Monday, 31 October 2016

✦......♥ Teen (3) Chizen Zaroor Hasil Karen! ♥......✦

It was narrated that Thawban RadiyAllahu Anhu said: The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Let one of you acquire

❶ A thankful heart,
❷ A tongue that remembers Allah and
❸ A believing wife who will help him with regard to the Hereafter."

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 3 :: Book 9 :: Hadith 1856]

Urdu Translation: Hazrat Thawban RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya:

"Tumhen Chahiye ke Tum Hasil karo:

❶ Shukr karne wala Dil,
❷ Zikr karne wali Zuban,
❸ Aur aisi Momin Biwi jo Aakhirat ke Mua’mlat mein Tumhari Madad kare."

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 2 :: Hadith 12, 1856]

✦..........► Shaitan ki Ruswayi ka Sabab ◄..........✦

Narrated Abdullah ibn Abbas RadiyAllahu Anhu: The Prophet (ﷺ) named the two prostrations of forgetfulness disgraceful for the devil.

[Sunan Abi Dawud :: Book 3 :: Hadith 1020, 1025]

Urdu Translation: Hazrat Ibn Abbas RadiyAllahu Anhuma Farmate hain ke Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Sajdah Sahu ka Naam (Al-Murgimatain الْمُرْغِمَتَيْنِ) (Yani Shaitan ko Zaleel o Ruswa karne wala Aml) rakha.”

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 1 :: Hadith 1013, 1025]

●◗► Shaitan ki koshish hoti hai ke wo Namaz mein Waswase dale aur Galti karwa kar Namaz kharab karde, Lekin Allah ne khaas Fazal farma kar Sajdah Sahu ko bahot si Galatiyon ki Talafi ka Zariya banaya aur Namaz ko bilkul zaye hone se Bacha liya, Yahi waja hai ke Sajdah Sahu karne se Shaitan ko zillat o Ruswayi aur Nakami ka Samna karna padta hai, Lehaza Musalmanon ko chahiye ke wo Sajdah Sahu ke Masayel Ulama E karam se sikhen aur Galti ho jane ki Surat mein Sajdah Sahu Karen.

●◗► Ummat Muhammadiya ko to Qabristan mein dakhil hote hue Murdon ko bhi Assalam Alaikum kehne ki Targeeb di gayi hai, Magar Aaj ham ne Zindah Musalmanon ko bhi Salam karna Chhor diya.

♥ Salam ko Aam Karen, Jannat Mein Dakhil  ho Jayen ♥

✦...► Bila Zarurat Safar karna ya Safar ko Taweel Karna ◄...✦

Narrated Abu Huraira RadiyAllahu Anhu: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Traveling is a kind of torture, as it prevents one from sleeping and eating! So when one has finished his job, he should return quickly to his family."

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 7 :: Book 65 :: Hadith 340, 5429]

Urdu Translation: Hazrat Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Safar Azab ka Aik tukda hai, Jo Insan ko sone aur khane se Rok deta hai, Pus jab kisi shaks ki safri Zarurat hasbe Mansha puri ho jaye to use Jald hi ghar wapas Aajana chahiye."

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 7 :: Hadith 5429]

✦.........♥ Naik Biwi ki Shohar ko Nasihat ♥.........✦

●◗►Mujhe Aap ki Ita’at o Farmanbardari Jannat Mein Dakhil kare gi, Jab ke Aap ko Aap ki Waldah ki Ita’at o Farmanbardari Jannat mein dakhil kare gi ✿ Lehaza Main Aap ki Ita’at mein lagi Rehti hun aur Aap apni Waldah ki Ita’at mein lage Rahen Taa ke ham dono Jannat mein Jama ho saken. ♥

✦.......► Na Mangne Walon Se Allah Naraz! ◄.......✦

Abu Hurairah (RadiyAllahu Anhu) narrated that : The Messenger of Allah (ﷺ) said: “Indeed, he who does not ask Allah, he gets angry with him.”

[Jami` at-Tirmidhi ::  Vol. 6 :: Book 45 :: Hadith 3373]

Urdu Translation: Hazrat Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Yaqinan Jo Shaks Allah Ta’ala se Nahin Mangta Allah Subhanahu Wa Ta'ala us par Naraz ho Jate hain.”

