Friday 26 December 2014

●◗► Facebook par ham sab Ajnabi hain, Insaniyat aur Akhlaq ke rishte se bandhe ham log Aik dusre ko kuch nahi de sakte siwaye Izzat o Ehteram ke aur yahi Behtareen Amal hai! <3

✿ Aap Internet, Facebook, Social Sites istemal karte waqt is baat ko kabhi Mat bhulen ke yahan Aap ke Alfaz hi aap ka Chehra hain, yahi Alfaz Aap ke Akhlaqi Muqam ka faisla karenge.

▶ Suljhi hui Guftagu Aap ki Aala tarbiyat aur Akhlaq ko zahir karti hai Jabke ▶ Buri aur Ghatiya Guftagu is baat ko zahir karegi ke Aap ki Akhlaqi tarbiyat mein kahin koi bahot badi kami rehgayi hai.

♥ Isliye jab bhi Bolo to Accha bolo aur Agar Aap ke paas kuch Accha bolne ko nahi to Khamoshi Ekhtiyar karna bhi Bhalayi hai ♥

●◗► Wishing People "Marry Christmas" Means that we are Accepting the Divinity of JESUS.

●◗► December 25: Logon ko Christmas Day ki Mubarak baad dene ka Matlab ye hai: ke Aap ye baat tasleem karte hain ke Isa Alaihis Salam Allah ke Bete aur Mabood hain. "NO CHIRSITMAS DAY"

✦........♥ CHRISTMAS DAY Par Khoobsurat Paigham ♥........✦

⇨ "Say you, He is Allah, the One. Allah the Independent, Care free. He begot none, nor was he begotten (neither the Jesus Christ nor the holy Ezra are his sons). And nor anyone is equal to him." (Qur’an - Surah Al-Ikhlas)

⇨ "Kaho ke wo (zaat paak Jis ka Naam) Allah (hai) Aik hai. Allah be niyaz hai, sab us ke Mohtaj. Na us ki koi Aoulad hai (Hazrat Isa Alaihis Salam aur Hazrat Uzair Alaihis Salam us ke bete nahi) aur na wo kisi ki Aoulad. Aur us ka koi Hamsar (barabar) nahi hai." (Qur’an - Surah Al-Ikhlas)

●◗► Miya Biwi kahin ja rahe the Aourat ne Hisb Mamool Nok palak Sanwari hui thi aur Taxi ke intezar mein khade the itne mein Taxi Aayi aur wo us mein baith gaye kuch dair baad Taxi Driver ne kaha apni Wife se bolen ye Lipstick ka shade mitade mujhe Accha nahi lag raha ye sunte hi shohar ne gusse se us ka gireban pakda aur bola Teri ye himmat kaise hui jo Tune ye baat boli.

"Driver Muskurate hue bola Bhai Aap ki Biwi tayyar hi logo ke liye hui Agar ye aap ke liye Saji Sanwri hoti to ghar mein Sajti lekin ye bahar nikalte waqt tayyar hui hai to is ka Matlab to yahi hua na ke ye Raste ke liye tayyar hui hai aur raste ki har cheez par Tanqeed aur pasand deedgi ka Ekhtiyar har shaks ko hai, ye sunkar Mard ka Gussa Jhaag ki tarah baith gaya aur Rumal nikal kar diya apni Biwi se kaha apna Makeup saaf karlo."

► Shayad is baat mein Haqiqat na ho magar Aik Sachayi zaroor hai kuch Aourte Waqeyi apne shohar ke liye km aur logon ke liye zyadah tayyar hoti hain kisi Function mein jana ho to Ghanton tayyari mein laga deti hain Magar shohar ke Aane ke waqt ho to kabhi un ke liye tayyar nahi hoti hai Acche kapde kya saaf kapde bhi nahi pahenti balke usi Maile kuchle libas mein ghoomti rahti hain.

●◗► Jabke Hamare Mazhab mein daor Jihalat ki tarah tayyar hokar Bahar nikalne se Mana Farmaya gaya hai ye nahi kaha tum Apne gharo mein bhi Saja Sanwar nahi karo Balke kaha Zaib o Zinat sajna Sawarna Shohar ke liye hai Magar hota is ke khilaf hai, Allah Rahem kare.

