: "Har Woh Cheez Jis Mein Allah Ki Yaad Na Ho Woh Lahu o Lo’ab Mein Shamil Hain Siwaye 4 Chizon Ke:
❶ Aadmi Ka Apni Ghar Wali Ke Sath Hansi Mazaq Karna,
❷ Apne Ghode Ko Tarbiyat Dena,
❸ Do Nishanat Aur Hadon Ke Darmiyan Daudne Ka Muqabla Karna,
❹ Tairaki Seekhna."
[Narrated by An-Nasaa'i and authenticated by Al-Albaani (Sahih Al-Jami' 4534), (Recorded by Bayhaqi and at-Tabarani with a good chain of narrators)]
Narrated Anas bin Malik RadiyAllahu Anhu: A tailor invited Allah's Messenger (ﷺ) to a meal which he had prepared. I went along with Allah's Messenger (ﷺ) and saw him seeking to eat the pieces of gourd from the various sides of the dish. Since that day I have liked to eat gourd.
Urdu Translation: Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Anhu Riwayat Karte Hain Ke Aik Darzi Ne RasoolAllah ﷺ Ke Liye Khana Bana Kar Aap ﷺ Ki Dawat Ki, (Hazrat Anas RadiyAllahu Anhu Farmate Hain) Main Bhi RasoolAllah ﷺ Ke Sath Chala Gaya Aur (Khane Ke Dauran) Main Ne Dekha Ke RasoolAllah ﷺ Bartan Mein Charon Taraf Kaddu Talash Farma Rahe The, Hazrat Anas RadiyAllahu Anhu Kehte Hain Ke Main Bhi Usi Din Se “Kaddu” Bahot Pasand Karne Laga.
[Sahih Bukhari :: Vol. 7 :: Book 65 :: Hadith 291, 5379]
Narrated Jundab RadiyAllahu Anhu: I heard the Prophet (ﷺ) saying, "I am your predecessor at the Lake-Fount. (Al-Kauthar).
Hazrat Jundab RadiyAllahu Anhu Farmate Hain Ke Main Ne Nabi Akram ﷺ Ko Ye Irshad Farmate Hue Suna: “Main Hauze Kausar Par Tumhara Muntazir Hun.”
[Sahih Bukhari :: Vol. 8 :: Book 76 :: Hadith 589, 6589]
Khalid b. Umair reported: I heard Utba b. Ghazwan as saving: I found myself as the seventh amongst the seven who had been along with Allah's Messenger (ﷺ). We had nothing to eat but the leaves of hubla (a wild tree) until the corners of our mouths were injured.
Urdu Translation: Hazrat Utba bin Ghazwan RadiyAllahu Anhu Farmate Hain Ke Main Ne Woh Waqt Bhi Dekha Hai Jab Main RasoolAllah ﷺ Ke Hath Pe Islam Qubool Karne Wale Sath Afrad Ke Wafad Ka Satwan Aadmi Tha, Hamare Paas (Babool) Darakht Ke Patton Ke Siwa Khane Ko Kuch Na Tha Jis (Ke Khane) Ki Waja Se Hamare Jabde Chil Gaye The.
[Sahih Muslim :: Book 42 :: Hadith 7077, 2967]
Jabir ibn Samura RadiyAllahu Anhu said: "I saw Allah’s Messenger (Allah bless him and give him peace) on a cloudless night, and he was wearing a red suit of clothes, so I started looking at him as well as at the moon, for he is indeed more beautiful, in my opinion, than the moon!”
Urdu Translation: Hazrat Jabir RadiyAllahu Anhu Farmate Hain: Main Ne Aik Martaba Chandni Raat Mein RasoolAllah ﷺ Ko Dekha, Aap ﷺ Ne Us Waqt Surkh Dhariyon Wala Joda Zaib Tan Kiya Hua Tha, Main Kabhi Chand Ko Dekhta Aur Kabhi RasoolAllah ﷺ Ko, Aakhir Kaar Main Is Natije Par Pohncha Ke RasoolAllah ﷺ Chand Se Zyadah Khoobsurat Hain.”
[Ash-Shama'il Al-Muhammadiyah :: Book 1 :: Hadith 9]
The Messenger of Allah (ﷺ) said: "I wish that I could meet my brothers." The Sahabah (companions of the Prophet (ﷺ) asked: "Aren't we your brothers?” He replied: "You are my Companions, but my brothers are those who will believe in me without having seen me."
[Musnad Ahmad and Al-Albani graded it saheeh in al-Silsilah al Saheehah # 2888]
Urdu Translation: RasoolAllah (ﷺ) Ne Irshad Farmaya: "Mujhe Tamanna Hai Ke Main Apne Bhaiyyon Se Milun" Sahaba RadiyAllahu Anhum Ne Arz Kiya: Kya Ham Aap Ke Bhai Nahin Hain? Aap (ﷺ) Ne Irshad Farmaya: "Tum To Mere Sathi Ho, Mere Bhai Woh Hain Jo Mujhe Dekhe Baghair Mujh Par Iman Layenge."