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Hadith 1298, 3373]

●◗► Dunya Walon se Agar mange to wo Naraz ho jate hain aur Rabbul Alameen ka Mua’mla ye hai ke jo us se Na mange wo us se Naraz ho Jata hai, Aise kareem Rab ke samne Agr ham Daste Sawal daraz na Karen to ham se Bada bad Naseeb koi aur na Hoga.

✦.....♥ Adhan ka Jawab Dene Walon ka Thikana ♥.....✦

An-Nasr bin Sufyan narrated that he heard Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu say: "We were with the Messenger of Allah (ﷺ) and Bilal stood up and gave the call (Adhan). When he fell silent the Messenger of Allah (ﷺ) said: 'Whoever says the same as this (what the Mu'adhdhin) with certainty, he will enter Paradise.

[Sunan an-Nasa'i:: Vol. 1 :: Book 7 :: Hadith 675, 673]

Urdu Traanslaiton: Hazrat Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke ham (Aik safar mein) RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ke Hamrah the, (usi douran) Hazrat Bilal RadiyAllahu Anhu Azan dene lage, Jab wo Azan de chuke to RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya:  “Jo in Kalimat ko Sadqe Dil se kahe ga, Wo Jannat mein Dakhil hoga.”

[Urdu Ref ::  Sunan an-Nasa'i :: Vol. 1 :: Hadith 677]

✦...♥ Parents Are The Best Example For Their Children ♥...✦

◈➲ Beta Baap ko dekh kar us ke Naqshe Qadam par chalta hai na ke us ki Nasihat par aur Tumhari Aulaad wo Nahin Sikhegi Jo tum kehte ho Balke wo karegi jo Tum log khud karte ho, Aur Acche Waldain apni Aulaad ke liye Behtareen Misaal hai ◈➲

●◗► Treat Your Children Fairly So That They Can Treat Their Future Children Fairly ! And Good Parents Are The Best Example For Their Children !

✦...► Makan, Dukan aur Zameen ko ◄...✦
✦..... Shaitani Asrat se Mahfuz Rakhen .....✦

Narrated Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu: That the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Do not turn your houses into graves. Indeed Ash-Shaitan does not enter the house in which Surat Al-Baqarah is recited."

[Jami at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Book 42 :: Hadith 2877]

Urdu Translation: Hazrat Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Apne Gharon ko Qabristan na banao (Yani use Zikr o Azkar Tilawat o Digar Ibadaat se bilkul khali Mat chhoro) aur Shaitan us Ghar mein Dakhil nahin hota Jis Ghar mein Surah Al-Baqarah ki Tilawat ki jati hai."

[Urdu Ref :: Jami at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 784, 2877]

Tuesday, 18 October 2016

✦......✿........♥ H I J A B ♥........✿......✦

✔ Aawarah aur Hawas bhari Nigahon se bachata hai.
✔ Zina se bachata hai.
✔ Zillat o Ruswayi se bachata hai.
✔ Poore Mua’shre ko be’hayai aur Fasad se bachata hai.
✔ Mua’shre mein iffat o Paak damni Paida karta hai.

✦....✔ "Good Night" ke Bajaye ye Hadees Doston ko Bhejen! ✔....✦

●◗► “Jab Tum Bistar pe sone ke Liye Jao to Aayat "Al-Kursi" padh liya karo, is ki Wajah se Allah Subhanahu Wa Ta'ala ki Taraf se Tum Par Aik Nigehban (Farishta) Muqarrar ho jayega aur Shaitan Subah tak Tumhare Qareeb na Aasakega.” [Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Hadith 3275]

Is Message ka Aap ke Dost ko bhi Faidah Pohchega aur Aap bhi Hamesha Taro Tazah aur Fresh rahenge, kyun ke ► Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Allah Sarsabz o Shadab Rakhe Mere us Ummati ko jo Meri baat sune, Mahfooz kare aur Aage Pohnchade. ”[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 3 :: Hadith 261, 3660]

●═════════════════◄►════════════════●

✦...✔ Instead of "Good Night" send Hadees to Your Friends ...✦

The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: 'Whenever you go to your bed, recite the Verse of "Al-Kursi" (2.255) for then a guardian from Allah will be guarding you, and Satan will not approach you till dawn.' [Sahih Bukhari :: Vol. 4 :: Book 54 :: Hadith 495]

From sending Hadith you and your friend will get blessings, Because ► The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) say: May Allah brighten a man who hears a tradition from us, gets it by heart and passes it on to others. [Sunan Abu Dawood :: Book 25 :: Hadith 3652, 3660]

✦...► Rishta Tai Karne Mein Ladke ki Maldari na Dekhen ◄...✦

●◗► Beti ka Rishta Aik Naik Sifat aur Salih Magar Gareeb ladke ke liye Manga gaya to Maa Baap ne Inkar kar diya, Phir usi Ghar mein Aik Bigde hue Magar Ameer gharane ke Ladke ka Rishta Aaya to ye keh kar Qubool kar liya gaya ke Allah paak is Ladke ko Hidayat dega aur Naik ban jayega.

