Tuesday 24 November 2015

✦.......✿........♥ 2 Thandi Namazen ♥........✿.......✦

Narrated Abi Musa RadiyAllahu Anhu: "Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, 'Whoever prays the two cool prayers (`Asr and Fajr) will go to Paradise.'"

[Sahih Bukhari :: Vol. 1 :: Book 10 :: Hadith 548]

Urdu Transaltion: Hazrat Abu Musa RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad farmaya: "Jo Shaks 2 Thandi Namazen (Fajr aur Asr pabandi se) padhe wo Jannat mein Dakhil hoga."

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 1 :: Hadith 574]

✦.....✿.....♥ Heere Jawaherat se Qeemti Baten ♥.....✿.....✦

● Jo Dosti chahta hai, us ke liye "Allah" se dosti kafi hai.
● Jo peshwa aur Muqtada chahta hai, us ke liye "Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam" ki Iqteda kafi hai.
● Jo Unsiyat (mohabbat) aur Qalbi talluq chahta hai, us ke liye "Quran" kafi hai.
● Jo Maaldari chahta hai, us ke liye "Qina’at" kafi hai.
● Jo Nasihat hasil karna chahta hai, us ke liye "Mout" kafi hai.

◈ Muqtada - Wo shaks jis ki log Pairwi karen, Rahnuma.
◈ Qina’at - Thodi cheez par khush rahna, Jo mil jaye us par Razi rahna.

✦......♥ Raahgiron ko Apni Sawari par Bithana (lift dena) ♥......✦

Narrated Jabir ibn Abdullah RadiyAllahu Anhu: "The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) used to keep to the rear when travelling and urge on the weak. He would take someone up behind him and make supplication for them all."

[Sunan Abu Dawud ::  : Book 14 :: Hadith 2633, 2639]

Urdu Translation: Hazrat Jabir bin Abdullah RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke "Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Safar mein piche rah kar Zayeef aur kamzor ki madad farmate, use Apni sawari par piche bithate aur us ke liye Dua farmate."

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 2 :: Hadith 867]

●◗► Dourane safar Rasool Akram Sallallahu Alaihi Wasallam apne sathiyon aur Raahgiron ka bahot zyadah khayal rakhte, Bil’khusus jin logon ke paas Sawari na hoti un khush Nasibon ko apni sawari par bithate, Chunanche Hazrat Mu’adh (RadiyAllahu Anhu), Hazrat Fazal (RadiyAllahu Anhu) aur digar kayi Sahaba karam (RadiyAllahu Anhum) ko RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ki sawari par Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki hamr kabi (sath) mein sawar hone ki Sa’adat naseeb hui.

✦..........♥ Miswak Karne ke Fawayed ♥..........✦

❶ RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ki Mubarak Sunnat hai.
❷ Muh ki Safayi ka zariya hai.
❸ Balgham ka khatima karti hai.
❹ Nigah taiz karti hai.
❺ Aawaz saaf karti hai.
❻ Medah ki islah karti hai.
❼ Hazima behtar banati hai.
❽ Tilawat aur Zikr o Azkar mein Nishat o Taazgi paida karti hai.
❾ Naame Aa’mal mein Nekiyon ko badhati hai.
➓ Allah ki Raza aur Iman par khatime ka sabab hai.

✦........► Maahe SAFAR Hargiz Manhoos Nahi! ◄........✦

Maahe Safar Islami Qamri Calendar ka dusra mahina hai, is Mahine mein shari’at mutahhara ne na to koi khaas Ibadat muqarrar ki hai aur na hi is Mahine ke bare mein koi khaas toham parasti ki taleem di hai, Magar bad’qismati se kuch logon ka khayal hai ke (Na’uzubillah) ye mahina badbakht aur Manhoos hai, isi wajah se is mahine mein Shadi Biyah o digar khushi ki taqribat ke In’eqad se ijtenab kiya jata hai.

