Monday, 30 May 2016

✦..♥ Padhayi mein Kamzor Bacchon ko Hosla Afzayi ki Zarurat! ♥..✦

Barqi Aalaat ka Mu’ajjad aur Mashhoor Science Dan Thomas Edison Jab chota Baccha tha to Aik din Apne School se ghar wapas aaya aur aik Sar Bamhar lifafah apni Waldah ko diya aur kaha ke Ustad ne diya hai aur Takeed ki hai ke apni Maa ko dedo, Chunanche Maa ne wo khat khol kar padha aur us ki Aankhon mein Aansu Aagaye, phir us ne Ba’aawaz buland wo khat padh kar apne Bacche ko sunaya:

⇨ “Aap ka beta Genius hai, ye School is ke liye bahot chota hai aur is mein itne Acche ustad nahin ke ise padha saken, Lehaza aap ise Khud hi padhalen.”

Thodi hi Arse baad wo baccha Aik MayaNaaz Science Dan ke tor par Mashhoor ho gaya, ye wo Zamana tha jab us ki Waldah wafat pa chuki thin, Aik din wo apne Khandan ke purane Kaghzat mein kuch dhoond raha tha ke use Ustad ka diya hua wo khat mila, us ne Foran khat ko Tatola to us mein likha tha:

⇨ “Tumhara Beta Intehayi Ghabi aur Zahni tor par Nakarah hai, ham ise Mazeed School mein Nahin rakh sakte.” Ye padh kar Edison kayi Ghante rota raha aur usi din us ne Apni Dairy mein likha: “Thomas Edison aik Zahni Nakarah baccha tha, Lekin aik Azeem Maa ne use Sadi ka sab se Bada Science Dan bana diya.”

✦.....♥ Sha’ban Mein Ramadan Al-Mubarak ki Tayyari! ♥.....✦

●◗► Sha’ban ke tezi se Guzarte din Ramadan Al-Mubarak ki tayyari ke liye bahot badi Ghanimat hain, Dunyawi kamon ke liye ham Raat din aik kar dete hain, Agar Ramadan ki tayyari ke liye abhi se Tag o Dun shuru kardi jaye to Aane wala Ramadan hamare liye kayi Gunah zyadah mufeed aur Ruhani taraqqi ka sabab ban sakta hai, Sha’ban ke ye Ayyam aam dinon ki tarah na Guzaren, ye bahot Qeemti ayyam hain, Har aane wala din hamen Ramadan Al-Mubarak ko Qeemti banane ke naye Mawaqe faraham kar raha hai.

✿Bahot se Allah wale Ramadan Al-Mubarak khatam hone ke baad us ki Barkaton ka tazkerah karte karte 6 Maah guzar dete aur Phir ye Duayen mangte ke Inhen mazeed 6 Maah aur Aane wala Ramadan naseeb ho jaye, Andazah lagayen ke Allah Walon ko Ramadan ki Aamad ka kis Shiddat se intezar hota tha.

Allah Subhanahu Wa Ta'ala Ramadan Al-Mubarak ki Abhi se Tayyari karne ki hamen Toufeeq Marhamat Farmaden. (Aameen)

✦......♥ Saliqe se Baal Rakhen ♥......✦

The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: “He who has hair should honour it.”

[Sunan Abi Dawud :: Book 34 :: Hadith 4151, 4163]

Urdu Translation: Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Jis ke Baal hon to use Chahiye ke wo un ki Takreem kare (Yani unhen saaf Suthra aur saliqe se Rakhe).”

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vo. 3 :: Hadith 761, 4165]

✦...► Ranj, Gham aur Sadme ki Halat Mein Nabwi Taleemat ◄...✦

Narrated Anas bin Malik RadiyAllahu Anhu: We went with Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) to the blacksmith Abu Saif, and he was the husband of the wet-nurse of Ibrahim (the son of the Prophet). Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) took Ibrahim and kissed him and smelled him and later we entered Abu Saif's house and at that time Ibrahim was in his last breaths, and the eyes of Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) started shedding tears.

`Abdur Rahman bin `Auf (RadiyAllahu Anhu) said, "O Allah's (Sallallahu Alaihi Wasallam) Apostle, even you are weeping!" He said, "O Ibn `Auf, this is mercy."