●◗► Jo Allah Bigde hue Ladke ko Hidayat de sakta hai kya wo Gareeb Ladke ko Maali Farawani (Maaldari) nahin de Sakta?

●◗► Aurton ki Tasaweer, Gane, Filmen aur Behudah Manazir Share ya Post karne Walon se Aik Sawal: Aap ke Marne ke Baad in Chizon ko Aap ki “Wall” se Kon Delete karega?

✦...♥ Maut ke Waqt, Rehmate Khudawandi Ki Ummid! ♥...✦

Aik Naujawan ka Jab dunya se Jane ka waqt Aaya to us ki Maa Rone lagi, us ne Apni Maa se kaha: Amma Ji! Agar mera Hisab Kitab aap ke samne Pesh hota to Aap mere sath kya sulook karten?

Maa ne kaha: Beta main to Tere sath Rahem o Karam ka Mua’mla karti.

Naujawan ne kaha: Bus Amma! Aap Fikr na Karen, Jis Rab ke paas Main ja raha hun, wo Apne Bandon se 70 Maaon se Zyadah Pyar karta hai. ♥

✦.......♥ Dua ki Qubuliyat ke Khaas Auqat ♥.......✦

Abu Umamah RadiyAllahu Anhu narrated: “It was said: ‘O Messenger of Allah (ﷺ), which supplication is most likely to be listened to?’ He ﷺ said: ‘(During) the last part of the night, and at the end of the obligatory prayers.’”

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 6 :: Book 45 :: Hadith 3499]

Urdu Translation: Hazrat Abu Umamah RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam se Daryaft kiya Gaya ke Dua kis Waqt Zyadah Qubool hoti hai?

Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Raat ke Aakhri hisse mein aur Farz Namazon ke Baad.”

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 1423, 3499]

✦......► Biwiyon ka Mehar Jald Az Jald Ada Karen!◄......✦

RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Jis ne kisi Aurat ke sath Mehar tai kar ke Nikah kiya aur Niyyat ye Rakhi ke Mehar dena hi Nahin to Aisa shaks Zani o Badkaar hai.” (Saheeh At-Targheeb wat-Tarheeb: 1806)

●◗► Aaj Mehar ko aik Numayesh aur Rasmi cheez bana liya gaya hai ke Bawaqte Nikah ise Tai karliya jata hai aur phir Zindagi bhar Chutti! Isi tarah ise Hathyar ke tor par bhi Istemal kiya ja raha hai ke ise Mard ki Isteta’at se badh kar tai kar diya jata hai taa ke wo Zindagi bhar ada na kar sake aur Biwi ka Ehsan Mand rahe aur Khudana khuasta Nibah na hone ki Surat mein ise Bator Jurmana bhari bhar kam Raqam ada karni pade, Yaad Rakhen! Maher ki Adayegi Aurat ka Shar’yi haq hai jise Etedal ke sath muqarrar karne aur Jald ada karne ki zarurat hai, Agar kisi wajah se ye baqi rah bhi gaya to Digar Qarzon ki tarah ye bhi Qarz shumar hoga jis ki Adayegi zaruri hogi.

عن أبي هريرة رضي الله عنه قال قال رسول الله صلى الله عليه وسلم من تزوج امرأة على صداق وهو ينوي أن لا يؤديه إليها فهو زان (الصحیح لترغیب والترھیب: 1806 )

✦.......♥ Heere Jawahrat Se Qeemti Baten ♥.......✦

● Jo dosti Chahta hai, us ke liye “Allah” ki Dosti kafi hai.

● Jo Peshwa aur Muqtada Chahta hai, us ke liye Hazrat “Muhammad (صلى الله عليه و سلم)” ki Iqteda kafi hai.

● Jo Unsiyat aur Qalbi Talluq Chahta hai, us ke liye “Quran” kafi hai.

