Monday 14 November 2016

✦......♥ Rishte ke Intekhab ki Faisla kun Ghadi  ♥…...✦

Narrated Abu Huraira RadiyAllahu Anhu: The Prophet (ﷺ) said, "A woman is married for four things, i.e., her wealth, her family status, her beauty and her religion. So you should marry the religious woman (otherwise) you will be a losers.

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 7 :: Book 62 :: Hadith 27, 5090]

Urdu Translation:  Hazrat Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Aurat se 4 Chizon ki waja se Shadi ki jati hai:

❶ Us ki Maal dari ki waja se
❷ Hasab Nasab (unche khandan) ki waja se
❸ Khoobsurti ki waja se
❹ Deendari ki waja se

Tum Deendar Aurat ko Tarjeeh de kar Kamyabi hasil karo, (Aur agar tum Deendari ko Tarjeeh na doge to) Khair o Bhalayi se Mahroom ho jaoge.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 6 :: Hadith 5090]

✦.......♥ Rozana... Aik Parah ki Tilaawat ♥.......✦

Shaheed-e-Islam Hazrat Maulana Muhammad Yusuf Ludhyanvi Rahimahullahu Ta’ala Tahreer Farmate hain:

“Akabir Farmate the ke Chaand ki jo Tareekh ho wahi Tumhare pare ki Tilawat ho ke Tum se koi puche ke Aaj tum ne konsa Parah padha hai?

To Tum kaho main ne 22 wan parah Padha hai Aaj 22 tareekh hai… Agar 29 ka Chaand ho gaya to Mahina ke khatam par Aakhri din Aik Parah aur Padhlo…

Pahli Tareekh ko Pahla parah Shuru karo, is se Km darja Nahin hona Chahiye…

(Islahi Mawaiz: Jild 1: Safah Number: 188)

●◗► Hamen Sari Zindagi isi Baat ki Fikr lagi Rehti hai ke Log kya kahenge aur Aakhir mein Log bus Yahi kehte hain:

Inna lillahi Wa inna ilayhi Raji'un
إِنَّا لِلّهِ وَإِنَّـا إِلَيْهِ رَاجِعونَ

✦.......♥ Walide Mohtaram ke Doston ka Ehteram ♥.......✦

'Abdullah b. Umar RadiyAllahu Anhu reported Allah's Apostle (Sallallahu Alaihi Wasallam) as saying: "The finest act of goodness is that a person should treat kindly the loved ones of his father."

[Sahih Muslim :: Book 32 :: Hadith 6193, 6678]

Urdu Translation: Hazrat Abdullah bin Umar RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Aala Nekiyon mein se Aik Aala neki ye hai ke Aadmi apne Walid ke Dost Ahbab ke sath Ehsan o Sulook ka Mu’amla kare."

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 6 :: Hadith 6514, 6678]

✦..........♥ Gusse ka Kadwa Ghoont ♥..........✦

It was narrated from Ibn ‘Umar RadiyAllahu Anhu that the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "There is no gulp that brings greater reward with Allah than a gulp of anger that a man swallows (suppresses), seeking thereby the Face of Allah."

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 5 :: Book 37 :: Hadith 4189] [Al-Adab Al-Mufrad :: Hadith 1318]

Urdu Translation: Hazrat Ibn Umar RadiyAllahu Anhuma se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Allah Subhanahu Wa Ta'ala ke Nazdeek Gusse ke us Ghoont se zyadah Ajr o Sawab kisi Ghoont par nahin, Jo Gusse ka Ghoont bandah ne Mahez Allah ki Raza ke Liye piya ho."

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 3 :: Hadith 1070, 4189]

✦.......► Gareeb Mohtaj ki Madad na Karna! ◄.......✦

The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Shall I not inform you about the worst of the people ? A man who is asked by (the Name of) Allah, but not given by Him."

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 3 :: Book 20 :: Hadith 1652]

Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Kya Main tumhen Logon mein se Badtareen Aadmi ke bare mein na Bataun? Ye wo Aadmi hai Jis se Allah ke Naam pe kuch Manga jaye aur wo (hote hue bhi) Na de.”

