Wednesday 17 September 2014

✦✿▶ Manasik Al-Hajj- Hajj Mein kiye Jane wale Sath (7) Aa’mal (Manasike Hajj) ka Mokhtasar Ta’arruf Aur Haj ke Tawaaf ki Teen Qismen ◀✿✦

❶ Ihram (Koi Cheez Apne uphar Haram karna): Umrah ya Hajj ki Niyyat karte hue Talbiya padhna, Aisa karte hi wo 7 chizen na Jayez hojati hain jo Haji ke liye Mamnoo hain, Ehram ki Chadaren badalna durust hai.

❷ Tawaaf (kisi Cheez ke Gird ghumna, Chakkar lagana): Baitullah ke Gird 7 chakkar lagana, har Chakkar Hajre Aswad se shuru hokar usi par khatam hota hai, Tawaf ke douran Nigah samne rakhen, Khana Kaba ki taraf sina ya pusht na karen, Tawaaf mein wuzu Zaroori hai.

❸ Saee (Taiz chalna): Safa aur Marwah ke darmiyan sath (7) Chakkar lagana, Safa se Marwah tak aik aur Marwah se Safa tak Dusra chakkar shumar hota hai, is liye Saee ke 7 Chakkar Safa se Shuru hokar Marwah par khatam hote hain, Saee ba Wuzu Sunnat hai.

❹ Wuqoof (Taherna): Haj mein do Wuqoof hote hain: 9 Zulhijjah ki Zohar se Guroob tak “Arfah” mein, aur 10 Zul Hijjah ki Namaz Fajr ke baad Tulu se zara pehle tak “Muzdalifah” mein, “Pehla” Farz “Dusra” Wajib hai.

❺ Rami (Phaikna): Eid ke pehle din 10 Zul hijjah ko Tulu ke baad Sirf bade sutoon aur 11,12 Zul hijjah ko zawal ke Baad Teeno sutunon ko Sath Sath (7) (7) kankariyan marna, yun kul 49 kankariyan huwin, ye Muzdalifah se chun li jati hain, Pehli Kankari marte hi Talbiya khatam kardiya jata hai, bade Shaitan ki Rami ke baad Dua nahi.

❻ Qurbani (Janwar zabah karna): Jo Haji aik hi safar mein Hajj aur Umrah dono ki Sa’adat hasil kare us par shukrane ke tor par Haj ki Qurbani lazim hai, ye Eid ki Qurbani ke Alawah hai.

❼ Halq (Baal mudwana) Qasr (Chota karna): ‘Halq’ Ihram se nikalne ke liye Mardon ka baal Mundwana, Agar baal na ho to Ustara phirwana. ‘Qasr’ Ihram se Nikalne ke liye km az km Chaothayi sir ke baal Ungli ke Aik pore….se kuch zayed…Katna. Mard Halq ya Qasr dono kar sakte hain, Aourten sirf Qasr karengi.

●════════════════════◄►═══════════════════●

✦.........:: Haj ke Tawaaf ki Teen Qismen hain ::.........✦

◗► Tawaaf Qudoom (Aamad ka Tawaaf): Baitullah Aamad ke moqe par kiya jata hai aur Sunnat hai.

◗► Tawafe Ziyarat (Mulaqat ka Tawaaf): Hajj ka markazi tawaaf jo Eid ke teen din 10,11,12 Zul hijjah ke Douran kisi waqt kiya jata hai, ye Tawaaf farz hai, Jab tak na kiya jayega Miyan Biwi aik dusre par Halal nahi hote.

◗► Tawaaf Wada’a (Wapsi ka Tawaaf): Hajj se Watan wapasi ke Moqe par kiya jata hai aur Wajib hai.


✦ Say the following words when bidding the intending Haji farewell ✦

" زَوَّدَكَ الله التَقْوى, ووَجَّهَكَ فِى الخَيْرِ, وَكَفَّاكَ الهَمِّ "

"Zawwadakallahuttaqwa wa wajjahaka fil khayri wa kafakalhamma."

