Tuesday, 19 July 2016

✦..........♥ Ahliya Shishe ki Tarah Nazuk ♥..........✦

Narrated Anas bin Malik RadiyAllahu Anhu: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) came to some of his wives among whom there was Um Sulaim RadiyAllahu Anha, and said, "May Allah be merciful to you, O Anjasha! Drive the camels slowly, as they are carrying glass vessels!"

Abu Qalaba said: "The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said a sentence (i.e. the above metaphor) which, had anyone of you said it, you would have admonished him for it".

[Sahih Bukhari :: Vol. 8 :: Book 73 :: Hadith 170]

●════════════════◄►═══════════════●

Urdu Translation: Hazrat Anas bin Malik RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam (Aik safar mein ke moqe par) Apni baaz Azwaje Mutahrat ke paas Aaye jo Unton par sawar ja rahi thin aur un ke Hamrah Umm Sulaim RadiyAllahu Anha bhi then (Aik Habshi Gulam Anjasha tezi ke sath Unton ko hankaye ja raha tha). AanHazrat Sallallahu Alaihi Wasalla ne (gulam ko mukhatab kar ke) Irshad Farmaya: “Tera Naas ho, Aye Anjasha! Shishon se Lade Unton ko Aahistagi se Lekar Chalo.”

(Hazrat Anas RadiyAllahu Anhu se ye Hadees naqal karne wale Mashhoor Tabayi) Hazrat Abu Qalaba Farmate hain ke “AanHazrat Sallallahu Alaihi Wasallam ne Ahliya se Mutalliq “Shishon ko Narmi se le Chalo” Jaise Alfaz istemal Farmaye. Agr tum mein se koi Shaks aise Alfaz istemal karta to tum use Aaib ki baat samajhte.”

 [Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 7  :: Hadith 6149]

●◗► RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Azwaje Mutaharat ko shishe se Tashbih di, Shisha bahot Nazuk hota hai aur Beruni asrat se bahot jald Muta’ssir hokar toot jata hai, isi tarah Ghar wali bhi Kamzor saakht, Nazuk Fitrat aur Hasas dil ki Malik hoti hai aur ise bhi Shishe ki tarah Ehtiyat, Narmi aur dekh bhaal se Rakhne ki zarurat hoti hai.

●◗► Ya Arhamar Rahimeen! Jis Tarah Aap ne Apne bande “Tayyib Erdogan” ko Zalimon ke shar se Bachaya isi tarah apne Bande “Muhammad Mursi” ko bhi Zalimon ke changul se Najat Naseeb Farma kar Hamari Aankhen thandi Farmade. (Aameen)

✦......♥ Hamare Mangne Par Allah Ka Jawab ♥......✦

Allah Subhanahu Wa Ta'ala Hamare Sawal karne aur Mangne ka 5 Tarah se Jawab Inayat Farmate hain:

❶ Han, Lelo.
❷ Han, Lekin abhi Nahin.
❸ Tumhari Mangi hui cheez se Behtar Ata karta hun.
❹ Tumhare Mangne par Tumhari Fulan Musibat taal deta hun.
❺ Tumhari is Dua ko Aakhirat ke liye Mahfooz kar leta hun.

Yaad Rakhen! Allah Subhanahu Wa Ta'ala ki Taraf se Jawab kabhi “Nahin” Mein Nahin Aata.

Ma’roof Scholar Dr. Zakir Naik ko Shikanje mein Kasne ki Tayyari
✦....►Maslaki Ekhtelafaat Bhula kar Muttahid Ho Jayen!◄....✦

Maujudah halat ka Taqaza hai ke dunya bhar ke Musalman Maslaki Ekhtelafaat aur Furuyi Masayel ko Balaye taaq Rakhte hue Ittehad o Yakjahti ka saboot den, Bahaisiyat Musalman ham sab Aik hain, Mua’mla sirf Zakir Naik ka nahin balke Dunya mein basne wale 2 Arab Musalmanon ka hai.

Kisi bhi Musalman ko Dahshat Gard Qarar dena ab Aam si baat hogayi, Dunyae kufr ko “Dahshat Gardi” ki Mubham istilah Aisi hath lagi hai ke Jis par chahte hain Dahshat Gardi ka ilzam lagate hain, Jis ko chahte hain Jail ki Salakhon ke piche dhakhel dete hain aur Jis ke chahte hain Bank Accounts Munjamid kar dete hain, Misr ke Muntakhab Sadar Mursi bhi Dahshat Gard, Ikhwan Al-Muslimeen ke Qayedeen bhi Dahshat Gard, Aafiya Siddiqui bhi Dahshat Gard, Ulama ke zere intezam khalistan Rifahi kaam karne wale idare aur Trust bhi Dahshat gard, Jamate Islami Bangladesh ke Buzurg Rahnuma bhi Dahshat Gard, Ahle Madaris aur Pur amn Ulama bhi Dahshat Gard aur ab Dr. Zakir Naik bhi Dahshat Gard!!! Jis bhi Musalman ko Aalame Kufr apne Mafadat mein Rukawat samjhe wo Dahshat Gard, is khuli Bad Qumashi ke Bawajood in Be Zameer taqaton ka dawa hai ke ham Insani Huqooq ka Tahaffuz, Insaniyat ko furoog aur Dunya ko Aman dene Nikle hain aur Dahshat Gardi ke khilaf is Mutanaziya Jang mein sari Dunya ko hamara sath dena Chahiye.

✦..► Office, Flat aur Ghar ke Istinja Khanon ka Jayezah Len ◄..✦

Narrated Abu Ayyub Al-Ansari RadiyAllahu Anhu : The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "While defecating, neither face nor turn your back to the Qibla but face either east or west."

