Monday 25 August 2014

✦..........♥ Allah Subhanahu Wa Ta'ala ko Mahboob 2 Sifaat ♥..........✦

Narrated Abu Sa’id Khudri RadiyAllahu Anhu The holy Prophet of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: And then he (addressing) al-Ashajj of 'Abdul-Qais said: Verily, you possess two such qualities which Allah loves:

❶ Insight and
❷ Deliberateness.

[Sahih Muslim :: Book 1 :: Hadith 25]

Urdu Translation: Hazrat Abu Said Khudri RadyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Qabila 'Abdul-Qais ke Sardar Hazrat Ashajj RadiyAllahu Anhu se Irshad Farmaya: Tum mein 2 Khaslaten Aisi hain jo Allah Tala ko Mahboob Hain.

❶ Danayi aur Samajhdari
❷ Sonch Samajh kar Qadam uthana, Jaldi Na karna.

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 1 :: Hadith 118]

●════════════════════◄►═══════════════════●

Ye RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne isliye Farmaya ke Jab Abdul Qais ke log Madina mein pohche to jhat pat RasoolAllah ke paas Aagaye Magar Ashajj saman ke paas khade rahe aur sab saman Ikhatta kiya aur Oont ko Bandha phir Acche kapde badle us ke baad Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke Paas Aaye Aap ne un ko Nazdeek bulaya aur apne Bazu ki Taraf bithaya phir ye Farmaya ke..

●◗► Haqiqat mein Aqalmandi aur Itminan ye Dono sifaten Aisi hain jo Tamam khubiyon ki Jad Hain, Baaz Aadmi Aqalmand hote hain lekin Jald baazi mein un se bahot si Galatiyah hojati hain phir Sharmindah hote hain, Umdah baat ye hai ke jis kaam ko karna chahe pehle us mein khoob Fikr kare aur us ke Faidon aur Nuqsanon par Nazar dale phir jab Faida zyada maloom hon aur us ka Anjam bhi Accha ho to us ko kare Agar khud se ye kaam na ho sake to aur Aqalmand doston se Mashwerah le.


✦...............:'( Pyaar (GF, BF) Baghawat Aur Tabahi :'(...............✦

●◗► Maa Jo 9 Mahine apni God mein rakh kar Takleef ke sath paida karti hai Baap jo tumhen School laata lejata hai aur tum par Itna bharosa karta hai kya wo Tumhare Haq mein koi Galat Faisla kar sakte hain? Un ki Baghawat karna Matlab khud ko Barbad karna hai Apni Zindagi ke Faislon mein Apne Maa Baap ko Shamil karen.

◈ ➲  Kyu ke Waldain ki Raza mein Allah Tala ki Raza Shamile Haal hai aur Waldain ki Narazgi mein Allah Tala ki Narazgi hai. Chaar din ki Zindagi mein Apne Waldain ko Naraz kar kar Aakhirat ko Tabah na karna Meri Noujawan Nasal Ladke Ladkiyon.


......................✿....... H A D E E S .......✿......................

✦ Namaz Jumah se koi Mustasna Nahi, Siwaye..✦

Narrated Tariq ibn Shihab RadiyAllahu Anhu: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: The Friday prayer in congregation is a necessary duty for every Muslim, with four exceptions;

❶ Slave,
❷ Woman,
❸ Boy, and
❹ Sick person.

[Sunan Abu Dawood :: Book 3 :: Hadith 1062]

Urdu Translation: Hazrat Tariq ibn Shihab RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: Har Musalman par Namaz Jum'ah Jama’at ke sath padhna Wajib hai siwaye Chaar Afrad ke:

❶ Ghulam,
❷ Aourat,
❸ Na Baligh Baccha,
❹ Mareez (Bimar).

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol.1 :: Hadith 1055]


✦...................-_-  Mard ka Pardah -_- ...................✦

●◗► Aourat ke parde ki sab ko fikr Rahti hai sab puchte hain ke Aourat ka pardah kaisa hona chahiye kya koi ye bhi Janta hai ke Allah Subhanahu Wa Ta'ala ne Quran kareem mein Mard ke parde ka bhi Zikr farmaya hai.

