Monday 15 December 2014

✦....:) Saas Bahu aur Miya Biwi ke Jhagde se Chutkara Pane ka :)....✦

▶▶▶ 3 Nikati Nabwi Formulas ◀◀◀

❶ Biwi ko khule Dil se Tasleem karna chahiye ke mere Shohar par sab se zyadah Haq un ki Waldah Mohtarma ka hai Kyun ke.

✔ Allah Pyare Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ka Irshad Girami hai: "Aourat par Sab se zyadah Haq us ke Shohar ka hai aur Mard par Sab se zyadah Haq us ki Maa ka hai." [Mustadrak Al-Hakim]

❷ Shohar ko Agar Biwi ki koi Baat Na gawaar Guzre to use Bunyad bana kar Biwi se hargiz Nafrat na kare Balke us ki Digar khubiyon par Nazar rakhe.

✔ Allah ke Pyare Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ka Irshad hai: "Musalman Mard Apni Musalman Biwi se Nafrat na kare, Agar Biwi ki Aik Aadat buri Maloom hoti ho to Dusri Aadat pasand hogi." [Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol.4 :: Hadith 3645]

❸ Saas Bahu mein koi Oonch Neech hojaye to Ladki ke Rishtedaron ko chahiye ke wo Ladki ko samjhota karne ki Targeeb den Shohar ya us ke Khandaan ke khilaf hargiz na Bhatkayen Kyun ke.

✔ Allah ke Pyare Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ka Irshad hai: "Wo Ummate Muhammadiya mein se nahi jo Aourat (ke samne us ke Shohar ki Burayyan kar ke us) ko Shohar ke khilaf uksaye." [Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 2 :: Hadith 408]

●════════════════════◄►═══════════════════●

Aisha RadiyAllahu Anha reported "I asked the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam): Who has the greatest right over a woman?  He (Sallallahu Alaihi Wasallam) said:  Her husband.  I said:  And who has the greatest right over a man?  He (Sallallahu Alaihi Wasallam) saiid:  His mother."  [Mustadrak Al-Haakim]

Abu Huraira (Allah be pleased with him) reported Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) as saying: A believing man should not hate a believing woman; if he dislikes one of her characteristics, he will be pleased with another. [Sahih Muslim :: Book 8 :: Hadith 3469]

Narrated AbuHurayrah RadiyAllahu Anhu: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: Anyone who incites a woman against her husband or a slave against his master is not one of us. [Sunan Abu Dawood :: Book 12 :: Hadith 2170]

✦.......✿...........♥ Gusse ka ILAAJ ♥...........✿.......✦

●◗► Aik Shaks Gusse ka Bahot Taiz tha..!! Aik Buzurg ne use Mashwerah diya: Jab Gussa Aaye to jangal jakar Darakht mein keel thokna, Us ne Aisa hi kiya, Aakhir aik din us ka Gussa khatam hogaya, us ne Buzurg ko bataya,

Buzurg ne kaha Ab us Darakht se ye Keelen nikal lo, Aadmi ne keelen nikal lin Lekin darakht mein Surakh hogaye, Buzurg ne kaha: "Ye wo Surakh hain jo tum Gusse ki Halat mein Logon ke Dilon mein karte the."

●════════════════════◄►═══════════════════●

Mu`adh bin Jabal RadiyAllahu Anhu narrated: That one of the two men cursed the other next to the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam), until anger could be recognized in the face of one of them. So the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: “Verily, I know a statement, that if he were to say it, his anger would leave: ‘I seek refuge in Allah from Shaitan, the rejected (A`ūdhu billāhi minash-shaiṭānir-rajīm).’”

[Jami at-Tirmidhi :: Vol. 6 :: Book 45 :: Hadith 3452]

Urdu Translation: Hazrat Mu`adh bin Jabal RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke Do shaks Nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki Moujoodgi mein Aik dusre ko bura bhala kehne lage yahan tak ke Aik ke chehre par Gusse ke Aasaar Zaaher hogaye to RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya main Aisa kalimah Janta hun ke Agar ye kalimah kehde to us ka Gussa khatam hojayega wo (A`ūdhu billāhi minash-shaiṭānir-rajīm) hai.

