Saturday 26 November 2016

✦.......♥ Momin ke Dil Mein Basne Wali Aurten! ♥.......✦

Momin ke Dil mein Char Tarah ki Aurten basti hain:
❶ Us ki Maa ❷ Us ki Biwi ❸ Us ki Bahen ❹ Us ki Beti

● Pahli ki Razamndi Mein Allah ki Raza mandi aur Jannat hai.
● Dusri ke sath Diljoyi aur Umdah sulook karna, RasoolAllah (ﷺ) ki Wasiyat hai.
● Teesri ke sath Ehsan aur Naik bartao karna, Silah Rahmi aur Khair o Barkat ka zariya hai.
● Chauthi ki acchi Parwarish aur Tarbiyat, Jannat mein RasoolAllah (ﷺ) ki Rafaqat ka Sabab hai.

●◗► Lehaza Apni Tamam tar Tawajjuhat ka Mahwar Inhin Aurton ko Banayen aur Hamesha Inhen khush Rakhne ki Koshish Karen!

✦.........✔ Khandani Rishton ka ILM Rakhen ✔..........✦

Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu narrated that the Messenger of Allah said: "Learn enough about your lineage to facilitate keeping your ties of kinship. For indeed

❶ Keeping the ties of kinship encourages affection among the relatives,
❷ Increases the wealth,
❸ And increases the lifespan."

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 1 :: Hadith 1979, 2045]

Urdu Translation: Hazrat Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Apne Nasbon (khandani Rishton) ko maloom karo Jin ke janne se tum apne Rishtedaron ke sath Silah Rahmi kar sakon kyun ke Silah Rahmi:

❶ Khandan mein Mohabbat ka zariya hai,
❷ Maal o Doulat mein Badhotri ka sabab hai,
❸ Aur Umr Mein izafe ka sabab hai."

[Urdu Ref :: Jami At-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Hadith 2043, 2045]

●◗► Khandani Nasab aur Rishton ka khud bhi ILM rakhiye aur Bacchon ko bhi Batayyen taa ke Mustaqbil mein wo bhi Silah Rahmi (Rishtedaro se Naik sulook) kar Saken.

●◗► Jab Aap ko “Rizq” mein kisi Qism ki koi Tangi ya Pareshani Mahsoos ho to zara Gaur kar lijiye ke Kahin Aap, Apne Waldain, Bahen Bhaiyyon aur digar Qareebi Rishtedaron ke sath Husne Sulook mein Gaflat o Laparwahi ke Murtakib to Nahin ho rahe???

✦.........♥ Jannat ke Aala Libas Hasil Karen! ♥…......✦

Narrated Abu Sa'id (al-Khudri) RadiyAllahu Anhu: The Prophet (ﷺ) said: "If any Muslim clothes a Muslim when he is naked, Allah will clothe him with some green garments of Paradise; if any Muslim feeds a Muslim when he is hungry, Allah will feed him with some of the fruits of Paradise; and if any Muslim gives a Muslim drink when he is thirsty, Allah will give him some of the pure wine which is sealed to drink."

[Sunan Abi Dawud :: Book 9 :: Hadith 1678, 1682]

Urdu Translation: Hazrat Abu Sa’eed RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Jis Momin ne kisi Be libas Momin ko kapda Pahnaya Allah Subhanahu Wa Ta'ala use Jannat ke Sabz jode pahnayega, aur Jis Momin ne apne Bhuke Momin bhai ko khana khilaya Allah Subhanahu Wa Ta'ala use Roze Qayamat Jannat ke phal Khilayega, aur Jis Momin ne apne Pyase Momin bhai ko Pani pilaya Allah Subhanahu Wa Ta'ala use Qayamat ke din Muhar lagi hui Khalis Sharab pilayega.”

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 1 :: Hadith 1669, 1682]

●◗► Apne Ird Gird Nazar Daliye! Bahot se Fuqara o Masakeen aise Milenge jin ke paas Sardi se Bachao ka Saman nahi, Aise Bebas aur Aajiz logon ke Liye Garam kapdon aur Libaas ka Fauri bandobast kijiye aur Payyen Jannat ke Aala aur Qeemti Libas.

✦......► Badnaseeb Bacchon ki Tarbiyat ◄......✦

●◗► "Jab Baap ko Sirf Paisa banane ki Fikr aur Maa ko banao Singhar (Beautifying Sajne Sawarne) se Fursat na ho to Bacchon ki Tarbiyat TV hi kiya karta hai."

✦.........♥ Khana Khane ki Aik Sunnat! ♥…......✦

Jabir RadiyAllahu Anhu reported that Allah's Messenger (ﷺ) commanded the licking of fingers and the dish, saying:
You do not know in what portion the blessing lies."

[Sahih Muslim :: Book 23 :: Hadith 5043]

Urdu Translation: Hazrat Jabir RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne (Khane ke Aakhir mein) Ungliyan Chatne aur Bartan saaf karne ka Hukum diya aur Irshad Farmaya: “Tumhen Maloom Nahin ke Khane ke kis Hisse mein Barkat hai.”