Ye khayal bilkul be bunyad hai aur ye darasal usi toham parasti ka tasalsul hai jo Islam se qabl Arab mein aam thi, RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Toham parasti par mabni aise tamam Aqayed ko yaksar khatam farmadiya, Bilkhusus Maahe safar ke bare mein to Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ne wazeh tor par Irshad farmaya diya: La Safar yani "Safar ke mahine ko Manhoos samajhne ki koi haqiqat nahi." (Sahih Bukhari :: 5757)

Is wazeh Irshade Nabwi ke bawajood bhi Aaj kal logon ki aik badi Ta’dad is mahine ko manhoos samajhti hai balke is mahine ke hawale se Ajeeb o Gareeb chizen hamare mua’shre mein Mashhoor hain. Maslan:

❶ Is ke ibtedayi 13 din Manhoos aur "Tera Tezi" kehlate hain.
❷ Is mahine ki nahusat se bachne ke liye zyadah se zyadah Murawwaja Quran khuani ka Ehtemam kiya jata hai.
❸ Sirf isi mahine mein Jinnat se hifazat ke Aamal kiye jate hain.
❹ Is Mahine ki Nahusat se bachne ke liye ghar se door daraz nikalne aur safar karne se ijtenab barta jata hai.
❺ Is Mahine ko Aorton ke bajaye mardon par zyada bhari tasawwur kiya jata hai.
❻ Is mahine ki Aakhri budh ko khushi manayi jati hai aur mithayi taqseem ki jati hai. Wagerah.

●◗► Islam mein bad’shuguni aur Nahusat ka koi tasawwur nahi, Islam mein agar koi nahusat o bad’shuguni ki cheez hai to wo insan ki apni Bad’Aamaliyan, Fusq o fujoor, Naach gana, Fahashi o Uryani aur Allah ki khullam khulla Nafarmaniyan hain jo ghar ghar mein ho rahi hain, Agar ham waqeyi Nahusat se bachna chahte hain to Lanat o phatkar aur Qaher khudawandi ko dawat dene wale kamo se bachen.

✦........▶▶ Mobile Phone ka Kaar Aamad Istemal ◀◀........✦

◈➲ Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ka Irshade Girami hai: "Rishte Naate todne wala Jannat mein dakhil Nahi hoga." (Sahih Bukhari :: Hadith 5984)

◈➲ Aik Dusri Hadees mein RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ka Irshad hai: Momin ke liye jayez nahi ke apne Musalman bhai ko (qata talluqi ki bina par) teen din se zyada chhode rakhe. (Sunan Abu Dawood : 4910) Naiz ye bhi Irshade Nabwi Sallallahu Alaihi Wasallam hai ke Jis shaks ne (narazgi ki wajah se) apne Musalman bhai se Aik saal tak milna julna chhode rakha to goya us ne us ka khoon kiya. (Sunan Abu Dawood : 4915)

●◗► Hamare Mua’shre mein mamuli mamuli baton, Jaidad o Makan ke jhagdon aur Paise ke lain dain ke tanazue par qareebi Rishtedaron se qata talluqi karne ka riwaj Aam hai aur ham mein se taqriban har dusra shaks is ka shikar Nazar aata hai, Qata Talluqi ki wajah se Jannat se mahrumi aur Aakhirat ka dardnaak Azab to apni jaga Magar dunya mein jo be barkati, Nahusat aur Tangi hoti hai us ke Tasawwur se hi har Musalman kaanp uthta hai.

✿ Lihaza ham mein se har shaks Qata Talluqi khatam kar ke Silah rahmi shuru kare, aur is Azeem maqsad ke liye agar apne aap ko jhukna pade to ham jhuk jayen Allah izzat ki bulandiyan ata farmayenge, Agar haq par hone ke bawajood apna hissa ya haq chhorna pade to chhorden Allah Jannat mein Mahel marhamat farmayenge.

✿ Pehle zamane mein Qata Talluqi khatam karne ke liye bade Jatan karne padte the, Dusre shaher ka safar karna padta tha, Apni masrufiyaat mein se waqt nikal kar us Rishtedar ke paas chal kar jana padta tha, Ab "MOBILE PHONE" ki Aijad se ye mushkil Aasan hogayi hai, Aaj aur Abhi Phone uthayen aur jis Rishtedar se Qata Talluqi kar rakhi ho us se Dil saaf kar ke baat karen, us ki kadwi kasili bardasht karlen magar Qata rahmi ka wabal apne sir se utar kar phenk den.

2 comments:

  1. Assalamu Alaikum
    Khairiyat Abuzar Sahab.
    Aap K Is Page Par Hamen Bahut Kuch Seekhne Ko Milta Hai.
    Allah Aap Ko Jazaye Khair De.

    ReplyDelete
  2. Allah aap ke ilm mein barkaat ata farma Ameen

    ReplyDelete