O ye who believe! Fear Allah, and let every soul look to what (provision) he has sent forth for the morrow. Yea, fear Allah: for Allah is well acquainted with (all) that ye do. (The Holly Quran – Chapter 59, Hashr - Verse 18)
----------- Mujhko ab bhi yaad hain wo saari ammi ki baatein,
----------- Daantna mujhko baat baat par, pyaar ki wo barsaatein,
----------- Khailna merey saath saath aur phir padney ko kahna,
----------- Meri khushiyon ki khaatir abbu se ladtey rahna,
----------- Meri gustaakhi pe unka zor se wo jhallaana,
----------- Abbu ke aaney par unko kuchh bhi na batlana,
----------- Thaam ke ungli meri mujhko bahar lekar jaana,
----------- Seedha rasta kya hota hai ye mujhko samjhana,
----------- Pyaar se mujhko paas bithaa kar sar pe tail lagaana,
----------- Phir kahna ki beta dekho kaam sabhi ke aana,
----------- Dekho beta geebat gussa achchi baat nahin hai,
----------- Ye sab kaam galat hain betey aur ye kaam sahi hai,
----------- In kaamon ko karke tum achchey insaan banogey,
----------- Is rastey par mat chalna warna beimaan banogey,
----------- Paisey ka izzat ke aagey koi mol nahi hai,
----------- Bhool na jaana ye baatein jo mainey aaj kahi hai,
----------- Mujhko ab bhi yaad hai wo saari ammi ki baatein.
***************{ Aoulad k liye Walidain ka Paigam }***************
Jis din tum hamen budha daikho Sabr karna aur Hamen samajhne ki koshish karna,
Jub hum koi baat Bhool jaye to hum per tanz na karna aur apna Bachpan yaad karna,
Jub hum boodhe hoker chal na paye to hamara sahara banna aur apna Pehla qadam yaad karna,
Jub hum bimar hojaye to wo din yaad kar k hum per apne Paise kharch karna Jub hm tumhari khwahesh poori karne k liye apni Khuwahishen Qurban karte the.
Say: “Obey Allah and His Messenger”: but if they turn back, Allah loveth not those who reject Faith. (The Holly Quran – Chapter 3, Al-Imran - Verse 32)
Hazrat Ibrahim Bin Adham rahmatullah alayh, se kisi ne sawal kiya k hame kiya huwa k hamari dua qabool hi nahi hoti to Hazrat Ibrahim Bin Adham ra ne Farmaya is liye k tumhare dil 10 cheezon ki waje se murda ho chuke hai, Poochne wale ne pucha wo 10 cheezen kya hai? Hazrat Ibrahim Bin Adham rahmatullah alayh ne Farmaya.
1.Tum Allah ko pehchante ho magar us ki Ita’at Nahi karte.
2.Tum Rasulullah sallaallahu alaihi wasallam ko pehchante ho magar un ki sunnaton ki itteb’aa nahi karte.
3.Tum Quran ko pehchante ho magar us per Aml Nahi karte.
4.Tum Allah ki naimaton ko khate ho magar Shukr ada nahi karte.
5.Tum jannat ko pehchante ho magar us ko Talab nahi karte.
6.Tum dozakh ko pehchante ho lekin tum us se door nahi bhagte.
7.Tum shaitan ko jante ho lekin us se ladte nahi ho bal k tum uski mushabihat, karte ho.
8.Tum mout ko jante ho lekin uski tayyari nahi karte.
9.Tum murdon ko dafan karte ho lekin tum un se Ibrat hasil nahi karte.
10.Tum Neend se bedar ho ker logon k uyoob daikhne me mashgool hojate ho aur apen uyoob ko bhool jate ho.
Whoever works righteousness, man or woman, and has Faith, verily, to him will we give a new Life, a life that is good and pure, and we will bestow on such their reward according to the best of their actions. (The Holly Quran – Chapter 16, Al-Nahl - Verse 97)
1. khana khane se pehle bismillah (Bismillahi wa ala baraka Tillah) padhlena chahiye, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne aik km umr sahabi R.A se khitab karte huwe ye hukum diya, “ aye bacche! Allah ka Naam lo, sidhe hath se khao aur apne samne jo hai waha se khao”.(Muslim)
2. is hadees se bismillah k alawa aur 2 sunnaton ka saboot mila wo ye k sidhe hath se khana chahiye,
3. aur teesri sunnat ye hai k Apne samne se khayen yani jo cheez apne samne hai wo khayen.
4.khane k douran agar luqma gir jaye to us ko saaf kar k khalena chahiye Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya: Jub tum me se kisi k hath se luqma gir jaye to jo kuch us ko laga ho wo door karde phir khale.(Muslim)
5.Teen ungliyon se khayen, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam Teen ungliyon se khaya karte the.(Muslim)Han! Agar koi aisi cheez ho jis ka Teen ungliyon se khana mumkin na ho to phir gunjayesh hai char ya panch ungliyon se khayen.
6. khane k baad bartan ko saaf Karen aur ungliyon ko chat lain, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne ungliyon ko chat laine aur bartan (plait) ko saaf karne ka hukum diya aur farmaya k tum nahi jante k kis dane me barkat hai.
