2 cheeze Iman ki Alamt hai: Musibat me Sabr krna, Nematon per shukr krna.
2 cheeze Sacchi dosti ki Alamat hai: Pareshani me sath dena, Hairani me naik Mashwera dena.
2 cheezon ko mt Bhoolo: Khuda ko, Mout ko.
2 cheezon ko Ganimat jano: Mout se pehle zindagi ko, Bimari se pehle sahet ko.
3 cheezen jaker waps nahi aasaktin: Gaya hua waqt, khoi huwi izzat, guzri hui umr.
3 cheezen himmat tod deti hai: Dushman, Qarz, bd mizaj Biwi.
3 cheezon ko koi Taqat nahi rok Sakti: Mout ko, Taqdeer ko, Waqt ko.
3 kaam Fazil tareen Aamal hai: Dusman ko dost banana, Jahel ko Taleem dilana, Fasiq ko Nasihat krna.
3 cheezen mo’jab Zillat hai: Dil me kina Rakhna, kisi se Hasad karna, Tulu Aftab k waqt sona.
3 cheezen 3 cheezon ko yaad dilate hai: Bimari tarndurusti ko, Garibi doulat ko, Takleef Rahat ko.
Umr 3 hisso me Munqasim hai: Bachpan, Jawani, Za’ifi.
4 cheezo ko Ikhtiyar krna chahiye: Khuda ki Ibadat, Achhi sirat, Doston ki Diljoi, logo k sath naiki.
4 cheeze sahebe dil ki Alamat hai: Gusse ko pi jana, kisi Shaksh k haq me Kalimaye kufr na kehna, kisi k dil ko Ranjida na karna, kisi k ayeb ko zaher na krna.
4 cheezo ko 4 cheezo se Nuqsan Pohnchata hai: Maal ko chor se, Shaoor ko Jihalat se, Ilm ko Garoor se, Muhabbat ko Qarz se.
4 cheeze 4 cheezon ko barbad kr deti hai: Na shukri nemat ko, Khairat doulat ko, Garoor Izzat ko, Jihalat Ilm ko.
ko Allah Tala ne Duniya me Baaz khas khas buzrugiya aur Badaiyyan aise bhi di thi k jo kisi aur Nabi Ko Nahi din.--------------{ Jaise }--------------
Aap hi ka naam Mubarak Farishte darood me padhte hai,
Aap hi ka Naam Mubarak Arsh-e-Azeem aur sub Aasmano per Aur jannat k darwaze per Likhaya gaya,
Aap hi ka Naam Mubarak Azan aur Takbeer Aur Namazo me Padha jata hai,
Aap hi ki Aane ki Khabar Ambiya Alaihissalam Dete rahe,
Aap hi k Paida hone se Shaitano ka Aasmano per Jana bnd hua,
Aap hi ka sina Mubarak Farishton ne 4 dafa Chaak kar k band kiya,
Aap hi ki kamar per Mohre Nubuwwat thi,
Aap hi k baaz naam Allah Tala k Namon se Milte hai,
Aap hi k 2 Naam Ahmad aur Muhammad Zati hai,
Aap hi Tamam Aoulade Aadam me Sub se bade Aaqil aur Samajhdar the,
Aap hi Tamam Aoulade Aadam a.s se Husn-o-Jamal me badh kar hai,
Aap hi ne Jibrail a.s ko Asli surat me Daikha,
Aap hi ko Jannat aur Dozakh ki Sair karai gai,
Aap hi k Lashkar me Farishte Kafiro se Ladne aaye,
Aap hi ki kitab Quran Shareef me Har tarah k Ehkam Bayan huwe,
Aap hi Anpadh (ummi) the koi Aadmi Aap ka Ustad Nahi tha,
Aap hi ki kitab ka Allah tala ne wada Farmaya,
Aap hi ki Kitab Zabani Yaad karna Aasan hai,
Aap hi ki kitab Zarurat k muafiq Thodi Thodi Utri,
Aap hi ko Sub Nabiyon se Zyada Mojize mile,
Aap hi per Nabuwwat ka Ahed Khatam Hua,
Aap hi ki Shariyat Qayamat tak Jari Rahegi,
Aap hi Tamam Insan Aur Jinno k Nabi hai,
Aap hi Tamam Makhlooq k liye Rahmat banaye gaye,
Aap hi ko Tamam Nabiyon se Zyada Ilm diya gaya,
Aap hi ka Shahre madina Tamam Zameen k Shahron me Buzrugi me bdh kr hai,
Aap hi k Mutalliq Mayyat se Qabar me pooch gooch hoti hai,
Aap hi per Aur Aap ki Ummat per 5 waqt ki Namaz Padhna Farz hui,
Aap hi per Namaz me Salam Bhejna Wajib hua,
Aap hi k samne Oonchi aawaz se bolna aur be Parwai se Chlna Haram tha,
Aap hi ko door se Aawaz dekar pukarna aur Bulana haram tha,
Aap hi k jism-eathar per Makkhi nahi Baith tit hi,
Aap hi ka Pasina Mubarak Khushbo wala tha,
Aap hi sub logo me Uonche Nazar Aate the,
Aap hi k Paida hone k waqt Ruye Zameen k but Ulte hogaye,
Aap hi Wafat Pane ki jage per Dafan huwe.
Aap hi k Janaze pr be Imam k alag alag Musalmano ne Namaz padhi.
Aap hi k liye Zameen sukad Jati thi,
Aap hi ko 2 Martabe Khaleel aur Habeeb k Hasil Huwe,
Aap hi ka jhula farishte hila te the,
Aap hi k oopher dhoop k wqt badalon ne saya kiya hai,
Aap hi ki Tazeem k liye Darakht jhuk jate the,
Aap hi ko Khwab me Diakhna sach hai shaitan aap ki surate paak me nahi bn sakta,
Aap hi ka zikr aur yaad Allah Tala ka hi zikr aur Yaad hai.
*****************{ Sallallahu alaihi wasallam }******************
O ye who believe! Follow not Satan’s footsteps: if any will follow the footsteps of Satan, he will (but) command what is shameful and wrong: and were it not for the Grace and mercy of Allah on you, not one of you would ever have been pure: but Allah doth purify whom He pleases: and Allah is One Who hears and knows (all things). (The Holly Quran - Chapter 24, Al-Nur - Verse 21)
----------------- Tu hi ibteda tu hi inteha teri shan jalla jalaluhu,
----------------- Tu hi Lam yazal tu hi la fana teri shan jalla jalaluhu,
----------------- Tu ne kun kaha to jahan bana ye zamee bani wo falak bana,
----------------- Tere hukm per ye amal huwa, teri shan jalla jalaluhu,
----------------- Tu raheem hai, tu kareem hai, mere dil me tu hi muqeem hai,
----------------- Mere dil me khud ko basaliya, teri shan jalla jalaluhu,
----------------- Rage jaan se tu qareeb hai tu hi kirdgaar-o-mujeeb hai,
----------------- Tu qabool krta hai har dua, teri shan jalla jalaluhu,
----------------- Mai sada hi karta raha khata, tu karam hi karta raha sada,
----------------- Tu he zulmineen, tu hi kibriya, teri shan jalla jalaluhu,
----------------- Ye tere Samandar be karan, ye falak falak pe ye badliya,
----------------- Teri azmaton ka hai silsila, teri shan jalla jalaluhu,
----------------- Na jaha me mujhko sukuoon mila, tere dar pe sir ko jhuka diya,
----------------- Mujhe dard-e-dil ki tu de dawa, teri shan jalla jalaluhu,
----------------- Kaha abu jahel ne k Mustafa ye kya dst me hai chupa huwa,
----------------- Tu ne kankaro se padha diya, teri shan jalla jalaluhu,
----------------- Tu sami hai, tu baseer hai, tu aleem hai , Tu naseer hai,
----------------- Koi Raaz tujh se Nahi Chupa, teri shan jalla jalaluhu,
----------------- Tu ne khud ko Khud hi Samad kaha, yun safai apni Dikha diya,
----------------- Teri zaat paak hai aye khuda, teri shan jalla jalaluhu,
----------------- Mujhe shayeri jo sikha diya, Teri Hamd kehna bhi aagaya,
----------------- Tera shukriya, Tera shukriya, teri shan jalla jalaluhu,
----------------- Wo Qamar ye anjum wo kehkasha, sabhi kar rahe hai teri sana,
----------------- Tu ne in ko Roushni ki ata, teri shan jalla jalaluhu.
Allah hath promised to Believers men and women, Gardens under which rivers flow, to dwell therein, and beautiful mansions in Gardens of everlasting bliss. But the greatest bliss is the Good Pleasure of Allah: that is the supreme felicity. (The Holly Quran - Chapter 9, Al-Tawbah - Verse 72)
1. Paak-o-Saaf bawazu Qibla ru hoker Dua Mangna.
2. Dono hath sine k Samne Rakhna.
3. Dono hatho k drmiyan thoda Fasla Rakhna.
4. Ikhlas Aur Tawajjeh k sath chupke chupke dua mangna.(Sana padhne ki tarah).
5. Dil me ye yaqeen rkhna k Inshaallah Hamari dua zaroor Qabool hogi.
6. Dua k Awwal-o-Aakhir me Hamd-o-Sana Aur daroode sharif ka Ehtemam Rakhna.
7. Dua k baad dono hath chahre per Phairna.
--------------------------
--------------------------
--------------------------
--------------------------
--------------------------
--------------------------
--------------------------
--------------------------
--------------------------
--------------------------
--------------------------
--------------------------
--------------------------
--------------------------
--------------------------
--------------------------
--------------------------
--------------------------
--------------------------
--------------------------
--------------------------
--------------------------
--------------------------
--------------------------
And be moderate in the pace, and lower thy voice; for the harshest of sounds without doubt is the braying of the ass. (The Holly Quran - Chapter 31, Luqman - Verse 19)
Quran Majid Allah Ki Kitab Hai,
Quran Majid Aasmani Kitab Hai,
Quran Majid Huzur(Sallallahu Alaihi Wasallam) par Nazil Hova,
Quran Majid Ka Nuzul Arsa 22 Sal 5 Mah 14 Din Hai,
Quran Majid Ke Yaad Karne Wale Ko Hafiz Kehte Hain,
Quran Majid Me 30 Pare Hain,
Quran Majid Me 114 Surten Hain,
Quran Majid Me 86 Surten Makki Hain,
Quran Majid Me 28 Surten Madni Hain,
Quran Majid Me 7 Manzile Hain,
Quran Majid Me Kul 540 Rukuaat hain,
Quran Majid Me 6666 Aayten Hain,
Quran Majid Me 14 Sajde Tilawat Hain,
Quran Majid Me 8 Sakte Hain,
Quran Karim Me BISMILLAH HIRRAH MAN NIRRAHIM 114 Martaba Aaya Hai,
Quran Majid Ki Surah Tauba Ke Shuru Me BISMILLAH Nahi Hai,
Quran Majid Me 53,223 Zabar Hain,
Quran Majid Me 39,582 Zer Hain,
Quran Majid Me 88,004 Pesh Hain,
Quran Majid Me 61275 Jazm Hain,
Quran Majid Me 1274 Tashdid Hain,
Quran Majid Me 1,717 Mad Hain,
Quran Majid Me 15,684 Nuqte Hain,
Quran Majid Me 3,23,760 Huruf Hain,
Quran Majid Me 86,430 Kalmat Hain,
Quran Majid Me 87 Waqf Lazim Hain,
Quran Majid Me 29 Surten Huruf Mukattat Se Shuru Hoti Hain,
Quran Majid Me Sabse Bada Parah Ruku Aur Surat Ke Aitbar Se 30 Wa Parah Hai,
Quran Majid Me Sabse Badi Surat Suratul- Baqrah Hai,
Quran Majid Me Sabse Choti Surat Suratul- Kousar Hai,
Quran majid Me Sabse Badi Ruku Parah No 4 Me Ruku No 8 -YA AYYUHAL LAZINA AAMANU LA TAKUNU KALLAZINA KAFARU WA QALU Hai,
Quran Majid Me Sabse Badi Manzil Pahli Manzil Hai,
Quran Majid Me Bada Parah Ba Aitbar Safhat 29 Wan Parah hai,
Quran Majid Me Sabse Choti Ruku parah No 14 me Ruku No 9 hai,
Quran Majid Me Sabse Badi Aayat Parah 3 Surah Baqrah Aayat No 282 Hai,
Quran Majid Me Sabse Choti Aayat Parah 29 Surah Mudassir No 21 SUMMA NAZAR Hai,
Quran Majid Me Sabse Pehle Nazil Hone Wali Aayten Surah- Alaq Parah 30 Ke Shuru ki 5 Aayten Hain,
Quran Majid me Sabse pehle Mukammal Nazil Hone Wali Surat Suratul-Fatiha Hai,
Quran Majid Me Sabse Aakhir Me Nazil Hone Wali Surat Suratun-Nasr Parah 30 Hai,
Quran Majid Ki Surah-Mujad la Parah 28 Ki Har Aayat Me Lafz Allah- Maujud Hai,
BISMILLAH HIRRAH MAN NIRRAHIM Ko Quran Ka Sar Bataya Gaya Hai,
Surah-Fatiha Ko Babul Quran Aur Ummulkitab Kaha Gaya Hai,
Suratul-Baqrah Ko Quran Ka Arsh Kaha Gaya Hai,
Aayatul Kursi Ko Quran Ka Dost Kaha Gaya Hai,
Surah-Yusuf Ko Quran Ka Taaj Kaha Gaya Hai,
Surah- Yaasin Ko Quran Ka Dil Kaha gaya hai,
Surah-Rahman Ko Quran ka Taaj Aur Dulhan Kaha Gaya hai.
1. Pani baith ker peena.
2. Pani daikh ker peena.
3. Peene se Pehle Bismillah kehna.
4. Dahine hath se peena.
5. Teen sans me Peena.
6. Peene k baad Alhumdulillah kehna.
O ye who believe! Spend out of (the bounties) we have provided for you, before the day comes when no bargaining (will avail), nor friendship nor intercession. Those who reject Faith they are the wrongdoers. (The Holly Quran - Chapter 2, Al-Baqarah - Verse 254)
Jin per Waeed-e Aayi Hai, jo Bagair Toba k Muaaf Nahi Hote Aur aik Gunah bhi Jahannam me le Jane k liye kafi Hai.
1.Hiqarat se kisi pr hnsna.---------2.Ta’an Karna.---------3.Bure Laqab se Pukarna.-------4.Badgumani
Allah Tala Hame Gunaho se Bachne ki Toufeeq Ata Farmaye, Aye Allah hamare Sagira-o-Kabira Gunah jo Ab tk Jaan Kar Kiye Ya Anjane me Bhool se Hogaye ho To Aye Allah Hamare Guanho Ko tu Apne Fazl-o-karam se Muaf Frmaden..Aameen
It is He Who brought you forth from the wombs of your mothers when ye knew nothing and he gave you hearing and sight and intelligence and affections: that ye may give thanks (to Allah). (The Holly Quran - Chapter 16, Al-Nahl – Verse 78)
1. Hazrat ADAM (A.S).
2. Hazrat BIBI Hawwa (A.S).
3. Hazrat MOHMMAD (Sallahualaihi Wasallam) ko Mairaj per Lejanay wala Burraq (Horse).
4. Hazrat Saleh (A.S) ki ountni.
5. Hazrat Younas (A.S) ko paet me rakhnay wali Machli (Fish).
6. HAZRAT Mosa (A.S) k asa Mubarak se Bunne wala Azdaha.
7. HAZRAT Ismail (A.S) ki Qurbani k waqt Jannat se Aanay wala Dumba.
------------------- Tera asar hai door tak, Abd ki Aab-o-tab tak,
------------------- Rahenge zair aasman hamare saare khwab tak,
------------------- Tera hi Zikr do paher, tera hi wird sa Paher,
------------------- Tuloo’u-e-Aftab se Guroob-e-Mahtab tak,
------------------- Inayaton ki barishen qadam qadam pe Hokayin,
------------------- Khuli khuli Nishaniyan Samandaron k Aab tak,
------------------- Bhatak saka na Aadmi Jihalaton k Dasht me,
------------------- Hidayaton ka silsila bhi Aakhri kitab tak,
------------------- Tera jalal be guman, Tera Azabul Aaman,
------------------- Hai sajda raiz shah bhi, Wazir bhi, Nawab tak,
------------------- Wohi tumhe bachaye ga, wahi tumhe Uthaye ga,
------------------- Zara saneha chale chalo Musibaton k baab tak,
------------------- Teri sana ka silsila Azal se le k aaj Bhi,
------------------- Teri hi hamd ja baja, chaman chaman gulab tak,
------------------- Kaho Zara zuban se Khamoosh kyu ho aye Momin,
------------------- Usi ne to Ata kiye hai aap ko Khitab tak.
------------------- Ghalib ne is Liye tord di Tasbih,
------------------- Kya gin k Naam loon USKA jo Be-Hisab deta Hai.
O ye who believe! When the call is proclaimed to prayer on Friday (the Day of Assembly), hasten earnestly to the Remembrance of Allah, and leave off business (and traffic): that is best for you if ye but knew. And when the Prayer is finished, then may ye disperse through the land, and seek of the Bounty of Allah: and celebrate the Praises of Allah often (and without stint): that ye may prosper. (The Holly Quran - Chapter 62, Al-Jumu’ah - Verse 9-10)
*********************{ Aamale Juma }*********************
Yani Juma k wo Aamal jin ki Hadise Paak me Kaas Fazilat Aai hai Aur in per Amal Karne se Har Har Qadam per Aik saal Nafl Namaz Aur Aur aik Saal Nafl Roza ka Sawab Milta hai.(Riwayat kiya Is ko Imam Tirmizi, Imam Abudawood, Imam Nasai, Imam Ibn-e Maja, Rahmatullahi Aali Ne).
Mulla Ali Qari Rahmatullahi aali ne Murqata Sharhe Mishkat me Baaz Aa’yimma Hadees se Naqal kiya hai k Aahadees Saheeh me Itni zyada Fazilat kisi aur Amal ki Nahi Aai hai wo 6 Amal ye Hai.
1. Gusul Karna.
2. Masjid Jaldi Jana.
3. Paidal Jana.
4. Imam k Qareeb Baithne ki Koshish karna.
5. Koi Lagu Kaam na karna.
6. Khudba Gour se Sunna.
In k Alawa aur bhi Chnd Aamal hai jin ka Juma k Roze Khaas Ihtemam Karna Chahiye.
