Tuesday, 15 March 2016

✦.....♥ Khawateen ke Liye Namaz ki Sab se Behtareen Jaga ♥.....✦

Narrated from Umm Humayd, the wife of Abu Humayd al-Saa’idi (RadiyAllahu Anha) that she came to the Prophet (peace and blessings of Allaah be upon him) and said: "O Messenger of Allaah, I love to pray with you."

He (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "I know that you love to pray with me, but praying in your house is better for you than praying in your courtyard, and praying in your courtyard is better for you than praying in the mosque of your people, and praying in the mosque of your people is better for you than praying in my mosque."

So she gave orders that a ‘mosque’ be built for her in the innermost and darkest part of her house, and she used to pray there until she met Allaah (i.e., died).

[Musnad Ahmad bin Hanbal :: Hadith 27135]

●══════════════◄►═════════════●

Urdu Translation: Hazrat Suwaid Ansari apni Phupi Umm Humayd al-Saa’idi RadiyAllahu Anha se bayan karte hain ke wo Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ke paas Aayen aur Aap se arz kiya: Ya RasoolAllah! Mujhe aap ke sath Ba’jamat Namaz ada karne ka shoq hai.

RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Mujhe Maloom hai ke tum Mere sath Namaz ada karne ka Shoq rakhti ho, Taham Tumhara ghar ke Anduruni hisse (Makan ka aisa hissa jahan raat ko Aaram kiya jaye) mein Namaz padhna bade kamre mein Namaz padhne se behtar hai aur Bade kamre ki Namaz ghar ke sahen mein Namaz padhne se behtar hai, aur Ghar ke sahen ki Namaz Muhalle ki Masjid mein Namaz padhne se behtar hai aur Muhalle ki masjid mein Namaz padhna tumhare liye meri Masjid mein Namaz padhne se Afzal hai.”

Chunanche un Khatoon ke liye ghar ke Anduruni hisse (raat ko aaram karne ki jaga) mein Namaz padhne ki jaga bana di gayi, phir wo apni Wafat tak wahin Namazen ada karti rahen.

[Musnad Ahmad bin Hanbal :: Hadith 27135]

✦......► Agle Jahan Mein kya lekar Ja Rahe Hain? ◄......✦

Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Jab Insan mar jata hai to Farishte puchte hain ke ye kya le kar Aaya hai? Aur log puchte hain ke is ne (maal o doulat mein se ) kya chhoda hai?” (Al-Musannaf ibn Abi Shaybah : 35851)

●◗► Jo chizen Aakhirat mein kaam Aane wali hain un par hamara waqt aur Salahiyaten sarf hone ke bajaye sirf un Chizon par lag rahi hain Jinhen is dunya mein hi Chhod kar jana hai.

✦......♥ Fout Shudah Walidain ko Rahat Pohchayen ♥......✦

Narrated Abu Huraira RadiyAllahu Anhu: Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "A man will be raised in status in Paradise and will say: 'Where did this come from?' And it will be said: 'From your son's praying for forgiveness for you.'"

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 5 :: Book 33 :: Hadith 3660]

Urdu Translation: Hazrat Abu Huraira RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Yaqinan Aik shaks ke liye Jannat mein darja buland kiya jata hai to wo Arz karta hai: "Aye Mere Rab ye mera ye darja kaise buland ho gaya? (kyun ke main ne to koi Aml kiya hi nahi) us shaks se kaha jata hai: "Tere Bete ke tere liye Astaghfar karne ki wajah se ye Darja buland hua hai."

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 3 :: Hadith 541, 3660]

Ham apne Bacchon se umuman ye Sawalat karte Hain:

● Aap ne khana kha liya?
● Aap ne homework mukammal kar liya?
● Aap ne school ki tayyari  karli? wagerah wagerah

Lekin ham Aik aisa sawal Chhor dete hain jo  hamare Bacchon ko Jahannam se bachane ka zariya hai aur wo hai: "Kya Aap ne Namaz Padhli?."

✦.......:) Gunahgaron ke Liye Azeem Khushkhabri :).......✦

The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: “If you were to commit sin until your sins reach the heaven, then you were to repent, your repentance would be accepted.”

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 5 :: Book 37 :: Hadith 4248]

Urdu Translation: Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Agar tum itne Gunah karlo ke Tumhare Gunah Aasman tak bhi pahoch jayen, Magar us ke baad tum Tauba karlo to Allah Subhanahu Wa Ta'ala tumhari Tauba qubool farma lenge.” 