● Jo Maaldari Chahta hai, us ke liye “Qina’at” kafi hai.

● Jo Nasihat hasil karna Chahta hai, us ke liye “Maut” kafi hai.

✦......♥ Ashura ke Roze ka Ehtemam! ♥......✦

Narrated Ibn `Abbas RadiyAllahu Anhu: I never saw the Prophet (ﷺ) seeking to fast on a day more (preferable to him) than this day, the day of 'Ashura', or this month, i.e. the month of Ramadan.

[Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Book 31 :: Hadith 224, 2006]

Urdu Translation: Hazrat Abdullah bin Abbas RadiyAllahu Anhuma Farmate hain ke Main ne Nahin dekha ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam Dinon mein se Daswen Muharram (Yaume Ashura) aur Mahinon mein se Maahe Ramadan ke Rozon ke siwa kisi aur Din ke Roze ka khaas Tor par Ehtemam Farmate hon.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Hadith 2006]

 ✦......♥ Yaume Ashura 10 Muharram ka Rozah ♥......✦

RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Mujhe Allah ki zaat pe Yaqeen hai ke wo Yaume Ashura (10 Muharram Al-Haram) ke Roze ko Guzashta saal ke Gunahon ka Kaffarah bana dega.” (Sahih Muslim: 2803, 2746)

Baad Aza Jab RasoolAllah ﷺ ne Yaume Ashura ka Rozah rakha aur Musalmanon ko bhi is ka Hukum diya to Sahaba (RadiyAllahu Anhum) ne Arz kiya ke Ya RasoolAllah! Yahood o Nasara bhi is din ki Bahot tazeem karte hain, Aap ﷺ ne Irshad Farmaya:

Jab Agla saal Aayega to ham (Yahood o Nasara ki Mushabihat se Bachne ke Liye) In'sha'Allah Nawe (9) Tareekh ko Rozah bhi Rakhenge, Hazrat Ibn Abbas Farmate hain ke Agla saal Aane se pehle hi RasoolAllah ﷺ Dunya se Tashreef le gaye. (Sahih Muslim: 2722, 2666]

●◗► Yaume Ashura ke Roze ke sath 9 ya 11 Tareekh ka Rozah rakhna Afzal aur Behtar hai, Lekin Agar kisi ne Sirf Ashura ka Rozah Rakha to bhi Harj nahin, Neez Hadeese Bala se ye bhi Pata chala ke Musalmano ko Har moqe par Yahood o Nasara ki Mushabihat se Bachna chahiye.

●════════════════◄►═══════════════●

The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "I seek from Allah that fasting on the day of Ashura may atone for the sins of the preceding year."

[Sahih Muslim :: Book 6 :: Hadith 2602, 1162]

Ibn 'Abbas RadiyAllahu Anhu reported that when the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) fasted on the day of 'Ashura and commanded that it should he observed as a fast, they (his Companions) said to him: Messenger of Allah, it is a day which the Jews and Christians hold in high esteem. Thereupon the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: When the next year comes, God willing, we would observe fast on the 9th But the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) died before the advent of the next year."

[Sahih Muslim :: Book 6 :: Hadith 2528, 1134]

Thursday, 6 October 2016

✦..♥ Mareez ki Iyadat Par Rehmat o Maghfirat ka Samandar ♥..✦

The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said:  ‘Whoever comes to his Muslim brother and visits him (when he is sick), he is walking among the harvest of Paradise until he sits down, and when he sits down he is covered with mercy. If it is morning, seventy thousand angels will send blessing upon him until evening, and if it is evening, seventy thousand angels will send blessing upon him until morning.’”

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Book 6 :: Hadith 1442]

Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Jo Shaks apne Musalman bhai ki Iyadat ke liye Aaraha ho to wo Jannat mein chal raha hai yahan tak ke baith jaye aur Jab wo baith jaye to Allah ki Rehmat us ko dhaanp leti hai Agar Subah ka Waqt ho to Sham tak Sattar Hazar Farishte us ke liye Rehmat o Maghfirat ki Dua karte hain aur Agar Shaam ka waqt ho to Subah tak Sattar hazar Farishte us ke liye Dua karte hain.”

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Hadith 1442]

✦......♥ Bure Khwab ke Shar se Hifazat ka Nuskha ♥......✦

The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said:  "A good dream is from Allah, and a bad dream is from Satan. So if anyone of you sees (in a dream) something he dislikes, when he gets up he should blow thrice (on his left side) and seek refuge with Allah from its evil for then it will not harm him."

