Friday 13 November 2015

✦......♥ 2 Ba Haya o Paakbaaz Betiyon ka Qurani Waqiaa ♥......✦

⇨ "Aur jab wo (Musa A.S) Madyan ke kunwen par pohche to dekha ke us par aise logon ka Majma hai jo apne Janwaron ko pani pila rahe hain, aur dekha ke un se Alag aik taraf Do Aourten hain jo apne Janwaron (bakriyon) ko ro ke khadi hain, Musa (A.S) ne un se kaha: “Tum kya chahti ho?” Un dono ne kaha: “Ham apne janwaron ko us waqt tak pani nahi pila sakten jab tak sare Charwahe pani pila kar nikal nahi jate, aur hamare Walid bahot budhe Aadmi hain." (Qur’an 28:23)

Quran kareem ki Darj bala Aayat mein Hazrat Shoaib Alaihis Salam ki 2 Paakbaaz Ba Haya Sahibzadiyon ka waqe’a bayan hua hai, is Waqiye ke darj zail Alfaz nihayat Qabile gor hain:

مِنۡ دُوۡنِهِمُ
❶ (Un se Alag aik Taraf) is se pata chala ke Shoaib Alaihis Salam ki Betiyan Mardon se milne julne aur Ikhtelat (mail jol) se bachne ke liye aik taraf ho kar door khadi thin.

تَذُوۡدٰنِ‌
❷ (Wo dono Apne janwaron ko ro ke khadi hain) Janwaron ko is liye roke khadi thin ke kahin in ke Janwar digar logon ke janwaron mein shamil na ho jayen aur phir Badal na khuasta inhen bhi apne Janwaron ko Sambhalne ke liye Na’mahram mardon mein jana pade.

لَا نَسۡقِىۡ حَتّٰى يُصۡدِرَ الرِّعَآءُ
❸ (Ham apne Janwaron ko us waqt tak pani nahi pila sakten jab tak sare Charwahen pani pila kar nikal nahi jate) is se pata chala ke wo Ladkiyan Gair Mardon se Ikhtelat aur Mail Jol se bachne ke liye apne Qeemti waqt ki qurbani aur dunyawi Nuqsan bardasht kar rahi thin.

وَاَبُوۡنَا شَيۡخٌ كَبِيۡرٌ
❹ (Aur hamare walid bahot budhe aadmi hain) Walid ke budhe hone ka tazkirah Sahibzadiyon ne ye batane ke liye kiya ke inhen Janwaron ko pani pilane ke liye ghar se bahar nikalna hargiz pasand nahi, Lekin mushkil ye hai ke walid Sahab (Hazrat Shoaib Alaihis Salam) bahot Umr rasidah hain aur koi dusra shaks bhi bahar ke kamon ke liye nahi, jis ki wajah se Majburan aur Iztiraran in ladkiyon ko ghar se nikalna pad raha hai.

Musa (Alaihis Salam) ne jab ye surate haal dekhi to Aage badhe aur un Sahibzadiyon ke janwaron ko pani pilaya aur wapas mud kar aik Sayadar jaga mein tashreef le aaye.

فَجَآءَتۡهُ اِحۡدٰٮہُمَا تَمۡشِىۡ عَلَى اسۡتِحۡيَآءٍ
❺ (Un dono Aourton mein se aik Hazrat Musa (A.S) ke paas Sharm o Haya ke sath chalti hui Aayi) Sayyidna Hazrat Umar RadiyAllahu Anhu is Aayat ki tafseer mein irshad farmate hain: "Sharm o Haya ke sath chal kar Aane ka matlab ye hai ke Kapde se apna chehra chupa kar Musa (Alaihis Salam) ke paas Aayi." (Tafseer Ibn Katheer 204/6) is se ye usool maloom hua ke Agar kisi Majburi ya zaroori kaam ki wajah se Aourat ko Na’mahram Mard ke paas jana pade to Sharm o Haya ke sath Apna Chehra chupa kar aur Naqab laga kar jaye.

✦......♥ Sahibe Iqtedaar ko Nasihat Karne ka Tariqa ♥......✦

Iyaad Ibn Ghunm said, The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Whosoever wishes to advise the ruler concerning a matter, then let him not do it openly. Rather, he should take him by the hand and take him into seclusion. So if he accepts his advice, then he has achieved his objective, and if he does not accept from him, then he has still conveyed that which was a duty upon him."

Urdu Translation: Hazrat Iyaadh bin Ghunm farmate hain ke Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Jo Shaks Sahibe iqtedaar ko Nasihat karna chahe to use chahiye ke Aa’laniya (sab ke samne) Nasihat na kare balke us ka Hath apne Hath mein pakde aur tanhayi mein le jakar Nasihat ki baat us ke samne rakhe, phir Agar wo use qubool karle to bahot Accha aur agar wo Nasihat qubool na kare to Nasihat karne wale ne to apna Farz ada kardiya."

