Saturday 30 July 2016

✦.......♥ Nikah aur Walime ka Sadgi se In’eqad! ♥.......✦

The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) saw the traces of Sufra (yellow perfume) on `Abdur-Rahman bin `Auf and said, "What is this?" `Abdur-Rahman, said, "I have married a woman and have paid gold equal to the weight of a datestone (as her Mahr). The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said to him, "(BarakAllahu lak) May Allah bless you: Offer a wedding banquet even with one sheep."

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 7 :: Book 62 :: Hadith 85, 5155]

Urdu Translation: Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Hazrat Abdur-Rahman bin `Auf RadiyAllahu Anhu par Zard Rang ka asar dekha to us ke Muta’lliq daryaft Farmaya ke ye kya hai? Hazrat Abdur-Rahman bin `Auf RadiyAllahu Anhu ne Arz kiya ke Main ne aik Aurat se Nikah kar liya hai Guthli ke barabar sone ko maher tahra kar.

RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “BarakAllahu Lak (Allah Ta’ala Tumhen barkat de.) Walimah karo chahe Aik bakri Zabah kar ke ho.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 6 :: Hadith 5155]

●◗► Sadgi se Nikah aur Walime ka In’eqad Masnoon hai aur is ke liye Khandan ke tamam Afrad aur dost ahbab ko ikhatta karna bhi zaroori nahin, Fuzool kharchi aur Qarz ke bojh se bachte hue Baqadare isteta’at logon ko Mad’u kiya ja sakta ho kar liya jaye Baqya ko chhor diya jaye, Neez jin Rishtedaron aur Dost ahbab ko Mad’u na kiya jaye wo bhi ise apni be izzati Tasawwur na Karen, RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ka tarze Aml hamare liye Mash’ale raah hai, zara gor Karen ke Hazrat Abdur-Rahman bin `Auf RadiyAllahu Anhu Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke un 10 Wafadar qadeem tareen sathiyon mein hain Jinhen Ashra-e-Mubashrah kaha jata hai, Unhon ne sadgi se Nikah Farmaya aur Allah ke Habeeb Sallallahu Alaihi Wasallam ko Mad’u nahin kiya, Jab RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ko is Nikah ka ilm hua to Aap ne use Mahsoos nahin Farmaya balke Barkat ki dua di aur Walimah ko sadgi ke sath Mun’aqid karne ka hukum Irshad Farmaya.

✦.....♥ Ahliya ke Sath Dosti aur Rahem Ka Rishta ♥.....✦

Biwi apne shohar ki Ayena daar hoti hai, Tum us ko kaho wo Khoobsurat hai Wo har Roz nikharti jayegi, Use kaho wo Khidmat guzar hai Wo Mazeed khidmat karegi, Us ko Sara hoge to us ka Etemad badhega, Lekin Agar har waqt us ke Andar Nuqs nikaloge to us ko khokhla kar doge, Wo tedhi phasli se nikli hai, us ko Sidha karne ki koshish mein tum use tod doge, is liye us ke sath ♥ Dosti aur Rahem ka Rishta rakho ♥

✦........♥ Pardah aur Haya ♥........✦

 “Pardah” Na Mahram Shaks ki Nigah ko Aap ki taraf Aane Nahin deta!!! Aur  “Haya” Aap ki Nigahon ko Na Mahram ki taraf Jane Nahin deti!!!

✦.....♥ Koi Pesha Aur Zariya Ma’aash Ma’yoob Nahin ♥.....✦

Fun-e-Jarah o Ta’deel ke Imam Allamah Ibn Al-Jawzi Rahimahullah apni Kitab mein likha ke Hazrat Abdullah bin Abbas RadiyAllahu Anhuma Irshad Farmate hain:

❶ Hazrat Adam Alaihis Salam hal chalate the
❷ Hazrat Nooh Alaihis Salam Badhayi ka kaam karte the
❸ Hazrat Idrees Alaihis Salam kapde site the
❹ Hazrat Saleh Alaihis Salam tijarat karte the
❺ Hazrat Ibrahim Alaihis Salam kheti badi karte the
❻ Hazrat Shoaib o Musa Alaihima Assalam bakriyon ki Nigehbani karte the
❼ Hazrat Dawud Alaihis Salam lohe ki zirah banate the
❽ Hazrat Sulaiman Alaihis Salam Umoore saltanant chalate the
❾ Hazrat Isa Alaihis Salam kal ke liye koi cheez chipa kar nahi rakhte the
➓ Hamare Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Maqame Ajyad par bakriyon ki Nigehbani farmate the
⓫ Aur Amma Hawwa Alaihimas Salam apne hath se kapda bun kar khud bhi pahenten aur Aoulad ko bhi pahnati then.”

[Al Muntazim Fi Tariq, Al-Imam bin Al-Jawzi]

Hath se kama kar khana aur kisi Hunar, karegari aur San’at ko zariya Ma’ash ke tor par Ekhtiyar karna koi Ma’yoob baat nahin, Balke sawal se bachne aur Rizqe halal kamane ki Niyyat se pesha Ekthiyar karna badi Fazilat aur sawab ka kaam hai, Hamare Mu’ashre mein bahot se Peshwon ko Ma’yoob aur kamtar samjha jata hai jo durust nahin, har wo Jayez pesha jis mein Ahkame Shari’at ki Ria’yat rakhi jaye Qabile tahseen aur Babarkat hai.

✦........♥ Waldain ki Qadar Karen ♥........✦

Khud Kafeel hone ke baad ham Chahe lakhon Rupe Waldain par kharch karden, Waldain ko apne Kandhe par Sawar kar ke Hajj karwayen, Waldain par apna Sara sarmaya Nichawar karden, Waldain ki din raat khidmat kare lekin phir bhi ham Un ke Aik Rupya ki Qeemat bhi nahin Chuka sakte aur us Aik raat ki Mushaqqat ka badla bhi nahin utar sakte jab ham Peshab kar ke bistar gandah kardiya karte the.

⇨ Ham wo waqt yaad Karen jab Hamare Waldain apna hath rok kar hamari har Khuahesh puri karne ki koshish karte aur Apni Tangdasti ka hamen Ehsas bhi na hone dete, Apni Raton ki Neenden kharab kar ke hamen Sukoon ki neend sulate, Hamari choti choti baton ko apne Aap par Tarjeeh dete aur hamari Choti si takleef par Tadap uthte.

♥ Ya Allah! Hamen Waldain ki Qadardani Naseeb Farma, Waldain ka saya Taa dair ham Par Qayem Farma aur jo Waldain Dunya se Rokhsat ho chuke unhen apni Rahmat o Maghfirat ki Aagosh mein Jaga Naseeb Farma. (Aameen)

✦......► Social Media Par Man Ghadat Dhamkiyan ◄......✦

● Agar aap Momin hain to ise Like aur Share karen.
● Agar aap RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se sacchi Mohabbat karte hain to ise zaroor Like aur Share karen.
● Like aur Share kar ke apne Musalman ya Aashiqe Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) hone ka saboot den.
● Jo Share nahi karega wo kisi na kisi Aafat mein zaroor Mubtela hoga.

●◗► Yaad Rakhen!!! Iman, Islam aur Allah aur us ke Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) se Mohabbat ka daromadaar Social Media par Sharing aur Like karne par Nahin balke Quran o Sunnat par Aml paira hone par hai, isi tarah kisi Musibat mein Mubtela hone ya kisi Khushi ke hasil ho jane ka Talluq bhi Posting aur Sharing se nahin balke Allah Rabbul izzat ke hukum aur Faisle se hai jis par Hamen har haal mein Razi rahna chahiye.

✦......► Deene Islam Mein Jismani Safayi ◄......✦

Anas RadiyAllahu Anhu reported: "A time limit has been prescribed for us for clipping the moustache, cutting the nails, plucking hair under the armpits, shaving the pubes, that it should not be neglected far more than forty nights."

