Saturday 6 September 2014

✦..........♥ Darbare Khudawandi Mein Hazri ke Waqt ♥..........✦

✿▶ Zaib o Zeenat Ekhtiyar karen ◀✿

⇨ "O Children of Adam! Look to your adornment at every place of worship," (Qur’an 7:31)

⇨ Urdu Translation: "Aye Aoulade Aadam! Har Ibadat ke Moqe par Apni Zeenat se Aarasta raho." (Qur’an 7:31)

●◗► Zeenat se Murad Libas hai aur libas wo hai jo Aazaye Makhsoosah ko Chupale aur Accha hon, Hamen Office par ya Kisi Function mein jana ho to Sajh Dhajke Khusbo wagerah laga kar Acche libas pahen kar ghar se Nikalte hain aur yahi Jab Allah Subhanahu Wa Ta'ala ke Samne Ibadat ki Haazri ke Waqt jis Haal mein ho usi haal mein Chale jate hai Aisa na kare Allah ki Ibadat ke Waqt Jab bhi Masjid jao Zaib o Zeenat Ekhtiyar karo.


✦.............♥ Aashiq Mizaaj Logon Ke Liye Nasihat ♥.............✦

◗► Jo ladki aaj tumhari Mohabbat ke chakkar mein Apne Maa, Baap, Bahen, Bhaiyyon Jaisi hasti ko dhoke de sakti hai kal wo tumhein bhi aise hi dhoke de sakti hai.

◗► Jo ladka Aap se pyar Mohabbat aur Ulfat wo Chahat ke sapne dikha raha hai kal ko wo Aap jaisi kitni ladkiyon ke sath aisa karega.

●════════════════════◄►═══════════════════●

Aye Bint-e-Hawwa sambhal khud ko, Ye Ibn-e-Adam hawas ko chahat ka naam dekar, Pyaas apni bujha raha hai, ye Tera daman jala raha hai, Magar tu paikar wafa bani hai, Wafa hi Teri khata bani hai, Tu kitni sada Tu kitni pagal, Tu kis ki baton mein Aarahi hai...? :(  Moqam apna Ganwa rahi hai :(

:( Ye Chahaton ka fareib dekar, Tumhare Jazbon se kheilte hain, Apni khuahesh mitane tak ye Tumhari Chahat ko Jheilte hain, Magar ye apni Hawas mita kar Tumhen bhula kar, Shikaar Agla talash te hain :'( Aye Bint-e-Hawwa Sambhal khud ko.


✦..........♥ Apni Aoulad ko Behtar Mustaqbil Faraham Karen ♥..........✦

●◗► Agar Aap chahte hain ke Kal Aap ke bacche Aap ko Acche Alfaz mein yaad Rakhen….. to Aaj Bacchon ko Umdah Taleem o Tarbiyat kar ke Unhen Behtar Mustaqbil Faraham karne ki koshish kare, Aur Haaan..

♥ Apni Aoulad ko Deeni Taleem laazmi do kyun ke Agar Aap ki Aoulad Deendar Hogi to Deen Naslon tak Chalta rahega ♥ InshaAllah ♥ Aap ki Aoulad Naik hogi to Aap ke Guzarjane ke Baad bhi Aap ke liye Aa’mal ka Silsila bhi chalta rahega.


✦.........♥ Tohfa..! Dekar Bhool Jayen..!! Lekar Yaad Rakhen ♥.........✦

Abu Hurayra RadiyAllahu Anhu reported that the Prophet, may Allah bless him and grant him peace, said, "That Exchange Gifts, as that will lead to increasing your Love to one another."

[Al-Adab Al-Mufrad :: Book 30 :: Hadith 594]

Urdu Translation: Hazrat Abu Huraira RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya ke "Aik Dusre ko Tohfe do! Is se Tum Baaham (Yani Aapas mein) Mohabbat karoge."

[Al-Adab Al-Mufrad :: Hadith 594]

●════════════════════◄►═══════════════════●

✦ Jab Dedo to Phir Dobara Apna Hiba (Gift) Wapas Na lo ✦

Narrated Ibn ‘Abbas RadiyAllahu Anhu: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "One who takes back his gift (which he has already given) is like a dog that swallows its vomit."

[Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Book 47 :: Hadith 762]

Urdu Translation: Hazrat Ibn Abbas RadiyAllahu Anhu se rivayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya "Apna Hiba (gift) wapas lene wala us Kuttey (dog) ki tarah hai jo Qey (Vomit) karke phir chaat jata hai."

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 4 :: Hadith 2589]


✦..........♥ FACEBOOK Istemal Karne Walon Se Aik Guzarish ♥..........✦

●◗► Daikha gaya ke log kisi Siyasi o Maslaki Jama'at ki Himayat mein Apne Dost/Rishtedaron se bhi ladayi jhagde par utar Aate hain.

