Friday 21 March 2014

✦.....♥ Deen-E-Islam Mein Namaz ka Itna Ehtemaam Kyun?? ♥.....✦

✿...:: Kyun ke….!! ::...✿

◈ Namaz ka Mominon par Aoqat (muqarrarh) mein Ada karna Farz hai. (Qur’an 4:103)
◈ Namaz be hayai aur Burayi se rokti hai. (Qur’an 29:45)
◈ Namaz Iman aur Kufr ke Darmiyan farq karne wali cheez hai. (Jami At-Tirmidhi :: 2618)
◈ Namaz Deen ka Sutoon hai. (Sunan An-Nasa’I :: 5001)
◈ Namaz ke bare mein Qayamt ke din sab se pehle Hisab hoga. (Jami At-Tirmidhi :: 413)
◈ Namaz Agar durust rahi to sare Aa’mal durust rahenge. (Jami At-Tirmidhi :: 413)
◈ Namaz Noor hai. (Sahih Muslim :: 223)
◈ Namaz Dunyawi pareshaniyo se rahat ka zariya hai. (Tibrani :: 6215)
◈ Namaz Allah se ham Kalam hone ka Sharf bakhashti hai. (Sahih Muslim :: 904)
◈ Namaz RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Dunya se Rokhsat hote waqt Namaz ke Ehtemam ki Takidan wasiyat farmayi. (Musnad Ahmed :: 12190)

......................✿....... H A D E E S .......✿......................

✦ Islam Mein Shohar (Husband) par Biwi ke Huqooq ✦

Narrated Muawiyah al-Qushayri RadiyAllahu Anhu: I went to the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam and asked him: What do you command about our wives? He Sallallahu Alaihi Wasallam replied: Give them (to your wives) food what you have for yourself, and clothe them by which you clothe yourself, and do not beat them, and do not revile (insult) them.

[Sunan Abu Dawud :: Book 11 :: Hadith 2139]

Urdu Translation: Hazrat Muawiyah al-Qushayri RadiyAllahu Anhu se riwayat hai ke main RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ki khidmat mein hazir hua aur pucha ke Hum par Biwiyon ke kya Huquq hain, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo tum khud khate ho unko (apni biwiyon ko) bhi khilao aur Jaise (achche) kapde tum pahante ho unko bhi pahnao aur unko maaro nahi aur unko bura na kaho (yani unki insult na karo gaali na do).

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawud :: Vol.2 :: Hadith 377]


●◗► 1300 saal tak is Ummat ne Bagair Alarm wali ghadiyo aur bagair loudspeaker mein di hui Azan ke, Subah ko jaag kar Namaz Fajr ada ki hai, un ke Dil un ko jagaya karte the Jin mein Allah Tala ki Ita’at ka Jazba Mojizan hua karta tha.

✦ Jab Dil murdah hogaye to Namazi bhi sogaye, phir Na Alarm wali Ghadiyan kis kaam Aayen aur na hi Kano ko Phaadti Aawazon wale Loud Speaker.

◈➲ Jaag ja Momin is se pehle ke Mout tujhe sula de, Padhle Namaz is se pehle ke Teri Namaz padha de ◈➲


✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "WHEN SOMEONE DOES GOOD FOR YOU, THEN ASK ALLAH TO REWARD THEM" ✦

Usamah bin Zaid RadiyAllahu Anhu reported: The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Whoever some good was done to him, and he says:

جَزَاكَ اللَّهُ خَيْرًا

“Jazak’Allahu Khairan” 'May Allah reward you in goodness' then he has done the most that he can of praise."

[Jami at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 1 :: Hadith 2035]

Urdu Translation: Hazrat Usamah bin Zaid RadiyAllahu Anhu se riwayat hain ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: Jis shaks par Ehsan kiya gaya aur us ne Ehsan karne wale ko

جَزَاكَ اللَّهُ خَيْرًا

“Jazak’Allahu Khairan” (Allah Tala tum ko is ka behtar badla ata Farmayen) kaha to us ne (is dua ke zariye) puri Tareef ki aur shukriya ada kardiya.

