Saturday, 30 July 2016

✦.......♥ Nikah aur Walime ka Sadgi se In’eqad! ♥.......✦

The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) saw the traces of Sufra (yellow perfume) on `Abdur-Rahman bin `Auf and said, "What is this?" `Abdur-Rahman, said, "I have married a woman and have paid gold equal to the weight of a datestone (as her Mahr). The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said to him, "(BarakAllahu lak) May Allah bless you: Offer a wedding banquet even with one sheep."

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 7 :: Book 62 :: Hadith 85, 5155]

Urdu Translation: Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Hazrat Abdur-Rahman bin `Auf RadiyAllahu Anhu par Zard Rang ka asar dekha to us ke Muta’lliq daryaft Farmaya ke ye kya hai? Hazrat Abdur-Rahman bin `Auf RadiyAllahu Anhu ne Arz kiya ke Main ne aik Aurat se Nikah kar liya hai Guthli ke barabar sone ko maher tahra kar.

RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “BarakAllahu Lak (Allah Ta’ala Tumhen barkat de.) Walimah karo chahe Aik bakri Zabah kar ke ho.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 6 :: Hadith 5155]

●◗► Sadgi se Nikah aur Walime ka In’eqad Masnoon hai aur is ke liye Khandan ke tamam Afrad aur dost ahbab ko ikhatta karna bhi zaroori nahin, Fuzool kharchi aur Qarz ke bojh se bachte hue Baqadare isteta’at logon ko Mad’u kiya ja sakta ho kar liya jaye Baqya ko chhor diya jaye, Neez jin Rishtedaron aur Dost ahbab ko Mad’u na kiya jaye wo bhi ise apni be izzati Tasawwur na Karen, RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ka tarze Aml hamare liye Mash’ale raah hai, zara gor Karen ke Hazrat Abdur-Rahman bin `Auf RadiyAllahu Anhu Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke un 10 Wafadar qadeem tareen sathiyon mein hain Jinhen Ashra-e-Mubashrah kaha jata hai, Unhon ne sadgi se Nikah Farmaya aur Allah ke Habeeb Sallallahu Alaihi Wasallam ko Mad’u nahin kiya, Jab RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ko is Nikah ka ilm hua to Aap ne use Mahsoos nahin Farmaya balke Barkat ki dua di aur Walimah ko sadgi ke sath Mun’aqid karne ka hukum Irshad Farmaya.

✦.....♥ Ahliya ke Sath Dosti aur Rahem Ka Rishta ♥.....✦

Biwi apne shohar ki Ayena daar hoti hai, Tum us ko kaho wo Khoobsurat hai Wo har Roz nikharti jayegi, Use kaho wo Khidmat guzar hai Wo Mazeed khidmat karegi, Us ko Sara hoge to us ka Etemad badhega, Lekin Agar har waqt us ke Andar Nuqs nikaloge to us ko khokhla kar doge, Wo tedhi phasli se nikli hai, us ko Sidha karne ki koshish mein tum use tod doge, is liye us ke sath ♥ Dosti aur Rahem ka Rishta rakho ♥

✦........♥ Pardah aur Haya ♥........✦

 “Pardah” Na Mahram Shaks ki Nigah ko Aap ki taraf Aane Nahin deta!!! Aur  “Haya” Aap ki Nigahon ko Na Mahram ki taraf Jane Nahin deti!!!

✦.....♥ Koi Pesha Aur Zariya Ma’aash Ma’yoob Nahin ♥.....✦

Fun-e-Jarah o Ta’deel ke Imam Allamah Ibn Al-Jawzi Rahimahullah apni Kitab mein likha ke Hazrat Abdullah bin Abbas RadiyAllahu Anhuma Irshad Farmate hain:

❶ Hazrat Adam Alaihis Salam hal chalate the
❷ Hazrat Nooh Alaihis Salam Badhayi ka kaam karte the
❸ Hazrat Idrees Alaihis Salam kapde site the
❹ Hazrat Saleh Alaihis Salam tijarat karte the
❺ Hazrat Ibrahim Alaihis Salam kheti badi karte the
❻ Hazrat Shoaib o Musa Alaihima Assalam bakriyon ki Nigehbani karte the
❼ Hazrat Dawud Alaihis Salam lohe ki zirah banate the
❽ Hazrat Sulaiman Alaihis Salam Umoore saltanant chalate the
❾ Hazrat Isa Alaihis Salam kal ke liye koi cheez chipa kar nahi rakhte the
➓ Hamare Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Maqame Ajyad par bakriyon ki Nigehbani farmate the
⓫ Aur Amma Hawwa Alaihimas Salam apne hath se kapda bun kar khud bhi pahenten aur Aoulad ko bhi pahnati then.”

[Al Muntazim Fi Tariq, Al-Imam bin Al-Jawzi]

Hath se kama kar khana aur kisi Hunar, karegari aur San’at ko zariya Ma’ash ke tor par Ekhtiyar karna koi Ma’yoob baat nahin, Balke sawal se bachne aur Rizqe halal kamane ki Niyyat se pesha Ekthiyar karna badi Fazilat aur sawab ka kaam hai, Hamare Mu’ashre mein bahot se Peshwon ko Ma’yoob aur kamtar samjha jata hai jo durust nahin, har wo Jayez pesha jis mein Ahkame Shari’at ki Ria’yat rakhi jaye Qabile tahseen aur Babarkat hai.

✦........♥ Waldain ki Qadar Karen ♥........✦

Khud Kafeel hone ke baad ham Chahe lakhon Rupe Waldain par kharch karden, Waldain ko apne Kandhe par Sawar kar ke Hajj karwayen, Waldain par apna Sara sarmaya Nichawar karden, Waldain ki din raat khidmat kare lekin phir bhi ham Un ke Aik Rupya ki Qeemat bhi nahin Chuka sakte aur us Aik raat ki Mushaqqat ka badla bhi nahin utar sakte jab ham Peshab kar ke bistar gandah kardiya karte the.

⇨ Ham wo waqt yaad Karen jab Hamare Waldain apna hath rok kar hamari har Khuahesh puri karne ki koshish karte aur Apni Tangdasti ka hamen Ehsas bhi na hone dete, Apni Raton ki Neenden kharab kar ke hamen Sukoon ki neend sulate, Hamari choti choti baton ko apne Aap par Tarjeeh dete aur hamari Choti si takleef par Tadap uthte.

♥ Ya Allah! Hamen Waldain ki Qadardani Naseeb Farma, Waldain ka saya Taa dair ham Par Qayem Farma aur jo Waldain Dunya se Rokhsat ho chuke unhen apni Rahmat o Maghfirat ki Aagosh mein Jaga Naseeb Farma. (Aameen)

✦......► Social Media Par Man Ghadat Dhamkiyan ◄......✦

● Agar aap Momin hain to ise Like aur Share karen.
● Agar aap RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se sacchi Mohabbat karte hain to ise zaroor Like aur Share karen.
● Like aur Share kar ke apne Musalman ya Aashiqe Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) hone ka saboot den.
● Jo Share nahi karega wo kisi na kisi Aafat mein zaroor Mubtela hoga.

●◗► Yaad Rakhen!!! Iman, Islam aur Allah aur us ke Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) se Mohabbat ka daromadaar Social Media par Sharing aur Like karne par Nahin balke Quran o Sunnat par Aml paira hone par hai, isi tarah kisi Musibat mein Mubtela hone ya kisi Khushi ke hasil ho jane ka Talluq bhi Posting aur Sharing se nahin balke Allah Rabbul izzat ke hukum aur Faisle se hai jis par Hamen har haal mein Razi rahna chahiye.

✦......► Deene Islam Mein Jismani Safayi ◄......✦

Anas RadiyAllahu Anhu reported: "A time limit has been prescribed for us for clipping the moustache, cutting the nails, plucking hair under the armpits, shaving the pubes, that it should not be neglected far more than forty nights."