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 5:: Hadith 5300, 5420]

✦.........♥ 2 Qabile Ibrat 2 Qabile Rashk Aurten ♥.........✦

●◗► "Quran kareem ki 3 Aayat (Surah At-Tahrim 10 ta 12) Mein Mazkoor 4 Aurten."

❶ Hazrat Nooh Alaihis Salam ki Biwi: is ka Naam "Wahla" tha, is ko Nabi barhaq Sayyidna Nooh (Alaihis Salam) ki Zojiyat ka sharf Hasil hua aur barson ye Allah Ta’ala ke Nabi ki Sohbat se Sarfaraz rahi magar us ko Iman Naseeb nahi hua balke ye Hazrat Nooh (Alaihis Salam) ki Dushmani aur Touheen o be’adbi ki Murtakib hokar bagari Iman ke Margayi aur Jahannam mein dakhil hui.

❷ Hazrat Loot (Alaihis Salam) ki Biwi: is ka Naam "Wa’la" tha, ye bhi Jaleel ul Qadr Nabi Hazrat loot (Alaihis Salam) ki Zojiyat o Sohbat se barson sar faraz rahi Magar is ke sar par Aisa Shaitan sawar tha ke Sacche dil se kabhi iman Nahin layi balke Umr bhar Munafiqa rahi aur apne Nifaq ko chupati rahi, Jab Qaum loot par Azab aaya aur Hazrat Loot (Alaihis Salam) apne Ahl o Ayal ko lekar nikle to us ne Hazrat Loot (Alaihis Salam) ki baat na mani to Azab ka aik patthar use bhi laga aur ye bhi halak hokar Jahannam raseed hogayi.

❸ Firaon ki Biwi: in ka Naam "Aasiya Bint Mazahim" RadiyAllahu Anha tha, ye Firaon ki biwi then magar in ke dil mein Iman ka Noor chamak utha aur ye Hazrat Musa (Alaihis Salam) par Iman le Aayen, Jab firaon ko khabar hui to us Zalim ne Hazrat Aasiya ko badi sakht azyaten dee, lekin wo apne Iman par qayem rahen aur Firaon aur zalimon ke kartuton se Allah ki panah aur Jannat mein Mahel ki duayen mangti rahin, isi halat mein un ka khatima hogaya aur wo Jannat mein dakhil hogayin.

❹ Maryam Bint Imran: Ye Hazrat Isa (Alaihis Salam) ki waldah mohtarma then, Hazrat Isa Alaihis Salam un ke Shukam Mubarak se bagair Baap ke paida hue the is liye Qaum ne Ta’an, Badgoyyon aur Tohmaton se Hazrat Maryam (Alaihas Salam) ko badi Aezayen pohchayen, Allah ne un ki Iffat o Pakdamni ko Quran kareem mein bayan Farmaya aur Aik poori surat un ke Naam se nazil Farmayi.

●◗► Aurat Agar Khud Be Deen rehna Chahe to Islah ki Laakh Koshishen bhi be sood hain, Aur Agar Deen daar banna Chahen to Shohar aur Mahol ki Rukawaton ke Bawajood bhi ban sakti hai.

✦...♥ Jin Gharon Mein Rehmat ke Farishte Dakhil Nahin Hote! ♥...✦

❶ Qata Rahmi karne (yani Rishtedariyan todne) wale ka Ghar. (Al-Adab Al-Mufrad Al-Bukhari: 63) Grade: Da'if (Al-Albani)

❷ Jis Ghar mein kutta ho. (Sahih Bukhari: 3225)

❸ Jis Ghar mein Jandar Tasaweer ya Murtiyan Aawezan hon. (Sunan an-Nasa'i: 262)

❹ Jis ghar mein Mausiqi aur Naach gane ka Saman ho. (Sunan an-Nasa'i: 5222)

❺ Jis ghar mein Junbi ho (Yani aisa Shaks jo gusul Farz ho Jane ke baad bhi Gusul na kare.) (Sunan an-Nasa'i: 262)

●═════════════════◄►════════════════●

The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Mercy does not descend on a people when there is someone among them who severs ties of kinship." (Al-Adab Al-Mufrad: 63) Grade: Da'if (Al-Albani)

Allah's Messenger (ﷺ) saying: "Angels (of Mercy) do not enter a house wherein there is a dog. (Sahih Bukhari: 3225)

The Messenger of Allah (ﷺ) say: 'The angels do not enter a house in which there is a small bell, or a bell. (Sunan an-Nasa'i: 5222)

The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "The angels do not enter a house where there is an image, a dog or a Junub person." (Sunan an-Nasa'i: 262)

 ✦......♥ Tawakkul Ki Nemat Se Lutf Andoz Hon! ♥…...✦

●◗► Allah hi ko Maloom hai ke Aap ke liye kab aur kya Behtar hai, Lehaza apne Tamam Iradon aur Mansubon ke liye Hasbe Isteta’at Husne Tadbeer aur Koshish Karen aur phir apne Mua’mlat Allah ke Supurd kar ke Tawakkul ki Nemat se Lutf Andoz hon. ♥

No comments:

Post a Comment