Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya: “Jis Ne Apni Qasam Ke Zariye Se Kisi Musalman Ka Haq Mara, Allah Ne Us Ke Liye Aag Wajib Kardi Aur Us Par Jannat Haram Tahrai” Aik Shaks Ne Aap ﷺ Se Arz Kiya: Agarche Woh Mamuli Si Cheez Ho, Aye Allah Ke Rasool! Aap Ne Farmaya: “Chahe Woh Piiluu Ke Darakht Ki Aik Shakh Ho.”
[Sahih Muslim :: Book 1 :: Hadith 252, 137]
“Piiluu Aik Darakht Ka Naam, Jis Ki Patli Shakhon Aur Jad Ki Miswaak Banate Hai.”
► Gheebat: Peeth Piche Kisi ki Aisi Burayi Bayan Karna Jo Us Mein Maujood Ho.
► Bohtan: Kisi Ki Aisi Burayi Bayan Karna Jo Us Mein Maujood Hi Na Ho.
► Jhoot: Aisi Baat Karna Ya Khabar Dena Jo Haqiqat Ke Khilaf Ho.
► Riyakari: Dikhlawe Ke Liye Naik Aml Karna.
► Hasad: Kisi Ke Paas Maujood Kisi Nemat Par Jalna Aur Pareshan Hona.
► Badgumani: Kisi Ke Bare Mein koi Bura Khayal Ya Buri Raye Qayem Karna.
► Tamaskhur : Kisi Shaks Ya Qaum Wagherah Ka Mazaq Udana.
► Takabbur: Apne Ko Dusron Se Bada Samajhna.
► Taassub: Nahaq Apni Qaum Ka Sath Dena, Apni Qaum Ko Sab Se Behtar Samajhna.
► Dhoka: Apne Faidah Ke Liye Jante Boojhte Ghalat Bayani Ya Ja’alsazi Karna.
► Tao Mein Rehna: Kisi Ki Sargarmiyon Pe Nazar Rakhna Aur Jasusi Karna.
► Sazish: Kisi Ko Nuqsan Pohnchane Ke Liye Mansube Banana.
► Waldain Ki Nafarmani: Maa Baap Ka Kehna Na Maanna, Un Ki Qadar Na Karna, Unhen Takleef Pohnchana.
► Qata Rahmi: Rishte Nate Todna, Musalman Se Baat Cheet Band Karna.
●◗► Ya Arhamar Rahimeen! Hamen Aur Sari Ummat Ko In Gunahon Se Mahfooz Farma. (Aameen)
⇨ Allah Ta'ala Ka Irshad Hai: “Aur Apne Gharon Mein Baithi Raho Aur Pehle Daure Jahiliyat Ki Tarah Saj Dhaj (Ban Than Kar Apni Shan Aur Apna Jalwah) Na Dikhati Phiro Aur Namaz Ada Karti Raho Aur Zakat Deti Raho Aur Allah Aur Us Ke Rasool Ki Ita'at Karo.” (Surah Al-Ahzab:33)
Urdu Translation: Hazrat ‘Abdullah bin ‘Amr RadiyAllahu Anhu Bayan Karte Hain Ke RasoolAllah g Se Sawal Kiya Gaya: Logon Mein Sab Se Behtar Kon Hai? Aap g Ne Farmaya: “Saaf Dil Aur Sacchi Zuban Wala, Sahaba Karam Ne Arz Kiya: Zuban Ke Sacche Ko To Ham Samajhte Hain, Saaf Dil Wale Se Kya Murad Hai? Aap g Ne Farmaya: Parhezgaar Saaf Dil Jis Mein Koi Gunah Na Ho, Na Baghawat, Na Kina Aur Na Hasad.”
[Sunan Ibn Majah :: Vol. 5 :: Book 37 :: Hadith 4216, 4216]
Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya: “Halak o Barbaad Kar Dene Wali (in) Chizon Se Bacho: Allah Ke Sath Shirk Karne Se Aur Jadu (Karne Aur Karane) Se.”