[Sahih Muslim :: Book 2 :: Hadith 497, 258]

Urdu Translation: Sayyidna Anas bin Malik RadiyAllahu Anhu Farmate hain: "Rasool Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne hamare liye Munchen katne, Nakhun tarashne, Baglon ke baal ukhadne aur Zere Naaf balon ki safayi ka (zyadah se zyadah) waqt ye Mutaiyyan Farmaya ke ham inhen 40 din se zyadah na Chhoden."

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 1 :: Hadith 599, 622]

●◗► Har hafte Nakhun tarashna aur Jismani safayi hasil karna Masnoon hai, Albatta agar kisi Majburi se koi shaks har Hafte nakhun na tarash sake ya Jismani safayi Hasil na kar sake to Aakhri Muddat 40 din hai, 40 din ke baad bhi Nakhun na tarashana aur Jism ke gair zaroori baal saaf na karna Sakht Gunah aur Na jayez Aml hone ke sath sath bahot se Muhlak Amraz aur Bimariyon ka sabab bhi hai.

●◗► Insan ki zindagi Muskurahat, Khushi, Aansu aur Dukh dard Jaisi Mutzaat chizon se bhari hoti hai, In lamhat ko Umdah guzarne ka Aik hi Nuskha hai jise Yaad rakhne ki Badolat har tarah ke Halaat mein Insan Mutma’in rah sakta hai, Wo Nuskha ye hai:

♥•*´`*•“Zindagi ke har Mod par Allah Ta’ala Hamare Sath hai”•*´`*•♥

✦.......► Khawateen ka Mard Doctor Se ilaj Karwana!◄.......✦

Narrated Jabir RadiyAllahu Anhu: Umm Salamah asked the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) permission for getting herself cupped. He (Sallallahu Alaihi Wasallam) commanded Abu Tibah (RadiyAllahu Anhu) to cup her. The transmitter said: I think he was her foster-brother or a boy not yet of age.

[Sunan Abi Dawud :: Book 33 :: Hadith 4093, 4105]

Urdu Translation: Hazrat Jabir RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke Zojah Rasool Umm Salamah RadiyAllahu Anha ne Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam se Hijama lagwane (Cupping therapy Aik qism ka ilaj Jis mein Jism ke khaas Muqamat se khoon nikala jata hai) ki Ijazat chahi, Aan Hazrat Sallallahu Alaihi Wasallam ne Hazrat Abu Taibah RadiyAllahu Anhu ko hukum Farmaya ke wo Hazrat Umm Salamah RadiyAllahu Anha ko Hijama lagaden, Hadees ke Rawi Hazrat Jabir RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke Abu Taibah RadiyAllahu Anhu ko hukum Farmane ki wajah ye thi ke wo Hazrat Umm Salamah RadiyAllahu Anha ke Razayi bhai the ya Na Balig the.

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 3 :: Hadith 704, 4107]

●◗► Hadeese bala se Maloom hua ke Ilaj ke silsile mein bhi Parde ka khayal rakhna lazim hai, Agar Ma’alij (doctor) ke samne be pardah ho kar Aane ki ijazat hoti to Jaleel ul-Qadr Sahabi Hazrat Jabir RadiyAllahu Anhu ko ye wazahat pesh karne ki zarurat na hoti ke Ma’alij Abu Taibah RadiyAllahu Anhu, Hazrat Umm Salamah RadiyAllahu Anha ke Mahram ya Na balig ladke the, Shari’at Mutahrah ka Asal hukum to yahi hai ke Aourat apna Ilaj khatoon Ma’alij (doctor) se karwaye, Bilkhusus jab ke Dourane ilaj satar wale Aaza bhi kholne ki zarurat ho, Albatta kisi hangami halat ya Majburi ki surat mein Sharayet o Quyudat ke sath Mard Ma’alij se ilaj karwane ki ijaat hai, Bashart ye ke Ma’alij itna badan dekhe, Jitna dekhna zaroori ho, isi tarah Agar zabani haal kahna kafi ho to Ma’alij ko hath lagane aur Jism dekhne ki ijzat Nahin, Nabz dekhna zaroori ho to digar badan kholna aur dekhna durust nahin wagerah.

