Sunday, 6 September 2015

✦...♥ Sahibe Isteta’at Noujawan, Nikah mein Hargiz takheer na karen ♥...✦

Abdullah (b. Mas'ud) (Allah be pleased with him) reported that Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) said to us: "0 young men, those among you who can support a wife should marry, for it restrains eyes (from casting evil glances) and preserves one from immorality; but he who cannot afford It should observe fast for it is a means of controlling the sexual desire."

[Sahih Muslim :: Book 8 :: Hadith 3233, 3466]

Urdu Translation: Hazrat Abdullah bin Mas'ud RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Noujawanon ko Mukhatab kar ke Irshad farmaya: "Aye Noujawanon ki Jama’at! Tum mein se jo Nikah ki isteta’at rakhta ho wo zaroor Nikah karle kyun ke Nikah Nazron ko nichi rakhne aur Sharmgahon ki hifazat karne mein zyadah Madadgar hai, aur jo Nikah ki isteta’at na rakhta ho to wo Roze rakhe kyun ke Rozah us ki Jinsi khuahesh ko qabo mein rakhega."

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 4 :: Hadith 3400]

✦........♥ "Qurbani Ke Janwar ka" Kharidari ka Marhala ♥........✦

Narrated Al-Bara' ibn Azib RadiyAllahu Anhu: The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Four (types of animals) should be avoided in sacrifice:

► A One-eyed animal which has obviously lost the sight of one eye,
► A sick animal which is obviously sick,
► A lame animal which obviously limps and
► An animal with a broken leg with no marrow."

[Sunan Abu Dawood :: Book 15 :: Hadith 2796,  2802]

Urdu Translation: Hazrat Al-Bara' ibn Azib RadiyAllahu Anhu se riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Qurbani ke liye chaar (4) tarah ke jaanwar durust Nahi hain:

► Aik wo jiska kaanapan ya bhaingapan bilkul zahir ho,
► Dusra wo jo dekhne se hi bimaar lagta ho,
► Teesra wo jiska langdapan bilkul zahir ho,
► Chaotha wo budha aur kamzor Janwar jis ki haddiyon mein Gooda na ho."

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawud :: Vol. 2 :: Hadith 1029]

●════════════════════◄►═══════════════════●

"Janwaron mein Khatarnak Uyoob: Darj zail Janwaron ki Qurbani Durust Nahi"

❶ Singon ka Jad se ukhda hua Janwar.
❷ Andha, kaana ya Langda Janwar.
❸ Paidayeshi tor par Bilkul kaan ka na hona ya Tihayi (1/3) se zyadah kaan ya Dum katjana.
❹ Aisi Bimari ya kamzori ke Janwar Qrubani ki jaga tak chal kar na ja sake.
❺ Danton ka bilkul na hona ya itne km hona ke Janwar Ghaas bhi na kha sake.
❻ Is Had tak pagal pan ke Janwar charah wagera bhi na char sake.

●◗► Jis ko Aml na karna ho Dunya mein sab se Zyadah Majburiyan aur Dalilen usi ke paas hoti hain, aur Jis ko baat manni ho us ke liye na koi Masla hota hai na Majburi us ke liye sab se Badi Majburi aur Daleel ♥ Allah Subhanahu Wa Ta'ala ka hukm hota hai ♥

✦.....✿.....♥ Naik Biwi ki Shohar ko Nasihat ♥.....✿.....✦

●◗► Mujhe Aap ki Ita’at o Farmanbardari Jannat mein dakhil karegi, Jab ke Aap ko Aap ki Waldah ki Ita’at o Farmanbardari Jannat mein dakhil karegi ✿ Lehaza Main Aap ki Ita’at mein lagi rahti hun aur Aap apni Waldah ki Ita’at mein lage rahen Taa ke ham dono Jannat mein Jama ho saken. ♥

✦....✿.....✔ Takleef Mein Bhi Namaz Muaaf Nahi ✔.....✿....✦

Narrated `Imran bin Husain RadiyAllahu Anhu: had piles, so I asked the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) about the prayer.