[Urdu Ref :: Jami at-Tirmidhi :: Vol.1 :: Hadith 2101]


✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "HONOUR YOUR GUESTS" ✦

Narrated Abu Huraira RadiyAllahu Anhu: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "Whoever believes in Allah and the Last Day, should serve his guest generously.”

[Sahih Bukhari :: Vol. 8 :: Book 73 :: Hadith 160]

Urdu Translation: Hazrat Abu Huraira RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: "Jo shaks Allah par aur Aakhirat ke din par Iman rakhta ho use Apne Mehman ki Izzat karni chahiye."

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol.7 :: Hadith 6138]


●◗► Jab aap bacche ko chalna sikha rahe hote hain to use aik Jage khada kar dete hain aur aap thode se faasle par khud jakar baith jate hain.

✦ Baccha us waqt bahot dar raha hota hai, khud ko tanha mahsus kar raha hota hai, pareshani Mahsus kar raha hota hai, wo Jald az Jald aap tak pahochne ki koshish karta hai aur aap ki god tak pahochte hi aap ki bahon mein sama jata hai, Aur aap ko bhi ye baat Maloom hoti hai ke Agar bacche ko is marhale se na Guzara jaye to baccha kabhi chalna na sikh sake,

✦ Kabhi aisa bhi hota hai ke Baccha raaste mein Dagmaga jata hai aur girne ke qareeb hojata hai lekin Aap ki mustaqil tawajje ki wajah se wo gir nahi pata balke fouran aap use Sambhal lete hain aur dubara khada karlete hain.

► Bilkul isi tarah Jab Allah kisi bande ko apna Dost banana chah rahe hote hain to use pareshani mein mubtela kardete hain, wo pareshan hokar apne Mabood Haqiqi ki taraf lout ta hai, jo ke Mustaqil us ki taraf mutawajje hota hai, Raaste mein kayi Mawaqe aise bhi aate hain Jab Bandah apne aap ko tanha mahsus kar raha hota hai lekin dar haqiqat wo tanha nahi hota balke Allah ki tarbiyat mein hota hai.

✿ To bhool jayye is baat ko ke Aap Allah ki taraf badhne ki koshish mein girne lagen aur Allah aap ko na sambhale, Kyun ke Hadees ke mutabiq Jab Insan Allah ki taraf Mutawajje hota hai aur us ki taraf Qadam badhata hai to Allah us ki taraf Dogna Mutawajje hote hain.[Sahih Muslim :: Vol.6 :: Hadith 6830]


✦.............x Allah Tala ko Na Pasand Log x.............✦

❶ Fasad phailane wale. (Qur’an 5:64)
❷ Zulm karne wale. (Qur’an 3:140)
❸ Had se tajawuz karne wale. (Qur’an 2:190)
❹ Takabbur karne wale aur Shaikhi khor. (Qur’an 4:36)
❺ Israaf karne wale. (Qur’an 7:31)
❻ Khayant karne wale. (Qur’an 4:107)
❼ Bad Ahdi karne wale. (Qur’an 8:58)
❽ Ghamand karne wale. (Qur’an 16:23)
❾ Na shukri aur Gunah karne wale. (Qur’an 2:276)
➓ Itrane wale. (Qur’an 28:76)

◈➲ Israaf – Fuzool kharchi.
◈➲ Bad Ahdi – Dagabazi, Wada khilafi.



●◗► English Far Far Bolta hai Aap ka Baccha Mua’shera Moqam dega, Magar wo Ilm kyu na diya Jo Hamesha Jannat Mein Qayam Dega.

♥ Apni Aoulad ko Deeni Taleem laazmi do kyun ke Agar Aap ki Aoulad Deendar Hogi to Deen Naslon tak Chalta rahega ♥ InshaAllah ♥

✿ Baccho ki acchi aur Deeni tarbiyat Waldain ki Ahem zimmedari hai, Jis Ghar mein Deen ki Taleem Aur Naik Waldain ho wo Ghar Tahzeeb aur Insaniyat ki University Hai.


