Thursday, 22 September 2016

✦.........♥ RasoolAllah ﷺ ka Pasandidah Gosht! ♥.........✦

Abu 'Ubayd RadiyAllahu 'Anhu says: "I cooked a pot (food) for Rasulullah Sallallahu 'Alayhi Wasallam. Because Rasulullah Sallallahu 'Alayhi Wasallam loved the dhiraa (forequarter of a goat or sheep) a lot, I served him that portion. He then ordered another one, I served the ,second one. He then ordered one again. I replied: 'Ya Rasulullah (Sallallahu 'Alayhi Wasallam) the goat has only two dhiraa'.

Rasulullah Sallallahu 'Alayhi Wasallam then said: 'I swear an oath by the Name of that Being in whose hands is my life, if you kept quiet, you could have served me every time I requested one'".

[Shama’il at-Tirmidhi :: Book 25 :: Hadith 160]

●════════════════◄►═══════════════●

Urdu Translation: Hazrat Abu 'Ubayd RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke Main ne Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ke liye Handi pakayi, Chunke Dasti (Bakre ke bazu) ka gosht RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ko Zyadah Pasand tha, is Liye main ne Aik Dasti pesh ki to RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne use Tanawul farmaya aur phir Dusri talab Farmayi, Main ne Khidmate Aqdas mein dusri bhi pesh kardi, phir Aaqaye Naamdar Sallallahu Alaihi Wasallam ne Mazeed dasti talab farmayi to main ne Arz kiya: Ya RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam! Bakri ke do hi Bazu hote hain to RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam Irshad Farmane lage:

“Us zaat ki Qasam! Jis ke Qabze mein meri Jaan hai, Agar tum khamosh Rahte to jab tak Main dasti Mangta rahta (Allah ke hukum se Handiya se) Mujhe di Jati rahti.”  (Shamail at-Tirmidhi : 168, 160)

[Urdu Ref :: Shumail Tirmidhi :: Hadith 159, 168]

✦...♥ Khilafat-e-Rashidah ki Baag Daur Sanbhalne ka Ezaaz ♥...✦

Narrated Safinah RadiyAllahu Anha: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: The Caliphate of Prophecy will last thirty years; then Allah will give the Kingdom of His Kingdom to anyone He wills. Sa'id told that Safinah said to him: Calculate

✔ Abu Bakr's (RadiyAllahu Anhu) caliphate as two years,
✔ 'Umar's (RadiyAllahu Anhu) as ten,
✔ 'Uthman's as (RadiyAllahu Anhu) twelve
✔ And 'Ali (RadiyAllahu Anhu) as Six years."

[Musnad Ahmad :21969] [Sunan Abi Dawud :: Book 41 :: Hadith 4629, 4646]

●════════════════◄►═══════════════●

Urdu Translation: Hazrat Safinah RadiyAllahu Ta’ala Anha Riwayat karte hain ke Main ne Rasool Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ko ye Irshad Farmate hue suna: “Khilafate (Rashidah) ka zamana 30 Saal hoga, is ke baad Baadshahat hogi, phir Hazrat Safinah RadiyAllahu Ta’ala Anha Shumar kar ke batate hain ke:

✔ Hazrat Abu Bakr RadiyAllahu Anhu ki Khilafat ka Zamana 2 Saal
✔ Hazrat Umar RadiyAllahu Anhu ki Khilafat ka Zamana 10 Saal
✔ Hazrat Uthman RadiyAllahu Anhu ki Khilafat ka Zamana 12 Saal
✔ Aur Hazrat Ali RadiyAllahu Anhu ki Khilafat ka Zamana 6 Saal hai.”

[Musnad Ahmad :21969] [Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 3 :: Hadith 1221, 4646]

✦...►Paakdaman Aurton Pe Tohmat Laga ne ka Wabal! ◄...✦

⇨ Allah Subhanahu Wa Ta'ala Irshad Farmate hain: “Yaad Rakho ke Jo log Paakdaman bholi bhali Musalman Aurton par Tohmat lagate hain, un par Dunya aur Aakhirat mein Phatkar hai, aur un ko Zabardast Azab hoga.” (Al-Quran, Surah Nur:23)

⇨  Allah Subhanahu Wa Ta'ala said: “Indeed, those who [falsely] accuse chaste, unaware and believing women are cursed in this world and the Hereafter; and they will have a great punishment.” (Al-Quran, Surah Nur:23)

✦......♥ Khayen Piyen aur Allah ka Shukr Ada Karen ♥......✦

Hazrat Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya:  “Kha Pikar (Allah ka) Shukr Ada karne Wale ka Darja Roze Rakh kar Sabr karne Wale ki Tarah hai.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 7 :: Kitab at-Ta’aam, Baab Shukr Guzar khane Wala (sawab mein) Sabir Rozah daar ki tarah hai, Baab No: 56] [Sahih al-Bukhari :: Book of Food :: Chapter 56]

✦..........♥ Hajj Se Wapas Aane Wale ♥..........✦
Masoom Bacchon ki Tarah Gunahon se Paak

The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "Whoever performs Hajj for Allah's pleasure and does not have sexual relations with his wife, and does not do evil or sins then he will return (after Hajj free from all sins) as if he were born anew."