He (Sallallahu Alaihi Wasallam ) said, "Pray while standing and if you can't, pray while sitting and if you cannot do even that, then pray Lying on your side."

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 2 :: Book 20 :: Hadith 218, 1117]

Urdu Translation: Hazrat Imran bin Husain RadiyAllahu Anhu farmate hain ke Mujhe Bawaseer ka Marz tha, is liye main ne Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam se Namaz ke bare mein daryaft kiya.

Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Khade ho kar Namaz padho, Agar is ki bhi taqat na ho to baith kar aur Agar is ki bhi na ho to Pahlu ke bal lait kar Namaz padho."

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 2 :: Hadith 1117]

✦.....♥.....✔ Qurbani ke Janwaron ki Tafseel ✔.....♥.....✦

✿ Chote Janwar: Bhaid, Dunbah, Bakra, Bakri ✿

• In ki Umr km az km Aik (1) saal honi chahiye.
• Albatta Agar 6 Maah ka dumbah Jasamat mein Aik Saal ka lage to us ki Qurbani bhi jayez hai.
• In ki Qurbani sirf Aik Aadmi ki taraf se ho sakti hai.

●══════════════◄►═════════════●

✿ Bade Janwar: Gaye, Bail, Bhains ✿

• In ki Umr km az km Do (2) Saal honi chahiye.
• In ki Qurbani mein zyadah se zyadah sath (7) Afrad shareek ho sakte hain.

●══════════════◄►═════════════●

✿ Oont ✿

• Is ki Umr km az km Panch (5) saal honi chahiye.
• Is ki Qurbani mein bhi sath (7) Afrad shareek ho sakte hain.

●◗► Darje bala Janwaron ke Alawah digar Halal Janwaron (Masalan: Nail gaye aur Hiran wagerah) ki Qurbani durust nahi, (Shurka mein se kisi aik ki Aamdani bhi Haram ho ya Mahez gosht khane ki Niyyat ho to Deegar shurka ki Qurbani bhi durust na hogi).

✦....► Gusul Farz Hojane ke Baad Napaki ki Halat Mein Rehna ◄....✦

Narrated Ammar ibn Yasir RadiyAllahu Anhu: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "The angels do not come near three:

❶ The dead body of the unbeliever,
❷ One who smears himself with khaluq, and
❸ The one who is sexually defiled except that he performs ablution."

[Sunan Abi Dawud :: Book 34 :: Hadith 4168, 4180]

Urdu Translation: Hazrat Ammar bin Yasir RadiyAllahu Anhu farmate hain ke Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "3 Qism ke logon ke paas (Rahmat ke) Farishte nahi aate:

❶ Kafir ki laash,
❷ Za’fran mili khushbon lagane wala,
❸ Junbi (Napaak) shaks han Magar Jab wo wuzu ya Gusul karle."

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 3 :: Hadith 777]

✦.......▶▶▶ Kisi Gunah ko Ma'muli Na Samjhen ◀◀◀.......✦

The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said to me: ‘O ‘Aishah, beware of (evil) deeds that are regarded as insignificant, for they have a pursuer from Allah. (i.e. accountability)."

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 5 :: Book 37 :: Hadith 4243]

Urdu Translation: Hazrat Aishah RadyAllahu Anha farmati hain ke Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne un se Irshad Farmaya: "Aye Aishah! Apne aap ko un Gunahon se bachane ki khaas tor par koshish aur Fikr karo jin ko Ma'muli aur Haqeer samjha jata hai, kyun ke Allah Rabbul izzat ki taraf se un par bhi Baaz purs hone wali hai."

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 3 :: Hadith 1124]

✦...........:(  Galat Fahmi ka Shikar! :(..........✦

●◗► Aik chota Baccha apne dono hathon mein Aik aik Saip (Apple) liye khada tha, us ke Walid ne muskurate hue kaha "Beta aik saip mujhe dedo..!"