✦........♥ Qahet Khushk Saali aur Aafat se Najat ke Asbab ♥........✦

❶ Basti ya shaher mein Iman aur Taqwe ki Fiza Qayem karna. (Qur’an 7:96)
❷ Gunaho se Bachna aur Naik Aa’mal karna. (Qur’an 30:41)
❸ Kasrat se Astaghfar karna. (Qur’an 71:12)
❹ Allah Subhanah Wa’tala ki di hui Nematon ka Sadqe dil se Shukr baja lana. (Qur’an 16:112)
❺ Aik dusre par rahem khana.(Sunan Abu Dawood :: 4943)
❻ Rishte daron ke sath Husn Sulook (sila rahmi) karna. (Sahih Bukhari :: 2067)
❼ Naap tol mein Insaaf se kaam lena. (Sunan Ibn Majah :: 4019)
❽ Sahebe Haisiyat logon ka sahih tariqe se zakat ada karna. (Sunan Ibn Majah :: 4019)
❾ Ro Ro kar Duayen Maangna. (Musnad Ahmad :: 11149)
➓ Sadaqah dena. (Baihiqi :: 3351)

......................✿....... H A D E E S .......✿......................

Humaid bin 'Abd al-Rahman quoted his mother RadiyAllahu Anha as saying: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: He who forged in order to put things right between two persons did not lie.

[Sunan Abu Dawood :: Book 42 :: Hadith 4902]

Urdu Translation: Hazrat Humaid bin 'Abd al-Rahman apni Walidah RadiyAllahu Anha se Riwayat karte hain ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya ke Jo Shaks (2) Do Afrad ke Darmiyan Sulah karane ke liye Az Khud koi baat karde to us ne Jhoot nahi bola (Yani use Jhoot bolne ka koi Gunah nahi hoga).

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol.3 :: Hadith 1488]


✦..........x Cigarette Noshi ke Marhale Waar Noqsanaat x..........✦

★...:: 15 ta 20 saal ki Umr Tak ::...★

◈ Shoqiya pi jati hai
◈ Bure doston aur Buri sohbat ka sabab banti hai
◈ Mua’shre mein buri Nigah se daikha jata hai.

★...:: 30 saal ki Umr Tak ::...★

◈ Pokhta Aadat aur Wabaale Jaan ban jati hai

★...:: 40 saal ki Umr Tak ::...★

◈ Insani ragon mein Khoon ki rawani Matassir karti hai
◈ Phaipdon ko kharab kar deti hai
◈ Saans phulne lagti hai
◈ Diabetes ke khatrat bdh jate hain
◈ Bhook ko khatam kar deti hai
◈ Daant pile hojate hain
◈ Sahet aur Jismani taqat par Manfi Asrat khul kar samne Aajate hain.

★...:: 50 Saal ki Umr Tak ::...★

◈ Damma aur saans ka Marz Mustaqil la’haq hojata hai
◈ Phaipdon ka Cancer aur Dil ke dore ke Khatre badh jate hain
◈ Jis mein Nicotine ki Wafar Meqdar Aa’sabi aur Dimagi bimariyon ka Sabab banti hai.

★.....:: Marne ke Baad ::.....★

◈ Aik bada sa sarmaya Fuzool cheez par Zaye karne ke Jurm mein pakad hogi.
◈ Sahet ki Nemat apne haton se barbaad karne ke Jurm mein Baaz purs hogi.

⇨ "And spend in the Cause of Allah (i.e. Jihad of all kinds, etc.) and do not throw yourselves into destruction (by not spending your wealth in the Cause of Allah), and do good. Truly, Allah loves Al-Muhsinun (the good-doers)". (Qur'an 2:195)

No comments:

Post a Comment