1. Surah Kahf ki Tilawat.
2. Darood Shareef ki Kasrat Kumaskum 300 baar.
3. Salatu Tasbeeh Padhna.
4. Dono khutbon k drmiyan jb Imam Member per baithe to dil hi dil me Dua karna.
5. Guroob-e-Aftab se Qabl dua ka Ihtemam karna k us Waqt dua Qabool Hoti hai.
“Juma ki Namaz Chornay per Waeed” Hadees: Log Juma (ki Namaz) chornay se baaz aa jain nahi to ALLAH un k dillon par Mohhar laga day ga, phir wo ghafilon mai se ho jain gay. (Muslim, Hadees: 2002, Kitab uL Juma, Ravi: Abbo Horaira R.A)
1. Gunah karne se Aadmi Ilm deen se Mahroom ho jata hai.
2. Gunah karne se Rizq me Kami ho Jati hai.
3. Gunah karne se Khuda Tala se Wahshat hoti hai.
4. Gunah karne se Aadmiyon se Bilkhusus Naik logo se Wahshat hone Lagti hai.
5. Gunah karne se Aksar kamo me Dushwari Paish Aati hai.
6. Gunah karne se Qalb me Aik Qisam ki Tariki Mahsoos hoti hai.
7. Gunah karne se Dil aur jism me Kamzori Paida hojati hai.
8. Gunah karne se Aadmi Ta’aat (ibadat) se Mahroom ho jata hai.
9. Gunah karne se Umr Ghat ti hai aur Zindagi ki Barkat Nikal jati hai.
10. Gunah karne se Aik Gunah doosre Gunah ka sabab ban jata hai.
11. Gunah karne se toba ka Irada kamzor hojata hai yaha tk k Toba ki Toufeeq Khatam ho jati hai.
12. Gunah karne se chnd roz me Gunah ki burai dil se Khatam hojati hai.
13. Har Gunah Dushmana ne khuda me se Kisi ki meeras hai, Lehaza ye Shaksh Mal’oon Qoumo ka waris banta hai.
14. Gunah karne se khuda Tala k Nazdeek Zaleel-o-Khwar ho jata hai Aur Makhlooq me bhi izzat nahi Rahti.
15. Gunah ki Nahusat se Doosri Makhlookh ko bhi Zarar Pahonch ta hai is wajeh se digar Makhluqat is per la’nt Karti hai.
16. Gunah karne se Aqal me Futoor aur kami ho jati hai.
17. Gunah karne se Gunahgar Shaksh Huzoor S.A.W ki la’nt me Dakhil ho jata hai Kyu k Aap ne bahot se Gunaho per La’nt Farmai hai.
18. Gunah karne se Aadmi Farishton ki Dua se Mahroom ho jata hai.
19. Gunah karne se Tarah Tarah ki Kharabiya Zameen me paida ho jati hai Pani, Hawa, Galla, Phal naqis Hojata hai.
20. Gunah karne se Haya aur Gairat jati Rahti hai.
21. Gunah karne se Allah Tala ki Azmat dil se Nikal jati hai.
22. Gunah karne se Ne’maten Salb hojati hai Balao aur Musibaton ka Hujoom hota hai.
23. Gunah karne se Tareef aur Izzat k Laqab Chin kar Zillat-o-Ruswai k Khitabaat milte Hai Masaln Fasikh, Fajir, Zalim Wagaira.
24. Gunah karne se Shayateen us per Musallat ho jate hai.
25. Gunah karne se dil ka Itminan Jata Rahta hai.
26. Gunah karne se khuda ki Rahmat se Na Ummidi ho jati hai is Wajeh se toba nahi karta Aur be toba Marta hai.
27. Gunah karte karte Wahi Gunah dil me Bus jata hai Yaha tk k Marte Waqt kalima Tk Muh se Nahi Nikalta.(Waliyazu Billah) Allah Hum sub ko Apne Panah me Rakhe.
--------------------- Kya shoqe Jamat hai Ibadat se hai Mohabbat,
--------------------- Masjid me Azan sunte hi Jate hai Namazi,
--------------------- Drte hai Qaza hone se mith te hai Ada per,
--------------------- Jaan Apni Namazon me Ladaten hai Namazi,
--------------------- Sajde ka Nishan Chand sa Roushan Hai jabeen per,
--------------------- Hoor baheshti ko Libhate hai Namazi,
--------------------- Kahta hai ye Darwaze per Darogaye Jannat,
--------------------- Hut jao k Firdouse me Jate hai Namazi,
--------------------- Ja baja Quran me Aye momino takeed hai,
--------------------- Susti mat krna Namazon me Agar tum ko samajh hai,
--------------------- Momin-o-Kafir me Agar Kuch hai to hai ye Farq,
--------------------- Yani Momin hai Namazi Aur Kafir Hai be Namaz,
--------------------- Sath koi bhi na dega Tumhara Hashar me,
--------------------- Han tumhen dain gi Namazen hi Sahara Hashar me,
--------------------- Baap Bete ka Na Beta Baap k Kaam aayega,
--------------------- Hashar me Pehle Namazon ka hi Paigam aaye ga.
--------------------- Zameen pe Sukoon ki Talash hai,
--------------------- Malik tera banda kitna udaas Hai,
--------------------- Kya khojta Rehta hai Insan Duniya me,
--------------------- Jb k har ek Masl’e ka hal Namaz Hai.
O ye who believe! Obey Allah, and obey the Messenger, and make not vain your deeds. (The Holly Quran - Chapter 47, Muhammad - Verse 33)
1. Momino ki aik Doosre se Mohabbat, Aik doosre per Rahem Aur aik doosre se Shafaqqat ki Misal Insani Jism ki si Hai, Jub is k Kisi aik A’azu ko Takleef ho to Pura Jism be Aarami aur Bukhar me Mubtela hota hai. (Sahi Muslim)
2.Iman me Kamil Tareen momin wo Hai jo un me Akhlaq me Sub se Accha ho, Aur tum me se Bahtareen wo hai jo Apni Biwiyo me Bahtareen ho.(Tirmizi)
3. Tum me se koi Us waqt tak Momin nahi ho Sakta Jub tak k wo Apne Bhai k liye Wahi Pasnd na kare jo Apne liye Pasnd karta Hai.(Sahi Bukhari)
4. Rahem karne walon per Rahman Rahem karta Hai, Tum Zameen Walon per Rahem karo, Tum per Aasman Wala Rahem Karega.(Tirmizi)
5. Apne Musalman Bhai ko Daikh ker Tera Muskura dena bhi Teri taraf se Sadqa hai.(Tirmizi)
6. Aur har Acchi Baat Sadqa hai.(Sahi Muslim)
7. Jo Shaks Allah aur Yaoum Aakhirat per Iman Rakhta Hai usae Chahiye k Apne Hamsaye se Accha Salook Karen.(Sahi Muslim)
8. Allah Tumhare Jismon aur Tumhari Surton ko Nahi daikhta bal k wo Tumhare Dilon ko daikhta hai.(Sahi Muslim)
9. Mazdoor ko us ki Ujrat, us ka Pasina Khushk hone se Pahle do.(sanan Ibne Maja)
10. Aik Shaks safar Karraha tha, Raste me use Shadeed pyas Lagi to us ne Aik kunwa Paya, wo us me Utra aur Pani piya, Phir jub wo Baher Nikla to daikha k aik kutta Haanp raha hai, aur Pyas k Mare Mitti chat raha hai, us Shaks ne Dil me kaha: us Kutte ko wiase hi pyas Lagi Jaisi mujhe Lagi thi, Tub wo Kunwe me utra aur Apna Mozah (chamde ki Jarab) Pani se Bhara, Phir us ne mozah apne Muh me Thama Hatta k wo Kunwe se Nikal Aaya, so Us ne Kutte ko Pani Pilaya, Phir Allah tala ne us ki Ye Naiki Qabool ki Aur use Baksh diya, Sahaba R.A ne Kaha: Aye Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam! Kya un Janwaron k bare me bhi Hamare liye Ajr hai? Aap ne Farmaya: Har Jandar k bare me Ajr Hai.(Sahi Muslim)
----------- Farshe Makhmal pe aye sone walon Tumhe Qabr me sona Padega,
----------- Apne Aamal ka Jayeza lo Warna Qabr me rona Padega,
----------- Chhod de Zindagi ka ye Mela Jayega tu Yaha se Akela,
----------- Khoobsurat hu sihe badan hai is ko Bejan hona padega,
----------- Farshe Makhmal pe Aye sone walon Tumhe Qabr me sona padega,
----------- Apne Aamal ka Jayeza Lo Warna Qabr me rona Padega,
----------- Char yaro k Kandho pe Jis din Teri Barat Nikle gi Ghar se,
----------- Pahen k Kafn ka aik Joda Jub Janaze me Sona Padega,
----------- Farshe Makhmal pe aye Sone walon Tumhe Qabr me Sona Padega,
----------- Apne Aamal ka Jayeza lo Warna Qabr me rona Padega,
----------- Khak se ye Bana Jism tera Khak me hi Ye Mil jayega,
----------- Aik roz yaha pe Tu Aaya aik roz to Jana Padega,
----------- Farshe Makhmal pe Aye sone walon Tumhe Qabr me sona Padega,
----------- Apne Aamal ka Jayeza lo Warna Qabr me Rona Padega.
----------- Hai yaha se tuj ko jana aik din,
----------- Khabar me hoga Thikana aik din,
----------- Moo khuda ko hai dikhana aik din,
----------- Ab na ghaflat me gawana aik din,
----------- AIK DIN MARNA HAI AAKHIR MOUT HAI,
----------- KAR LY JO KARNA HAI AAKHIR MOUT HAI.
----------- Bina libaas ke Aaye the iss Jahaan me Hum,
----------- Bas ek Kafan ki Khatir itna Safar Karna Pada.
"Insan Duniya me is khadar Mashgool hota hai k usy pata bhi Nahi Chalta k Uska KAFAN bazar me aa chuka hai" (HAZRAT ALI R.A)
Our Lord (they say), let not our hearts deviate now after thou hast guided us, but grant us mercy from thine own presence; for thou art the grantor of bounties without measure. Our Lord thou art he that will gather mankind together against a day about which there is no doubt; for Allah never fails in his promise. (The Holly Quran - Chapter 3, Al-Imran - Verse 8-9)
------------------- Tafooq (badai) Kisi ko kisi per Nahi hai,
------------------- Na Aala hai koi Na Adna Hai koi,
------------------- Sabhi ko Muyassar Huqooq Masawi,
------------------- Koi Qad me Chota Hai Ya koi uoncha,
------------------- Koi hai Tongir Koi be nawa hai,
------------------- Na Gore ki Izzat Na kale se Nafrat,
------------------- Tafooq kisi ko Kisi per Nahi hai,
------------------- Arab aur Ajam me Nahi Farqe baham,
------------------- Na hakim ho koi Na Mahkoom ho koi,
------------------- Na Zalim ho koi Na Mazloom ho Koi,
------------------- Nasab ka Tafaqqur Hasab ka Takabbur,
------------------- Na doulat ki Azmath Na Taqat ka Bota,
------------------- Tafooq kisi ko Kisi per Nahi hai,
------------------- Sabhi lutf Aazadiyon ka Uthayen,
------------------- Sabhi gun khuda ki khudayi k Gayen,
------------------- Khuda sub ka Malik Khuda sub ka Khaliq,
------------------- Usi ki Ibadat hai Aala-o-Fa’iq,
------------------- Usi k hai Farman Ita’at k Layekh,
------------------- Usi ki hai Sarkar Khidmat k Layekh.
------------------- Allah ka Farman Nahi Bdlega,
------------------- Ye Deen ye Iman Nahi Bdlega,
------------------- Koshish jo Kare is ko Badalne ki,
------------------- Kah do k Musalman Nahi Bdlega.
O ye who believe fear Allah as He should be feared, and die not except in a state of Islam. (The Holly Quran - Chapter 3, Al-Imran - Verse 102)
Khoobsurat aur Khoobsirat dono Atyaye Rabbani Hai, Lekin Mere Khayal me Khoobsirat hona Insan ki Asal Khoobsurti hai, aur Agar is k sath Allah Tala ne Khboosurti se bhi Nawaza hai to kya kahne, Magar Sach ye hai k Acchi surat hona apne bus ki Baat nahi, ye Allah Tala ki be Shumar Nematon me se Aik hai, is k bar aks Khoobsirat hona Insan k Apne bus me Hai, aur us me Waldain ki Tarbiyat aur Bachpan me kis mahol me Insan ne Parwarish pai, ka kafi Amal Dakhl hai.
Aik Khaas baat ye hai k Acchi Aadat Aur Acchi sonch ka Aks Insan k Chahre per Padta hai, aur Aisa insan Khud ba khud Khoobsurat Nazar Aane Lagta hai, aur Har aik ko accha lagta hai, Go ya Khoobsirti hi Dar haqiqat Khoobsurti hai.
Aur jub Apne aap ko Aayene me Daikhe to Ye Aayena Daikhne ki Dua Padhe (Allahumma Anta Hassanta Khalqi Fahassin Khulqi) Aye Allah Aap ne Meri Surat ko Accha Banaya Ps Meri Sirat ko Accha Kar dijiye.Allah Tala hum sub ko Khoobsirat banaye, Yahi hamari khoobsirti ko Mazeed Nikhar sakti hai.
*Paon Beshak Phisal Jae Lekin Zaban Ko Na Phisalne Do.
*Aj Amal Hai Hisab Nahi Lekin Kal Hisab Hoga Amal Nahi.
*Jhut Bol k Jeet Jane Se Such Bol K Har Jana Behter Hai.
*Khubsurti Kapdon Se Nahi ilm-o-adab Se Hoti Hai.
*Ibraten Beshumar Hain Magar Inka Asar Lene Wale Bahot kum Hain.
---------- Kuch Kufr ne Fitne Pahlaye kuch Zulm ne Shole badhkaye,
---------- Sino me Adawat jaag Utthi Insan se Insan Takraye,
---------- Pa Maal kiya Bar baad kiya Kamzoar ko Taqat walon ne,
---------- Jub Zulm-o-Sitam Had se Guzra Tashreef Muhammed s.a.w le Aaye,
---------- Rahmat ki Ghatayen Lahrayen Duniya ki ummidain bar Aayen,
---------- Ekram-o-Ata ki Barsih ki Akhlaq k moti Barsaye,
---------- Tahzeeb ki Shame Roushan ki Uonton k Charane Walon ne,
---------- Kaanton ko Gulon ki Qimat di Zarron k Meqdar Chamkaye,
---------- Allah se Rishte ko joda Batil k Tilismon ko Toda,
---------- Khud waqt k dhare ko moda Tufann me Safine Tayeraye,
---------- Talwar bhi di Quran bhi diya Duniya bhi Ata ki Aakhirat bhi,
---------- Zakhmo pe srd Marham rakha be Chain dilon k Kaam aaye,
---------- Aourat ko Haya ki Chadar di Gairat ka Gaza bhi Bakhsha,
---------- Shishon me Nazakat Paida ki Kirdar k Johar Chamkaye,
---------- Taouheed ka Nara ruk na Saka Islam ka Percham Jhuk na Saka,
---------- Kuffar bahot kuch Jhunjlaye Shaitan ne Hazaron bal Khaye,
---------- Aye Naame Muhammed sallahualaihi wasallam Ehqar ke liye aap sab kuch hai,
---------- Honton pe Tabassum bhi Aaya Aankhon me Aansu Bhi Aayen.
* Apne kirdar ko itna buland karo k log ye kahe ke agar Ummati aise hai to NABI kaise honge. Sallahualaihi Wasallam.
Invite (all) to the way of thy Lord with wisdom and beautiful preaching; and argue with them in ways that are best and Most Gracious: for thy Lord knoweth best, who have strayed from his path, and who receive guidance. (The Holly Quran - Chapter 16, Al-Nahl - Verse 125)
Sadqa Jub Apne Malik k Hath se Nikalta hai to us Waqt 5 Jumle Kahta Hai:
1. Mai Fani Maal tha, tu ne Mujhe baqa Dedi.
2. Mai Tera Dushman tha, ab tu ne Mujhe dost Banaliya.
3. Aaj se Pahle tu meri Hifazat karta tha ab mai Teri Hifazat karunga.
4. Mai Haqeer tha tu ne Mujhe Azeem bana Diya.
5. Pahle mai Tere hath me tha, ab mai Khuda k Hath me Hun.
------ Jab Tum Duniya ki Muflisi se tang aa jao aur Rizaq ka koi Rasta na Niklay to Sadqa de ker Allah se Tijarat kiya karo.(Hazrat Ali R.A)
------ Har Acchi Baat ko Doosron tak Pohchana bhi Sadqa Hai.
-------------------- Khushiyo ko un ki aarzu se juda na karna,
-------------------- Aye kareem! Mujhe apno me paraya na karna,
-------------------- Din de, na de tu dukh ki raten,
-------------------- Bus khushiyon ki subah Aarzuon ki Sham karna,
-------------------- Wo Ehbab the jo mere dard ko Apna kahe,
-------------------- Un apno me mujh ko Apna pan Nichawar karna,
-------------------- Labon ko har waqt un ki Tabassum Inayat Farma,
-------------------- Musalmano ko Muttaqi karde aisi Ibadat ata Karna,
-------------------- Lafzon ko hamare Rawani de Jahan me,
-------------------- Ashko ko hamare ibadat ki Zinat karna,
-------------------- Gairo ko bhi Muhabbat ki Inayat de Hum se,
-------------------- Na ho Khata hum se Aisa karam karna,
-------------------- Jo ho hamare liye bahter wo hum ko tu ata karde,
-------------------- Aye khuda har dua ko hamari daste pikharne -
-------------------- se pahle Maqboool Karna.---------Aameen-----
And if ye are in doubt as to what We have revealed from time to time to Our servant, then produce a Surah like thereunto; and call your witnesses or helpers (if there are any) besides Allah, if your (doubts) are true. But if ye cannot – and of a surety ye cannot – then fear the Fire whose fuel is Men and Stones – which is prepared for those who reject Faith. (The Holly Quran - Chapter 2, Al-Baqarah - Verse 23-24)
Shuru Allah k Naam se: Aur jub Tumhen Salam kiya Jaye to tum usse Accha jawab do ya onhi Alfaz ko Loutado, Beshak Allah tala har cheez ka Hisab lene wala hai.(Surah:Al-Nisa, Surah No:4, Aayat No:86)
Shuru Allah k Naam se: Aye Iman Walon! Apne Gharon k Siwa Aur Gharon me Na Jao Jub tak k Ijazat Na le lo Aur Wahan k Rahne Walon ko Salam na Karlo, Yahi Tumhare Liye sara sar Bahter hai ta k Tum Nasihat Hasil Karo. Agar wahan Tumhen koi Bhi na mil Sake to Phir Ijazat mile bagair Andar na Jao, Aur Agar Tum se Lout jane ko Kaha Jaye to tum Laout hi Jao, Yahi Baat tumhare liye Pakiza Hai Jo kuch tum Karrahe ho Allah Tala Khoob Janta hai.(Surah:Al-Noor, Surah No:24, Aayat No:27-28)
*Salaam Karna Sunnat Hai.*Aur Salaam ka Jawab Dena Wajib Hai.
