✦..........♥ Hafiz-e-Quran ka Muqam ♥..........✦
Narrated 'Abdullah bin 'Amr Radi Allahu Anhu: That the Prophet (Sallallahu
Alaihi Wasallam) said: "It shall be said - meaning to the one who
memorized the Qur'an - 'Recite, and rise up, recite (melodiously) as you would
recite in the world. For indeed your rank shall be at the last Ayah you
recited.'"
[Jami at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Book 42 :: Hadith 2914]
Urdu Translation: Hazrat 'Abdullah bin 'Amr Radi
Allahu Anhu se Riwayat hai k RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya
(Qayamat ke din) Sahib e Quran (Yani Hafiz) se kaha Jaye ga, Quran padhta ja
aur (Jannat k darjon par) chadhta ja aur thehir thehir kar padh, Jaisa k tu
dunya main thehir thehir kar padha karta tha, Bas tera Muqam wohi hoga jahan teri
Aakhri Ayat ki Tilawat Khatam hogi.
[Urdu Ref :: Jami at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith
824]
✦ Shawwal k che(6) Rozey rakhna Hamesha Roze Rakhne ki Tarah Hai ✦
Abu Ayyub al-Ansari (Allah be pleased with him) reported Allah's Messenger
(Sallallahu Alaihi Wasallam) as saying: He who observed the fast of Ramadan and
then followed it with six (fasts) of Shawwal. it would be as if he fasted
perpetually.
[Sahih Muslim :: Book 6 :: Hadith 2614]
Urdu Translation: Hazrat Abu Ayyub al-Ansari Radi
Allahu Anhu se Riwayat hai k RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya
k Jo Aadmi Ramadhan k Roze rakhe phir us k Baad Shawwal k che (6) Roze rakhe ye
Hamesha rozey rakhne ki tarah hai.
[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol.3 :: Hadith 2758]
✦...♥ Assalamu Alaikum Eid Mubarak to you & your Family ♥...✦
♥ BROTHERS
& SISTERS ♥
تَقَبَّلَ اللّهُ مِنَّا
وَ مِنْكُمْ
Taqabbala Allaahu Minna Wa'minkum ! (May Allaah
Accept (Good Deeds) From us and From you).
★•.•´¯`•.•★ ♥ A A M E E N ♥ ★•.•´¯`•.•★
●◗►
Allahu Akbar Allahu Akbar La ilaaha illalahu
Allahu Akbar, Allahu Akbar waillahil hamd
!
✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "EAT DATES BEFORE OFFERING EID
PAYER" ✦
"Eid Ki Namaz ko janey se pahley taaq (1,3,5,7…) khajur khana Sunnat
hai"
Narrated Anas bin Malik Radi Allahu Anhu : Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam
never proceeded (for the prayer) on the Day of 'Id-ul-Fitr unless he had eaten
some dates. Anas also narrated: The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam used to
eat odd number of dates.
[Sahih Bukhari :: Volume 2 :: Book 15 :: Number 73]
Urdu Translation: Hazrat Anas bin Malik Radi Allahu
Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam Eid ul Fitar ke
din tab tak (namaz ke liye) nahi Nikaltey jab tak khuch khajuren na kha lete
aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Taaq (1,3,5,7…) khajurain khaya kartey the.
[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol 2 :: Hadith 953]
●═══════════════════════◄►════ ══════════════════●
✦ Eid Al-fitar aur Eid Al-Dhuha ke din
Roza rakhna Mana Hai ✦
Umm Aisha Radi Allahu Anha said that the prophet
Sallallahu Alaihi Wasallam forbade to observe fast on two days-the day of Fitr
and the day of Adha.
[Sahih Muslim :: Book 6 :: Hadith 2538]
Urdu Translation: Umma Aayesha Radi Allahu Anha se
rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Do din ke rozey se
mana farmaya hai (Aik) Eid Al-fitar aur (Dusra) Eid Al-Dhuha.
