Friday 25 March 2016

✦....♥ Aourat Apne Shohar ke liye Banao Singhar Kare! ♥....✦

Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam se Arz kiya gaya Ya RasoolAllah! Behtareen Aourat konsi hai? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: Behtareen Aourat wo hai ke:

❶ Jab us ki taraf us ka Shohar dekhe to wo Shohar ko khush karde.
❷ Jab wo use kisi baat ka hukum de to Shohar ki Ita’at kare.
❸ Jaan aur Maal ke Muamle mein shohar jis cheez ko Na’pasand karta ho us mein us ki Mukhalifat na kare.”

[Urdu Ref :: Sunan an-Nasa’i :: Vol. 2 :: Hadith 1143, 3231]

Muhaddiseen ne likha hai ke Behtareen Aourat apne Shohar ko char tarah se khush rakhti hai: (1) Apni deendari se, (2) Apne akhlaq se, (3) Apne Mua’mlat se aur (4) Apne banao singhar se, Lehaza Musalman Aourat ko chahiye ke Shari’at ki hudood mein rahte hue apne Khawind ke liye banao singhar kare aur Apna banao Singhar aur Zeenat Na’mahram Mardon ko dikhati na phire.

●══════════════◄►═════════════●

Narrated Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu: It was narrated that Abu Hurairah said: "It was said to the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam): 'Which woman is best?' He (Sallallahu Alaihi Wasallam) said:

❶ 'The one who makes him happy when he looks at her,
❷ Obeys him when he commands her, and
❸ She does not go against his wishes with regard to herself nor her wealth.'"

[Sunan an-Nasa'i :: Vol. 4 :: Book 26 :: Hadith 3233, 3231]

✦..........♥ Khel Kood ke Shar’i Ehkaam ♥..........✦

Islam Jismani warzish par mushtamil khelon ki na sirf Ijazat deta hai Balke makhsoos Sharayet ke sath Hosla Afzayi bhi karta hai, Rasool Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Ghud sawari, Dod ka muqabla, Tairaki (Swimming) aur Nishana bazi ki targeeb di hai, Albatta Quran o Sunnat mein na jayez aur be Aitedali par mushtamil khelon ko Lahu o La’ab kaha gaya aur in se Ummat Muslimah ko sakhti se roka gaya hai. Khel kood ki Darj zail surton ko Islam na Jayez Qarar deta hai:

❶ Aise tamam khel jin mein juwa (Gambling) ya satta lagaya jaye ya rupe paise ki shart ho.

❷ Aise tamam khel ya warzishen jin se Aqidah, Imani kaifiyat aur Islami tarbiyat bigadne ka Qawi Andesha ho.

❸ Aise tamam khel jin mein khiladiyon ka libas Gair islami ho ya Naaf se lekar ghutnon tak hisse ko na dhanpa jaye, isi tarah khel ke maidan ka mahol Munkirat se bhara hua ho, be pardagi, Fahashi, uryani, Mosiqi, manshiyat o Nasha aawar Ashya ka istemal aur digar Mua’shirati kharabiyan maojood ho.

❹ Aise tamam khel jin mein shayeqeen ki dilchaspi junoon ki had tak badh jaye, aur un khelon ki wajah se Farz Namaz ke Aoqat, mulazimat, taleem aur ma’mulat par manfi aur Galat asrat murattab hon.

❺ Chote bacchon ke aise video game jin mein cartoon ko Neem uryan (Aadha Nanga) libas mein dikhaya gaya ho, Naach gane ki targeeb ho ya be hayayi par Mushtamil tor Tariqe aur Guftagu shamil ho.

❻ Aise tamam khel jin mein jani Nuqsan ya zahni o jismani Mazuri ka khadsha ho, jaise Motorcycle ya gadi ki unchi chalangen, Jangli darindon ke sath khel, chaqu, churi aur Aslaha se insani Jism ko takhta mashq banana wagerah, Shari’at Islami is ki ijazat Hargiz nahi deti ke Mahez khel o kartub ke khatir insani jaan ko Halakat mein dala jaye, ye jaan Insan ki apni nahi balke Allah ki taraf se Amanat hai, jise Allah ke raste mein ya Jaan o Maal ke tahaffuz ke Alawah kahin aur khatre mein dalne ki ijazat nahin.