"May Allah make Taqwa your provision, direct you towards goodness and may He be sufficient for you in distress." (At-Tabrani)

✦............♥ HAJIYON SE DARKHWAST ♥............✦

✿ Tum Muqaddas safar pe jate ho, Umr bhar ki murad pate ho, Muntakhib tum huye ho gawon mein, Yaad rakhna hamen duaon mein.

✿ Apna Ehram zeb tan kar ke, Hadd-e-Meeqat se guzar kar ke, Rab se Labbaik ki sadawon mein, Yaad rakhna haemen duawon mein.

✿ Daalen pehli nazar jo kabe par, dar Hudood-e-Haram jabeen rakh kar, Dar Mutaaf-o-Haram ki chawon mein, Yaad rakhna hamen duaon mein.

✿ Multazim mein Tawaf-e-kaba Mein, Nosh-e-zam zam o Safa-o-Marwa mein, Sab Maqamon pe sab dishawon mein, Yaad rakhna hamen duaon mein.

✿ Jab Mina mein mile tumhen Fursat, Yaum-e-Arfa ba Saya-ye-Rahmat, Wadiyon ki khuli Hawaon mein, Yaad rakhna hamen duaon mein.

✿ Sar Zameen-e-Adab pe jab pahuchen, Sabz gumbad pe jab tiken nazren, Jaan faza khuld ki Hawawon mein, Yaad rakhna hamen duaon mein.


✦......♥ Aik Tarfa Baat Sunkar Kabhi Raye Qayem na Karen ♥......✦

◗► Imam Sha'bi (Rahmatullahi Alaih) farmate hain ke main Qazi Shureh (Rahmatullahi Alaih) ke paas baitha hua tha, Aik Aourat Apne Khawind ke khilaaf Shikayat lekar Aayi, Jab Adalat mein Hazir hui to Apna bayan dete waqt Zaaro Qataar rona shuru kardiya, Mujh par us ki Aah o Baka par bahot Asar hua Main ne..

Qazi Shureh se kaha, Is Aourat ke rone se zaahir hota hai ke ye Yaqinan “Mazloom aur be kas hai is Aourat ki Faryad rasi zaroor karni chahiye, Meri baat sunkar Qazi Shureh (Rahmatullahi Alaih) bole.

Aye Sha’bi! Hazrat Yusuf Alaihis Salam ke Bhaiyyon ne bhi unhe Kunwe mein dalne ke baad apne Baap ke paas rote hue hi Aaye the.

◗► Matlab ye hai ke Aik Tarfa baat sunkar kabhi Raye Qayem na karen, dono Taraf ki baat Sunkar aur khoob Halaat Ma’loom kar ke phir Faisla karna chahiye.


✦..♥ Hajre Aswad ko Chumna Aur Rukne Yamani ko Hath Lagana ♥..✦

Ibn Abbas RadiyAllahu Anhu narrated that: The Messenger of Allah (Sallallahu Aliahi Wasallam) said: "The Black Stone descended from the Paradise, and it was more white than milk, then it was blacked by the sins of the children of Adam."

[Jami at-Tirmidhi ::  Vol. 2 :: Book 4 :: Hadith 877]

Urdu Translation: Hazrat Ibn Abbas RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: Hajre Aswad Jannat se is Halat mein utra tha ke wo Doodh se bhi Zyadah sufaid tha, Magar Insanon ke Gunaho ne use Siyah kardiya.

[Urdu Ref :: Jami at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Hadith 859]

●════════════════════◄►═══════════════════●

Narrated by Ibn Umar RadiyAllahu Anhu He said: I heard the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) say: “Touching them both (the Black Stone and al-Rukn al-Yamani) is an expiation for sins.”

[Jami at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Book 4 :: Hadith 959]

Urdu Translation: Hazrat Abdullah bin Umar RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: Beshak Hajre Aswad aur Rukne Yamani ko Chuna Gunahon ka Kaffarah hai.

