Thursday 6 October 2016

✦..♥ Mareez ki Iyadat Par Rehmat o Maghfirat ka Samandar ♥..✦

The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said:  ‘Whoever comes to his Muslim brother and visits him (when he is sick), he is walking among the harvest of Paradise until he sits down, and when he sits down he is covered with mercy. If it is morning, seventy thousand angels will send blessing upon him until evening, and if it is evening, seventy thousand angels will send blessing upon him until morning.’”

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Book 6 :: Hadith 1442]

Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Jo Shaks apne Musalman bhai ki Iyadat ke liye Aaraha ho to wo Jannat mein chal raha hai yahan tak ke baith jaye aur Jab wo baith jaye to Allah ki Rehmat us ko dhaanp leti hai Agar Subah ka Waqt ho to Sham tak Sattar Hazar Farishte us ke liye Rehmat o Maghfirat ki Dua karte hain aur Agar Shaam ka waqt ho to Subah tak Sattar hazar Farishte us ke liye Dua karte hain.”

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Hadith 1442]

✦......♥ Bure Khwab ke Shar se Hifazat ka Nuskha ♥......✦

The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said:  "A good dream is from Allah, and a bad dream is from Satan. So if anyone of you sees (in a dream) something he dislikes, when he gets up he should blow thrice (on his left side) and seek refuge with Allah from its evil for then it will not harm him."

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 7 :: Book 71 :: Hadith 643, 5747]

Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Beshak Accha Khwab Allah ki Taraf se hota hai aur Bura khwab (jis mein Ghabrahat ho) Shaitan ki taraf se hota hai, is liye Jab tum mein se koi shaks koi Aisa khwab dekhe jo Bura aur Nagawar ho to Jagte hi wo 3 Martaba Bayen taraf (left side) thu thu kare aur is khwab ki Burayi se Allah ki panah Mange, is tarah karne se Bure khwab ka use Nuqsan nahin hoga.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 7 :: Hadith 5747]

✦.......♥ Nasihat Sunne ki Aadat Dalen!  ♥.......✦

●◗► Jo Shaks Naseehat sune aur Maan le wo Baaz Auqat Naseehat karne Wale se bhi Bada hota hai.

✦....♥ Miyan Biwi Ke Darmiyan Mohabbat Badhane ka Pakizah Nuskha ♥....✦

'A'isha RadiyAllahu Anha reported: I would drink from a vessel and he (Sallallahu Alaihi Wasallam) would put his mouth where mine had been, and drink."

[Sahih Muslim ::  Book 3 :: Hadith 590, Sunan an-Nasa'i 341]

Urdu Translation: “Hazrat Aishah Siddiqa RadiyAllahu Anha Jis bartan se Muh laga kar Pani Nosh Farmati thin, usi Bartan Mein usi Jaga se RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam bhi apna Muh Mubarak laga kar Pani nosh Farmate the.”

[Urdu Ref :: Makhuz Az, Sahih Muslim :: Vol. 1 :: Hadith 692, 718]

♥  Agar Seerat Tayyaba ka Mutaala kiya Jaye to Biwi ke sath Ulfat o Mohabbat paida karne ke Aise Pakeezah tor Tariqe Milenge jin se Izdwaji Zindagi khuhsgawar aur Miyan Biwi ke Mabeen Mohabbaten Parwan Chadhti hain ♥

✦.......♥ Anmol Nematon Par Shukr Karen! ♥.......✦

●◗► Aik 80 saala Buzurg ke dil ka Operation hua, 8 Lakh rupe ka Bill aaya, Bill dekhne ke baad Buzurg ki Aankhon mein Aansu aagaye ye dekh kar Doctor ne kaha aap Royye mat main ise kam kar deta hun, Buzurg ne kaha ye Bill to kam hai Agar 10 lakh bhi hota to main dene ki Isteta’at rakhta hun, Aansu to is liye aaye ke Jis Rab ne 80 saal tak is Dil ki hifazat ki us ne koi Bill nahin bheja Aap ne sirf 3 ghante is ki Hifazat ki aur Bill 8 lakh rupe,

♥ Aye Parwardigar! Aap hamara Kitna khayal Rakhte hain, Aye Allah! Hamare Saghirah aur Kabirah Gunahon ko Muaaf Farma dijiye Aur hame Apna Shukr Guzar Bandah banade, Aameen.

✦....► Darwaze, Khidki aur Balcony ke Zariye Be Pardagi! ◄....✦

The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: if a man passes by a door that has no cover over it, and it is not closed and he looks, then there is no sin on him, the sin is only on the inhabitants of the house."

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 5 :: Book 40 :: Hadith 2707]

Urdu Translation: Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Agr koi shaks kisi Aise ghar ke Darwaze par se Guzre jis par Pardah na ho aur Darwazah bhi band na ho to (Andar Maujood Aurton pe Nazar pad jane ki surat mein) us Shaks par Gunah (aur wabal) nahin, Balke Gunah (aur wabal) un Ghar walon par hai (Jinhon ne pardah ka Ehtemam Nahin kiya).”