✦.......:/ Aaj kal Neki ka Zamana Nahin! :/.......✦

●◗► Jo log ye kehte hain ke Aaj kal Neki ka Zamana nahi raha, Wo log darasal Insan se Neki ka badla chahte hain! 

Lekin jo log sirf Allah ki Raza ke liye Neki karte hain un ke liye har Zamana Neki ka Zamana hai.

✦....:( Aourton ko Ranj o Sadma Pohchana :(....✦
✦............► Allah ko Sakht Na Pasand ◄............✦

● Allah Subhanahu Wa Ta'ala ne Hazrat Musa (Alaihis Salam) ki Walidah se Mutalliq Irshad Farmaya “Ham ne Musa (Alaihis Salam) ko un ki Maa ke paas lota diya, Taa ke un ki Aankh thandi hon Aur wo Ghamgeen na hon.” (Surah Al-Qasas:13)

 ● Allah Subhanahu Wa Ta'ala ne Azwaje Mutahrat se Mutalliq Irshad Farmaya: “Is baat ki Zyadah toqi hai ke in sab ki Aankhe thandi rahengi, Aur wo Ghamgeen nahi hongen.” (Surah Al-Ahzab:51)

 ● Allah Subhanahu Wa Ta'ala ne Hazrat Maryam (Alaihis Salam)  se Mutalliq Irshad Farmaya: “Farishte ne niche ki Janib se un ko Aawazdi: ke Gham na karo.” (Surah Al-Maryam:24)

 ● Allah Subhanahu Wa Ta'ala ne Hazrat Musa (Alaihis Salam) ki Walidah se Mutalliq Irshad Farmaya: “Aur Darna nahi aur Ghamgeen na hona.” (Surah Al-Qasas:7)

●◗► Darje Baala Aayate Qur’aniya se pata chala ke Aourat ko Ranj aur Sadme ki halat mein dekhna Allah ko pasand nahi, Lehaza apne kisi Qoul o Fail se apne Walidah ka dil na dukhayen, Apni Bahno ko Afsurdah na karen, Apni Biwi ko Ranj o Sadma na pohchayen aur Apni betiyon ko Ghamgeen na rakhen.

✦.......♥ Umdah Salam Karne Par 30 Nekiyan! ♥.......✦

Narrated 'Imran bin Husain RadiyAllahu Anhu: A man came to the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) and he said, “As-Salamu 'Alaykum” The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, “TEN good deeds.”

Then another man came to the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) and he said, “As-Salamu 'Alaykum Wa Rahmatullah” The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, “TWENTY good deeds.”

Then another man came to the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) and he said, “As-Salamu 'Alaykum Wa Rahmatullahi Wa Barakatuh” The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, “THIRTY good deeds.”

[Sunan At-Tirmidhi :: Vol. 5 :: Book 40 :: Hadith 2689]

●════════════════◄►═══════════════●

Urdu Translation: Hazrat Imran bin Husain RadiyAllahu Anhu farmate hain ke RsoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ki khidmat mein aik Shaks hazir hue aur “As-Salamu 'Alaykum” kaha, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “(in ke liye) 10 Nekiyan”.

Kuch dair baad aik Dusre aadmi hazire khidmat hue aur “As-Salamu 'Alaykum Wa Rahmatullah” kaha, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “(in ke liye) 20 Nekiyan”.

Kuch dair baad aik Teesre shaks hazire khidmat hue aur “'As-Salamu 'Alaykum Wa Rahmatullahi Wa Barakatuh” kaha, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “(in ke liye) 30 Nekiyan”.

 [Urdu Ref ::  Sunan At-Tirmizi :: Vol. 2 :: Hadith 585, 2689]

✦.......-_- Zaahir ki Aankh se na Tamasha kare Koi! -_-.......✦

Sota hua shaks jo kuch dekhta hai us ke Khuab hone ka Andazah use Jagne ke bad hi hota hai, isi tarah Aakhirat se Gafil shaks apni Salahiyaten jahan zaye kar raha Hota hai us ke Dhoke aur khuab hone ka Andazah use Marte hi ho jata hai.

Ya Allah! Hamen dunya ke Dhoke se Nikal kar Aakhirat ki Tayyari mein lagne ki Toufeeq Naseeb farma. (Aameen)

✦.........► Chugalkhor ko Pehchanen! ◄.........✦

●◗► Aap ko Maloom hai ke Fulan shaks aap ke Bare mein kya kah raha tha??? ► Nahi! Mujhe to nahi Maloom! Albatta mujhe Aap jaise logon ke bare mein Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) ka Irshade Girami maloom hai.