7. khane k baad Allah Tala ki Hamdo sana bayan Karen, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya , Allah Tala us bande se razi hote hai jo khaye phir us per Allah Tala ki tareef bayan Karen.(Muslim)
8. Khane k baad ki wo dua padhe jis me Allah ki Hamd-o-sana hai, “Alhamdulillahilladzi at 'amana wasaqana waj 'alna minal muslimin” Shukr hai Allah ka jis ne hum ko khilaya aur pilaya aur hum ko musalman banaya.(jame tirmizi)
1.Dono hath gattho tak dhona.2.Dastarkhwan bichana.3.Bismillah padhna. 4.Daye hath se khana (baye hath se har giz na khaye).5.Apne samne se khana Agar tashtari me kai qisam ki cheezen ho to jo pasnd ho wo khaye kisi ka hath badh raha ho to Apne hath ko rok le.6.Teen ungliyon se khana.7.Pyala tashtari Neez ungliyon ko chat kar saaf karna.8.Agar luqma gir jaye to utha kar khalena.9.khane me ayeb na lagana.10.Taik laga kar na khana.11.khane k baad ki dua padhna.12.pehle dastarkhwan uthana, phir khud uthna.13.kulli karna.14.dono hath dhona.15.khane se pehle bismillah bhool jaye to ye dua padhe (bismillahi awwalahu wa akhirahu).Allah k Naam k sath khane k shuru me bhi aur us k Aakhir me bhi.(Sunan Abi Dawood).
O my Lord make me one who establishes regular prayer, and also (raise such) among my offspring o our Lord and accept thou my prayer. O our Lord cover (us) with thy forgiveness me, my parents, and (all) Believers, on the day that the reckoning will be established. (The Holly Quran - Chapter 14, Ibrahim - Verse 40-41)
Rasoole Akram sallaallahu alaihi wasallam ne Farmaya:
1. Tum me se behter wo shaksh hai jo Quran Majid ko sikhta aur sikhata hai.(Bukhari).
2. Jo Quran Majid ko khush alhafi se nahi padhta wo hum me se nahi (Bukhari).
3. Quran Padha karo kyun k Qayamat k roz ye apne Qari k liye “Shifarshi” ban kar aayega.(Muslim).
4. Jis k sine me kuch bhi Quran na ho wo aisa hai jaisa ujaad ghr.(Tirmizi).
--------------------------
Mujhe na bhoolna, Mere saath rehna, Apne dil mein rakhna, Mujhe yaad karna, Mujhe samjhna, Aur amal karna,kiu ke Qayamat ke roz tumhe meri zaroorat ho gi. Allah Tala ham sab ko Rozana Quran ki tilawat karne aur us ko samajh ker amal karne ki Toufeeq ata Farmaye Aameen.
------------- Sukon Dhondta Phirta Tha Me Baharon Me,
------------- Haseen Wadiyon Mei, Surmaye Nazaron Me,
------------- Me Is Talash Mein Ja Phncha Chand Taron Main,
------------- Magar Ye Mujhe Mila Quran K 30 Paron Mein.
O ye who believe celebrate the praise of Allah, and do this often; And glorify Him morning and evening.(The Holly Quran - Chapter 33, Al-Ahzab - Verse 41-42)
Hum Mukhtalif Qism ki Majlison me uthte baith te hai, kabhi khane pine k liye ghar walo ya dosto k sath Baith te hai aur is douran in se Guftagu bhi karte hai.
Taleem-o-Ta’allum k douran apne hum dars sathiyo k sath baith te hai, Safar k douran Rafqaye safar k sath baith te hai, go ya bisoon martaba Hum mokhtalif Majliso me Uth te baith te hai, Agar Majlis me Baith te huwe ye Sunnatain bhi malhooz rahe to Kis Qadar Faida hoga?
1.Majlis ki aik sunnat ye bhi hai k Aane wale k liye Baith ne ki Gunjayesh paida Karen.Hazrat Abdulla bin umar R.A se riwayat hai k Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne Irshad Farmaya koi Aadmi Aisa na Karen k kisi dusre ko us ki jage se Utha ker Khud us jage baith jaye bal k logon ko Chahiye k wo aane walo k liye Kushadgi aur Gunjayesh paida kare aur un ko jage de de.(bukhar,Muslim).
2. Ye sunnat bhi majlis ki Malhooz rahe k Agar kisi majlis me do Aadmi milker Baithe ho to un k beech me un ki Ijazat k bagair na Baithen.Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne Irshad Farmaya 2 Aadmiyon k beech me un ki ijazat k bagair na baithe.
3. Jub Majlis se uthen to Mandarja zail dua padhen jis ko Kaffarah majlis kaha jata hai.(Subhaanak Allahumma Wa BiHamdika, Ash’hadu an Laa ilaaha illa Antha Astaghfiruka Wa Atoobu Ilaik).