Salaam Karne se na Sirf Muhabbat me Izafa Hota Hai Bal k Allah Ne Is me Ajr Aur Sawab Bhi Rakha Hai.
*Aik martaba aik sahabi Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ki khidmat me Tashreef laye to kaha " Assalamu Alaikum" Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne un ke Salam ka Jawab diya Aur kaha 10. Aur us k Baad doosre Sahabi Aaye aur kaha " Assalamu Alaikum warahmatullah" Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne un k Salam ka Jawab diya aur kaha 20. Phir teesre Sahabi Aaye aur Salam arz kiya " Assalamu Alaikum warahmatullahi wabarakatuh " Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne un k Salam ka Jawab diya Aur kaha 30.(Abudaood). (yani k har izafe salam k sath 10 naikiyo ka izafa).
Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya! “Afshus Salama Bainakum” “Aapas me Salam ko Phlao”.(sahi muslim)
Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ki Hadees hai, us me aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: “ Tum us waqt tak jannat me Nahi jaoge Jub tak Iman Nahi Laoge Aur tum us waqt tak momin Nahi ho sakte Jub tak Aik doosre se Muhabbat na Karo, Kya Mai Tumhen Aisi Cheez na Batao k jub Tum use Apnalo ge to Aapas me Muhabbat karne Lagoge, (wo ye hai k) Aapas me Salam Pahlao”.(Bukhari)
*Salaam k Adab Me ye Bhi hai k Chota bade ko , Guzarne wale Baithne wale ko, Choti Jmaat badi Jamaat ko , Aur Sawaar paidal chalne wale ko Salaam kare (Bukhari) .
* Ghar me Dakhil hote huwe Bhi Ghar walon ko Salaam karo.(Bukhari).
* Jub Majlis se uth kar Jane lage to Salaam kare.(Tirmizi).
*Jub baat shuru karen to Allah k Nabi ki Hadees hai (Assalamu Qablal Kalaam) Yani k Baat karne se pahle Salam kiya karo. Aur Baat k khatam per bhi Salaam kar kar Roqsat ho.
* Salam Jisse Pahchante ho Aur Jise nahi Pahchante ho Har Musalman ko Kiya jaye.
* Yahudo Nasara ko Salam karne me Pahel na ki jaye, Un k Salam k Jawab me Sirf “Waalikum” Kaha jaye.
* Do Roothe huwe dost, Rishte daar aur Bhai bahen, in me se jo Salam me Pahel kare ga wo Fazilat ka Mustahiq Hoga.
* Salam k liye Assalamu Alaikum k Alfaz ki Jage, Aadab Arz, Namashte, Hi, Good Morning, Wagera k Alfaz Qata’an Istemal na kiye jaye, Jo Manuwi jamiyat, wusa’at Aur Gaihrai Islam k Batlaye huwe Alfaz me hai wo kisi aur Alfaz me Nahi, Na us me koi Ajr-o-Sawab hai, Balke Gunah ka Bais Hai.
*Aur aik Hadees me Aaya hai k Qayamat ki Alamaton me se ye Aik Alamat hai k log Salaam karenge sunnat samajh kar nahi Apni Pahchan badhane k liye.Allah Hifazat Farmaye. Aameen. Allah Tala Hum Sub ko In Baton per Amal Karne ki Toufeeq Ata Farmaye Aameen.
------------------- Kamal kun fayakun k Dikha diye tu ne,
------------------- Chirag donon Jahan k jala diye tu ne,
------------------- Binam Arz-o-Sama ye Haseen Nazaren,
------------------- Hamare Liye yarab bana diye tu ne,
------------------- Andhere aur Ujale ki Aad me Moula,
------------------- Shuoro-o-Fikr k Aalam saja Diye tu ne,
------------------- Wujood Aadam khaki ko Zindagi dekar,
------------------- Hijab k kai Parde utha diye tu ne,
------------------- Bana k hum ko hi Aayena Apni Khudrat ka,
------------------- Hamin ko Apne hi Jalwe dikha diye tu ne,
------------------- Jahan me Apna hi Nayeb Bana ker Nabiyon ko,
------------------- Hamesha Naiki k Raaste dikha diye tu ne,
------------------- Koi Zamane me Namrood hai na Ab Shaddat,
------------------- Nishan Garoor k kya kya Mita diye tu ne,
------------------- Gamo me Rote hai Khushiyon me Muskurate Hai,
------------------- Saliqe Jine k kya kya Sikha diye tu ne,
------------------- Har aik Gata hai gun Teri hi Mashyat ka,
------------------- Haseen Tohfe ye kya kya Khuda diye tu ne,
------------------- Tamam Aapasi Rishte teri Badolat hai,
------------------- Dilon me Pyar k sote Jaga diye tu ne,
------------------- Dilon me tak Teri Jalwah Giri hai yarab,
------------------- Tajalliyat k Dariya baha diye tu ne,
------------------- Teri Karimi per Hum sub Hazar baar Nisar,
------------------- Jo Lafz Noor k baher Sana Diye tu ne.
------------------- Allah Rabbu-ul-Izzat Farmate Hai! Aye Banday! -------------------
* Mujh se Kal ka Rizq Na Maang Jis Tarah Main Tujh se kal k Aamal Nahi Maangta. * Main Tujhe Pasnd hun to ye Tera Haq Hai k Tu bhi Mujhse Pasand Ho.
* Tu Mere Thoday Diye per Razi Hoja, Qayamat k din Main Tere Thode kiye per Razi Ho Jaonga. Subhanallah.
Recite what is sent of the Book by inspiration to thee, and establish regular Prayer: for Prayer restrains from shameful and unjust deeds: and remembrance of Allah is the greatest (thing in life) Without doubt. And Allah knows the (deeds) that ye do. (The Holly Quran - Chapter 29, Al-Ankabut - Verse 45)
Hazrat Khalid bin walid (Radiallahu Anhu) Farmate hai k hum Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam ki Khidmat me Hazir the, Aik shaksh Hazir hua, Arz kiya Ya Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam! Mai kuch Baten poochne k liye hazir hua hun, Jo duniya-o-Aaqirat me Nafa den, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Jo Chaho Poocho.
1. us ne kaha: Mai Sub se bada Aalim banna Chahta hu? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Taqwa Iqtiyaar karo, Sub se bade Aalim ban jao ge.
2. us ne kaha: Mai Sub se bada Gani banna Chahta hu? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Qina’at Iqtiyaar karo, sub se bade Gani ban jao ge.
3. us ne kaha: Mai sub se bada Aadil banna chahta hu? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Jo Tujhe Apne liye Pasnd hai wahi logon k liye pasnd kr, sub se bade Aadil ban jao ge.
4. us ne kaha: Mai sub se accha Aadmi banna Chahta hu? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Logon ko Nafa Pohchaya Karo, Sub se Acche Aadmi ban jao ge.
5. us ne kaha: Mai logon me sub se Zyada Allah ka khaas banda banna Chahta hun? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Allah ka zikr Kasrat se kiya karo, Khaas Aadmi banjao ge.
6. us ne kaha: Mera Iman kamil ho? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Apne Aqlaq acche karlo, Tumhara Iman Kamil Hojayega.
7. us ne kaha: Mai Muhsineen me se hona chahta hun? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Allah ki Ibadat Aise karo jaise k us ko daikh rahe ho, Is liye k Agar che tum use Nahi daikh rahe ho to Wo Tumhen daikh raha Hai.
8. us ne kaha: Mai Chahta hu k Allah k Farmanbardaro me Hojaon? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Farayez ko ada Karo, Farmanbardaron me se Hojaoge.
9. us ne kaha: Mai Allah Tala se Gunahon se paak milna Chahta hun? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Janabat se Faouran Gusul kiya karo, Allah paak se Gunahon se Paak miloge.
10. us ne kaha: Mai Chahta hu k Qayamat k din Noor se Uthun? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Apne Oopher aur kisi per bhi Zulm na Kar, Qayamat k din Noor se oothoge.
11. us ne kaha: Allah mere oopher Qayamat k din Rahem Kare? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Apne oopher bhi Rahem kar Aur Allah k Bando per bhi Rahem ker, Allah tere Oopher Qayamat k din Rahem karega.
12. us ne kaha: Mere Gunah kam ho? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Astagfaar ki Kasrat kar, Allah tere Gunah kam kardega.
13. us ne kaha: Mai logo me Sub se zyada Izzat wala Banu? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Makhlooq me se kisi ko Apni Hajat na bata, Sub se Zyada izzat wala ban Jayega.
14. us ne kaha: Mai sub se Taqatwar ban jaon? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Allah per Tawakkal iqkhtiyar karo, sub se zyada Taqatwar banjao ge.
15. us ne kaha: Mera Rizq kushada ho? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Ba wazu Raha karo, Tumhara Rizq kushada hojayega.
16. us ne kaha: Mai Allah Aur us k Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam ka Mahboob Banna Chahta hun? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Jo Allah Aur us k Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ko Pasnd Hai tu bhi use Pasnd kar, Allah aur us k Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ka Mahboob Ban jayega.
17. us ne kaha: Mai Qayamat k din Allah Tala k Gusse se bachna Chahta hun? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Allah ki Makhlooq per Gussa karna Chorde, Tujhe Apne Gusse se Bacha lega.
18. us ne kaha: Meri Duaye Qabool ho? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Haram khana Chorde, Teri Duaye Qabool hongi.
19. us ne kaha: Allah Tala Qayamat k din Zillat se Bachale? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Apne Aap ko zina se Bachale, Allah Tala tujhe Zillaton se Bachalega.
20. us ne kaha: Qayamat k din Allah Tala Mere Uyoob ko Chupade? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Apne Bhayyon k uyoob ko Chupale, Allah Tala tere Uyoob ko Chupa lega.
21. us ne kaha: Gunahon se kya cheez Najat deti hai? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Aansu, Tawaz’eh, Aur Imraz.
22. us ne kaha: Sub se Azeem Naiki kya hai? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Acche Akhlaq, Tawaz’eh, Aur Musibat per Sabr.
23. us ne kaha: Sub se badi Burai kya hai? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Bad Akhlaqi, Aur bukhl.
24. us ne kaha: Allah k Gusse ko Duniya-o-Aaqirat me Kya cheez Thanda Karti hai? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Chupke Chupke Sadqa karna aur Sila Rahmi karna.
25. us ne kaha: Jahannam ki Aag ko Qayamat k din kya cheez bujhayegi? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Duniya me Dukho aur Musibaton per Sabr karna.(Bahawala-Musnade Ahmed).
******{ Jawab Aaya Usi Allah ne Tumhara Naam Musalman Rakkha }*****
--------------- Dil se ho Quran ki hamil, Ho jaye phir Millat Aik,
--------------- Kaisi uljhan kaise Masail, Ho jaye phir Millat Aik,
--------------- Aik thi Millat, jub tak is k Paish Nazar Quran Raha,
--------------- Aik thi Jub tak “Watasimu” ka Millat ko Irfan Raha,
--------------- Aik thi Jub tak Ishq Nabi s.a.w me Marne ka Arman Raha,
--------------- Mazi jaisa ho Mustaqbil, Ho jaye phir Millat Aik,
--------------- Arb Ajam sub Zaire Nageen the Jub tak Millat Aik Rahi,
--------------- Duniya Bhr k Dil me Hamain the Jub tak Millat aik Rahi,
--------------- Sare Toofan Nahi the Jub tak Millat Aik Rahi,
--------------- Shor Bapa hai Sahil Sahil, Hojaye Phir millat Aik,
--------------- Khali hai Aankhon ka Daman Drd ki doulat khatam Hui,
--------------- Khatam huwa Sadiyon ka Tasalsul Deen ki Azmath khatam Hui,
--------------- Hum bikhre to Sub kuch bikhra, Izzat, Shorat Khatam Hui,
--------------- Daikh liya Bikhrao ka Hamil, Hojaye phir Millat Aik,
--------------- Waqt hai Ab bhi ban jayen Hum Seesa Pilayi Aik deewar,
--------------- Waqt hai Ab bhi band Karen Hum Nafrat ka ye Karobar,
--------------- Quran-o-Sunnat se Roushan ho Phir Millat ka Kirdar,
--------------- Shama Jale phir Mahfil Mahfil, Hojaye Phir Millat Aik,
--------------- Hojayen hum aik to Sari Millat ki Taqdeer Bane,
--------------- Range Bhai bandi Aisa ubhre Aik Nai Tasweer Bane,
--------------- Bhooli Basri Azmathe Mazi Phir Apni jageer Bane,
--------------- Paon uthe Phir Janibe Manzil, Hojaye Phir Millat Aik.
--------------- Kis ka Iman sahi kis ka Aqida hai Durust,
--------------- Faisla is ka Qayamat pe Uthaye Rakhiye,
--------------- Aapasi Phoot me Nuqsan hai, Barbadi hai,
--------------- Mil k Rahne ki Fiza Aap Banaye Rakhiye.
Nor can a soul die except by Allah’s leave, the term being fixed as by writing. If any do desire a reward in this life, we shall give it to him, and if any do desire a reward in the Hereafter, we shall give it to him. And swiftly shall we reward those that (serve us with) gratitude. (The Holly Quran - Chapter 3, Al-Imran - Verse 145)
--------------- Har gham ko bhool jate hai, budhe ho ya Jawan,
--------------- Shafqat bhari Nazar se jab Dekhti hai Maa,
--------------- Aulaad ki khushi mein hai is ki har Khushi,
--------------- Shab bhar sakoon k Wastey hi jagti hai Maa,
--------------- Har Qoam mein Azeem, har ek dil mein hai Azeez,
--------------- Har ek makan ki Zeenat-o-Tabindagi hai Maa,
--------------- Rooh-e-Hayat hai yeh, yeh Jaan-e-Bahar hai,
--------------- Gulzar-e-Hist-o-Bood mein ek tazgi hai Maa,
--------------- Har ek khata Hamari kiya pal mein dar Guzar,
--------------- Raafat mein tujh ko kitni wusat mili hai Maa,
--------------- Har gham ko meri khatir Galey se laga liya,
--------------- Terey iss hosley mein kya pukhtagi hai Maa,
--------------- Manga kabhi na koi sila Mujh pe mit Gayee,
--------------- Such hai terey karam mein bari Sadgi hai Maa,
--------------- Aangan mein gham ki Ghata jab bhi hai uthi,
--------------- Ban kar khushi ka sawan Barasney lagi hai Maa.
--------------- Apni Zuban Ki Tezi Us K Khilaf Istemal Mat Karo,
--------------- Jisne Tumhe Bolna Sikhaya..(MAA).......
--------------- Aur Apni Qabliyat Ka Muzahira Us Par Na karo,
--------------- Jisne Tumhe Rasta Dikhaya..(BAAP)...........
Say: “O Allah! Lord of Power (and Rule), Thou givest Power to whom Thou pleasest, and Thou strippest off Power from whom Thou pleasest: Thou enduest with honour whom Thou pleasest, and Thou bringest low whom Thou pleasest: In Thy hand is all Good. Verily, over all things thou hast power. (The Holly Quran - Chapter 3, Al-Imran - Verse 26)
------------------------- Allah ne to Apna Sahifa Qurane pak,
------------------------- Bheja hai aik Chahite ko tohfa Qurane Pak,
------------------------- Inkar koi Kaise karega Qurane Pak,
------------------------- Allah ka Bilaguman Mansha Qurane Pak,
------------------------- Teri Tarah se aik Na Aayat Bana sake,
------------------------- Aisa Kalam Tera Shagufta Qurane Pak,
------------------------- Naik aur Bad ki tu ne Batadi Shanakhate,
------------------------- Tu ne Bata diya hai Natija Qurane Pak,
------------------------- Be Chainiya thi, Dard tha, hum sub the Muntashir,
------------------------- Tu ne Sikhadiya hai Saliqa Qurane Pak,
------------------------- Wo Surkhuru hai Padhte hai Karte hai jo Amal,
------------------------- Allah ka karam hai to aisa Qurane Pak,
------------------------- Hai Char Aasmani Sahife Bilaguman,
------------------------- Har aik ka apna apna Rutba hai Qurane Pak,
------------------------- Teri Salamati ka Khuda ne liya zimma,
------------------------- Bajna hai hashr tak Danka Qurane Pak,
------------------------- Padhna bhi hai Sawab to Sunna bhi hai Sawab,
------------------------- Aur hai Sawab Daikhte rahna Qurane Pak,
------------------------- Siddiq (R.A) Ne kaha k ye such hai bila daleel,
------------------------- Meraj ka jo Waqia guzra Qurane Pak,
------------------------- Hazrat Umer (R.A) ko Rahe Wafa ki dikha diya,
------------------------- Tu ne Kiya ye kaam akela Qurane Pak,
------------------------- Usmani (R.A) Dour ka ye ahem Waqia Bana,
------------------------- Tujh ko Kiya gaya hai Ikhatta Qurane Pak,
------------------------- Hazrat Ali (R.A) bhi Tere Pursitar hai Bade,
------------------------- Aik Raat me wo Padhte the Tanha Qurane Pak.
------------------------- Sub bhai bahno se Abuzar ki Guzarish hai yahi,
------------------------- Hojaye kuch bhi mat Chorna Padhna Qurane Pak.