Urdu Translation: Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne irshad Farmaya: "Kya main tumhen tumhare Bad’tareen logon ke bare mein na bataun? Sahaba (RadiyAllahu Anhum ) ne arz kiya: Zaroor!

Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Jo Chugal khori karte hain, Aapas mein Mohabbat rakhne walon mein Tafarruqa dalte hain aur Paak logon ke Aaib dhoondte hain."

[Al-Mu'jam Al-Kabeer Al-Tabarani :: Hadith 423] [Al-Adab Al-Mufrad :: Hadith 323]

●══════════════════◄►═════════════════●

The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Shall I tell you who is the worst of you?" "Yes," they replied.

He (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "Those who go about slandering, causing mischief between friends in order to separate them, and desiring to lead the innocent into wrong action."

[Al-Mu'jam Al-Kabeer Al-Tabarani :: Hadith 423] [Al-Adab Al-Mufrad :: Book 15 :: Hadith 323]

✦.......♥ Nazre Bad ke Bajaye Nazre Khair! ♥.......✦

Kitni ba Barkat hai wo Aankh jo kisi ki Umdah cheez ya khubi dekh kar Hasad karne aur Nazar lagane ke bajaye ye kahe:

'MashaAllah La quwwata illa billah', 'MashaAllah TabarakAllah'

Aur phir Dil ki Gahrayyon se ye Dua bhi de: Allah Ta’ala is Nemat mein barkat ata Farmayen aur Mazeed Nematon se Nawazen. (Aameen)

✦......♥ Dosti Khalis Banane ka Nuskha ♥......✦

Hazrat Umar bin Khattab RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke Dost se Mohabbat ko khalis aur Deir pa banana ke 3 tariqe hain:

● Jab bhi dost se mulaqat ho to Salam karne mein pahel kijiye.
● Dost ko Umdah aur Acche naam se Mukhatab kijiye.
● Majlis mein us ke Ehteram mein Jage ko kushadah kijiye.

[Al-Zuhd wa Al-Raqa'iq ibn Al-Mubarak : 352]

✦........♥ Roz Marrah Iste’mal ke Masnoon Alfaz ♥........✦

❶ Kisi kaam ka iradah karte hue - InshaAllah
❷ Iradah karne ke baad – Tawakkaltu Ala-Allah
❸ Kaam Shuru karte waqt - Bismillah
❹ Kisi Nemat ko dekh kar - MashaAllah
❺ Nemat ka shukr Ada karte hue - Alhamdulillah
❻ Insan ka Shukriya Ada karte hue – JazakaAllahu Khairan
❼ Musibat ke waqt - HasbiyAllah
❽ Upar chadhte hue - AllahuAkbar
❾ Niche utarte hue - SubhanAllah
➓ Mulaqat ke waqt - Assalamu Alaikum
⓫ Gunah ho jaye to - Astaghfirullah
⓬ Jani ya Maali Nuqsan par - Inna lillahi wa inna ilaihi raji'un'.

✦.....► Shalwar, Pajama Wagerah Takhnon se Upar Rakhen! ◄.....✦

Narrated Abu Sa'id al-Khudri RadiyAllahu Anhu: The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "The way for a believer to wear a lower garment is to have it halfway down his legs and he is guilty of no sin if it comes halfway between that and the ankles, but what comes lower than the ankles is in Hell. On the day of Resurrection. Allah will not look at him who trails his lower garment conceitedly."

[Sunan Abi Dawud :: Book 33, Hadith 4082, 4093]

Urdu Translation: Hazrat Abu Sa’eed al-Khudri RadiyAllahu Ta’ala Anhu se Riwayat hai ke  RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: 

✔ “Musalman ki chadar (shalwar, pajama, jubba, patloon) Nisf pindli tak hoti hai,
✔ Pindli aur Takhnon ke darmiyan tak kapda Rakhne mein koi harj nahi hai,
✔ Aur jo kapda takhnon se niche hoga wo Aag ka hissa hai aur
✔ Jis ne Takabbur ki waja se kapda takhnon se Niche latkaya Roze Qayamat Allah       Ta’ala use Rahmat ki Nigah se nahi dekhega.”

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 3 :: Hadith 692, 4095]

No comments:

Post a Comment