[Urdu Ref :: Jami at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 1377]

✦........X Bayen (left) Hath se Lain Dain Shaitani Aml X........✦
▶ Taajir, Dukaandar aur Bank’kaar Hazraat Mutawajjeh Hon!! ◀

It was narrated from Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu that the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Let one of you eat with his right hand and drink with his right hand, and take with his right hand and give with his right hand, for Satan eats with his left hand, drinks with his left hand, gives with his left hand and takes with his left hand."

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 4 :: Book 29 :: Hadith 3266]

Urdu Translation: Hazrat Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu se riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Tum mein se har shaks Dayen hath se khaye, Dayen hath se piye, Dayen hath se cheez le aur Dayen hath se de kyun ke Shaitan Bayen hath se khata, Bayen hath se pita, Bayen hath se cheez deta aur Bayen hath se leta hai."

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 3 :: Hadith 147]

✦..........♥ Neki isi Tarah to Aage Chala Karti Hai ♥..........✦

●◗► Mazedar khana khane ke baad us ne Bill mangwaya, Paise nikalne ke liye Jaib mein hath dala, Batwa na pakar khof se us ki Halat hi kharab hogayi, wo idhar udhar Jaibo mein tatola Magar batwa kaha se milta wo to Office se nikalte hue Maiz par hi reh gaya tha, sar jhukaye Aane wali is Nobat o pareshaniyon aur un ke haal par ghor karta raha,

✿ koi Raah paakar Counter ki taraf chal diya taa ke apni Ghadi (watch) zamanat ke tor par Rakhwa kar jaye aur paise lekar aaye, Bill maiz par rakhte hue Cashier ko abhi kuch kehna hi chahta tha ke wo khud hi bol pada: "Jayye ji Aap ka Bill ada ho chuka hai."

✿ Hairat ke mare us ne sawal kiya: "Magar kis ne Ada kiya? Cashier ne kaha abhi Aap se pehle us bahar jane wale Aadmi ne diya hai, us ne kaha: To main use kaise wapas lotaunga paise, Main to use Janta hi nahi?

●◗► Cashier ne kaha: "Kisi ko Aisi suratehal mein Phansa Majbur daikhna to Aap bhi Aage badh kar Ada kardena, Neki isi tarah to Aage chala karti hai."

✦........:o Sar ke Balon ka Kuch Hisse ka Mundhna :o........✦

Narrated (Abdullah) bin `Umar RadiyAllahu Anhu: Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) forbade Al-Qaza' (leaving a tuft of hair here and there after shaving one's head).

[Sahih Bukhari :: Vol. 7 :: Book 72 :: Hadith 804]

Urdu Translation: Hazrat Abdullah bin Umar RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne "Qaza (Yani Sar ke kuch Hisse ke baal Mundhne aur kuch ke Chhordne) se Mana Farmaya."

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Hadith 5921]

●════════════════════◄►═══════════════════●

Narrated Abdullah ibn Umar RadiyAllahu Anhu: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) saw a boy with part of his head shaved and part left unshaven. He forbade them to do that, saying: Shave it all or leave it all.

[Sunan Abu Dawood :: Book 34 :: Hadith 4183, 4195]

Urdu Translation: Hazrat Abdullah bin Umar RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Aik bacche ko dekha jis ke Sar ka kuch hissa Munda huwa tha aur kuch Chhordiya gaya tha, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne unhe is se Mana farmaya aur Irshad Farmaya ke "Ya to pura sar Mundao ya pura Chhordo."