4. Hazrat Ayesha R.A kehti hai k Rasoolallah sallaallahu alaihi wasallam jub kisi majlis me Baith te ya Namaz padhte (to us se uth te huwe ya namaz se Farig hone k baad) chnd Kalimat Padha karte the, (aik martaba) mai ne Aap sallaallahu alaihi wasallam se Pucha (k in kalimat ko padhne se kya faida hota hai?) to Aap sallaallahu alaihi wasallam ne Farmaya: “Agar in kalimat se pehle Majlis me Naik Baten huwi ho gi to ye Kalimat (un naik bato) pr Qayamat tk k liye Maher hojayenge (yani in kalimat ko padhne se wo naik baten qayamat tak Mahfooz Rahegi k in ka Sawab zaye nahi hoga), Agar un se pehle Majlis me Buri baten huwi hogi (to ye kalimat) un buri baton ki Muaafi aur Bakhsihs ka Zariya ban jayenge aur wo kalimat ye hai, (Subhaanak Allahumma Wa BiHamdika, Ash’hadu an Laa ilaaha illa Antha Astaghfiruka Wa Atoobu Ilaik) Paak hai tu aye Allah aur teri Tareef k sath Teri paki bayan ki jati hai, Tere sath koi mabood nahi, Mai Tujh se bakhshish chahta hun aur Tere Samne toba karta hun”.(Nasai)
Allah k Naik bando ki shan ye hoti hai k har waqt wo Allah ki yaad me Zindagi basar karte hai, Subah-o-Sham din aur Raat usi ka Zikr karte rehte hai, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam Har waqt Allah Tala ka zikr karte the.(Muslim)
Zikr k zariye banda Allah tala se Juda huwa Rehta hai Aur bande ka Alla Tala se Juda hua Rehna hi us ki Zindagi hai, us k Bagair mout hai, Zakir ki misal Zinda ki si hai aur Gafil ki misal Murde ki si hai.
Jub tak Aadmi Allah k zikr me hota hai Shaitan us per Galib aanahi sakta, goya Zikr aik qile ki tarah hai jis k Zariye Aadmi Shaitan k Makro Faraib se Mahfooz Rehta hai,
Allah Tala ko jo yaad karta hai us k liye is se badh ker kya sila hoga k Allah Tala us ko yaad Karte hai, "فَازکُرُونِی اَذکُرکُم" (Fazkuruni Az’kurkum) Tum mujhe yaad karo mai tumhe yaad karta hun.(Surah:Al-Baqarah, Surah No:2, Aayat No:152)
Aap S.A.W ne Frmaya: Do Kalme Aise Hai k Zuban se Inka Khna Nihayat Aasan Hai, Lekin Meezane Aml Me Inka Wzn Bahot Bhari Hoga.(Bukhari) {Subhanallahi wa Bihamdihi Subhanallahil Azeem}Tarjuma: Pak Hai Allah Smait uski Tarif K, Pak Hai Allah Azmat Wala.
Bahre haal Din Raat, Subah,Sham uthte, baith te, chalte, phirte, aur khate, pite Allah ka Zikr karna bhi Sunnat hai.
Jaha hum Apni Zuban se Allah Tala ka Zikr karen wahi hum apne dilo dimag se Allah Tala ki Naimaton k bare me Gour-o-Fikr karte rahe, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam Jaha Zikr Farmate the wahi gour fikr bhi Farmaya karte the Allah Tala ki un Naimaton ka Ehsas-o-Shaoor bhi hamare Zahno me Rehna Chahiye jo hum per har lamha ho rahe hai.
Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne Farmaya, Tum Allah Tala ki Naimaton k bare me Gour-o-Fikr karo aur Allah k bare me Gour-o-Fikr mat karo.(Tabarani,baihaqi)
Quran Majid me Hai: (فَاذکُرُوآلآاللہِ لَعَلَّکُم تُفلِحُونَ) (Fazkuru Aala Allahi la’allakum tuflihoon)Tum Allah Tala ki Naimaton ko yaad karo ta k tum kamiyab ho jao.(surah:Al-A’raf, Surah No:7, Aayat No:69)
Say to the believing men that they should lower their gaze and guard their modesty: that will make for greater purity for them: and Allah is well acquainted with all that they do. (The Holly Quran - Chapter 24, Al-Nur - Verse 30)
Tera kya bane ga bande Tu sonch aakhirat ki,
Tu sonch aakhirat ki Tera kya banega bande,
Be wafa duniya pe mat kar Ea’tebar, Tu achank mout ka hoga shikar,
Mout aaker hi rahegi Yaad rakh, Jaan jaker hi rahe gi yaad rakh.
Tera kya banega bande Tu sonch aakhirat ki,
Tu sonch aakhirat ki Tera kya banega bande,
Gar Jahan me100 baras tu ji bhi le, Qabr me Tanha Qayamt tk rahe,
Jub Farishta mout ka cha jayega, Phir bacha koi na tujh ko Payega.
Tera kya banega bande Tu sonch aakhirat ki,
Tu sonch aakhirat ki Tera kya banega bande,
Mout aayi peh’lwan bhi chal diye, Khoobsurat Noujawan bhi chal diye,
Dub daba duniya me hi rah jayega, Husn tera khak me mil jayega,
Teri taqat, Tera fun, O’hda tera, Kuch na kaam aayega sarmaya tera.
Tera kya banega bande Tu sonch aakhirat ki,
Tu sonch aakhirat ki Tera kya banega bande,
Qabr rozana ye kerti hai pukaar, Mujh me hai kide makode be shumar,
Yaad rakh mai hu andheri koth di, Tujh ko hogi Mujh me sun wahshat badi,
Mere andar tu akela aayega, Hann magar aamal leta aayega.
Tera kya banega bande Tu sonch aakhirat ki,
Tu sonch aakhirat ki Tera kya banega bande,
Kar le toba Rub ki rehmat hai badi, Qabr me warna saza hogi kadi,
Ya khuda hai ilteja Attar ki, Sunnatain apnaye sub sarkar ki,
Ya ilahi azpaye shahe umam, Hashr me Attar ka Rakhna bharam.
Tera kya banega bande Tu sonch aakhirat ki,
Tu sonch aakhirat ki Tera kya banega bande.
