Monday 21 September 2015

✦.....♥ Ashrah Dhul-Hijjah, Rozah Daron ke liye Khushkhabri ♥.....✦

Narrated Umm Amarah bint Ka'b Al-Ansar RadiyAllahu Anha: The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: 'Indeed the angels send Salat upon the fasting person when (others) eat in his presence, until they finish.' And perhaps he said: 'Until they have eaten their fill.'"

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Book 3 :: Hadith 785]

Urdu Translation: Hazrat Umm Amarah bint Ka'b Al-Ansariya RadiyAllahu Anha se riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Jab Rozah daar ke samne khana khaya jata hai to khane walon ke Farig hone tak Farishte Rozah daar ke liye Rehmat ki dua karte rahte hain."

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Hadith 763]

✦......♥ Qurbani ka Maqsad aur is Mein Poshidah Hikmaten ♥......✦

⇨ "Allah Tala tak na un ka Gosht pahochta hai aur na Khoon balke us tak Tumhari Parheizgari pahochti hai." (Qur’an 22:37)

❶ Hazrat Ibrahim aur Ismail Alaihis Salam ki Azeem Qurbani ko yaad Rakhte hue apna sab kuch Yahan tak ke Apne Jigar Goshon ko Allah ke Deen ke liye Qurban kardene ka Jazba paida karna. (Qur’an 37:102)

❷ Mahez Allah ke Naam par Qurbani ke Janwar ko Zabah karna. (Qur’an 22:28, 6:162)

❸ Insan ke liye Janwaron aur Maweshiyon ke Tabe aur Halal kiye Jane par Allah Tala ka Shukr Baja lana. (Qur’an 22:36)

❹ Fuqra’a o Masakeen ke liye Khane aur Gosht ki Farahmi ka sabab. (Qur’an 22:36,28)

❺ Dhul Hijjah ki Duswin Tareek ki Azmat ka Izhar. (Qur’an 89:2,3)

●◗► Qurbani aik aisi Ibadat hai jis mein Qadam qadam par Riyakari, dikhlawa, Badayi aur Takabbur ke imkanaat maojood hain lehaza Niyyaton ko durust kijiye taa ke Aap ki Qeemti Qurbani zaye hone se bach jaye.

✦......✿.......✔ ISTIKHARAH Kaise Karen? ✔.......✿......✦

Hazrat Jabir bin Abdullah RadiyAllahu Anhu Farmate hain: "RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam hamen apne Tamam Mua’mlat mein Istikharah karne ki isi tarah Taleem dete the jis tarah Quran ki koi Surat hamen sikhlate, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam farmate ke jab tum mein se koi shaks kisi (Jayez) kaam ka iradah kare (abhi pakka iradah na hua ho) to 2 Rakat (Nafl) padhe is ke baad yun Dua kare:

(Tarjuma): Aye mere Allah! Main tujh se tere Ilm ki badolat khair talab karta hun aur Teri qudrat ki badolat tujh se taqat mangta hun aur tere Fazl azeem ka talabgar hun ke Qudrat tu hi rakhta hai aur mujhe koi Qudrat nahi, Ilm tujh hi ko hai aur main kuch nahi janta aur tu tamam poshidah baton ko janne wala hai, Aye mere Allah! Agar tu janta hai ke 'Ye kaam (Jis ke liye istekhara kya ja raha hai) mere liye behtar hai, mere deen ke Aitebar se, Meri Ma’aash aur mere Anjam kaar ke Aitebar se ya mere liye waqti tor par aur Anjam ke Aitebar se ye behtar hai to ise mere liye Naseeb karde aur is ka husool mere liye Aasan farmade aur phir is mein mujhe barkat ata farma.

Aur Agar tu janta hai ke 'ye kaam mere liye bura hai mere deen ke liye, meri zindagi ke liye aur mere anjam kaar ke liye, ya mere Muamlah mein waqti tor par aur Anjam ke Aitebar se (bura hai) to use mujh se hata de aur mujhe bhi us se hatade, phir mere liye khair Muqaddar farmade, jahan kahin bhi wo ho aur phir mujhe is se Mutmain karde.

Phir Aap Sallallahu Alahi Wasallam ne Irshad Farmaya ke (Hadhal Amr ya dua ke waqt) us kaam ka naam le (jis ke bare mein istekharah karna chahta hai)."