[Sahih Bukhari :: Vol. 7 :: Book 71 :: Hadith 659, 5764]
Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya: “Agar Insan Ke Paas Sone Ki Aik Wadi Ho To Woh Chahega Ke Do Ho Jayen Aur Us Ka Muh Qabr Ki Mitti Ke Siwa Aur Koi Cheez Nahin Bhar Sakti Aur Allah Us Ki Tawbah Qubool Karta Hai Jo Tawbah Kare.”
[Sahih Bukhari :: Vol. 8 :: Book 76 :: Hadith 447, 6439]
Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya: “Allah Ta'ala Tumhare Liye Teen Baten Pasand Nahin Karta: ❶ Bila Wajah Ki Gab Shap ❷ Fuzool Kharchi Aur ❸ Logon Se Bahot Mangna.”
[Sahih Bukhari :: Vol. 2 :: Book 24 :: Hadith 555, 1477]
Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “2 Gunah Aise Hain Jin Ki Saza Dunya Mein Bhi Jald Di Jati Hai: ❶ Zulm ❷ Waldain Ki Nafarmani."
[Al-Mustadrak ‘alá al-Ṣaḥīḥayn Al-Hakim: 7350]
Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya: “Main Aur Yateem Ki Parwarish Karne Wala Jannat Mein Is Tarah HongeAur Aap Ne Shahadat Ki Ungli Aur Beech Ki Ungli Se Isharah Kiya Aur Un Donon Ungliyon Ke Darmiyan Thodi Si Jagah Khuli Rakhi.”
[Sahih Bukhari :: Vol. 7 :: Book 63 :: Hadith 224, 5304]
Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Narmi Jis Cheez Mein Bhi Hoti Hai Us Ko Zeenat Bakhsh Deti Hai Aur Jis Cheez Se Bhi Narmi Nikal Di Jati Hai Use Badsurat Kar Deti Hai.”
[Sahih Muslim :: Book 32 :: Hadith 6274, 2594]
Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jo Shaks Ghussa Pi Jaye Jab Ke Woh Us Par Amal Dar Aamad Ki Qudrat Rakhta Ho To Allah Ta’ala Use Qayamat Ke Din Sab Logon Ke Samne Bulaye Ga Aur Use Ekhtiyar Dega Ke Jannat Ki Hoorain Mein Se Jise Chahe Muntakhab Karle.”
[Sunan Abi Dawud :: Book 42 :; Hadith 4759, 4777]
Urdu Translation: RasoolAllah g Ne Farmaya: “Safar Kya Hai Goya Azab Ka Aik Tukda Hai, Aadmi Ki Neend, Khane Pine Sab Mein Rukawat Paida Karta Hai, Is Liye Jab Musafir Apna Kaam Pura Karle To Use Jaldi Ghar Wapas Aajana Chahiye.”
[Sahih Bukhari :: Vol. 4 :: Book 52 :: Hadith 245, 3001]
The Messenger of Allah ﷺ said: ‘Whoever has two daughters or sisters to whom he is kind as long as they are with him, he and I will be in Paradise (as close to each other) as these (and then he ﷺ put two of his fingers together).’”
Urdu Translaiton: RasoolAllah (ﷺ) Ne Irshad Farmaya: “Jis Shaks Ki 2 Bahnen Ya 2 Betiyan Hon Aur Jab Tak Woh Us Ke Paas Hon, Ye Un Ke Sath Husne Sulook Ka Muamla Karta Rahe To Main (Yani RasoolAllah ﷺ) Aur Woh Shaks Jannat Mein Is Tarah Qareeb Honge Jaise Ye Donon Ungliyan Aur Phir Aap (ﷺ) Ne Apni (Shahadat Aur Darmiyani) Donon Ungliyon Ko Mila Kar Isharah Farmaya.”