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 603, 2707]

●◗► Mua’ashre se Pardah ka Ehtemam khatam hota Ja raha hai, Flat aur Gharon ke darwazon, Khidkiyon aur Balconyon mein be pardagi aur Be hayai ke Nazare Subah o Sham nazar aa rahe hain, is Bigdi Surate haal ke Zimmedar ham sab hain, Bil khusoos ham mein se wo log jo Gharon ke Sarbarah hone ke Bawajood Ahle khana pe Nazar Nahin rakhte aur parde ke Shar’yi hukum mein kotahi karte hain.

●◗► Dunya mein kuch Logon ka kaam bus Dusron ki Chowkidari aur Uyoob talash karna hota hai. Aise log khaliqe Kainat ki Nazar mein bhi Mardood hote hain aur Makhlooq ki Nigahon mein bhi Na Pasndidah Taherte hain.

✦..-_-  Qailola ki Sunnat Musalmanon ne Faramosh kardi Gairon ne Apnali -_-..✦

The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Take a afternoon nap, for the shayaateen do not take an afternoon nap."

Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Qailola kiya karo (Yani do Pahar ko kuch soliya karo) kyun ke Shaitan Qailola nahi karta."

[Al-Silsilah As-Saheehah :: Hadith 1647, Akhraj Abu Nayeem Al-Tabarani]

●◗► Qailola yani do Pahar ko thodi dair Sojane ki Fazilat bahot si Ahadees mein Aayi hai, Qailola karna Subah bedar hone ke liye Nihayat Mufeed hai, Neez is mein ye bhi Hikmat hai ke do pahar ke waqt Thodi dair sojane se Jismani Tawanayi bahal aur zahni Thakawat door hojati hai aur goya "Qailola" ke baad Naya din shuru hojata hai. Afsos! Aaj ke Musalman Sarkare Do Aalam (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki Sunnaten Faramosh karte ja rahe hain aur Gair Muslim dunya Research o Tahqeeq ke natije mein Sunnaton mein Poshidah Fawayed samne La rahi hai.

► Haal hi mein China mein aik Company ne Mulazimeen ke liye do Pahar khane ke baad Aadhe Ghante ki Neend lazmi qarar di hai, Company ke Mulazimeen ke liye zaroori hai ke wo do pahar khane ke baad mulazimat ke Aoqat mein se Aadha ghanta zaroor aaram karen.

► China Hukumat ke Mutabiq is Anokhe iqdam ke Natije mein Company ki Paidawar mein 30% izafa record kiya gaya hai, Hukumat ka kehna hai ke do Pahar khane ke baad thodi dair Aaram karlena karkirdagi mein hairat Angez izafe ka sabab hai, Lehaza digar Companies ko bhi is "Anokhe Qanoon" ka itlaq karna Chahiye.

✦.........♥ Rishte Tai Karne ka Me’yar! ♥.........✦

The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "When someone whose religion and character you are pleased with proposes to (someone under the care) of one of you, then marry to him. If you do not do so, then there will be turmoil (Fitnah) in the land and abounding discord (Fasad)."

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Book 6 :: Hadith 1084]

Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Jab Tumhare paas (bahen, beti ke liye) koi Aisa shaks Nikah ka Paigham bheje jis ki Deendari aur Akhlaq ko tum Pasand karte ho to us se (apni bahen, beti) ka Nikah kardo, Agar tum aisa Nahin karoge to Zameen mein Fitna aur Fasade Azeem barpa hoga.”

[Urdu Ref ::  Jami` at-Tirmidhi :: Vol.1 :: Hadith 1075, 1084]

✦......► Jhoot Insan ki Sab Se Buri Khaslat ◄......✦

Aishah RadiyAllahu Anha narrated: "There was no behavior more hated to the Messenger of Allah than lying. A man would lie in narrating something in the presence of the Prophet, and he would not be content until he knew that he had repented."

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 1 :: Hadith 1973]

Urdu Translation: Hazrat Aishah RadiyAllahu Anha Farmati hain ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ko Jhoot se zyadah Nafrat kisi aur Aadat se na thi, Jab Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ko kisi ke Jhoot ka pata Chalta to wo Shaks Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke Qalbe Athar se Nikal jata yahan tak ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ye Jaan lete ke ab us ne Jhoot se Tauba karli hai.”

[Urdu Ref :: Jami at-Tirmidhi :: Hadith 1973]

✦.......♥ Aulad ko Namazi Banane ki Dua! ♥.......✦

⇨ “My Lord, make me an establisher of prayer, and [many] from my descendants. Our Lord, and accept my supplication.” (Al-Quran, Surah Ibrahim: 40)

⇨ “Ya Rab! Mujhe bhi Namaz Qayem karne wala Bana dijiye aur Meri Aulad mein se bhi (Aise log paida Farmayye jo Namaz ko qayem Karen), Aye Hamare Parwardigar! Aur Meri Dua Qubool Farma lijiye.” (Al-Quran, Surah Ibrahim: 40)

No comments:

Post a Comment