By (the Token of) time (through the Ages), Verily Man is in loss, Except such as have Faith, and do righteous deeds, and (join together) in the mutual teaching of Truth, and of Patience and Constancy. (The Holly Quran - Chapter 103, Al-Asr - Verse 1-2-3)
------------------ Tere karam ki Yarab har simt hai Sadayen,
------------------ Teri Inayaton ko hum kis tarah Ginayen,
------------------ Arzo sama k Malik dono Jahan k Aaqa,
------------------ Hai teri Badshahi hum jis jage bhi Jayen,
------------------ Tere hi Lafz-e-Kun se Yarab hai is jahan me,
------------------ Bulbul ki Nagama sanji, Phoolo ki Khush Qbayen,
------------------ Hai bahrobar me tere Ehkam-e-Aashkara,
------------------ Har simt tera Jalwah, Har sou Teri Fizayen,
------------------ Gahre Samandaron me Teri hi Hukmrani,
------------------ Oonche Pahad bhi Teri Azmath k Geet gayen,
------------------ Maidan ho k Darya, Gulshan ho ya k Sahra,
------------------ Sub per teri Inayat, Sub per Teri Ghatayen,
------------------ Jis dum bhi Sadqe dil se Sajda me sir ko Rakkha,
------------------ Fairoz Mandiyo ne Nusrat ne lain Bulayen,
------------------ Har giz na hoga Hum se, Aye Azz-o-Shan wale,
------------------ Teri siwa kisi ki Chokhat pe sir Jhukhaye,
------------------ Tere Khilaf ho ker Yah rah saka na Koi,
------------------ Di sarkasho ko tu ne Be Intehan Sazayen,
------------------ Bakhshe hai tu ne Hum ko Aql-o-Fahem ki johar,
------------------ Tu ne Batayen Yarab har dard ki dawayen,
------------------ Mere Kareem Tujh se Bus itni Ilteja Hai,
------------------ Tu Bakhsh de Khudaya Hum sub ki sub Khataye. Aameen
O ye who believe fear Allah, and (always) say a word directed to the Right. That He may make your conduct whole and sound and forgive you your sins: he that obeys Allah and His Messenger, has already attained the highest Achievement. (The Holly Quran - Chapter 33, Al-Ahzab - Verse 70-71)
--- Jab umar tumhe tumhari uss mod par le jaegi,
--- Tab dekhna tumhe yaad Maa ki har baat wo aayegi,
--- Wo baat baat par poochna ke kahin tum bhooke to nahin,
--- Baat dil mein hei, mujhse kaho kahin mujhse roothe to nahin,
--- Koi aisa gham koi aisa dukh bhala mujhe to tum batao beta,
--- Is chand se chehre se tum aansoon ko to hatao beta,
--- Jab tum pareshaan se hote ho meri raton ki neend udh jaati hai,
--- Aankhon se mere, aansoon ki ladi dua ban ke rab ke paas jaati hai,
--- Jab mein na hoon pareshaan mat hona meri baton ko yaad kar ke mat rona,
--- Is dunya mein kahan koi raha hai sada in aankhon ko beta tum mat bhigona,
--- Mayoosion ke jab chaye badal hon apne dil par haath rakh lena tum,
--- Band kar ke apni aankhon ko phir ho jana meri un yadon mein ghum,
--- Mein janti hoon tumhari yadon mein main kabhi bhi marr nahi paongi,
--- Jitna bhi tum bhoolna chaho mujhe mein utna hi tumhe yaad aaongi.
--- Ye kamiyabiyan, izzat, ye naam, Maa tum se hai,
--- Allah ne jo bhi diya maqaam, Maa tumse hai,
--- Tumhare dum se hain mere lahu main khiltey Gulab,
--- Mere wajood ka sara Nizaam tumse hai,
--- Kahan bisaat-e-jaan aur main kamsin-o-nadan,
--- Ye meri jeet ka sab Ehtimaam tumse hai.
O ye who believe! Enter not houses other than your own, until ye have asked permission and saluted those in them: that is best for you, in order that ye may heed (what is seemly). (The Holly Quran - Chapter 24, Al-Noor - Verse 27)
------------------------- Meri Pakiza Duao me Asar de Yarab,
------------------------- Ilm k phoolo se daman mera bharde Yarab,
------------------------- Chahe jo Kuch ho Salamat mera iman Rahe,
------------------------- Aankh me Noor-e-Haya Seene me Qur’an Rahe,
------------------------- Zindagi bhar jo rahe sath wo Doulat de de,
------------------------- Mere Allah kitabon se muhabbat de de,
------------------------- Meri Har baat me Akhlaq ka Pahlu Nikle,
------------------------- Dukh kisi ka ho, Meri Ankh se Aansu Nikle,
------------------------- De agar Azm-e-Safar Zade Safar bhi de de,
------------------------- Zindagi di hai, to Jeene ka hunar bhi de de,
------------------------- Koi Gamgeen agar ho to use shad karon,
------------------------- Har tarah be kas-o-majboor ki Imdad karo,
------------------------- Mere Andar ka Muslman na Khone paye,
------------------------- Mai kahi jao Ye Pahchan na khone paye,
------------------------- Sang reza Hu mujhe hamsar gohar karde,
------------------------- Aik khatra hu mujhko samandar karde,
------------------------- Dil kushada rahe Ustad ki Izzat k Liye,
------------------------- Meri har sans ho Maa Baap ki Khidmat k liye,
------------------------- Rishta Sarkare do Aalam s.a.w se na Tute yarab,
------------------------- Hath se Damne Islam na Choote Yarab,
------------------------- Meri Pakiza Duao me Asar De Yarab.
**Hamesha Apne RAB se Pur’Umeed Rehna " kiun k " Kainat Me Jitni Jaldi RAB Razi Hota Hai Itni Jaldi Koi Razi Nahi Hota **
O ye who believe! Avoid suspicion as mush (as possible): for suspicion is some cases is a sin: and spy not on each other, nor speak ill of each other behind their backs. Would any of you like to eat the flesh of his dead brother? Nay, ye would abhor it but fear Allah: for Allah is Oft-Returning, Most Merciful. (The Holly Quran - Chapter 49, Al-Hujurat - Verse 12)
--------------- Mujh ko padh le mai teri Rooh Teri Jaan me hu,
--------------- Faida Kya hai Jo Rakha Huwa Juzdan Me Hun,
--------------- Mai ne Hi chand sitaron ki Rida di hai Tujhe,
--------------- Mujh se milna ho to mai Suraey Rahman me Hun,
--------------- Taskeen-o-Darde dil k liye Lahja banaliya,
--------------- Quran ko choomne ki bus aik shaye banaliya,
--------------- Mane se koi Rabt Na Matlab se Koi Kaam Hai,
--------------- Tariqiya hai Fikr me Zahno me Sham hai,
--------------- Muflis na kaise, Zahne Muslman ho dosto,
--------------- Jub Markaze hayat na Quran ho doston,
--------------- Quran Bagair Pahle ga Kya Noore Zindagi,
--------------- Mehrab-o-Juzdan me Band hai dastoore zindagi,
--------------- Quran k Lafz Lafz me hai Kaife Zindagi,
--------------- Ye Shakhe Kahi Hai, Kahi Saife Zindagi,
--------------- Quran Nahi Dikhawe ki Tazeem k liye,
--------------- Ye hai Amal ke Waaste Tasleem k liye,
--------------- Is se to Faiz Uthaya Aqwame Gair ne,
--------------- Quran se Sabaq liya hai bus Ahle Daiyer ne,
--------------- Aye Momin Use Naseeb me Koun-o-Makan Mile,
--------------- Quran Mila Jise Use Donon Jahan Mile.
And whether ye hide your word or publish it, he certainly has (full) knowledge, of the secrets of (all) hearts. Should He not know, He that created? And He is the One that understands the finest mysteries (and) is well acquainted (with them). (The Holly Quran - Chapter 67, Al-Mulk - Verse 13-14)
----------------- Har aik pal ho Labon per Tera hi naam Allah,
----------------- Tera hi Zikr Zuban per ho Subah-o-Sham Allah,
----------------- Hai qalb qalb ko Dhadkan teri Ata kirda,
----------------- Lahu Lahu me Rawan hai tera Nizam Allah,
----------------- Samandaron me talatm Jo teri Marzi se,
----------------- Nadi bhi Hukm pe tere hai be Lagam Allah,
----------------- Khushi Khushi jo Shahadat ka Jaam peete hai,
----------------- Wo Aam karte hai Touheed ka Payam Allah,
----------------- Teri Talash me Har dam rahun mai Sargardan,
----------------- Na doosra ho mera Aur koi Kaam Allah,
----------------- Nasha Garoor ka thoda bhi Jis se Hojaye,
----------------- Na de mujhe Kabhi Doulat ka aisa Jaam Allah,
----------------- Koi Safar ho mera ho Teri Raza k liye,
----------------- Tere liye ho Agar mera Qayam Allah,
----------------- Na Hoga Dil ko Yaqinan Koi bhi Gam, Aye Momin,
----------------- Rawan Zuban pe jub tak Rahe Kalam Allah.
----------------- Na Dunya Se Na Doulat Se Na Ghar Aabaad Karne se,
----------------- Tasalli Dil Ko Milti Hai Khuda Ko Yaad Karne se.
Aye ALLAH:Hum Agar woh na kar saken jo Tu chahta hai, To Hamain ye Taufeeq ata farma k Hum woh bhi na karen jo Tu nahi chahta…(AAMEEN)
Blessed be He in whose hands is Dominion; and He over all things hath Power. He who created Death and Life, that He may try which of you is best in deed: and He is the Exalted in Might, Oft-Forgiving. (The Holly Quran - Chapter 67, Al-Mulk - Verse 1-2)
---------- Muhammad Mustafa S.A.W Ne kis Khadar Aijaz Farmaya,
---------- Shatar Banu ko Sultani se Serfaraz Farmaya,
---------- Jo Sadiyo se Jihalat k Andheron me Bhatakte the,
---------- Unhen Hamare Nabi ne Tahzeeb me Mumtaz Farmaya,
---------- Jub Apne Dushmanon ko Bakhsh Daina Gair mumkin tha,
---------- Huzoore Paak ne Is Rasm ka Aagaz Farmaya,
---------- Wo Insan Qatl-o-Garat me darindon se Jo Badh kar tha,
---------- Usi ko Aap ne Insan ka Dum Saaz Farmaya,
---------- Jo ilm-o-hikmat ki Aqal ki Sarhad se Baher tha,
---------- Arab k aik Ummi ne Khula huwa wo raaz Farmaya,
---------- Kisi ko Aap k Rutbe ka Andaza Bhi Kaise Ho,
---------- Jinhon ne Arsh ko Bhi Farsh pa Andaz Farmaya,
---------- Kisi Insan ki Azmath isse Badh ker kya ho, aye Abuzar,
---------- Khuda ne Aap k Akhlaq per Khud Naaz Farmaya.
---------- Sallallahu Alaihi Wasallam.
---------- Hogi naseeb us ko shifa’at Rasool ki,
---------- Jo bhi karega dil se ita’at Rasool ki.Sallallahu Alaihi Wasallam.
Shuru
Allah k Naam se: Aye Iman Walon! Mard Doosre Mardon ka Mazaq na Udayen
Mumkin hai k ye un se Bahter ho Aur na Aaorten Aaorton ka Mazaq Udayen
Mumkin hai k ye un se Bahter Hon, Aur Aaps me aik doosre ko Aaib na
Lagao, Aur na kisi ko Bure Laqab do, Iman k Baad Fusq Bura Naam hai, Aur
jo toba na Karen wahi Zalim Log Hai.(Surah: Al-Hujurat, Surah No:49,
Aayat No:11)
O ye who believe! Let not some men among you laugh at others: it may be that the (latter) are better than the (former): nor let some women laugh at other: it may be that the (latter) are better than the (former): nor defame nor be sarcastic to each other, nor call each other by (offensive) nicknames: ill seeming is a name connoting wickedness, (to be used of one) after he has believed: and those who do not desist are (indeed) doing wrong. (The Holly Quran - Chapter 49, Al-Hujurat - Verse 11)
O ye who believe! Let not some men among you laugh at others: it may be that the (latter) are better than the (former): nor let some women laugh at other: it may be that the (latter) are better than the (former): nor defame nor be sarcastic to each other, nor call each other by (offensive) nicknames: ill seeming is a name connoting wickedness, (to be used of one) after he has believed: and those who do not desist are (indeed) doing wrong. (The Holly Quran - Chapter 49, Al-Hujurat - Verse 11)
******************{ MERI MAA JAISA KOI NAHI }******************
------------------- Jb kabhi mujhe dukh mila,
------------------- Meri Maa pareshan hui, Kyun?
------------------- Jb kabhi mere pairon mein kanta chubha,
------------------- Meri Maa k ankh mein ansoo aaye, Kyun?
------------------- Jb kbi mujhe koi takleef hui,
------------------- Mera Maa meri takleef mein roi, Kyun?
------------------- Jb kabhi mujhe walid se kuch manwana hota,
------------------- Meri Maa ne mera sath diya, Kyun?
------------------- Jb bhi mai ne maa se talkh zaban se baat ki,
------------------- Meri Maa aap ne hmesha bardasht kiya Aur maaf b kiya,Kyun?
------------------- Mein chah kr bhi aap k Ehsan nai chuka skta Par.
------------------- Ae Maa! aap to kehti ho k ye ehsan nai to kya hai?
------------------- Aap ka Pyar,Mumta,Kurbaaniyan Ye Bardasht ?
------------------- Meri itni Galtiyun k ba wajud aap mujhe Maaf kr deti hein,
------------------- Aisa kyun Maa. Bus ye k. "MERI MAA JAISA KOI NAHI".
------------------- Andherey hein raastey DIYA le k jana,
------------------- Merey aansooan ki ZIA le k jana,
------------------- Tumhein hadsoan se bachalegi hamesha,
------------------- suno ghar se MAA ki DUA le k jana.
Shuru Allah k Naam se: Aur tera Perwerdigar saaf saaf Hukm de chuka Hai k tum us k Siwa kisi Aur ki Ibadat na Karna Aur Maa Baap k sath Ihsan Karna, Agar teri Maojoodgi me un me se Aik ya ye Dono Budhape ko Pahonch jayen to un k Aage Uff Tak na kahna, Na Unhen dant Dapat karna balke un k Sath Adab-o-Ihteram se Baat Cheet Karna. Aur Aajizi Aur Mohabbat k sath un k samne Tawazeh ka Bazu Pst Rakhe Rakhna Aur Dua karte Rahna k aye Mere Perwardigar! In per Waisa hi Rahem kar Jaisa Inhone Mere bachpan me Meri Perwarish ki Hai.(Surah:Bani Isra’il, Surah No:17, Aayat No:23-24)
Thy Lord hath decreed that ye worship none but him, and that ye be kind to parents. Whether one or both of them attain old age in thy life, say not to them a word of contempt, nor repel them, but address them in terms of honour. And, out of kindness, lower to them the wing of humility, and say: my Lord bestow on them thy mercy even as they cherished me in childhood. (The Holly Quran - Chapter 17, Bani Isra’il - Verse 23-24)
****************{ Hum Apna Fasana Bhool Gaye }****************
------------------------- Muh daikhliya Apna Aayene me,
------------------------- Per Daag na daikhe seene me,
------------------------- Dil aisa lagaya Tu Jeene me,
------------------------- Marne Ko Musalman Bhool Gaye,
------------------------- Jis dour pe Naaz tha Duniya ko,
------------------------- Hum ab wo Zamana Bhool Gaye,
------------------------- Gairo ki Kahani Yaad Rahi,
------------------------- Hum Apna Fasana Bhool Gaye,
------------------------- Takbeer to ab bhi hoti hai,
------------------------- Masjdi k fiza me aye Momin,
------------------------- Jis zarb se dil hil jate the,
------------------------- Wo zarb lagana Bhool Gaye,
------------------------- Duniyawi Lazzate Yaad Rahi,
------------------------- Uqrawi Lazzate Hum Bhool Gaye,
------------------------- Tu jhank le apne Gireban me,
------------------------- Tujhko apni Haqiqat Nazar Aajaye.
------------------------- Insan Duniya mai is khadar Mashghool hota hai k usy pata bhi Nahi Chalta k Uska KAFAN bazar mai aa chuka hai.
Shuru Allah k Naam se: Aur Duniya ki ye Zindagani to Mahez Khail Tamasha hai Albatta Aaqirat k Ghar ki Zindagi hi Haqiqi Zindagi hai, Kash! Ye jante hote.(Surah:Al-Ankabut, Surah No:29, Aayat No:64)
What is the life of this world but amusement and play? But verily the Home in the Hereafter, that is life indeed, if they but knew.(The Holly Quran - Chapter 29, Al-Ankabut - Verse 64)
*********{ Zuban Me Wo Quwwate Goyaan tu Paida kar }*********
----------------- Agar tu Saccha momin hai Rabbe Rasool ka,
----------------- Apni Guftagu me wo Roohe Amal Paida Kar,
----------------- Phir Duniya Aaqirat tere dstars me hogai,
----------------- Mushahedate Huzoori ka wo Kamal paida kar,
----------------- Agar Khaliqe Haqiqi se milne ka Shoq hai,
----------------- Khud me Fanaye Ishq ka wo moqaam paida kar,
----------------- Phir sukoone qalb bhi yun Mil jayega,
----------------- Pahle Khud me koi aisa Talabgar Paida kar,
----------------- Apni nazar me Noore Khuda ko basana hai to,
----------------- Un me danayi ki wo Pahchan Paida kar,
----------------- Duao per Agar Mohre Qabuliyat Chahta Hai,
----------------- Zuban me wo Quwwate goyaan tu Paida kar,
----------------- Agar firaouniyo ki Sangat Nahi Chahta hai,
----------------- Khud me magroori ka wo Zawal tu paida kar,
----------------- Aye Momin, Namaz to Hamari Meraj Hai,
----------------- Khud me Meraje Safar k wo Aousaf Paida kar.