[Urdu Ref :: Jami at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Hadith 946]

●════════════════════◄►═══════════════════●

Ibn Abbas RadiyAllahu Anhu narrated that: The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said about the (Black) Stone: "By Allah! Allah will raise it on the Day of Resurrection with two eyes by which it sees and a tongue that it speaks with, testifying to whoever touched it in truth."

[Jami at-Tirmidhi ::  Vol. 2 :: Book 4 :: Hadith 961]

Urdu Translation: Hazrat Abdullah Ibn Abbas RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Hajre Aswad ke bare mein Irshad Farmaya: Allah ki Qasam! Allah ise Qayamat ke din Aisi Halat mein uthayenge ke is ki do Aankhen hongi Jis se ye daikhe ga aur Zuban hogi jis se ye Bolega aur un logon ke bare mein Gawahi dega Jinhone ise Haq ke sath Bosa diya ho.

[Urdu Ref :: Jami at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Hadith 948]


✦..:: Jum'ah ki Azan Sunte hi Dunyawi Masrufiyaat Tark Karden ::..✦

⇨ "O you who have believed, when [the adhan] is called for the prayer on the day of Jumu'ah [Friday], then proceed to the remembrance of Allah and leave trade. That is better for you, if you only knew." (Qur’an 62:9)

⇨ "Urdu Translation: "Aye Wo logon jo Imaan laye ho! Jum'ah ke din Namaz ki Azan di jaye to tum Allah ke Zikr ki taraf dod pado aur khareed o Farokht Chhordo ye tumhare Haq mein bahot hi behtar hai agar tum ko samajh hai." (Qur’an 62:9)

●═══════════════════◄►══════════════════●

✦.....✔ Jumah ke Din Surah Al-Kahf ki Tilawat Haftah Bhar Noor hi Noor ✔.....✦

✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "READ SURAH AL-KAHF ON FRIDAY" ✦

Don't forget to read Surah Al-Kahf today and have your light from this Jumu’ah to the next Jumu’ah!

The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Said: "Whoever reads Surat Al-Kahf on the day of Jumu’ah, will have a light that will shine from him from one Friday to the next."

[Sunan Baihaqi :: Hadith 5856] [Al-Haakim :: 2/399, Al-Bayhaqi :: 3/249]

Urdu Translation: Hazrat Abu Sayeed Al-Khudri RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke Nabi kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya "Jo shaks Jumah ke din Surah Kahf ki tilawat kare to us ke liye is Jumah aur Agle Jumah ke darmiyan Noor Jagmagata Rahega."

[Urdu Ref :: Mustadrak Al-Hakim :: Hadith 3392]


●◗► Kaha jata hai ke Mohabbat Insan ko Andha kardeti hai Magar "ISLAM" se Mohabbat Insan ko Aisi Roshni Ata karti hai Jis se har Cheez Nikhri Nikhri aur Khoobsurat Nazar Aane lagti hai.

●◗► It's said, love makes a person blind But love of "ISLAM" gives him light helping him differentiate between right and wrong And everything appears beautiful and clear.


✦..♥ Harmain ke Musafir Allah Subhanahu Wa Ta'ala ke Mehman ♥..✦

It was narrated from Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu that the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "The pilgrims performing Hajj and ‘Umrah are a delegation to Allah. If they call upon Him, He will answer them; and if they ask for His forgiveness, He will forgive them."

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Book 25 :: Hadith 2892]

Urdu Translation: Hazrat Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: "Haj aur Umrah par Jane wale Allah Subhanahu Wa Ta'ala ke Mehman hain, Agar ye Dua mangen to Allah Tala un ki Dua Qubool Farmate hain aur Agar ye Log Maghfirat ke Talabgaar hon to Allah Tala un ki Maghfirat Farmadete hain."

[urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 2 :: Hadith 1049]


●◗► "Jab Pareshaniyan Aap ko din mein 100 Martaba rulane aur Pareshan karne ka sabab ban rahi hon....To Yaad Rakhiye!! ► Allah ki Zaat par Tawakkul aur Kamil Yaqeen aap ko 1000 Martaba Muskurane aur khush rahne ka Moqa dega." :)

●◗► "When worries make you cry 100 times in a day....Just remember ! Trust in Allah completely will make you smile 1000 times." :)


✦.........♥ BARISH Ki Tabaah Kaariyon Se Hifazat Ki Dua ♥.........✦

" اللَّهُمَّ حَوَالَيْنَا وَلاَ عَلَيْنَا، اللَّهُمَّ عَلَى الآكَامِ وَالْجِبَالِ وَالآجَامِ وَالظِّرَابِ وَالأَوْدِيَةِ وَمَنَابِتِ الشَّجَرِ "

"Allahumma hawalaina wala Alaina, Allahumma Alal Aakaami Wal-jibali Wal-Aajaami  Wadh-dhirabi Wal-Audiyati WamanaBitish Shajar."

"Aye Allah! Hamare ird Gird barish barsa aur Ham par na Barsa, Aye Allah! Telon, Pahadon, Jangalaat, Oonche Maidanon, Waadiyon aur Darakhton ki Jadon mein Barish barsa."

'O Allah! Round about us and not on us. O Allah! On the plateaus, on the mountains, on the hills, in the valleys and on the places where trees grow.'

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 2 :: Book 17 :: Hadith 126]
[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 2 :: Hadith 1013]


✦.........:( Zalzale, Tufaan aur Aandhiyan Kyun Aati Hain ? :(.........✦

Urdu Translation: Hazrat Abu Huraira RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya:

► Jab Maal Ghanimat ko zati doulat qarar diya jane lage.
► Jab zakat ko Tawaan (bojh) samjha jane lage.
► Jab Ilm ko deen ke Alawa kisi aur Garz se sikha jane lage.
► Jab mard Biwi ki Ita’at aur Maa ki nafarmani karne lage.
► Jab (bure) doston ko Qreeb aur Baap ko door kiya jane lage.
► Jab Masjid mein shor o gul Machaya jane lage.
► Jab qoum o Jama’at ki qiayadat us ke Fasiq log karne lagen.
► Jab Qoum ke Zaleel log us ke leader o sarbarah banne lagen.
► Jab Aadmi ki Tazeem us ke shar aur Fitne ke dar se ki jane lage.
► Jab logon mein Gane waliyon aur Saaz o Bajon ka daor daora hojaye.
► Jab Sharaben pi jane lagen.
► Jab is Ummat ke baad Wale log Aglon par La’nat bhaijne lagen. To tum us waqt Intezar karo.

► Surkh (shadeed tareen aur Tufani) Aandhi ka
► Zalzale ka
► Zameen ke dhas Jane ka
► Shaklon ke Masak aur Bigad jane ka
► Pattharo ke barasne ka.

Neez in chizon ke Alawah Qayamat ki digar Nishaniyon aur Alamaton ka intezar karo jo is tarah lagatar Zahir hongi Jaise ladi ka dhaga tute aur us ke dane pe darpe girne lagen.

[Urdu Ref :: Jami at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 90]

●════════════════════◄►═══════════════════●

Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu narrated that the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "When Al-Fai' is distributed (preferentially), trust is a spoil of war, Zakat is a fine, knowledge is sought for other than the(sake of the) religion, a man obeys his wife and disobeys his mother, he is close to his friend and far from his father, voices are raised in the Masajid, tribes are led by their wicked, the leader of the people is the most despicable among them, the most honored man is the one whose evil the people are afraid of, singing slave-girls and music spread, intoxicants are drunk, and the end of this Ummah curses its beginning- then anticipate a red wind, earthquake, collapsing of the earth, transformation, Qadhf, and the signs follow in succession like gems of a necklace whose string is cut and so they fall in succession."

[Jami at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 7 :: Hadith 2211]

1 comment:

  1. Choose Cheap Umrah Tours with Al Hijaz Tours and make your hearts feel the high spirits being the guest of Allah. Spend your time in remembrance of Allah, seek his forgiveness and have a memorable time of your journey of Umrah.

    ReplyDelete