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 7 :: Book 71 :: Hadith 643, 5747]

Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Beshak Accha Khwab Allah ki Taraf se hota hai aur Bura khwab (jis mein Ghabrahat ho) Shaitan ki taraf se hota hai, is liye Jab tum mein se koi shaks koi Aisa khwab dekhe jo Bura aur Nagawar ho to Jagte hi wo 3 Martaba Bayen taraf (left side) thu thu kare aur is khwab ki Burayi se Allah ki panah Mange, is tarah karne se Bure khwab ka use Nuqsan nahin hoga.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 7 :: Hadith 5747]

✦.......♥ Nasihat Sunne ki Aadat Dalen!  ♥.......✦

●◗► Jo Shaks Naseehat sune aur Maan le wo Baaz Auqat Naseehat karne Wale se bhi Bada hota hai.

✦....♥ Miyan Biwi Ke Darmiyan Mohabbat Badhane ka Pakizah Nuskha ♥....✦

'A'isha RadiyAllahu Anha reported: I would drink from a vessel and he (Sallallahu Alaihi Wasallam) would put his mouth where mine had been, and drink."

[Sahih Muslim ::  Book 3 :: Hadith 590, Sunan an-Nasa'i 341]

Urdu Translation: “Hazrat Aishah Siddiqa RadiyAllahu Anha Jis bartan se Muh laga kar Pani Nosh Farmati thin, usi Bartan Mein usi Jaga se RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam bhi apna Muh Mubarak laga kar Pani nosh Farmate the.”

[Urdu Ref :: Makhuz Az, Sahih Muslim :: Vol. 1 :: Hadith 692, 718]

♥  Agar Seerat Tayyaba ka Mutaala kiya Jaye to Biwi ke sath Ulfat o Mohabbat paida karne ke Aise Pakeezah tor Tariqe Milenge jin se Izdwaji Zindagi khuhsgawar aur Miyan Biwi ke Mabeen Mohabbaten Parwan Chadhti hain ♥

✦.......♥ Anmol Nematon Par Shukr Karen! ♥.......✦

●◗► Aik 80 saala Buzurg ke dil ka Operation hua, 8 Lakh rupe ka Bill aaya, Bill dekhne ke baad Buzurg ki Aankhon mein Aansu aagaye ye dekh kar Doctor ne kaha aap Royye mat main ise kam kar deta hun, Buzurg ne kaha ye Bill to kam hai Agar 10 lakh bhi hota to main dene ki Isteta’at rakhta hun, Aansu to is liye aaye ke Jis Rab ne 80 saal tak is Dil ki hifazat ki us ne koi Bill nahin bheja Aap ne sirf 3 ghante is ki Hifazat ki aur Bill 8 lakh rupe,

♥ Aye Parwardigar! Aap hamara Kitna khayal Rakhte hain, Aye Allah! Hamare Saghirah aur Kabirah Gunahon ko Muaaf Farma dijiye Aur hame Apna Shukr Guzar Bandah banade, Aameen.

✦....► Darwaze, Khidki aur Balcony ke Zariye Be Pardagi! ◄....✦

The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: if a man passes by a door that has no cover over it, and it is not closed and he looks, then there is no sin on him, the sin is only on the inhabitants of the house."

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 5 :: Book 40 :: Hadith 2707]

Urdu Translation: Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Agr koi shaks kisi Aise ghar ke Darwaze par se Guzre jis par Pardah na ho aur Darwazah bhi band na ho to (Andar Maujood Aurton pe Nazar pad jane ki surat mein) us Shaks par Gunah (aur wabal) nahin, Balke Gunah (aur wabal) un Ghar walon par hai (Jinhon ne pardah ka Ehtemam Nahin kiya).”

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 603, 2707]

●◗► Mua’ashre se Pardah ka Ehtemam khatam hota Ja raha hai, Flat aur Gharon ke darwazon, Khidkiyon aur Balconyon mein be pardagi aur Be hayai ke Nazare Subah o Sham nazar aa rahe hain, is Bigdi Surate haal ke Zimmedar ham sab hain, Bil khusoos ham mein se wo log jo Gharon ke Sarbarah hone ke Bawajood Ahle khana pe Nazar Nahin rakhte aur parde ke Shar’yi hukum mein kotahi karte hain.