Itna sunte hi us bacche ne aik saip ko apne Danton se kaat liya, is se pehle ke us ka Baap kuch bol pata, us ne dusra saip bhi apne danton se kaat liya.

Apne bete ki is harkat par wo shaks gusse se bahot naraz hogaya, aur us ke Chehre se ab Muskurahat bhi Gayab hogayi, Qareeb tha ke wo uth kar use saza deta, tab hi Bete ne apne Nannhe hath ko Aage badhate hue kaha, ✿ "Abbu ye lo ye wala Zyadah Mitha hai!" ✿

●◗► Hamare andar bardasht ka maddah bahot km hai, Shayad isi wajah se Aksar ham puri baat aur Muamlaat ko samajhne ki koshish nahi karte aur Galat fahmi ka shikar hojate hain.

●◗► Bahot Ma’zirat ke sath! Aap ne B.A, B.com, B.sc, B.ed, M.B.A, M.sc, M.com, B.tech, M.tech, M.Phil ya P.hd, Degree hasil ki hai lekin Quran nahi padha (na samjha na us par Aml kiya) to Khoob jaan len Allah ke Nazdeek Aap ka Shumaar Jahilon mein hai.

✦.....✿.......♥ Baitullah aur Bait-al-Ma'mur ♥.......✿.....✦

The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: (At the time of Meraj) "I was shown Al-Bait-al-Ma'mur (i.e. Allah's House). I asked Gabriel about it and he said, This is Al Bait-ul-Ma'mur where 70,000 angels perform prayers daily and when they leave they never return to it (but always a fresh batch comes into it daily)."

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 4 :: Book 54 :: Hadith 429, 3207]

Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "(Meraj ke Moqe par) Mujhe 'Bait Al-Ma’mur' le jaya gaya, Main ne Jibrayeel Alaihis Salam se is ke bare mein pucha to unhon ne Batlaya ke ye Bait-al-Ma'mur hai, is mein 70 Hazar farishte rozana Namaz padhte hain aur aik Martaba jo farishta Namaz padh kar yahan se nikal jata hai wo dobarah us mein dakhil nahi hota. (but always a fresh batch comes into it daily)."

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 4 :: Hadith 3207]

●◗► Aasmanon par khana ka'ba ki Bilkul sidha mein Bait-al-Ma'mur waqe hai jis ke Gird har waqt hazaron farishte tawaf karte hain aur Namaze padhte hain.

✦...✿.....♥ Ungliyon ke Pore Qayamat ke Din Gawaah ♥.....✿...✦

Narrated Yusairah RadiyAllahu Anha she was one of those who emigrated - she said: "The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said to us: ‘Hold fast to At-Tasbih (SubhanAllah), At-Tahlil (La ilaha illallah), and At-Taqdis (Subhanal Malikil Quddus), and count them upon the fingertips, for indeed they shall be questioned, and they will be made to speak. And do not become heedless, so that you forget about the Mercy (of Allah)."

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 6 :: Book 46 :: Hadith 3583]

Urdu Translation: Hazrat Yusairah RadiyAllahu Anha jo Muhajirat mein se then farmati hain ke Nabi kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne ham Aourton se khitab farmate hue Irshad Farmaya: "Tum Tasbih (SubhanAllah), Tahlil (La ilaha illallah) aur Taqdis (Subhanal Malikil Quddus wagerah) padhti raha karo aur in ko Ungliyon ke poron par shumar karo, is liye ke (digar Aaza ki tarah) poron se bhi (Qayamat ke din un se kiye gaye Aamal ke bare mein) sawal kiya jayega aur in mein Goyayi paida kar ke un ko Bulwaya jayega aur Zikr se gafil mat hona (yani zikr ko mat chhorna), warna tum rehmat ko (yani sabab rehmat ko) chhorne wali hogi."

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 1506]

1 comment:

  1. Nice blog......Buy high quality Office Carpets and office carpet tiles in Dubai and Abu Dhabi and across UAE at best price with fast installation service CALL NOW 0566-00-9626.
    Office Carpets

    ReplyDelete