[Musnad Ahmad bin Hambal :: (3/403) Hadith 15369]

✦........✿........♥ H I J A B ♥........✿........✦

✔ Aawarah aur Hawas bhari Nigahon se bachata hai.
✔ Zina se bachata hai.
✔ Zillat o Ruswayi se bachata hai.
✔ Poore Mua’shre ko be’hayai aur Fasad se bachata hai.
✔ Mua’shre mein iffat o paak damni paida karta hai.

✦.....▶▶ Allah ko Naraz kar ke Logon ko Razi Karna ◀◀.....✦

RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Makhlooq ki Aisi Ita’at jis mein Allah ki Na'farmani hoti ho Halal (jayez) nahi." [Al-Mu'jam Al-Awsat Al-Tabarani :: Hadith 4322]

Allah ki Na'farmani kar ke Makhluq ko razi Rakhne ki darj zail Surten hamare Mua’ashre mein bahot zyadah Rayij hain:

❶ Shadi biyah ke Moqe par Bradri aur Rishtedaron ko razi rakhne ke liye Allah ko Naraz karna.
❷ Aourat ka apne khawind ya Mard ka apni Biwi ko khush karne ke liye Allah ki nafarmani karna.
❸ Waldain ko khush karne ya Aoulad ko khush rakhne ke liye Allah ko naraz karna.
❹ Daftar ke sarbarah Officer ko khsuh karne ke liye Allah ki Na'farmani karna.
❺ Siyasi ya Mazhabi leader ko khush karne ke liye Allah ki na'farmani karna.
❻ Doston ko razi rakhne ke liye Allah ko naraz karna.

✦......♥ Quran Majeed par koi Dusri Kitab na Rakhen ♥......✦

●◗► Allama Baihaqi Rahimullah Farmate hain ke Quran ke Aadab mein se ye aik Adab ye bhi hai ke us par koi Dusri kitab, kapda ya koi cheez na rakhi jaye, Han agar aik Qurani Nuskha par Dusra Qurani Nuskha rakha jaye to ye Jayez hai. [Shuab ul Iman Al-Bayhaqi :: Fi Ta'zeem Al-Quran]

✦.....▶▶ Haakime Waqt ke Kapdon Mein 3 Pewand ◀◀.....✦

Anas ibn Malik RadiyAllahu Anhu said: 'I saw Umar ibn al-Khattab (RadiyAllahu Anhu) when he was the amir of Madina. Three patches were sewn between his shoulders, one patched over the other.'

[Muwatta Imam Malik :: Book 48 :: Hadith 1673, 3400]

Urdu Translation: Hazrat Anas bin Malik RadiyAllahu Anhu farmate hain ke Main ne 'Hazrat Umar RadiyAllahu Anhu ke Zamana khilafat mein unhen dekha ke un ke Dono kandhon ke darmiyan (kurte mein) 3 Pewand lage hue the aur pewand hi ko aik dusre ke sath joda gaya tha (aik ke uphar aik).'

[Urdu Ref :: Muwatta Imam Malik :: Hadith 2210]

✦........♥ Bandon ki Toba Qubool karne Wala ♥........✦

⇨ "Aur Wahi Allah hai jo apne Bandon ki Toba qubool karta hai, aur Gunahon ko muaaf karta hai, aur jo kuch tum karte ho, us ka pura ilm rakhta hai." (Qur'an 42:25)

⇨ "And He it is Who accepts repentance from His slaves, and forgives sins, and He knows what you do." (Qur'an 42:25)

Ya Allah! Hamari bhi toba qubool farmale aur Hamen Toba par sabit qadmi Naseeb farma. (Aameen)

●◗► Ailk Ladki Raat ko 12 baje raste pe khadi thi, Bus na milne ki wajah se bahot pareshan thi, Raste se Aik ladka bullet pe ja raha tha, Us ladki ne us ladke se lift mangi, Ladka ruka Ladki ne kaha "Mujhe Ghar Chhor do".

Us ladke ne ladki ko uske ghar chorr diya, Ghar pe chorte waqt us ladke ne us se pucha, Apke samne itni gadiyan gayi Par apne mujh se hi Lift kyun mangi? Ladki ne kaha: Apke bullet ke samne ki "No. Plate" pe ♥ PROUD TO BE MUSLIM ♥ Likha hua dekha isliye apse lift mangi.

◗► kyun ki mujhe pata tha MUSLIM kabhi kisi ladki ke sath galat nahi karte aur Na hi galat hote dekh sakte hain,  Hume aisa banna chahiye ke log bharose aur Imandar ka dusra Naam Muslim hai bolna.

✦.....▶▶ Gusse ki Halat Mein koi Faisla na Karen ◀◀.....✦

The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "A judge should not judge between two persons while he is in an angry mood."

[Sahih Bukhari :: Vol. 9 :: Book 89 :: Hadith 272]

Urdu Translation: Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ka Irshad Girami hai: "Faisla karne wala shaks Do aadmiyon ke darmiyan us waqt Faisla na kare Jab wo gussa ki halat mein ho."

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 8 :: Hadith 7158]


●◗► "Dunya ka Sab se bada Risk Tobah kiye bagair Sona hai."

No comments:

Post a Comment