⇨ "Momin mardon se keh do ke wo Apni Nigahen nichi rakhen aur Apni Sharm Gahon ki Hifazat karen, yahi un ke liye pakizgi hai." (Qur’an 24:30)

➲  Nigahon ki Na Mahram Aourton aur Na Jayez Chizon se Hifazat karna "Mard" ka Pardah hai.

●════════════════════◄►═══════════════════●

✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "LOWER YOUR GAZE" ✦

Jarir b. 'Abdullah RadiyAllahu Anhu reported: I asked Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) about the sudden glance (that is cast) on the face (of a non-Mahram). He commanded me that I should turn away my eyes.

[Sahih Muslim :: Book 25 :: Hadith 5372]

Urdu Translation: Hazrat Jarir bin Abdullah RadiyAllahu Anhu se riwayat hai ke Main ne RasoolAllah Sallallahu Aliahi Wasallam se (Gair Mahram Par) Achank Nazar padjane ke Mutalliq pucha to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Mujhe Hukm diya ke Main Apni Nazar ko Pheirlun.

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 5 :: Hadith 5644]


✦........:'( ILZAM Tarashi (Kisi par Tohmat Lagane) ki Saza :'(........✦

Narrated Mu'adh ibn Anas RadiyAllahu Anhu: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said:

►If anyone guards a believer from a hypocrite, Allah will send an angel who will guard his flesh on the Day of Resurrection from the fire of Jahannam;

► But if anyone attacks a Muslim saying something by which he wishes to disgrace him, he will be restrained by Allah on the bridge over Jahannam till he is acquitted of what he said.

[Sunan Abu Dawood :: Book 42 :: Hadith 4865]

●═════════════════◄►════════════════●

Urdu Translation: Hazrat Mua’adh RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya:

► Jo Shaks kisi Musalman ki Izzat o Aabru ko Munafiq ke shar se Bachaye to Allah Subhanahu Wa Ta'ala Qayamat ke din Aik Farishta Muqarrar Farmayenge jo us ke Jism ko Dozakh ki Aag se bachayega,

► Aur Jo Shaks kisi Musalman ko Badnam karne ke liye us par koi Jhuta Ilzam lagaye to Allah Subhanahu Wa Ta'ala us ko Jahannam ke pul par us waqt tak roke rakhenge Jab tak ke wo Ilzam Tarashi ke Gunah ki saza na paa le.

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 3 :: Hadith 1453]


✦...............♥ Aourat ka Wujood Rahmat hi Rahmat ♥...............✦

♥ Jab "Beti" aur "Bahen" ke roop mein jalwah Afroz hui to Walid aur Bhaiyyon ko jannat mein lejane aur Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ki Rafaqat dilwane ka sabab qarar di gayi.

♥ Jab us ne "Biwi" ka roop Ekhtiyar kiya to apne Shohar ka Aadha Iman mukammal karne wali Qarar di gayi.

♥ Jab "Maa" jaisi Azeem hasti bani to Aoulad ki Jannat us ke Qadmon tale Aagayi.

[Sahih Muslim :: Jami at-Tarimidhi :: Sunan an-Nasa’i :: Tabarani]


✦..♥ √ Quran kareem ke Khubsurat Tareen Waqeye se Hasil Shudah Sabaq √ ♥..✦

► Hazrat Yusuf (Alaihis Salam) ke Bhaiyyon ne unhen jaan se maar dalna chaha Magar Allah ne unhen zindah Rakha.
► Hazrat Yusuf (Alaihis Salam) ke bhaiyyon ne un ki shan ghatana chahi Magar Allah ne un ki shaan buland farmadi.
► Hazrat Yusuf (Alaihis Salam) ke bhaiyyon ne walid ke dil se un ki Mohabbat km karna chahi magar Allah ne mazeed Mohabbat badhadi.
► Hazrat Yusuf (Alaihis Salam) ke bhaiyyon ne budhe walid ki Nazron se unhe Aojhal karna chaha magar Allah ne unhen Walid ki Aankhon ki thandak banadiya.
► Hazrat Yusuf (Alaihis Salam) ko qafile walon ne becha taa ke wo Gulami ki zindagi basar karen magar Allah ne unhen Shahana Zindagi ata Farmayi.
► Hazrat Yusuf (Alaihis Salam) par Azeeze Misr ki biwi ne tohmat baandhi magar Allah ne un ki Iffat o Paakdamni sab par Zaaher farmadi.
► Hazrat Yusuf (Alaihis Salam) ko jail mein dala gaya magar Allah ne unhen jail se Ayewane Hukumat mein pohchadiya.