Shuru Allah k Naam se: Yaqinan ye Quran wo Raasta Dikhata hai jo Bahot hi sidha hai Aur Iman walon ko jo Naik Aamal karte hai Is Baat ki Khushkhabri deta hai k un k Liye Bahot Bada Ajr Hai.(Surah:Bani Isra’il, Surah No:17, Aayat No:9)
Verily this Quran doth guide to that which is most right (or stable), and giveth the glad tidings to the Believers who work deeds of righteousness, that they shall have a magnificent reward.(The Holly Quran - Chapter 17, Bani Isra’il- Verse 9)
**********{ Mere Allah tu Mujhko Gunaho'n se Bachaa }**********
----------- Apni Panaho'n mein Rakh, Mardood Shaita'n se Bacha ----------
*********** Behayaee hai har simt, koi parda na raha
*********** Us Daur ka koi bhi, Ab Manzar na raha
*********** Mere Nafs mein Aisi koi Rawaani Na uthey
*********** Meri Rooh mein Maula, Tu Azaa'n ko basa
*********** Mere Allah tu mujhko Gunaho'n se bacha
*********** Meri Aankho'n mein Allah, Tu sharm Bhar de
*********** Mere Dil mein Maula, Reham-O-Karam Bhar de
*********** Raah-E-Haq par sadaa, Maula tu mujhko chala
*********** Deen-E-Haq par Rahu'n, Allah Mujhe Aisa Bana
*********** Mere Allah tu mujhko Gunaho'n se bachaa
*********** Zaat-E-Faani ko mere Maula, Tu Mukammal kar de
*********** Namazo'n ka iss Qadr, Paaband-O-Amal kar de
*********** Jannat mein Makaa'n Allah, Tu mera Bana
*********** Aur Jahannam ki Gazabnaak, Angaaro'n se bacha
*********** Mere Allah tu mujhko Gunaho'n se bacha
*********** Apni Panaaho'n mein Rakh, Mardood Shaita'n se bacha.
*********************{ Aameen }***********************
*****{ Khushqismat Hu Mai k Maine MAA KI MAMTA Payi Hai }*****
--------------- Aaj hawa ne phir se wahi beeti baat dohrayi hai,
--------------- Mere guzre bachpan ki yaden apne sath wo layi hai!
--------------- Ek mamta ki chao me maine sari umar beetayi hai,
--------------- Apne gamon ke sailabo ko jo has kar sehti ayi hai!
--------------- Khali pait na jane unhone kitni raaten bitayi hai,
--------------- Najane raato ko jag jag kar kitni loriya gayi hai!
--------------- Mere sare zakhmo pe wo marham lagati ayi hai,
--------------- Jab bhi dard hua hai mujhe wo ansoo bahati ayi hai!
--------------- Mere sare sapno ko manzil ke karib jo layi hai,
--------------- Bas unki duaon se hi maine apni pehchaan banayi hai!
--------------- Aj mehsoos hua mere andar unki parchayi hai,
--------------- Khushqismat hu mai ke maine MAA KI MAMTA payi hai!
--------------- Poochte Hai Jub Koi k Duniya Me Muhabbat hai Kahan,
--------------- Muskura deta hu mai aur Yaad Aajati hai MAA.
Shuru Allah k Naam se: Aye Iman Walon! Tum apne aap ko Aur apne Ghar walon ko us Aag se Bachao jis ka Indhan Insan hai Aur Patther jis per Saqt dil Mazboot Farishte Muqarrar Hai Jinhen jo Hukm Allah Tala daita hai us ki Nafarmani nahi Karte Balke jo Hukm diya jaye baja Late Hai.(Surah:Al-Tahrim, Surah No:66, Aayat No:6)
O ye who believe! Save yourselves and your families from a Fire whose fuel is Men and Stones, over which are (appointed) angels stern (and) severe, who flinch not (from executing) the Commands they receive from Allah, but do (precisely) what they are commanded. (The Holly Quran - Chapter 66, Al-Tahrim - Verse 6)
****************{ MAA BAAP Phir Milte Kahan }****************
--------------- MAA BAAP Se Rakho Dosti, MAA BAAP Phir Milte Kahan,
--------------- Mat Ho Khafa Un Par Kabhi, MAA BAAP Phir Milte Kahan,
--------------- Daulat Mile Hashmat Mile, Awrat Mile Hurmat Mille,
--------------- Ne'mat Mile Rahat Mile, MAA BAAP Phir Milte Kahan,
--------------- Duniya Mey Jo Chaaho Agar Milta Hain Wo Beshtar
--------------- Lekin A'ey Oh Be Khabar MAA BAAP Phir Milte Kahan,
--------------- Kar Unki Khidmat To Sada, Dukha Mat Kuch unka Dil,
--------------- Maa Baap Phir Milte Kaha,
--------------- Jaisa Kahe, Too Kar Wahee, Mat Kar Khafa un ko Kabhi,
--------------- Rakh Har Dum un Se Dosti MAA BAAP Phir Milte Kahan,
--------------- Yaaad Rakhna Har Aulaad is Baat ko,
--------------- Bhool Jana Na Rehmat ki Barsat Ko, MAA BAAP Phir Milte Kaha.
--------------- Mat Nazar Andaaz Karna “MAA” ki Takleefon ko Aye Dost,
--------------- Jab ye Becharti Hai to Resham k Takye par Bhi Neend Nahi Aati.
Shuru Allah k Naam se: Aur usse zyada Acchi baat wala koun hai jo Allah ki Taraf Bulaye aur Naik kaam kare aur kahe k mai Yaqeenan Musalmanon me se Hun.(Surah:Fussilat or Hamim, Surah No:41, Aayat No:33)
Who is better in speech than one who calls (men) to Allah, works righteousness, and says, I am of those who bow in Islam.(The Holly Quran - Chapter 41, Fussilat or Ha mim - Verse 33)
***************{ Tujh se Badh ker bhi koi Gafil Nahi }**************
-------- Aakhirat ki fikr karni hai Zaroor, Jaisi krni waisi bharni hai Zaroor,
-------- Umar ye aik din Guzarni hai Zaroor, Qabar me Mayyat utarni hai Zaroor,
-------- Aane wali kisse Tali Jayegi, Jaan Teri jane wali Jaye gi,
-------- Rooh rag rag se Nikal Jayegi, Tujh pe Aik din Khak Dali Jayegi,
-------- Aik din Marna hai Aaqir mout hai, Krle jo krna hai Aaqir mout hai,
-------- Tu baraye bandagi hai yaad Rakh, Farz tujh per Bandagi hai yaad Rakh,
-------- Warna Phir sharmindagi hai yaad Rakh, Chnd roza zindagi hai yadh Rakh,
-------- Yahan se tujh ko Jana Aik din, Qabar me hoga Tikhana Aik din,
-------- Muh khuda ko hai dikhana aik Din, Ab na Gaflat me gawana aik din,
-------- Aik din Marna hai Aaqir mout hai, Karle jo krna hai Aaqir mout hai,
-------- Dunya ye fani fana ka dour hai, Jaye ibrat hai maqame Gour hai,
-------- Tu hai gafil ye kya tera toor hai, Bus koi din, Zindagani aur hai,
-------- Dafan Bahot se huwe zeron zameen, Phir bhi mrne ka Yaqeen aata nahi,
-------- Tujh se badh ker bhi koi gafil nahi, Kuch to ibrat chahiye aye mrde mateenn,
-------- Aik din Marna hai Aaqir mout hai, Karle jo krna hai Aaqir mout hai.
-------- Insan Dunaiya me Itna Gafil Hochuka Hai k Use Pata Bhi Nahi Chalta k Us ka Kafan Bazar me Aachuka Hai.
**********{ Naikiya Karne ki Abuzar ne Hidayat Maangi }*********
---------------- Maal manga, Na umr Mangi, Na hukumat Mangi,
---------------- Mai ne bus Khaliqe duniya se Qina’at Maangi,
---------------- Husn Maanga, Na malahat, Na wajahat Maangi,
---------------- Khaksari o Sanjeedgi o Sharafat Maangi,
---------------- Rubbe kaba se duao me Hamesha mai ne,
---------------- Hajje Akber ki Muqaddar me Bhalai Maangi,
---------------- Maange sub ne to Badi Naematen, Lekin mai ne,
---------------- Ita’at Rasool S.A.W, Rub ki Khashyat Maangi,
---------------- Deen o duniya me use Rub ne Nawaza Be Had,
---------------- Dil me bus jis ne Bhi Imaan ki Hararat Maangi,
---------------- Maang Sakte the Khuda se Mere Aaqa S.A.W sub kuch,
---------------- Fikr Ummt Thi, Nabi S.A.W ji ne Shifa’at Maangi,
---------------- Aik Gunahgar hai Sara sar, wo bhala Kya mange,
---------------- Naikiya Karne ki Abuzar ne Hidayat maangi.
---------------- Har Cheez Musabbab sbab se Mango,
---------------- Aajizi se Khush aamad se Adab se Mango,
---------------- Kyu Gair k Aage Hath Pahlate ho,
---------------- Bande ho Agar Rub k to Rub se Mango.
Shuru Allah k Naam se: Buland darjon wala Arsh ka Malik wo apne Bandon me se Jis per Chahta hai Wahi Nazil Farmata hai, Ta k wo Mulaqat k din se Daraye.(Surah:Ghafir, Surah No:40, Aayat No:15)
Raised high above ranks (He is) the Lord of the Throne by His Command doth He send the Spirit (of inspiration) to any of His servants he pleases, that it may warn (men) of the Day of Mutual Meeting (The Holly Quran - Chapter 40, Ghafer - Verse 15)
***************{ Aisi Pyari MAA Payi hai Mai Ne }***************
--------------- Zindagi ki Tapti Dhoop me ek Thanda saya Paya hai Mai ne,
--------------- Jab kholi Aankh to apni Maa ko Muskorata huwa Paya hai Mai ne,
--------------- Jab bhi Maa ka Naam liya,
--------------- Us ka Beshomaar pyar paya hai Mai ne,
--------------- Jab koi dard Mehsoos howa, jab koi Mushkil aayi,
--------------- Apne Pehlo mai apni Maa ko paya hai Mai ne,
--------------- Jaagti Rahi who Raat bhar Mere liye,
--------------- Jaane kitni Raatein, usay Jagaya hai Mai ne,
--------------- Zindagi ke har Mor par, jab Huwa Gumrah mai,
--------------- Iski Hidaayat par, Pakarli seedhi Raah mai ne,
--------------- Jis ki dua se har Museebat loat jaye,
--------------- Aisa Farishta paya hai Mai ne,
--------------- Meri har Fiker ko janne wali,
--------------- Mere Jazbaaton ko Pehcanne wali,
--------------- Aisi Pyari “MAA” payi hai Mai ne.
--------------- Neend apni bhula ker Sulaya hum ko,
--------------- Aansu apne gira ker hansaya hum ko,
--------------- Dard kabhi na diya us Hasti ne,
--------------- Zamana kehta hai MAA jis ko.
Shuru Allah k Naam se: Tumhen agar Bhlai mile to ye nakhush hote Hain han! Agar Burai pohnche to Khush hote hain, Tum agar Sabr karo aur Parhezgari karo to un ka Makr Tumhen kuch nuqsan na Daiga, Allah Tala ne un k Aamal ka Ihata kr rakha Hai.(Surah:Al-Imran, Surah No:3, Aayat No:120)
If good come to you, it grieves them, and if evil afflicts you, they rejoice; and if you are patient and guard yourselves, their scheme will not harm you in any way; surely (Allah) God comprehends what they do. (The Holly Quran - Chapter 3, Al-Imran - Verse 120)
Shuru Allah k Naam se: Allah Tala kisi Jaan ko us ki taqat se Zyada Takleef Nahi Deta, Jo Naiki Wo Kare wo us k liye aur jo Burai wo kare wo us per hai, Aye Hamare Rub! Agar Hum Bhool Gaye hon ya Khata ki ho to Hamen na Pakadna, Aye Hamare Rub! Hum per wo bojh na dal Jo hum se Pahle Logon per dala tha, Aye Hamare Rub! Hum per wo Bojh Na dal Jis ki Hamen Taqat na ho Aur hum se Darguzar farma, Aur Hamen Baksh den, Aur hum per Rahem kar, Tu hi Hamara Malik Hai, Hame Kafiron ki Qoum per Galba Ata Farma.(Surah:Al-Baqarah, Surah No:2, Aayat No:286)
On no soul doth Allah place a burden greater than it can bear. It gets every good that it earns, and it suffers every ill that it earns. (pray:) our Lord! condemn us not if we forget or fall into error; our Lord! Lay not on us a burden like that which thou didst lay on those before us; our Lord! Lay not on us a burden greater than we have strength to dear. Blot out our sins, and grant us forgiveness. Have mercy on us. Thou art our protector; help us against those who stand against Faith. (The Holly Quran - Chapter 2, Al-Baqarah - Verse 286)
************{ Samjho khuda ke waaste Azmat Quran ki }***********
***********{ Dono jahaan pe chaayee hai Rahmat Quran ki }*********
--------------------- Qaole Nabi hai Mominon Quran padha karo,
--------------------- Muhammad ke jaisi zindagi tum bhi jiya karo,
--------------------- barsegi tum pe dekhna rahmat Quran ki,
--------------------- Samjho khuda ke waaste azmat Quran ki.
--------------------- Rabne Quran bheja hai zindon ke waaste,
--------------------- Duniya Quran padhti hai murdon ke waaste,
--------------------- Haathon se hum banaate hain turbat Quran ki,
--------------------- Samjho khuda ke waaste azmat Quran ki.
--------------------- Akhbaar aur risaalon ko palkon pe rakhliya,
--------------------- Allah ki kitaab ko taaqon mein rakhdiya,
--------------------- Muslim ke haathon hoti hai zillat Quran ki,
--------------------- Samjho khuda ke waaste azmat Quran ki.
--------------------- Ramadhan ke maheene mein Allah ke qareeb,
--------------------- Gyaarah maheene hum to hain shaitaan ke qareeb,
--------------------- Bolo kahaan se paayenge barkat Quran ki,
--------------------- Samjho khuda ke waaste azmat Quran ki.
--------------------- Naize pe to Hussain ne Quran suna diya,
--------------------- Sookhe labon se fatha ka ailaan kar diya,
--------------------- Shabbeer ne bachaayee hai hurmat Quran ki,
--------------------- Samjho khuda ke waaste azmat Quran ki.
--------------------- Taqwey ke saath zindagi guzaar lo Abuzar,
--------------------- Kirdaare Mustafa se tum khud ko sanwaar lo,
--------------------- Waqtey ajal bhi lab pe ho midhat Quran ki,
--------------------- Samjho khuda ke waaste azmat Quran ki.
Shuru Allah k Naam se: Aur Jub Quran Padha jaya Karen to us ki Taraf Kaan laga diya karo Aur khamoosh raha Karo Ummid hai k tum per Rahmat ho.(Surah:Al-Araf, Surah No:7, Aayat No:204)
When the Quran is read, listen to it with attention, and hold your peace: that ye may receive mercy. (The Holly Quran - Chapter 7, Al-A’Raf - Verse 204)
*********{ Jannat me Makan Apna Bnate hai Namazi }*********
--------------- Aye Azizon her Tarah se Farz hai tum per Namaz,
--------------- Chahiye Padhte Rahen chote bade ghr ghr Namaz,
--------------- Hai bahot takeed Quran me Nahi hoti Muaaf,
--------------- Shadi ho ya Gam kisi Halat me momin per Namaz,
--------------- Tandrusti ho, ya Bimari, Watan ho, ya ho Safar,
--------------- Agar na Mumkin ho Utarna, Padh Sawari per Namaz,
--------------- Ya na ho Pani Muyassar, ya ho pani se kuch Takleef,
--------------- Padh Taimam se Bara bar ho k tu be dar Namaz,
--------------- Jannat me Makan apna bnate hai Namazi,
--------------- Masjid me Bade shoq se jate hai Namazi,
--------------- Kya shoqe Jamat hai Ibadat se hai Muhabbat,
--------------- Masjid me Azan sunte hi Jate hai Namazi,
--------------- Drte hai Qaza hone se mith te hai Ada per,
--------------- Jaan Apni Namazon me Ladaten hai Namazi,
--------------- Sajde ka Nishan Chand sa Roushan Hai jabeen per,
--------------- Hoor baheshti ko Libhate hai Namazi,
--------------- Kahta hai ye Darwaze per Darogaye Jannat,
--------------- Hut jao k Firdouse me Jate hai Namazi.
*************{ Yaqeen Mere Kahne ka hai ya Nahi hai }*************
------------------------- Jaga dil lagane ki duniya nahi hai,
------------------------- Ye ibrat ki ja hai tamasha nahi hai
------------------------- Khushi ki jaga hai dniya nahi hai,
------------------------- Kisi ne sada is me rahna nahi hai,
------------------------- Sans jub jaan se nikle gi tan se,
------------------------- Phir us waqt koi kisi ka nahi hai,
------------------------- Guzara jo do din ka krna hai karlo,
------------------------- Qyaam har giz is me kisi ka nahi hai,
------------------------- Hazaron Haseen aur Nazakat k putle,
------------------------- Kahan hai pata un ka milta nahi hai,
------------------------- Wo sub mith gaye hum bhi yunhi mitenge,
------------------------- Yaqeen mere Kahne ka hai ya nahi hai.
------------------------- Aye Ahliyaan khak wo surat kaha gayi,
------------------------- Nakhre kahan gaye aur wo izzat kaha gayi,
------------------------- Firoun se kahiye k wo lashkher kaha gaya,
------------------------- Rustum se poochiye k wo Quwwat kaha gayi,
------------------------- Shaddat se kaho k wo bage iram kaha gaya,
------------------------- Qaroon se puchiye k wo dowlat kaha gayi,
------------------------- Ye kis Haseen ki khabar per kanton ki baad hai,
------------------------- Wo phool sa badan wo nazakat kaha gayi,
------------------------- Daikha na mudh k khak me aisa mila chale,
------------------------- Aye doston! Wo chahsme muhabbat kaha gayi.
****{ Aik din mrna hai aaqir mout hai,Krle jo krna hai aaqir mout hai }****
***************{ Mera tuj se itna hi sawal hai }***************
------------------- Wo tamam mere himaqtein jo huwe gunah ki chaon mein,
------------------- Wo amal ki sari kasaftein jo likhi gai hain fizaon mein,
------------------- Tere samne hai zarrah zarrah,
------------------- Teri zaat waqif-e-hal hai,
------------------- Mein bura sahi mujhay bakhsh de,
------------------- Mere dil ko sakht malal hai,
------------------- Meri neend aankhon se door hai,
------------------- Mera maazi bahoat kharab hai,
------------------- Ye karam hai Rab-e-Jahan tera,
------------------- Mere har gunah pe tera naqab hai,
------------------- Tujhay ikhtiar hai sab ka sab,
------------------- Mera tuj se itna hi sawal hai,
------------------- Tu maaf kar tu Kareem hai,
------------------- Tu Rab-e-Zuljalal hai, Tu Gafoor-o-Raheem Hai.