[Musnad Ahmad bin Hanbal :: 12339, 12579 :: and Al-Albani graded it saheeh in al-Silsilah al Saheehah # 2888]
●◗► Ya Allah! Hamen Roze Mehshar RasoolAllah ﷺ Ki Shifa’at Naseeb Farma. (Aameen)
✦ Silsila Waar Paighamat: Paigham Number 5 ✦
Rahmatul lil Alameen ﷺ Ki Sakhawat Ka Manzar!
Anas ibn Malik RadiyAllahu Anhu said: "The Prophet, may Allah bless him and grant him peace, was merciful. No one came to him but that he promised himself something and carried out that promise if he had anything to give."
Urdu Translation: Hazrat Anas RadiyAllahu Anhu Farmate Hain Ke Nabi Akram ﷺ Intehayi Rahem Dil The, Jab Koi Mangne Wala Aap Ke Paas Aata To Agar Aap Ke Paas Kuch Maujood Hota To Aap Use Ata Farma Dete Aur Agar Maujood Na Hota To Us Se (Phir Kisi Waqt Dene Ka) Wadah Farma Lete.”
[Al-Adab Al-Mufrad :: Book 14 :: Hadith 278]
✦ Silsila Waar Paighamat: Paigham Number 4 ✦
Shafi’e Mehshar ﷺ Ki Shifa’at Zaroor Qubool Hogi!
Abu Huraira RadiyAllahu Anhu reported Allah's Messenger (ﷺ) as saying: I shall be pre-eminent amongst the descendants of Adam on the Day of Resurrection and I will be the first intercessor and the first whose intercession will be accepted (by Allah).
Urdu Translation: Nabi Akram ﷺ Ne Irshad Farmaya:“Qayamat Ke Din Main Aulade Adam Ka Sardar Honga Aur Sab Se Pehle Meri Qabr Shaq Hogi (Phategi) Aur Sab Se Pehle Main Hi Sifarish Karunga Aur Sab Se Pehle Meri Hi Sifarish Qubool Hogi.”
[Sahih Muslim :: Book 30 :: Hadith 5655, 2278]
✦ Silsila Waar Paighamat: Paigham Number 3 ✦
✦... Jannat Ke Darwaze Pe Sab Se Pehle Dastak Dene Wale! ...✦
Anas bin Malik RadiyAllahu Anhu reported: The Messenger of Allah (ﷺ) said: Amongst the apostles I would have the largest following on the Day of Resurrection, and I would be the first to knock at the door of Paradise.
Urdu Translation: Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Anhu Farmate Hain Ke Nabi Akram ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Qayamat Ke Din Meri Ummat Ki Ta’dad Tamam Ambiya Ke Muttabayeen Se Zyadah Hogi Aur Main Hi Sab Se Pehle Jannat Ke Darwaze Pe Dastak Dunga.”
[Sahih Muslim :: Book 1 :: Hadith 382, 196]
✦ Silsila Waar Paighamat: Paigham Number 2 ✦
✦...... RasoolAllah ﷺ Ki Ibadat Ka Manzar! ......✦
Narrated Al-Mughira RadiyAllahu Anhu: The Prophet (ﷺ) used to stand (in the prayer) or pray till both his feet or legs swelled. He was asked why (he offered such an unbearable prayer) and he said, "should I not be a thankful slave."
Urdu Translation: Hazrat Mughirah Bin Shu’ba RadiyAllahu Anhu Farmate Hain Ke RasoolAllah ﷺ Itni Dair Tak Khade Ho Kar Namaz Padhte Rahte Ke Aap ﷺ Ke Qadam Mubarak Ya Pindliyon Par Waram Aajata, Jab Aap ﷺ Se Is Ke Mutalliq Kuch Arz Kiya Jata To Farmate: “Kya Main Allah Ka Shukr Guzaar Bandah Na Banun.”
[Sahih Bukhari :: Vol. 2 :: Book 21 :: Hadith 230, 1130]
Hazrat Ibn Abbas RadiyAllahu Anhu Farmate Hain Ke RasoolAllah ﷺ Sirf Musalmanon Pe Kharch Karne Ka Hukum Diya Karte The, Hatta Ke Ye Aayat Nazil Hui:
“(Aye Paighambar!) Logon Ko Hidayat Dene Ki Zimmedari Aap Par Nahin Hai, Hidayat To Allah Jise Chahta Hai Deta Hai Aur Jo Maal Tum (Rahe Khuda) Mein Kharch Karte Ho Wo Tumhare Apne Faide Ke Liye Hai, Aakhir Tum Isi Liye To Kharch Karte Ho Ke Allah Ki Raza Hasil Ho To Jo Kuch Maal Tum Kharch Karoge, Us Ka Pura Pura Ajr Tumhen Diya Jayega Aur Tumhari Haq Talfi Hargiz Na Hogi.”