[Sahih Muslim :: Book 2 :: Hadith 497, 258]

Urdu Translation: Sayyidna Anas bin Malik RadiyAllahu Anhu Farmate hain: "Rasool Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne hamare liye Munchen katne, Nakhun tarashne, Baglon ke baal ukhadne aur Zere Naaf balon ki safayi ka (zyadah se zyadah) waqt ye Mutaiyyan Farmaya ke ham inhen 40 din se zyadah na Chhoden."

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 1 :: Hadith 599, 622]

●◗► Har hafte Nakhun tarashna aur Jismani safayi hasil karna Masnoon hai, Albatta agar kisi Majburi se koi shaks har Hafte nakhun na tarash sake ya Jismani safayi Hasil na kar sake to Aakhri Muddat 40 din hai, 40 din ke baad bhi Nakhun na tarashana aur Jism ke gair zaroori baal saaf na karna Sakht Gunah aur Na jayez Aml hone ke sath sath bahot se Muhlak Amraz aur Bimariyon ka sabab bhi hai.

●◗► Insan ki zindagi Muskurahat, Khushi, Aansu aur Dukh dard Jaisi Mutzaat chizon se bhari hoti hai, In lamhat ko Umdah guzarne ka Aik hi Nuskha hai jise Yaad rakhne ki Badolat har tarah ke Halaat mein Insan Mutma’in rah sakta hai, Wo Nuskha ye hai:

♥•*´`*•“Zindagi ke har Mod par Allah Ta’ala Hamare Sath hai”•*´`*•♥

✦.......► Khawateen ka Mard Doctor Se ilaj Karwana!◄.......✦

Narrated Jabir RadiyAllahu Anhu: Umm Salamah asked the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) permission for getting herself cupped. He (Sallallahu Alaihi Wasallam) commanded Abu Tibah (RadiyAllahu Anhu) to cup her. The transmitter said: I think he was her foster-brother or a boy not yet of age.

[Sunan Abi Dawud :: Book 33 :: Hadith 4093, 4105]

Urdu Translation: Hazrat Jabir RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke Zojah Rasool Umm Salamah RadiyAllahu Anha ne Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam se Hijama lagwane (Cupping therapy Aik qism ka ilaj Jis mein Jism ke khaas Muqamat se khoon nikala jata hai) ki Ijazat chahi, Aan Hazrat Sallallahu Alaihi Wasallam ne Hazrat Abu Taibah RadiyAllahu Anhu ko hukum Farmaya ke wo Hazrat Umm Salamah RadiyAllahu Anha ko Hijama lagaden, Hadees ke Rawi Hazrat Jabir RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke Abu Taibah RadiyAllahu Anhu ko hukum Farmane ki wajah ye thi ke wo Hazrat Umm Salamah RadiyAllahu Anha ke Razayi bhai the ya Na Balig the.

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 3 :: Hadith 704, 4107]

●◗► Hadeese bala se Maloom hua ke Ilaj ke silsile mein bhi Parde ka khayal rakhna lazim hai, Agar Ma’alij (doctor) ke samne be pardah ho kar Aane ki ijazat hoti to Jaleel ul-Qadr Sahabi Hazrat Jabir RadiyAllahu Anhu ko ye wazahat pesh karne ki zarurat na hoti ke Ma’alij Abu Taibah RadiyAllahu Anhu, Hazrat Umm Salamah RadiyAllahu Anha ke Mahram ya Na balig ladke the, Shari’at Mutahrah ka Asal hukum to yahi hai ke Aourat apna Ilaj khatoon Ma’alij (doctor) se karwaye, Bilkhusus jab ke Dourane ilaj satar wale Aaza bhi kholne ki zarurat ho, Albatta kisi hangami halat ya Majburi ki surat mein Sharayet o Quyudat ke sath Mard Ma’alij se ilaj karwane ki ijaat hai, Bashart ye ke Ma’alij itna badan dekhe, Jitna dekhna zaroori ho, isi tarah Agar zabani haal kahna kafi ho to Ma’alij ko hath lagane aur Jism dekhne ki ijzat Nahin, Nabz dekhna zaroori ho to digar badan kholna aur dekhna durust nahin wagerah.

1 comment: