Friday, 9 January 2015


✦.....X Rishta Tai Karne Mein Ladke ki Maaldari na Dekhen X.....✦

●◗► Beti ka Rishta Aik Naik Sifat aur Salih Magar Gareeb ladke ke liye Manga gaya to Maa Baap ne Inkar kardiya, Phir usi ghar mein Aik Bigde hue Magar Ameer gharane ke ladke ka Rishta Aaya to ye keh kar Qubool karliya gaya ke Allah paak is ladke ko Hidayat dega aur Naik ban jayega.

●◗► Jo Allah Bigde hue ladke ko Hidayat de sakta hai kya wo Gareeb ladke ko Maali Farawani (Maaldari) nahi de Sakta?

✦........✔ Zindagi Guzarne ki Mukhtasarsi Zaruriyaat ✔........✦

'Uthman bin 'Affan RadiyAllahu Anhu narrated that the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "There is no right for the son of Adam in other than these things:

❶ A house which he lives in,
❷ A garment which covers his nakedness, and
❸ Jilf (a piece of bread) and
❹ Water."

[Jami at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 10 :: Hadith 2341]

Urdu Translation: Hazrat Uthman bin Affan RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "(Dunya mein Zindagi guzarne aur Deen par Aml paira hone ke liye) Insan ko chand chizon ke siwa aur Chiz ki zarurat nahi:

❶ Rehne ke liye Ghar,
❷ Satar dhankne ke liye Aik kapda,
❸ Rukhi sukhi Roti,
❹ Aur Pani."

[Urdu Ref :: Jami at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 222]

●◗► "Allah Tala ka Lakh Lakh shukr hai Jis ne Hamari Aouqat se badh kar Hamen Nematen Ata Farmayin."


✦........:o 2015 (Esvi) bhi Tezi se Guzar Jayega…!! :o........✦

Anas bin Malik (RadiyAllahu Anhu) narrated that the Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "The hour shall not be established until time is constricted, and the year is like a month, a month is like the week, and the week is like the day, and the day is like the hour, and the hour is like the flare of the fire."

[Jami at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 10 :: Hadith 2332]

Urdu Translation: Hazrat Anas bin Malik RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad farmaya: "Qayamat us waqt tak Qayem nahi hogi Jab tak Zamana Aapas mein bahot qareeb na hojaye (Yani shab o Roz ki Gardish bahot taiz na hojaye), Chunanche Saal Mahine ke barabar, Mahine Hafte ke barabar, Hafta dinon ke barabar aur Din Ghante ke barabar hojayega, aur Ghante ka daoraniya itna hi reh jayega ke Jitni dair mein Aag ka sho’al Aikdum bhadak kar bujh jata hai."

[Urdu Ref :: Jami at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 213]

▶▶▶ Qayamat Qareeb hai..!! Aakhirat ki Tayyari Karlo ◀◀◀

●◗► Agar aap ko koi chord kar chala jaye ya kuch log Aap se Aankhen phairlen to Ghamgeen na hon kyun ke Mumkin hai ye Aap ki us dua ka Natijah ho jo Aap ne kisi Raat Allah se Mangi ho ke Ya Allah! "Har wo Shar jo Aap ne mere liye likh rakha hai Mujhe us se door karde."

▶ Baaz logon ki moujoodgi hamare zindagi mein hamare liye shar ka sabab hota hai hame un se koi bhi Nuqsan pahoch sakta hai Jismani, Ruhani ya Imani aur ye log baaz Aouqat hamare dil ke bahot qareeb hote hain aur jab wo hame chord jate hain ya kisi wajah se ham se muh mod lete hain to hame bahot Sadma pahochta hai kyun ke hame un se ye Ummid nahi hoti.

✿ Ham Udaas ho jate hain hamara dil toot jata hai, us Muqam par hame ♥ Allah Subhanahu Wa Ta'ala ki ham se Mohabbat aur us ki Kamal Hikmat ke Mutalliq sochna chahiye ke Allah Subhanahu Wa Ta'ala ne ham par Rahem kiya aur hamen un ke Shar se Bacha liya. ♥

✦........:'( Jab Ranj o Gham ka Pahaad Toot Pada :'(........✦

Urdu Translation: Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha Farmati hain ke Jab Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ka Inteqal hua to Hazrat Abu Bakr RadiyAllahu Anhu Muqam Sanah (madine ke balayi hisse) mein the, Hazrat Umar RadiyAllahu Anhu Sadme ki shiddat ki wajah se ye kehte hue khade hue: Allah ki Qasam Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ki wafat nahi hui, Allah ki Qasam mere dil mein pehle se ye baat thi ke Khuda Taa’la Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ko zaroor apni taraf uthalega, aur (Phir Hazrat Isa Alaihis salam ki tarah Aap chnd din baad dunya mein wapas tashreef layenge aur jo log Wafat ki khabren phaila rahe hain) un logon ke hath pair kaat dalenge.

Itne mein Hazrat Abu Bakr RadiyAllahu Anhu Tashreef le aaye aur unhone RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke chehre Anwar se chadar hatayi, Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko Bosa diya aur Farmaya: Mere Maa Baap aap par Qurban ho jayen, Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki zindagi bhi nihayat pakizah aur Mout bhi badi khushgawar, us Zaat ki qasam jis ke qabze mein meri Jaan hai! Allah Tala Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko do dafa kabhi Mout nahi chakhayega, is ke baad Hazrat Abu bakr RadiyAllahu Anhu bahar Aagaye, aur Umar RadiyAllahu Anhu se kaha: Aye Qasam khane wale! Sabr se kaam lo. Jab Hazrat Abu bakr RadiyAllahu Anhu ne baat ki to Hazrat Umar (Jo Shiddat Gham aur sadme ki wajah se Hairan aur pareshan) Baith gaye.

Phir Hazrat Abu Bakr RadiyAllahu Anhu ne Allah ki Hamd o Sana bayan ki aur Farmaya: Yaad rakho! Jo shaks Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki Ibadat karta tha (to wo jaan le ke) Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam) ka Inteqal hogaya. Aur jo Shaks Allah Tala ki Ibadat karta tha (to wo jaan le ke) Allah Tala zindah hai use kabhi Mout nahi ayegi aur phir ye Aayat Tilawat farmayi: (Pyare Nabi) Beshak tumhe Inteqal farmana hai aur un ko bhi marna hai. (39.30) Phir ye Aayat Tilawat farmayi: Aur Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam bhi to) Rasool hi hain (na ke khuda), Aap se pehle bhi kayi Paighambar guzar chuke hain, phir Agar wo wafat farma jayen ya shaheed kardiye jayen to kya tum apne (pichle mazhab ki taraf) ulte paon phir jaoge, aur jo koi apne ulte paon phirega to wo Allah ka hargiz kuch nahi bigadega, Aur Allah Anqareeb (Masayeb par sabit qadam rah kar) Shukr karne walon ko Jaza ata farmayega. Sab log (Hazrat Abu Bakr RadiyAllahu Anhu ki guftagu sunkar) Be Ekhtiyar rone lage. (3.144)

[Urdu Ref :: Sahih al-Bukhari :: Hadith 3667]

●════════════════════◄►═══════════════════●

Narrated 'Aisha RadiyAllahu Anha: (the wife of the Prophet) Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) died while Abu Bakr was at a place called As-Sunah (Al-'Aliya) 'Umar stood up and said, "By Allah! Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) is not dead!" 'Umar (later on) said, "By Allah! Nothing occurred to my mind except that." He said, "Verily! Allah will resurrect him and he will cut the hands and legs of some men."

Then Abu Bakr came and uncovered the face of Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam), kissed him and said, "Let my mother and father be sacrificed for you, (O Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam), you are good in life and in death. By Allah in Whose Hands my life is, Allah will never make you taste death twice." Then he went out and said, "O oath-taker! Don't be hasty." When Abu Bakr spoke, 'Umar sat down. Abu Bakr praised and glorified Allah and said, No doubt! Whoever worshipped Muhammad, then Muhammad is dead, but whoever worshipped Allah, then Allah is Alive and shall never die." Then he recited Allah's Statement.:-- "(O Muhammad) Verily you will die, and they also will die." (39.30) He also recited:--

"Muhammad is no more than an Apostle; and indeed many Apostles have passed away, before him, If he dies Or is killed, will you then Turn back on your heels? And he who turns back On his heels, not the least Harm will he do to Allah And Allah will give reward to those Who are grateful." (3.144) (After listening Abu bakr's words) The people wept loudly.

[Sahih Bukhari :: Vol. 5 :: Book 57 :: Hadith 19]

✦▶ "Waise to Jhoot bolna Gunah kabirah hai lekin kya Aap ko Maloom hai ke 3 Moqe aise hain Jahan par Jhoot bolne ki Ijazat hai" ◀✦

❶ Jang mein dushman par Roab tari (dar paida) karne ke liye Jhoot bolna Masalan: ye kehna ke hamare Tadaad itni hai ya ye kehna ke hamari Foj aarahi hai.