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Hadith 1704, 1652]

●◗► Main hamesha Yahi Samajhta raha ke Achanak maut sirf Dusron ke liye hogi.

✦.........♥ Khana Khane ka Aik Ahem Adab ♥.........✦

Narrated Ibn 'Abbas RadiyAllahu Anhu: That the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Indeed the blessing descends to the middle of the food, so eat from its edges, and do not eat from its middle."

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 3 :: Book 23 :: Hadith 1805]

Urdu Translation: Hazrat Ibn Abbas RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Barkat khane ke (bartan ke) Darmiyani hisse Mein utarti hai, Lehaza (bartan ke) Kinaron se (ibteda’an) Khaya karo, is ke Darmiyan se na khaya karo."

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Hadith 1863, 1805]

✦.....► Dushmani Khatam Karne ka Nuskha ◄.....✦

●◗► Taali Hamesha do Hath se Bajti hai, Isi Tarah Dushmani bhi do Tarfa Aml hai, Aap Dushmani ka Jawab Dushmani se na den, Dushmani khud ba khud Khatam ho Jayegi.

✦........► Maahe SAFAR Hargiz Manhoos Nahin! ◄........✦

Maahe Safar Islami Qamri Calendar ka dusra mahina hai, is Mahine mein shari’at Mutahhara ne na to koi khaas Ibadat Muqarrar ki hai aur na hi is Mahine ke bare mein koi khaas toham Parasti ki taleem di hai, Magar Bad’qismati se kuch Logon ka khayal hai ke (Na’uzubillah) ye Mahina badbakht aur Manhoos hai, isi wajah se is Mahine mein Shadi Biyah o digar khushi ki Taqribaat ke In’eqad se ijtenab kiya jata hai.

Ye khayal Bilkul be Bunyad hai aur ye Darasal usi Toham Parasti ka Tasalsul hai jo Islam se Qabl Arab mein aam thi, RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Toham parasti par mabni aise Tamam Aqayed ko yaksar khatam farma diya, Bilkhusus Maahe safar ke bare mein to Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ne wazeh tor par Irshad Farma diya: La Safar yani "Safar ke Mahine ko Manhoos Samajhne ki koi Haqiqat Nahin." (Sahih Bukhari: 5757)

 Is wazeh Irshade Nabwi ke bawajood bhi Aaj kal logon ki aik badi Ta’dad is mahine ko Manhoos samajhti hai Balke is mahine ke hawale se Ajeeb o Gareeb chizen hamare Mua’shre mein Mashhoor hain. Maslan:

❶ Is ke ibtedayi 13 din Manhoos aur "Tera Tezi" kehlate hain.
❷ Is Mahine ki Nahusat se bachne ke liye zyadah se zyadah Murawwaja Quran khuani ka Ehtemam kiya jata hai.
❸ Sirf isi Mahine mein Jinnat se hifazat ke Aamal kiye jate hain.
❹ Is Mahine ki Nahusat se bachne ke liye Ghar se door daraz nikalne aur safar karne se ijtenab barta jata hai.
❺ Is Mahine ko Aurton ke bajaye Mardon par zyada bhari Tasawwur kiya jata hai.
❻ Is mahine ki Aakhri budh ko khushi Manayi jati hai aur Mithayi taqseem ki jati hai. Wagerah.

●◗► Islam mein bad’shuguni aur Nahusat ka koi Tasawwur nahin, Islam Mein agar koi Nahusat o Bad’shuguni ki cheez hai to wo insan ki apni Bad’Aamaliyan, Fusq o Fujoor, Naach gana, Fahashi o Uryani aur Allah ki khullam khulla Nafarmaniyan hain jo ghar ghar mein ho rahi hain, Agar ham waqeyi Nahusat se bachna Chahte hain to Lanat o phatkar aur Qaher khudawandi ko Dawat dene wale kamo se bachen.

No comments:

Post a Comment