Then he (Sallallahu Alaihi Wasallam) wept more and said: "The eyes are shedding tears and the heart is grieved, and we will not say except what pleases our Lord, O Ibrahim ! Indeed we are grieved by your separation."

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 2 :: Book 23 :: Hadith 390, 1303]

●══════════════════◄►═════════════════●

Urdu Translation: Khadime Khaas Hazrat Anas RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke ham RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ke hamrah Aap ke pyare Sahibzade Ibrahim RadiyAllahu Anhu ki daya ke khawind Abu Saif ke han gaye, Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Apne Sahibzade Ibrahim RadiyAllahu Anhu ko apni Mubarak god mein liya, Unhen pyar kiya aur Sungha.

Kuch din baad ham dobarah Abu Saif ke han gaye, us waqt Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke Sahibzade Ibrahim RadiyAllahu Anhu Halate Naza mein the, Masoom Sahibzade ki ye halat dekh kar RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ki Mubarak Aankhon se Aansu bahne lage, Abdur Rahman bin Auf RadiyAllahu ne Arz kiya:
“Ya RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam! Aap bhi ro rahe hain?” Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: “Aye ibn Auf! Ye Aansu Rahmat hain.”

Phir dobarah Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki Mubarak Aankhon se Aansu jari ho gaye aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya:
“Aankhen Aansu baha rahi hain aur Dil nihayat Ghamzadah hai, aur ham apni Zuban se (shikwah shikayat kiye bagair) sirf wahi baat kahte hain Jis par hamara Parwardigar razi ho, Aye Ibrahim! Beshak ham teri Judayi mein Bahot Ghamzadah hain.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 2 :: Hadith 1303]

✦.........♥ Poore Deen ka Khulasah ♥.........✦

♥ Allah Ta'ala ko Razi karlo Ibadat ke Sath.

♥ RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko Razi karlo Ita’at ke Sath.

♥ Makhlooq ko Razi karlo Khidmat ke Sath.

✦.......► Peetal ke Kade Pahenna ◄.......✦

Imran ibn Hussein RadiyAllahu Anhu reported: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) saw a man wearing a brass ring, so he asked, "What is this?" He said, "It is protection from my arthritis." So the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "Remove it, for verily it will only increase your arthritis, and if you were to die wearing it you would never be successful."

[Musnad Ahmad bin Hanbal :: Hadith 20014]

Urdu Translation: Hazrat Imran bin Hussein RadiyAllahu Anhu Irshad Farmate hain ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Aik shaks ke hath mein Peetal ka kada dekha to Farmaya: "Tujh par Afsos! Ye kya hai?" Us shaks ne Arz kiya ke main ne Bimari (ke ilaj ki) ki wajah se ye pehna hua hai. Ye sunkar Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: "Is se teri Bimari mein izafa hi hoga, is ko utaarde kyun ke Agar is halat mein tujhe Mout Aagayi to tu kabhi kamyab nahi hoga."

[Musnad Ahmad bin Hanbal :: Hadith 20014]

●◗► Note: For Males only Silver rings are permissible and for female remaining jewellery is permissible.

●◗► Note: Mard ke liye Sirf Chandi ki Anghoti ijazat hai Baqi kisi bhi Qism ke zewar ki nahi, Aourat pahen sakti hain Zewar.

✦..........♥ 13,14,15 Sha’ban ke Roze ♥..........✦

RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Ayyam Beez (yani har Qamri Maah ki 13,14,15 tarikhon) ke Rozon ko zindagi bhar Roze rakhne ke barabar qarar diya hai, Ayyame Beez ke Roze har Qamri maah mein Masnoon hain lekin Chunke khususiyat ke sath Mahe Sha’ban mein Roze rakhne ke Fazayel bhi Ahadeese Mubarka mein warid hain, is liye Mahe Sha’ban mein Ayyame Beez ke Rozon ka aur zyadah Ehtemam karne ki zarurat hai.

Neez Maahe Sha’ban mein Ayyame Beez ke roze Rakhne se aik Mukhtalif fiya Masle ka hal nikal aata hai aur wo ye hai ke Baaz Hazraat khaas Pandhra Sha’ban ke Roze ko Masnoon samajhte hain, Jab ke Muhaqqiq Raye yahi hai ke khaas 15 Sha’ban ka Rozah Masnoon nahin, Lekin Agar kisi ko 15 Sha’ban ke Roze rakhne ka Shoq aur walwala hai to wo Ayyame Beez ke roze Rakhle, 15 Sha’ban ka Rozah bhi is mein shamil ho jayega.