✿▶ Makhlooq ke Hath mein kuch bhi Nahi, Karne wali Zaat Allah ki Zaat hai ◀✿


✦..♥ Tairaki (Swimming) Sunnate Nabwi Sallallahu Alaihi Wasallam ♥..✦

✿ Jismani Warzish Kheil ka Kheil ✿

Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Har wo cheez jis mein Allah ki yaad na ho wo Lahu o Lo’ab mein Shamil hain siwaye 4 Chizon ke:

❶ Aadmi ka apni Ghar wali (Shohar apni Biwi) ke sath hansi Mazaq karna,
❷ Apne Ghode ko sudhaarna (tarbiyat dena),
❸ Do Hadon ke darmiyan dodne ka moqabla karna,
❹ Tairaki Seekhna.

[Narrated by An-Nasaa'i and authenticated by Al-Albaani (Sahih Al-Jami' 4534), (Recorded by Bayhaqi and at-Tabarani with a good chain of narrators)].

●◗► SUNNATE NABWI aur JADEED SCIENCE: Jadeed Science Tahqeeq ke mutabiq Tairaki se Dimaghi aur Aa’sabi Salahiyaton mein izafa hota hai, Digar warzishon mein insani Jism ke chnd Azlaat aur pathe istemal hote hain Lekin Tairaki karne mein Ba’ek waqt Tamam Azlaat aur pathe (Muscles) istemal hote hain Jis se Jism (vital organs) mein bhar pur tariqe se tazah khoon ki Farahmi hoti hai aur Jism mein chusti paida hoti hai.

●════════════════════◄►═══════════════════●

The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Everything other than remembering Allah is (considered) wasteful play except four:

❶ A man humoring his wife,
❷ A man training his horse,
❸ A man walking between targets (learning archery),
❹ And man learning swimming,"

[Narrated by An-Nasaa'i and authenticated by Al-Albaani (Sahih Al-Jami' 4534), (Recorded by Bayhaqi and at-Tabarani with a good chain of narrators)]


✦..........:o Nujumi, Jadugaron aur Jaali Aamilon se Bachen :o..........✦

Safiyya RadiyAllahu Anha reported from some of the wives of Allah's Apostle (Sallallahu Alaihi Wasallam) Allah's Apostle (Sallallahu Alaihi Wasallam) having said: He who visits a diviner ('Arraf) and asks him about anything, his prayers extending to forty nights will not be accepted.

[Sahih Muslim :: Book 26 :: Hadith 5540]

Urdu Translation: Hazrat Safiyya RadiyAllahu Anha baaz Azwaj Mutahrat se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: Jo shaks kisi Nujumi ke paas jakar us se (Mustaqbil ya Qismat ke bare mein) kuch puche to 40 din tak us ki Namaz qubool nahi hogi.

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 5 :: Hadith 5821]

●◗► Allah Bachaye Kaahin aur Nuujumi ke paas jana aur us se koi Baat puchna kitna bada Gunah hai phir us ki baat par Yaqeen karna kitna bada Gunah hoga, Hamare Zamane mein baaz Be’waqoof Jahil aise nikle hain jo Shri’ate Islami ki pakki pakki baton ka inkar karte hain lekin Nujumi aur Pandit par yaqeen rakhte hain, Allah Hidayat den in sab ko. Aameen



✦...............♥ Nekiyon ke Zariye Gunahon ki Talafi ♥...............✦

●◗► Aaj hamari Roz Marrah Zindagi mein Gunahe sar zad hote hi hai koi kisi ki Burayi kardeta hai ya Chogli ya kisi se Jhoot ya Takleef dedete hain Aise lamhat mein Insan Gunah kar kar Aise bhool jata hai Jaise ke us ne Gunah kiya hi na ho Allah Muaaf kare har Insan ko Apna Muhasiba karna Chahiye ke us se kya Gunah sarzad hua aur ho rahe hain Agar kisi ko Takleef pohchayi ho to Toba o Astaghfar ke sath sath us bande se bhi Muaafi mangen Aur Foran koi Neki kare Taake wo Neki us Gunah ko mitade.

