Tuesday 20 August 2013

♥ Aik Paigaam Har Muslimah Bahen ke Liye ♥


..... Azdwaj Zindagi ki khushiyon ke liye Sunheri Hadees .....
"Moujudah dor mein har ghar bechaini ka shikar hai, Jise daikho gharelu jhagdon ka rona ro raha hai, Is ki aik Bunyadi wajah shari’at k usulon se phir jana hai. Har Musalman samajhta hai k Nikah karna sunnat hai Lekin kitni be hasi ki baat hai k koi bhi Nikah ko sunnat k mutabiq ada karne ki koshis nahi karta".

Hamare Nikah aur Shadi k Mawaqe Rusumat mein dabe hue hain, phir Barkat kaha se Aaye….?? Badtareen makhlooq hai wo shaks jo apne ghar ka Kharch chalane ke liye Sasural se Jahez Maangta hai, Badtareen hai wo Aadmi jo Jahez ke liye Inkaar hi nahi karta, Badtareen hai wo ghar Jahaan Jahez lene wale rehte hain, Jahez lena laanat hai, Jahez se behtar zakat khairat sadka lelo aur Guzara kar lo.

[ :’( ] Talab Jahez ne cheen li Inki Tamam Khushiyaan [:’( ] Dekho Udaas Baiti hain Hawwa ki Betiyan [:’(]

═══════════════════════◄►══════════════════════●

◗► "Kya hamne kabhi ladki ki talash k silsile mein Nabi Sallallahu Alaihi wasallam ki is Hadees ko Harze Jaan (Bahot Azeez, Behad pasandidah) banane ki haqeer si bhi koshish ki....…?

Narrated Abu Huraira (R.A): The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "A woman is married for four things, i.e., her wealth, her family status, her beauty and her religion. So you should marry the religious woman (otherwise) you will be a losers.

[Sahih Bukhari :: Vol 7 :: Book 62 :: Hadith 27]

Abu Huraira (R.A) se Riwayat hai k Nabi kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya, Aourat se Nikah chaar Chizon ki bunyaad par kiya jata hai, Us k maal ki wajeh se, aur us k khaandani sharf ki wajeh se, aur us ki Khoobsurti ki waje se aur us k Deen ki waje se aur tu DEENDAR aourat se Nikah kar k kamiyabi hasil kar, Agar aisa na kare to Tere haton ko mitthi lage gi.(yani aakhir me tujh ko nadamat hogi).

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari ::Volume 6 :: Hadith 5090]

......... Aik Paigaam Har Muslimah Bahen ke Liye .........
◗► Kya kabhi aap ne apne ird gird ka jayeza liya hai...? Kya aap ne kabhi gor kiya hai k har shai Asal main aik Hijab aik Parde main hai.

Hamari zameen aouzan ki chadar mein lapeti hui hai.
Talwar darmiyan main chupi hoti hai.
Phal apne chilke main mahfooz hote hain.
Qalam dhakkan (cap) k bagair khushk hokar bekar hojata hai.
Kela bagair chilke k kala aur badmazah hojata hai.
Agar saip ko chilka nikal kar rakhdiya jaye to saip sadjata hai.
Kitabon ki hifazat k liye in par jild chadhayi jati hai.

Alhamdulillah! Tamam dhaki hui hai, Tamam Qeemti chizen ba hijab hain, lihaza Aourat jo Allah Rabbul Izzat ki kayenat main khubsurat aur Anmol Takhleeq hai Ye kaise mumkin hai k wo be pardah ho, to Aye Musalman Bahno! Apne aap ko Bahijab rakho, Aur Yaqinan Kayenat main Allah se zyada ham se koi mohabbat nahi karta .

.... Islam ka Usool Jo Hukumat Maange use Hukumat Na Do ....
Narrated Abu Musa: Two men from my tribe and I entered upon the Prophet. One of the two men said to the Prophet, "O Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam)! Appoint me as a governor," and so did the second. The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "We do not assign the authority of ruling to those who ask for it, nor to those who are keen to have it."