Tuesday, 19 July 2016

✦..........♥ Ahliya Shishe ki Tarah Nazuk ♥..........✦

Narrated Anas bin Malik RadiyAllahu Anhu: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) came to some of his wives among whom there was Um Sulaim RadiyAllahu Anha, and said, "May Allah be merciful to you, O Anjasha! Drive the camels slowly, as they are carrying glass vessels!"

Abu Qalaba said: "The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said a sentence (i.e. the above metaphor) which, had anyone of you said it, you would have admonished him for it".

[Sahih Bukhari :: Vol. 8 :: Book 73 :: Hadith 170]

●════════════════◄►═══════════════●

Urdu Translation: Hazrat Anas bin Malik RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam (Aik safar mein ke moqe par) Apni baaz Azwaje Mutahrat ke paas Aaye jo Unton par sawar ja rahi thin aur un ke Hamrah Umm Sulaim RadiyAllahu Anha bhi then (Aik Habshi Gulam Anjasha tezi ke sath Unton ko hankaye ja raha tha). AanHazrat Sallallahu Alaihi Wasalla ne (gulam ko mukhatab kar ke) Irshad Farmaya: “Tera Naas ho, Aye Anjasha! Shishon se Lade Unton ko Aahistagi se Lekar Chalo.”

(Hazrat Anas RadiyAllahu Anhu se ye Hadees naqal karne wale Mashhoor Tabayi) Hazrat Abu Qalaba Farmate hain ke “AanHazrat Sallallahu Alaihi Wasallam ne Ahliya se Mutalliq “Shishon ko Narmi se le Chalo” Jaise Alfaz istemal Farmaye. Agr tum mein se koi Shaks aise Alfaz istemal karta to tum use Aaib ki baat samajhte.”

 [Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 7  :: Hadith 6149]

●◗► RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Azwaje Mutaharat ko shishe se Tashbih di, Shisha bahot Nazuk hota hai aur Beruni asrat se bahot jald Muta’ssir hokar toot jata hai, isi tarah Ghar wali bhi Kamzor saakht, Nazuk Fitrat aur Hasas dil ki Malik hoti hai aur ise bhi Shishe ki tarah Ehtiyat, Narmi aur dekh bhaal se Rakhne ki zarurat hoti hai.

●◗► Ya Arhamar Rahimeen! Jis Tarah Aap ne Apne bande “Tayyib Erdogan” ko Zalimon ke shar se Bachaya isi tarah apne Bande “Muhammad Mursi” ko bhi Zalimon ke changul se Najat Naseeb Farma kar Hamari Aankhen thandi Farmade. (Aameen)

✦......♥ Hamare Mangne Par Allah Ka Jawab ♥......✦

Allah Subhanahu Wa Ta'ala Hamare Sawal karne aur Mangne ka 5 Tarah se Jawab Inayat Farmate hain:

❶ Han, Lelo.
❷ Han, Lekin abhi Nahin.
❸ Tumhari Mangi hui cheez se Behtar Ata karta hun.
❹ Tumhare Mangne par Tumhari Fulan Musibat taal deta hun.
❺ Tumhari is Dua ko Aakhirat ke liye Mahfooz kar leta hun.

Yaad Rakhen! Allah Subhanahu Wa Ta'ala ki Taraf se Jawab kabhi “Nahin” Mein Nahin Aata.

Ma’roof Scholar Dr. Zakir Naik ko Shikanje mein Kasne ki Tayyari
✦....►Maslaki Ekhtelafaat Bhula kar Muttahid Ho Jayen!◄....✦

Maujudah halat ka Taqaza hai ke dunya bhar ke Musalman Maslaki Ekhtelafaat aur Furuyi Masayel ko Balaye taaq Rakhte hue Ittehad o Yakjahti ka saboot den, Bahaisiyat Musalman ham sab Aik hain, Mua’mla sirf Zakir Naik ka nahin balke Dunya mein basne wale 2 Arab Musalmanon ka hai.

