✦.....♥ Azdwaj Zindagi ki khushiyon ke liye Sunheri Hadees ♥.....✦
★ "Moujudah
dor mein har ghar bechaini ka shikar hai, Jise daikho gharelu jhagdon ka rona
ro raha hai, Is ki aik Bunyadi wajah shari’at k usulon se phir jana hai. Har
Musalman samajhta hai k Nikah karna sunnat hai Lekin kitni be hasi ki baat hai
k koi bhi Nikah ko sunnat k mutabiq ada karne ki koshis nahi karta".
⇨ Hamare Nikah aur
Shadi k Mawaqe Rusumat mein dabe hue hain, phir Barkat kaha se Aaye….??
Badtareen makhlooq hai wo shaks jo apne ghar ka Kharch chalane ke liye Sasural
se Jahez Maangta hai, Badtareen hai wo Aadmi jo Jahez ke liye Inkaar hi nahi
karta, Badtareen hai wo ghar Jahaan Jahez lene wale rehte hain, Jahez lena
laanat hai, Jahez se behtar zakat khairat sadka lelo aur Guzara kar lo.
[ :’( ] Talab Jahez ne cheen li Inki Tamam
Khushiyaan [:’( ] Dekho Udaas Baiti hain Hawwa ki Betiyan [:’(]
●═══════════════════════◄►══════════════════════●
●◗► "Kya hamne kabhi ladki ki talash k silsile mein Nabi
Sallallahu Alaihi wasallam ki is Hadees ko Harze Jaan (Bahot Azeez, Behad
pasandidah) banane ki haqeer si bhi koshish ki....…?
Narrated Abu Huraira (R.A): The Prophet Sallallahu
Alaihi Wasallam said, "A woman is married for four things, i.e., her
wealth, her family status, her beauty and her religion. So you should marry the
religious woman (otherwise) you will be a losers.
[Sahih Bukhari :: Vol 7 :: Book 62 :: Hadith 27]
Abu Huraira (R.A) se Riwayat hai k Nabi kareem
Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya, Aourat se Nikah chaar Chizon ki bunyaad
par kiya jata hai, Us k maal ki wajeh se, aur us k khaandani sharf ki wajeh se,
aur us ki Khoobsurti ki waje se aur us k Deen ki waje se aur tu DEENDAR aourat
se Nikah kar k kamiyabi hasil kar, Agar aisa na kare to Tere haton ko mitthi
lage gi.(yani aakhir me tujh ko nadamat hogi).
[Urdu Ref :: Sahih Bukhari ::Volume 6 :: Hadith
5090]
✦.........♥ Aik Paigaam Har Muslimah Bahen ke Liye ♥.........✦
●◗► Kya kabhi aap ne
apne ird gird ka jayeza liya hai...? Kya aap ne kabhi gor kiya hai k har shai
Asal main aik Hijab aik Parde main hai.
◈ Hamari zameen
aouzan ki chadar mein lapeti hui hai.
◈ Talwar darmiyan main chupi hoti hai.
◈ Phal apne chilke main mahfooz hote hain.
◈ Qalam dhakkan (cap) k bagair khushk
hokar bekar hojata hai.
◈ Kela bagair chilke k kala aur badmazah
hojata hai.
◈ Agar saip ko chilka nikal kar rakhdiya
jaye to saip sadjata hai.
◈ Kitabon ki hifazat k liye in par jild
chadhayi jati hai.
♥ Alhamdulillah! Tamam dhaki hui hai, Tamam Qeemti chizen ba
hijab hain, lihaza ♥ Aourat jo Allah Rabbul Izzat ki kayenat main khubsurat aur
Anmol Takhleeq hai ♥ Ye kaise mumkin hai k wo be pardah ho, to Aye Musalman
Bahno! Apne aap ko Bahijab rakho, Aur Yaqinan Kayenat main Allah se zyada ham
se koi mohabbat nahi karta ♥ .
