Monday 30 May 2016

✦..♥ Padhayi mein Kamzor Bacchon ko Hosla Afzayi ki Zarurat! ♥..✦

Barqi Aalaat ka Mu’ajjad aur Mashhoor Science Dan Thomas Edison Jab chota Baccha tha to Aik din Apne School se ghar wapas aaya aur aik Sar Bamhar lifafah apni Waldah ko diya aur kaha ke Ustad ne diya hai aur Takeed ki hai ke apni Maa ko dedo, Chunanche Maa ne wo khat khol kar padha aur us ki Aankhon mein Aansu Aagaye, phir us ne Ba’aawaz buland wo khat padh kar apne Bacche ko sunaya:

⇨ “Aap ka beta Genius hai, ye School is ke liye bahot chota hai aur is mein itne Acche ustad nahin ke ise padha saken, Lehaza aap ise Khud hi padhalen.”

Thodi hi Arse baad wo baccha Aik MayaNaaz Science Dan ke tor par Mashhoor ho gaya, ye wo Zamana tha jab us ki Waldah wafat pa chuki thin, Aik din wo apne Khandan ke purane Kaghzat mein kuch dhoond raha tha ke use Ustad ka diya hua wo khat mila, us ne Foran khat ko Tatola to us mein likha tha:

⇨ “Tumhara Beta Intehayi Ghabi aur Zahni tor par Nakarah hai, ham ise Mazeed School mein Nahin rakh sakte.” Ye padh kar Edison kayi Ghante rota raha aur usi din us ne Apni Dairy mein likha: “Thomas Edison aik Zahni Nakarah baccha tha, Lekin aik Azeem Maa ne use Sadi ka sab se Bada Science Dan bana diya.”

✦.....♥ Sha’ban Mein Ramadan Al-Mubarak ki Tayyari! ♥.....✦

●◗► Sha’ban ke tezi se Guzarte din Ramadan Al-Mubarak ki tayyari ke liye bahot badi Ghanimat hain, Dunyawi kamon ke liye ham Raat din aik kar dete hain, Agar Ramadan ki tayyari ke liye abhi se Tag o Dun shuru kardi jaye to Aane wala Ramadan hamare liye kayi Gunah zyadah mufeed aur Ruhani taraqqi ka sabab ban sakta hai, Sha’ban ke ye Ayyam aam dinon ki tarah na Guzaren, ye bahot Qeemti ayyam hain, Har aane wala din hamen Ramadan Al-Mubarak ko Qeemti banane ke naye Mawaqe faraham kar raha hai.

✿Bahot se Allah wale Ramadan Al-Mubarak khatam hone ke baad us ki Barkaton ka tazkerah karte karte 6 Maah guzar dete aur Phir ye Duayen mangte ke Inhen mazeed 6 Maah aur Aane wala Ramadan naseeb ho jaye, Andazah lagayen ke Allah Walon ko Ramadan ki Aamad ka kis Shiddat se intezar hota tha.

Allah Subhanahu Wa Ta'ala Ramadan Al-Mubarak ki Abhi se Tayyari karne ki hamen Toufeeq Marhamat Farmaden. (Aameen)

✦......♥ Saliqe se Baal Rakhen ♥......✦

The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: “He who has hair should honour it.”

[Sunan Abi Dawud :: Book 34 :: Hadith 4151, 4163]

Urdu Translation: Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Jis ke Baal hon to use Chahiye ke wo un ki Takreem kare (Yani unhen saaf Suthra aur saliqe se Rakhe).”

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vo. 3 :: Hadith 761, 4165]

✦...► Ranj, Gham aur Sadme ki Halat Mein Nabwi Taleemat ◄...✦

Narrated Anas bin Malik RadiyAllahu Anhu: We went with Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) to the blacksmith Abu Saif, and he was the husband of the wet-nurse of Ibrahim (the son of the Prophet). Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) took Ibrahim and kissed him and smelled him and later we entered Abu Saif's house and at that time Ibrahim was in his last breaths, and the eyes of Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) started shedding tears.

`Abdur Rahman bin `Auf (RadiyAllahu Anhu) said, "O Allah's (Sallallahu Alaihi Wasallam) Apostle, even you are weeping!" He said, "O Ibn `Auf, this is mercy."

Then he (Sallallahu Alaihi Wasallam) wept more and said: "The eyes are shedding tears and the heart is grieved, and we will not say except what pleases our Lord, O Ibrahim ! Indeed we are grieved by your separation."

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 2 :: Book 23 :: Hadith 390, 1303]

●══════════════════◄►═════════════════●

Urdu Translation: Khadime Khaas Hazrat Anas RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke ham RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ke hamrah Aap ke pyare Sahibzade Ibrahim RadiyAllahu Anhu ki daya ke khawind Abu Saif ke han gaye, Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Apne Sahibzade Ibrahim RadiyAllahu Anhu ko apni Mubarak god mein liya, Unhen pyar kiya aur Sungha.

Kuch din baad ham dobarah Abu Saif ke han gaye, us waqt Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke Sahibzade Ibrahim RadiyAllahu Anhu Halate Naza mein the, Masoom Sahibzade ki ye halat dekh kar RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ki Mubarak Aankhon se Aansu bahne lage, Abdur Rahman bin Auf RadiyAllahu ne Arz kiya:
“Ya RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam! Aap bhi ro rahe hain?” Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: “Aye ibn Auf! Ye Aansu Rahmat hain.”