Chunanche Is Ke Baad Nabi Akram ﷺ Ne Har Us Shaks Par Sadaqa Karne Ka Hukum Diya Jo Tum Se Mange, Chahe Wo Kisi Bhi Mazhab Se Talluq Rakhta Ho. (Tafseer ibn Kaseer: Surah Al-Baqarah: 272)
عن ابن عباس، عن النبي صلى الله عليه وسلم: أنه كان يأمر بألا يتصَدق إلا على أهل الإسلام، حتى نزلت هذه الآية: { لَيْسَ عَلَيْكَ هُدَاهُمْ } إلى آخرها، فأمر بالصدقة بعدها على كل من سألك من كل دين(تفسيرابن كثير: تجت سورة البقرة:272)
✦ Silsila Waar Paighamat: Paigham Number 1 ✦
Aan Hazrat ﷺ Ke Sahibzade Aur Sahibzadiyon Ki Ta’dad Kitni Thi?
Aap (صلى الله عليه و سلم) Ke 3 Sahibzade The:
❶ Hazrat Qasim RadiyAllahu Anhu
❷ Hazrat Abdullah (In Ka Laqab Tayyib Aur Tahir Tha.)
❸ Hazrat Ibraheem RadiyAllahu Anhu
In Mein Hazrat Qasim Ki Kunyat Se Aap ﷺ Ko Abul Qasim Bhi Kaha Jata Tha.
Aap (صلى الله عليه و سلم) Ki 4 Sahibzadiyan Thin:
❶ Hazrat Zainab RadiyAllahu Anha
❷ Hazrat Ruqayya RadiyAllahu Anha
❸ Hazrat Umme Kulthum RadiyAllahu Anha
❹ Hazrat Fatimah RadiyAllahu Anha
Mazkurah Bala Tamam Aulad Hazrat Khadijah RadiyAllahu Anha Ke Batan Mubarak Se Thi, Siwaye Hazrat Ibraheem RadiyAllahu Anhu Ke Wo Hazrat Maria Qibtiyya RadiyAllahu Anha Ke Batan Se The.
●◗► Rabi Ul Awwal Shuru Hote Hi Kuch Log Aik “Hadees” Nashr (Share) Karna Shuru Kar Dete Hain Jis Ke Alfaz Kuch Is Tarah Hote Hain: “Jo Bhi Mahe Rabi Ul Awwal Ki Mubarak Baad Dega, Us Par Jannat Wajib Ho Jayegi...Yaa...Jahannam Ki Aag Haram Ho Jayegi.”
Maahe Rabi Ul Awwal Yaqinan Ba Barkat Hai, Lekin Is Ki Mubarak Baad Dene Se Mutalliq Mazkurah Bala Hadees Bilkul Be Sanad Aur Khud Sakhta Hai, Is Hadees Ki Nabi Akram ﷺ Ki Taraf Nisbat Karna Jayez Nahin Aur Aisa Karna RasoolAllah ﷺ Ki Taraf Jhoot Mansoob Karne Ke Zumre Mein Aata Hai Jis Ke Mutalliq Aap ﷺ Ka Irshad Hai:
“Jo Shaks Meri Taraf Mansoob Kar Ke Wo Baat Bayan Kare Jo Main Ne Nahin Kahi To Wo Apna Thikana Jahannam Mein Banale.” (Sahih Bukhari: 109)
► Khud Sakhta - Ghair Haqeeqi, Banawti.
⇨ "Indeed, Allah confers blessing upon the Prophet, and His angels [ask Him to do so]. O you who have believed, ask [ Allah to confer] blessing upon him and ask [ Allah to grant him] peace." (Surah Al-Ahzab: 56)
► Durood Shareef Padh Kar Aage Share Karen ◄
●◗► Fahash Manzar Dekhne Wale Bacche Fahashi ikhtiyaar Karte hain, Baghair Kahe Sune ikhtiyaar karte Hain aur Acche Manazir dekhne Wale Bacche Acchi Cheezen ikhtiyaar karte hain Lehaza is Baat ka Bahot Khayal Rakhe ke Aap ki Aulad kya Dekh Rahi hai.
The Messenger of Allah (ﷺ) said: ‘O people! Spread (the greeting of) Salam, feed others, uphold the ties of kinship, and pray during the night when people are sleeping, and you will enter Paradise with Salam.”
Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya: “Aye Logo! Salam Phailao, Khana Khilao, Rishtedariyan Jodo, Raat Mein Namaz Padho Jab Ke Log So Rahe Hon Is Tarah Jannat Mein Salamati Ke Sath Dakhil Ho Jao.”