Kisi bhi Musalman ko Dahshat Gard Qarar dena ab Aam si baat hogayi, Dunyae kufr ko “Dahshat Gardi” ki Mubham istilah Aisi hath lagi hai ke Jis par chahte hain Dahshat Gardi ka ilzam lagate hain, Jis ko chahte hain Jail ki Salakhon ke piche dhakhel dete hain aur Jis ke chahte hain Bank Accounts Munjamid kar dete hain, Misr ke Muntakhab Sadar Mursi bhi Dahshat Gard, Ikhwan Al-Muslimeen ke Qayedeen bhi Dahshat Gard, Aafiya Siddiqui bhi Dahshat Gard, Ulama ke zere intezam khalistan Rifahi kaam karne wale idare aur Trust bhi Dahshat gard, Jamate Islami Bangladesh ke Buzurg Rahnuma bhi Dahshat Gard, Ahle Madaris aur Pur amn Ulama bhi Dahshat Gard aur ab Dr. Zakir Naik bhi Dahshat Gard!!! Jis bhi Musalman ko Aalame Kufr apne Mafadat mein Rukawat samjhe wo Dahshat Gard, is khuli Bad Qumashi ke Bawajood in Be Zameer taqaton ka dawa hai ke ham Insani Huqooq ka Tahaffuz, Insaniyat ko furoog aur Dunya ko Aman dene Nikle hain aur Dahshat Gardi ke khilaf is Mutanaziya Jang mein sari Dunya ko hamara sath dena Chahiye.

✦..► Office, Flat aur Ghar ke Istinja Khanon ka Jayezah Len ◄..✦

Narrated Abu Ayyub Al-Ansari RadiyAllahu Anhu : The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "While defecating, neither face nor turn your back to the Qibla but face either east or west."

[Sahih Bukhari :: Vol. 1 :: Book 8 :: Hadith 388]

Urdu Translation: Hazrat Abu Ayyub Al-Ansari RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Jab tum Qazaye Haajat ke liye Jao to Qiblah ki Taraf na Muh kar ke baitho aur na Peeth."

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 1 :: Hadith 394]

✦....:( Ramadan Khatam hua hai Ya Musalman??? :(....✦

●◗► Muazzin ki Takbeeren, Khali wuzu khane aur Wiraan Masjiden puch rahi Hain: 'Ya Rab! Ramadan khatam hua hai Ya Musalman???'

Ya Arhamar Rahimeen! Ramadan Al-Mubarak ke Aa’mal ka Tasalsul Saal bhar Jari rakhne ki Hamen Toufeeq Naseeb Farmaye. (Aameen).

✦....► Mard o Aurat Aik Dusre ki Mushabihat se Bachen!◄....✦

Narrated AbuHurayrah RadiyAllahu Anhu: The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) cursed the man who dressed like a woman and the woman who dressed like a man.

[Sunan Abi Dawud :: Book 33 :: Hadith 4087, 4098]

Urdu Translation: Hazrat Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke “RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne us Mard par La’nat bheji jo Aurton ka sa Libas pahenta hai aur us Aurat par La’nat ki jo Mardon ka sa Libas Pahenti hai.”

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 3 :: Hadith 697, 4100]

✦...✿.....♥ Eid ki Mubarak Baad Dene ka Tariqa ♥....✿...✦

•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*
Abuzar ki Janib se Tamam Chahne Walon ko Eid Mubarak
•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*

Hazrat Wasla RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke Main ne Eid ke din Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se Mulaqat ki aur Main ne kaha: "Taqabbal Allaahu Minna Wa'minka' Allah Tala hamare aur aap ke Naik Aa’mal qubool farmaye."

Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Han Han zaroor! 'Taqabbal Allaahu Minna Wa'minka' Allah paak hamare aur Aap ke Naik Aa’mal qubool farmaye." [Sunan Al-Kubra Al-Bahaqi :: Hadith 6088]

●◗► Allah Subhanahu Wa Ta'ala ham sab ke Rozon, Taraweeh, Zikr o Tilawat aur Tamam Ibadaat ko apni Bargah mein Qubool farma kar Hamen baar baar Ramadhan Al-Mubarak ki baharen aur Eid ki sacchi Khushiya Naseeb farmaye. (Aameen).