------------------- (Aameen)
------------------- Woh bakhshta hai Gunah e azeem bhi lekin,
------------------- Hamari choti si naiki bhi sambhal rakhta hai..!
------------------- Hum usey bhool jate hain roshni mein,
------------------- Woh tareeki mein bhi khayal rakhta hai..!
------------------- Jab kabhi dair se lotun to meri Maan ki tarah,
------------------- Woh mere rizk ka hissa nikaal rakhta hai..!
------------------- Gharon mein jin ke diya bhi nahi hai,
------------------- Fiza mein chand sitarey uchaal rakhta hai..!
*************{ Suno aie Momino, chalo Namaz Padhein }*************
--------------------- Suno aie momino, chalo namaz padhein
--------------------- Namaz husn e bandagi, namaz to namaz hai
--------------------- Khuda ki iss mein hai khushi, namaz to namaz hai
--------------------- Namaz say yeh maat kaho, mujhe bahot say kam hain
--------------------- Kaho to kaam say yehi, namaz to namaz hai
--------------------- Musibatain na bandishain na rizk ki rukawatein
--------------------- Hai mushkaloon ka hal yehi, namaz to namaz hai
--------------------- Tu padh namaz qabl kay teri aada namaz ho
--------------------- Guzar na jaye yeh zindagi, namaz to namaz hai
--------------------- Namaz e panjgana tum padho ujagr e hazeen
--------------------- Karo youn Rab ki bandgi, namaz to namaz hai
--------------------- Suno aie momino, chalo namaz padhein
--------------------- Suno aie momino, chalo namaz parhein.
Jahan Namaz Parho thori der bheth jao, K badan k tamam hisse me sukon peda hojae,,Phir Namaz k liye khare ho jao, Is tarah k KABA ko apni nigah k samne,, PUL-E-SIRAT ko paon k niche, JANNAT ko daen taraf, JAHANUM ko baen taraf, MOUT K FARISHTE ko apne peche khara huwa khayal karo, Aur samjho k Tumhare Zindagi ki ye AKHRI NAMAZ hai.
*******{ Such Kahoon Mujh ko ye unwaan bura lagta hai }*******
----------- Such Kahoon Mujh ko ye unwaan bura lagta hai,
----------- Zulm sahta hua Insaan bura Lagta hai,
----------- Kis Qadar hogai masroof ye duniya apni,
----------- Aik din Tahre to mahmaan bura Lagta hai,
----------- Un ki khidmat to bahot door, beton betiyon ko,
----------- Budhe Maa Baap ka frmaan bura lagta hai,
----------- Mere Allah meri naslon ko Zillat se nikaal,
----------- Hath phlaye huwe Musalman bura lagta hai.
----------- Kal na Hum honge, na koi Gila hoga,
----------- Sirf simti huyee Yaadon ka Silsila hoga,
----------- Hai jo Lamhey kuch krle to apne walidain ki khidmat,
----------- Na jane kal hasr-e-Maidan me Khuda ka kya Faisala hoga.!!
Shuru Allah k Naam se: Aur Tumhen aik doosri (Naimat) Bhi daiga jise Tum chahte ho Wo Allah ki Madat Aur jald Fateh yabi hai, Iman walon ko Khushkhabri de do. (Surah:As-Saff, Surah No:61, Aayat No:13)
And yet another (blessing) that you love, help from Allah and a victory near at hand So give the Glad Tidings to the Believers. (The Holly Quran - Chapter 61, As-Saff - Verse 13)
**********{ Yeh Farz ada Maa k siwa kon kare Ga }**********
----------------- Ab mere liye roz Dua koun kare ga,
----------------- Yeh farz ada Maa k siwa kon kare ga,
----------------- Chupke se mujhe chor k chal di yeh na socha,
----------------- Ab mujh pe Dil-o-Jan Fidaa kon kare ga,
----------------- Dunia mein wafadar koi Maa k siwa hain?
----------------- Youn Maa ki tarah mujh se wafa kon kare ga,
----------------- Pyara our Mera laal kaha karti thi Maa tu mujhe,
----------------- Qaaim teri mamta ki fiza kon kare gaa,
----------------- Karne ko mujhe kehti thi Maa sabar Hamesha,
----------------- Ab sabar ki talkeen sada kon kare ga,
----------------- Har lamha rulati hain teri yaad Maa mujhe,
----------------- Ansoon ko mere khushk bata kon kare ga.
----------------- Nahi ab mangta kuch bhi siwa us ki duaoo me,
----------------- Buland darje pe rakhna meri MAA ko MAAOn me,
----------------- Naseeb us se bhi badh kar karna kuch usy moula,
----------------- K jannat to liye phirti thi wo apny paaon mai.
Shuru Allah k Naam se: Beshak jo Iman laye hai Aur jinhon ne Shaista Aamal kiye hai un k liye Allah Rahman Muhabbat paida krdaiga.(Surah:Maryam, Surah No:19, Aayat No:96)
Surely (as for) those who believe and do good deeds, the Beneficent will appoint for them love. (The Holly Quran - Chapter 19 , Maryam - Verse 96)
*******{ Marte Marte Bhi Jeene Ki Dua De Jati Hai Maa }*******
----------- Fikr Main Bachchon Ki Kuch Is Tarah Ghul Jaati Hai Maa,
----------- Jawan Hote Hue Budhi Nazar Aati Hai Maa,
----------- Rooh Ke Rishton Ki Ye Gehraiyan To Dekhiye,
----------- chhot Lagti hai Humein Aur Tarapti Hai Maa,
----------- Samne Bachchon Ke Khush Rehti Hai Har Haal Main,
----------- Raat Ko Chup Chup Ke Ashq Barsati Hai Maa,
----------- Kab zaroorat Ho Mere Bachche Ko Soch Kar,
----------- Jaagti Rehti Hain Aankhein Aur So Jati Hai Maa,
----------- Mangti Nahin Kuch Apne Liye ALLAH Se,
----------- Apne Bachon Ke Liye Daaman Phelati Hai Maa,
----------- Bazuon Main Kheench Ke Aa Jaye Gi Jaise Qainaat,
----------- Is Tarah Bachon Ke Liye Banhein Phelati Hai Maa,
----------- Zindagi Ke Safar Main Gardishon Ki Dhoop Main,
----------- Jab Koyi Saya Nahin Milta To Yaad Aati Hai Maa,
----------- Pyar Kehte Hain Kisay Aur Mamta Kiya Cheez Hai,
----------- Koi Un Bachchon se Pooche Jin Ki Maa Nahin Hai,
----------- Chahe Hum Khushiyon Main Bhool Jayein Dosto,
----------- Jab Museebat Sar Per Aaye To yaad Aati Hai Maa,
----------- Umar Bhar Gafil Na Hona Khuda Ki Yaad Se,
----------- Raat Din Apne Amal se samjhati Hai Maa,
----------- Shukar Ho Hi Nahin Sakta Kabhi Is Ka Adaaa,
----------- Marte Marte Bhi Jeene Ki Dua De Jati Hai Maa,
----------- Maut Ke Agosh Main Jab Thak Ke So Jati Hai Maa,
----------- Tab Kahin ja Kar Thora Sa Sukoon Pati Hai Maa.
Shuru Allah k Naam se: Aur un k liye aik Nishani (Khusk) Zameen hai Jis ko Hum ne zinda krdiya Aur usse Galla nikala Jis me se wo Khate Hai.(Surah:Yaseen, Surah No:36, Aayat No:33)
A Sign for them is the earth that is dead: We do give it life, and produce grain from it, of which they eat. (The Holly Quran - Chapter 36 , Yaseen - Verse 33)
******************{ Maut Ki Yaad }******************
------------ Pehley to ye sochiye mein kis qadr bemaar hu,
------------ Aur phir marney ko goya (yani) ab to mein tayaar hu,
------------ Baad is ke sochiye mein mar gaya rotey hai sab,
------------ Merey marne ki khabar sunkar jama’a hotey hai sab,
------------ Mujhe takhtey par litaya aur nehlane lagey,
------------ Phir kufn kuch logh mil kar mujhko pehlaney lagey,
------------ Ab mujhe sab dekhtey hai aakhiri deedar hai,
------------ Sab ke dil mein hasratein hai, sab ke dil mein pyar hai,
------------ Ab janaza hai mera tayyar lejane lagey,
------------ Ahle-khana ko mere kuch logh behlaney lagey,
------------ Laa kar mayyet ko meri masjid ke bahr rakh diya,
------------ Aur phir mera janaza sab ne mil kar padh liya,
------------ Ab mujhe kuch logh qubristan lejaney lagey,
------------ Phir woh qubristan pohonch kar mujhko dafnaney lagey,
------------ Kal tak jo apnay they woh aaj beganey lagey,
------------ Jab andherey mein mujhe sab chor kar janey lagey,
------------ Qabr mein ab mein hu tanha paas hai munkir naqeer,
------------ Jaan be haq se yeh goya aaein hai ban ke shafi,
------------ Ab unho ne jo kiya mujhse agr koi sawal,
------------ Paas to kuch bhi nahi is “bad amal” ke “juz malal”.
------------ Qabr ki Neend Kyu na Meethi Ho
------------ Umer Bhr ki Thakaan jo Hoti Hai.
*********{ Jaga Jee Laganay ki Duniya Nahi Hai }*********
------------- Jahaaan main hain ibrat kay har soo namoonay,
------------- Magar tujh ko andha kia rang-o-boo nay,
------------- Kabhee ghaur say yeh bhee daikha hai tu nay,
------------- Jo mamooor thay woh mahal ab hain soonay,
------------- Jaga jee laganay ki duniya nahin hai ,
------------- Yeh ibrat ki jaa hai tamasha nahin hai,
------------- Milay khaak main ahl-e-shaan kaisay kaisay,
------------- Huay naaamwar benishaan kasiay kaisay,
------------- Mitay namioon kay nishaan kaisay kaisay ,
------------- Zameen kha gayee aasmaaan kaisay kaisay,
------------- Jaga jee laganay ki duniya nahin hai,
------------- Yeh ibrat ki jaa hai tamasha nahin hai,
------------- Tujhay pahlay bachpan nay barsoon khilaya,
------------- Jawanee nay phir tujh ko majnoon banaya,
------------- Budhape nay phir aakay kia kia sataya,
------------- Ajal tera karday gee bikul safaya,
------------- Jaga jee laganay ki duniya nahin hai,
------------- Yeh ibrat ki jaa hai tamasha nahin hai,
------------- Yahi tujh ko dhun hai rahoon sub say aa'ala,
------------- Ho zeenat niralee ho fashion nirala,
------------- Jiya karta hai kia yun hee marnay wala,
------------- Tujhay husn-e-zahir nay dhokay main daala,
------------- Jaga jee laganay ki duniyanahin hai,
------------- Yeh ibrat ki jaa hai tamasha nahin hai.
Shuru Allah k Naam se: Kya wo jo Makhlooq ki Awwal dafa Paidayesh krta Hai phr use Loutayega, aur jo Tumhen Aasman Aur Zameen se Roziyan de Raha Hai, Kya Allah k sath koi Aur Mabood Hai, Kahdijiye k Agr Sacche ho to Apni Daleel Lao.(Surah:Al-Naml, Surah No:27, Aayat No:64)
Or, who originates creation, then repeats it, and who gives you sustenance from heaven and earth? (Can there be another) god besides Allah. Say, "Bring forth your proof, if ye are telling the truth!" (The Holly Quran - Chapter 27, An-namil - Verse 64)
********{ Roushan hai Ghr usi se Hamara Aur Tumhara }********
------------- Maa ki Duawon me Jub Shamil Hona Tumhara,
------------- Bun Jaye gi Rahmat Khuda ki Muqaddar Tumhara,
------------- Maa ko Khafa Jo Zindagi me Krdiya Tum ne,
------------- Phr Bhatko ge bahot Aur Thame ga na Koi Hath Tumhara,
------------- Chaho Bhi to na Pa sko ge tum Manzil ka Pata,
------------- Maa ki Dua se Ho Khali Jub Daamn Tumhara,
------------- Jub tk Raho tum Maa se Muhabbat krte Rahna,
------------- Baharen Daikhenge Khud Phr Raasta Tumhara,
------------- Dua Hai meri, Maa ki Mmta ho Naseeb sub ko,
------------- Roushan hai Ghr usi se Hamara Aur Tumhara.
------------- Daastan mere laad pyar ki bas,
------------- Ek hasti k gird ghoomti hai,
------------- Pyar jannat se iss liye hai mujhe,
------------- Yeh meri MAA k qadam choomti hai.
--------------- Ek Pedh Jisne Kabhi Mujhe Dhup Lagne Na Di,
--------------- Apne Aanchal Mein Chupa Ke Rakha Nazar Kisi Ki Lagne Na Di,
--------------- Yaad Ate Hai Bachpan Ke Din Jab Tu Mujhe Khilati Thi,
--------------- Har Bar Rone Par Tu Hi Mujhe Hasati Thi,
--------------- Achi Neend Ke Liye Naajane Kaha Kaha
--------------- Se Nayi Loria Aur Kahaniya Lati Thi,
--------------- Ro Padhta Hai Yeh Dil Yad Karke Woh Din
--------------- Jab Haatho Se Apne Khana Khilati Thi,
--------------- Teri Ungli Pakad Ke Maine Chalna Sikha,
--------------- Teri Hi Aankho Se Yeh Sansar Maine Dekha,
--------------- Aaj Phr Teri God Mein Sone Ko Dil Kare,
--------------- Tere Hatho Se Khane Ko Dil Bekrar Hai,
--------------- Yad Aa Gaye Woh Sunhere Din,
--------------- Dil Aaj Bhi Us Samay Mein Jane Ko Bekrar Hai
--------------- Bas Ab Yadein Hi Reh Gyi Yaad Karne Ko,
--------------- Bachpan Lot Ke To Aa Nhi Sakta,
--------------- Tujhe Kitna Chata Hu Maa
--------------- Tujhe Kabhi Yeh Bta Nhi Sakta,
--------------- Meri Har Saans Tera Ehsan Hai,
--------------- Jab Chahe Ise Le Lena,
--------------- Chod Ke Na Jana Kabhi Chahe
--------------- Meri Sanse Bhi Mujhse Le Lena.
-------------- QURAN Ghar Mai Hai Magar Parhta Nahi Mai
-------------- Zara Bhi ALLAH ka Khauf Karta Nahi Mai
-------------- Mujhe Aati Hai Museebat to ALLAH Yaad Aata Hai
-------------- Warna to Kabhi Sir Sajday Mai Rakhta Nahi Mai
-------------- Mobile ki Awaz Sun Kar Uth Jata Hon Mai Foran
-------------- Per Sun Kar Azaan Kabhi Uth'ta Nahi Mai
-------------- Kanon Mai Aazan ki Bhala Kesy Aaye Aawaz
-------------- Band to Kabhi T.V Karta Nahi Mai
-------------- Soorat Se to Insan Nazar Aata Hon Mai
-------------- Magar Seeret Se to Musalman Lagta Nahi Mai.
Shuru Allah k Naam se: Wo Aise hai jo toba krne wale, Ibadat krne wale, Hmd krne wale, Roza rkhne wale, (ya rah haq me safr krne wale) Ruku aur Sjda krne wale, Naik baton ki taleem krne wale aur Buri baton se baaz rkhne wale, aur Allah ki hudood ka khayal rkhne wale hai, aur aise Momineen ko aap khuskhbri sunadijiye.(Surah:Tawbah, Surah No:9, Aayat No:112)
They who turn to (Allah) God , who serve (Him), who praise (Him), who fast, who bow down, who prostrate themselves, who enjoin what is good and forbid what is evil, and who keep the limits of Allah; and thus , give good news to the believers. (The Holly Quran - Chapter 9 , Al-Tawbah - Verse 112)
Shuru Allah k Naam se: Aur Allah Tala ki Ibadat karo aur us k sath kisi ko shareek na karo aur Maa Baap k sath suloook wo ihsan karo aur Rishtedaron se aur Yateemon se aur Miskinon se aur Qarabt daar humsaye se aur Ajnabi humsaye se aur Phlu k sathi se aur Raah k musafir se aur un se Jin k Malik tumhare hath hai, (gulam kaneez) Yaqeenan Allah tala takabbur krne walon aur Shaeqi khoron ko Pasnd nahi frmata.(Surah:Al-Anisa, Surah No:4, Aayat No:36)
Worship (Allah) God , and do not worship any partners with Him and do good to parents, kinsfolk, orphans, those in need, neighbours who are near,
Neighbours who are strangers, the companion by your side, the wayfarer (ye meet), and what your right hands possess For Allah loveth not the arrogant, the vainglorious.(The Holly Quran-Chapter 4, Al-Anisa-Verse 36)
---------------------------------{ Waldain Ke Huqooq}---------------------------------
ALLAH TALA KA Irshaad hai
Agar Woh Humare Saamne Budhape Ko Pohench Jayein In Dono Me Se Ek Ya Woh Dono , To Unn Se Uff Bhi Naa Kehna Aur Unko Jhidakna Bhi Nahi Aur Unn Se Adab Ke Sath Baat Cheet Karna Aur Kehte Rehna Ke*Aaye Mere Parwardigaar ! Inn Par Reham Farma Jaise Ke Unho Ne Mujhe Bachpan Me Paala... Aulaad Par Waldain Ke Fazl Wo Ehsaan Se Kisi Ko Inkaar Nahi Hosakta,
Waldain Hi Humare Wajood Me Aane Ka Sabab Hain Aur Is Par Inn Ke Azeem Huqooq Hain, Unho Ne Bachpan Me Humari Parwarish Ki, Humari Rahat Wo Aasayesh Ke Liye Hamesha Takleefein Uthai,
Humari Neend Keliye Qud Apni Neend Qurbaan Kardi.... Isi Tarah Baap Bhi Tumhari Rozi Roti Keliye Humare Bachpan Se Lekar Bade Hone Tak Doud Dhoop Karta Raha, Aur Humari Tarbiyat Aur Rahnumaiye Karta Raha , Jabke Hum Apne Nafaa Nuqsan Ka Shourr Nahi Rakhte The, Isi Liye ALLAH Subhana Talah Ne Aulaad Ko Waldain Ke Sath Husn Suluk Aur Shukar Guzari Ka Hukum Diya Hai, Hum Par Waldain Ka Yeh Haqq Hai Ke Hum Unn Ke Sath Huns Suluk Karein, Qwali Aur Amli Taur Par, Mall Ke Zariye Aur Jism Ke Zariye Unn Ke Sath Ehsaan Karo, Unn Ka Kaha Maano, Unnse Narmi Ke Sath Guftagoo Karo, Unnse QandaPeshani Se Paish Aao, Unnke Shayan-e-Shaan Unnki Qidmat karo, Budhape ,Ya Beemari Ya Kamzoori Ke Waqt Unnse Tangdil Naa Ho, Aur Naa Hi Unnki Janib Se Bojh Mehsoos Naa Karo, Baad Mein Hum Bhi Unhi Ke Muqaam Par Honge, Jis Tarah Woh Humare Maa Baap Hain, Agar Zindagi Rahi Toh Hum Bhi Isi Tarah Apni Aulaad Ke Saamne Budhape Ko Pohenchenge , Jis Tarah Aaj Woh Humari Qidmat Ke Zarooratmand Hain Isi Tarah Hum Bhi Apni Aulaad Ki Qidmat Ke Zarooratmand Honge, Agar Hum Apne Waldain Ki Qidmat Guzari Ki Hain Toh ALLAH Se Azeem Ajr Wo Sawab Ki Aur Apni Aulaad Se Isi Ki Misal Badle ki Khushi Lenge {insha Allah } Kyunke Jo Apne Waldain Ki Qidmat Karta Hai Usski Aulaad Bhi Usski Qidmat Karti Hai , Aur Jo Apne Waldain Ki Naa Farmani Karta Hai, Usski Aulaad Bhi Usski Naa Farmani Karti Hai,
Badla Amal Hi Se Hota Hai, Jaisa Karoge Waisa Paaoge .........