[Sunan Ibn Majah :: Vol. 4 :: Book 29 :: Hadith 3251, 3251]
Har Haal Mein Neki o Ehsan Pe Kaar Band
Hazrat Yusuf Alaihis Salam Se Do Martaba Ye Jumla Kaha Gaya: “Ham Aap Ko Neki Aur Ehsan Karne Wala Dekhte Hain.” (Yusuf: 36,78)
► Aik Martaba Jab Aap Qaid Khane Mein The
► Dusri Martaba Jab Aap Hukumati Mansab Par Fayiz The
Lehaza Musalman Ki Yahi Shaan Honi Chahiye Ke Har Haal Mein Allah Ka Mutee o Farman Bardar Aur Makhluqe Khuda Ke Liye Hamdard o Khair Khuah Rahe, Chahe Woh Zulm Ke Jabar
Mein Ho Ya Ekhtiyarat Ki Ranayion Mein!
Sirf Maal Ki Kami, Zaruriyat Ke Pura Na Hone Aur Mohabbaton Ke Chakkar Mein Hi Dil Udaas Nahin Hote Balke:
► Allah Ke Haq Me Kami Karne Se
► Namazen Chhodne Se
► Jhoot Bolne Se
► Quran Ko Na Padhne Se
► Khayanat Karne Se
► Yahan Tak Ke Gane Sunne Se Bhi Dil Ka Sukoon Rukhsat Ho Jata Hai... Aik Be Naam Si Bechaini Rehti Hai Us Be Chaini Ki Jad Hi Allah Ta’ala Se Doori Aur Allah Ko Yaad Na Rakhna Hai..
Yaad Rakho! ⇨ "Sirf Allah Ke Zikr Hi Se Dilon Ko Itminan Naseeb Hota Hai." (Surah Ar-Ra'd:28)
Deen Par Aml Paira Hon! Khush Rahen! Khushiyan Banten!
RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jo Shaks Kisi Ghaib Ki Khabren Batane Wale (Nujumi, Kahin Wagherah) Ke Paas Jaye Aur Phir Us Ki Batayi Gayi Baton Ki Tasdeeq Kare To Us Shaks Ki 40 Din Tak Ki Namazen Qubool Na Hongi (Yani Namazen Ada Karne Ki Waja Se Farz To Zimme Se Saqit Ho Jayega Lekin 40 Dinon Ki Namazon Ka Ajr o Sawab Use Nahin Milega).” (Musnad Ahmad:23270)
عن صفية عن بعض أزواج النبي صلى الله عليه و سلم عن النبي صلى الله عليه و سلم قال من أتى عرافا فصدقه بما يقول لم تقبل له صلاة أربعين يوما
(مسند احمد :23270،حديث بعض أزواج النبي،حدیث صحیح)
Abu Dharr RadiyAllahu Anhu reported Allah's Apostle (ﷺ) as saying: In the morning charity is due from every bone in the body of every one of you. Every utterance of Allah's glorification is an act of charity. Every utterance of praise of Him is an act of charity, every utterance of profession of His Oneness is an act of charity, every utterance of profession of His Greatness is an act of charity, enjoining good is an act of charity, forbidding what is distreputable is an act of charity, and two rak'ahs which one prays in the forenoon will suffice.”
Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya: “Tum Mein Se Har Shaks Ke Har Jod Par Subah Sawere Sadaqa Lazim Hota Hai Pus Har Tasbeeh (SubhanAllah Kehna) Sadaqah Hai, Har Tahmeed (Alhamdulillah Kehna) Sadaqah Hai, Har Tahleel (La ilaha illAllah Kehna) Sadaqah Hai, Har Takbeer (Allahu Akbar Kehna) Sadaqah Hai, Amr Bil Maroof (Neki Ki Talqeen Karna) Sadaqah Hai, Nahi Anil Munkar (Burai Se Rokna) Sadaqah Hai, Aur Chasht Ke Waqt Mein Padhi Gayi Do Rakat Namaz In Sab (Nekiyon) Ki Taraf Se Kafi Hai.”
[Sahih Muslim :: Book 4 :: Hadith 1557, 720]
●◗► Chasht ka Waqt Tulue Aftab Ke Baad Suraj Ke Khoob Acchi Tarah Roshan Aur Dhoop Ke Tez Ho Jane Se Shuru Ho Kar Zawal Se Pehle Tak Rehta Hai, Kitna Aasan Nuskha Hai Ke Sirf 10 Minute Mein Chahst Ki 2 Rakaten Padh Kar Insan Apne Jism Ke 360 Jodon Ka Sadaqah Aur Shukrana Ada Kar Sakta Hai.
No comments:
Post a Comment