Chao Khate Qabar ki Khali Hai! Unhe Mt Bhoolo, Jane Kub Kounsi Tasweer Saja di
For those who give in Charity, men and women, and loan to Allah a Beautiful Loan, it shall be increased manifold (to their credit), and they shall have (besides) a liberal reward. (The Holly Quran - Chapter 57, Al-Hadid - Verse 18)
Shuru Allah k Naam se: Aur Jub Quran Padha jaya Karen to us ki Taraf Kaan laga diya karo Aur khamoosh raha Karo Ummid hai k tum per Rahmat ho.(Surah:Al-Araf, Surah No:7, Aayat No:204)
1.Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne Irshad Farmaya (اِقرَءَالقُرآنَ فِی کُلّ ِشَھرٍ) iqra’al quran fi kulli shahr (Muslim) Har mahine me Aik Quran Padha karo Zaher hai k Quran Majid me 30 pare hain, Agar 30 din me 30 pare mukamml karna ho to Rozana aik pare ki Tilawat karni chahiye.
Agar koi Rozana Quran Majid ki Tilawat Karna chahe to us ka Aasan Nuskha ye hai k Farz Namaz k liye Jamat se 10,15 mnt Pehle Masjid pahonch jayen Sunnat k fouri baad Tilawat Karen, is tarah ba’aasani Aik parah Tajweed-o-Tarteel k sath padha ja sakta hai.
2.Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne Irshad Farmaya, Quran ko Taher Taher kr saaf saaf Padho aur us k Ehkam me gour karo.(Mishkat) Aur Quran ko Taher Taher kr (saaf) Padha ker.(Surah:Muzammil, Surah No:73, Aayat No:4) Ye Babarkat kitab hai jise hum ne Aap ki taraf is Liye Nazil Farmaya hai k Log is ki Aayaton Per Gouro Fikr Karen aur Aqalmand isse Nasihat Hasil Karen.(Surah:Sad, Surah No:38, Aayat No:29)
-----------------------{ Tilawat-e-Quran k 2 Ahem Aadab }-----------------------
1. Padhne wala dil me ye Khayal karen k Allah Tala Ne Hukum diya hai k Sunao Kaisa Padhte ho?
2. Sunne wala dil me ye khayal kare k Ahkamul Hakimeen Aur Mohsine Aa'zam ka Kalam Pak Padha ja raha hai is liye Nihayat Azmat Mohabbat aur Gour k sath Sunna Chahiye.
But those who believe and work deeds of righteousness to them shall We give a Home in Heaven lofty mansions beneath which flow rivers to dwell therein for aye; an excellent reward for those who do (good). (The Holly Quran - Chapter 29, Al-Ankabut - Verse 58)
Har aadmi kapde pahnta hai Agar yahi kapde Nabi sallaallahu alaihi wasallam k Tariqe per pahne jayen to sirf kapde pahnte huwe Nabi sallaallahu alaihi wasallam ki kai Sunnaton per Aml hojayega, Nabi sallaallahu alaihi wasallam ki Muhabbat ka taqaza yahi hai k Aap k har aml se mohabbat paida hojaye aur hamari Zindagi Nabi sallaallahu alaihi wasallam ki Zindagi k Tabe hojaye.
Hum Rozana hi kapde pahnte aur utarte hai, yahi kapde utarna aur Pahenna Nabi sallaallahu alaihi wasallam k Tariqe k mutabiq ho jaye to hamari Zindagi Sunnaton se Mamoor ho jaye gi.
Hum Gusul karte hai to kapde utarte hai, sone ka Irada karte hai to kurta wagaira utarte hai Phir bedar hote hai to kapde badal lete hai, aise moqo per Nabi sallaallahu alaihi wasallam ki in Sunnaton ko yaad rakh ker aml karliya jaye to Kya Farq padh jaye ga?
1.Kapde pahnne aur utarne ki Pahli Sunnat ye hai k kapde pahnte huwe Aur utarte huwe Bismillah kaha jaye.
2.kapde pahente huwe chahe hum kurta pahnen ya Chadar odhen ya aur koi kapda pehne ya amama Bandhe to ye dua padhe, jo Huzoor sallaallahu alaihi wasallam Padha karte the. “Allahumma innee as aluka min khairihi wa khairi maa huwa lahu wa a u'oozubika min sharrihi wa sharri maa huwa lahu”.( Abudawood, Tirmizi)
3.kapde Pahnte huwe sidhe janib se shuru Kare agar ham kurta, Qamees, wagaira pahenrahe hai to sidhe hath se shuru Karen, isi tarah pajama pahne to sidhe pair se shuru kare, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam Ne irshad Farmaya, (اِذَ لَبِستُم فَابدُوا بِاَیمَانِکُم) Iza labistum Fab’du biaimanikum (tirmizi) Jub tum Pahno to sidhi janib se shuru karo.
4.Kurta pahenna masnoon hai, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam sub kapdon me kurte ko zyada psnd farmate the.(shamail tirmizi).
5.Sufaid kapda pahenna bhi masnoon hai, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne Farmaya, Sufaid kapda pahna karo is liye k wo zyada paak saaf Rahta hai.( shamail tirmizi).