[Silsilah Hadees As-Shaheehah: 1026]
من كان له أختان أو ابنتان ، فأحسن إليهما ما صحبتاه ، كنت أنا و هو في الجنة كهاتين . و قرن بين إصبعيه " . (سلسلة الاحاديث الصحيحة:1026)
Urdu Translation: “Jis Ne Kisi Ko Takleef Pahunchayi To Allah Ta’ala Use Takleef Pahunchaye Ga, Aur Jis Ne Kisi Se Dushmani Ki To Allah Ta’ala Us Se Dushmani Kare Ga.”
[Sunan Abi Dawud :: Book 24 :: Hadith 3628, 3635]
Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya: “Jo Shaks Apne Bhai Ki Izzat Us Ki Ghair Maujoodgi Mein Bachaye Allah Ta’ala Qayamat Ke Din Us Ke Chehre Ko Jahannam Se Bachaye Ga.”
[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 4, Book 1 :: Hadith 1931, 1931]
Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Mujhe Is Baat Ka Hukum Nahin Diya Gaya Ke Main Logon Ke Dilon Ki Khoj Lagaun...”
[Sahih Bukhari :: Vol. 5 :: Book 59 :: Hadith 638, 4351]
Narrated Ali ibn AbuTalib RadiyAllahu Anhu: The Messenger of Allah (ﷺ) sent me to the Yemen as judge, and I asked: Messenger of Allah, are you sending me when I am young and have no knowledge of the duties of a judge?
He ﷺ replied: Allah will guide your heart and keep your tongue true. When two litigants sit in front of you, do not decide till you hear what the other has to say as you heard what the first had to say; for it is best that you should have a clear idea of the best decision.
He said: I had been a judge (for long); or he said (the narrator is doubtful): I have no doubts about a decision afterwards.
●════════════════◄►═══════════════●
Urdu Translation: Hazrat Ali RadiyAllahu Anhu Farmate Hain Ke Mujhe RasoolAllah ﷺ Ne Yemen Ki Taraf Qazi Bana Kar Bheja, Main Ne Arz Kiya: Ya RasoolAllah! Aap Mujhe Bhej To Rahe Hain Lekin Main Abhi Kam Umr Hun Aur Faisle Karna Bhi Nahin Janta!
Aap ﷺ Ne Farmaya: “Allah Tumhare Dil Ki Rahnumai Farmayega Aur Tumhari Zuban Ko Salamati o Istiqamat Ata Karega, Jab Tumhare Samne Muqadma Ke Fariqain Baith Jayen To Pehle Fareeq Ke Baad Jab Tak Dusre Fareeq Ki Baat Acchi Tarah Na Sunlo Us Waqt Tak Koi Faisla Na Karna, Kyun Ke Is Tarah Tumhare Samne Muqadma Ke Tamam Pehlu Khul Kar Wazeh Ho Jayenge.”
Hazrat Ali RadiyAllahu Anhu Farmate Hain: Is Ke Baad Main Hamesha Faisle Karta Raha..Ya Ye Farmaya: Is Ke Baad Mujhe Kisi FaisleMein Kabhi Shak Nahin Hua.
[Sunan Abi Dawud :: Book 24 :: Hadith 3575, 3582]
Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Tum Mein Se Koi Shaks Peshab Karte Waqt Apni Sharmgah Ko Dayen Hath (Right Hand) Se Na Chuye Aur Na Hi Dayen Hath Se Najasat Ko Saaf Kare.”
[Sahih Muslim :: Book 2 :: Hadith 511, 267]
Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya: “Jab Allah Ta’ala Tum Mein Se Kisi Ko Maal o Daulat Ata Farmayen To Use Chahiye Ke Pehle Apni Zaat Par Aur Apne Ghar Walon Par Kharch Kare.”
[Sahih Muslim :: Book 20 :: Hadith 4483, 1822]
The Messenger of Allah (ﷺ) said: "Indeed Allah Most High created Adam from a handful that He took from all of the earth. So the children of Adam come in according with the earth, some of them come red, and white and black, and between that, and the thin, the thick, the filthy, and the clean."
Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmay: “Allah Ta’ala Ne Zameen Ke Har Hisse Se Aik Mutthi “Mitti” Lekar Us Se Adam Alaihis Salam Ko Paida Farmaya, Chunanche Un Ki Aulad Mein Mitti Ki Munasabat Se Koi Laal, Koi Sufaid, Koi Kala Aur Koi Un Ke Darmiyan Ki Rangat Ke Hain, Isi Tarah Kuch Narm Mizaj, Kuch Sakht Mizaj, Kuch Buri Tabiyat Aur Kuch Acchi Tabiyat Ke Insan Hain.”
[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 5 :: Book 44 :: Hadith 2955, 2955]
Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Iblees Layeen Apna Takht Pani Par Bichata Hai Aur Logon Ko Warghalane Ke Liye Apne Shaitanon Ko Bhejta Hai, Phir Iblees Ke Sab Se Qareeb Woh Shaitan Hota Hai Jis Ka Fitna Sab Se Bada Ho, Chunanche Un Mein Ka Aik Shaitan Aata Hai Aur Kehta Hai Ke Main Ne Aaj Aisa Kiya, Waisa Kiya? Iblees Kehta Hai Ke Theek Hai Lekin Tum Ne Koi Bada Kaam Nahin Kiya, Phir Aik Aur Shaitan Aata Hai Aur Kehta Hai Ke Main Fulan Miyan Biwi Ke Piche Pada Raha Aur Bil Aakhir Main Ne Donon Mein Tafarruqa Daal Hi Diya, Ye Sun Kar Iblees Khush Ho Kar Use Apne Qareeb Kar Leta Hai Aur Kehta Hai: Han! Tum Ne Khoob Kaam Kiya, Phir Iblees Us Shaitan Ko Gale Laga Leta Hai.”
[Sahih Muslim :: Book 39 :: Hadith 6755, 2813]
The Messenger of Allah (ﷺ) said: "Do not talk too much without remembrance of Allah. Indeed excessive talking without remembrance of Allah hardens the heart. And indeed the furthest of people from Allah is the harsh-hearted."
Urdu Translation: RasoolAllah (ﷺ) Ne Irshad Farmaya: “Allah Ke Zikr Ke Siwa Zyadah Baten Karne Se Parhez Karo! Is Liye Ke Zikr Ilahi Ke Siwa Zyadah Baten Karna Dil Ko Sakht Kar Deta Hai Aur Logon Mein Allah Se Sab Se Zyadah Door Sakht Dil Wala Hoga.”
[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 10 :: Hadith 2411, 2411]
Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya: “Kisi Musalman Ko Bhi Jab Kisi Marz Ki Takleef Ya Aur Koi Takleef Pahonchti Hai To Allah Us Ke Gunah Ko Is Tarah Jhaad Deta Hai Jis Tarah Darakht Apne Patton Ko Jhaadta Hai.”
[Sahih Bukhari :: Vol. 7 :: Book 70 :: Hadith 571, 5667]
Aye Allah! Hamare Ird Gird Barish Barsa Aur Ham Par Na Barsa, Aye Allah! Telon, Pahadon, Jangalaat, Unche Maidanon, Wadiyon Aur Darakhton Ki Jadon Mein Barish Barsa. (Sahih Bukhari:1013)
Narrated Jabir RadiyAllahu Anhu: I came to the Prophet (ﷺ) in order to consult him regarding my father's debt. When I knocked on the door, he ﷺ asked, "Who is that?" I replied, "I" He ﷺ said, "I, I?" He repeated it as if he disliked it.
Urdu Translation: Hazrat Jabir RadiyAllahu Anhu Bayan Karte Hain Ke: Aik Martaba Main RasoolAllah ﷺ Ke Makan Par Gaya Aur Aap ﷺ Se Andar Aane Ki Ijazat Chahi, (Yani Darwazah Ko Dastak Di) Aap ﷺ Ne Pucha Kon Hai? Main Ne Kaha: Main Hun, Huzoor ﷺ Ne Farmaya: Main Main (Na Kaho) Naam Lekar Kaho (Ke Fulan Hun).
[Sahih al-Bukhari :: Vol. 8 :: Book 74 :: Hadith 267, 6250]
⇨ “Kya Insan Ye Samajh Raha Hai Ke Ham Us Ki Haddiyon Ko Ikattha Nahin Kar Sakenge? Kyun Nahin? Jab Ke Hamen Is Par Bhi Qudrat Hai Ke Us Ki Ungliyon Ke Por Por Ko Theek Theek Banaden.” (Al-Quran, Surah Al-Qiyamah:3,4)
Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya: “Marne Ke Baad Momin Ki Rooh Us Ke Qarze Ki Waja Se Latki Rehti Hai (Rahat o Rehmat Ki Us Manzil Tak Nahin Pahonchti Jis Ka Naik Logon Se Wadah Hai) Jab Tak Ke Us Ka Qarza Ada Na Kar Diya Jaye.”
[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Book 5 :: Hadith 1078, 1078]
The Messenger of Allah (ﷺ) said: "Indeed the grave is the first stage among the stages of the Hereafter. So if one is saved from it, then what comes after it is easier than it. And if one is not saved from it, then what comes after it is worse than it."
Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Beshak Qabr Aakhirat Ki Manzilon Mein Sab Se Pehli Manzil Hai, Agar Koi Shaks Is Manzil Ko Kamyabi Se Uboor Kar Gaya To Is Ke Baad Ki Manzilen Aasan Tar Hongi Lekin Agar Koi Isi Manzil Mein Kamyab Na Ho Saka To Baad Waali Manzilen Aur Zyadah Sakht Hongi.”
[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 10 :: Hadith 2308, 2308]
Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya: “Apna Tohfa Wapas Lene Wala Us Kutte Ki Tarah Hai Jo Qai Kar Ke Phir Chaat Jata Hai.”
[Sahih al-Bukhari: 2589, Sahih Muslim: 1622]
Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya: “Allah Ta’ala Ko Pasandidah Tareen Padosi Woh Hai Jo Apne Padosiyon Se Bhalai Karne Wala Ho.”
[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 1 :: Hadith 1944, 1944]
When the Prophet (ﷺ) would sleep, he would put his hand under his head then say: “O Allah, safeguard me from Your Punishment the Day You gather [Your slaves] (Allāhumma qinī `adhābaka yawma tajma`u [`ibādak])” or “you resurrect your slaves (tab`athu `ibādak).”
Urdu Translation: Hazrat Hudhaifah bin Al-Yaman RadiyAllahu Anhu Farmate Hain Ke RasoolAllah ﷺ Jab Sone Ka Iradah Farmate To Apna Hath Apne Sir Mubarak Ke Niche Rakhte Aur Phir Ye Dua Padhte: Aye Allah! Mujhe Apne Azab Se Us Din Bachale Jis Din Tu Apne Bandon Ko Jama Karega."
" اللَّهُمَّ قِنِي عَذَابَكَ يَوْمَ تَجْمَعُ عِبَادَكَ "
[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 6 :: Book 45 :: Hadith 3398, 3398]
●◗► Har Insan Ki Aik Aik Harkat, Aik Aik Qaul Aur Aik Aik Kaam Farishton Ke Zariye Record Kiya Ja Raha Hai, Khuah Woh Kitne Hi Andhere Mein, Tanhayyon Mein, Sunsan Jangalon Mein, Ya Kisi Aisi Jage Par Anjam Paye Jahan Is Baat Ka Pura Itminan Ho Ke Woh Logon Ki Nazar Se Chupi Hai.
No comments:
Post a Comment