✦.....✿.......♥ Har Pal Shukr Har Lamha Khushi  ♥.......✿.....✦

Anas bin Malik RadiyAllahu Anhu reported that Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Allah is pleased with His servant who says: Al-Hamdu lillah While taking a morsel of food tnd while drinking."

[Sahih Muslim :: Book 35 :: Hadith 6592]

Urdu Translation: Hazrat Anas bin Malik RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Allah Tala us Bandah se behad Khush hote hain jo Jab bhi koi Luqma khaye us par Allah Tala ka Shukr ada kare ya jab bhi pani ka Ghoont piye us par Allah Tala ka Shukr ada kare."

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 6 :: Hadith 6932,7108]

✦..: Sahaba Ikram ki Nazar mein Dunya ka Qeemti Tareen Tohfa :..✦
✿..♥ RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ke Baal Mubarak ♥..✿

Anas RadiyAllahu Anhu reported: "I saw when the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) got his hair cut by the barber, his Companions came round him and they eagerly wanted that no hair should fall but in the hand of a person."

[Sahih Muslim :: Book 30 :: Hadith 2325,5750]

Urdu Translation: Hazrat Anas RadiyAllahu Farmate hain: "Main ne dekha ke Hajjam Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke Sar Mubarak ke Baal ustare se saaf kar raha tha aur Sahaba Ikram RadiyAllahu Anhum Ajmayeen Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke Ird Gird jama the aur har Sahabi ye chahta tha ke RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ka koi bhi Baal Zameen par girne ki bajaye us ke hath par gire."

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 6 :: Hadith 6043,6188]

► Main Tumhen sabr padha sakta hun Lekin sikha nahi sakta, Sabr sikhne ke liye sabr karna padhega Sabr ki ghatiyon se Guzarna padega.

► Main tumhen Kitabon se Taqwa ka Mafhoom padha sakta hun lekin Taqwa sikha nahi sakta, Taqwa sikhne ke liye Taqwa ka Dushwar rasta tai karna padega.

●════════════════════◄►═══════════════════●

► I can teach you patience but i can’t make it practical to you, For being patient you have to learn patience and may pass over hardships.

► I can teach you Righteousness, priority from books but i can’t make it practical to you, for learning Taqwa one must pass from hardships.


✦.........♥ ALLAH Rabbul Alameen ka Bande se Mukalma ♥.........✦

Abu Huraira RadiyAllahu Anhu reported: The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) declare that Allah the Exalted had said: I have divided the prayer into two halves between Me and My servant, and My servant will receive what he asks.

► When the servant says: الْحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ الْعَالَمِينَ
Allah the Most High says: My servant has praised Me.

► And when he (the servant) says: الرَّحْمَنِ الرَّحِيمِ
Allah the Most High says: My servant has lauded Me.

► And when he (the servant) says: مَالِكِ يَوْمِ الدِّينِ
He remarks: My servant has glorified Me. And sometimes He would say: My servant entrusted (his affairs) to Me.

► And when he (the worshipper) says: إِيَّاكَ نَعْبُدُ وَإِيَّاكَ نَسْتَعِينُ
He (Allah) says: This is between Me and My servant, and My servant will receive what he asks for.

► Then, when he (the worshipper) says: اهْدِنَا الصِّرَاطَ الْمُسْتَقِيمَ صِرَاطَ الَّذِينَ أَنْعَمْتَ عَلَيْهِمْ غَيْرِ الْمَغْضُوبِ عَلَيْهِمْ وَلاَ الضَّالِّينَ
He (Allah) says: This is for My servant, and My servant will receive what he asks for.

[Sahih Muslim :: Book 4 :: Hadith 775]

●════════════════════◄►═══════════════════●

Urdu Translation: Hazrat Abu Huraira RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Aliahi Wasallam ne Irshad Farmaya ke Allah Subhanahu Wa Ta'ala Farmate hain: Main ne Namaz ko Apne aur Bande ke darmiyan Taqseem karliya hai us ka Aadha Hissa mere liye hai aur Aadha mere bande ke liye hai.