No kind of calamity can occur, except by the leave of Allah: and if any one believes in Allah, (Allah) guides his heart (aright): for Allah knows all things. (The Holly Quran - Chapter 64, Al-Taghabun - Verse 11)
Shuru Allah k Naam se: Aye Iman Walon! Apne Gharon k Siwa Aur Gharon me Na Jao Jub tak k Ijazat Na le lo Aur Wahan k Rahne Walon ko Salam na Karlo, Yahi Tumhare Liye sara sar Bahter hai ta k Tum Nasihat Hasil Karo. Agar wahan Tumhen koi Bhi na mil Sake to Phir Ijazat mile bagair Andar na Jao, Aur Agar Tum se Lout jane ko Kaha Jaye to tum Laout hi Jao, Yahi Baat tumhare liye Pakiza Hai Jo kuch tum Karrahe ho Allah Tala Khoob Janta hai.(Surah:Al-Noor, Surah No:24, Aayat No:27-28)
1. Kisi k ghar me Dakhil hon to ghar walon se Pehle Ijazat lena Masnoon Hai.
2. Aur ijazat se Pehle Ghar walon ko Salam krna bhi Masnoon hai.
3. Ghar wala ye Daryaft kare k aap koun ho to Jawab me bajaye “Mai Mai” kehne k Apna Naam Wazeh tour per Batladena Masnoon hai.
4. Darwaze k dayen ya bayen janib Khade hoker Salam karna Aur ijazat Talab karna Chahiye.
O ye who believe! Let not your riches or your children divert you from the remembrance of Allah. If any act thus, the loss is their own. (The Holly Quran - Chapter 63, Al-Munafiqun - Verse 9)
Hamare gharo me Rishtedar ya Dost-o-Ahbab bahaisiyat Mehman aate hi rehte hai, in Mehmano k sath Husne-Salook ko Mehman Nawazi Kehte hai, Mehmanon k sath husne salook krte huwe in Sunnaton ko Malhooz rakha jaye.
1. Mehmano ko khush amdeed kaha jaye aur un k haq me dua di jaye, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam k paas Qabila Abdul Qais ka wafd aaya to Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne un ka Isteqbal Farmaya aur un k Haq me Duayen di, (فَرَحَّبَ بِنَاالنَّبِیُّ وَدَعَالَنَا) Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne Hame khush amdeed kaha aur Hamare liye dua di.(musnad ahmad)
2. Mehmano ki khatir tawazeh krni chahiye, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne Qabila abdul qais ki Aamd k moqe per Ansar se Khitab krte huwe farmaya, (یَا مَعشَرَ الاَنصَارِ اَکرِمُوا اِخوَنَکُم) aye Ansar! Tum apne bhaiyyo ki khatir tawazeh karo.(musnad ahmad)
3. Mehmano k liye aaram dah bister Farahm kiya jaye, behtareen Khana khilaya jaye aur deen ki baton ki taleem bhi di jaye, agr wo us k talbgar hon, yahi waje hai k Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne Qabila abdul qais se pucha k Ansar ne tumhari khatir tawazeh kaise ki? To unho ne kaha Ansar ne hamare liye Aaram dah bister farahm kia bahtareen khana khilaya aur raat me aur subah ko ye log hame hamare Rub ki kitab aur Nabi k tariqe ki taleem dete rahe.
4. Mehmano ki mehman Nawazi khud apne hath se krna Masnoon hai, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam Mehman Nawazi banfs nafees (apne hato se) khud kiya krte the.
5. Hazrat abu huraira R.A se riwayat hai Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne Irshad farmaya “sunnat ye hai k Aadmi mehman ko Darwaze tk roqhsat krne jayen’.(ibne majah)
Only those are Believers who have believed in Allah and His Messenger, and have never since doubted, but have striven with their belongings and their persons in the Cause of Allah: such are the sincere ones. (The Holly Quran - Chapter 49, Al-Hujurat - Verse 15)
1. Aik Muslman jb Doosre Musalman se Mulaqat kare to Sub se Pehle Salam Karen. Huzoor sallaallahu alaihi wasallam se pucha gaya k kounsa islam behter hai? Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne farmaya tum Khana khilao aur salam karo jis ko Pehchante ho us ko bhi aur jis ko Nahi Pehchante us ko bhi.(Bukhari,Muslim).
2. Aik doosre se Muskurate huwe Khushdili se mulaqat krna bhi sunnat hai, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne Irshad farmaya, Tum kisi bhi Bhale kaam ko Haqeer mat samjho hatta k tum apne Bhai se khushdili se muskurate huwe milo, ye bhi koi choti Naiki nahi hai.(Muslim).
3. Aik doosre se Mulaqat k waqt Musafh krna bhi masnoon hai, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne Irshad farmaya, Jub bhi do Musalman aik Doosre se mulaqat krte hai aur Musafah karte hai to un k Juda hone se Pehle un dono ki Magfirat krdi jati hai.(Abudawood)
4. Jub aik doosre se Mulaqat Karen to acchi guftagu Karen, Kisi se acchi Guftagu krna bhi to Naiki ka kaam hai Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne Irshad farmaya, (Alkalimatu’Tayyibatu Sadaqh) Acchi baat kehna bhi Sadqa hai.(Bukhari,Muslim).
O mankind! We created you from a single (pair) of a male and a female, and made you intonations and tribes, that ye may know each other (not that ye may despise each other). Verily the most honoured of you in the sight of Allah is (He who is) the most righteous of you. And Allah has full knowledge and is well acquainted (with all things). (The Holly Quran - Chapter 49, Al-Hujurat - Verse 13)
1. Jub cheenk le to Alhamdulillah (الحمد للہ) Kahe.
2. us k Jawab me Sunne wala Yarhamukallah (یَرحَمُکَ اللہ) kahe.
3. Phir Cheenk ne wala yahdikumullahu wa yuslihu balakum
(یَھدِیکُمُ اللہُ وَیُصلِحُ بَالَکُم) kahe.(shamail tirmizi).