Is Hawale se Hazrat Mufti Taqi Usmani Sahab Damat Barkatuhum Aaliya Farmate hain:  “Agar koi shaks in do Wajah se 15 Sha’ban ka Rozah rakhe, Aik is waja se ke ye Sha’ban ka din hain [aur maahe sha’ban ke roze masnoon hain], Dusre is wajah se ke ye 15 Tareeq Ayyame Beez mein dakhil hai, Agar is niyyat se Rozah rakh le to InshaAllah Muajjab Ajr hoga, lekin Khaas 15 tareekh ki khususiyat ke Lihaz se is Roze ko Sunnat qarar dena Baaz Ulama ke Nazdeek durust nahin.” (Islahi Khutbat : Jild 4 : Safa 268)

✦.....♥ Logon se Na Mangne Par Jannat ki Zamanat ♥.....✦

Thawban (RadiyAllahu Anhu), the client of the Messenger of Allah (May peace be upon him), reported him as saying : “If anyone guarantees me that he will not beg from people, I will guarantee him Paradise.” Thawban (RadiyAllahu Anhu) said : I (will not beg). He never asked anyone for anything.

[Sunan Abi Dawud :: Book 9 :: Hadith 1639, 1643]

Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ke Aazad kardah Ghulam Hazrat Thawban RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya:

“Jo Shaks Mujhe is baat ki Zamanat de ke wo logon se koi cheez Nahin mangega to Main use Jannat ki Zamanat deta hun.”

Hazrat Thawban RadiyAllahu Anhu ne Arz kiya: Main (Zamanat deta hun), Chunanche Hazrat Thawban RadiyAllahu Anhu kabhi kisi se koi Cheez nahin manga karte the.

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 1 :: Hadith 1630]

✦.......► Gusse ke Waqt kya Karen? ◄........✦

The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said to us: When one of you becomes angry while standing, he should sit down. If the anger leaves him, well and good; otherwise he should lie down.

[Sunan Abi Dawud :: Book 42 :: Hadith 4764, 4782]

Urdu Translation: Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Jab tum mein se kisi ko Gussa aaye to Agar wo khada ho to Baith jaye, Agar Gussa khatam ho jaye to theek Warna phir lait jaye.”

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 3 :: Hadith 1354]

Tuesday, 17 May 2016

✦.....♥ Dunya ki Sab se Badi Daulat ♥ Naik Biwi ♥.....✦

Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) as saying: “The whole world is a provision, and the best object of benefit of the world is the pious woman.”

[Sahih Muslim ::  Book 8 :: Hadith 3465]

Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Dunya Faidah uthane ki Cheez hai aur Dunya Mein sab se Zyada Faidah dene wali Cheez Naik Biwi hai.”

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 4 :: Hadith 3649, 3716]

✦..........♥ Neki ka Naik Anjam ♥..........✦

● Logon ke bare mein Accha Guman rakhen, Aap ko bhi Acche Alfaz mein yaad kiya jayega.

● Logon se Accha bartao Karen, Aap bhi bure Sulook se Mahfooz rahenge.

● Logon ki Galatiyon ko Muaaf Karen, Aap ke sath bhi Muafi ka Mua’mla kiya jayega.

✦....► Safar aur Driving ke Douran Mosiqi Sunna ◄....✦

Hazrat Uqbah bin Amir RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Jo Shaks safar ki Halat mein Allah ki yaad aur Zikr mein laga rahta hai to Farishta us ka Hamsafar ho jata hai aur Agar Sher o Shayari (Gane o Mosiqi) mein Mashgool rahta hai to Shaitan us ka Rafeeqe Safar ban jata hai.”