❷ Logon mein sulah karwane ke liye Jhoot bolna: Yani do Naraz logon ki sulah karwane ke liye ye kehna ke wo tumhen bahot Accha samajhta hai aur tum se Muafi mang kar tumse sulah karna chahta hai.

❸ Khawind ka apni Biwi ko razi karne ke liye Jhoot bolna: Yani Biwi ban’sawar kar khawind se puche ke main kaisi lag rahi hun to chahe wo khawind ko acchi na bhi lag rahi ho lekin wo Jhoot bolde ke tum bahot khoobsurat aur bahot acchi Lag rahi ho.

●════════════════════◄►═══════════════════●

Asma bint Yazid RadiyAllahu Anha narrated that the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "it is not lawful to lie except in three cases: Something the man tells his wife to please her, to lie during war, and to lie in order to bring peace between the people."

[Jami at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 1 :: Hadith 1939]

Urdu Translation: Hazrat Asma bint Yazid RadiyAllahu Anha se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Teen Jagahon ke Alawah kahin Jhoot bolna Halal nahi: Khawind apni Biwi ko razi karne ke liye koi baat kahe aur Jang ke moqe par Jhoot bolna aur Logon ke darmiyan Sulah karwane ke liye Jhoot bolna."

[Urdu Ref :: Jami at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Hadith 2001]

✦..............♥ Naya Saal Manane ka Tariqa ♥..............✦

●◗► Alhamdulillah Main Musalman hun, Main Isayi, Yahudiyon aur Secular aur Be'deen logon ke Tarz par Aatish bazi, Ghul Gubarah, Mosiqi, Naach gane, Patakhe, Firing aur Digar Allah ke Narazgi wale Aamal kar ke Naye saal ki Khushi nahi manata,

Han Itna zaroor hai ke main apne aur Poori Ummat ke gunahon par Toba karta hun aur Rabbul Alameen se Dua karta hun ke wo 2015 ko Islam aur Musalmano ki Sarbulandi ka Saal banade aur 2014 mein jo dil kharash Manazir hame Gazah, Barma, Sham, Misr, Qabayel ilaqon aur Peshawar mein daikhne ko mile un se hamesha ke liye Hamen Mahfzooz Farmaden. Aameen

✦..:o New Year Night Musalmano se Mushabihat ya Kafiron se? :o..✦

⇨ "(Rehman ke bande wo hain) Jo jhoot aur Batil kamon mein shareek nahi hote aur jab behudah kamon ke paas se Guzarte hain to (daman bachate hue) Nihayat waqar aur Sharafat ke sath guzar jate hain." (Qur’an 25:72)

Urdu Translation: Hazrat Abdullah ibn Umar RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Jis ne kisi Qoum ki Mushabihat Ekhtiyar ki wo unhi mein se hai." [Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 3 :: Hadith 630]

●════════════════════◄►═══════════════════●

⇨ "And those who do not witness falsehood, and if they pass by some evil play or evil talk, they pass by it with dignity." (Qur’an 25:72)

Narrated Abdullah ibn Umar RadiyAllahu Anhu: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "He who copies any people is one of them." [Sunan Abu Dawood :: Book 33 :: Hadith 4020]

●◗► Beti ki paidayesh ko Zamane jahiliyat mein hi nahi Balke Aaj kal ke pade likhe aur Jadeed science ke dor mein bhi Buri Nazron se dekha jata hai aur Hairat tab hoti hai Jab aik Aourat hi Aourat ki paidayesh par Afsos ke Aansu ro rahi hoti hai.

✿ Aik shaher ke Kisi gao ke Aik Gareeb Mahanti Shaks ka waqea hai! Wo aik Company mein mulazim tha Bazaahir us ki Aamdani itni nahi thi ke guzar basar Aasani se ho sake, Lekin wo phir bhi kabhi apni Aamdani aur gharelu Akhrajat ke liye pareshan dikhayi nahi deta tha.

▶  Ak din us ke kuch Company doston ne jab daryaft kiya ke "Aakhir kya Majrah hai hamari Tankhuah bhi taqriban kam o baish tumari jitni hi hai Lekin ham ne kabhi tumhen pareshan nahi dekha, aur hamara ye haal hota hai ke jab tak Udhaar na pakden ya Over time na lagaye hamara mahina Aaram se nahi guzarta, Aakhir Tumare paas Aisa konsa Ala'deen ka Charag hai?