4. Doosre mzhab k log agr Cheenken to yahdikumullahu wa yuslihu balakum (یَھدِیکُمُ اللہُ وَیُصلِحُ بَالَکُم) kehna masnoon hai, Yarhamukallah (یَرحَمُکَ اللہ) na kahen.
5. Pst Aawaz se Cheenkne ki koshish Karen Huzoor sallaallahu alaihi wasallam Cheenk bahot pst aawaz se lete aur isi ko Psnd farmate the.(shamail tirmizi).
6. Cheenk lete wqt apne muh per Hath rkhna chahiye ya kpda muh per Rakh lena chahiye, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ka yahi Aml raha hai.(shamail tirmizi).
--------------------------
Mamuli si Cheenk ki Waje se aik Musalman 5,6 Sunnaton per Amal Paira hota hai kitna Pyara Hai ye deen jis me Cheenk ko bhi Ba’ise Ajr bana diya gaya.
The Believers are but a single Brotherhood: so make peace and reconciliation between your two (contending) brothers; and fear Allah, that ye may receive Mercy.(The Holly Quran - Chapter 49, Al-Hujurat - Verse 10)
1. Jub guftagu Karen to Alfaz saf saf Ada Karen samne wale ko mutmain karden, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ki Guftagu hamari tarah laga taar jldi jldi Nahi hoti thi bl k saf saf har Mazmoon Doosre se Mumtaz hota tha paas Baithne wale Acchi tarah Zahe Nasheen Karlete the.(shamail tirmizi).
2. Aksar aouqat Khamoosh Rehna aur Zarurat per Guftagu krna Masnoon hai, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam Aksar Khamoosh Rehte the Bagair zarurat Guftagu na farmate the.( shamail tirmizi).
3. Kisi waje se kisi janib ishara krna ho to Poore hath se Ishara Krna chahiye, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam Poore Hath se Ishara farmate the.( shamail tirmizi).
4. Guftagu me muskuraht ho, Hazrat Abdullah bin Hairs R.A farmate hai k Huzoor sallaallahu alaihi wasallam se zyada tabassum Krne wala main e Nahi daikha.(shamail tirmizi).
5. Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ka Hansna Tabassum se zyada nahi hota tha.
6. Tehzeeb se giri huwi baton ko Isharatn kehden.
Yaad Rakhe:Jub Kabhi bolna Waqt per bolna, Muddaton Sonchna Mukhtasar Bolna.
(In Falsehood will they be) until, when death comes to one of them, he says: O my Lord! send me back (to life), In order that I may work righteousness in the things I neglected. By no means! It is but a word he says. Before them is a Partition till the Day they are raised up.(The Holly Quran - Chapter 23, Al-Mu’minun - Verse 99-100) Ya Allah! Save us from being regretful on the Day of Judgement:
1.Iyadat ki aik sunnat ye hai k bimar ko Tasalli di jaye, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne Farmaya jub tum Bimar k paas jao to us se kaho k abhi tumhari umr bahot hai ye baat Allah k kisi faisle ko rud nahi karsake gi, Lekin is se us ka dil khush ho jayega.(Tirmizi).
2.Iyadat ki aik sunnat ye bhi hai k bimar k haq me Allah tala se Dua Karen.
3.Huzoor sallaallahu alaihi wasallam jub kisi bimar ki iyadat karte to ye dua Farmate, Aye logon k rub! Bimar ki skhti ko is se door karde, ise aisi Shifa de jo kisi bimari ko na chhode tu shifa dene wala hai, tere siwa koi aur Shifa nahi de skta.(muslim)
3.Iyadat ki aik sunnat ye bhi hai k Timardar bimar ke Paas km baithe, Hazrat Ibne Abbas R.A ne farmaya, Bimar k paas Shor-o-Gul na krna aur kum baithna Sunnat hai.(Mishkat)
4.Jub kisi Mareez ki Iyadat kare to us se Yun kahen: (la ba'sa tahoorun inshallah) Kuch harj nahi Inshaallah ye bimari tum ko Gunahon se Paak karegi.
5.Aur sath martaba us k Shifayab hone ki yun dua Karen:(as alul laahal azeema rabbal arshil azeemi ay yashfi yak) mai Allah se sawal karta hun jo bada hai aur bade arsh ka rub hai k tujhe shifa dewe.
Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne farmaya hai k 7 martaba is k Padhne se Mareez ko shifa hogi Han agar us ki Mout hi aagai ho to doosri baat hai.(mishkat).
Jub zarurat se farig hon to wazu karna chahiye aur jub wazu Karen to in sunnaton ka lihaz rakhen, hamara wazu hamare Rasool sallaallahu alaihi wasallam ki pyari sunnaton k sath ada hojaye. Kis qadar khush nasibi ki baat hai.
1. wazu se pehle (bismillahir rahmanir rahim) padhiye.(bukhair,muslim)
2. wazu k shuru me dono hath gatton tk teen martaba dholijiye.(bukhari,muslim)
3.Chahra dhone se pehle kulli kijiye aur naak saaf kijiye.(bukhari,muslim)
4. bayen hath se naak saaf kijiye.(bukhari,muslim)
5. kulli krne aur naak saaf krne me mubaliga kijiye, han!agar roze daar hai to mubalga na kijiye, aik hath se kulli krna aur aik hath se naak saf kijiye, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne aik hath se kulli ki aur aik hi hath se Naak saf kiya.(bukhair,muslim)
6. wazu me kulli krte waqt miswak kijiye.Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne farmaya:Agar meri ummat per ye baat shaq (mushkil) na guzarti to mai unhe har wazu k sath miswak ka hukum deta.(ahmed,nasai).