[Al-Mu'jam Al-Kabeer Al-Tabarani : 895]
✦......♥ Mushkilaat ke Hal ke 2 Yaqini Nuskhe ♥......✦

Kisi Mushkil ya Pareshani mein 2 kaam kar lene se Allah Rabbul Izzat us Mushkil ko Aasan Farma dete hain:

❶ Hisbe Isteta’at Sadaqah
❷Gunahon se Ehteraz

Mushkilaat ke hal ke Darje bala Nuskhe ko Quran in Alfaz mein bayan karta hai: ⇨ “Jis kisi ne Allah ke Raste mein Maal diya aur Parhezgari Ekhtiyar ki to ham us ki Rahon ko Aasan Bana denge.” (Al-Quran, Surah Al-Layl: 5-7)

⇨ “As for him who gives (in charity) and keeps his duty to Allah and fears Him, We will make smooth for him the path of ease (goodness).” (Al-Quran, Surah Al-Layl: 5-7)

✦.......:o Cheenkne ke Aadab :o.......✦

Narrated Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu: That when the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) would sneeze, he would cover his face with his hand or with his garment, and muffle the sound with it.

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 5 :: Book 41 :: Hadith 2745]

Urdu Translation: Hazrat Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam Cheenk ke Waqt apne Chehre ko kapde ya Daste Mubarak (hathon) se dhaank liya karte the aur Aawaz ko pst Farma liya karte the.

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 645]

✦........► Tanhayi ko Ghanimat Janne Wale! ◄........✦

● Tanhayi ki aik Halat ye hai ke Insan jin siyah kariyon ko Logon ke samne karne se Hichkichata hai, Unhen dunya ki Nazron se Ojhal ho kar sar Anjam deta hai aur Apna Naame Aa’mal siyah kar dalta hai.

● Aur Tanhayi ki aik dusri Halat ye hai ke Insan dunya walon ki Nazron se Ojhal ho kar apne Rab se Raaz o Niyaz mein masroof ho jata hai aur Aansu baha kar Apna Naame Aa’mal Munawwar karta hai.

●◗► Farq sirf itna hai ke Aik Tanhayi insan ke liye Wabaal aur Dusri Najaat ka Zariya ban jati hai.

✦......♥ Youmiya 5 Martaba Zahir o Batin ki Safayi ♥......✦

Narrated Abu Huraira RadiyAllahu Anhu: I heard Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) saying, "If there was a river at the door of anyone of you and he took a bath in it five times a day would you notice any dirt on him?" They said, "Not a trace of dirt would be left." The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) added, "That is the example of the five prayers with which Allah blots out (annuls) evil deeds."

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 1 :: Book 10 :: Hadith 506, 528]

Urdu Translation: Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya:  “Agar kisi shaks ke Darwaze pe Naher jari ho aur wo Rozana us mein 5 martaba nahaye to Tumhara kya guman hai, kya us ke Badan par kuch mail baqi rah sakta hai?” Sahaba RadiyAllahu Anhum ne Arz kiya: Ya RasoolAllah! Hargiz mail baqi nahi rahega.

Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Yahi haal Panchon waqt ki Namazon ka hai ke Allah in ke zariye se Gunahon ko Bilkul mita deta hai.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 1 :: Hadith 528]

✦.....♥ Musibat ke Lamhaat Qeemti Banayen ♥.....✦

Jab bhi Musibat ki Ghadi Aaye to is mein 4 Cheezon ki Niyyat karlen, Musibat ki ye Ghadi Dunyawi o Ukhrawi kamiyabiyan Dilwane ka Zariya ban Jayegi:

● Ye Musibat mere Gunahon ka kaffarah Sabit hogi.
● Is Musibat ki wajah se mere Darjaat buland honge.
● Is Musibat aur Aazmayesh par Mere liye Ajr hi Ajr hai.
● Is Musibat ke baad Aasaniyan meri Muntazir hain.

✦.......♥ Maahe Sha’ban (Month of Sha’ban) ♥.......✦

Usamah bin Zaid RadiyAllahu Anhu said: "I said: 'O Messenger of Allah, I do not see you fasting any month as much as Shaban.'

He (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: 'That is a month to which people do not pay much attention, between Rajab and Ramadan. It is a month in which the deeds are taken up to the Lord of the worlds, and I like that my deeds be taken up when I am fasting."'

[Sunan an-Nasa'i :: Vol. 3 :: Book 22 :: Hadith 2359, 2357]

Urdu Translation: Hazrat Usamah bin Zaid RadiyAllahu Anhuma Farmate hain ke Main ne RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam se Arz kiya: Ya RasoolAllah! Main ne Sha’ban se zyadah kisi dusre mahine mein Aap ko itne Ehtemam se Roze rakhte hue nahi dekha?

Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Ye Aisa mahina hai Jo Mahe Rajab aur Mahe Ramadan ke darmiyan mein Aata hai aur log is se Gaflat baratte hain halan ke is mahine mein (poore saal ke) Aa’mal Allah Subhanahu Wa Ta'ala ke samne pesh kiye jate hain, Aur main chahta hun ke mere Aa’mal is halat mein Pesh kiye jayen ke main Roze se hun."

[Urdu Ref :: Sunan an-Nasa’i :: Vol. 2 :: Hadith 268]

✦........♥ Asal Khoobsurti ♥........✦

●◗► Khoobsurti ka Dar o Madaar Insan ke Chehre ki Khoobsurti par Nahin. Balke Haqiqi Khoobsurti ye hai ke Insan ki Aql, us ka Dil aur sab se Badh kar us ki Rooh khoobsurat ho.

✦...♥ Sha'ban: Ramadan Al-Mubarak ke Intezar ka Mahina ♥...✦

Narrated Aisha, Ummul Mu'minin RadiyAllahu Anha: "The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) used to count the days in Sha'ban in a manner he did not count any other month; then he fasted when he sighted the new moon of Ramadan; but if the weather was cloudy he counted thirty days and then fasted."

[Sunan Abi Dawud :: Book 13 :: Hadith 2318, 2325]

Urdu Translation: Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha farmati hain ke "RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam Sha'ban (ki tareekhen) ko yaad rakhne ka jis qadar Ehtemam farmate itna kisi Dusre mahine (ki tareekhon) ka Ehtemam nahi farmate (kyun ke Sha'ban ke Ekhtetam par Ramadan ke Aagaz ka madar hai) phir Jab Ramadan ka chand Nazar Aata to roze rakhte, aur Agar Matla’a Abar Alood hone ki wajah se (29 sha'ban ko) Chand nazar na Aata to (sha'ban ke) 30 din poore farmate aur phir Roze rakhte."

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 2 :: Hadith 555, 2327]

Sunday, 8 May 2016

✦.......-_- Sone Se Pehle -_-.......✦

● Wuzu kar ke Soyen.
● Surah Al-Mulk ki Tilawat kar ke Soyen.
● Agar Tahajjud mein Aankh khulne ki Aadat na ho to Witr padh kar soyen.
● Shayateen aur Jinnat se Hifazat ke liye Aayat Al-Kursi padhlen.
● Masnoon Duaon ka Ehtemam Karen.
● Tasbihate Fatimah (33 baar SubhanAllah, 33 baar Alhamdulillah, 34 baar Allahu Akbar) padh kar Soyen.
● Tamam Musalmano ko Muaaf kar ke Soyen.
● Apne Gunahon par Taubah aur Aayinda na karne ka Azm kar ke Soyen.
● Fajr ki Namaz ke liye Alarm laga kar Soyen.

✦.....► Zindagi ki Ibteda aur Ekhtetam ◄.....✦

Takabbur, Guroor, Khud Numayi aur Akad ka Muzaherah karne wale Zara gor Karen ke Hamari zindagi ki Ibteda bhi be basi aur Saadgi se aur Zindagi ka Ekhtetaam bhi Be basi aur Saadgi par.

✦.....► Neki karte Hue Thakawat ka Ehsas! ◄.....✦

●◗► Neki karte hue Agar Thakawat Mahsoos ho ya Neend Aane lage to Qabr ke Aaram aur Neend ka Tasawwur karen Jahan Qayamat ki subah tak sirf aur sirf Sona aur Aaram karna hoga.

✦......♥ Neki ka Khayal Aate hi Use Kar Guzarye! ♥......✦

●◗► Jab Neki ka khayal Aaye to use Mamuli samajh kar Chhodne ke bajaye ye Socha jaye ke Shayad is Neki ki wajah se Meri Nekiyon ka Palda bhari ho jaye aur Main Jannat mein Chala jaun.

✦........♥ Apne Wujood ko Munawwar Kijiye ♥........✦

Jab aap Quran Kareem ki Gor o Tadabbur ke sath Tilawat karte hain to…

● Aankhon ko Dekhne ka Sawab Milta hai.
● Dimagh ko Gor o Tadabbur ka Sawab Milta hai.
● Zuban ko Padhne ka Sawab Milta hai.
● Kanon ko Sunne ka Sawab Milta hai.
● Dil ko Imani Quwwat mein izafe ka Sawab milta hai.
● Jism ke Roye Roye ko Allah se Darne ka Sawab milta hai.