► Jab bandah kehta hai: الْحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ الْعَالَمِينَ
To Allah Tala Farmate hain: Mere bande ne meri Tareef bayan ki.

► Jab bandah kehta hai: الرَّحْمَنِ الرَّحِيمِ
To Allah Tala farmate hain: Mere bande ne meri sana ki.

► Jab wo kehta hai: مَالِكِ يَوْمِ الدِّينِ
To Allah Tala farmate hain: Mere bande ne meri buzrugi bayan ki.

► Jab wo kehta hai: إِيَّاكَ نَعْبُدُ وَإِيَّاكَ نَسْتَعِينُ
To Allah Tala farmate hain: Ye mere aur mere bande ke darmiyan hai. Aur mere bande ke liye wo sab kuch hai jo wo mange.

► Phir jab wo kehta hai: اهْدِنَا الصِّرَاطَ الْمُسْتَقِيمَ صِرَاطَ الَّذِينَ أَنْعَمْتَ عَلَيْهِمْ غَيْرِ الْمَغْضُوبِ عَلَيْهِمْ وَلاَ الضَّالِّينَ
To Allah Tala Farmate hain: Ye mere bande ke liye hai, mera bandah jo Mujh se mange wo us ke liye hai.

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 2 :: Hadith 878,904]

✦ "Dunya Bhar mein Shaheed Hone Wale Ma’soom Bacchon ke Waldain ke liye" ✦ ✿....♥ Jannat Mein Aali Shaan Mahel ka Aelan ♥....✿

Urdu Translation: Abu Musa Al-Ash'ari RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ka Irshad hai: "Jab kisi Shaks ka Baccha fot hojata hai to Allah Ta'ala Apne Farishton se Farmate hain:

Tum ne mere bande ke bete ki Rooh Qabz karli? Wo kehte hain: Ji Han. Allah Ta'ala Farmate hain: Tum ne us ke Jigar goshe ko le liya hai? Wo kehte hain: Ji han.

Allah Subhanahu Wa Ta'ala puchte hain: Mera bandah (us Musibat par) kya keh raha tha? Farishte Jawab dete hain: Us ne Aap ki Tareef ki aur 'Inna lillahi wa inna ilaihi raji'un' padha, Allah Subhanahu Wa Ta'ala Farmate hain: Mere Bande ke liye Jannat mein Aik Azeem Al-shan Ghar banao aur us ka naam "Baitul Hamd" rakho.

[Urdu Ref :: Jami at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Hadith 1007]

●════════════════════◄►═══════════════════●

Abu Musa Al-Ash'ari (May Allah be pleased with him) reported: The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "When a man's child dies, Allah, the Exalted, asks His angels,

'Have you taken out the life of the child of My slave?' and they reply in the affirmative. He (Subhanahu Wa Ta'ala) then asks, 'Have you taken the fruit of his heart?' and they reply in the affirmative.

Thereupon He asks, 'What did my slave say?' They say: 'He praised You and said: 'Inna lillahi wa inna ilaihi raji'un' (We belong to Allah and to Him we shall return).' Allah says: 'Build a house for my slave in Jannah and name it Baitul-Hamd (the House of Praise)."'

[Jami at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Book 5 :: Hadith 1021] [Riyad as-Salihin :: Book 7, Hadith 922]

✦.......✿...........♥ Islam Means Peace ♥...........✿.......✦

"Is Sar Zameen ko Aman o Salamati dene wale Mazhab ke Khilaf Aalami Sazish"

●◗► Aaj puri dunya mein Aalami sazish ke tahet bade bade Insaniyat soz Jarayem Islam ke Naam par karwaye ja rahe hain Taa ke Musalman Islam ke naam lena bhool jayen aur Gair Muslimon ka Tezi se Islam mein dakhile ka silsila ruk jaye.