●◗► Dunya mein kuch Logon ka kaam bus Dusron ki Chowkidari aur Uyoob talash karna hota hai. Aise log khaliqe Kainat ki Nazar mein bhi Mardood hote hain aur Makhlooq ki Nigahon mein bhi Na Pasndidah Taherte hain.

✦..-_-  Qailola ki Sunnat Musalmanon ne Faramosh kardi Gairon ne Apnali -_-..✦

The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Take a afternoon nap, for the shayaateen do not take an afternoon nap."

Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Qailola kiya karo (Yani do Pahar ko kuch soliya karo) kyun ke Shaitan Qailola nahi karta."

[Al-Silsilah As-Saheehah :: Hadith 1647, Akhraj Abu Nayeem Al-Tabarani]

●◗► Qailola yani do Pahar ko thodi dair Sojane ki Fazilat bahot si Ahadees mein Aayi hai, Qailola karna Subah bedar hone ke liye Nihayat Mufeed hai, Neez is mein ye bhi Hikmat hai ke do pahar ke waqt Thodi dair sojane se Jismani Tawanayi bahal aur zahni Thakawat door hojati hai aur goya "Qailola" ke baad Naya din shuru hojata hai. Afsos! Aaj ke Musalman Sarkare Do Aalam (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki Sunnaten Faramosh karte ja rahe hain aur Gair Muslim dunya Research o Tahqeeq ke natije mein Sunnaton mein Poshidah Fawayed samne La rahi hai.

► Haal hi mein China mein aik Company ne Mulazimeen ke liye do Pahar khane ke baad Aadhe Ghante ki Neend lazmi qarar di hai, Company ke Mulazimeen ke liye zaroori hai ke wo do pahar khane ke baad mulazimat ke Aoqat mein se Aadha ghanta zaroor aaram karen.

► China Hukumat ke Mutabiq is Anokhe iqdam ke Natije mein Company ki Paidawar mein 30% izafa record kiya gaya hai, Hukumat ka kehna hai ke do Pahar khane ke baad thodi dair Aaram karlena karkirdagi mein hairat Angez izafe ka sabab hai, Lehaza digar Companies ko bhi is "Anokhe Qanoon" ka itlaq karna Chahiye.

✦.........♥ Rishte Tai Karne ka Me’yar! ♥.........✦

The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "When someone whose religion and character you are pleased with proposes to (someone under the care) of one of you, then marry to him. If you do not do so, then there will be turmoil (Fitnah) in the land and abounding discord (Fasad)."

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Book 6 :: Hadith 1084]

Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Jab Tumhare paas (bahen, beti ke liye) koi Aisa shaks Nikah ka Paigham bheje jis ki Deendari aur Akhlaq ko tum Pasand karte ho to us se (apni bahen, beti) ka Nikah kardo, Agar tum aisa Nahin karoge to Zameen mein Fitna aur Fasade Azeem barpa hoga.”

[Urdu Ref ::  Jami` at-Tirmidhi :: Vol.1 :: Hadith 1075, 1084]

✦......► Jhoot Insan ki Sab Se Buri Khaslat ◄......✦

Aishah RadiyAllahu Anha narrated: "There was no behavior more hated to the Messenger of Allah than lying. A man would lie in narrating something in the presence of the Prophet, and he would not be content until he knew that he had repented."

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 1 :: Hadith 1973]

Urdu Translation: Hazrat Aishah RadiyAllahu Anha Farmati hain ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ko Jhoot se zyadah Nafrat kisi aur Aadat se na thi, Jab Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ko kisi ke Jhoot ka pata Chalta to wo Shaks Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke Qalbe Athar se Nikal jata yahan tak ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ye Jaan lete ke ab us ne Jhoot se Tauba karli hai.”

[Urdu Ref :: Jami at-Tirmidhi :: Hadith 1973]

✦.......♥ Aulad ko Namazi Banane ki Dua! ♥.......✦

⇨ “My Lord, make me an establisher of prayer, and [many] from my descendants. Our Lord, and accept my supplication.” (Al-Quran, Surah Ibrahim: 40)

⇨ “Ya Rab! Mujhe bhi Namaz Qayem karne wala Bana dijiye aur Meri Aulad mein se bhi (Aise log paida Farmayye jo Namaz ko qayem Karen), Aye Hamare Parwardigar! Aur Meri Dua Qubool Farma lijiye.” (Al-Quran, Surah Ibrahim: 40)