✦.........► Bad’Duayen Na Den ◄.........✦

Jabir b. 'Abd Allah RadiyAllahu Anhu reported the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) as saying: “Do not invoke curse on yourselves, and do not invoke curse on your children, and do not invoke curse on your servants, and do not invoke curse on your property, lest you happen to do it at a time when Allah is asked for something and grants your request.”

[Sunan Abi Dawud :: Book 8, Hadith 1527, 1532]

Urdu Translation: Hazrat Jabir RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Apne Aap ko Bad’dua na do, na apni Aoulad ko Bad’dua do, na apne Khadimon ko Bad’dua do aur na apne Maal ko Bad’dua do, (kyun ke) ho sakta hai ke Allah Subhanahu Wa Ta'ala ki taraf se wo Ghadi aisi ho Jis mein Duayen qubool hoti hon aur Yun tumhari Bad’dua Qubool ho jaye.”

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 1 :: Hadith 1519, 1534]

✦....:'( Mazalim ke Khilaf Apna Kirdar Ada Karen! :'(....✦

⇨ Allah Subhanahu Wa Ta'ala Irshad Farmate hain: “Aur (Aye Musalmano!) Tum ko kya hua hai ke Khuda ki Raah mein aur un Bebas Mardon aur Aourton aur Bacchon ki Khatir nahin ladte jo Duayen kiya karte hain ke “Aye Parwardigar ham ko is Shaher se Jis ke Rahne wale Zalim hain Nikal kar kahin aur le ja, aur Apni taraf se kisi ko Hamara Hami bana, aur Apni hi taraf se kisi ko Hamara Madad gaar muqarrar Farma.” (Quran, Surah An-Nisa:75)

⇨ "And what is wrong with you that you fight not in the Cause of Allah, and for those weak, ill-treated and oppressed among men, women, and children, whose cry is: "Our Lord! Rescue us from this town whose people are oppressors; and raise for us from You one who will protect, and raise for us from You one who will help." (Quran, Surah An-Nisa:75)

✦.......:( “Sham” Ki Bolti Diwaren! :(.......✦

Zaalim Taqaton ne Wahshiyana Bambari ke zariye Zulm ke khilaf Aawaz buland karne Walon ko hamesha ki Neend sulane ka Silsila jari rakha hua hai…Lekin Sarzameene Sham ki Diwaren hain jo Musalsal bol rahi hain aur Cheekh Cheekh kar apna Noha suna rahi hain:

Tabah Haal Sham ki aik Diwaar pe Likhi hui Tahreer:

Aye Umar Bin Khattab…!! Kya Aap lot kar Nahin Aayenge..?? Aur Faras ke kutte Aakar ham par Hukumat karte Rahenge.

✦...♥ Aala Akhlaq Ummat Muhammadiya ki Imtiyazi Shaan ♥...✦

●◗► Maal o Doulat aur Dunyawi Ahdon aur Manasib ko Allah Subhanahu Wa Ta'ala ne apne Habeeb Sallallahu Alaihi Wasallam ki Imtiyazi shan qarar nahin diya balke Aala Akhlaq ko Imtiyazi Shaan qarar diya, Chunanche Irshade Khudawandi hai:

⇨ “Aur Yaqinan Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Akhlaq ke Aala Darje par Fayiz hain.” (Quran, Surah Al-Qalam:4)

Lehaza RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ke Ummatiyon ko Chahiye ke wo bhi Aala Akhlaq ko apni Imtiyazi Shaan banayen.

✦........♥ Shareeke Hayat ki Tareef! ♥........✦

Ahliya kisi baat par Naraz thi…Khawind ne Narazgi door karne ke liye Kaha: “Tum Dunya ki Dusri Behtareen Aourat ho.”

Ahliya ne Foran karkh lehje mein Sawal kiya: To Pehli kon hai???
Khawind ne Jawab diya: “Tum, Magar Jab Muskurao.”

Ye sun kar Narazgi ke Aasaar khatam aur Ahliya ke Chehre pe Muskurahat phail gayi.♥