Shuru Allah k Naam se: Aye Iman Walon! Tum Apna Dili Dost Iman Walon k siwa aur kisi ko Na Banao, (tum to) Nahi Daikhte doosre log Tumhari Tabahi me koi Kasr utha Nahi Rkhte, wo to Chahte Hai k tum Dukh me Pado, un ki Adawat to Khud un ki Zuban se Bhi Zaher ho Chuki Hai Aur jo un k Seeno me Poshida Hai wo Bahot Zyada Hai, Hum ne tumhare Liye Aayaten Byan Krdin.(Surah:Al-Imran, Surah No:3, Aayat No:118)
Ye who believe take not into your intimacy those outside your ranks: they will not fail to corrupt you. They only desire your ruin: rank hatred has already appeared from your mouths: what their hearts conceal is far worse. We have made plain to you the Signs, if ye have wisdom. (The Holly Quran - Chapter 3 , Al-Imran - part of Verse 118)
Shuru Allah k Naam se: Jo loag Aasani me Aur Sqti k Moqe per Bhi Allah k Raaste me Kharch Krte hai, Gussa Peene wale Aur Logon se Drguzr Krne wale Hai, Allah Tala in Naik Karon se Muhabbat Krta Hai.(Surah:Al-Imran, Surah No:3, Aayat No:134)
Those who give charity when they have and when they do not have, and those who restrain their anger and pardon men; and (Allah) God loves the doers of good. (The Holly Quran - Chapter 3 , Al-Imran - Verse 134)
*************{ QADAR MAA BAAP KI GAR KOI JAAN LE }************
------------------ APNI JANNAT KO DUNIYA MAIN PEHCHAN LE…-----------------
Jab Tu Paida Huwa Kitna Majboor Tha, Yeh Jahan Teri Sonch Se Bhi Dour Tha…
Haath Paaon Bhi Tab Tere Apney Na Thay, Teri Ankhon Main Duniya Ke Sapney Na Thay…
Tujh Ko Aata Sirf Rona Hi Tha, Doodh Pi Ke Kaam Tera Sona Hi Tha…
Tujh Ko Chalna Sikhaya Tha Maa Ne Teri, Tujh Ko Dil Main Basaya Tha Maa Ne Teri…
Maa Ke Saaye Main Parwaan Chadne Laga, Waqt Ke Sath Qad Tera Badne Laga…
Dhirey Dhirey Tu Kadiyal Jawan Ho Gaya, Tujh Pe Saara Jahan Meharban Ho Gaya…
Zor-e- Bazoo Pe Tu Baat Karne Laga, Khud Hi Sajney Laga Khud Sanwarney Laga…
Ek Din Ek Ladki Tujhe Bhaa Gayei, Ban Ke Dulhan Woh Tere Ghar Agayei…
Ab Faraayez Se Tu Door Honay Laga, Beej Nafrat Ka Khud Hi Tu Boney Laga…
Phir Tu Maa Baap Ko Bhi Bhulaaney Laga, Teer Baton Ke Phir Tu Chalaney Laga…
Baat Be Baat Unn Se Tu Ladney Laga, Qayda ek Naya Tu Phir PaDnay Laga…
Yaad Kar Tujh Se Maa Ne Kaha ek Din, Abb Humara Guzara Nahin Tere Bin…
Sunn Ke Yeh Baat Tu Tayesh Main Agaya, Tera Gussa Teri Aqal Ko Kha Gaya…
Josh Main Aake Tu Ne Yeh Maa Se Kaha, Main Tha Khamosh Sab Dekhta Hi Raha…
Aaj Kehta Hoon Peecha Mera Chor Do, Jo Hai Rishta Mera Tum Se Woh Tod Do…
Jao Ja Ke Kahin Kaam Dhanda Karo, Log Marte Hain Tum Bhi Kahin Ja Maro…
Bait Kar Aahen Bharti Thi Maa Raat Bhar, Inki Aahon Ka Tujh Par Howa Na Asar…
Ek Din Pita ji tera Chala Rooth Kar, Kaise Bikhri Thi Phir Teri Maa Toot Kar…
Phir Woh Bhi Bas kal Ko Bhulati Rahi, Zindagi Isko Har Roz Satati Rahi…
Ek Din Maut Ko Bhi Taras Agaya, Iska Rona Bhi Taqdeer Ko Bha Gaya…
Ashk Ankhon Main Thay Woh Rawana Huwi, Maut Ki Ek Hichki Bahana Huwi…
Ek Sukoon Us ke Chehre Pe Chaaney Laga, Phir Tu Mayyat Ko Uski Sajaney Laga…
Muddatain Ho Gayi Aaj Booddha Hai Tu, Tooti Khatiya Pe PaDa Bora Hai Tu…
Tere Bacche Bhi Abb Tujh Se Dartey Nahi, Nafraten Hain, Muhabbat Woh Kartey Nahi…
Dard Mein Tu Pukare Ke “O MERI MAA”, TERE DAM SE HI ROSHAN THE DONO JAHAN…
Waqt Chalta Rahta Hai Waqt Rukta Nahi, Toot Jata Hai Woh Jo Ke Jhukta Nahi…
Bann Ke Ibrat Ka Tu Abb Nishaan Reh Gaya, Dhoondh ab Zor Tera Kahan Reh Gaya…
Tu AHKAAM-E-RABBI Bhulata Raha, APNE MAAN-BAAP KO TU SATATA RAHA…
Kaat Le Tu Wohi, Tu Ne Boya Tha Jo, Tujh Ko Kaise Miley Tu Ne Khoya Tha Jo…
Yaad Kar Ke Gaya Daur, Tu Rone Laga, Kal Jo Tu Ne Kiya Aaj Phir Hone Laga…
Maut Maange Tujhe Maut Aati Nahin, Maa Ki Surat Nigahon Se Jati Nahi…
Tu Jo Khanse Tu Aulad Daantey Tujhe, Tu Hai Nasoor Sukh Kaun Baantey Tujhe…
Maut Ayegi Tujh Ko Magar Waqt Par, Bann Hi Jaye Gi Qabar Teri Waqt Par…
QADAR MAA BAAP KI GAR KOI JAAN LE, APNI JANNAT KO DUNIYA MAIN PEHCHAN LE…
Aur Leyta Rahe Woh BaDaun Ki Dua, Usi Ke Dono Jahan, Uska Haami KHUDA…
Yaad Rakhna her aulaad Is Baat Ko, Bhool Jana Na REHMAT KI BARSAT Ko....
Shuru Allah k Naam se: Aye Mere Qoum k logon! Ab tum Apni jage Aml kiye Jao Mai Bhi Aml Krraha hun, Tumhen Anqareeb Maloom Hojayega k kis k Paas wo Azab Aata Hai jo use Ruswa Krdain Aur Kaoun hai jo Jhoota Hai, Tum Intezaar karo Mai Bhi Tumhare Sath Muntazir Hun.(Surah:Hud, Surah No:11, Aayat No:93)
And O my people! Do whatever ye can: I will do (my part): Soon will ye know who it is on whom descends the penalty of ignominy; and who is a liar! and watch ye! for I too am watching with you! [The Holly Quran - Chapter 11 , Hud - Verse 93]
***********************{ Maa Ka Pyar }***********************
---------- Khuda Ki Rehmat Hai Humpar Jo Unka Pyaar Mila,
---------- Janaat Se Haseen Kai Yaadon Ka Uphaar Mila,
---------- Kyun Karen Hum Us Khuda Se Ab Koi Shikwa Koi Gila,
---------- Jisne Humko Maa Ka Pyar Dilaya Jisko Paakar Mei Aur Tu Khila….
---------- Kyun Bhool Jaate Hain Hum Us Maa Ko Waqt Ke Saath-Saath,
---------- Nahin Rehta Humko Unka Koi Khayaal,
---------- Kya Hota Hoga Us Maa Ke Dil Ka Haal,
---------- Jisne Hamare Liye Bhula Diya Apna Har Ek Khwaab…
---------- Kyun Khayaal Nahin Rehta Humko Unka,
---------- Wo To Bas Har Pal Hamari Yaad Karti Hai,
---------- Jab Bhi Jaati Hai Kisi Mandir Ya Masjid Mein,
---------- Sabse Pehle Hamari Salamati Ki Dua Karti Hai….
---------- Kya Wajood Hoga Hamara Jo Hum Unko Bhool Jaayen,
---------- Phir Kabhi Tanhai Mei Hum Khud Ko Hi Tadpaayen,
---------- Roye Hum Behisaab Koi Aanshu Pauchene Na Aaye,
---------- Khud Ko Yuhin Koste Rahe Aur Bas Pachtaayen….
---------- Isliye Chaahe Kuch Bhi Ho Aage,
---------- Us Maa Ko Tum Bhool Na Jana,
---------- Mauka Mile Jab Bhi Koi Tumhe,
---------- Us Maa Ko Khushi Diye Jana,
---------- Khushi Ho Ya Gam Ke Baadal,
---------- Sada Khush Rehna Aur Muskurana….
*****************{ Ye Kaisa Hai Musalman ? }*****************
------------------------ Kal Fursat na mili to kya karo ge,
------------------------ Itni mohlat na mili to kya karo ge,
------------------------ Roz kehte ho kal parhon ga namaz,
------------------------ Kal agar saans na rahi to kya karo ge…
------------------------ Rasam se sunnat achi,
------------------------ Neend se namaz achi,
------------------------ Gunah se neki achi,
------------------------ Bazar se masjid achi
------------------------ Fazool baton se quran ki tilawat achi,
------------------------ Gheebat se zikar acha,
------------------------ Delete se forward acha..
------------------------ Namaz jo hum par farz kar di gayi hai,
------------------------ Fajar....bister main
------------------------ Zohar..naukri main
------------------------ Asar.....chaye main
------------------------ Maghrib...rastey main
------------------------ Esha......tv main
------------------------ Jumma.... sonay main
------------------------ Eid.....bazaaron main
------------------------ Na Durood, Na Quran.... Yeh Kaisa Hai (Musalman) ?
------------------------ Phir kahtay ho q nahin hai Allah hum par meharban to
*****{ Namaz parhao is say pahlay k tumhari Namaz parhi jayee }******
Shuru Allah k Naam se: Aur Aap un ko Drayye ya na Drayye Dono Brabr Hai, Ye Iman Nahi Layenge. Bus Aap to Srf Aise Shqs ko Dra Skte Hai, jo Nasihat per Chale Aur Rahman se Be Daikhe Daren, so Aap us ko Mgfirat Aur Bawaqaar Ajr ki Khushkhbriyan Suna Dijiyen.(Surah:Yaseen, Surah No:36, Aayat No:10-11)
Whether thou warn them or thou warn them not, it is alike for them, for they believe not You can only warn him who follows the reminder and fears the Beneficent Allah in secret so announce to him forgiveness and an honorable reward (The Holly Quran - Chapter 36 , Yaseen - Verse 10 - 11)
Shuru Allah k Naam se: Tum me se un Logon se Jo Iman Laye Hai Aur Naik Aamal Kiye Hai Allah Tala Wada Frmachuka Hai k Unhain Zaroor Zameen me Khalifa bnaye ga Jaise k un logon ko Khlifa Bnaya tha jo in se Phle The Aur Yaqinan un k liye un k Is deen ko Mzbooti k sath Mohkkm kr k Jmadaiga Jise un k liye wo Psnd Frmachuka Hai, Aur un k us Khouf o Khtre ko wo Amn o Aman se Bdl Daiga, wo Meri Ibadat Karen ge, Mere Sath Kisi ko bhi Sharik na Thrayenge, is k Baad Bhi Jo log Na Shukri Aur Kufr Karen wo Yaqinan Fasiq Hai.(Surah:Al-Noor, Surah No:24, Aayat No:55)
(Allah) God has promised those of you who believe and do good that He will certainly make them rulers on earth as He made rulers those before them, and that He will certainly establish for them their religion which He has chosen for them, and that He will certainly, after their fear, give them security in exchange; they worship Me (God), not associating anything with Me; and whoever is ungrateful after this, those are the transgressors.[The Holly Quran - Chapter 24 , Al-noor - Verse 55]
Aap S.A.W ne Frmaya: Do Kalme Aise Hai k Zuban se Inka Khna Nihayat Aasan Hai, Lekin Meezane Aml Me Inka Wzn Bahot Bhari Hoga.(Bukhari)
**********{ Subhanallahi wa Bihamdihi Subhanallahil Azeem }**********
--------- Tarjuma: Pak Hai Allah Smait uski Tarif K, Pak Hai Allah Azmat Wala.
!!! Hazrat Muhammad (S.A.W) kay Aadam A.S Tak 80 Generations !!!
In the Name of Allah Most Gracious, Most Merciful..
Hazrat Muhammad (P.B.U.H) ka Ilmi Nasab nama oor aap (S.A.W) ka khaandaani nasab nama Hazrat Aadam (A Salaam) tak 80 Pushtoon say chalta hay.. Hazrat Muhammad (S.A.W) ka nasab nama.
*** Muhammad Bin Abdullah, Bin Abdul Muttalib, Bin Hashim, Bin Abday Munaaf, Bin Qusai, Bin Kilaab, Bin Murrah, Bin Kaaub, Bin Lughai, Bin Ghalib, Bin Fahar, Bin Maalik, Bin Nazar, Bin Kananah, Bin Khuzaimah, Bin Mudrika, Bin Ilyas, Bin Muzar, Bin Nazaar, Bin Mua'ad, Bin Adnan, Bin Ad, Bin Humaisah, Bin Salaman, Bin Aaus, Bin Baus, Bin Qamwaal, Bin Khudai, Bin Awam, Bin Naashid, Bin Hiza, Bin Baldaas, Bin Yadlaaf, Bin Tadiq, Bin Naahish , Bin Jahim , Bin Maahi, Bin Aifi, Bin Abqar, Bin Ubaid, Bin Addua, Bin Hamdaan, Bin Sambar, Bin Yasrabi, Bin Yahzan, Bin Yalhan, Bin Ir Awah, Bin Aibee, Bin Zeeshan, Bin Eesar, Bin Aqnaad, Bin Eihaam, Bin Muqassar, Bin Naahib, Bin Zaara, Bin Sami, Bin Muzee, Bin Eiwas, Bin Eiraam, Bin Qeedaar, Bin Ismail(A Salaam), Bin IbraHim(A Salaam), Bin Aazar, Bin Nahoor, Bin Sarooj, Bin Raoo, Bin Faa ij, Bin Aadir, Bin Irfakshaad, Bin Saam, Bin Nooh(A Salaam), Bin Laamik, Bin Natoshalay, Bin Idrees(A Salaam), Bin Yaaro, Bin Malhal eel, Bin Qinaan, Bin Aanoosh, Bin Shees (A Salaam), oor Bin Aadam (A Salaam).. yay 80 Waastoon say Naslay Aadam tak Allah kay Payaray Nabi Hazrat Muhammad (S.A.W) ka Nasab hay.****
------------------------{ Walidain Per Rahmat ki Dua }------------------------
* Allah Ka Irshad Hai: ( Rabbir Hamhuma Kama Rabbayani Sagiro) Aye Mere Parwardigaar! Mere Walidain Per Rahmat Kijiye Jis Tarah Unhone Mujhko Bachpan Me Rahmat Aur Shafaqqt k Saath Pala Tha. (Surah Bani Israil, Surah No:17, Aayat No:24)
* Walidain k Sath Naik Sulook Karo, Agar Tumhare Paas Un me se Koi Aik, Ya Dono, Budhe Ho kar Rahe, To Unhe Uf Tak Na Kaho Na Unhe Jhidak Kar Jawab do Balke In Se Ahteram k Sath Baat Karo. (Surah BaniIsrail , Surah No:17, Aayat No:23)
* Allah Tala Irshad Farmate Hai: ( Anishkurli Waliwalidaik ) k Tu Mere Shukr k Sath Apne Walidain ka Bhi Shukr Ada Kar. ( Surah Luqman, Surah No:31, Aayat No:14).
Allah Taala Irshad Farmate Hai " Surah Juma: Surah No:62: Aayat No: (9-10)".
Tarjumah: Aye Wo Logon jo Eemaan Laye Ho ' Jumah ' ke din jab Namaz ki Azan Di jaye to tum Allah k Zikr ki taraf Jaldi jaya karo aur Qarid-o-Faroqt Chod do ye tumhare Haq me bahtar hai agar Tum ko Samajh Hai. Phir Jub Namaz Ho chuke to Zameen me phail jao aur Allah ka Fazl Talash karo aur bakasrat Allah ka Zikr kiya karo ta ke Tum Falah Palo.