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 3 :: Hadith 1129, 4248]

✦.....:) Khana bhi Khayen aur Gunah bhi Bakhshwayen! :).....✦

The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: If anyone eats food and then says:

الْحَمْدُ لِلَّهِ الَّذِي أَطْعَمَنِي هَذَا الطَّعَامَ وَرَزَقَنِيهِ مِنْ غَيْرِ حَوْلٍ مِنِّي وَلاَ قُوَّةٍ

"Praise be to Allah Who has fed me with this food and provided me with it through no might and power on my part," he will be forgiven his former and later sins.

[Sunan Abi Dawud :: Book 33 :: Hadith 4012, 4023]

●═══════════════◄►══════════════●

Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Jo Shaks khana khane ke baad ye Dua padhle:

الْحَمْدُ لِلَّهِ الَّذِي أَطْعَمَنِي هَذَا الطَّعَامَ وَرَزَقَنِيهِ مِنْ غَيْرِ حَوْلٍ مِنِّي وَلاَ قُوَّةٍ

(Tarjuma: “Tamam Tareefen us Allah ke liye hain jis ne Mujhe ye khana khilaya aur Meri kisi bhi koshish aur Taqat ke bagair mujhe ye khana Ata Farmaya”.)

To us ke Agle Pichle tamam Gunah Muaaf kardiye jate hain.”

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 3 :: Hadith 623]

✦......♥ Zakhmi Dil Pe Marham Rakhne Wali Aayat! ♥......✦

●◗► Jab dunyawi Masayeb aur Aazmayeshon se Dil pareshan aur Zakhmi ho jaye, Mushkilaat Insan ko mayoos karne lagen to Darj zeil Irshade Khudawandi mein Gor o tadabbur karen, Dil ko itminan aur Tasalli hasil ho jayegi:

⇨ Allah Subhanahu Wa Ta'ala Farmate hai: “Aur tum apne Parwardigaar ke Faislon par Sabr karo kyun ke tum Hamari Nigahon ke samne ho.” (Al-Quran:Surah At-Tur:48)

⇨ "And be patient, for the decision of your Lord, for indeed, you are in Our eyes." (Qur’an 52:48)

✦.....♥ Quran Jism Insani ko Qabo Mein Rakhne Wali Kitab ♥.....✦

● Insani Aawaz  control mein rakhne ke liye Quran farmata hai: “Aur apni Aawaz ko Aahista rakho.” (Surah Luqman:19)

● Insani Alfaz control mein rakhne ke liye Quran farmata hai: “Aur logon se bhali baat kehna.” (Surah Al-Baqarah:83)

● Insani Aankhon ko control mein rakhne ke liye Quran farmata hai: “Aur Momin mardon se kah do ke wo Apni nigahen nichi rakhen aur apni Sharm gahon ki hifazat karen.” (Surah An-Noor:30)

● Insani chaal dhaal ko control karne ke liye Quran farmata hai: “Aur Zameen par Itrate hue na chalo.” (Surah Luqman:18)

● Insani hirs o tama’a ko control karne ke liye Quran farmata hai: “Aur tum un chizon ki taraf hargiz Aankh utha kar bhi na dekho, jo ham ne Mukhtalif logon ko maze udane ke liye de rakhi hain.” (Surah Al-Hijr:88)

● Khane pine o digar Akhrajaat control karne ke liye Quran farmata hai: “Fuzool kharchi mat karo.” (Surah Al-A’raf:31)

✦........► Munkirine Hadees ka Tariqaye Wardaat! ◄........✦

The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Soon there will come a time that a man will be reclining on his pillow, and when one of my Ahadith is narrated he will say: 'The Book of Allah is (sufficient) between us and you. Whatever it states is permissible, we will take as permissible, and whatever it states is forbidden, we will take as forbidden.' Verily, whatever the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) has forbidden is like that which Allah has forbidden."

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Book 1 :: Hadith 12]

Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Wo waqt door nahi jab Aik shaks Aaram se Takya lagaye hue Palang pe baitha hua hoga, Jab us se meri Hadison mein se koi Hadees bayan ki jayegi to kahega ke hamare aur Tumhare Darmiyan Allah ki kitab Maojood hai, Jis cheez ko us mein halal Payenge to use Halal janenge aur Jis cheez ko us mein Haram payenge to use Haram janenge (yani Hadise Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ki hamen zarurat nahi Quran hi kafi hai)…

Khoob kaan khol kar sunlo! Jis cheez ko Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ne Haram qarar diya ho wo Aisa hi hai Jaise use Allah ne Haram qarar diya hai.”