[Sahih Bukhari :: Vol. 1 :: Book 8 :: Hadith 388]

Urdu Translation: Hazrat Abu Ayyub Al-Ansari RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Jab tum Qazaye Haajat ke liye Jao to Qiblah ki Taraf na Muh kar ke baitho aur na Peeth."

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 1 :: Hadith 394]

✦....:( Ramadan Khatam hua hai Ya Musalman??? :(....✦

●◗► Muazzin ki Takbeeren, Khali wuzu khane aur Wiraan Masjiden puch rahi Hain: 'Ya Rab! Ramadan khatam hua hai Ya Musalman???'

Ya Arhamar Rahimeen! Ramadan Al-Mubarak ke Aa’mal ka Tasalsul Saal bhar Jari rakhne ki Hamen Toufeeq Naseeb Farmaye. (Aameen).

✦....► Mard o Aurat Aik Dusre ki Mushabihat se Bachen!◄....✦

Narrated AbuHurayrah RadiyAllahu Anhu: The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) cursed the man who dressed like a woman and the woman who dressed like a man.

[Sunan Abi Dawud :: Book 33 :: Hadith 4087, 4098]

Urdu Translation: Hazrat Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke “RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne us Mard par La’nat bheji jo Aurton ka sa Libas pahenta hai aur us Aurat par La’nat ki jo Mardon ka sa Libas Pahenti hai.”

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 3 :: Hadith 697, 4100]

✦...✿.....♥ Eid ki Mubarak Baad Dene ka Tariqa ♥....✿...✦

•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*
Abuzar ki Janib se Tamam Chahne Walon ko Eid Mubarak
•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*

Hazrat Wasla RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke Main ne Eid ke din Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se Mulaqat ki aur Main ne kaha: "Taqabbal Allaahu Minna Wa'minka' Allah Tala hamare aur aap ke Naik Aa’mal qubool farmaye."

Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Han Han zaroor! 'Taqabbal Allaahu Minna Wa'minka' Allah paak hamare aur Aap ke Naik Aa’mal qubool farmaye." [Sunan Al-Kubra Al-Bahaqi :: Hadith 6088]

●◗► Allah Subhanahu Wa Ta'ala ham sab ke Rozon, Taraweeh, Zikr o Tilawat aur Tamam Ibadaat ko apni Bargah mein Qubool farma kar Hamen baar baar Ramadhan Al-Mubarak ki baharen aur Eid ki sacchi Khushiya Naseeb farmaye. (Aameen).

✦......✿.....♥ Eid Ul-Fitr ki Sunnaten ♥.....✿......✦

❶ Subah sawere uthna.
❷ Miswak karna.
❸ Gusul karna.
❹ Shari’at ke dayere mein rahte hue Apni Aarayesh karna.
❺ Umdah se Umdah kapde jo paas Maojood ho pahenna.
❻ Khushbo lagana.
❼ Jald az Jald Eidgah pahochna.
❽ Agar Sadaqah Fitr ada na kiya ho to Eidgah jane se pehle pehle ada karlena.
❾ Eidgah jane se pehle koi Mithi cheez Maslan Khajoor wagerah khana.
➓ Eid ki Namaz, Eidgah mein jakar padhna.
⓫ Eidgah se wapasi par dusra raasta Ekhtiyar karna.
⓬ Eidgah paidal jana.
⓭ Raaste mein

اللہ اکبر اللہ اکبر لا الہ الا اللہ واللہ اکبر اللہ اکبر وللہ الحمد

"Allahu Akbar Allahu Akbar La ilaaha illallahu Wallahu Akbar, Allahu Akbar Walillahil Hamd!" Aahista Aawaz mein padhna.

✦.........:'( Ahle Sham ki Eid :'(.........✦

Dunya bhar ke Musalman Namaze Eid ke baad Rishtedaron ke Makanat aur Tafreeh gahon ka Rukh kar ke khushiyan Manate rahe aur Shami Musalman Namaze Eid ke baad Qabristan ka Rukh kar ke Aansu Bahate rahe!!!!

●◗► Ya Arhamar Rahimeen! Shami Musalmano ke Haal par Rahem Farma aur Unhen Dunya o Aakhirat ki Bhalayyan Naseeb Farma. (Aameen)

✦........♥ Musalmanon ki Saal Mein 2 Eiden ♥........✦

Narrated Anas ibn Malik RadiyAllahu Anhu: When the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) came to Medina, the people had two days on which they engaged in games. He asked: What are these two days (what is the significance)? They said: We used to engage ourselves on them in the pre-Islamic period. The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: Allah has substituted for them something better than them, the day of sacrifice and the day of the breaking of the fast.

[Sunan Abi Dawud :: Book 3 :: Hadith 1130, 1134]

Urdu Translation: Hazrat Anas RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke Jab RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam (Makkah Mukarramah se) Madinah Munawwarah Tashreef laye to Ahle Madinah ke liye Zamane Jahiliyat ke 2 din (Neroz aur Maherjan) Muqarrar the Jin mein wo log khel kood kiya karte the.

Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne un se pucha ke ye kon se 2 din hain? Unhon ne kaha ke ham Zamana Jahiliyat mein in dinon mein Khel kood o Tafreeh kiya karte the.

RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Allah Subhanahu Wa Ta'ala ne in 2 dinon ke badle in se bahot bahtar 2 din Tumhen Inayat Farmaye hain: Aik Eid ul-Azha ka din aur Dusra Eid ul-Fitr ka din.”

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 1 :: Hadith 1122]

No comments:

Post a Comment