Tuesday 17 May 2016

✦.....♥ Dunya ki Sab se Badi Daulat ♥ Naik Biwi ♥.....✦

Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) as saying: “The whole world is a provision, and the best object of benefit of the world is the pious woman.”

[Sahih Muslim ::  Book 8 :: Hadith 3465]

Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Dunya Faidah uthane ki Cheez hai aur Dunya Mein sab se Zyada Faidah dene wali Cheez Naik Biwi hai.”

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 4 :: Hadith 3649, 3716]

✦..........♥ Neki ka Naik Anjam ♥..........✦

● Logon ke bare mein Accha Guman rakhen, Aap ko bhi Acche Alfaz mein yaad kiya jayega.

● Logon se Accha bartao Karen, Aap bhi bure Sulook se Mahfooz rahenge.

● Logon ki Galatiyon ko Muaaf Karen, Aap ke sath bhi Muafi ka Mua’mla kiya jayega.

✦....► Safar aur Driving ke Douran Mosiqi Sunna ◄....✦

Hazrat Uqbah bin Amir RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Jo Shaks safar ki Halat mein Allah ki yaad aur Zikr mein laga rahta hai to Farishta us ka Hamsafar ho jata hai aur Agar Sher o Shayari (Gane o Mosiqi) mein Mashgool rahta hai to Shaitan us ka Rafeeqe Safar ban jata hai.”

[Al-Mu'jam Al-Kabeer Al-Tabarani : 895]
✦......♥ Mushkilaat ke Hal ke 2 Yaqini Nuskhe ♥......✦

Kisi Mushkil ya Pareshani mein 2 kaam kar lene se Allah Rabbul Izzat us Mushkil ko Aasan Farma dete hain:

❶ Hisbe Isteta’at Sadaqah
❷Gunahon se Ehteraz

Mushkilaat ke hal ke Darje bala Nuskhe ko Quran in Alfaz mein bayan karta hai: ⇨ “Jis kisi ne Allah ke Raste mein Maal diya aur Parhezgari Ekhtiyar ki to ham us ki Rahon ko Aasan Bana denge.” (Al-Quran, Surah Al-Layl: 5-7)

⇨ “As for him who gives (in charity) and keeps his duty to Allah and fears Him, We will make smooth for him the path of ease (goodness).” (Al-Quran, Surah Al-Layl: 5-7)

✦.......:o Cheenkne ke Aadab :o.......✦

Narrated Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu: That when the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) would sneeze, he would cover his face with his hand or with his garment, and muffle the sound with it.

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 5 :: Book 41 :: Hadith 2745]

Urdu Translation: Hazrat Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam Cheenk ke Waqt apne Chehre ko kapde ya Daste Mubarak (hathon) se dhaank liya karte the aur Aawaz ko pst Farma liya karte the.

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 645]

✦........► Tanhayi ko Ghanimat Janne Wale! ◄........✦

● Tanhayi ki aik Halat ye hai ke Insan jin siyah kariyon ko Logon ke samne karne se Hichkichata hai, Unhen dunya ki Nazron se Ojhal ho kar sar Anjam deta hai aur Apna Naame Aa’mal siyah kar dalta hai.

● Aur Tanhayi ki aik dusri Halat ye hai ke Insan dunya walon ki Nazron se Ojhal ho kar apne Rab se Raaz o Niyaz mein masroof ho jata hai aur Aansu baha kar Apna Naame Aa’mal Munawwar karta hai.

●◗► Farq sirf itna hai ke Aik Tanhayi insan ke liye Wabaal aur Dusri Najaat ka Zariya ban jati hai.

✦......♥ Youmiya 5 Martaba Zahir o Batin ki Safayi ♥......✦

Narrated Abu Huraira RadiyAllahu Anhu: I heard Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) saying, "If there was a river at the door of anyone of you and he took a bath in it five times a day would you notice any dirt on him?" They said, "Not a trace of dirt would be left." The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) added, "That is the example of the five prayers with which Allah blots out (annuls) evil deeds."