✦......✿.....♥ Eid Ul-Fitr ki Sunnaten ♥.....✿......✦

❶ Subah sawere uthna.
❷ Miswak karna.
❸ Gusul karna.
❹ Shari’at ke dayere mein rahte hue Apni Aarayesh karna.
❺ Umdah se Umdah kapde jo paas Maojood ho pahenna.
❻ Khushbo lagana.
❼ Jald az Jald Eidgah pahochna.
❽ Agar Sadaqah Fitr ada na kiya ho to Eidgah jane se pehle pehle ada karlena.
❾ Eidgah jane se pehle koi Mithi cheez Maslan Khajoor wagerah khana.
➓ Eid ki Namaz, Eidgah mein jakar padhna.
⓫ Eidgah se wapasi par dusra raasta Ekhtiyar karna.
⓬ Eidgah paidal jana.
⓭ Raaste mein

اللہ اکبر اللہ اکبر لا الہ الا اللہ واللہ اکبر اللہ اکبر وللہ الحمد

"Allahu Akbar Allahu Akbar La ilaaha illallahu Wallahu Akbar, Allahu Akbar Walillahil Hamd!" Aahista Aawaz mein padhna.

✦.........:'( Ahle Sham ki Eid :'(.........✦

Dunya bhar ke Musalman Namaze Eid ke baad Rishtedaron ke Makanat aur Tafreeh gahon ka Rukh kar ke khushiyan Manate rahe aur Shami Musalman Namaze Eid ke baad Qabristan ka Rukh kar ke Aansu Bahate rahe!!!!

●◗► Ya Arhamar Rahimeen! Shami Musalmano ke Haal par Rahem Farma aur Unhen Dunya o Aakhirat ki Bhalayyan Naseeb Farma. (Aameen)

✦........♥ Musalmanon ki Saal Mein 2 Eiden ♥........✦

Narrated Anas ibn Malik RadiyAllahu Anhu: When the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) came to Medina, the people had two days on which they engaged in games. He asked: What are these two days (what is the significance)? They said: We used to engage ourselves on them in the pre-Islamic period. The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: Allah has substituted for them something better than them, the day of sacrifice and the day of the breaking of the fast.

[Sunan Abi Dawud :: Book 3 :: Hadith 1130, 1134]

Urdu Translation: Hazrat Anas RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke Jab RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam (Makkah Mukarramah se) Madinah Munawwarah Tashreef laye to Ahle Madinah ke liye Zamane Jahiliyat ke 2 din (Neroz aur Maherjan) Muqarrar the Jin mein wo log khel kood kiya karte the.

Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne un se pucha ke ye kon se 2 din hain? Unhon ne kaha ke ham Zamana Jahiliyat mein in dinon mein Khel kood o Tafreeh kiya karte the.

RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Allah Subhanahu Wa Ta'ala ne in 2 dinon ke badle in se bahot bahtar 2 din Tumhen Inayat Farmaye hain: Aik Eid ul-Azha ka din aur Dusra Eid ul-Fitr ka din.”

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 1 :: Hadith 1122]

Monday, 4 July 2016

✦............♥ SADAQAT-ul-FITR ♥............✦

Narrated Abdullah ibn Abbas RadiyAllahu Anhu: The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) prescribed the sadaqah (alms) relating to the breaking of the fast as a purification of the fasting from empty and obscene talk and as food for the poor. If anyone pays it before the prayer (of 'Id), it will be accepted as zakat. If anyone pays it after the prayer, that will be a sadaqah like other sadaqahs (alms).