7. Agar dadhi ghani ho to Chahra dhote huwe dadhi ka khilal bhi kijiye Huzoor sallaallahu alaihi wasallam wazu me apni dadhi ka khilal kiya karte the.(tirmizi).
8. Poore sir ka masah kijiye jaisa k mash karne ka masnoon tariqa hai.
9. hato aur pairon ki ungliyon ka khilal kijiye, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya, wazu achhi tarah karo aur ungliyon k darmiyan khilal karo.(abudaood,tirmizi,nas
10. haton aur pairon ko dhote huwe sidhi janib se shuru Karen, is tarah k pehle sidha hath phir baya hath pehle sidha pair phir baya pair dhoyen, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ko joote pehenne aur pakizgi hasil krne wagaira me sidhi janib se shuru krna psnd tha.(bukhair,muslim).
11. Har azu ko aik martaba se zyada yani do do martaba ya teen teen martaba dhoyye, jaisa k hadees me hai k Aap sallaallahu alaihi wasallam ne do do martaba bhi aaza-e-wazu ko dhoya aur teen teen martaba bhi, albatta 3 martaba se zyada na dhoye.
12. pani k istemal me aai’tedal se kaam lijiye, pani ka istemal had se zyada bhi na ho ko israf hojaye aur na bilkul km k aaza bhi sahi tour per na dhule, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam pani k Istemal mi Aitedal (miyanarvi) se kaam lete the.
13. Apne ghr me wazu kar k masjid jayye, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne Irshad farmaya, Jo Shaksh apne ghr me wazu krta hai phir allah k ghron me se kisi ghr ki taraf chl kar jata hai ta k Allah Tala k Farayez me se koi fariza ada kare to us k qadmon me se har aik qadam aik gunah ko mitata hai aur dusra har qadam aik darja ko bulnd karta hai.
14. wazu se farig ho kar Allah Tala k Mabood hone ki aur Muhammad Arabi sallaallahu alaihi wasallam k Rasool hone ki Gawahi dijiye aur yun kahiye.("Ash hadu An laa iIlaaha illallaahu Wahdahuu Laa Sharikalahuu Wa Ashhadu Anna Muhammadan Abduhu Wa Rasooluhu" jo koi wazu k baad ye kalimaye shahadt padhta hai Jannat k Aaton Darwaze us k liye khul jate hai jis darwaze se chahe dakhil hojaye.(muslim)
15. wazu k baad 2 rakhat Namaz ada kijiye, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya, Jis ne Mere wazu ki tarah wazu kiya phir 2 Rakat Namaz ada ki Aur un 2 rakat k ada karte hue koi Dunyawi Khayal dil me na Laye, us k pichle gunah muaaf Kar diye jayenge.(bukhari,muslim)
16. Har azu ko acchi tarah dhoyyen k har aik ka haq ada hojaye.(bukhari).
*********************{ Miswak }*********************
Miswak krna bhi aik aisi azeem sunnat hai k aik Musalman aik din aur aik raat me 15,20 martaba kam as kam miswak krskta hai, is tarah 15,20 martaba is sunnat k ada krne ka sawab is k naame aamal me likha jaye ga jo Zakhiraye Aakhirat bn jaye ga.
Panch waqt Namazon k waqt miswak kijiye,Tahajjud,Awwabeen,C
Quran Majid ki tilawat k waqt, Muh me badbo k ehsas k waqt, Neend se bedar hote waqt, aur wazu karte waqt in tamam Mawaqe pr Miswak krte huwe Aadmi apne Muh ko saaf bhi rakh skta hai aur apne Rub ko razi bhi kr skta hai, Aur bisiyoon martaba isi sunnat per amal krte huwe Ajr-o-Sawab ka Zakhira bhi kr skta hai,
Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne Irshad Farmaya: “ Miswak muh ki Pakizgi ka Zariya aur rub ki Khushnudi ka sabab hai”.(Ahmed)
Nor come nigh to adultery: for it is a shameful (deed) and an evil, opening the road (to other evils).(The Holly Quran - Chapter 17, Al-Bani Isra’il - Verse 32)
So establish regular Prayer and give regular Charity; and obey the Messenger, that ye may receive mercy.(The Holly Quran - Chapter 24, Al-Nur - Verse 56)
* Tum me sub se zyada mujhe wo log Mahboob hai jo tum me Akhlaq k lihaz se sub se acche hai.(Bukhari)
* Us zaat ki Qasam jis k hath me meri Jaan hai jo kuch mai janta hu agar tum jante to Rote zyada aur Haste kam.(Bukhari)
* Insan ko jo kuch ata hua hai us me sub se behter “Husne Akhlaq” hai.(Bahiqi)
* Taqwa aur Husne khalq k sabab Aksar log Jannat me Dakhil honge.(Tirmizi)
* Zuban aur Shrmgah k sabab Aksar log Jahannam me Dakhil honge.(Tirmizi)
* Qayamt k roz momin ki mizan me jo sub se Wazni cheez rakhi jaye gi wo Husne Akhlaq hai.(Abuda’ud)
* Duniya mal’oon hai aur jo kuch duniya me hai wo bhi mal’oon hai.(ibe maja)
* Aye allah! Mai tujh se ilm-e-nafe Aml Maqbool aur Pakiza rizq ki Darkhwast karta hu.(ibne maja)