♥ Wo Gareeb Aadmi pehle to un ki bate suntan raha, phir Aasman ki taraf Hath utha kar Allah ka shukr Ada karte hue bola "Mere Doston! Mere paas koi Aladeen ka charag nahi hai, Han lekin mere paas ♥  4 Betiyan hai jo har roz Raat ko sone se pehle Surah Waqiah ki Tilawat kar ke aur apne Rizq ki Dua kar ke soti hain, ye Sirf us Kalam paak ki barkat aur Un Bacchiyon ki duao ka Natijah hai ke Aaj na sirf ye ke main Apne ghar mein khush hun Balke main apne Digar Azeez o Aqarib ki bhi madad kar raha hun. ♥

✦....♥ Maa ke Sath Husn Sulook Dunya ka Sab se Qeemti Aml ♥....✦

Ibn 'Abbas RadiyAllahu Anhu reported that Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "I do not know of any action better for bringing a person near to Allah than dutifulness to his mother."

[Al-Adab Al-Mufrad Imam Al-Bukhari ::  Book 1 :: Hadith 4]

Urdu Translation: Hazrat Abdullah bin Abbas RadiyAllahu Anhu farmate hain: "Mujhe Maloom nahi ke Maa ke sath Husn Sulook aur Khair Khuahi se badh kar bhi koi Aml Allah Tala ko Mahboob ho."

[Al-Adab Al-Mufrad Imam Al-Bukhari ::  Hadith 4]

✦......♥ Psychological Problem :: Nafsiyati Uljhan ka Ilaj ♥......✦

●◗► Ham mein se Aksar logon ko ye Nafsiyati Uljhan rahti hai ke Hamari gair Maoujoodgi mein hamare bare mein Ahle khana, Rishtedar, Dost, Ahbab aur Daftar ke sathi na jane kya kya Galat baten karte honge, Hamari ye bhi Khuahesh hoti hai ke koi Aik shaks to un baton ke jawab mein Hamara dafa’a karne wala ho.

♥ Yaad Rakhen! Aap ki Gair Moujoodgi mein Aap ka Behtareen Daf’a (Rad) karne Wali cheez Aap ke "AKHALQ" hain ♥

●════════════════════◄►═══════════════════●

●◗► Many of us has a psychic problem that in our absence our family, relatives, friends and colleagues do backbit us, we also wish that one person from gives all answers to them.

♥ Remember, in your absence your "Character" is the one who gives all answers to that allegations. ♥

✦..........✿.......♥ MAJLIS ka Kaffarah ♥.......✿..........✦

Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu narrated that: The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Whoever sits in a sitting and engages in much empty, meaningless speech and then says before getting from that sitting of his:

سُبْحَانَكَ اللَّهُمَّ وَبِحَمْدِكَ أَشْهَدُ أَنْ لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ أَسْتَغْفِرُكَ وَأَتُوبُ إِلَيْكَ
(Subḥānaka Allāhumma wa biḥamdika, ashhadu an lā ilāha illā anta, astaghfiruka wa atūbu ilaik)’

‘Glory is to You, O Allah, and praise, I bear witness that there is none worthy of worship except You, I seek You forgiveness, and I repent to You, "whatever occurred in that sitting would be forgiven to him."

[Jami at-Tirmidhi ::  Vol. 6 :: Book 45 :: Hadith 3433]

●════════════════════◄►═══════════════════●

Urdu Translation: Hazrat Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Jo shaks kisi Majlis (Meeting wagerah) mein baithe aur Fuzool baten karta rahe phir Majlis se uthne se pehle ye Kalimat padh le:

سُبْحَانَكَ اللَّهُمَّ وَبِحَمْدِكَ أَشْهَدُ أَنْ لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ أَسْتَغْفِرُكَ وَأَتُوبُ إِلَيْكَ
(Subḥānaka Allāhumma wa biḥamdika, ashhadu an lā ilāha illā anta, astaghfiruka wa atūbu ilaik)’

(Tarjuma) Aap paak hain Aye Allah, Apni Tarifon ke sath, Main gawahi deta hun ke Aap ke siwa koi Mabood nahi, Main Aap se bakhshish chahta hun aur Aap ke samne Toba karta hun. "To us shaks se us Majlis mein Jis qadar Gunah hue wo sab Muaaf kardiye jate hain."

[Urdu Ref :: Jami at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 1357]

No comments:

Post a Comment