♥ Islam Aman o Salamati ka Mazhab hai jo Insanon ke Janon, Maalon aur Izzaton ka Tahaffuz 1400 salon se karta Chala Aaraha hai aur Qayamat tak InshaAllah karta rahega. ♥

"Islam ke Naam par Dahshat Gardi karne aur Karwane walo! Allah ki Qasam! ISLAM Tumhare kale Kartuton se Aazad hai, Aazad hai, Aazad hai." (Y)

●════════════════════◄►═══════════════════●

"Planning against The Religion which preach peace (ISLAM) On the face of the Earth"

●◗► Today international media planning against Islam to defame it, to make Muslims forgot ISLAM and follow non Muslims footsteps to stop ISLAM.

♥ The Religion of Islam teaches peace and protect women, gives all rights to all people whether it be wife, husband, parents, neighbours etc From 1400 years and till the last day InshaAllah ♥

"People who terrorising in the name of Islam should know one thing is that they cannot harm ISLAM."

✦.....✿.....♥ Intezar ke Lamhaat Qeemti Banayyen ♥.....✿.....✦

"La haula wala quwwata illa billah" ► RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: Ye Jannat ke Khazanon mein se Aik Khazana hai. [Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Hadith 6409]

"Subhan Allahi wa bi-hamdihi; Subhan Allahi-l-'Adhim" ► RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne In Kalimat ke bare mein Irshad Farmaya: Ye do kalme Aise hain jo ke Zuban par bahot halke, Mezane Aa’mal mein bahot bhari aur Allah Tala ke han Bahot mahboob hain. [Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Hadith 6682]

"Astaghfirullah" ► RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: Allah ki Qasam main Din mein 70 se zyadah Martaba Allah Tala se Maghfirat talab karta hun. [Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Hadith 6307]

●════════════════════◄►═══════════════════●

Narrated Abu Musa Al-Ash`ari RadiyAllahu Anhu: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "O Abu Musa (or, O `Abdullah)! Shall I tell you a sentence from the treasure of Paradise?" I said, "Yes." He said, "La haula wala quwwata illa billah,"

[Sahih Bukhari :: Vol. 8 :: Book 75 :: Hadith 418]

Narrated Abu Huraira RadiyAllahu Anhu: Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "(The following are) two words (sentences or utterances) that are very easy for the tongue to say, and very heavy in the balance (of reward), and most beloved to the Gracious Almighty (And they are): Subhan Allahi wa bi-hamdihi; Subhan Allahi-l-'Adhim,"

[Sahih Bukhari :: Vol. 8 :: Book 78 :: Hadith 673]

Narrated Abu Huraira RadiyAllahu Anhu: I heard Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) saying." By Allah! I ask for forgiveness from Allah and turn to Him in repentance more than seventy times a day."

[Sahih Bukhari :: Vol. 8 :: Book 75 :: Hadith 319]

✦........X Badbodar Ashya kha kar Masjid Mein na Aayen X........✦

Jabir b. 'Abdullah RadiyAllahu Anhu reported the Messenger of Allah (Sallallahu Alahi Wasallam) saying: "He who eats of this (offensive) plant, i. e garlic, and sometirres he said: He who eats (uncooked) onion and garlic and leek (a plant related to the onion), should not approach our mosque for the angels are harmed by the same things as the children of Adam."

[Sahih Muslim :: Book 4 :: Hadith 1147, 1282]

●◗► Ciggies, Huqqa and the other things from which the Mouth stinks then do not enter Mosque. And brush before Fajr so that the mouth becomes clean.

●════════════════════◄►═══════════════════●

Urdu Translation: Hazrat Jabir bin Abdullah RadiyAllahu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi ne Irshad Farmaya: "Jo Shaks

❶ Kacchi Pyaaz
❷ Kaccha Laisan aur
❸ Gandana (Pyaz se milti Julti sabzi)

Khaye wo Hamari Masjid ke qareeb na Aaye is liye ke Farishte bhi un Chizon se Takleef Mahsoos karte hain Jin se Insano ko Takleef hoti hai." (Yai badbo au Gilazat se).

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 2 :: Hadith 1254]

●◗► Cigarette, Huqqa, Nashwa o Digar badbodar Ashya Naiz Jismani mail kuchail se Nikalne wali badbo ke sath Masjid mein Aana Dusurst nahi, Aur Fajr ki Namaz padhne se pehle Brush karlena chahiye Taa ke Muh ki badbo zayel hojaye.

No comments:

Post a Comment