[Sunan Abi Dawud :: Book 9 :: Hadith 1605, 1609]

Urdu Translation:  Hazrat Ibn Abbas RadiyAllahu Anhuma se Riwayat hai “RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Sadaqa e Fitr ko Farz Qarar diya taa ke Rozah Daar ki (Rozon ke dauran) Fuzool baton aur Fahesh kalami se safayi ho jaye aur Masakeen ke liye Khane Pine ka Bandobast ho jaye, Jo koi Sadaqa e Fitr ko Namaz se pahle Ada karle to ye Maqbool Sadaqa e Fitr hai aur jo Namaz ke baad ada kare to ye Aam Sadaqat mein se Aik Sadaqah hoga.”

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 1 :: Hadith 1596]

✦.......♥ Dua Mangte Waqt! ♥.......✦

♥ Allah Rabbul Izzat se Jab bhi Dua mangen, Qubuliyat ke yaqeen ke sath aur ye Dhiyan rakhte hue Mangen ke Allah Rabbul izzat aap ki Faryad sun rahe hain.

Yaad Rakhen!!! Be Tawajjuhi se Mangi jane wali Duayen Aasmanon tak nahin Pahochtin.

✦.......► Shabe Qadr ki Ta'yeen Uthali Gayi!◄.......✦

Narrated 'Ubada bin As-Samit RadiyAllahu Anhu: "Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) went out to inform the people about the (date of the) night of decree (Al-Qadr) but there happened a quarrel between two Muslim men.

The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "I came out to inform you about (the date of) the night of Al-Qadr, but as so and so and so and so quarrelled, its knowledge was taken away (I forgot it) and maybe it was better for you. Now look for it in the 7th, the 9th and the 5th (of the last 10 nights of the month of Ramadan)."

[Sahih Bukhari :: Vol. 1 :: Book 2 :: Hadith 47, 49]

Urdu Translation: Hazrat Ubadah bin As-Samit RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam (hamen) Shabe Qadr ki khabar dene ke liye Tashreef la rahe the ke do Musalman Aapas mein kuch Jhagda karne lage to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya:

“Main Tumhen Shabe Qadr batane ke liye Nikla tha, Lekin Fulan aur Fulan ne aapas mein Jhagda kar liya to is ki wajah se (Shabe Qadr) ka ilm wapas utha liya gaya aur Ummid yahi hai ke tumhare Haq mein yahi bahtar hoga, Lehaza ab tum ise (Ramadan ki) 25vin, 27vin aur 29vin Raat mein Talash karo.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 1 :: Hadith 49]

●◗► Is Hadees se pata chala ke Aapas ka Jhagda is Qadar bura Aml hai ke is ki wajah se Allah ne apne Habeeb Sallallahu Alaihi Wasallam ke Qalbe Athar se Shabe Qadr ki Ta’yeen uthali, Agarche baaz Wujuh se is mein Ummat ka faidah bhi hogaya, Ab hukum ye hai ke Aakhir Ashre ki Taaq Raton mein Shabe Qadr ko talash karo.

✦.....♥ Kya Ham Shukr Guzar Bande na Banen? ♥.....✦

Narrated Al-Mughira bin Shu'bah RadiyAllahu Anhu: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) used to offer night prayers till his feet became swollen. Somebody said, to him," "Allah has forgiven you, your faults of the past and those to follow." On that, He (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Shouldn't I be a thankful slave of Allah)?"

[Sahih Bukhari :: Vol. 6 :: Book 60 :: Hadith 360, 4836]

Urdu Translation: Hazrat Mughirah bin Shu'bah RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam itni dair tak Namaz mein khade rahte ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke Mubarak Qadmon par Waram aajata, Jab Aap Sallallahu Alaihi Wasallam se Arz kiya gaya ke Allah Subhanahu Wa Ta'ala ne to Aap ki Agli Pichli khatayen Muaaf farmadi hain (phir bhi ibadat mein itni mushaqqat?) to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Kya Main Allah ka Shukr Guzar Bandah na Banun.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 6 :: Hadith 4836]

✦.........♥ Ibadat ke Zariye Allah ki Madad! ♥.........✦

●◗► Agar aap kisi Mushkil mein Giriftar ho kar Allah Ta’ala ki fori Madad o Nusrat ke Talab gaar hon to Madad Mangne ki behtar surat ye hai ke Pehle koi Maali ya Badni Ibadat Sar Anjam den aur Phir Allah Ta’ala se Madad Mangen, Kyun ke Khud Allah Subhanahu Wa Ta'ala ne Madad Mangne se Qabl Ibadat ka zikr Farmaya hai. Irshade Bari Ta’ala hai:

⇨ “Aye Allah Ham teri hi Ibadat karte hain aur Tujh hi se Madad mangte hain.” (Al-Quran, Surah Al-Fatihah:5)

✦.....♥ Ramadan Aasmani kitabon ke Nuzool ka Mahina ♥.....✦

Waathilah ibn al-Asqa RadiyAllahu Anhu 'said: The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "The Scriptures of Ibraaheem (Abraham) were sent down on the first of the month of Ramadan, The Tawraat (Torah) was sent down on the sixth of Ramadan, The Injeel (Gospel) was sent down on the thirteenth of Ramadan, The Zaboor (Pslams) was sent down on the eighteenth of Ramadaan, and the Qur'an was sent down on the twenty-fourth of Ramadan. "

[Hadith - Ahmad and al-Tabaraani] [Classed as hasan by al-Albaani in al-Silsilah al-Saheehah, 1575]

●════════════════◄►═══════════════●

Urdu Translation: Hazrat Waathilah ibn al-Asqa RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad  Farmaya:  "Hazrat Ibrahim Alaihis Salam ke "Sahife" Ramadan ki pehli Raat mein Nazil hue, "Tawraat" 6 Ramadan ko Nazil hui, "Injeel" 13 Ramdan Al-Mubarak ko Nazil hui, "Zaboor" 18 Ramadan ko Nazil hui aur "Quran Majeed" 24 Ramadan Al-Mubarak ko Nazil hua.”

[Al-Mu’jamul Awsat Al-Tabarani :: Hadith 3740] [Musnad Ahmad bin Hambal :: Hadith 16984]

✦........♥ Shabe Qadr Palene ka Aasan Nuskha ♥........✦

RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Shabe Qadr ko Ramadan Al-Mubarak ke Aakhir Ashre ki Taaq Raaton mein Talash karo." ► Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "Search for the Night of Qadr in the odd nights of the last ten days of Ramadan." (Sahih Bukhari :: 2017)

Shabe Qadr ka Ramadan ke Aakhir Ashre ki taaq raton mein hona Muta’yyan hai lehaza Agar Aakhir ashre ki Taaq raton (21, 23, 25, 27, 29) mein se har har Raat ko darj zail Aa’mal karliye jayen to Allah ki zaat se Bhar pur Ummid hai ke ham Shabe Qadr ki Barkaat aur Hazaar mahinon ki Ibadat ka Sawab pa Sakenge.

❶ Isha aur Fajr ki Namaz ba’Jamat ada kare, (Jis ne Isha o Fajr ba Jama’at ada ki to use puri Raat ibadat ka sawab milta hai).
❷ Teesra kalimah aur Durood shareef ka Ehtemam karen.
❸ Km az km aik parah Qur’an Majeed ki Tilawat karen.
❹ Km se km 2 Rakat Salaat at-Taubah Padhen.
❺ Apne Gunahon par Roro kar Allah se Muafi mangen.

✦.......► Mu'takifeen Ke Liye Hidayat! ◄.......✦

Narrated Aisha, Ummul Mu'minin RadiyAllahu Anha: The sunnah for one who is observing i'tikaf (in a mosque) is not to visit a patient, or to attend a funeral, or touch or embrace one's wife, or go out for anything but necessary purposes.

[Sunan Abi Dawud :: Book 13 :: Hadith 2467, 2473]

Urdu Translation: Ummul Mu’minin Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha Farmati hain: “I’tikaf karne wale ke liye Sunnat ye hai ke wo kisi Mareez ki iyadat na kare, Na kisi Janaze ke sath jaye, Na apni Biwi ko chuye aur na us se Mubashrat kare aur Intehayi zaruri Hajaat ke Alawah I’tikaf gaah se bahar na Nikle…...”

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 2 :: Hadith 701]