[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol 3 :: Hadith 2676]
✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "Going to Eidgaah By Walk" ✦
✦ RasollAllah Sallallahu Alaihi Wasallam Eidgaah jaaney ke liye Aik Raaste
ko aur wapas Aate waqt dusrey Rasste ko Ikhtiyaar kartey they ✦
Narrated Abdullah Ibn Umar Radi Allahu Anhuma: The
Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam went out by one road on the day of the Eid
(‘Id) and returned by another.
[Sunan Abu Dawud :: Book 3 :: Hadith 1152]
Urdu Translation: Hazrat Abdullah Ibn Umar Radi Allahu
Anhuma se rivayat hai k RasollAllah Sallallahu Alaihi Wasallam Eidgaah jaaney
ke liye Aik raastey ko ikhtiyar karte aur wapas Aate waqt dusrey rasste ko
ikhtiyaar karte the.
[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawud :: Vol 1 :: Hadith
1144]
✦ Zakat-ul-Fitr ko Rozey ko paak karne aur Miskeeno ki parwarish ke liye Muqarar Farmya Gaya Hai ✦
Narrated Abdullah ibn Abbas Radi Allahu Anhu : The Apostle of Allah Sallallahu
alaihi wasallam prescribed the Zakat-al-fitr (alms) relating to the breaking of
the fast as a purification of the fasting from empty and obscene talk and as
food for the poor. If anyone pays it before the prayer (of 'Id), it will be
accepted as zakat. If anyone pays it after the prayer, that will be a sadaqah
like other sadaqahs (alms).
[Sunan Abu Dawud :: Book 9 :: Hadith 1605]
Urdu Translation: Ibn Abbas Radi Allahu Anhu se
rivayat hai k Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Zakat-ul-Fitr ko bekar
aur behuda baat se Rozey ko paak karne aur Miskeeno ki parwarish ke liye muqarar
farmya hai jo shaksh Eid ki namaz se pahley isey ada karega wo zakat ki tarah
qubul kiya jayega aur aur agar koi Namaz ke baad ada karega to wo dusrey sadqey
ki tarah Aik sadqa hoga.
[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawud :: Vol 1 :: Hadith
1596]
✦ Zakat-ul-Fitar Ghulam, Aazad, Mard , Aurat Chote aur Bade Tamam Musalmano par Farz Hai ✦
Narrated Ibn Umar Radi Allahu Anhuma: Allah's Apostle
Sallallahu Alaihi Wasallam enjoined the payment of one Sa' of dates or one Sa'
of barley as Zakat-ul-Fitr on every Muslim slave or free, male or female, young
or old, and he Sallallahu Alaihi Wasallam ordered that it be paid before the
people went out to offer the 'Id prayer. (One Sa' = 3 Kilograms approx.)
[Sahih Bukhari :: Volume 2 :: Book 25 :: Number 579]
Abdullah bin umar Radi Allaho Anhuma se riwayat hai
ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Zakat-ul-Fitra Aik sa khajur ya
Aik Sa Jou (barley) (One Sa' = 3 Kilograms approx) farz qarar di hai jo Ghulam,
Aazad, Mard, Aurat chote aur bade tamam musalmano par farz hai aur Aap
Sallallahu Alaihi Wasallam ne ye hukm diya hai ki Namaz (Eid) ke liye Jane se
pahle ye Sadaqah Ada kar diya Jaye.
[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol2 :: Hadith 1503]
✦............♥ M A S H A A L L A H ♥............✦
♥ Hijab ♥
● Be-parda Ladki ki misal "Gulab" k phool ki tarha
hai Aur Pardah Dar Ladki ki misaal Aik "Band Kali" ki tarah hai.
● Har Insan ki fitrat hoti hai k wo kabhi Kali ko Nahi todta
Bal-k Phool ko Todta hai, Soonghta hai aur thodi dair k baad jab Dil bhar jata
hai to "Masal" k ya tod k phenk deta hai.
● Ab ye Ladki par hai k wo Kali ban kar Mehfooz rehna chahti
hai ya
Phool ban kr "Tootna" chahti hai !!
✿ "Insan ki parwarish acchi ho to bure
mahol main bhi acchayi dhoond Nikaalta hai, aur Parwarish acchi nahi to acche
mahol se bhi kuch nahi leta".
Last Jummah of Ramadan :’( DEAR ALLAH.... ♥
No comments:
Post a Comment