“Juma ki Namaz Chornay per Waeed” Hadees: Log Juma (ki Namaz) chornay se baaz aa jain nahi to ALLAH un k dillon par Mohhar laga day ga, phir wo ghafilon mai se ho jain gay. (Muslim, Hadees: 2002, Kitab uL Juma, Ravi: Abbo Horaira R.A)
------------------------{ Tere Ishq Mein ay Mere Khuda }------------------------
* Mujhe zindagi mein qadam qadam pe tere raza ki talash hai
* Tere ishq mein ay mere Khuda ! Mujhe inteha ki talash hai
* Mein gunnahoun mein hun ghira hua, mein zameen pe houn girra hua
* Jo mujhey gunnahoun se nijat de ,mujhey uss dua ki talash hai
* Mein NE Jo kia burra kia ,mein NE khud ko khud he tabah kia
* Jo tujhey pasand ho mere RABB! Mujhe uss adda ki talash hai
* Tere Dar par he mera sar jhukey mujhey aur nahi kuch chahiye
* Mujhey sab se kar de be-niaz ,mujhey uss Anna ki talash hai.
Shuru Allah K Naam Se: Wo Jise Chahe Hikmat Aur Danai Deta Hai Aur Jo Shaks Hikmat Aur Samjh Diya Jaye Wo Bahot Sari Bhlai Diya Gaya, Aur Nasihat Sirf Aqalmnad Hi Hasil Karte Hai.( Surah:Al-Baqarah, Surha No:2, Aayat No:269)
Shuru Allah K Naam Se: Hum To Apne Rasoolon ko Sirf is Liye Bhejte Hai k wo Khush Qabriya Sunaden Aur Daraden, Kafir Log Batil k Sahare Jhagad te Hai Aur (Chahte Hai k) is Se Haq ko Lad Khada Den, Unhone Ne Meri Aayaton ko Aur Jis Cheez se Daraya Jaye Use Mazaq Bana Dala Hai.(Surah:Al-Khaf, Surah No:18, Aayat No:56)
------------------------{ Sohani Surat MUHAMMAD S.A.W Ki }------------------------
* Banai Kya KHUDA Ne Sohani Surat MUHAMMAD Ki
* Huye Aashiq Wo Jisne Dekh Li Surat MUHAMMAD Ki
* Kamal-E-Husn-E-Yusuf Pr Faqt Ashiq Zulekha Thi
* KHUDA Khud Jis Pe Ashiq Hy Wo Surat Hy MUHAMMAD Ki
* Muslamano Ko Jab Janat K Darwazy Pe Rokengy
* Hukum Hoga K Jany Do Ye Ummat Hy MUHAMMAD Ki.(S.A.W)
------------------------{
--------------------------
--------------------------
--------------------------
--------------------------
--------------------------
--------------------------
--------------------------
--------------------------
--------------------------
--------------------------
--------------------------
--------------------------
--------------------------
--------------------------
------------------------{ Gunah }------------------------
*Gunah se Toba krna wajib hy mgr Gunah se bachna Farz hy Hazrat AbuBakr(R.A)
*Toba krne se behter hy k Gunah kia hi na jay Hazrat Umar (R.A)
*Gunah kisi na kisi surat me Dil ko pareshan Rkhta hy Hazrat Usman (R.A)
*Sub se bada Gunah wo hy jo krne waly ki Nazar me chota ho Hazrat ALI (R.A)
------------------------[ Namaz ]------------------------
----------------- Namaz Haq Hai Isko Kaza Na Kar
----------------- Baa Paband Ba Waqt Isko Aada Kar
----------------- Hashr Me Kabar Me Duniya Nahi Aane Wali
----------------- Duniya Ki Bebasi Me Deen Na Fana Kar…
----------------- Kabhi Zindagi Say Gila Kar Kay Roye
----------------- Kabhi Maut Ki Hum Dua Kar Kay Roye
----------------- Ajab Silsila Hai Yeh Namaz-e-Mohabbat
----------------- Kaza Kar Kay Roye, Ada Kar Kay Roye
----------------- Momin K Liye To Jan-E-Hasti Hay NAMAZ
----------------- Iman Ki Aghosh Me Basti Hay NAMAZ
----------------- Milti Nahi Mehshar Me Kisi B Qeemat Par
----------------- O Zindagi Walon Parh Lo Abhi Sasti Hay Namaz.
----------------- Jis ki Namaz Achi us ki Zindagi Achi
----------------- Jis ki Zindagi Achi uski Maut Achi
----------------- Jis ki Maut Achi us ki Aakhirat Achi
----------------- Jis ki Aakhirat Achi us ki Jannat Pakki
---------------- kal Fursat Na Mili To Kya Karoge
---------------- Kal Mohlat Na Mili To Kya Karoge
---------------- Roz Kahte Ho k Kal Padhunga Namaz
---------------- kal Agar Sans Na Rahi To Kya Karoge.
------------------------[ So Don't Miss NAMAZ ]------------------------
********************{ WAH RE ZINDAGI }********************
----------------------- Sehtiyab hon to ALLAH ko Bhool jaty hen
----------------------- Kaam me hon to NAMAZ Bhool jaty hen
----------------------- Burai Karain to ANJAAM Bhool jaty hen
----------------------- Dekhen to HAYA Bhool jaty hen
----------------------- Khaty hen to BISMILLAH Bhool jaty hen
----------------------- Milain to SALAM Bhool jaty hen
----------------------- Sotay hen to TOBA Bhool jaty hen
----------------------- Ghussy me hon to BARDASHT Bhool jaty hen
----------------------- Safar pr Ja’ain to DUA Bhool jate hen
----------------------- Wo Allah Rab-ul-Izzat Phir Bhi Hamain Nhi Bholta
----------------------- Kia Shan hy Mery Pak Parwardigar ki.
*********************{ SUBHANALLAH }*********************
Allah Taala Irshad Farmate Hai:Aye Wo Logon jo Eemaan Laye Ho ' Jumah ' ke din jab Namaz ki Azan Di jaye to tum Allah k Zikr ki taraf Jaldi jaya karo aur Qarid-o-Faroqt Chod do ye tumhare Haq me bahtar hai agar Tum ko Samajh Hai. Phir Jub Namaz Ho chuke to Zameen me phail jao aur Allah ka Fazl Talash karo aur bakasrat Allah ka Zikr kiya karo ta ke Tum Falah Palo. " Surah Juma: Surah No:62: Aayat No: (9-10)".
“Juma ki Namaz Chornay per Waeed” Hadees: Log Juma (ki Namaz) chornay se baaz aa jain nahi to ALLAH un k dillon par Mohhar laga day ga, phir wo ghafilon mai se ho jain gay. (Muslim, Hadees: 2002, Kitab uL Juma, Ravi: Abbo Horaira R.A)
* Phir Qibla Kaba yaad aaya,
* Phir sar jhukanay ka irada yaad aaya,
* Bhool gaye roz ki Namaz,
* Bas Jumah kay din Jhukna yaad aaya,
* Itar laga kar Naha kar chalay sab Masjid ko,
* Shukar hai kissi ko to Jhukna yaad aaya!
(Agar Kisi Bhai Ya Bahen Ko In Alfaz Se Takleef Ho to Abuzar Muafi Chahta Hai)
Shuru Allah k Naam se: Wo Jub Kabhi Kisi Cheez Ka Irada Karta Hai Use Itna Farmadaina (Kafi Hai) k Ho Ja, Wo Usi Waqt Ho Jati Hai.(Surah:Yaseen, Surah No:36, Aayat No:82)
* Mujhe Roushni Mili Jo Muqam Bhi Mila,
* Meri Kya Salahiyat Meri Haisiyat hi kya,
* Kabhi Gour kiya to Yahi Pata Chala,
* وَتُعِزُ مَن تَشَاء وَتُذِلُ مَن تَشَاء ( Watu Izzu Man Tasha Watu Zillu Man Tasha ).
Allah Tala Farmate Hai: (Tu Jise Chahe Izzat De, Aur Jise Chahe Zillat De) Tere hi haath me sab bhalayya hai, beshak tu hur cheez per Qadir hai.(Surah Al-Imran Surah No:2 Aayat No: 26)
*************{ Allah Pak Farmata Hai K !Aye Ibn Adam! }*************
---------------- Aik Teri Chahat Hai Aur Aik Meri Chahat Hai
---------------- Hoga wohi jo MERI chahat hai,
---------------- Ager kar dia hawalay khud ko uskay jo MERI chahat hai,
---------------- To day doon ga tujay woh sab jo teri chahat hai,
---------------- Aur ager ki Mukhalfat tu nay jo MERI chahat hai,
---------------- To thaka doon ga main tujay uss main jo teri chahat hai,
---------------- Phir hoga wohi jo MERI chahat hai…
*************************{
---------------- Allah ki kitab" Jo poori Dunya ki sardar.
---------------- Kitab ko Lany Wale "JIBRAIL"(A.S) jo "Frishton" ke Sardar.
---------------- Jis per utra wo Nbiyon ke srdar "MUHAMMAD.SAW".
---------------- Jis "Ummat" per Utra wo Umaton ki sardar.
---------------- Jis Shaher me Utra wo"shahron" ka srdar "MAKKAH, MADINA".
---------------- Js Maheny me Utra wo mahino ka sardar "Ramzan.
---------------- Aur jis Rat Mukammal huwa wo Raton ki sardar "Shab-e Qadar".
******************** Ye Hay Wirasat Hamaari *******************
---------------- Beshak Rub ki Tujh Per Badi Nawazish Hogi
---------------- Dard Se Tadap Se Jub Teri Guzarish Hogi
---------------- Apna Bana k Us ko Rahmat ki Bheek Mang
---------------- Rahmat Kya Cheez Hai Rahmat Ki Barish Hogi.
*************************{
------------------- Woh bakhshta hai Gunah e azeem bhi lekin,
------------------- Hamari choti si naiki bhi sambhal rakhta hai..!
------------------- Hum usey bhool jate hain roshni mein,
------------------- Woh tareeki mein bhi khayal rakhta hai..!
------------------- Jab kabhi dair se lotun to meri Maan ki tarah,
------------------- Woh mere rizk ka hissa nikaal rakhta hai..!
------------------- Gharon mein jin ke diya bhi nahi hai,
------------------- Fiza mein chand sitarey uchaal rakhta hai..!
------------------- Jo Kahin Na Mile Wo Khushi Chahiye
------------------- Dard Kaisa B Ho Bandagi Chahiye
------------------- Mujhko Duniya Ki Ab Koi Khuwahish Nhi
------------------- Aakhrat Ki Mujhe Zindagi Chahiye
------------------- Tere He Aage Haath Phelaon
------------------- Ab Aesi ALLAH Mujhe Bebasi Chahiye
------------------- Tu Ho Jaye Raazi Sanwar Jaun Main
------------------- Mere Malik Aagahi Chahiye
------------------- Main Jhukun Or Jhukun Bus Jhuka He Rahun
------------------- Ibbadat Me Bus Ye Aajizi Chahiye
------------------- Main Bhatak Jaun To Aasra Dey Mujhe
------------------- Aesi ALLAH Mujhe Rehbari Chahiye..
***********************{ Aameen }*************************
*********** Mere Allah tu mujhko Gunaho'n se bachaa
*********** Apni panaho'n mein rakh, Mardood Shaita'n se bachaa
*********** Behayaee hai har samt, koi pardaa na rahaa
*********** Us Daur ka koi bhi, Ab Manzar na rahaa
*********** Mere Nafs mein Aisi koi Rawaani Na Uthey
*********** Meri Rooh mein Maula, Tu Azaa'n ko basaa
*********** Mere Allah tu mujhko Gunaho'n se bachaa
*********** Meri Aankho'n mein Allah, Tu sharm Bhar De
*********** Mere Dil mein Maula, Reham-O-Karam Bhar De
*********** Raah-E-Haq par sadaa, Maula tu mujhko chalaa
*********** Deen-E-Haq par Rahu'n, Allah Mujhe Aisa Banaa
*********** Mere Allah tu mujhko Gunaho'n se bachaa
*********** Zaat-E-Faani ko mere Maula, Tu Mukammal kar de
*********** Namazo'n ka iss Qadr, Paaband-O-Amal kar de
*********** Jannat mein Makaa'n Allah, Tu mera Banaa
*********** Aur Jahannam ki Gazabnaak, Angaaro'n se bachaa
*********** Mere Allah tu mujhko Gunaho'n se bachaa
*********** Apni Panaaho'n mein Rakh, Mardood Shaita'n se bachaa.
***********************{ Aameen }*************************
Shuru Allah k Naam se: Wahi Allah Hai Jis k Siwa Koi Mabood Nahi, Chipe Khule Ka Janne Wala Meherbaan Aur Rahem Krne Wala.(Surah:Al-Hasher,Sura
Shuru Allah k Naam se: Aye Iman Walo! Kya Mai Tumhe wo Tijart Btladun jo Tumhain Drdnaak Azab se Bachale.(Surah:As-Saff, Surah No:61, Aayat No:10)
Shuru Allah k Naam se: Allah Tala ko Qurbaniyon k Gosht Nahi Pahochte na Un k Khoon Blke use to Tumhare Dil ki Prhaiz Gari Pahonchti Hai, Isi Tarah Allah Ne un Janwaron ko Tumhara Muteei Krdiya Hai k tum Us ki Rhnumai k Shukrye me is ki Badaiyya Byan Karo, Aur Naik Logon ko Khusqabri Suna Dijiye.(Surah:Al-Haj, Surah No:22, Aayat No:37)
Shuru Allah k Naam se: Sub Tareefen Allah Hi k Liye Hai Jo Tmam Jhano ki Prwarish Frmane Wala Hai.(Surah:Al-Fatiha, Surah No:1, Ayat No:2)
Shuru Allah k Naam se: Nihayat Mehrban Bahot Rhem Frmane Wala Hai.(Surah:Al-Fatiha, Surah No:1, Ayat No:3)
Shuru Allah k Naam se: Roze Jaza Ka Malik Hai.(Surah:Al-Fatiha, Surah No:1, Ayat No:4)
Shuru Allah k Naam se: (Aye Allah) Hum Teri Hi Ibadat Krte Hai Aur Hum Tujh hi se Mdat Chahte Hai.(Surah:Al-Fatiha, Surah No:1, Ayat No:5)
Shuru Allah k Naam se: Hamen Seedha Raasta Dikha.(Surah:Al-Fatiha, Surah No:1, Ayat No:6)
Shuru Allah k Naam se: Un logon ka Raasta jin Per Toone Inaam Frmaya.Un Logon ka Nahi Jin Per Gazab Kiya Gya Hai Aur Na (Hi) Gumraho Ka.(Surah:Al-Fatiha, Surah No:1, Ayat No:7)
Assalamualaikum brother
ReplyDeleteJazak ALLAH fr dis hadiths n posts wht u hv provided here Masha ALLAH dey r amazing...I acidently jst landed on ur blog bt nw i blv it ws D Almighty who wantd me to knw all dis..since sterdy I hv been going through ur posts n without ur permision I hv copied few hadits which ws postd by u here..as I gt an islamic pg on fb n shared over der jst wid d intention of spreding wht I gt to knw....I hope n wish u wont b having any prob wid dis :)
Jazak ALLAH Khairan Again.
@ Sabiya Pyare Bahen Waalikum Assalam Warahmatullahi Wabarakatuh Aameen Ya Allah Wa'antum Fajazakumullahu Khair Allah aap ko Dunya o Aakhirat ki har Manzil mein Kamyab kare Aameen aur Aap ko Ijazat hai Aap bakhushi hamari sari post copy share kar sakte hai aur Mazirat chahta hun late Rep ke liye :(
DeleteBrought back my EX Husband Today was successful Love story of my Life when i was searching Randomly Online for Love tips to solve problem Am having in my Relationship Affairs i don`t believe in Miracle until i saw DR.AGBAZARA TEMPLE contact (agbazara@gmail.com) OR Tel (+2348104102662) , he Find a solution to my relationship problem and make it look better for me , Now am living happily with my Lover who left me before for another lady. Big Thanks to you Dr Agbazara if you need help in your Relationship please do contact him today on these details: agbazara@gmail.com OR call him on +2348104102662 and see for your self what i am talking about..
DeleteCynthia from UK.
As-salamualeiykum Warah Matullahi Wa Barakatahu,
ReplyDeleteMere Aziz Bhai "MOHAMMAD ABUZAR" Kaise Hain Aap ?
Bhai Allah Apko Jaza e Khair Ataa Farmaye,
Sach bahut Pyari Site Banai Hai Aapne,
Lekin.....Yahan Par Bahut Si Deen Se Juri Huwi Baaton Kaa "REFERENCE" nahi Hai,
Mujhe Ummid Hai Ke Aap In Sha Allah Aage Se Apni Her Deen Se Juri huwi Baat Kaa Reference Bhi Sath Main Likhen ge'
Shukriya,
@ Inamulla Ansari Pyare Bhai Waalikum Assalam Warahmatullahi Wabarakatuh Alhamdulillah Main theek hun aur Aap ki khair bhi khudaye kareem se Naik Chahta hun Jazakallahu Khair Pyare Bhai Ham in posto k baad Jitni bhi posting ki hai Alhamdulillah Sab Reference ke sath Dale hai Jazakallahu Khair aap ke Zarreeen Mashwarah ke liye Allah khush rakhe aap ko Aameen.
DeleteAllah Aapko Jaza e Khair Ataa Farmaye,
DeleteAllah Humma Ameen Yaa Rabbul Aala'meen,
You are a musilim by chance, I am a musilim by choice.
ReplyDeleteBrought back my EX Husband Today was successful Love story of my Life when i was searching Randomly Online for Love tips to solve problem Am having in my Relationship Affairs i don`t believe in Miracle until i saw DR.AGBAZARA TEMPLE contact (agbazara@gmail.com) OR Tel (+2348104102662) , he Find a solution to my relationship problem and make it look better for me , Now am living happily with my Lover who left me before for another lady. Big Thanks to you Dr Agbazara if you need help in your Relationship please do contact him today on these details: agbazara@gmail.com OR call him on +2348104102662 and see for your self what i am talking about..
ReplyDeleteCynthia from UK.
mashaallah allah tala sabko is bat p amal krne ki toufiq ata farmaye summa amin
ReplyDeletemashaallah allah tala sabko is bat p amal krne ki toufiq ata farmaye summa amin
ReplyDeletemasha allah hum sabko amal karne ki tufique ata kare aamin
ReplyDeleteMasha Allah, Allah ham sab ki hifajat farma
ReplyDeleteMasha Allah
ReplyDeleteThis is a great post. I like this topic.This site has lots of advantage. It helps me in many ways.Thanks for posting this again.
ReplyDeletehttps://faizanquranacademy.com/our-courses/
online quran classes for kids