Aap sab se Guzarish hai ke apne kisi Qaribi se Maslaki Ekhtelaf hone ka ye Matlab nahi ke Apno se qata Talluq karliya jaye, ISLAM jahan kalmaye Haq ka hukum deta hai wahi Hamen Hikmat o Sulah Rahmi, Acche Akhlaq aur Sabr o Tahammul ka bhi sabaq deta hai.

◈ ➲ Aap apne Dost/Rishtedaron ko Hikmat se Deen ki sahi Raah dikhaye Ladayi par Muafi mang kar dosti karlen, Allah ham sab ko Zindagi ke har Shobe mein ISLAM par Sahih maano mein Aml karne ki Toufeeq de. Aameen

●════════════════════◄►═══════════════════●

⇨ "And remind, for indeed, the reminder benefits the believers." (Qur’an 51:55)
⇨ "Aur Nasihat karte rahen Yaqinan ye Nasihat Imaan Walon ko Nafa Degi." (Qur’an 51:55)

Narrated Jubair bin Mut'im RadiyAllahu Anhu: That he heard the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) saying, "The person who severs the bond of kinship will not enter Paradise."

[Sahih Bukhari :: Vol. 8 :: Book 73 :: Hadith 13]

Urdu Translation: Hazrat Jubair bin Mut’im RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: Qata Rahmi karne wala (Yani rishte nate Todne wala) Jannat mein Nahi Jayega.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 7 ::  Hadith 5984]


✦.................♥ Jannat Mein Mahel ki Zamanat ♥.................✦

✿▶ 12 Rakat Sunnate Muakkadah ki Pabandi ◀✿

Aishah RadiyAllahu Anha narrated that Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Whoever is regular with twelve Rak'ah of Sunnah (prayer), Allah will build a house form him in Paradise:

► Four Rak'ah before Zuhr,
► Two Rak'ah after it,
► Two Rak'ah after Maghrib,
► Two Rak'ah after Isha, and
► Two Rak'ah before Fajr."

[Jami at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Book 2 :: Hadith 414]

Urdu Translation: Hazrat Ayesha RadiyAllahu Anha se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: "Jo shaks Rozana pabandi ke sath 12 Rakat Sunnate Muakkadah padha kare us ke liye Jannat mein Aik ghar banaya jayega, (wo 12 Rakat ye hain):

► 4 Rakaten Zohar se pehle aur
► 2 Rakat Zohar ke baad,
► 2 Rakat Maghrib ke baad,
► 2 Rakat Isha ke baad, aur
► 2 Rakat Fajr se pehle."

[Urdu Ref :: Jami at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Hadith 395]


✦............✔ Tezi se Badalte Hue KAMYABI ke Me’yaar ✔............✦

◈ 4 saal ki umr mein kamyabi ye hai ke Aap kapdon mein paishab na karen.
◈ 12 saal ki umr mein kamyabi ye hai ke Aap ki Taalimi kar kirdgi behtar ho.
◈ 18 saal ki umr mein kamyabi ye hai ke Aap shanakhti Card aur Driving License hasil karlen.
◈ 24 saal ki umr mein kamyabi ye hai ke Aap University level tak Taleem yafta hon.
◈ 25 saal ki umr mein kamyabi ye hai ke Aap ko Man pasand Nokri Miljaye.
◈ 28 saal ki umr mein kamyabi ye hai ke Aap kisi Acche gharane mein shadi karlen.
◈ 35 saal ki umr mein kamyabi ye hai ke Aap sahibe Aoulad hon aur Aap ke paas Maal bhi ho.
◈ 45 saal ki umr mein kamyabi ye hai ke Aap ki dhalti jawani ke Asrat logon par Wazeh na ho.
◈ 55 saal ki umr mein kamyabi ye hai ke Bacchon ki Taleem o Tarbiyat ka phal Aap ko milna shuru hojaye.
◈ 60 saal ki umr mein kamyabi ye hai ke Aap Maali tor par khub Mustahkam hon, kisi ki Mohtajgi na ho.
◈ 65 saal ki umr mein kamyabi ye hai ke Aap Mozi Amraz se Mahfooz rahen.
◈ 70 saal ki umr mein kamyabi ye hai ke Aap ke dukh dard batne wale dost hon.