Phir dobarah Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki Mubarak Aankhon se Aansu jari ho gaye aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya:
“Aankhen Aansu baha rahi hain aur Dil nihayat Ghamzadah hai, aur ham apni Zuban se (shikwah shikayat kiye bagair) sirf wahi baat kahte hain Jis par hamara Parwardigar razi ho, Aye Ibrahim! Beshak ham teri Judayi mein Bahot Ghamzadah hain.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 2 :: Hadith 1303]

✦.........♥ Poore Deen ka Khulasah ♥.........✦

♥ Allah Ta'ala ko Razi karlo Ibadat ke Sath.

♥ RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko Razi karlo Ita’at ke Sath.

♥ Makhlooq ko Razi karlo Khidmat ke Sath.

✦.......► Peetal ke Kade Pahenna ◄.......✦

Imran ibn Hussein RadiyAllahu Anhu reported: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) saw a man wearing a brass ring, so he asked, "What is this?" He said, "It is protection from my arthritis." So the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "Remove it, for verily it will only increase your arthritis, and if you were to die wearing it you would never be successful."

[Musnad Ahmad bin Hanbal :: Hadith 20014]

Urdu Translation: Hazrat Imran bin Hussein RadiyAllahu Anhu Irshad Farmate hain ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Aik shaks ke hath mein Peetal ka kada dekha to Farmaya: "Tujh par Afsos! Ye kya hai?" Us shaks ne Arz kiya ke main ne Bimari (ke ilaj ki) ki wajah se ye pehna hua hai. Ye sunkar Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: "Is se teri Bimari mein izafa hi hoga, is ko utaarde kyun ke Agar is halat mein tujhe Mout Aagayi to tu kabhi kamyab nahi hoga."

[Musnad Ahmad bin Hanbal :: Hadith 20014]

●◗► Note: For Males only Silver rings are permissible and for female remaining jewellery is permissible.

●◗► Note: Mard ke liye Sirf Chandi ki Anghoti ijazat hai Baqi kisi bhi Qism ke zewar ki nahi, Aourat pahen sakti hain Zewar.

✦..........♥ 13,14,15 Sha’ban ke Roze ♥..........✦

RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Ayyam Beez (yani har Qamri Maah ki 13,14,15 tarikhon) ke Rozon ko zindagi bhar Roze rakhne ke barabar qarar diya hai, Ayyame Beez ke Roze har Qamri maah mein Masnoon hain lekin Chunke khususiyat ke sath Mahe Sha’ban mein Roze rakhne ke Fazayel bhi Ahadeese Mubarka mein warid hain, is liye Mahe Sha’ban mein Ayyame Beez ke Rozon ka aur zyadah Ehtemam karne ki zarurat hai.

Neez Maahe Sha’ban mein Ayyame Beez ke roze Rakhne se aik Mukhtalif fiya Masle ka hal nikal aata hai aur wo ye hai ke Baaz Hazraat khaas Pandhra Sha’ban ke Roze ko Masnoon samajhte hain, Jab ke Muhaqqiq Raye yahi hai ke khaas 15 Sha’ban ka Rozah Masnoon nahin, Lekin Agar kisi ko 15 Sha’ban ke Roze rakhne ka Shoq aur walwala hai to wo Ayyame Beez ke roze Rakhle, 15 Sha’ban ka Rozah bhi is mein shamil ho jayega.

Is Hawale se Hazrat Mufti Taqi Usmani Sahab Damat Barkatuhum Aaliya Farmate hain:  “Agar koi shaks in do Wajah se 15 Sha’ban ka Rozah rakhe, Aik is waja se ke ye Sha’ban ka din hain [aur maahe sha’ban ke roze masnoon hain], Dusre is wajah se ke ye 15 Tareeq Ayyame Beez mein dakhil hai, Agar is niyyat se Rozah rakh le to InshaAllah Muajjab Ajr hoga, lekin Khaas 15 tareekh ki khususiyat ke Lihaz se is Roze ko Sunnat qarar dena Baaz Ulama ke Nazdeek durust nahin.” (Islahi Khutbat : Jild 4 : Safa 268)

✦.....♥ Logon se Na Mangne Par Jannat ki Zamanat ♥.....✦

Thawban (RadiyAllahu Anhu), the client of the Messenger of Allah (May peace be upon him), reported him as saying : “If anyone guarantees me that he will not beg from people, I will guarantee him Paradise.” Thawban (RadiyAllahu Anhu) said : I (will not beg). He never asked anyone for anything.

[Sunan Abi Dawud :: Book 9 :: Hadith 1639, 1643]

Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ke Aazad kardah Ghulam Hazrat Thawban RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya:

“Jo Shaks Mujhe is baat ki Zamanat de ke wo logon se koi cheez Nahin mangega to Main use Jannat ki Zamanat deta hun.”

Hazrat Thawban RadiyAllahu Anhu ne Arz kiya: Main (Zamanat deta hun), Chunanche Hazrat Thawban RadiyAllahu Anhu kabhi kisi se koi Cheez nahin manga karte the.

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 1 :: Hadith 1630]

✦.......► Gusse ke Waqt kya Karen? ◄........✦

The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said to us: When one of you becomes angry while standing, he should sit down. If the anger leaves him, well and good; otherwise he should lie down.

[Sunan Abi Dawud :: Book 42 :: Hadith 4764, 4782]

Urdu Translation: Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Jab tum mein se kisi ko Gussa aaye to Agar wo khada ho to Baith jaye, Agar Gussa khatam ho jaye to theek Warna phir lait jaye.”

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 3 :: Hadith 1354]

No comments:

Post a Comment