●◗► Istikharah Din Raat mein kisi bhi waqt (nawafil ke liye Makruh aoqat ke alawah) kiya ja sakta hai Naiz Istikharah ke baad kisi khuab ya Gaibi ishare ka aana bhi zaroori nahi, sirf Dil ka kisi aik janib Mayel hojana aur kisi kaam ke liye Sharh Sadr hojana kafi hai, Aaj ham log Istikhare ke Sunnat Tariqe ko chhor kar gair Masnoon tariqon ke piche lage hue hain, Allah Subhanahu Wa Ta'ala ham sab ko sunnaton par Aml paira hone ki toufeeq Marhamat farmaye. (Aameen)

[Urdu Ref :: Sahih al-Bukhari :: Vol. 7 :: Hadith 6382, Vol. 8 :: 7390] [Jami` at-Tirmidhi 480]

●════════════════════◄►═══════════════════●

Narrated Jabir RadiyAllahu Anhu: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) used to teach us the Istikhara for each and every matter as he used to teach us the Suras from the Holy Qur'an. (He used to say), "If anyone of you intends to do something, he should offer a two-rak`at prayer other than the obligatory prayer, and then say:

'Allahumma inni astakhiruka bi'ilmika, wa astaqdiruka biqudratika, wa as'aluka min fadlika-l-'azim, fa innaka taqdiru wala aqdiru, wa ta'lamu wala a'lamu, wa anta'allamu-l-ghuyub. Allahumma in kunta ta'lamu anna ‘hadha-lamra’ (name your matter) khairun li fi dini wa ma'ashi wa 'aqibati `Amri (or said, fi 'ajili `Amri wa ajilihi) fa-qdurhu li, wa-yassirhu li thum-ma baarik lee feeh, Wa in kunta ta'lamu anna ha-dha-l-amra (name your matter) sharrun li fi dini wa ma'ashi wa 'aqibati `Amri (or said, fi ajili `Amri wa ajilihi) fasrifhu 'anni was-rifni 'anhu wa aqdur li alkhaira haithu kana, thumma Raddani bihi,"

O Allah! I consult You, for You have all knowledge, and appeal to You to support me with Your Power and ask for Your Bounty, for You are able to do things while I am not, and You know while I do not; and You are the Knower of the Unseen. O Allah If You know It this matter (name your matter) is good for me both at present and in the future, (or in my religion), in my this life and in the Hereafter, then fulfill it for me and make it easy for me, and then bestow Your Blessings on me in that matter. O Allah! If You know that this matter is not good for me in my religion, in my this life and in my coming Hereafter (or at present or in the future), then divert me from it and choose for me what is good wherever it may be, and make me be pleased with it."

[Urdu Ref :: Sahih al-Bukhari 6382, 7390] [Sahih Bukhari :: Vol. 8 :: Book 75 :: Hadith 391]

✦.......♥ Ashrah Dhul Hijjah, Azeem Ashrah ke Azeem Aa'mal ♥.......✦

⇨ "Qasam hai Fajr ki aur Qasam hai Dus Raton ki." (Qur’an 89:1-2)

●◗► Aksar Mufassireen ke Mutabiq in Dus raton se Murad Dhul Hijjah ki pehli 10 Raten hain aur ye baat bhi Musallamah hain ke Allah Subhanahu Wa Ta'ala ka kisi Cheez ki qasam khana ye wazeh daleel hai ke wo cheez badi Oonchi shan, Azmath aur Moqam wali hai.

●════════════════════◄►═══════════════════●

Narrated Abdullaah ibn Umar RadiyAllahu Anhu: The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "There are no days greater in the sight of Allaah and in which righteous deeds are more beloved to Him than these ten days (i.e., the first ten days of Dhul-Hijjah)  so during this time recite a great deal of Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (AllahuAkbar) and Tahmeed (Alhamdulillah)."

[Musnad Ahmad :: Hadith 5446]

Urdu Translation: Hazrat Abdullah bin Umar RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: "Dhul Hijjah ke Dus (10) dinon se badh kar koi Din Aisa nahi jis mein Naik Aa’mal Allah ke Nazdeek zyadah Mahboob aur Azeem-ul-Martabat ho, Lihaza in 10 Dino mein Tahleel (La ilaha illAllah) Takbeer (AllahuAkbar) aur Tahmeed (Alhamdulillah) kasrat se padha karo."

[Musnad Ahmad :: Hadith 6154] [Sahih Bukhari :: Hadith 969]

✦.......✔ Qurbani Karne Wale Baal o Nakhun na Tarashen ✔.......✦

Umm Salama RadiyAllahu Anha reported (these words) directly from Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam): "If anyone has in his possession a sacrificial animal to offer as a sacrifice (on 'Id al-Adha), he should not get his hair cut and nails trimmed after he has entered the first days of Dhu'l Hijja."