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Hadith 12]

✦.........♥ Apne Waqt Par Namaz Padhna ♥.........✦

Narrated `Abdullah RadiyAllahu Anhu: I asked the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam): "Which deed is the dearest to Allah?" He (Sallallahu Alaihi Wasallam) replied, "To offer the prayers at their early stated fixed times." I asked, "What is the next (in goodness)?" He (Sallallahu Alaihi Wasallam) replied, "To be good and dutiful to your parents" I again asked, "What is the next (in goodness)?" He (Sallallahu Alaihi Wasallam) replied, 'To participate in Jihad (religious fighting) in Allah's cause."

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 1 :: Book 10 :: Hadith 505, 527]

●═════════════════◄►════════════════●

Urdu Translation: Hazrat Abdullah bin Mas'ud RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke Main ne Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se pucha:

Allah Ta'ala ke Nazdeek konsa Aml sab se Zyadah pasand hai?
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Waqt par Namaz Padhna.”

Main ne pucha phir konsa?
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Walidain ke sath Accha Sulook karna.”

Main ne pucha phir konsa?
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Allah ke Raste mein Jihad karna.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 1 :: Hadith 527]

✦........♥ Ahkame Shariah Par Aml ka Jazba ♥........✦

Anas b. Malik RadiyAllahu Anhu reported: I was serving drink to Abu 'Ubaida b. jarrah, Abu Talha and Ubayy b. Ka'b prepared from unripe dates and fresh dates when a visitor came and he said: Verily liquor has been prohibited. Thereupon, Abu Talha (RadiyAllahu Anhu) said: Anas, stand up and break this pitcher. "I stool up and (took hold) of a pointed stone and struck the pitcher with its lower part until it broke into pieces."

[Sahih Muslim :: Book 23 :: Hadith 4889, 1980]

Urdu Translation: Hazrat Anas bin Malik RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke Main Abu 'Ubaida bin al-Jarrah (RadiyAllahu Anhu), Abu Talha (RadiyAllahu Anhu) aur Ubayy bin Ka’b (RadiyAllahu Anhu) ko kacchi pakki Khajoor ki Sharab pila raha tha, itne mein aik Pukarne wala Aaya aur Aawaz di ke “Sharab Haram kardi gayi hai.”

Hazrat Abu Talha RadiyAllahu Anhu kehne lage: Aye Anas! Uth aur ye Sharab ka matka tod de. “Main utha aur Patthar ka hathoda uthaya aur Matke ke pende par de mara, Hatta ke wo pash pash ho gaya.”

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 5 :: Hadith 5138]

✦....:o Masjid Mein ya Masjid Jate Waqt Ungliyan Chatkhana! :o....✦

The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) has said: "If any of you performs ablution, and performs his ablution perfectly, and then goes out intending for the mosque, he should not cross the fingers of his hand because he is already in prayer."

[Sunan Abi Dawud ::  Book 2 :: Hadith 562]

Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya hai: “Jab Tum mein se koi Acchi tarah Wuzu kar ke Masjid ke Iradah se Nikle to wo apne hathon se Tashbeek na kare (yani ungliyan na Chatkhaye) kyun ke wo Goya Namaz hi ki halat mein hai.”

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 1 :: Hadith 560]

✦....► Shak o Shubah Mein Dalne Wale Umoor se Ijtenab ◄....✦

Al-Hasan bin 'Ali RadiyAllahu Anhu said: "I remember that the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: 'Leave what makes you in doubt for what does not make you in doubt. The truth brings tranquility while falsehood sows doubt.'"

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 11 :: Hadith 2518]

Urdu Translation: Hazrat Hasan bin Ali RadiyAllahu Anhuma Farmate hain ke Mujhe Rasool Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ka ye Irshade Girami yaad hai: “Shak o Shubah mein Dalne wali cheez chhod kar us Cheez ko Ekhtiyar karo jo Tumhen Shak o Shubah mein na dale, Bila Shuba Sacchayi ba’ise itminan hai aur Jhoot be chaini paida karta hai.”

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 408]

No comments:

Post a Comment