[Sahih Bukhari :: Vol. 9 :: Book 89 :: Hadith 263]

Urdu Translation: Hazrat Abu Musa Radi Allahu Anhu se Riwayat hai k Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ki khidmat mein Apni qoum k do (2) aadmiyon ko le kar Hazir hua, un mein se Aik ne kaha Ya RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam)! Hamen kahin ka haakim bana dijiye aur doosre bhi yahi khuahesh zahir ki, is par Allah k Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya k ham Aise shaks ko ye zummedari nahi sonmpte jo ise talab kare aur na use dete hain jo is ka harees ho.

[Urdu Ref :: Sahih al-Bukhari :: Hadith 7149]


◈➲ Harees - Laalchi, Hirs, Hasad karne wala.

.............. What Counts...!! ..............
◈➲ Is not the color of your skin But the color of your character..!!

◈➲ Is not the language that you speak But the words that you use..!!

◈➲ Is not where you live But how you live..!!

◈➲ Is not how much you earn But what you do to earn it...!!

◈➲ Is not where you are But how you got here...!!

◈➲ Is not that you are a human being But the kind of human being you are... !!

....... Nikah Se Pehle Ladki ko Daikhna Kaisa...?? .......
•• "Jis ladki se Nikah ka irada ho us ko nikah se pehle aik dafa daikhlene mein koi harj nahi hai, Aaj hamare muaashre mein is ko galat samjha jata hai Islam mein jo nai hai wo saare kaam karte aur jo hai wo kaam nahi karte Islam mein hai k ladke ko bhi ladki batana aur ladki ko bhi ladka batana dono ki razamandi zaroori hai".

═══════════════════════◄►══════════════════════●

It was narrated from Anas bin Malik that: Mughirah bin Shubah wanted to marry a woman. The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said to him: “Go and look at her, for that is more likely to create love between you.” So he did that, and married her, and mentioned how well he got along with her.[Sunan Ibn Majah :: Vol. 3 :: Book 9 :: Hadith 1865]

Urdu Translation: Hazrat Anas Bin Malik: Mughirah bin Shubah Radi Allahu Anhu ne Aik aourat se Shadi ka iradah kiya to Nabi Sallallahu Alahi Wasallam ne Farmaya k Jao us par aik Nigah daallo is liye ke ye tum dono ke darmiyan Mohabbat mein Ahem kirdar ada karega unhone aisa hi kiya Phir unhone apni bahami muwafiqat ka tazkerah kiya.[Urdu :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 2 :: Hadith 21]

═══════════════════════◄►══════════════════════●

Narrated Jabir ibn Abdullah: The Prophet (Sallallahu Alahi Wasallam) said: When one of you asked a woman in marriage, if he is able to look at what will induce him to marry her, he should do so.[Sunan Abu Dawood :: Book 11 :: Hadith 2077]

Urdu Translation: Hazrat Jabir ibn Abdullah Radi Allahu Anhu se riwayat hai k RasoolAllah Sallallahu Alaihi wasallam ne Farmaya Jab tum mein se koi shaks kisi Aourat se paigam Nikah de to Agar mumkin ho us ko daikh le us k baad Nikah kare.[Urdu :: Sunan Abu Dawood :: Vol.2 :: Hadith 314]

Dil ko Murdah aur Rooh ko Bechain karne wali Chizen!
Badnazri

Gane sunne aur Filme daikhne se

Zyada hasna

Fahesh goyi se

Bure logon ki sohbat.

Dil ko Zinda o Munawwar aur Rooh ko Sukoon dene wali Chizen!

Namaz

Quran paak ki Tilawat

Allah ka Zikr

Mout ki yaad

Naik logon ki sohbat.

1 comment:

  1. your post is best but I believe this is best book to understand to Aurt ka parda.
    AURAT AUR PARDA

    ReplyDelete