[Sahih Muslim :: Book 22 :: Hadith 4871, 5234]

Urdu Translation: Hazrat Umm Salamah RadiyAllahu Anha se riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Jab tum Maah Dhul Hijjah ka chand daikh lo aur tum mein se kisi ka Qurbani karne ka Iradah ho to use chahiye ke wo (Janwar Zabah karne tak) na Apne Jism ke baal kate aur Na hi Nakhun Tarashe."

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 5 :: Hadith 5119]

●◗► Baroz Peer (14-Sep-2015) ko 29 Dhul Qa’dah hai aur Magrib ke waqt Dhul Hijjah ka Chand nazar Aane ka imkaan hai, Lehaza Qurbani ka Iradah rakhne wale is se pehle pehle apne Jism ke Gair zaruri baal aur Nakhun wagerah Tarashlen.

✦........► Masjid Al-Haram Mein Bahalate Ihram ◄........✦
✦......:'( Crane Hadise Mein Shaheed Hone Wale! :'(......✦

Ibn Abbas (Allah be pleased with them) reported that a person proceeded along with the Messenger of Allah (may peace he upon him) in the state of Ihram and fell down from his camel and his neck was broken, and he died.

The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Bathe him with water mixed with lote (leaves) and shroud him in two (pieces of) cloth and do'not cover his head for he would come on the Day of Resurrection pronouncing Talbiya."

[Sahih Muslim :: Book 7 :: Hadith 2748, 2951]

Urdu Translation: Hazrat Ibn Abbas RadiyAllahu Anhuma farmate hain ke Aik Shaks RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ke hamraah Bahalate Ihram tashreef laye, wo shaks apne Oont se gire aur gardan toot jane ki waja se fot hogaye.

RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Inhen pani aur Beri ke patton se gusul dekar inhi 2 kapdon mein Kafan do aur in ka sir na Dhanpo (taa ke Ihram ki nishani maojood rahe), kyun ke inhen Qayamat ke din isi tarah Talbiya kehte hue uthaya jayega."

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 3 :: Hadith 2891]

✦....✿....♥ Jannat Wahm o Gumaan se Badh kar Nematen ♥....✿....✦

The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "Allah said, "I have prepared for My righteous slaves (such excellent things) as no eye has ever seen, nor an ear has ever heard nor a human heart can ever think of."

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 9 :: Book 93 :: Hadith 589, 7498]

Urdu Translation: Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Allah Subhanahu Wa Ta'ala farmate hain ke Main ne apne Naik bandon ke liye (Janat ki aisi Nematen) tayyar kar rakhi hain Jinhen na kisi Aankh ne dekha, na kisi kaan ne suna aur na kisi Insan ke dil mein un Nematon ka wahm o gumaan bhi guzra hai."

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 8 :: Hadith 7498]

✦..► Taqribat ke Khanon aur Dishon mein Muqabla Baazi Karne Wale ◄..✦

Narrated Abdullah ibn Abbas RadiyAllahu Anhu: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) forbade that the food of two people who were rivalling on another should be eaten."

[Sunan Abi Dawud :: Book 27 :: Hadith 3745, 3754]

Urdu Translation: Hazrat Ibn Abbas RadiyAllahu Anhuma farmaya karte the ke "Bila shuba Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Muqabla baazi (Fakhar o Dikhlawe) mein Aakar khane khilane walon ka khana khane se Mana farmaya."

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 3 :: Hadith 354]

●◗► Muqabla bazi ke khane se Mana farmane ki waja ye hai ke is mein Riyakari, Fakhar o Takabbur aur israf (fuzool kharch) hota hai, Naiz aik fareeq dusre ko Neecha dikhla kar apni badayi aur foqiyat sabit karna chahta hai jo Shara’an sakht mazmoom (bura) hai.

●◗► Rishte nate Jodne mein pahel karen, Rishte nate hamesha Jode rakhen aur Rishton ko kabhi Ana ka Masla na banayen ► Yaad Rakhen! "Thoda sa jhuk jana kisi Rishte ko hamesha ke liye tod dene se bahot behtar hai." ♥

✦......✿.......♥ Mohabbat Andhi Hoti Hai! ♥.......✿......✦

●◗► Dunyawi Mohabbaton ko Dilon se nikal kar ♥ Allah aur us ke Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) se sacchi Mohabbat karen ♥

Narrated AbudDarda RadiyAllahu Anhu: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Your love for a thing causes blindness and deafness."

[Sunan Abi Dawud :: Book 42 :: Hadith 5111, 5130]

Urdu Translation: Hazrat AbudDarda RadiyAllahu Anhu se riwayat hai ke Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Kisi bhi cheez ki (Had darja) Mohabbat Andha aur Bahra kar deti hai."

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 3 :: Hadith 1689]

No comments:

Post a Comment