Abu Dharr RadiyAllahu Anhu said: "The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said to me:

❶ 'Have Taqwa of Allah wherever you are,
❷ And follow an evil deed with a good one to wipe it out,
❸ And treat the people with good behavior."

[Jami at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 1 :: Hadith 1987]

Urdu Translation: Hazrat Abuzar RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke Mujhe RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne yun Nasihat Farmayi:

❶ Tum jahan kahin bhi ho Allah se darte raho.
❷ Aur Koi Gunah sarzad hojaye to Foran Neki karliya karo ye Neki us Gunah ko mitadegi.
❸ Aur Logo ke sath Acche Akhlaq se paish aao.

[Urdu Ref :: Jami at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Hadith 2051]


✦...............♥ MUSALMAN Aur HINDUSTAN ! ♥...............✦

✔ Mili (AAZADI) Jis Se Wo Shakhs Musalman Hi Tha.

✔ Diya Hind Ko (TAJ MAHAL) Jisne Wo Shakhs Musalman Hi Tha.

✔ Aaj Kehte Hai Ye Log Ke (DEHESHAT GARD) Hai Musalman.

✔ Shuru ki Jisne (JANG-E-AAZADI Ki LADAI) Wo (TIPU SULTAN) Musalman Hi Tha.

✔ Jahan Lehrata Hai (TIRANGA)Aaj Bhi Badi Shaan Se, Kiya Tameer Jisne (LAAL QILA) Wo Shakhs Musalman Hi Tha.

✔ Sare Jahan Se Achcha Hindustan Hamara, Likha Jisne (TARAN-E- HIND) Wo (IQBAL) Musalman Hi Tha.

✔ Yun Hi Nahi Aazad ho gaya Aazad-e-hind, ,Jab Aazadi Mili Hind Ko Wo Mahina (RAMZAN) Ka Tha.

✔ 15Aug 1947 (27 RAMZAN, Ki Aur din (JUMA) Ka Hi Tha.

•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´
★•.•´¯`´¯`´¯`•.•★ ♥ Happy Independence Day! ♥ ★•.•´¯`´¯`´¯`•.•★
•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´

10 comments:

  1. Very good blogspot.com Blog with alot of beautiful images. I wonder how to manage to compile and create such a good blog. It must have taken you a long time to do this. May Allah gives correct direction to every Muslim. You can also Learn Quran Online at my blog.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Aameen Ya Allah Jazakallahu Khair My Dear Sister Sophia Saleem :)

      Delete
  2. Here is a 2.5 years old website. They teach Quran education for every one and their Quran for kids learning program is some thing that parents may look into it. As it is easy to learn Quran online without leaving your home.

    ReplyDelete
  3. Asalamualakum Brother, I have read your blog, nice work. Best wishes from Online Quran Learning JazakAllah khair.

    ReplyDelete
  4. Hii Abuzar.... thanks for sharing such a beautiful information about Hadees. People should be know about our Islam knowledge. There are lots of online lectures where you can learn quran online.

    ReplyDelete
  5. Insan dukh nahin detay,
    insanon se wabasta ummeedain dukh deti hein.
    (HAZRAT ALI)
    Online Naats

    ReplyDelete
  6. Aslamo alai kum
    Abuzar bhai masah Allah aap ne wibe side achhi Bana e hai Allah aap ko zajak khair dega duniya aur aakhrat
    Aameen.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Waalikum Assalam Warahmatullahi Wabarakatuh Bhai Aameen JazakAllahu Khair

      Delete