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 3 :: Hadith 792]


✦........♥ Mua’shre ke Kaar Aamad Afraad ♥........✦

▶▶▶ Wo Hain Jo:

✔ Kisi mein Bhalayi dekhen to use phailayen.
✔ Kisi mein Burayi dekhen to use roken.
✔ Kisi ko Khush dekhen to us se Hasad na karen.
✔ Kisi ko Pareshan dekhen to us ki Madad karen.

●════════════════◄►═══════════════●

✦........♥ Productive Person of a Society: ♥........✦

✔ IF he see the goodness, propagates it.
✔ IF he see the evil, He stop it.
✔ IF he see the happiness, He don’t envy.
✔ IF he see the trouble, He tries to help.

✦......♥ Dunya Mein Jannat ka Certificate Hasil Karne Wale ♥......✦
♥ ✿ ♥ 10 Khush Naseeb Sahaba Ikram RadiyAllahu Anhum ♥ ✿ ♥

Narrated 'Abdur-Rahman bin 'Awf RadiyAllahu Anhu: That the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Abu Bakr is in Paradise, 'Umar is in Paradise, 'Uthman is in Paradise, 'Ali is in Paradise, Talhah is in Paradise, Az-Zubair is in Paradise, 'Abdur-Rahman bin 'Awf is in Paradise, Sa'd bin Abi Waqqas is in Paradise, Sa'id bin Zaid is in Paradise, and Abu 'Ubaidah bin Al-Jarrah is in Paradise."

[Jami at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Book 46 :: Hadith 3747]

Urdu Translation: Hazrat Abdur-Rahman bin Awf RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Abu Bakr (Siddiq) Jannati hain, 'Umar (bin khattab) Jannati hain, 'Uthman (bin Affan) Jannati hain), 'Ali (ibn Abi Talib) Jannati hain, 'Talhah (bin zubair) Jannati hain, 'Zubair (bin Al-Awam) Jannati hain, 'Abdur-Rahman bin 'Awf Jannati hain, Sa'd (bin Abi Waqqas) Jannati hain, Sa'id (bin zaid) Jannati hain, Abu 'Ubaidah (bin Al-Jarrah) Jannati hain."

[Urdu Ref :: Jami at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 1678]

✦........♥ Maa ki Mamta ke liye Pareshan Kun Sawal ? ♥........✦

Maa se pucha gaya: Aap apne Bacchon mein kis Bacche se zyada pyar karti hain?

◈ Maa ke liye ye sawal bada pareshan kun tha lekin Maa ne bahot soch kar Jawab diya: "Bimar Bacche se zyadah pyar karti hun jab tak wo sahetiyab na hojaye."

◈ Phir Maa ne Jawab diya: "Chote bacche se zyadah pyar karti hun Jab tak wo bada na hojaye."

◈ Phir Maa ne Mazeed kuch socha aur Jawab diya: "Jo baccha meri Aankhon se door ho us se zyadah pyar karti hun Jab tak wo Wapas na lot Aaye."

◗► Apne Guzishta Teeno Jawabat se Gair Mut’main MAA ne Jhunjhulate hue Jawab diya: "Apne sab Baccho se Zyada pyar karti hun Jab tak main Mar na jaun."

✦......♥ Aapas ki Dushmani Khatam Karne ka Nuskha ♥......✦

Ata ibn Abi Muslim that Abdullah al-Khurasani RadiyAllau Anhu said "The Messenger of Allah, may Allah bless him and grant him peace, said, 'Shake hands and rancour will disappear. Give presents to each other and love each other and enmity will disappear.'"

[Muwatta Malik :: Book 47 :: Hadith 1651]

Urdu Transaltion: Ata bin Abdullah al-Khurasani RadiyAllau Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Aapas mein Musafaha kiya karo (is se) kina khatam hojata hai, Aapas mein Aik dusre ko Hadya (tohfe) diya karo baaham Mohabbat paida hoti hai aur Dushmani door hoti hai."

[Urdu Ref :: Muwatta Imam Malik :: Hadith 2186]

●◗► Keena - Hasad, Boghz, Adawat.

No comments:

Post a Comment