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 1 :: Book 10 :: Hadith 506, 528]

Urdu Translation: Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya:  “Agar kisi shaks ke Darwaze pe Naher jari ho aur wo Rozana us mein 5 martaba nahaye to Tumhara kya guman hai, kya us ke Badan par kuch mail baqi rah sakta hai?” Sahaba RadiyAllahu Anhum ne Arz kiya: Ya RasoolAllah! Hargiz mail baqi nahi rahega.

Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Yahi haal Panchon waqt ki Namazon ka hai ke Allah in ke zariye se Gunahon ko Bilkul mita deta hai.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 1 :: Hadith 528]

✦.....♥ Musibat ke Lamhaat Qeemti Banayen ♥.....✦

Jab bhi Musibat ki Ghadi Aaye to is mein 4 Cheezon ki Niyyat karlen, Musibat ki ye Ghadi Dunyawi o Ukhrawi kamiyabiyan Dilwane ka Zariya ban Jayegi:

● Ye Musibat mere Gunahon ka kaffarah Sabit hogi.
● Is Musibat ki wajah se mere Darjaat buland honge.
● Is Musibat aur Aazmayesh par Mere liye Ajr hi Ajr hai.
● Is Musibat ke baad Aasaniyan meri Muntazir hain.

✦.......♥ Maahe Sha’ban (Month of Sha’ban) ♥.......✦

Usamah bin Zaid RadiyAllahu Anhu said: "I said: 'O Messenger of Allah, I do not see you fasting any month as much as Shaban.'

He (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: 'That is a month to which people do not pay much attention, between Rajab and Ramadan. It is a month in which the deeds are taken up to the Lord of the worlds, and I like that my deeds be taken up when I am fasting."'

[Sunan an-Nasa'i :: Vol. 3 :: Book 22 :: Hadith 2359, 2357]

Urdu Translation: Hazrat Usamah bin Zaid RadiyAllahu Anhuma Farmate hain ke Main ne RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam se Arz kiya: Ya RasoolAllah! Main ne Sha’ban se zyadah kisi dusre mahine mein Aap ko itne Ehtemam se Roze rakhte hue nahi dekha?

Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Ye Aisa mahina hai Jo Mahe Rajab aur Mahe Ramadan ke darmiyan mein Aata hai aur log is se Gaflat baratte hain halan ke is mahine mein (poore saal ke) Aa’mal Allah Subhanahu Wa Ta'ala ke samne pesh kiye jate hain, Aur main chahta hun ke mere Aa’mal is halat mein Pesh kiye jayen ke main Roze se hun."

[Urdu Ref :: Sunan an-Nasa’i :: Vol. 2 :: Hadith 268]

✦........♥ Asal Khoobsurti ♥........✦

●◗► Khoobsurti ka Dar o Madaar Insan ke Chehre ki Khoobsurti par Nahin. Balke Haqiqi Khoobsurti ye hai ke Insan ki Aql, us ka Dil aur sab se Badh kar us ki Rooh khoobsurat ho.

✦...♥ Sha'ban: Ramadan Al-Mubarak ke Intezar ka Mahina ♥...✦

Narrated Aisha, Ummul Mu'minin RadiyAllahu Anha: "The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) used to count the days in Sha'ban in a manner he did not count any other month; then he fasted when he sighted the new moon of Ramadan; but if the weather was cloudy he counted thirty days and then fasted."

[Sunan Abi Dawud :: Book 13 :: Hadith 2318, 2325]

Urdu Translation: Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha farmati hain ke "RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam Sha'ban (ki tareekhen) ko yaad rakhne ka jis qadar Ehtemam farmate itna kisi Dusre mahine (ki tareekhon) ka Ehtemam nahi farmate (kyun ke Sha'ban ke Ekhtetam par Ramadan ke Aagaz ka madar hai) phir Jab Ramadan ka chand Nazar Aata to roze rakhte, aur Agar Matla’a Abar Alood hone ki wajah se (29 sha'ban ko) Chand nazar na Aata to (sha'ban ke) 30 din poore farmate aur phir Roze rakhte."

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 2 :: Hadith 555, 2327]

No comments:

Post a Comment