* Mere baad logon me sub se badh ker Fayaz wo shaksh hoga jis ne ilm hasil kiya phir use pehlaya.(Bahiqi)
* Jis shaksh k sath Allah Tala bhalai chahta hai use deen me Samajh ata Farmata hai.(Muslim)
* Jo koi Allah Tala se milne ko psnd karta hai to Allah Tala bhi us se milne ko psnd Farmate hai.(Bukhari)
* Jo shaksh Allah ki Mulaqat ko na psnd karta hai to Allah bhi us ki Mulaqat ko na psnd karta hai.(Bukhari)
* Sub se behter islam us shaksh ka hai jis ki zaban aur hath se Muslman mahfooz rahe.(Ahmed)
* Allah Tala duniya to us ko bhi deta hai jis se Mohabbat Farmata hai aur us ko bhi jis se Mohabbat nahi Farmata.(Bahiqi)
* Allah Tala deen sirf usi ko ata karta hai jis se use Mohabbat hoti hai.(Bahiqi)
* Burai k baad Naiki karlo ta k Naiki burai ko mitade.(Tirmizi)
* Bokhl haya aur Iman dono kisi bande k Dil me bhi jama Nahi honge.(Nasai)
* Jub koi cheez tumhare dil me Tard’dud paida kare to use Chhod do.(Ahmed)
* Naiki kar k jis ko khushi ho aur Burai kar k jis ko Gam aur Pachtawa ho to wo Momin hai.(Alhakim)
Be quick in the race for forgiveness from your Lord, and for a Garden whose width is that (of the whole) of the heavens and of earth, prepared for the righteous.(The Holly Quran - Chapter 3, Al-Imran - Verse 133)
* Apne ghr ki diwaar Itni buland na karo k padosi ki Hawa ruk jaye.(Rasooluallalh Sallellahu alihi wasallam)
* Sub se bada fqr ye hai k tum fqr na karo.(Hazrat Ali R.A)
* Dawat Qabool karne me Ameer-o-Gareeb ka farq mat karo aur door hone ki wajeh se Dawat rd na karo.(Hazrat Imam Gazali Rh.A)
* Apni zaruraten km karo ge to rahat hasil hogi.(Hazrat Imam Shafai Rh.A)
* Aqlmand wo hai jo Doosron ki Nasihaten suntan hai.(Hazrat Suleman A.S)
* Agr tum logo k qasoor muaf karo ge to Allah Tala tumhare qasoor muaf karega.(Hazrat Idrees A.S)
* 3 Cheezen mohabbat Badha ne ka Zariya hai: 1.Salam krna. 2.Doosron k liye majlis me jage khali karna. 3.Mukhatab ko Behtareen Naam se pukarna.(Hazrat Umar R.A)
* Khamushi Gusse ka Behtareen ilaj hai.(Hazrat Usman Ghani R.A)
* Kisi per Ehsan karo to us ko chupao Agar tum per koi Ehsan kare to use Zaher karo.(Hazrat Ali R.A)
* Naiki karne me dair na karo aur Bdla lene me Jaldi na karo.(Hazrat Shafeeq Balgi Rh.A)
* Aqalmand bolne se pehle sonchta hai Aur be waqoof bolne k baad sonchta hai.(Hazrat Hasan basri Rh.A)
* Accha dost wo hai jo musibat k wqt kam aaye.(Shaik Sa’di Rh.A)
* Quran kareem ka sirf mutala hi na karo bal k us ko Samajhne ki koshis bhi karo.(Allama Iqbal Rh.A).
* Gusse ki halat me koi faisla na karna Aur Khushi ki Halat me koi Wada na karna.(Hazrat Ali R.A)
* Jub mai Chahta hu k Allah Tala se Baat karun to Namaz Padhta hu, Aur jub Mai Chahta hun Allah Tala mujh se baat Karen to mai Quran Majid Padhta Hun.(Hazrat Ali R.A).
O ye who believe stand out firmly for Allah, as witnesses to fair dealing, and let not the hatred of others to you make you swerve to wrong and depart from justice, Be just: that is next to piety: and fear Allah. For Allah is well acquainted with all that ye do.(The Holly Quran - Chapter 5, Al-Maidah - Verse 8)
Jub sare Musalman aik aur Yaksa Quran ki pairwi karte hai to phir Musalmano me Itne zyada Firqe ya makatibe Fikr kyu hain?
ReplyDeleteMy answer: People should try to be a better human being. You don't need and never needed orders from a supreme power to be a good human. With the interaction in communities and societies and lapse of time we learn everything:good and bad, right and wrong and everything in-between. Now more wrongs are caused by so called "religious people" . They are the danger for everyone.
How I Got My Loan From A Genuine And Reliable Loan Company
ReplyDeleteI am Mrs.Irene Query i was in need of a loan of $150,000 and was scammed by those fraudulent lenders and a friend introduce me to Dr Purva Pius,and he lend me the loan without any stress,you can contact him at (urgentloan22@gmail.com) Approvals within 2-4 Hours
1. Name Of Applicant in Full:……..
2. Telephone Numbers:……….
3. Address and Location:…….
4. Amount in request………..
5. Repayment Period:………..
6. Purpose Of Loan………….
7. country…………………
8. phone…………………..
9. occupation………………
10.age/sex…………………
11.Monthly Income…………..
12.Email……………..
Regards.
Managements
Email Kindly Contact: urgentloan22@gmail.com