●◗► Aur Marne ke Baad Kamyabi ye hai ke: ✔ "Aap Jahannam ki Aag se bacha kar Jannat mein dakhil kardiye Jayen, yahi Asal kamyabi hai, is se pehle ki Tamam kamyabiyan Mahez khail kood aur dhoke ka Samaan hain." (Qur’an 3:185) ✔


✦...................♥ Dua ki Qubuliyat Yaqeeni Hai ♥...................✦

●◗► Aaj Aksar ke Zuban se ye suna Jata hai ke Allah hamari Dua Qubool nahi karta is Tarah kehna ya Sochna Galat hai Dua ke Teen pahlu hain Jo bhi Musalman Allah Tala se Aisi Dua Mange Jis mein Gunah aur Qata rahmi ka sawal na ho to Allah Tala us ko teen chizon mein se aik Cheez zaroor ata farmate hain Ya to Qubool hoti hai ya Aakhirat ke liye Zakhirath karli jati hai Ya us dua ke badle (Aane wali) Musibat door farmadete hain.

It was Narrated from Abu Saeed (RadiyAllahu Anhu) that the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "There is no Muslim who does not offer any Dua in which there is no sin or severing of family ties but Allah will give him one of three things in return:

❶ Either He will answer his Dua sooner,
❷ Or he will store it up for him in the Hereafter,
❸ Or he will divert an equivalent evil away from him because of it."

They (companions of the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam) said: “We will say a lot of Dua.” The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: “Allah is more generous.”

[Musnad Ahmad :: Hadith 11149]

●════════════════════◄►═══════════════════●

Urdu Translation: Hazrat Abu Sayeed Khudri RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Jo bhi Musalman Allah Subhanahu Wa Ta'ala se Aisi Dua Mange Jis mein Gunah aur Qata rahmi ka sawal na ho to Allah Subhanahu Wa Ta'ala us ko Teen chizon mein se Aik Cheez zaroor ata Farmate hain:

❶ Jo us ne manga wo use ata farmadete hain,
❷ Ya us dua ko Aakhirat mein us ke liye zakhirah bana dete hain,
❸ Ya us dua ke badle (Aane wali) Musibat door farmadete hain."

ye sun kar Hazrat Sahaba Ikram RadiyAllahum Ajmayeen ne Arz kiya ab to ham Khoob Duayen Mangenge, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: Allah Subhanahu Wa Ta'ala is (Tumhare mangne) se bhi zyadah Ata farmane wala hai.

[Musnad Ahmad :: Hadith 11149]


♥ Duaye Mustafa Sallallahu Alaihi Wasallam se Sarsabz o Shadab Rahiye ♥

"  نَضَّرَ اللَّهُ امْرَأً سَمِعَ مِنَّا حَدِيثًا فَحَفِظَهُ حَتَّى يُبَلِّغَهُ"

Narrated Zayd ibn Thabit RadiyAllahu Anhu: I heard the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) say: May Allah brighten a man who hears a tradition from us, gets it by heart and passes it on to others.

[Sunan Abu Dawood :: Book 25 :: Hadith 3652]

Urdu Translation: Hazrat Zayd bin Sabit RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke Maine RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ko ye Farmate hue Suna: Allah Subhanahu Wa Ta'ala Khush o Khurram aur sarsabz o Shadab rakhe mere us Ummati ko jo meri HADEES sune, use Zahen mein bithaye aur yaad kare aur phir us ki Tableegh o Isha’at mein lag jaye.

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 3 :: Hadith 261]

●◗► Behuda, Shair Shayari, Fahashi, Wahiyat tabahi, Fuzool, Nafrat o Adawat aur Gibat o Bohtan par Mushtamil Mawaad ke Bajaye Quran o Hadees ke Mustanad Paigham ko Aam kijiye.


✦..........♥ HAQIQI TABDEELI – THE REAL CHANGE ♥..........✦

⇨ "Allah Subhanahu Wa Ta'ala ka Irshad hai: Yaqin Jano ke Allah kisi Qoum ki halat us waqt tak Nahi Badalta Jab tak wo khud apne Halaat mein Tabdeeli na le Aaye." (Qur’an 13:11)

Haqiqi Tabdeeli Agar Aasakti hai to Sirf:

❶ Vote se
❷ Nizam badalne se
❸ Hukmranon ke Badalne se
❹ Bahaisiyate Qoum, Aa’mal o Akhlaq durust karne se.

●════════════════════◄►═══════════════════●

⇨ "Indeed, Allah will not change the condition of a people until they change what is in themselves." (Qur’an 13:11)

A real change can come only When:

❶ Casting Vote
❷ Changing the System
❸ Replacing the leaders
❹ Repairing our deeds and manners.


✦..................♥ Gunahon Par Toba ♥...............✦

It was narrated from Anas RadiyAllahu Anhu that the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: “Every son of Adam commits sin, and the best of those who commit sin are those who repent.’”

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Book 37 :: Hadith 4251]

Urdu Translation: Hazrat Anas RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: Har Insan khata kaar o Gunah gaar hai aur Behtareen Gunahgar wo hai jo Apne Gunahon par Toba Astaghfar kare.

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 3 :: Hadith 1132]

No comments:

Post a Comment