✦....♥ Islam ka Usool Jo Hukumat Maange use Hukumat Na Do ♥....✦
Narrated Abu Musa: Two men from my tribe and I entered upon the Prophet. One of
the two men said to the Prophet, "O Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi
Wasallam)! Appoint me as a governor," and so did the second. The Prophet
(Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "We do not assign the authority of
ruling to those who ask for it, nor to those who are keen to have it."
[Sahih Bukhari :: Vol. 9 :: Book 89 :: Hadith 263]
Urdu Translation: Hazrat Abu Musa Radi Allahu Anhu
se Riwayat hai k Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ki khidmat mein Apni
qoum k do (2) aadmiyon ko le kar Hazir hua, un mein se Aik ne kaha Ya
RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam)! Hamen kahin ka haakim bana dijiye aur
doosre bhi yahi khuahesh zahir ki, is par Allah k Nabi Sallallahu Alaihi
Wasallam ne Farmaya k ham Aise shaks ko ye zummedari nahi sonmpte jo ise talab
kare aur na use dete hain jo is ka harees ho.
[Urdu Ref :: Sahih al-Bukhari :: Hadith 7149]
◈➲ Harees - Laalchi, Hirs, Hasad
karne wala.
✦..............♥ What Counts...!! ♥..............✦
◈➲ Is not the color
of your skin But the color of your character..!!
◈➲ Is not the
language that you speak But the words that you use..!!
◈➲ Is not where you live But how you
live..!!
◈➲ Is not how much you earn But what
you do to earn it...!!
◈➲ Is not where you are But how you
got here...!!
◈➲ Is not that you are a human being
But the kind of human being you are... !!
✦.......♥ Nikah ♥ Se Pehle Ladki ko Daikhna Kaisa...?? ♥.......✦
••► "Jis ladki
se Nikah ka irada ho us ko nikah se pehle aik dafa daikhlene mein koi harj nahi
hai, Aaj hamare muaashre mein is ko galat samjha jata hai Islam mein jo nai hai
wo saare kaam karte aur jo hai wo kaam nahi karte Islam mein hai k ladke ko bhi
ladki batana aur ladki ko bhi ladka batana dono ki razamandi zaroori hai".
●═══════════════════════◄►════ ══════════════════●
It was narrated from Anas bin Malik that: Mughirah
bin Shubah wanted to marry a woman. The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam)
said to him: “Go and look at her, for that is more likely to create love
between you.” So he did that, and married her, and mentioned how well he got
along with her.[Sunan Ibn Majah :: Vol. 3 :: Book 9 :: Hadith 1865]
Urdu Translation: Hazrat Anas Bin Malik: Mughirah
bin Shubah Radi Allahu Anhu ne Aik aourat se Shadi ka iradah kiya to Nabi
Sallallahu Alahi Wasallam ne Farmaya k Jao us par aik Nigah daallo is liye ke
ye tum dono ke darmiyan Mohabbat mein Ahem kirdar ada karega unhone aisa hi
kiya Phir unhone apni bahami muwafiqat ka tazkerah kiya.[Urdu :: Sunan Ibn
Majah :: Vol. 2 :: Hadith 21]
●═══════════════════════◄►════ ══════════════════●
Narrated Jabir ibn Abdullah: The Prophet
(Sallallahu Alahi Wasallam) said: When one of you asked a woman in marriage, if
he is able to look at what will induce him to marry her, he should do so.[Sunan
Abu Dawood :: Book 11 :: Hadith 2077]
Urdu Translation: Hazrat Jabir ibn Abdullah Radi
Allahu Anhu se riwayat hai k RasoolAllah Sallallahu Alaihi wasallam ne Farmaya
Jab tum mein se koi shaks kisi Aourat se paigam Nikah de to Agar mumkin ho us
ko daikh le us k baad Nikah kare.[Urdu :: Sunan Abu Dawood :: Vol.2 :: Hadith
314]
♥ Dil ko Murdah aur Rooh ko Bechain karne wali Chizen! ♥
your post is best but I believe this is best book to understand to Aurt ka parda.
ReplyDeleteAURAT AUR PARDA