Wednesday 2 April 2014

✦............♥ Ahem Mushkilat ka Qurani Hal ♥............✦

► Jab ghamgeen hon to is Aayat ka wird karen:

 لَّآ إِلَـٰهَ إِلَّآ أَنتَ سُبۡحَـٰنَكَ إِنِّى ڪُنتُ مِنَ ٱلظَّـٰلِمِينَ
Tere siwa koi Mabood nahi, Tu paak hai, Beshak main zalimon mein hogaya. (Qur'an 21:87)

► Jab Takleef mein Mubtela hon to ye Aayat padhen:

 أَنِّى مَسَّنِىَ ٱلضُّرُّ وَأَنتَ أَرۡحَمُ ٱلرَّٲحِمِينَ
Mujhe ye Bimari lag gayi hai aur tu Tamam rahem karne walon se zyada Rahem karne wala hai. (Qur’an 21:83)

► Jab kisi (Dushman Wagherah ke) khof mein Mubtela hon to is Aayat ka wird karen:

حَسۡبُنَا ٱللَّهُ وَنِعۡمَ ٱلۡوَڪِيلُ
Ham ko Allah kafi hai aur wo bahot Accha kaar saaz hai. (Qur’an 3:173)

► Jab Makro Fareb aur Dhoke mein padjane ka Andesha ho to ye Aayat padhen:

وَأُفَوِّضُ أَمۡرِىٓ إِلَى ٱللَّهِۚ إِنَّ ٱللَّهَ بَصِيرُۢ بِٱلۡعِبَادِ
Aur Main Apna Kaam Allah ke Supurd karta hun, Beshak Allah Tala bandon ko daikhne wala hai. (Qur’an 40:44)

✦...........x April Fool Manane ki Qabahaten x...........✦

❶ Kuffar se Mushabihat hai, aur Jo Jis Qoum se Mushabihat Ekhtiyar karta hai Qayamat ke din us ka Hashr unhin ke sath hoga. (Sunan Abu Dawood :: 4020)

❷ Jhoot par us ki Bunyad hai, aur "Jhoot bolne wale par ALLAH TA'ALA ki La'nat hoti hai". (Qur'an 3:61)

❸ Dhoke par us ki Bunyad hai, aur Dhoke dene wala Ummate Muhammadiya mein se Nahi. (Sahih Muslim :: 284)

❹ Makhluqat ko satane ka wabal hai.

❺ Insan ka Aaitemad khojata hai.


●◗► Ye Saanp kitna khubsurat hai kya koi ise apne paas rakhna pasand karega? Nahi..! Hargiz Nahi..!! Zaaheri tor par ye Saanp bahot khubsurat hai lekin is se Nafrat ki wajah ye hai ke is mein zaher poshida hai jo is ke Zaaher par hawi hai,

◈➲ Bilkul isi tarah ye Dunya hai, Aaj ham log Raasta bhule hue hain, Dunya ki zahiri Khubsurti ko hi hamne sab kuch samajh liya hai, Halan ke dunya ka Asal roop is saanp se zyada bhayank hai aur is ke zaher ka Asar marne ke baad tak bhi Rehta hai.

✿ Allah Tala hame Deen Islam ke Sunheri usulon ke Mutabiq Dunya ka safar tai karne ki Toufeeq ata farmaye Aameen.


✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "LOWER YOUR GAZE" ✦

Jarir b. 'Abdullah RadiyAllahu Anhu reported: I asked Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) about the sudden glance (that is cast) on the face (of a non-Mahram). He commanded me that I should turn away my eyes.

[Sahih Muslim :: Book 25 :: Hadith 5372]

Urdu Translation: Hazrat Jarir bin Abdullah RadiyAllahu Anhu se riwayat hai ke Main ne RasoolAllah Sallallahu Aliahi Wasallam se (Gair Mahram Par) Achank Nazar padjane ke Mutalliq pucha to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Mujhe Hukm diya ke Main Apni Nazar ko Pheirlun.

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol.5 :: Hadith 5644]


◈➲ Har sans Jo Andar Aati hai Zindagi bakhashti hai aur Jab Bahar nikalti hai to Rooh ko Rahat deti hai Lehaza har har Saans mein do Nematen Moujood hain aur Har Nemat par km az km aik Shukr Wajib hai ◈➲

★•.•´¯`•.•★ A L H A M D U L I L L A H ★•.•´¯`•.•★


✦.............♥ Insan ka Apna kya Hai....!! ♥.............✦

► Paida dusre ne kiya,
► Ahmiyat dusron ne di,
► Taleem dusron ne di,
► Rishta bhi dusron se joda,
► Kaam karna bhi dusron ne sikhaya,
► Aakhir mein Qabristan bhi dusre hi lekar gaye,

◈➲ Insan ka Apna kya hai....To Guroor kis Baat par hai.?? "EGO" Kill it. (Qur’an 28:78) ◈➲

✦...........:: Tib-e-Nabvi aur Jadeed Science ::...........✦

✿ Aik Paon mein Joota Pahenna ✿

Narrated Abu Huraira RadiyAllahu Anhu: Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "None of you should walk, wearing one shoe only; he should either put on both shoes or put on no shoes whatsoever."

[Sahih Bukhari :: Vol. 7 :: Book 72 :: Hadith 746]

Urdu Translation: Hazrat Abu Huraira RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya Tum mein koi Shaks sirf Aik Paon mein Juta pahen kar na chale Ya Dono paon Nanga rakhe ya Dono mein Juta pahne.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol.7 :: Hadith 5856]

●◗► Dore Jadeed ke Orthopedic Mahireen is Nokte par Muttafiq hain ke sirf Aik pair mein Juta pahen kar chalne se Shadeed Aasabi aur Jismani Bimari lahaq ho sakte hain, Qurban jaye RasoolAllah Sallallahu Aliahi Wasallam ki Mushfaq o Maherban Zaat par Jinho ne is Hawale se Apni Ummat ki 1400 saal Qabl hi Rahnumayi Farmadi.


✦..............♥ √ Insaniyat ki Qadar Karen √ ♥..............✦

► Agar aap apni zaat se kisi ko faidah nahi pohcha sakte to use Nuqsan bhi na pohchayyen.
► Agar aap kisi ka Mushkil mein sath nahi de sakte to us ki Mushkil aur Musibat par khush na ho.
► Agar aap kisi ko khush nahi kar sakte to km az km Naraz na Karen.
► Agar aap Mazloom ki madad nahi kar sakte to Zalim ka sahara bhi na Banen.
► Agar aap kisi ki Tareef nahi kar sakte to Burayi bhi na karen.
► Agar aap kisi ke Peeth piche us ki Tareef nahi kar sakte to us ki Gibat bhi na Karen.
► Agar aap kisi ki zaheri Nemat par khushi ka izhar nahi kar sakte to us se Hasad bhi na Karen.
► Agar aap kisi ki Maali madad nahi kar sakte to us ki Izzat Nafs aur Sufaid poshi ke bharam ko kharab na karen.

◈➲ Yaad Rakhen! Insaniyat ke Nate Insanon ki Qadar karna Aap ke Insan hone ki Sab se Badi Daleel hai ◈➲

No comments:

Post a Comment