[Sahih Bukhari :: Vol. 2 :: Book 26 :: Hadith 596]

Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Jo koi Allah ke Liye Hajj kare aur na koi Fahesh baat kare aur na kisi Gunah ka Irtekab to wo Aisa Paak ho kar Lautega Jaisa ke Aaj hi us ki Maa ne use Jana ho.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 2 :: Hadith 1521]

✦.....♥ Aap ne Vitamin “Saad” ke Bare mein Suna hai? ♥.....✦

✔ Salat (Namaz)
✔ Soum (Rozah)
✔ Sabr
✔ Sadaqah
✔ Sulah (Dosti)
✔ Silah Rahmi. (Rishtedaro se Naik sulook)

●◗► Ye Rooh ko Taqat Dene Wala aik Ahem Tareen Vitamin hai, Mamool ki Gizaon Mein ise Shamil Karne ki Koshish Karen.

●═════════════════◄►════════════════●

✦.....♥ Have you heard about Vitamin Saad ? ♥.....✦

✔ Salaah
✔ Fast (Soum)
✔ Patience (Sabr)
✔ Charity (Sadaqah)
✔ Friendship (Sulah)
✔ Good with Relatives. (Silah Rahem)

●◗► This is the main vitamin which gives strength to the soul, include this vitamin in our daily life.

✦.........► Biwi ki Burayi Kisi se Na Karen◄.........✦

●◗► Miyan Biwi ko chahiye ke wo Aapas ki Baten kisi Teesre ke samne Bayan na Karen, Khaas kar Shohar apni Biwi ki koi baat ya Burayi apne Ghar walon se Ya kisi ke bhi samne Bayan na kare, Aise Biwi ka Shohar se Etemaad uth jata hai, Biwi ko Etemaad dilayen taa ke wo ♥ Apni har Baat aap se Bagair hichkicha hat ke Share kar Sake ♥

✦........♥ Eid ki Mubarak Baad Dene ka Tariqa ♥........✦

♥ Abuzar ki Janib se Tamam Chahne Walon ko Eid Al-Adha Mubarak ♥

Hazrat Wathla RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke Main ne Eid ke din Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se Mulaqat ki aur Main ne kaha: "Taqabbal Allaahu Minna Wa'minka' Allah Ta’ala hamare aur aap ke Naik Aa’mal Qubool Farmaye."

Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Han Han zaroor! 'Taqabbal Allaahu Minna Wa'minka' Allah paak hamare aur Aap ke Naik Aa’mal Qubool Farmaye."

[Sunan Al-Kubra Al-Bahaqi :: Hadith 6088]

●◗► Allah Subhanahu Wa Ta'ala ham sab ki Qurbani aur Hajje Baitullah samait digar tamam Ibadaat ko apni Bargaahe Rahmat mein qubool farma kar hamen Deen Mateen ke liye har tarah ki Qurbani dene ka "Jazba Ibrahimi" Ata farmaye. Aameen

✦.......♥ Eid Al-Adha ke Aadaab ♥.......✦

❶ Subah Sawere Uthna.
❷ Miswak karna.
❸ Gusul karna.
❹ Shari’at ke dayere mein rahte hue Apni Aarayesh karna.
❺ Umdah se Umdah kapde jo Paas Maujood ho Pahenna.
❻ Khushbo lagana.
❼ Surma lagana.
❽ Eid ki Namaz se Pehle kuch na khana.
❾ Jald az Jald Eidgah pahochna.
➓ Eid ki Namaz, Eidgah mein jakar Padhna.
⓫ Eidgah paidal jana.
⓬ Eidgah se wapsi par Dusra Raasta Ekhtiyar karna.
⓭ Eidgah jate waqt aur wahan se wapsi par Raaste mein

اللہ اکبر اللہ اکبر لا الہ الا اللہ واللہ اکبر اللہ اکبر وللہ الحمد

"Allahu Akbar Allahu Akbar La ilaaha illallahu Wallahu Akbar, Allahu Akbar Walillahil Hamd!" Ba’aawaze buland padhna.

⓮ Qurbani ke Mubarak Gosht se khane ki Ibteda karna.

✦..♥ Arafah Rehmat o Maghfirat ka Thathen Marta Samandar ♥..✦

'A'isha (Allah be pleased with her) reported Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) as saying: “There is no day when God sets free more servants from Hell than the Day of 'Arafah. He draws near, then praises them to the angels, saying: What do these want?.”

[Sahih Muslim :: Book 7 :: Hadith 3126, 1348]

Urdu Translation: Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Allah Subhanahu Wa Ta'ala Arafah ke Din Jis Qadar logon ko Jahannam se Aazad farmate hain itne kisi aur Din Aazad nahi farmate, bila Shuba Allah Subhanahu Wa Ta'ala is din Apni Rehmat o Maghfirat ke sath bandon ke intehayi Qareeb ho jate hain aur Phir Farishton ke samne (Hujjaj ikram) par Fakhr karte hue farmate hain: "Mere ye Bande kya Chahte hain?".

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 3 :: Hadith 3288, 3354]

●◗► Jab Bahot Gusse Mein hon Tab koi “Faisla” Na Kijiye. Aur Jab Bahot Khush hon Tab koi “Wadah” Na kijiye.

No comments:

Post a Comment